• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-35

Nizam ki shadi ki tayyariyan zor shor se chal rahi thi sabhi apne apne kaam ko bakhubi se karrahe they.

Nizam ke mom & dad apne khareeb ke relatives ko invitation card dene gaye they aur ajju aur mahi shadi ki shopping me lage hue they, ahmed aur imtiyaz bhi bahar ke sabhi kaam dekh rahe they, nizam aur alauddin bhi ghar ko andar se decorate karwa rahe they.

Sabhi kaam sahi se chal rahe they aur raat me sabhi dost ek sath nizam ke ghar ke chat per baith kar baten karte hue coffee peete hue sabhi hasi mazak karahe they magar ajju jiska dhiyan yahan na hokar kahin aur tha woh bas hu haan hi karraha tha jise sabhi ne note karliya tha.

Nizam : kya baat yaar ajju tu aaj itna gumsum kyun hai?

Ajju jo apni hi sonchon me hi gum tha nizam ke awaz dene se chonk jata hai.

Ajju : ha..n haan kya kaha tune?

Nizam : mai kah raha hoon ke tujhe hua kya hai jab se shopping karke aya hai tabhi se dekh raha hoon tu bujha bujha sa hai. kuch hua hai kya?

Ajju : kuch nahi yaar who shopping me bhag daud lag gayi toh bas thakan si hogayi aur koi baat nahi hai.

Alauddin : dekh mere bhai na hum aaj mile hai na humare mathon per ' C ' likha hua hai jot u bol dega aur hum manlenge. Ab chup chap bata baat kya hai? mai bhi dekh raha tha aaj tera dhiyan hi nahi tha yaha per toh ab chup chap bol ke hua kya hai samjha.

Ajju : sach me yaar aisi koi baat nahi hai tum log khamakha tension lerahe ho.

Imtiyaz : haan bhai hum khamakha hi tension lerahe hai hum log chu***ye hai na.

Ahmed : dekh ajju tujhe pata hai tu kisi se bhi kuch bhi chupa sakta hai magar hum se kuch nahi chupa sakta toh baat ko bina koi gol mol kiye sab kuch bata. Hume bhi pata hai kuch toh baat hai warna tu aise gumsum nahi rahta chal jaldi se bata.

Ajju bhi apne doston ki baton ko sunkar apne itni der se chupaye hue emotions ko apne doston ke samne zahir karhi deta hai.

Ajju : yaar jab mai mahi ke sath shopping karne gaya tha tab ek pal ke liye mujhe aisa laga ke who mere paas hi khadi hai aur jab maine aas paas dekha toh mujhe waha koi nazar hi nahi aya.

Itna kah kar ajju khamosh hojata hai.

Ajju ki baat sunkar sabhi kuch der khamosh rahte hai aur ajju ki baat ko samhajne ki koshish karte hai.

Iss khamoshi ko nizam todta hai.

Nizam : bhai tu kiski baat karraha hai?

Nizam ki baat sunkar sabhi use aise dekhte hai jaise usne bohat badi baat kahdi ho. Sabhi ko apne taraf aise dekhte hua pakar nizam hadbada jata hai.

Nizam : ( hadbada te hue ) kyaaa ? aise kya ghoor rahe ho mai bas puch raha tha jo mai ya phir hum sab sonch rahe hai who wahi hai ya koi our.

Alauddin : logon ka dimag shadi ke baad ghumta hai lagta hai tera shadi se pahle hi ghoom gaya hai.

Ahmed : haan bhai tune sahi kaha lagta hai iska dimag shadi se pahle hi khisak gaya hai, abbey jab tujhe pata hai ke ajju uske siwa kisi aur ko sonchta hi nahi toh phir sawal hi kaha se aya.

Nizam sabhi ki baton ko sunkar kahta hai.

Nizam : tu kyun chup baitha hai bhai tub hi agar kuch kahna chahta hai toh bolde.

Nizam ne ye baat imtiyaz se kahi thi.

Imtiyaz : mai pagalon se sawal nahi karta.

Imtiyaz ki baat sunkar sabhi zorse haste hai even ajju bhi jise dekh kar sabhi doston ke dil ko kuch sukoon milta hai.

Nizam imtiyaz ki kahi baat aur sabhi ke aise hasne per natak karte hue bolta hai.

Nizam : haan bhai ab toh mai pagal hi lagunga na kyun ki meri shadi jo hone wali hai. waise bhi shadi ke baad admi pagal toh ho hi jata hai.

Nizam ki baat sunkar sabhi haste hai.

Alauddin : dekh bhai ajju hosakta hai tujhe bas bharam hua ho kyunki agar who wahan hoti toh kya tujhse milti nahi kya?

Alauddin ki baat se sabhi sahmet hote hai.

Ajju : nahi bhai mujhe koi bharam nahi hua hai kyunki maine apne peeche kisi ko khada mehsus kiya hai aur parchai bhi dekhi thi aur yakeen maan mai usko lakhon ki bheed me bhi pahchan sakta hoon toh mere peeche kahde hone per nahi pahchanoga kya.

Ajju ki baat sunkar sabhi ek baar phir khamosh hojate hai.

Imtiyaz : yaar chal teri baat ko maan bhi lete hai tab bhi baat yahi hai ke who agar wahan thi aur tere peeche hi thi toh phir who ghayeb kaha hogayi aur tujhse mili kyun nahi.

Ahmed : haan bhai agar who wahan hoti toh tujhse bina mile who jahi nahi sakti. Kyunke itna toh hum sabko pata hai ke who tujhse kitna pyar karti hai.

Nizam : baat tum logon ki sahi hai magar hosakta hai ke who wahan thi jaisa ajju ne bataya magar uski koi mujburi hogi jo who ajju ke itne paas hokar bhi usse bina mile hi chali gayi.

Nizam ki baat sunkar ek baar phir sannata cha jata hai. iss sannate ko ajju ki awaz hi todti hai.

Ajju : mujhe bhi aisa hi kuch lagta hai kyun ke uska yun achanak se gayab hojana aur phir kabhi laut kar na ana aur itna hi nahi usne abhi tak mujhse contact tak nahi kiya. Kya aisa hosakta hai ke koi kisi se BE-INTEHA-ISHQ karne aur usse dur hokar ek baar bhi use yaad na kare aisa hohi nahi sakta. Aur aaj uska ehsaas mujhe jitni nazdik se hua hai mai dave ke sath kah sakta hoon ke who alfisha hi thi. Ab kisi bhi tarha mujhe use dhundh na hi hoga na jane uska kya haal hoga kaisi hogi who, aisi kya wajha hogi jiski wajha se who mere paas hokar bhi who mere paas nahi asakti.

Ye sab kahte hue ajju ki ankhon me ansu ajate hai jise dekh kar sabhi dost usko gale se laga lete hai.

Alauddin : shanth hoja mere bhai agar aisa kuch hai toh mai wada karta hoon ke jab tak alfisha mil nahi jati mai tere sath hoon.

Ahmed : haan bhai tu bas apne aap ko sambhal hum sab tere sath hai aur agar alfisha isi shaher mai hai toh hum use jaldi hi dhundh nikalenge.

Nizam : haan yaar tere aise sad hone se toh who wapas ane se rahi toh apne aap ko sambhal kyun ke rote hue toh tu use dhundh sakta nahi kyun ke jab ankhon me ansu hote hai toh kuch bhi saaf nahi dikhta.

Nizam ki baat sunkar sabhi use ghoor kar dekhte hai phir sabhi ek sath zor se haste hai.

Alauddin : chal bhai majnu ab ye rona dhona chodh aur shadi ki tayyarion per focus kar kyun ke jo bhi karna hai iski shadi ke baad hi karna hai samjha.

Ahmed : sahi kaha abhi hume dheron kaam karne hai toh fursat nahi hai kal se shadi ka function shuru hone wala hai toh samjho jo bhi karna hai shadi ke baad hi karna hai. aur tu kya sonch raha hai.

Akhri ki baat ahmed ne imtiyaz ko dekh kar kahi thi jo khamosh baitha jaise kuch sonch raha tha.

Imtiyaz : kuch khas nahi mai bas yahi sonch raha tha ke humne use dhundhne ka toh sonch liya magar kya humara aisa karna sahi hoga ? kyun ke agar alfisha humare samne nahi arahi hai toh kuch toh aisa hai jise who humse dur rakhna chahti hai. aise me agar hum use dhundh le aur who jisse bhi chup rahi ho ya phir bhag rahi ho uske liye alifisha tak pohanchna asaan hojayega.

Imtiyaz ki baat sunkar sabhi sonch me padh jate hai.

Ahmed : magar hum aise hi hath per hath rakh kar bhi toh nahi baith sakte na. kuch na kuch toh hume karna hi hoga. Agar alfisha kisi musibat me phas gayi ya phir who jis bhi wajha se ya phir jisse bhi bhag rahi hai uske hath lag gayi toh phir hum kya karnege.

Imtiyaz : dekh bhai maine ye toh nahi kaha na ke hume use dhundhna nahi hai, hum use dhundenge magar aise jaise hum kisi kaam ke liye yaha waha phir rahe ho aisa lagna chahiye. Aise nahi ke har kisi ko uski photo dhika kar ''kya aap ne iss ladki ko dekha hai '' bla bla bla.

Alauddin : agar aisa nahi karenge toh use dhundenge kaise?

Nizam : ab ye bhi humare detective bomkesh bakshi sahab hi batayenge.

Nizam ki baat sunkar sabhi ke cahron per muskurahat ajati hai.

Imtiyaz : simple hai yaar hum wahin se shuruwat karange jaha per ajju ko uske hone ka ehsaas hua tha.

Ahmed : matlab ajju ke mall se.

Imtiyaz : yep.

Alauddin : wah bhai manna padega tere paas bhi dimag hai aur who bhi chalne wala.

Alauddin ki baat sunkar sabhi haste hai toh ajju kahta hai.

Ajju : kal mai subha mai mall jakar footage ki ek copy lekar aunga sab milkar phir dekhte hai ke who sach me thi ya mera waham. Mujhe yakeen hai ke who sach me thi magar phir bhi…. Khair jo hoga dekha jayega ab hume chalna chahiye kyun ke raat bohat hogayi hai aur subha jaldi uth kar bohat se kaam karne hai.

Alauddin : haan yaar chalo sote hai. magar bhai ajju tu na aise udaas math hua kar kuch bhi pareshani ho hume bata diya kar sab milkar use solve karlenge.

Ahmed : sahi kaha tu aise accha nahi lagta bas humesha khush raha kar tu khush toh hum khush.

Imtiyaz : hum sab tere sath hai tu kabhi bhi apne aap ko akela math samhaj.

Nizam : chalo yaar use pata hai ke hum uske liye kya hai use batane ki zarurat nahi hai. magar phir bhi ajju ek baat yaad rakhle chahe kaisi bhi situation aye hum humesha tere hi rahenge.

Isi ke sath nizam apna hath agey kardeta hai aur sabhi uske hath ke uper hath rakh dete hai jaise sabhi khasam kha rahe ho.

Phir sabhi neeche chale jate hai jaha nizam ne apne doston ke liye sone ka intezam kiya tha.

.

.

.

Idhar alfisha side mall se ane ke baad se alfisha kuch halka halka mehsus karrahi thi kyun ke usne bhi apni jaan ko kitne hi saal baad dekha tha.

Alfisha iss waqt apne room me thi aur apni pichli zindagi ke bare me sonch rahi thi ke uske room ke door per knock karke afreen andar ati hai.

Afreen : kya sonch rahi hai alfi.

Alfisha : kuch nahi yaar apni life ke bareme sonch rahi hoon.

Afreen : kyun aisa kya sonch rahi hai?

Alfisha : yahi ke pahle meri zindagi kyat hi aura b kya hogai hai. pahle jaha dil kare jasakte they aur ab jaha bhi jao ek dar laga rahta hai ke kab kaha se attack hojaye.

Afreen : haan ye toh tune sahi kaha ke pahle aur ab ki zindagi me bohat fark hai. pahle jaha chaho jao na kisi ka dar than a koi tension bas jo dil me aye karo. Magar aaj jab bhi ghar se bahar nikalna hoto sab taraf dekho aur jab nikal bhi jao toh yahi khayal rahta hai ke koi hume dekh toh nahi raha. sach me yaar na jane kab hum sukoon ki zindagi ji payenga.

Alfisha : mai bhi yahi sonch rahi thi aur aaj toh ajju ko dekh kar toh mera yahan dil hi nahi lag raha. dil toh karraha hai ke abhi daud kar jaon aur apni jaan ke seene lag jaon.

Afreen : aisi sonch ko apne dimag se nikal de jis din tune apne dil ki suni toh samhaj jana ke apni jaan ki zindagi ka akhri din hai samjhi.

Alfisha : haan pata hai mujhe bhi isi liye toh apni jaan ke itne khareeb hone per bhi mai uske paas nahi jarahi. Warna agar mere baas me hota toh mai kab ka uske paas chali jati.

Afreen : chal ye sab chod aur neeche chal kar dinner karle tune lunch bhi nahi kiya tha.

Alfisha : nahi yaar afreen tu karle dinner mujhe bhook nahi hai.

Afreen : arey aise kaise bhook nahi hai. dekh alfi mai samhaj sakti hoon ke tujhe iss waqt bohat dukh hai magar hum jo jung lad rahe hai usme dilse jazbati hokar khana peena chod denge toh phir ladli hume jung. Ab chup chap chal kar dinner karle samjhi mai aur kuch nahi sunungi.

.

.

.

Idhar mahi side :

Mahi aaj bohat khush thi uski khushi uske chahre se hi zarhir horahi thi. jab se ajju ke paas se ayi thi bas muskuraye jarahi thi. jise dekh kar khairoon bee kahti hai.

Khairoon bee : kya baat hai beti aaj badi khush dikh rahi hai.

Mahi : haan ammi mai aaj bohat khush hoon.

Khairoon bee : iss khushi ki wajha kya hai.

Mahi : pata nahi ammi bas najane aaj dil ko kya hua hai bas aise hi khush horaha hai.

Khairoon bee : beti maine ye baal dhup me safed nahi kiye jo tu kuch bhi bolegi aur mai maan longi. Chal ab bata asli baat kya hai.

Mahi apni ammi ki baat sunkar muskurate hue kahti hai.

Mahi : ammi najane aaj kal mujhe kya hogaya hai sote jagte bas mera dil sirf khush hi horaha hai aur iski wajha bhi nahi pata.

Khairoon bee : hmm waise naam kya hai uska.

Mahi apne hi khayalon me khote hua kahti hai.

Mahi : AJJU.

Phir use samhaj ata hai ke abhi usne kya kaha.

Mahi : ma..ma..matlab kiska naam ammi.

Khairoon bee : usi ka naam puch rahi hoon jiske khayalon me khoye hue tu bas muskuraye jarahi hai.

Apni ammi ki baat sunkar mahi Sharma jati hai.

Mahi ( sharmate hue ) : kya ammi aap bhi kuch bhi kahti rahti ho. Aisa kuch nahi hai mai toh bas aise hi muskura rahi thi.

Khairoon bee : haan beta ab humari baat toh tumhe aisi hi lagegi. Ab toh uski hi har baat acchi lagegi. Waise ye kaisa naam hua AJJU….. kahin ka dada hai kya? Jaise log kahte hai na apun ajju bhai ka admi hai. hahahaha.

Mahi apni ammi ki baat sunkar pahle sharmati hai phir haste hue kahti hai

Mahi : aisa kuch nahi hai uska naam AZEEM hai sabhi use pyar se ajju bulate hai. bohat hi shareef ladka hai aisa waisa nahi.

Khairoon bee : arey wah badi tareef karrahi ho abhi toh kahrahi thi ke aisa kuch nahi hai.

Mahi apni ammi ki baat sunkar apni odni ko apni unglion me ghumate hue kahti hai.

Mahi : ( sharmate hue ) who apne kaha na ke kahin ka dada hai kyat oh kahin aap use ghalat na samjhe isi liye kaha.

Mahi ki baat sunkar khairoon bee mahi ke sar per pyar se hath pherte hue kahti hai.

Khairoon bee : acchi baat hai agar shareef hai toh. Dekho beta mujhe pata hai ke tum itni samhajdar hoke apne liye kaisa ladka dhundhna hai tumhe maloom hai bas mai itna kahna chahti hoon ke kisi per bhi itna jaldi bharosa math karna ke baad me sirf pachtawe ke siwa kuch na ho. Toh jo bhi karna sonch samhaj kar karna tumhari ammi tumhare har faisle per tumhare sath hai.

Apni ammi ki baat sunkar mahi unke gale lag jati hai.

Mahi : ( apne man me ) pahle mujhe apne pyar ka izhar toh karne dijiye ammi uske baad dekha jayega. Kash ke who mere dil ka haal samhaj jaye toh mujhe kuch kahne ki zarurat hi nahi padegi.





Aaj ke liye itna hi ab dekte hai ke ek taraf alfisha ko dhundhne ke liye ajju itna sab kuch karraha hai aur idhar mahi bhi ajju ko chahne lagi hai.

Ajju alfisha aur mahi me se kise apnata hai ye toh waqt hi batayega.

Agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.


Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

update kaisa laga comment karke zarur bataiyega.
 
Status
Not open for further replies.
Top