• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 177 82.7%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 32 15.0%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 29 13.6%

  • Total voters
    214

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
14,862
37,903
258
Update - 29

Reyansh : hmm.. Chalo ab ghar chalte hai abhi hume tumhare ammi abbu ko antim wida dena hai.

Aabbb aaagggeee....

Noor : Reyansh ye mujhse nhi hoga..
Reyansh : tum fikr na karo mai huna...
Noor : hhmmm...

Ye bol noor ne reyansh ki baazu jor se pakad li.
Reyansh : to phir chale .
Ye bol reyansh bed se utha noor bhi uth gyi par jaise hi noor aage kadam badhane wali thi ki uske pair dagmaga gye aur wo girne wali thi lekin ain waqt par reyansh ne noor ko kamar se pakad kar use girne se bachaya aur uae khada kiya aur dat te hue bola.
Reyansh : dekha jada rone se kamjori aa jati hai aur tum ho ki abhi bhi roye ja rhi ho.
Noor : kyaa karu ammi abbu ki bohot yaad aa rahi hai.

Reyansh bhi chup ho gya kyuki wo iss bare me kuch nhi kar skta tha. Noor bhi mayus khadi thi ki reyansh ne noor ko apni bahon me le kar godh me utha liya.


Costurero-Real-Professional-Artisan-Crafter-Deviant-Art
Noor yeh dekh ke chok gyi aur hadbadate hue boli.
Noor : yeh kya kar rahe ho reyansh niche utaro mujhe sab hame hi dekh rahe hai.
Reyansh : nhi utar sakta nhi to phir se gir padogi.

Ye bol reyansh aage bad gaya hospital se bahar nikalne ke liye. Iss douran sare raste noor apna chehra reyansh ke seene me chupayi hui thi. Reyansh ne car ke pass pohochke noor ko niche utara aur driving seat ke baju wali seat pe bitha diya aur nikal pada noor ke ghar ki aur. Raste bhar noor bilkul chup thi. Thodi der me dono noor ke ghar pohoch gye car se bahar aake noor ne ek nazar ghar ko dekha aur sochne lagi.

Noor : (man me) ek din pehele tak kitna khushal hua karta tha hamra ye chota sa aashiyana .kitna masti karti thi mai ammi ke sath .iss jagah abbu ne mijhe chalna sikhaya tha par abb sab badal chuka hai... Ab apno ke naam par sirf Reyansh hai mere paas jise mai kisi kimat par khona nhi chahti.

Noor ye sab soch hi rahi thi ki reyansh ne pgur se use apni god me utha liya aur ghar ke ander aake use bed pe litaya aur sar pe hath firate samjhte hue bola.
Reyansh : Noor ab tum aram karo mai tumhare liye kuch banake lata hu.
Noor : (sapat leheje me) mujhe nhi khana hai.
Reyansh : dekho noor agar tum aise karogi aur khana nhi khaogi to bimar pad jaogi to kya tumhare ammi ko achcha lagega ki unke yaad me unki beti khana nhi kha rhi hai batao.
Noor ne ye sunke ser jhuka liya aur sirf itna boli .
Noor : thik hai.
Reyansh : tum khalo aur aram karlo. Kal subeh tak bodies postmortem ho ke aa jayegi to mai unhen mitti deni ki taiyari karwa leta hu agar tumhare koi rishtedaar hoto bata do mai unhe bula leta hu.

Phir bina kuch bole aur sune reyansh noor ke ghar ke kitchen me khana banane chala gya. Karib aadhe ghante me reyansh garma garam vegetable soup bana ke le aya aur bed pe jake noor ke bagal me baith gaya.
Reyansh : ye lo aur jaldi se ye soup pilo.

Par Noor soup Peene Mein Na nukur kar rahi thi . Jis Karan Reyansh Khud Apne Hath se Noor ko soup pilane Laga. Thodi der Mein Soup khatm Ho Gaya per Noor Kuchh Bol Nahin rahi thi Jaise use Sadma Lag Gaya Ho.
Is Tarah Noor ka Shant Rahana Reyansh ko Achcha Nahin lag raha tha per vah is situation Mein Kuchh Nahin kar sakta Kyunki usko Noor ki Ammi Abbu ko Aakhiri vidai Dene Ki Tarif karni thi aur Baki kam bhi use Hi sambhalna Tha.
Reyansh ko bhi Noor ke ammi Abbu ke Maut Ka Dukh tha lekin wo ye sab baya nhi kar raha tha. Reyansh itna gehra ladka tha ki Usko apne dard ko chipaane me maharat hashil ho chuki thi ...kam umra me jimmedari aane per aur bure halat ke chalte sab samajhdaar ho jaate hai uper se reyansh ko maa baap ka pyaar bhi nasib nhi hua jiske karan wo bachpan se tanha raha hai. Jab chot lagti to Reyansh Ghar per Aakar Rota tha lekin Kisi Ko uski Parvah Nahin thi na koi usko chup karata tha na hi Dilasa deta reyansh bus Rota aur fir Rote Rote gehri Nind mein chal Jata.

Aise hi thodi der Mein Raat Ho Gai reyansh bhi Hospital ki sari formalities nipta ke Noor ke room ki taraf badh gaya per Jab vah room mein pahuncha to Paya Noor bed ki ek Kone mein lete hue subak rahi. Jo Reyansh se na Dekha Gaya aur Reyansh ne Noor ke kareeb Jaakar Uske kandhe par hath rakha . Apne kandhe per Hath ka Ehsas Pakar Jab Noor palti to Dekha Samne Reyansh Khada tha Kuchh der tak Noor ne Reyansh ki Gehri Aankhon Mein Jhanka Jaise Kuchh dhundh rahi ho fir ekadam se Noor Aankhon Se Aansu nikalne Lage Aur vo Reyansh se Chipak gai aur Jor jor se Rone Lagi.

Noor : Reyansh mujhse wada kro tum ammi abbu ki tarah mujhe chod kar nhi jaoge wada karo reyansh.
Reyansh : (noor ke aasoon pochte hue) kya mere wada karne se tum shant ho jao gi ?
Noor : ye mai nhi janti lenkin ab iss duniya me mera tumhare alava hai hi kon.

Ye sunkar Reyansh ko noor ke abbu ko kiya hua wada yaad aa gya ki wo noor ko hamesha khush rakhega aur usne apne chehre par bohot samay baad ek badi pyaari muskan faila di jo noor bhi pehli baar dekh rahi thi. Uhi reyansh ne muskurate hue kaha.

Reyansh : agar tum yahi chahti ho aur isse khush ho to mai wada karta hu ki mai "Reyansh Rajput apni akhri saans tak tumhara sath nhi chodunga".


Noor ye sunker kuch shant hui aur reyansh ki godh me apna ser rakhe let gyi reyansh ne bhi uske bal sehlake sulane ka prayas karne laga kyuki usko pata tha ki iss waqt noor ko emotional support ki jarurat hai.
Zabardast update
 

Lovingheart

Active Member
1,221
4,106
159
Ye time table Monday se chalu hoga
As expected🤣🤣🤣
Hamesha se🤣🤣🤣
Week mein mushkil se hi kabhi kabhi 2 update ate hai woh bhi chote chote se🤣🤣
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Bilal jan
Top