• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 101


Jab tak Rajesh phone karta raha tab tak Sameer ne kuch nahi kaha...Wo Rajesh ko thoda hairani aur gussa ke saath ghurta raha.

Jab Rajesh ne phone par baat khatam kiya aur piche gate ki taraf mud kar Sameer ko dekhne ke liye muda to Sameer ko pehle se waha maujud dekh kar ek dam se chaunk gaya.

Sameer ko apni taraf gusse me ghurta hua paa kar Rajesh ko kuch samajh me nahi aaya aur usne haklaate hue pucha.

Rajesh:- Kkab aaya tu...Aur aise kkyu dekh raha hai?

Sameer:- Ye jaan kis ko bol raha tha tu?

Sameer ne kuch der Rajesh ko dekhne ke baad pucha.

Rajesh:- Divya ko.

Rajesh ne bhi ek dam se jawaab diya aur jawaab dene ke baad usse pata chala ki usne kya kaha hai.

Rajesh ke jawaab se Sameer ek dum se chaunk gaya aur usne bhi hairani me pucha.

Sameer:- Kya, kab aur kaise?

Sameer ko bilkul bhi yakin nahi ho raha tha Rajesh Divya ko phone par Jaan keh kar bula raha tha.

Usse to Rajesh par iss liye gussa aa raha tha ki Rajesh kisi se phone me hanste hue jaan keh kar baat kar raha tha.

Rajesh:- Kya puch raha hai yaar tu...Acche se puch...Khud bhi confuse ho raha hai aur mujhe bhi jar raha hai.

Rajesh ne confuse ho kar kaha...Sameer ki baatein usse bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha.

Sameer:- Tu Divya ko jaan keh raha tha...Ye baat samajh gaya...Lekin kabse aur wo kaise maan gayi ye baat samajh me nahi aa raha hai.

Jaise hi Sameer ne apna baat khatam kiya Rajesh ne usse thoda gussa me dekh kar bola.

Rajesh:- Kya matlab hai kaise maan gayi wo...Wo bhi mujhse pyar karti hai...Aur tu to aise puch raha hai jaise tujhe hairaani ho raha hai ki Divya mujhse pyar karti hai.

Sameer:- Ha hairaani ka baat to hai hi.

Sameer ne iss baar muskura kar kaha...Wo samajh gaya tha ki Rajesh sach keh raha hai...Abb wo Rajesh ka thoda taang kheenchna chaahta tha.

Rajesh:- Aur isme hairaani wali kya baat hai?

Rajesh ne chhidhte hue jawaab diya.

Sameer:- Wo to tujhe hi pata hona chaahiye.

Sameer ki muskaan Rajesh ko aur chhidha raha tha.

Rajesh:- Kya pata hona chaahiye bey? Aur tu hasna band kar.

Iss baar Rajesh ne bahut gusse me kaha.

Sameer:- Tujhme Divya ne aisa kya dekh liya jo wo tujhse pyar kar baithi...Tabhi se yahi soch raha hu ki aakhir Divya ne tujhse kaise pyar kar liya.

Sameer ne Rajesh ka aur majaak udaate hue kaha...Iss baar Rajesh sach me bhadak gaya.

Wo gusse me Sameer ki taraf badh hi raha tha tab Sameer ko ehsas hua ki ye majaak shaayad jyada ho gaya.

Rajesh Sameer ke paas aaya aur usne Sameer ka collar pakad liya...Sameer bhi apni jagah se uttha aur shaant aawaj me kaha.

Sameer:- Shaant ho ja bhai...Majaak kar raha tha.

Itna keh kar Sameer ne Rajesh ki aankho me dekha...Rajesh ka aankh gussa se laal ho gaya tha...Usne Sameer ka collar chhod diya aur apni jagah jaake baith gaya.

Rajesh:- Aisi bakwas majaak kabhi mat karna.

Sameer ne uski baat ka jawaab diye bina waiter ko aawaj de kar ek pepsi mangaya...Cafe me jyada log to nahi the lekin jo bhi the unki najar Sameer aur Rajesh ki taraf hi tha...Lekin Sameer aur Rajesh ko iss baat se koi matlab nahi tha.

2 min me pepsi aa gaya.

Sameer ne Pepsi ka bottle Rajesh ko dekar kaha.

Sameer:- Pehle Pepsi pee...Aur shaant ho jaa.

Sameer ki aawaj me koi bhaaw nahi tha...Rajesh ne bhi kuch kahe bina pee liya.

Kareeb 5 minute ki khaamoshi tod kar Sameer ne kaha.

Sameer:- Abb gussa shaant ho gaya?

Rajesh ne bhi haa me sar hila diya.

Iske baad Sameer thoda gussa aur naraaj hokar bola.

Sameer:- Itna gussa.

Rajesh:- Baat hi tune aisa kiya tha.

Rajesh ne bhi naraajgi me jawaab diya.

Sameer:- Accha...Aisa kya keh diya tha maine.

Rajesh:- Mera pyar ka majaak udaa raha tha.

Sameer:- Sach kehte hai log...Pyar hone ke baad log badal jaate hai...Jab tu Divya se mila bhi nahi tha...Tab mai tera kitna majaak udaata tha...Tu bhi mera majaak udaata tha...Lekin uss vakt to tu kabhi naraaj nahi hota tha.

Aaj thoda majaak kya kar diya tu to ladaai karne hi aa gaya.

Sameer ke baat sunne ke baad Rajesh ko bhi laga ki shayad usne hi over react kiya hai...Lekin maahaul aisa ban gaya tha ki wo aisa karne par majbur ho gaya tha.

Rajesh:- Shayad tu thik keh raha hai yaar...Kuch jyada hi gussa ho gaya tha...Lekin mai bhi kya karu...Tu mera pyar ka majaak udaa raha tha jo mujhse bardast nahi hua.

Sameer:- Matlab pyar mil jaane ke baad hamara dosti khatam.

Sameer ne iss baar naraajgi ka naatak karte hue kaha.

Rajesh:- Naraaj hai kya.

Rajesh ne thoda paschataap me kaha.

Sameer:- Nahi yaar...Lekin thoda ajeeb jarur laga.

Sameer ne abb sidha baat kiya Rajesh se.

Rajesh:- Kya karu yaar...Jab koi mera pyar ke baare me majaak udaata hai to bilkul bhi bardast nahi hota.

Sameer:- Koi baat nahi yaar...Hota hai aisa.

Naya naya pyar hai tera...Mai to thoda majaak kar raha tha...Shayad kuch jyada hi kar diya.

Sameer ne fir muskura kar kaha...Rajesh ne iss baare me kuch nahi kaha.

Sameer:- Abb tera pyar bhi do tarfa ho hi gaya...Tujhe tera pyar mil hi gaya...Iske liye bahut bahut badhaayi...Aage ka tere jindagi ke liye saath me shubhkaamnaayein bhi.

Sameer ne muskura kar hi Rajesh ko dua diya.

Rajesh:-Thanks yaar...Yahi baat pehle nahi keh sakta tha.

Sameer:- Dost hu tera...Koi dur ka ristedaar nahi...Badhaayi aur shubhkaamna dunga to apne andaaj me.

Rajesh:- Kya baat hai aaj bahut dino baad itna khul kar hans raha hai.

Rajesh ne abb jaakar mehsus kiya ki Sameer aaj bahut khus hai...Bahut dino baad usne Sameer ke chehre me muskaan dekha tha.

Sameer:- Wo isa liye kyu ki Priya ne mujhe maaf kar diya.

Rajesh:- Kya!

Chaunkte hue Rajesh ki munh se ye baat nikla.

Sameer:- Ha yaar...Priya ne mujhe maaf kar diya...Aur aisa lag raha hai ki dil se koi bahut bada bojh utar gaya hai...Abb bahut khus hu.

Rajesh:- Matlab teri jindagi bhi waapas patri me aa gaya...Tere liye bhi bahut khus hu.

Sameer ne iss baat ka jawab muskura kar diya.

Sameer ko achanak hi kuch yaad aaya aur usne pucha.

Sameer:- Tune to bataya bhi nahi...Divya ko kab aur kaise propose kiya.

Rajesh:- Oh shit...Jis baare me baat karne ke liye bulaya tha wohi bhul gaya.

Kuch khaas kahani nahi hai...Jis din tu Priya ke saath gaya tha yaha se...Divya ne kisi kaam se mujhe bulaya mujhe...Maine bhi help kar diya.

Iske bahane akele me thoda time spend hota raha...5 ya 6 din tak issi bahane milte rahe aur ek dusre se baat karne ka mauka bhi milta raha.

Jab bhi mai usse milta tha sochta tha ki abhi apni dil ki baat bata du...Lekin himmat nahi kar paata tha.

Parso raat ko maine kisi tarah himmat jutaya aur Divya ko park me bula kar apna dil ka haal bata diya...Pyar to wo bhi mujhse bahut pehle se hi karti thi issi liye usne bhi accept kar liya.

Itna keh kar Rajesh chup ho gaya...Uske hontho me abhi bhi uss ghatna ko yaad karke ek pyara sa muskaan reh gaya.

Sameer:- Jitna socha tha usse bhi fast nikla tu...Mai to soch raha tha ki tu ek do saal tak kehne ki himmat bhi nahi kar paayega.

Sameer ne fir Rajesh ko chhidhaate hue kaha.

Rajesh:- Pyar kiya hai sir...Pyar kuch bhi karne par majbur kar hi deta hai.

Sameer:- Chhod abb ye baatein...Mai tere liye bahut khus hu yaar...Bas yahi chaahta hu ki tera aur Divya ka ye pyar hamesha ke lige aisa hi rahe...Tum dono hamesha saath aut khus raho.

Aur ek baat...Aaj to kuch nahi kaha tujhe...Lekin agli baar mere majaak par naraaj hua to pakka peet jaayega...Doat hu yaar...Aisi majaak to chalta hi rehta hai...Bas itna yaad rakh ki bhale hi tera pyar ka majaak udaau lekin dil se hamesha dua hi dunga.

Rajesh:- Jaanta hu yaar...Tu mera bhalaai hi chaahta hai...Lekin tabhi dimaag kharab ho gaya tha jo aisa keh diya...Bhul jaa yaar uss baat ko...Aage se duyan rakhunga.

Sameer:- Maine dil se nahi liya uss baat ko...Jaanta hu pareshan ho gaya tha tu mera baat sun kar...Pareshani me aur tension me aisa reaction ho hi jaata hai...Mai bhi pehle tujhse bahut baar naraaj ho chula hu be matlab ki baat par.


Sameer ne jaise hi baat khatam kiya Rajesh ko kuch jaruri baat yaad aaya aur usne kaha.

Rajesh:- Ek baat to batana bhul hi gaya.

Rajesh ka chehre ka rang ek dam se badal gaya aur uske chehre me gusse ki bhaaw aane laga.

Sameer ko bhi laga ki jarur koi serious baat hai.

Sameer:- Kaisi baat?

Rakesh:- Please ye Shruti ko bol ki mujhe phone kar ke mera dimaag chaatna band kare...Jab tu gaanw gaya tha mujhe phone karke pareshan kar diya.

Har baar kehti thi ki kisi tarah Sameer ko jaldi se bulaa lu aur tujhe usse baat karne ke liye kahu.

Broker samjha hai kya mujhe...Uska pyar hai wo jaane...Mujhe pareshaan kar rahi hai...Wo to tera dost hai issi liye chup raha...Abb mujhse bardast nahi ho raha hai...Tu usse keh de mujhse baat hi mat kare.

Rajesh ne nafrat aur gussa ke saath Sameer se kaha.

Sameer ka bhi mood off ho gaya Rajesh ka baat sun ke.

Sameer:- Aaj usne subah hi milne ke liye bulaya tha...Aur mai bhul gaya...Sorry yaar...Chalta hu abhi...Baad me baat karenge.

Itna keh kar Sameer waha se jaldi me nikal gaya...Rajesh ko kuch damajh me hi nahi aaya ki achanak Sameer ko kya hua...Achanak Sameer ke chehre me badla hua bhaaw ko usne mehsus kar liya.

Wo kuch bolta ya puch paata Sameer waha se nikal gaya.

Sameer bhi jaldi me apni ghar ki taraf nikal gaya...Wo paidal hi aaya tha...Ye Cafe uske ghar se kuch doori par hi tha...Wo apne ghar pahunch kar bike se Shruti ke ghar jaana chahta tha.

Wo 5 minute me apne ghar pahunch gaya.

Jab usne apne ghar me kadam rakha andar ka najaara dekh kar wo buri tarah se chaunk gaya.

Andar Shruti sofa par baithi thi...Aur uske side me Mrs. Sharma.

Sameer bhi Shruti ke paas gaya aur pucha.

Sameer:- Tum kab aayi?

Shruti:- 10 minute pehle...Tumhara hi intejar kar rahi thi...Tum nahi aaye to mai hi chali aayi.

Sameer:- Rajesh ne bulaya tha to jaana pada...Chalo room me baat karte hai.

Sameer bina kisi bhaaw ke baat kar raha tha.

Shruti:- Tumse baad me baat kar lungi...Filhaal Priya se baat kar lu...Wo kaha hai.

Thoda gusse ke saath Shruti ne pucha to Sameer chaunk gaya.

Usse samajh me nahi aa raha tha ki Shruti Priya se kya aur kyu baat karna chaahti hai.

Sameer:- Priya se baat karna chaahti ho...Lekin kyu?

Sameer ki baato me hairaani tha jo Shruti ne bhi mehsus kiya.

Shruti:- Kuch private baatein hai...Akele me baat karna chaahti hu usse...Thodi der ke liye tum yahi rehna.

Itna keh kar Shruti Priya ki room ki taraf chali gayi...Jitna wo Priya ki room ki karib pahunchti jaa rahi thi uske chehre ka gussa aur bhi jyada badhta jaa raha tha.

Sameer ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha Shruti ka Priya se milne jaane ki vajah...Wo wahi sofa par baith gaya aur apne soch me par gaya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 102


Priya ke room ke pass pahunch kar Shruti bahut jor se gate par knock karne lagi…Gate me knock itna jor se hua tha ki Priya ko samajh nahi aa raha tha ki gate itna jor se knock kaun kar raha hai aur kyu…Hairaani ke saath aage badh kar usne gate khol diya.

Jaise hi gate par Shruti dikhi ek pal ke liye to wo chaunk gayi lekin agle hi pal normal hokar boli.

Priya:- Tum ho.

Priya ki aawaj me koi bhaaw nahi tha aur chehre ki bhaaw se aisa lag raha tha ki Shruti ka yaha hona use accha nahi laga.

Shruti:- Ha mai hu.

Shruti ne nafrat ke saath kaha…Aur bina pucche hi room ke andar chali gayi.

Priya ko Shruti ki ye harkat bilkul bhi pasand nahi aaya…Lekin usne kuch nahi kaha.

Shruti jaa kar Priya ke bed me baith gayi…Priya bhi uske paas aa gayi aur boli.

Priya:- Kyu aayi ho?

Priya ne apna gussa daba kar pucha.

Shruti:- Tujh se baat karne.

Shruti ka Priya ke liye nafrat uski hare k shabd se pata chal raha tha.

Priya:- Wo to pata hai…Tujhe yaha dekh kar hi samajh gayi thi ye baat…Lekin kya baat karne aayi hai.

Priya ka gussa bhi abb badhne laga tha.

Shruti:- Tujhe pata nahi hai…Mai kya baat karne aayi hu tujhse.

Shruti ne gussa aur nafrat se kaha.

Priya:- Mujhe teri tarah bakwaas karne ka aadat nahi hai…Agar pata hota to baat ko ghuma ke tere saath bakwaas karke time waste nahi karti…Jaldi bol kya kehne aayi thi aur nikal yaha se.

Priya ke liye abb apne gusse par control karna mushkil hota jaa raha tha…Pehle se hi usse Shruti par bahut gussa aa raha tha abb uski bakwas baatein usse sehan nahi ho raha tha.

Shruti:- Bahut gusse me lag rahi hai…Mujhse gussa hai kya?

Shruti ne Priya ka gussa ko mehsus kar liya…Wo usko aur chhidhaati hui boli.

Priya:- Naraaj to kya hamesha se hi tujhse nafrat hai…Aur wo mai hi nahi job hi tujhe jaante hai shaayad sabhi tujh se nafrat karte hai…Abb to Sameer bhi.

Itna keh kar Priya chup ho gayi…Aakhiri ki line uske munh se galti se nikal gaya…Lekin usse iss baat kehne par bilkul bhi afsos nahi hua…Usne sach hi bola tha…Aur sach bolne par kaisa afsos?

Shruti:- Ha yahi baat karne aayi thi mai tujhse.

Shruti ka aawaj ek dam se tej ho gaya…Uska chehra bata rahi thi ki wokitna gusse me thi…Lekin Priya ko uske gusse se kuch fark nahi pada.

Priya:- Wo hi to keh rahi hu…Jaldi bata apni baat aur yaha se nikal.

Priya ka gussa bhi kam nahi tha…Shruti ko yaha dekh uska mood kharab hota jaa raha tha.

Shruti:- Bahut bhadka rahi hai na Sameer ko mere khilaaf.

Iss baar Shruti ne mudde ki baat keh hi diya.

Priya:- Kya?

Thoda hairaani me Priya ki munh se nikla.

Shruti:- Sach sun kar shocked ho gayi na…Tujhe kya laga tu Sameer ko mere khilaaf bhadkaati jaaegi aur mujhe kuch pata nahi chalega.

Shruti ki aawaj me gussa to tha hi…Lekin iss baar usne muskura kar kaha jaise usse bahut badi baat pata chal gaya hai.

Priya bhi abb sab kuch samajh gayi thi…Shruti kis bare me usse baat karne aayi hai.

Usne bhi muskura kar jawaab diya.

Priya:- Chaahu to mai Sameer ko itna bhadka sakti hu ki wo tujhe mud kar dobara dekhega bhi nahi…Tera saari asliyat bata sakti hu lekin bataya nahi hai…Abb to Sameer mujh par itna bharosha karta hai ki agar kuch badha chadha kar jhuth bhi bol dungi to wo aankhe band kar ke vishwas kar lega…Lekin abhi tak batayanahi hai.

Itna keh kar Priya chup ho gayi aur Shruti ko dekhne lagi.

Shruti kuch pal to chup rahi lekin fir gusse me boli.

Shruti:- Accha hai ki abhi tak tune kuch nahi bataya…Aage bhi bataane ka sochna bhi mat…Agar tune usse mere bare me kuch bhi bataya to dekh lena anjaam bahut bura hoga tere liye.

Shruti ki aawaj me ek dhamki tha…Andar se wo bhi bahut dar gayi thi ki agar Priya Sameer ko uske baare me bata degi to kya hoga…Usse bhi pata chal gaya tha Sameer aur Priya ke dosti ke bare me…Sameer ki Priya se dosti kar lena aur us par gussa hona ye baat Shruti ko sochne par majbur kar raha tha.

Priya:- Dhamki de rahi hai.

Shruti:- Samajh sakti hai.

Priya:- Teri iss dhamki se darna to dur mai iss bare me sochungi bhi nahi…Wo to tujh par ehsan kar rahi hu ki Sameer ko kuch bataya nahi maine.

Mai jaanti hu ki bahut jald tera sacchaayi Sameer ke saamne aa hi jaayega…Behtar yahi hoga ki Sameer ko khud tere bare me pata chale ki tune uske peeth piche kya kiya hai…Agar mai Sameer ko sab kuch bata dungi to kuchmaja nahi aayega.

Maja to tab aayega jab Sameerko teri dhokebaazi ke bare me pata chalega…Thik waisa hi maja aayega mujhe bhi tera uss vakt ka haalat dekh kar jab tujhe aaya tha mera shaadi jabardasti karwa kar.

Itna keh kar Priya ne nafrat ke saath Shruti ko dekha…Shruti ko abb bahut dar lagne laga tha Priya ki baaton se.

Abb wo uss pal ko kosne lagi jab usne choti choti baton par Priya se badla lene ke liye Sameer ka buri tarike se istemaal kiya tha…Sameer ne badla to le liya lekin uske baad Shruti ke saath sab kuch ulta hona suru ho gaya…Sameer aur Priya ka shaadi, Sameer ka dhire dhire badal jaana, Priya ka usko attitude dikhaana aur uski bebasi…Kuch bhi uske saath accha nahi ho raha tha…Aur uski majburi bhi thi ki wo kuch bhi nahi kar sakti hai.

Yahi sab sochte hue Shruti chup hi baithi rahi…Usse samajh nahi aa raha tha ki usse kya kehna chaahiye.

Thodi der ke khaamoshi ke baad usne kaha.

Shruti:- Mai jaanti hu tune Sameer ko maaf kar diya hai…Aur tum dono me dosti ho gaya hai…Lekin tu usse dur reh…Mai Sameer se pyar karti hu aur mujhe tera ham dono ke bich aana pasand nahi hai.

Shruti ki aawaj me gussa to tha lekin uski aawaj abb thoda dheemi ho gaya tha.

Priya ne Shruti ki iss baat sunne ke baad hanse bina nahi reh saki…Uski hansi me Shruti ka majaak tha…Thodi der hasne ke baad wo boli.

Priya:- Pyar…Tu Sameer se shaayad pyar karti hai lekin wo tujh se bilkul bhi pyar nahi karta…Ek tarfa pyar kabhi pyar nahi hota madam.

Priya ki baato me bhi Shruti ka majaak tha.

Shruti:- Jaanti hu Sameer mujh se pyar nahi karta hai…Lekin bahut jald karne lagega…Bas tu bich me mat aa.

Shruti ne chhidh kar jawaab diya.

Priya:- Mai bich me aa rahi hu…Tune mujhe bich me laaya hai…Mai to apne jindagi kisi tarah jee rahi thi…Wo tera hi paagal pan tha mujhse badla ene ka aur tune hi mujhe bich me ghasit kar laayi hai.

Iss baar Priya ne behad gusse me jawaab diya.

Priya ki baato ka jawaab Shruti ke paas nahi tha…Wo khaamosh hi baithi rahi…Wo alag baat tha ki usse Priya ka uske saamne tej aawaj me bolne ki vajah se bahut gussa aa raha tha…Lekin wo filhaal kuch kar bhi nahi sakti thi.

Karib 5 minute beet gaya lekin Shruti kuch nahi boli…Shruti ko chup baitha dekh Priya ne hi kaha.

Priya:- Tu kehti hai tu Sameer se pyar karti hai…Pyar ka matlab bhi pata hai tujhe…Apna man maani karke pyar jataane ko pyar nahi kehte…Tera pyar aisa hai jise dekh Sameer jaisa ladka bhi pacha(digest) nahi paaya…Tune Sameer se pyar kabhi kiya hi nahi…Ye tera junoon hai Sameer ko pane ka…Jo shaayad hi kabhi pura ho sake.

Tu khud hi dekh le…Picchle 1 week me Sameer tere bare me kya sochne laga hai…Maine kuch nahi kiya…Fir bhi Sameer ka tere prati feeings ek dam se badalne laga hai…Wo to tujhe apna best friend manta tha lekin abb dhire dhire tum dono ka dosti ka rishta bhi toot ta jaa raha hai…Ek din aisa bhi aayega jab Sameer tera shakal dekhna bhi pasand nahi karega.

Sameer tera tha lekin tera bewkufi hi Sameer ko tujh se dur le jaa raha hai.

Priya aage aur bhi bahut kuch bolne wali thi ki Shruti ne usse bich me hi chup kara diya.

Shruti:- Bas…Band kar apni bakwas…Thodi der teri bakwas kya sun liya tu to mujhe hi sikhaane lagi pyar kya hota hai…Tera gyan nahi chaahiye mujhe…Mai jaanti hu Sameer ko kaise haasil karna hai.

Shruti ne Priya ko bich me hi chup kara kar gusse me kaha.

Priya:- Mai tujhe kuch gyan nahi de rahi hu aur nahi kuch samjha rahi hu…Tujhse to baat bhi nahi karna chaahti hu mai…Mai to bas tujhe teri pyar ki hakikat dikha rahi thi.

Shruti:- Abb ye bakwas baatein band kar…Aur meri baat dhyan se sun…Tujhe last warning deti hu ki mere aur Sameer ke bich mat aa.

Priya:- Teri baat ka kya matlab hai ye to mai nahi jaanti…Lekin itna tub hi sun le ki abb Sameer mera dost hai aur hamesha rahega…Teri baat maan kar mai usse kyu ignore karu ya usse duriyan badhaau…Jo karna hai kar le…Lekin ye dosti abb kabhi nahi tutega…Agar tujhe lagta hai ki Sameer tera ho jaayega to koshish karti reh…Mai tujhe nahi rokungi…Lekin ye bhi yaad rakh le ki tu kuch nahi kar paayegi.

Priya nebhi Shruti ko uske hi andaaj me jawaab diya.

Shruti:- Matlab tu nahi maanegi.

Priya:- Nahi.

Priya ne bas itna hi kaha tha ki Shruti bed se utth kar khadi ho gayi…Usne Priya ko ghur kar dekha aur boli.

Shruti:- Bahut bura kiya tune meri baat na maan kar…Dekhti jaa mai abb tere saath kya karti hu.

Itna keh kar Shruti chup chaap room se nikal gayi.

Room se nikal kar Shruti niche hal me pahunch gayi aur Sameer ke paas jaa kar ruk gayi.

Sameer bhi apni jagah se utth gaya aur wo Shruti se kuch kehne hi waala tha ki Shruti ne hi bol diya.

Shruti:- Sameer Priya ko samjha do…Bahut bolne lagi hai aur mujhse bahut galat tarike se baat kiya hai usne…Iska anjaa bilkul bhi accha nahi hoga.

Itna keh kar Shruti Sameer ka jawaab sune bina hi ghar se baahar jaane lagi.

Sameer:- Shruti ruko.

Sameer ne piche se kaha…Lekin Shruti ne Sameer ki baat ko sun kar bhi unsuna kar ke chali gayi.

Sameer ko Shruti ka ye attitude dekh kar bahut gussa aa raha tha…Usne piche baithi Maa ki taraf dekh kar bola.

Sameer:- Maa mai Priya se baat karke aata hu.

Mrs. Sharma ne bhi haa me sar hila diya...Maa se anumati milne ke baad Sameer bhi Priya ki room ki taraf chala gaya.

Sameer ke jaane ke baad Mrs. Sharma ke dimaag me bahut saare sawaal aane lage…Unhe itna to pata chal hi gaya tha ki Sameer aur Shruti ke bich kuch bhi thik nahi chal raha hai…Kal raat bhi unhone Sameer aur Priya ko ek dusre se chup kar dekhna dekh liya tha…Sameer ka Priya ke saath kareebi aur Shruti ke saath duriya unhe bahut kuch sochne par majbur kar raha tha…Unhone socha wo iss bare me Sameer se baad me baat karengi.


1 minute bhi nahi laga Sameer ko Priya ke room me pahunchne me…Priya ke room ke saamne pahunch kar Sameerne gate knock kiya…Kuch hi der me Priya ne gate khol diya.

Gate khulne ke baad hi Sameer ne gate me khada ho kar hi Priya se pucha.

Sameer:- Shruti ne tumse kya kaha?

Priya:- Pehle ye bataao ki usne mere bare me tumse kya kaha?

Priya ki aawaj me abhi bhi gussa tha lekin ye gussa Sameer ke liye nahi tha…Sameer ne bhi usko bata diya Shruti ne usse kya kaha tha…Uske baad Sameer ne hi kaha.

Sameer:- Jaanta hu usne hi kuch hangama kiya hoga yaha aa kar aur jaate vakt tumhare bare me galat bol kar chali gayi.

Abb bataao bhi usne kya kaha tha yaha aa kar?

Priya ne bhi sab kuch bata diya Sameer ko unn dono ke bich hui baat cheet.

Priya ki baat sunne ke baad Sameer ko Shruti par aur bhi jyada gussa aane laga.

Sameer:- Abb bahut hua…Ye ladki khud ko kya samajhti hai...Jo man me aaye wohi karti jaa rahi hai…Usse baat bhi karne ka koshish kiya tha lekin bahut galat attitude dikhaa kar chali gayi…Pata nahi kya sochne lagi hai khud ko.

Mujhe ignore karke gayi hai na…Dekhta hu kab tak ignore karti hai…Na hi usse milne jaaunga aur naa hi phone karunga…Dekhta hu kab tak wo apna attitude dikhaati hai mujhe.

Bahut bardaast kar liya uski manmaani lekin abb aur nahi.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya…Uske chehre me Shruti ke liye gussa aur naarajgi ka bhaaw tha.

Dusri taraf Priya bahut khus thi…Usse Sameer ka uss par bina koi sawal kiye uske baat par vishwas karna bahut accha lag raha tha…Usse yakin hota jaa raha tha ki Sameer abb uski baato par bahut vishwas karne laga hai…Sameer abb Shruti se jyada Priya par vishwas karne laga tha…Ye baat Priya ke liye kisi khushi se kam nahi tha.

Priya ka pyar ka asar Sameer par badhta hi jaa raha tha…Priya ka yakin aur badh gaya ki abb wo din dur nahi jab Sameer ko bhi usse pyar ho jaayega.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 103


Sameer ko aise hi kuch der tak gate ke saamne khada dekh kar Priya ne kaha.

Priya:- Gate par kyu khade ho…Andar aa jaao…Kuch baat karte hai.

Sameer:- Sorry…Bura mat maanna…Abhi mood off hai.

Itna keh kar Sameer apne room me chala gaya…Shruti ka badhti man maani ki vajah se Sameer ko bahut gussa aa raha tha.

Priya bhi Sameer ki haalat samajh gayi…Usne bhi kuch nahi kaha aur Sameer ko jaane diya…Usne socha ki wo baad me hi Sameer se baat karegi.


Sameer bhi apne room me jaane ke baad bed par baith gaya…Aur Shruti aur uske badhte manmaani ke bare me sochne laga…Shruti ka usko uss tarah se ignore kar ke chale jaana bilkul bhi pasand nahi aaya…Sameer ne bhi soch liya ki wo bhi tab tak Shruti se baat nahi karega jab tak Shruti hi baat ka shuruwat nahi karegi.

Ye soch dimaag me aane ke baad Sameer ne faisla kar liya ki wo yahi karega…Kuch din tak usse Shruti se chhutkaara bhi mil jaayega.

Sameer yahi sab baatein soch raha tha ki uske room ki gate me knock ki aawaj aaya.

Sameer ne gate khola to usne apne Maa ko dekha…Usse samajh me nahi aa raha tha ki iss vakt Mrs. Sharma yaha kyu aayi hai.

Sameer yahi sab soch raha tha ki Mrs. Sharma andar jaa kar bed me baith gayi aur Sameer se kaha.

Mrs. Sharma:- Bahut badla hua lag raha hai aajkal…Kya baat hai?

Mrs. Sharma ne pichle kuch dino me jo mehsus kiya tha aaj ussi sawal ko Sameer se pucch liya.

Sameer:- Nahi Maa…Aisi koi baat nahi hai.

Sameer ne baat ko taalne ki koshish kiya…Lekin uske aawaj se hi pata chal raha tha ki wo baat ko taalne ki koshish kar raha tha.

Itna keh kar Sameer bhi andar aa gaya.

Mrs. Sharma:- Bahut din se dekh rahi hu tu kuch parshan sa lag raha hai…Kuch batata bhi nahi hai aur akele me ghut ta rehta hai.

Mrs. Sharma ki baat sun kar Sameer ko pata chal gaya ki wo apne Maa se kuch chupa nahi sakta…Jitna yakin ke saath Mrs. Sharma ne apni baat kahi thi usse ye saaf pata chal raha tha ki unki baat sat pratisat sahi hai.

Sameer kuch nahi bola…Wo jhuth bhi nahi bol paa raha tha.

Sameer k chup dekh kar Mrs. Sharma ne fir se kaha.

Mrs. Sharma:- Mujhe bhi nahi batayega.

Mrs. Sharma ne thoda niraash ho kar kaha.

Abb Sameer se bhi nahi raha gaya…Wo kuch der tak soch raha tha ki usse apni pareshaani apni Maa ko batana chaahiye ya nahi lekin Maa ki baton ne usse ajbur kar hi diya sab kuch bolne ke liye.

Sameer:- Maa har din naya pareshaani saamne aa raha hai…Jitna bhi khud ko sambhaalne ki koshish karta hu aur pareshaani se dur jaana chaahta hu utni hi nayi pareshaani saamne aa raha hai…Abb thak gaya hu saari pareshaaniyon se ladte hue..Pata nahi kab chain se jee paaunga.

Sameer ki aawaj me ek dard tha…Jo dard uske andar itne dino se daba hua tha wo dard aaj baahar nikal gaya.

Sameer ki haalat dekh kar Mrs. Sharma bhi bahut dar gayi…Sameer ko aise toot te hue unhone kabhi nah dekha tha.

Mrs. Sharma:- Kya hua beta…Khul kar bata…Priya ne kuch kaha hai kya fir se.

Sameer:-Nahi Maa…Usne kuch nahi kiya hai…Usne to mujhe maaf bhi kar diya…Bahut acchi hai wo…Mujhe mere bure haalat me bhi usne mera saath diya hai…Priya se to mera dosti bhi ho gaya hai abb.

Mrs. Sharma nejab ye baat suni tab unka shak yakin me badal gaya…Unhe pehle hi laga tha ki Sameer aur Priya ke bich ki naarajgi khatam ho gaya hai…Lekin Sameer ki baat ne unhe yakin dila diya.

Ye vakt inn baato ko sochne ka nahi tha…Unhe toot ta hua Sameer ko sambhaalna tha.

Mrs. Sharma:- To kya baat hai…Abb tujhe kya pareshaani hai.

Hairani aur dard bhara aawaj se Mrs. Sharma ne pucha.

Sameer:- Thak gaya hu apni jindagi se…Kab tak ladta rahunga aur kis kis se ladta rahunga…Pehle college me Priya aur Karan se ladai, uske baad Principal sir aur unki beti se ladai, Pratap aur Ramesh se ladai…Uske baad mera wo bhool aur mera khud se ladai, Priya aur khud ki najro me gir jaana…Uske baad jab sab kuch thik hua to abb Shruti sar dard ban rahi hai.

Pichle 3 saal se yahi sab ho raha hai…Khushi ke pal shaayad hi kabhi mehsus kiya hai maine inn 3 saalo me.

Jindagi itni buri tarah se ulajh gaya hai ki kuch samajh me nahi aa raha hai ki kya karu…Ek mushibat se nikalta hu to dusri mushibat saamne aa jaata hai.

Sameer ye kehte hue bahut niraash ho gaya tha.

Mrs. Sharma:- Shruti Sar dard ban rahi hai…Usne kya kiya?

Mrs. Sharma ne Sameer ki pareshaani samajh liya…Sameer ne saari baat bata diya tha ki sab kuch thik ho gaya hai aur abb Shruti Sameer ka sar dard ban rahi hai iska matlab wo samajh nahi paayi.

Sameer:- Mujhe abb lag raha hai ki usse shaadi ka faisla karna mera sabse galat faisla tha.

Sameer ki aawaj me abhi bhi dard tha lekin uski aawaj me Shruti ke liye gussa saaf mehsus ho raha tha.

Mrs. Sharma:- Aisa kyu lag raha hai tujhe?

Mrs. Sharma ki aawaj me hairaani tha…Subah unhe Sameer aur Shruti ki baat cheet thoda ajeeb jarur laga tha lekin unhe ye nahi pata tha ki maamla bahut bigad gaya hai.

Sameer:- Maa…Shaayad wo abb badal gayi hai ya fir maine usse pehchaane me galti kar diya hai…Jis Shruti se maine dosti kiya tha ya jis Shruti ko mai apna best friend manta thaw o Shruti aur ye Shruti me bahut fark hai.

Maine jis Shruti se dosti kiya tha wo hamesha mera saath deti thi…Usme har wo gun tha jo mujhe ek dost ke roop me chaahiye tha…Lekin abb Shruti achanak se badal gayi hai.

Har baat par torture karna, apna had se jyada hak jatana, apna hi manmaani karna…Abb ye sab bardaast se baahar ho raha hai…Mujhe to wo pareshaan karti hi hai abb to wo bina vajah Priya ko bhi pareshaan karne lagi hai.

Maa aaj aapne ye baat notice kiya ya nahi wo mujhe nahi pata…Lekin maine notice kiya hai…Wo subah jab aayi thi tab usne aapse koi baat nahi kiya aur naa hi jaate vakt bhi…Saaf ignore kar diya usne aap ko jaise aap koi ajnabee hai uske liye.

Mujhe aisi patni nahi chaahiye jo itna khudgarz ho aur apne bare me hi soche…Abhi se ye haal hai uska to baad me pata nahi aur kya kya hoga.

Pata nahi kya chaahti hai ye ladki…Kehti hai mujhse pyar karti hai lekin uska pyar kabhi mehsus nahi hua mujhe…Nafrat si ho gayi hai usse…Pyar to kabhi usse hua hi nahi…Socha tha ki sabhi ki khushi ke liye shaadi kar leta hu…Lekin abb mujhse aur bardaast nahi ho raha hai.

Sameer ki aawaj me pehle ki tarah hi udaashi aur gussa tha.

Mrs. Sharma ko abb saari baat samajh me aa gaya…Sameer ki pareshaani ki vajah unhe samajh me aa gaya…Unhe bhi laga ki Sameer ka Shruti hona sach me bahut galat ho raha hai…Agar Sameer ka shaadi Shruti se ho gaya to baad me usse ghut kar hi jeena padega…Abb unke liye bahut aasaan ho gaya tha Sameer ko samjhaana.

Mrs. Sharma:- Agar tujhe ye shaadi karna galat lag raha hai to mana kar de…Isme sochne wali kya baat hai.

Mrs. Sharma ne bahut aasani se bahut aasan raasta bataya Sameer ko…Sameer ne jab ye baat suna to wo buri tarah se chaunk gaya…Usse apni Maa ki baato par bilkul bhi yakin nahi ho raha tha.

Sameer:- Ye kya keh rahi hai aap?

Sameer ne chaunk kar kaha.

Mrs. Sharma:- Jo tujhe karna chaahiye wo hi keh raha hu…Agar tu khush nahi hai to iss shaadi ka koi matlab nahi hai…Shaadi koi khel nahi hai…Aur majburi me to shaadi bilkul bhi nahi hona chaahiye.

Sameer:- Lekin Papa kya kahenge…Pehle hi wo mujhse naraaj hai…Abb agar fir se ye shaadi karne ke liye mana kar diya to wo bahut naraaj ho jaayenge…Pehle hi maine apni bhool ki vajah se aap logo kasar jhuka diya hai…Abb ye sab karne ki himmat nahi hai mujh me.

Sameer ko Mr. Sharma se bahut dar lag raha tha jis tarah se wo Sameer ke saath behave kar rahe the.

Mrs. Sharma:- Agar galti karega to naraaj to honge hi naa…Lekin teri bhool ne hamara sar ko niche nahi jhukaya hai baki uncha kiya hai…Agar tu sab kuch jaan kar bhi kuch nahi karta aur Priya ki shaadi ho jaati to hamaara sar jhuk jaata.

Tune apna bhool ko samajhkar usse sudhaara hai ye bahut accha kiya hai…Aur mai khush bhi hu ki tune bure haalat me bhi acchaayi ka saath nahi chhoda.

Fir bhi tune galti to kiya hi hai…Issi vajah se tere Papa tujhse gussa hai.

Ek baar Papa se baat kar le iss bare me…Wo teri baat jarur maanenge…Jab bhi tune unse koi jaayaz maang kiya hai unhone kabhi mana nahi kiya hai…Hamesha tera saath diya hai…Jab unhe pata chalega ki ye shaadi se tu khus nahi hai to wo tera saath jarur denge…Tera khushi hi to unka khushi hai.

Chinta mat kar mai baat kar lungi unse.

Mrs. Sharma ki baat sun kar Sameer ko bahut accha laga…Jiss rishta ko wo apna majburi samajh raha tha ye rishta uske liye abb majburi nahi raha.

Mrs. Sharma:- Kabhi socha nahi that u apne Papa se kabhi itna darega?

Sameer:- Darta to hu…Lekin darne se jyada unka izzat karta hu…Jab mai apna bhool sudhaar lunga uss din jaakar unse maafi maang lunga…Mujhe yakin hai Papa mujhe maaf kar denge.

Mrs. Sharma:- Chinta mat kar…Bahut jald sab kuch thik ho jaayega.

Sameer ko Mrs. Sharma se baat karne ke baad bahut raahat mila…Uska saara dard aur taklif baahar nikal gaya tha…Abb wo kaafi halka mehsus kar raha tha…Uski Maa ne bhi uski aakhiri parshani bhi hal kar diya.

Abb Shruti se shaadi karna Sameer ka majburi nahi tha…Priya ne bhi usse maaf kar diya…Abb Sameer ko koi pareshaani nahi tha…Abb usne khud ko halka mehsus kiya wo bhi bahut lambe vakt ke baad.

Mrs. Sharma:- Shruti ki ghar me ye sandeshbhijwa du iss rishte o todne ke liye keh kar.

Sameer ko chup dekh kar Mrs. Sharma ne pucha.

Sameer:- Nahi Maa…Abhi nahi…Abhi bahut vakt hai…Shaayad kuch misunderstanding bhi ho sakta hai mujhe Shruti ko pehchaane me.

Jo bhi ho raha hai bahut jaldi me ho raha hai…2 hafte me Shruti ko pehchaane me shaayad galti bhi ho sakta hai…Ek baar hi usse mila hu…Thoda vakt lena chaahta hu…Aur agar fir bhi laga ki Shruti se shaadi karna galat hai to tab man kar denge iss rishte ke liye.

Sameer ne kuch soch kar kaha.

Mrs. Sharma:- Thik hai…Jaisa tu thik samjhe.

Mrs. Sharma ne abb jaakar khush ho kar baat kiya…Unhe pata chal gaya tha ki abb Sameer ko koi pareshaani nahi hai.

Mrs. Sharma:- Abb to koi pareshaani nahi hai na tujhe.

Sameer:- Nahi…Abb koi parshaani nahi hai…Thanks Maa…Aapne bahut badi parshaani se mujhe mukt kara diya…Agar aapne mujhse baat nahi kiya hota to na jaane kb tak yahi takleef soch kar ghut ta rehta.

Sameer ne apna khushi jaahir karte hue kaha.

Mrs. Sharma:- Maa hu teri…Pata chal jaata hai tu kab khus hai au kab pareshaan…Agar age bhi koi pareshaani aaye to mujhe batana.

Itna keh kar Mrs. Sharma room se baahar jaane lagi.

Sameer:- Thik hai Maa.

Sameer ne sukoon ke saath kaha.

Mrs. Sharma room se chali gayi…Sameer ko abb bahut sukoon aur khushi mil raha tha…Saalo ki taklif se aaj usse raahat mil gaya tha…Wo khusi me room me tehal hi raha tha ki usse yaad aaya ki kuch der pehle Priya usse baat karna chaahti hai.

Sameer ne abb koi der kiye bina hi apne room se baahar nikal gaya aur Priya ki room ki taraf badh gaya.

Haalat aur Vakt dono badal hi gaya...Suru ho chuka hai abb Sameer aur Priya ki karibi aur Sameer aur Shruti ki duriyan.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,615
34,949
219
ab to rajesh divya ki love story bhi sameer ke samne khul gayi

idhar shruti ki asliyat bhi samne aa rahi hai
shruti ko lekar to dawab sameer ko apne oopar mahsoos ho raha tha.... wo maa ne khatm kar diya

priya ab dino din......... aur bhi confident hoti ja rahi hai.....
aur sameer ka up par bharosa bhi badhta ja raha hai

lekin lagta hai............jald hi shruti kuchh bada kaand karnewali hai
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
ab to rajesh divya ki love story bhi sameer ke samne khul gayi

idhar shruti ki asliyat bhi samne aa rahi hai
shruti ko lekar to dawab sameer ko apne oopar mahsoos ho raha tha.... wo maa ne khatm kar diya

priya ab dino din......... aur bhi confident hoti ja rahi hai.....
aur sameer ka up par bharosa bhi badhta ja raha hai

lekin lagta hai............jald hi shruti kuchh bada kaand karnewali hai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 
Top