• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-36

Inspector shahed ki team puri tarha se meer ke harkat per nazar rakhi hui thi aur uske har godoun aur uske business per bhi nazar rakhe hue they.

Meer per nazar rakhne ki zimmedari arhaan ko di thi yousuf ne aur arhaan ne bhi bohat hi acche se kaam kiya tha aur aaj ek hafte baad sabhi apne adde per ek jagha hue they, sabhi ke paas apna apna task tha.

Arhaan ka task tha meer per nazar rakhna.

Jack ka kaam tha meer ke godons per nazar rakhna.

Hemanth rao ka kaam tha pichli baar meer ke godons ke jo bhi chezen mili hai unme se sabut ikhatta karna.

Tanisha ka kaam tha insab ko agar kisi bhi cheez ki kami lage toh untak pohchana. aur

Yousuf ka kaam tha inspector shahed ki maut ki tahkhikhat me jitney bhi naam arahe hai unki information nikalna.

Aaj sabhi ek hafte baad ek jagha jama hue thay aur sabhi iss waqt hall me ek table per baithe hue they jo ke round tha.

Yousuf : toh guys kya report hai. sabse pahle arhaan se hi shuru karte hai. haan toh arhaan batao kya pata chala meer ke bare me.

Arhaan yousuf ki baat sunkar apne bag me se ek file nikal kar yousuf ki taraf barha deta hai.

Yousuf who file ko lekar padhta hai aur phir sabhi ki taraf barha deta hai.

Jab sabhi file padlete hai toh yousuf arhaan se sawal karta hai.

Yousuf : isme file me jo bhi likha hai who kya tumne khud observe kiya hai ya kisi ko hire kiya tha.

Arhaan : nahi sir maine khud observe kiya hai aur iss kaam ko karne ke liye maine meer ke hi ek admi ka bhes badal kar kaam kiya hai.

( hemath rao ne kuch aise bhi gadget banaye hai jisse ye log kisi ke bhi shakal ki copy bana sakte hai ).

Arhaan ki baat sunkar tanisha kahti hai.

Tanisha : haan sir arhaan sach kah raha hai meer ke admi ki info nikal kar arhaan ne mujhe hi di thi toh maine hi uss admi ka mask banaya tha. Aur uss admi ki personality bhi arhaan jaise hi thi isi liye arhaan ne use chuna tha.

Yousuf : toh phir us admi ka kya kiya tumne arhaan.

Arhaan : jaisa humesha karte hai uss ko ek shock dekar behosh karke apna paas hi rakha tha aur jaise hi kaam hua maine uske uper short term memory loss wala gadget use kiya tha.

( note : ye gadget bhi hemanth rao ne hi banaya tha ye log jiska bhi face use karte they use marte nahi they kyun ke inka manna tha ke jo admi huamre kaam aya hai hume use marna nahi chahiye isi liye hemanth ke banaye gaye gadget ko use karke uski memory loss kardete they. ).

Yousuf : chalo ye accha kiya tumne jo use kuch nahi kiya.... khair ye sab tumne khus observe kiya hai toh phir iss per bhi kaam tumhe hi karna hoga.

Arhaan : ji sir is kaam ko bhi agey mai hi badaonga.

Yousuf : tumhari information ke hisab se chale toh phir meer sirf ek piyada hai toh badshah aur wazeer ko bhi dhundh na hi hoga.

Jack : sahi kaha sir aur mujhe bhi kuch aisa hi mila hai. jaha jawad meer ke liye kaam karta hai wahin ek admi aur hai jo inlogon ke bhi uper hai magar uska naam samne nahi aya.

Yousuf : ajayega jack who bhi samne ajayega. Hume bas sahi waqt per aisa kaam karna hai jisse who apne bil se khud ba khud bahar ayega. Abhi toh humara main target meer hi rahega.

Yousuf ki baat sunkar jack kahta hai.

Jack : sir jab hume pata hai ke meer sirf ek piyada hai toh hume usse kuch hasil hi nahi hoga toh use target karke kya faida.

Jack ki baat sunkar yousuf muskurate hue kahta hai.

Yousuf : baat tumhari sahi hai jack magar ye bhi toh ghalat nahi hai na ke meer bhi iss sab me shamil hai aur hum use aise hi nahi chod sakte. Bhale hi who piyada ho magar hai toh ek mujreem hi na.

Yousuf ki baat sunkar jack kuch nahi kahta magar arhaan kahta hai.

Arhaan : sir mujhe meer ke bereme ek baat aur pata chali hai jise maine report me nahi likha.

Arhaan ki baat sunkar sabhi uski taraf dekhte hai.

Yousuf : aur who baat kya hai jise tumne report me nahi likha.

Arhaan : kuch din pahle mujhe pata chala hai ke meer jis jagha ka M.P hai wahan ke logon ke liye who ghar , school , aur hospital banwane wala hai.

Arhaan ki baat sunkar jack haste hue kahta hai.

jack : hahaha ye toh har rajneta kahta hai isme niyi baat kya hai?

magar bakhi sab kuch nahi kahte kyun ke unhe pata hai ke arhaan agar kah raha hai toh kuch toh baat hogi hi.

Arhaan : haan jack bhai ye koi nai baat nahi hai magar jo maine suna agar aap sunte toh shayed aap bhi sonchne lagte ke akhir ye banda hai kaisa.

Jack bhi arhaan ki baat sunkar kuch serious hokar kahta hai.

Jack : aisa kya suna bhai tune?

Arhaan : mai jab uss admi ka getup change karke meer ke ghar me uske ass paas rah raha tha tab maine meer ko ek admi ko gali dete hue kah raha tha ke agar uss jagha kaam jaldi hi shuru nahi kiya toh mai tera who haal karunga ke tere ghar wale bhi tujhe pahchan nahi payege.

Arhaan ki baat sunkar koi kuch nahi kahta.

Arhaan : mujhe lagta hai ke meer sach me us area me ye sab cheezon ka kaam karwa raha hai aur jisko bhi usne ye kaam diya hai shayed usne bhi rajnetaon ki baat ke jaise sunkar bas khamosh rahgaya hoga. Isiliye meer ne use dhamki tak dedali thi.

Arhaan ki baat sunkar yousuf kahta hai.

Yousuf : hmmm ye waqai kuch alag baat hai meer har ghair khanuni kaam me involve rahta hai aur jaha tak maine suna hai who kabhi apne area me jata bhi nahi hai. agar arhaan ki baat mani jaye toh kuch baat aur bhi hai jo hume pata nahi hai. khair job hi baat hogi who samne aahi jayegi. Arhaan tum abhi bhi meer ke khareeb hi raho aur hosake toh uska bharosa jeeto aur uska iske peeche ka karan pata karo phir dekhte hai agey kya karna hai.

Yousuf ki baat sunkar arhaan bhi ok kahta hai.

Yousuf : ab hemant tum batao un hard disks me kya mila tumhe.

Hemanth rao jo tabhi se yaha sirf sunraha tha aur apne laptop me kuch karraha tha yousuf ki baat sunkar kahta hai.

Hemnath rao : sir in hard disks me mujhe 80% toh sirf account numbers hi mile hai jinka paisa itna hai ke agar hum ise shaher me bante toh yahan per koi bhi ghareeb nahi hoga.

Hemanth rao ki baat ki baat sunkar sabhi ko jhatka lagta hai.

Jack : kya baat karraha hai itna sara paisa.

Hemanth rao : haan mai sach kah raha hoon. Aur ye sabhi aise accounts me hai jisko sirf ek baar hi use kiya jasakta hai aur uske baad ye account automatic hi band hojata hai jaise ke ye account kabhi tha hi nahi.

Hemanth rao ki ye baat bhi sabhi ke liye ek jhatka tha.

Tanisha : kya aisa bhi koi account bana sakta hai kya?

Hemanth rao : haan magar koi aisa waisa admi nahi bana sakta aur aise admi india me bohat hi kaam hai.

Yousuf jo hemath ki baat sunkar kahta hai.

Yousuf : kya tum jante ho ke aisa kon kon karsakte hai.

Yousuf ki baat sunkar hemanth kuch der shanth rahta hai phir kahta hai.

Hemanth rao : haan bhi aur nahi bhi.

Hemanth rao ki baat sunkar sabhi confuse hojate hai.

Jack : abbey ye kya bolraha hai. haan bhi aur nahi bhi. Iska kya matlab hua bey.

Hemanth rao kuch kahta usse pahle yousuf jack jo jawab deta hai.

Yousuf : hemanth ka matlab hai ke who aise log hai jinka koi ek wajud nahi hota who sirf parchayi ki tarha hote hai. chup chap kaam karte hai aur hawa ki tarha nikal jate hai jise koi pakad nahi sakta. Jab aap unka peecha karoge toh lagega ke jaise kuch tha hi nahi aap bas hawaon ka peecha karrahe ho.

Yousuf ki baat sunkar jack hemanth rao ki taraf dekhta hai toh hemanth rao bhi haan sar hilata hai. jise dekh kar jack hairan hote hue kahta hai.

Jack : ab ye kya bala hai bhai pahle toh kabhi aise logon ke bareme nahi suna maine.

Jack ki baat sunkar iss baar bhi yousuf hi jawab deta hai.

Yousuf : tumne suna zarur hai uska naam magar shayed tumhe yaad nahi hoga.

Jack : haaaain suna hai magar yaad nahi hoga aisa kon log hai bhai mujhe bhi toh batao.

Jack ke iss sawal ka jawab yousuf ki jagha tanisha deti hai.

Tanisha : unhe DARK SHADOW kahte hai.

Tanisha ki baat sunkar pure hall me khamoshi cha jati hai.

Iss khamoshi ko arhaan todta hai.

Arhaan : impossible aisa ho hi nahi sakta. Iss naam ki koi sanstha ( organization ) hai hi nahi.Jaha tak maine suna hai ye sab bas maan ghadak kahaniyon ke siwa aur kuch nahi hai.

Aisi kahaniya jise sunkar logon ke haunsle khud ba khud tut jaye aur who unke khilaf kuch kar hi na sake.

Arhaan ki baat sunkar yousuf aur hemanth rao bas ek dusre ko dekh kar muskurate hai.

Jise arhaan aur tanisha dono hi dekh lete hai.

Arhaan : kya? Aise muskura kyun rahe hai aap dono maine koi joke mara hai kya?

Yousuf ya hemanth rao kuch kahte usse pahle tanisha kahti hai.

Tanisha : ek… minute ek minute baby ruko mai baat karti hoon. Sir arhaan ki baat per jis tarha aap aur hemanth dono muskura rahe they usse ek baat toh mai yakeen se kah sakti hoon ke aap log iss sanstha se ya toh mil chuke hai ya phir bohat hi khareeb se jante hai. aur haan ek aur baat jaisa ke hemanth ne kaha ke ye kaam india me kuch hi log karsakte hai magar mujhe nahi lagta ke ye sirf bankaccount tak ki hi baat hai kyunke kisi bhi sanstha ka pata sirf bank detail ya phir aisi choti moti cheezon se nahi lagaya jasakta toh mujhe ye bhi lagta hai ke un hard disks me kuch aisa bhi nikla hai jisse hemanth ko ye pata chala ke ye kaam DARKSPRITS ka hai. aur last baat hemanth ne kaha tha ke 80% sirf paisa hai baki 20% me kya hai ye abhi tak nahi pata.

Apni baat kahtam karke tanisha table per rakha hua pani ka glass utha kar pani peeti hai aur phir kahti hai.

Tanisha : mujhe sab kuch janna hai sir.

Tanisha ki baat sunkar jack aur arhaan toh use aise dekh rahe they jaise who insaan na hokar koi alien ho. Aur idhar yousuf bhi hemanth rao ko agey kahne ka ishara karta hai.

Yousuf ka ishara milte hi hemanth kuch der apne laptop me kuch kaam karke use projector se connet karta hai toh kuch photos atey hai jinki taraf ishara karke hemanth rao kahta hai.

Hemanth rao : toh baat aisi hai ke jab mai in hard disks ko check karraha tha toh mujhe ek hard disk me ye photos mile jinhe dekh kar hi mera bura haal hogaya kyun ke ye photos me jitney bhi log hai ye sabhi DARKSPRIT group ke logon ki hai.

Itna kahkar hemanth rao chup hota hai toh tanisha usse sawal karti hai.

Tanisha : in photos me aisa kya hai jise dekh kar tumhe aisa laga ke ye log isi sanstha ke hai. in photos me toh kisi ka bhi chahra clear nazar nahi araha toh phir tumhe kaise pata chala ke ye log DARKSPRIT ke members hai.

Tanisha ki baar sunkar hemanth rao photos ko zoom karta hai toh photos me jitney bhi log they sabhi ke garden ( neck ) ke paas ek tattoo nazar ata jo k eek devil ka tha. Uss tattoo ko dikhate hue hemanth rao kahta hai.

Hemanth rao : ye tattoo jo hai ye DARKSPRIT ke khabile ka tattoo hai. aur iski khasiyat ye ke ye raat ke andhere me chamakta hai jaise radium chamakta hai magar iski chamak alag hoti hai jaise ye raat ke andere me jal raha ho.

Hemanth rao ki baat sunkar sabhi log ghaur se tattoo ko dekhte hai toh sahbhi ko yakeen hojata hai ke ye log DARKSTRIT ke hi members hai kyun ke photos me tattoo aisa lag raha tha jaise garden per vo tattoo jal raha ho.

Hemanth rao : toh ab yakeen hua na tumko tanisha.

Tanisha : haan yakeen hua magar baat abhi bhi wahi hai ke tumko inke bareme itna kuch kaise pata hai.

Tanisha ka sawal sunkar hemanth rao pahle jack ko dekhta hai phir yousuf ko dekhta hai toh dono hi usey agey kahne ko kahte hai.

Hemanth rao : baat aisi hai ke jaise din ke baghair raat nahi hosakti , jaise andhera ujale ke baghair akela hai waise hi DARKSPRIT bhi akeli sanstha nahi hai uski hi tarha ek aur sanstha hai jiska naam WHITESPRIT hai.

Hemanth rao ki baat sunkar jack aur yousuf toh khamosh hi rahte hai magar tanisha aur arhaan chonk jate hai.

Tanisha : what ? ek aur sanstha magar ye kaise hosakta hai ek hi khabile me do sanstha?

Arhaan : haan aur maine toh kabhi WHITESPRIT ke bareme kuch suna bhi nahi hai. DARKSPRIT ke bareme phir bhi suna hai magar WHITESPRIT ke bareme kuch bhi nahi suna.

Hemanth rao : sahi kaha tumne ke is sanstha ke bareme bohat hi kaam log jante hai ya ye kahon ke jo bhi jante they sabhi ya toh ghayeb hogaye ya phir maar gaye.

Tanisha : toh phir tumhe iske bareme itna sab kuch kaise pata aur ye jo dusri sanstha hai who kya kaam karti hai ye bhi DARKSPRIT ki tarha hi hai ya phir iska kaam alag hai.

Hemanth rao : mai iske bareme me kaise janta hoon toh iska jawab ye hai ke humare beech iss waqt WHITESPRIT khabile ka banda hai toh usi ne mujhe ye sab kuch bataya hai toh bakhi ka tum khud usse hi puch lo.

Ye kahkar hemanth shant hojata hai aur idhar arhaan aur tanisha hairat se muh khole apne samne baithe yousuf aur jack ko hi dekh rahe they. Kyun ke hemanth ne kaha tha ke WHITESPRIT khabile ka ek banda unke beech hai toh ye teeno toh alag hogaye aur rah gaye jack aur yousuf hi.

Tanisha ( hairat se ) : ab koi mujhe batayega ke kon hai who mahan banda jo itne bade sanstha ka hone ke bawajud bhi humare sath hai.

Arhaan : haan mujhe toh abhi bhi yakeen nahi horaha ke ye sab baten sach hai. mai toh aaj tak yahi samhaj raha tha ke ye sab baten sirf kahaniyan hai jinka koi wajud nahi hai. magar ab lagta hai ke kahaniya bhi kuch kuch sachchayi ki adar per hi banayi jati hai.

Tanisha aur arhaan ki baat sunkar yousuf kahta hai.

Yousuf : kabhi kabhi hume aise faisle lene padte hai jinke lene sehumko humari pahchan tak badal jati hai magar kya kare apni pahchan ke badle agar apna pura pariwar surakshit ho toh phir pahchan chupane me burai hi kya hai.

Yousuf ki baat sunkar tanisha kahti hai.

Tanisha : toh kya aap hi WHITESPRIT khabile se hai.

Tanisha ki baat sunkar yousuf muskurate hue kahta hai.

Yousuf : humari itni acchi kismat kaha jo hum itne bade khabile me janam le hum toh bas ek mamuli se insaan hai aur kuch nahi.

Yousuf ki baat tanisha ko kuch samhaj nahi ati toh who hemanth rao ki taraf dekhti hai toh who bhi apne kandhe uchka deta hai toh who phir se yousuf ki taraf dekhti hai toh yousuf iss waqt jack ke kandhe per hath rakha hua tha. Jo tabhi se khamosh tha jab se DARKSPRIT AUR WHITE SPRIT ka zikar shuru hua tha. Usko dekh kar aisa lag raha tha jaise jack iss waqt apne ateet ke bareme sonch raha hai.

Yousuf jack ke kandhe per hath rakh kar kahta hai.

Yousuf : dekho jack har kisi ka kuch na kuch ateet zarur hota hai kisi ka accha toh kisi ka bura magar hota zarur hai tum bhale hi kitne hi badi sanstha ke honge magar humare liye tum humare pariwar ka ek hissa ho jise hum khona nahi chahte.

Yousuf ki baat sunkar jack bas halka sa muskura deta hai.

Jack : mujhe pata hai ke tumlog mujhe apne pariwar ka hi hissa mante ho aur mai bhi toh tumlogon ko hi apna pariwar manta hoon. Magar ye bhi toh ek sach hai na ke mera ek aur pariwar hai jo yahan se bohat dur hai aur achanak apne hi dusre pariwar ka naam sunkar kuch der ke liye mai ateet me chala gaya tha magar ab mai theek hoon.

Itna kahkar jack apne samne baithe arhaan aur tanisha ko dekhta hai jo use hi dekh rahe they. Jack ek thandi sans chodh kar kahta hai.

Jack : haan mai hi who banda hoon jo WHITESPRIT khabile se hai.

Tanisha : toh ye baat yousuf sir aur hemanth rao dono ko pata hai magar hume nahi iski wajha bhi bata sakte ho.

Jack : haan iski wajha ye hai hume kabhi laga hi nahi ke ye baat tum dono ke kisi bhi kaam ki hai. magar aaj jis tarha se DARKSPRIT ka naam samne aya hai toh hume laga ke tumlogon ko bhi WHITE / DARK SPRIT ke bareme tumhe bhi pata hona chahiye isi liye abhi humne tumhe iske bareme bata diya.

Tanisha : abhi toh sirf DARKSPRIT ke bareme hi pura nahi pata, hume dono ke bareme sabkuch janna hai.

Tanisha ki baat sunkar arhaan bhi haan me mundi hilata hai toh jack haskar kahta hai.

Jack : thik hai toh suno. WHITE AUR DARK SPRIT khabile pahle ek hi hua karte they. Iss khabile ka naam pahle SPRIT hua karta tha kyun ke humare kaam karne ke tarike ko dekh kar logon ko yahi lagta ke hum koi atma ( sprit ) hi hai isi liye humare khabile ka naam SPRIT hi padgaya aur hum log bhi use SPRIT khabila hi kahte they. Humare khabile ke log suraksha ka kaam karte they. suraksha aise karte they jaise unke sath na rahte hue bhi unke sath rahna jaise saya. Sub kuch sahi se chal raha tha ke ek din humare khabile ko ek raja ki suraksha ka zimma diya gaya jise humare khabile ke sardar ne humme se hi ek group ko who zimma diya magar kuch din baad khabar ayi ke sardar ne jis group ko suraksha ka zimma diya tha unhi logon ne raja ko maar diya. Baad me jab tahqiqhat ki gayi toh pata ye chala ke sardar ne jis group ko suraksha ke liye bheja tha uss gurop ko kisi ne raja ko marne ke liye khareed liya aur ye group ab tak ke sabse khatarnak group me se tha toh isko pakad bhi nahi sake. Uske baad ek hi khabile ke do group hogaye jinko logon ne do naam dediye ek jo purana khabila tha uska naam WHITESPRIT rakha kyun ke ye log bure kaam nahi karte they. Durse group ka naam DARKSPRIT rakha kyun ye ye log har who bura kaam karte jiski khabile me manayi thi. Ye sab aise hi chal raha tha k eek din achanak WHITESPRIT khabile per kisi ne humla kardiya aur usme kai jane chali gayi aur WHITESPRIT group humesha ke liye ghayeb hogaya. WHITESPRIT ke khatam hote hi DARKSPRIT ne tezi se apna naam banana shuru kardiya aur dekhte hi dekhte unka itna naam hogaya ke log sirf unke naam se hi darnel age they. Magar kuch waqt se unka naam hi jaise ye duniya bhool gayi thi aur who log bhi kahin bhi nazar nahi arahe they. Magar abhi unka aise achanak phir se samne ana ye koi acchi baat nahi hai.

Ye kah kar jack khamosh hojata hai.

Jack ki puri baat sunne ke baad tanisha kahti hai.

Tanisha : tumhari puri baat sunne ke baad itna toh pata chal hi gaya ke WHITE / DARK ka kaam alag alag hai magar tumne ye nahi bataya ke tumhara uss group se kaise hue. Jaisa ke tumne bataya ke WHITESPRIT group khatam hogaya toh phir tum uss group se kaise ho.

Jack : jab WHITESPRIT per humla hua toh usme se kuch jaanbaaz log apne logon ko bachane ke liye unse lade aur kuch buddhi wale log apne logon ko bachane ke liye unhe wahan se lekar niakal gaye aur dusri jagha jakar rahne lage magar apne aap ko kabhi samne ane nahi diya. Magar who log aaj bhi apne bachcon ko unkw khabile ki tranning dete hai aur unka nishan bhi jaisa DARKSPRIT walon ka garden per ek devil hota hai waise hiWHITESPRIT walon ka bhi ek nishan hai jo peeth per diya jata hai.

Ye kah kar jack apni pahni hui t-shirt nikal deta hai.

Jack ke t-shirt nikal ne ke baad bhi uski peeth per kuch nazar nahi ata toh arhaan kahta hai.

Arhaan : tumhari peeth per toh kuch bhi nahi hai.

Arhaan ki baat sunkar jack kuch nahi kahta bas muskurata hai toh tanisha jakar light off karti hai toh jack ki peeth per bhi bana hua tattoo chamak ne lagta hai jo ke ek angle ka tha jo pure white colour ka tha.

Jack ke tattoo ko dekh kar tanisha kahti hai.

Tanisha : WoW amazing ye kitna cool hai. iska matlab ye dono khabile aaj bhi hai. toh ab hume kya karna chahiye. Agar jack ki baat sahi hai toh phir ye mamla jitna hum sonch rahe hai usse kahin ziyada bada hone wala hai aur isme kon kon hai ye bhi hume janna hoga iske liye hume aur bhi logon ki zarurat padegi.

Tanisha ki baat se sabhi sahmati jatate hai.

Yousuf : baat toh sahi hai khair ye baat ki baat hai pahle iss meer kit oh kundali nikalo ke iska inn logon se kya sambandh hai aur iske sath aur kon kon hai.

Phir isi ke sath sabhi agey ki planning karte hai.

( note : ye jo bhi DARKSPRIT YA PHIR WHITESPRIT hai ye sab mera dimag ki imagination hai aisa kuch bhi nahi hai.).

Magar iss group ka kahani me bohat roll hai agar kisi ko bhi iss se problem hai toh bata sakta hai. mera iss group ko kahani me lane ka ek hi maksad hai aur who hai kahani ko lamba karna. ( story me agey aur bhi characters ayenge ).

Agey janne ke liye mere sath aise hi bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

update kaisa laga comment karke zarur bataiyega.
 
Arjun Singh 72

Well-Known Member
8,222
15,014
143
Kuch kami h lakin chalega
Ab bhai itna update de diye ho ek baar intro to Kara do story min Kon Kya h ab
Keep posting
 
  • Like
Reactions: Maq

mashish

BHARAT
8,032
25,905
203

very nice update
 
  • Like
Reactions: Maq

Chinturocky

Well-Known Member
4,306
12,578
158
Update Badhiya hai bas Kahani me achchhe se fit hona chahiye. Befaltu me ghusa diya hai nahi lagna chahiye.
 
  • Like
Reactions: Maq
Status
Not open for further replies.
Top