• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,213 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 188 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,458

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,482
89,482
259
Last edited:

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,482
89,482
259
Update - 170 ~ Yarnia, Nocturne and Dilemma

Ab tak...

Renshu aur Erica dono ki nazre uske upar tiki hui thi. Abhi bhi samay tha. Agar woh chaahe toh apne aap ko peeche kheech sakta tha. Akhir, ant me uske liye sabse aham uska parivar hi the. Bewajah kisi jokhim me jaana murkhta hi thi. Woh Renshu ke favor ko kinhi aur tareeqo se bhi chuka sakta tha.

Par dono baap beti uske jawaab ka intezar kar rahe the. Aur, usne kuch derr baad apna muh khola,

Veer : Mein...


Ab aage...

FBCC Headquarters,
New York, U.S.A,
Night ~ 8:25 PM


Raat ke samay me New york ki sadko par chaaro orr gaadiyo tatha buildings ki lights hi lights jagmaga rahi thi.


nyc-night-street-new-york-wallpaper-preview

Aur, inhi buildings ke beech sthit thi ek building jiske upar sheersh par bade bade aksharo se uski sanstha ka naam likha hua tha. Woh akshar bhi LED lights se raushan the.

FBCC!

Yaani ki ~ Foreign bureau for crime control. Desh videsh me bade se bade apraadho ki gatividhiyo ko jaachne waala ek bureau. Las Vegas se kayi meelo ki duri tay kar yaha building ke saamne ek khubsoorat mahila neeche khadi hui thi. Woh aur koi nahi, Divya hi thi.

Woh zyada kuch na sochte hue building me daakhil hui. Use FBCC ka call letter praapt ho chuka tha. Aur, aaj woh yaha usi silsile me aayi thi. Parantu, uske andar jaane se pehle hi waha ki security ne use rok liya. Jab Divya ne apna call letter dikhaya tab jaa ke unhone use andar jaane diya.

Aur, uske andar aate hi tamaam nazre uss par tik gayi. Front office desk pe hi usne sawaal jawaab kiye aur turant hi wahi ke staff ka ek aadmi uske liye niyukt kar diya gaya.

“Please, follow me!”

Aadmi use bulaate hue ishaara kar aage badh gaya aur uske peeche peeche Divya bhi chal di. Uski nazre andar se building ko parakh rahi thi. Kayi employees iss waqt bhi kaam karne me lage hue the. Andar se infrastructure aur bhi aadhunik prateet ho raha tha.

Use yaha aake ek aur baat pata chala thi. Woh ye ki FBCC 24x7 chaalu rehti thi. Din ki shifts ke liye alag employees hote the toh wahi raatri ki shift ke liye alag. Jurm se ladne ke liye itni badi sanstha aakhir chhuthi kaise le sakti thi? Kabhi bhi kahi pe bhi kuch bhi ghatit ho sakta tha. Aur, isliye unka 24 ghante chaalu rehna aavashyak tha. Chhuthi lene ke liye employees ko pehle se hi letter likh ke anumati leni hoti thi. Niyam sakht the.

Isliye, alag alag shifts banayi gayi thi. Jitna kaam rehta tha, pagaar bhi uss hisaab se acchi khaasi mila karti thi. Divya chalte chalte apni nigaahein harr jagah daudaati jaa rahi thi. Mann hi mann woh building ke andar ka naksha aur raasta bhi yaad karti jaa rahi thi. Detective thi, toh uska dimaag bhi usi tarah se kaam kar raha tha.

Kul 7 floor ki iss building me woh aadmi use 7th floor pe hi leke gaya. Iske seedhe upar terrace tha. Saatvi manzil par aate hi ek kamre ke baahar woh dono aake ruke. Saari formalities neeche hi ho chuki thi. Saamne kamre ke darwaaze ke baahar hi ‘Director’ ka tag laga hua tha. Yaani ye office FBCC ke Director ka tha.

Aadmi fir uski orr dekha aur usne andar jaane ka ishaara kiya. Divya haami bhar office ke andar jaane ke liye hui. Woh thodi vyaakul thi. Ye Las Vegas ya kisi anya sheher ka chhota mota investigation department nahi tha. Ye Crime field ka duniya ka sabse bada bureau tha. FBCC!

Yaha aana uske liye garv ki baat thi. Magar, fir bhi kahi na kahi ek ghabrahat bhi thi use. Ye sab kuch pehli baar jo ho raha tha. FBCC ke baare me woh khud bhi zyada kuch nahi jaanti thi.

Jaise hi woh andar aayi, usne dekha ki office andar se kaafi bada tha. Uske theek saamne ek pahiyo waali chair rakhi hui thi. Magar, chair ulti disha me mudi hui thi. Aur, uss par koi baitha hua tha. Divya ko saamne se chair ka bas picchla hissa hi nazar aa raha tha. Sabhya ravaiyya rakhte hue usne pehle khud se awaaz lagayi,

“M-May I come in-!?”

Use nahi pata tha ki kursi ke uss orr baitha shaks ek aadmi tha ya fir ek mahila? Aur, tabhi kursi par baithe insaan ki awaaz aayi-

“Yes! Come in!”

Divya ek pal ke liye chaunki. Ye ek mard ki nahi balki ek aurat ki awaaz thi. Itne bade bureau ki Director ek aurat thi? Divya aashcharya me bhi thi aur thodi khush bhi. Par, iss khushi ke kaaran se woh khud anjaan thi.

Woh aage aayi aur tabhi uski aahat paate hi kursi par baithi mahila uski orr palti. Saamne chehra dekh, Divya ke qadam wahi tham gaye.

Ek straight aurat hone ke naate woh koi bisexual nahi thi. Magar, saamne maujood aisi sundarta dekh uska khud ka muh halka sa khula reh gaya. FBCC ki Director? Itni khusboorat?? Use apni khubsoorti par bhi naaz tha. Woh jaanti thi ki woh kaafi sundar thi. Kintu, aaj use ye sweekar karna pada ki saamne baithi ye lady uss se bhi adhik sundar thi.

Divya : Uhh!

Woh wahi jaise barf ki tarah jamm gayi thi.

Lady (smiles) : Arre? Waha beech me kyu ruk gayi? Come! Have a seat, Mrs. Divya!

Divya apne vichaaro se baahar aate hue haami bhar aage badhi aur chup chap Director ke saamne waali kursi par virajmaan ho gayi.

Usne apni nazre table par rakhi cheezo par tatoli. Kayi prakaar ke kaagzat, files aur na jaane kya kya table par rakha hua tha. Par, Divya ki nazre uss title waale board ko talaash rahi thi. Aur, use woh mil bhi gaya. Magar-

‘Huh!?’

Woh fir chaunki. Board par bas ‘Director’ hi likha hua tha. Uss lady ka naam kahi par bhi mentioned nahi tha. Saamne baithi uss lady ne bhi jaise Divya ke iraado ko padh liya. Woh haule se muskurayi,

Director : Curious about me?

Divya : Ah! Umm-!

Director : You can call me ‘Director’.

Divya (nods) : Yes!

Director : So, Mrs. Divya!? Aapko pata hai na aap yaha par kyu ho?

Divya : ‘House of the killers’ ke case ki wajah se?

Director : That’s right! FBCC ki nazre harr taraf rehti hai. Bureau iss baat ko jaanta hai ki ‘House of the killers’ me aapka kitna yogdaan tha.

‘House of the killers’ ke baare me sochte hi pata nahi kyu par Divya ke mann me Veer ki chhavi turant hi utar aaya karti thi.

Director : Hum jaante hai ki jitna aapka yogdaan tha, uss se kahi adhik Mister Veer ka yogdaan tha. Am I right?

Divya : Huh!!!???

Ek jhatka aur laga Divya ko. Veer ke baare me FBCC jaanti thi? Par kaise? Aur, agar jaanti thi toh ye offer toh Veer ko milna chaahiye tha na ki use. Akhir chal kya raha tha? Divya ke maathe par silvatein chhaa gayi. Woh khamoshi me saamne Director ko dekhti rahi.

Director : FBCC se kuch bhi chhip nahi sakta. Mujhe pata hai ki uss case ko solve karne me Mister Veer ka 60% yogdaan tha.

Divya : F-Fir kyu? Mujhe kyu offer mila hai? Agar, mein eligible nahi hu toh ye offer mujhe nahi milna chahiye tha na?

Director : Maine kab kaha ki aap eligible nahi ho?

Divya : !!!??

Director : You are eligible, that’s why you are here Mrs. Divya. Bureau kabhi bhi galat insaan ko call letters nahi bhejta aur na hi unhe rakhta hai.

Divya : Th-Then why!?

Director : Case bhale Mister Veer ne solve kiya ho. But hum iss baat ko deny nahi kar sakte ki aap ne Mister Veer ka kitna saath diya hai. After all…! Koi bhi investigation department ek baahri insaan ko apne sheher ke cases handle karne ki permission nahi dega. Right?

Divya ki bauhe kass uthi. Akhir, FBCC kitna jaanti thi? Unhe ye bhi pata tha ki Divya ne hi Veer ko investigation se jodne ke liye poore department ko manaaya tha.

Director : I know that you were the one who cracked the ‘House of the killer’ code.

Divya (surprised) : That’s-!!!

Director : Isliye kaha ki Mister Veer ka 60% yogdaan tha. Because, you were the bridge which helped him to solve the cases.

Divya bas maun reh gayi. Use ye umeed hi nahi thi ki FBCC ko itni andhruni baatein bhi pata hongi.

Director : Files aur reports me se kitna hi kuch kyu na chhipa liya jaaye Mister Veer ke baare me. FBCC ko hamesha sach ka pata lag hi jayega.

Divya : H-How!?

Director (smirks) : You can’t take our bureau lightly.

Divya (gehri saans lete hue) : Then? What now?

Director : You have 2 options Mrs. Divya. Inn dono me se aapke upar hai ki aap kise chunti ho. We have 2 job roles for you.

Divya : …

Director : Pehla~ Special Agent in charge (SAC). Job yahi hai ki aapko yaha par office work karna hoga. You know, sit and work for any one of the shifts. Neeche aapne kuch employees dekhe honge. Unme se kuch SAC hi hai.

Divya : Aur dusra role?

Director : Dusra role hai ~ Special Agent (SA). Yaani ki aapko several cases ke liye investigate karna hoga. That means, you can’t stay here. Cases jaha ke bhi milenge, aapko uss jagah par jaana hoga. Of course, you won’t be alone. One escort and one trained security guard will accompany you. So? Which one is it? SAC!!?? Ya fir… SA??

Divya : I’ll choose Special Agent. Office me baith ke work karne ke liye mein nahi bani hu.



e1f91e90-516b-40b3-a330-dc39baa4fd5d

Director : Are you sure? SAC me koi risk nahi hota hai. Payment maanti hu ki bas thodi si kam hai Special Agents se but… Mostly log isi profile ke liye ladte hai. You sure you don’t want that? SA me jaan ka khatra bhi rahega.

Divya : Yes! I want to be a Special Agent.

Director (smiles) : I was right about you!

Divya : Huh?

Lady Director ne agle hi shan Divya ke saamne ek file khiskaate hue pesh ki,

Director : This will be your first case then. Get ready! Read the contents thoroughly! You will be going overseas in a few hours so be prepared.

Sab kuch itni jaldi hone se Divya thodi vyaakul ho uthi.

Divya : Wait! Abhi?

Director : Toh kabhi? We have received a request. You can take your leave now. Agar, mujhe contact karne ki zaroorat pade then here~ This is my number.

Usne ek card bhi aage ki orr sarka ke use diya.

Divya : Toh… Mujhe baar baar report deni hogi situation ki woh mein-!?

Director : Yes! Aap mujhe hi directly report karengi.

Divya : O-Ohh!

Director : Anything else!?

Divya ke mann me toh hazaar prashn the, par iss waqt uske paas na hi samay tha kuch puchne ka aur na hi himmat. Usne naa me apna sarr hilaaya aur woh file aur card utha ke waha se chali gayi. Parantu, abhi woh darwaaze ke paas aayi hi thi ki peeche se Director ki awaaz punah sunayi padi,

Director : Mrs. Divya!!

Divye ke qadam wahi tham gaye. Woh peeche mudi. Par, Director waapas se apni chair ko mod ke ulti disha me baith chuki thi.

Director : Do well on your first assignment. I wish you good luck. And maybe-! Agar aap ise acchi se kar paayi then-

Divya : !!?

Director : I might consider you my trustworthy one.

Divya : Does that include telling me your real name?

Director (smiles) : Of course!

Divya (smiles) : Agent Divya taking her leave!

Director (smiles) : Good Luck!

Aur, Divya office ke baahar nikal gayi. Dono ek dusre ke chehre ko nahi dekh paaye the magar dono ke chehre par muskaan thi. Divya jaanti thi ki jaise FBCC bade bade cases aur criminals ki talaash me rehti thi wese hi toh criminals bhi FBCC ke members ki talaash me rehte honge?

Akhir, FBCC unn criminals ke liye raaste me aaye pattharo ki tarah thi jo unke kaamo ko safal hone se roka karti thi. Zaahir hai ki harr criminal bhi FBCC ko apne radar me rakhta hoga.

Iska matlab isme koi shaq nahi tha ki FBCC ki Director ke upar bhi na jaane kitne Criminals nigraani rakh rahe honge. Aur, aise me apna naam chhipaana swabhavik tha. Yahi kaaran tha jo uski table par uska naam bhi mentioned nahi tha.

Ye jaante hue ki aapki jaan ke peeche kitne saare log pade hue hai, uske baad bhi itna shaant rehna aur apne kaam ke prati date rehna, kahi na kahi Divya ke mann me Director ke liye aadar aur bhi badh gaya.

Woh office par baahar nikal wahi ek seat par baith gayi. File khol usne jaise hi apna pehle case ke baare me padha, woh thodi hairaan reh gayi.

‘Huh!? China?? Feud between The Order and The Legion?’

***


Veer’s house, Mumbai~

Yaha Mumbai me Veer ke ghar me uski gerr haziri me chahal pahal machi hui thi. Harr baar ki tarah woh sabhi uske iss tarah jaane se naraaz toh the hi par gumsum hoke haath par haath dhare nahi baithe the.

Sab ye jaante the ki uski gerr maujoodgi me business aur baaki vyavsaay ka bhaar ab unke upar tha, aur unhe ye sab acche se sambhaalna tha.

Tej, Raagini mil ke Louis, Sudha aur anya kaam karne waalo ke saath Clothing Brand ke liye lag chuke the. Karan ne akhir kaar ek jagah Veer ke liye dhoondh li thi, jaha Veer apni clothing brand ko establish kar sakta tha.

Building abhi poori tarah se Veer ke naam nahi hui thi par uske behalf me Karan ne apna paisa laga ke 70% building Veer ke naam karwa di thi. Kuch aur formalities bachi hui thi jo samay ke saath poori hone waali thi.

Karan, apne pita Kishor aur apni behan Kaera se chhip ke ye sab kar raha tha. Of course, Veer use saara paisa waapas karne waala tha. Ek dost ki madad uski gerr maujoodgi me karna dusre dost ka farz tha. Karan ye baat jaanta tha. Aur, kahi na kahi uske andar uss Casa Belle party waali raat ko lekar glaani bhi bhari hui thi. Woh samay par Veer ke liye khada nahi ho paaya tha jab waha uska apmaan ho raha tha. Kahi na kahi woh khud ko dosh de raha tha.

Isliye, iss baar usne Kaera aur Kishor dono se chhipa ke apni investment uss building me kar di thi. Sheher se hi lagi hui building thi, aur iske liye usne kitne crore lagaaye the ye baat woh bakhubi jaanta tha. Kintu, woh ye bhi jaanta tha ki ye zameen uske dost ke karobaar ke liye kitni aham hone waali thi.

Bhavna ki gerr haziri me idhar Shweta ek maa ka role nibha rahi thi. Building praapt hone ki khushi me usne turant hi pandit jii ko bulwa ke shubh muhurt me sabse pehle bhoomi poojan karwaya. Uske bete ka karobaar badh chadh ke phale phoole iski taiyaari me Shweta koi bhi kami nahi chhor rahi thi.

Building ka basement ka hissa raw material aur stock ke liye rakh diya gaya tha. Toh wahi Printing, Sewing, Designing alag alag prakriyao ke liye alag alag floors niyukt kar diye gaye the.

Idhar Bhumika ne apne bhai ke clothing brand ke liye ek naam bhi soch liya tha. Vibhor ~ jisne ‘Chef on wheels owned by Hotel Prestige’ ke logo banaaye the. Use hi nayi clothing brand ka logo banaane ke liye bhi Bhumika ne bol diya.

Vibhor brand ki logo making me lag chuka tha. Toh wahi Shyaam ke bheje gaye kisaan bhai sab accha kaam kar fasal ugaane me vyast the. Varsha uddyaano ki dekh bhaal me lagi hui thi. Wahi, Mukta Hotel Prestige me Head Chef ki zimmedari bakhubi sambhaal rahi thi. Aur, Sonali Chef on wheels ko din-ba-din popular banaane ki daud me lagi hui thi.

Arohi aur Kavya samay samay par Veer ke ghar jaaya karti aur madad ka haath bata diya karti. Dono aaj uske hi ghar par thi aur charcha ka vishay Veer hi tha~

Kavya : Bhaiya iss baar letter likh ke bhaage hai. Iss baar aane do unko. Harr baar aisa karte hai woh!

Arohi : Usne kuch soch ke hi aisa kiya hoga.

Kavya : Aap hamesha bhaiya ki hi side kyu leti ho Dii?

Arohi : Kyuki woh samajhdar hai. Woh bewakoofi bhara qadam nahi uthaata.


triste

Kavya : Bina bataye ghar se nikal jaana aur ye bhi nahi batana ki kaha par gaye hai. Ye kaun si samajhdari hai dii?

Arohi : I know but-!!

Arohi jaanti thi ki ye koi samajhdari wala qadam nahi tha. Magar, woh ye bhi jaanti thi ki Veer kis kism ka insaan tha. Woh uski rag-rag se waqif thi. Zaroor koi kaaran raha hoga jiski wajah se woh iss tarah ghar se gaya tha. Woh jald se jald uske aane ke baad ye sab kuch puchna chaahti thi.

Filhaal, woh dono bas yaha se uske liye sahaara hi bann sakti thi. Rahi baat Nidhi ki toh use pata lag chuka tha ki Veer ghar se bina bataye kahi nikal chuka hai. Ye ladka hamesha use tension me daal deta tha.

Aur, hamesha Diwali ka hi samay hota tha jab jab woh ghar se dur chala jaaya karta tha. Kuch hi dino me Diwali aane waali thi. Aur, Veer ke exams bhi. Kya Veer ko inki parvaah bhi thi?

Kabhi kabhi woh khud ko bhi dosh diya karti. Jab tak college me thi toh woh kam se kam Veer ko college aane ke liye mana leti thi. Par, jab se usne khud ne college se leave li thi uske baad se woh Veer pe utna dhyaan nahi de paa rahi thi.

Use woh pal yaad aaya. Jab abhi haal hi me Veer Shreya aur Aabha ko Tamanna ke saath tour par bhejne uske ghar aaya tha. Use yaad aaya ki woh kuch kehna chaah raha tha. Magar kya?

Kya woh jaane se pehle bye kehne aaya tha?? Ye dhyaan me aate hi Nidhi ko apne dil me ek dard hua. Woh yaha use ek baar bye kehne aaya tha par uske khud ke ravaiyye ne Veer ke mann me hich-kichahat paida kar di thi. Jis wajah se woh bina apna muh khole hi waha se ravana ho gaya tha.

‘Veer-!!!’

Use yaad kar woh bas khud ko hi dosh dene lagi. Kabhi kabhi woh itni sakht kyu ho jaati thi uske khilaaf?

Toh wahi Veer ki maasi Purvi ke bhi kuch yahi milte julte vichaar the. Uss din kya hua tha? Purvi ne apna stann-paan karwaya tha Veer ko. Aur, uske pehle usne apne ghar se use nikaal diya tha.

Ye itna badlaav akhir aaya kaise? Woh samajh chuki thi ki Veer uske jeevan aur dil me bas ek ladka nahi tha. Jaise woh Bhavna ka baccha tha wese hi woh uska bhi tha. Purvi ka mann lalcha raha tha. Woh ek baar fir use apne seene se laga ke use stann-paan karwana chaahti thi.

Woh jaanti thi ki ye sab galat hai, zyada aage nahi badh sakti thi. Isliye, itni seema achhi thi. Ye seema nahi laanghni thi. Aur, isi ke antargat reh ke woh sab kuch mehsoos karna chaahti thi.

‘Ohh Bhavna! M-Mujhe maaf karna! Par, mein ab khud ko nahi rok sakti. Mujhe ek baar fir woh mehsoos karna hai, jo maine uss din mehsoos kiya tha. Akhir…! Mera bhi Veer pe utna hi haq hai jitna tumhara hai. Tum hi kaha karti thi. Hai na?’

Sochte hue woh apne kinhi vichaaro me leena ho gayi.

***


Li Renshu’s house,
Panzhihua, Sichuan Province,
China, Morning ~ 7:54 AM


Subah jaise hi hui, chidiyo ki cheh-chahahat Veer ke kaano me padi. Shetra hi aisa tha ki chidiyo ka yaha aana swabhavik tha. Veer aankhein malte hue utha. Iss ilaake me raat me thand ka mahaul rehta tha. Jangal se juda hua jo tha. Blanket ko side kar woh zameen par bichhaaye gaye gadde se utha aur haath muh dhone chal diya.

Raat me Renshu ne uske saamne prashn rakha tha. Kya woh uski madad karega? Zaahir hai, Veer ne woh sweekar kar liya tha. Woh peeche nahi hatt sakta tha. Renshu ne uski jaan tab bachayi thi jab woh marrne ki kagaar par tha. Aise me, woh ab apna muh nahi ferr sakta tha.

[Well! I guess ab hume kuch strategy pre-plan kar leni chahiye. What do you think?]

Woh sheeshe ke saamne brush hi kar raha tha jab Pari ki awaaz uske mann me goonji. Usne apne aap ko iss daldal me jaan ke daala tha. Toh iss se baahar nikalne ke liye bhi uske paas kam se kam pehle se kuch rann-neetiya honi hi chahiye. Pari ka sujhaav yahi tha.

‘Pre-plan? Kiske liye?’

[Of course, Legion ke uss leader ke liye. Jaw Long!]

‘Aur tumhe itna yakeen kyu hai ki hum uss se bhidenge?’

[Because agar ye masla sirf bol chaal se hi hal ho jaata toh Renshu hume yaha nahi bulata.]

‘Still…! Uss Jaw Long se hum mile nahi hai. Hume kuch bhi nahi pata hai ki woh kaisa dikhta hai, kya skills hai uske paas. Aise me hum uske khilaaf koi plan kaise bana sakte hai?’

[Then ask na!!! Renshu se pucho. Zaroor use kuch na kuch toh pata hi hoga.]

‘Hmm!’

[Remember! Knowledge is power! Jitni information tumhare paas baakiyo se zyada rahegi, utna hi tum unse aage rahoge.]

‘Hmm!’

Haami bhar Veer baahar ko aaya. Usne sabse pehle apna phone check kiya. Toh usne dekha ki WhatsApp par kayi saare messages dale hue the. Jinme se sabse zyada Kavya ke hi the. Woh samajh gaya tha ki uski ye chhoti behan zaroor use khari-khoti sunayi hogi. Usne Kavya ki chat filhaal open nahi ki. Tej ke do messages dale hue the. Veer ne unhe khola toh dekha-

“Bhai! Hamari clothing brand ke liye naam aur logo decide ho gaya hai. Also, Karan ne building bhi provide karwa di hai. Aur, sab workers ke saath sab kuch waha shift bhi hone laga hai. Brand name maine aur Bhumika Didi ne milke final kiya hai. Agar, tumhe kuch aur rakhna hai toh tum bata dena.”

Iss message ke saath neeche ek photo bhi attached thi. Veer ne jab use khol ke dekha toh uske saamne Brand logo tha~



Screenshot-2023-04-03-135821

‘Wow!!!’

Woh hairaan tha.

‘Yarnia!?’

[Hmm! I love that name!]

‘Me too!’

Ye naam bahut pyaara tha. Yarnia naam ‘yarn’ shabd se liya gaya tha jaha ‘yarn’ ka matlab dhaaga ya soot hota tha. Kapde toh fibres yaani ki dhaage se hi bante the. Naam aiwai nahi decide kar liya tha uski behno ne. Kaafi samay laga hoga unhe ye sab sochne me. Veer ke hontho par ye sochte hi ek muskaan aa gayi.

Kitne jorr shorr se uske liye sabhi waha par kaam me lage hue the. Usne bas ek thumbs up ka message bheja aur WhatsApp band kar diya. Tabhi, uski nazar ek notification par padi.

Tunecrafts released a new track.

‘Huh!?’

Veer ne jaise hi use khola, YouTube par ek gaana play hone laga.

‘What!??’

Gaana Tunecrafts ke channel se tha. Yaani ki Ava ki company. Par ye kaise ho sakta tha? Ava ke gumshuda hone ke baad Tunecrafts ne track release karna band kar diya tha kyuki company singer ki talaash me lagi hui thi. Unka aur bhi dusra channel tha jaha par woh naye singers ke gaane release kar rahe the.

Par, Ava ke ghum hone ke baad se hi iss channel par koi bhi track release nahi kiya gaya tha. Aur, fir achanak se ye~

Gaana Veer ne play kiya, aur uske bol sunte hi ek aur jhatka use laga. Ye awaaz-!!! Ava ki hi thi~


The moonshine… casts me…
It’s hard to breathe…
Mmm-hmm~
What a foul place… to be…
I can’t be free…
Mmm-hmm~

Time feels like a frozen leaf,
And now our misery…
What do you expect me to see?
I’m falling… for you…!?

Dear God… you give.. such a…
Misguided love…!

The amount of prayers…
The madness drapes…


Listen… to… your… heart…!

‘Huh!!!?’

Gaane ke ek ek bol sunn Veer ke badan me ruye khade ho chuke the. Ava ki awaaz me ye jaadu tha. Video ek lyrical video tha. Gaana ka bhaav kya tha woh awaaz aur uske bol bayaa kar rahe the. Agar ye track Tunecrafts ne release nahi kiya tha. Toh fir kaun ho sakta tha? Khud Ava!?

‘Just where the hell are you…!? Ava…!?’

Woh iss baare me aur kuch sochta ki tabhi waha par Erica aa dhamki.

Erica : It’s good to see ki kam se kam tum aalsi nahi ho.

Veer (glances) : Tumhara matlab-!?

Erica : Mujhe laga tha tum derr tak sote rahoge aur fir late uth ke kahoge ki mein late soya tha isliye derr se utha. But, dekh ke accha laga ki tumhe kuch toh parvah hai at least-!

Veer : Mein yaha wese bhi sone nahi aaya hu.

Erica : That’s good to hear. Follow me! Dad ne bulaaya hai!

Aur, woh use waha se leke neeche ki orr chali gayi jaha ek main hall me Renshu apni gaddi waali seat par virajman tha. Veer ko kaafi kuch jankaari praapt ho chuki thi. Kuch aur dheele dhaago ko use kass ke baandhna tha.

Renshu : Aao Veer!

Veer : So? Aage ka kya plan hai?

Renshu : Government ki orr se ek official yaha aane waale hai. Mein chahta hu tum yahi reh ke sab kuch suno.

Veer : Are you sure about that?

Renshu (nods) : Hmm! Mujhe tum par yakeen hai.

Apne Dad ki iss baat par ek baar fir Erica use ajeeb nigaaho se dekhi aur ye sochne par majboor ho gayi ki akhir Veer me aisa tha kya?

Veer : Well… If you insist!

Aur, zyada samay nahi laga jab ek aadmi badhiya sa suit pehne waha hall ke andar aaya. Renshu kisi raaja ke samaan waha gaddi par baitha hua tha. Uske saamne aate hi uss government ke official ne pehle vinamtra se ek baar sarr jhuka ke Renshu ko greet kiya.

Veer harr detail ko apne dimag me baitha raha tha. Matlab ye baat sach thi ki Renshu ki chhavi government me acchi thi. Sarkari log bhi uske saamne izzat se pesh aa rahe the.

Jaise hi uss official ki nazar Veer par padi, woh thoda chaunka aur fir bauhe uthaate hue Renshu ko dekh bola,

Official : Ye kaun hai?

Renshu : Uski chinta aap mat kariye. Ye hamaare mehmaan hai. Pita ji ke inke pita ji ke saath puraane taluqaat the. Ye yaha par kuch kaam se aaye the business ke liye. Toh maine hi inhe apne ghar par theherne ke liye bulwaya hai.

Safed jhooth! Aur, Veer jaanta tha ki ye kyu bola jaa raha tha.

Official : Inhe chinese bhi aati hai kya?

Renshu : Jii nahi! Ye India se hai! Inhe chinese nahi aati. Aap befiqr hoke boliye.

Official (frowns) : Jab inhe chinese nahi aati, toh inhe toh baat wese hi samajh nahi aayegi. Toh kya ye behtar nahi hai ki aap inhe baahar bhej de?

‘Ohhh!’

Veer mann hi mann impressed tha. Iss official ki baat sahi thi.

Renshu (frowns) : Agar aap ko abhi bhi koi sanshay hai toh mein aapko sunishchit karta hu. Yaha hui ek bhi baat, inn chaar deewaaro ke baahar nahi jayegi. Ye meri Li Renshu ki jawabdari hai. Aur, agar fir bhi yakeen nahi hai toh aap apne bade sahab ko bhejiye. Baat tabhi aage badhegi.

Renshu ki baat sunn, official ke paseene chhooth gaye. Woh jaanta tha ki Renshu se sambandh bigaadna matlab khud ke perr par kulhadi maarna.

Official : A-Arre! Haha! Arre aap toh bura maan gaye. M-Mera matlab woh nahi tha.

Woh nakli muskaan liye apni baat ko sambhaalne ki koshish kiya. Par, uske iss mukhaute ko na sirf Veer balki Renshu aur Erica bhi pehchaan gaye the. Erica uske ravaiyye ko ghinauna maan use be-mann se sunti rahi. Magar, fir bhi woh baat karne me hich-kichahat mehsoos kar raha tha. Veer ne dekha ki aise toh baat nahi badh rahi hai toh woh khud hi bol pada,

Veer : I’ll wander around for a bit. You should discuss the important matter first.

Renshu kahi na kahi official ke iss bartaav se gusse me tha. Veer uska mehmaan tha. Aur, mehmaan ko hi baahar khada karna pad raha tha.

Renshu : Veer! Wait!

Jab uss official ne dekha ki Veer angrezi me baat kar raha tha toh kahi na kahi use raahat mili. Woh sochne laga ki shayad Veer ko sach me chinese nahi aati thi. Aur, Veer aur Renshu English me hi communicate karte the. Par, wo bechaara toh asli sach se kosso dur tha.

Veer ki nazre neeche thi. Woh chup chaap hall se nikal baahar jaane laga. Erica jo wahi khadi thi, jab Veer uske bagal se nikla toh pata nahi kyu use aaj uske liye accha nahi laga.

Renshu jaise samajh gaya tha ki Veer ka kya plan tha. Usne turant hi Erica ko dekh ishara kiya. Aur, Erica bhi jaise turant hi bhaanp gayi. Usne haami bhar apne Dad ko aasvashan diya.

Renshu : Aap baithiye! Aur, ab apni baat kahiye!

Uss official ne haami bhari. Wahi paas ki seat par Renshu ne baithne ka kaha toh woh wahi par baith gaya. Ek rumaal nikaalte hue usne apne maathe aur gaal par se paseena pocha. Aur, fir bolna shuru kiya-

Official : Halaat battar hote jaa rahe hai!

Renshu (nods) : Mein jaanta hu.

Official : Aap jaante hai ki hum waha itne andar jaane se darr kyu rahe hai?

Renshu : Kyuki, Army ke do logo ko tribe ke logo ne adhmara kar ke bheja tha?

Official (nods) : Bilkul sahi kaha. Ye toh haal ki hi ghatna thi. Iske kuch mahine pehle jab sarkaar ki taraf se kuch officials samjhauta karne gaye the tab bhi unhe dara dhamka ke bhaga diya gaya tha.

Renshu : Hmm!

Baahar Veer aa zaroor gaya tha. Magar-

*Ding*

[Beowulf’s Blessings has been activated.]

Uski aankhon par laal rang ki parat chadh gayi. Uske senses badh chuke the. Hearing senses bhi. Andar kahi jaa rahi harr ek baat use saaf saaf sunaayi de rahi thi.

Official ki baat par Veer ke mann me kayi sawaal the jo woh puchna chaahta tha. Magar, woh puch nahi sakta tha. Kyuki, woh baahar jo aa chuka tha. Uski pareshani jaise Erica ne dur kar di~

Erica : Hmph! Hamari sarkaar ko kya ho gaya hai? Aap sab toh badi deenge haakte the na? Ki hamari sarkaar bahut mazboot hai. Bahut taqatwar hai. Ab kya hua fauj ko? Andar ghus ke tribe ke logo ko maza kyu nahi chakha dete? Itni kyu phatt rahi hai fauj ki??

Agar, ye baat akeli Erica ne kahi hoti uss official ne accha khaasa jawaab de diya hota. Magar, saamne Renshu baitha hua tha. Chaah ke bhi woh badtameezi se pesh nahi aa sakta tha.

Official : Kyuki, ye jitna saral lagta hai utna hai nahi.

Erica : Zara samjhayenge!? Ki sarkaar fauj ko order kyu nahi de rahi hai?

Official : Samjhata hu! Dekhiye! Tribe ke log bhale hi iss waqt virodh kar rahe hai, magar woh hamare China ke hi niwasi hai.

Erica : Toh hum unhe isliye maar nahi sakte. Hai na?

Official : Bilkul sahi!

Erica : Unhe bandhi toh bana sakte hai na? Poori ki poori ek force taiyaar kar ke andar bhej do. Aur, unhe bandhi bana ke unhe jail me daal do.

Erica inn sab ke uttar pehle se hi jaanti thi. Magar, uske inn prashno ko puchne ka ek hi maqsad tha. Woh tha baahar khade Veer ko jankaari dena.

Official : Aisa kaise kar sakte hai? Dekhiye! Hume mine ko waapas se hathiyaana hai. Army ko andar bheja, toh saath hi saath hathyaar bhi andar jayenge. Mine ke aas paas zara bhi visfot ya kuch bhi hua, iss se poori ki poori mine khatre me aa jayegi.

Erica : Hmm!

Official : Mine toh haath se jayegi hi upar se hamare fauji log bhi chotil honge, aur tribe ke log alag.

Erica : I see!

Official : Aur sirf itna hi nahi-! Jangal ka kya? Agar jangal me aag lagti hai toh? Use kaun bujhayega? Wildfire ko kaise rokenge? Aur toh aur janwaro ka kya? Waha andar vibhinn janwar bhi rehte hai. Warna agar fauj se hi kaam lena hota toh humne air strike na kar di hoti pehle hi?

Renshu : Toh? Abhi kya news hai?

Official : News aisi hai ki sarkaar ne ye zimmedari aapko saunpi hai.

Renshu : Hmm?

Official : Government chaahti hai ki aap ise apne dhang se sarkaar ke naam karwao. Agar khoon kharaba hota hai toh wo bhi chalega.

Erica (frowns) : Abhi toh aapne kaha ki khoon kharaba nahi ho sakta aur ab-

Offical (grins) : Ahaha! Woh kya hai na-! Sarkaar nahi chaahti ki fauj ki image iss tarah ghuspeth kar ke kharab ho. Par already orders aa gaye hai.

Renshu : Kya matlab?

Official : Minister of Internal Affairs ki orr se aur Minister of Forest and Environment Development ne strict orders pass kar diye hai. Saara matter aapke haatho me hai.

Renshu (frowns) : Tumhara matlab-!?

Official (smirks) : Ohh yes!! Yes Yes! Aap chaahe toh unhe khatam kar sakte hai. Sarkaar kuch nahi kehne waali. Yaha tak ki aapke naam aur image ko bachaane ki zimmedari bhi hamari hai.

Erica ye sunte hi gusse se laal ho gayi.

Erica (yells) : Kaali kartoot tum humse karwao. Khoon se haath hamare rangwao aur khud mahapurush bann ke janta ke saamne waah waahi batoro? Who gave you the right???

Official : Maaf kijiyega Miss! Mein toh bas ek messenger ki tarah hu. Mera kaam tha aapko jankari dena. Jo maine de di hai.

Erica : Agar aukaat hai toh fauj bhej ke khud kyu nahi le lete saari mine?

Official : I’m sorry but ye sarkar nahi karna chahti.

Erica : Toh hum bhi nahi karna chaahte. Jaa sakte ho yaha se.

Official : I’m sorry Miss lekin agar aapne ye zimmedari lene se mana kiya toh-

Renshu (frowns) : Toh??

Official : Toh shayad aapko ye property kahi gawaani na pad jaaye.

Erica ki aankhein ye sunn felti chali gayi.

Erica (shocked) : Y-You-!!!! Government ko itna sab dene ke bawajood bhi-! Aakhir himmat kaise hui Dad ke khilaaf iss tarah ke orders rakhne ki unn sab ki?

Renshu : Erica-!!!

Erica : Kisne diye hai orders? Naam batao mujhe! Aur, leke chalo. Tum logo se toh mein khud baat karungi. Bhala hum kyu iss jhamele me beech me fass rahe hai? Aur-

Renshu (screams) : Ericaaaaa!!!!!

Zordaar dahaad jab Renshu ke muh se nikli toh Erica ka badan wahi thitur ke jamm gaya. Aur toh aur uss official ki bhi haalat kharab ho gayi.

Renshu : Kya yahi orders hai?

Official (nods) : J-Jii! D-Dekhiye! M-Mein to bas jankari dene aaya tha. Government aapke yogadaano ko jaanti hai. Magar, iss waqt govt. khud bhi fasi hui hai. Ye maamla behtar hai agar dono ‘Order’ aur ‘Legion’ ke beech hoye.

Renshu : …

Official : Govt. ki zimmedari hai ki woh ‘Order’ ki image kharab nahi hone degi. Saath hi agar mine ko hathiyaane me Order qamyab hota hai toh- Shayad govt. inaam ke roop me kuch bada dede?

Erica : Tch!!!

Renshu : Tum jaa sakte ho!

Official : Huh!?

Renshu : Ministers se kehna ki Order ne iski zimmedari le li hai. Aur, ab Order ise apne dhang se dekhega. Koi bhi dakhal andaazi beech me nahi chahiye.

Official mann hi mann behad prasann ho gaya. Jo kaam woh karne aaya tha woh safal ho chuka tha.

Official : H-Haha! Th-Thank you! M-Mein abhi jaa ke khabar deta hu. Govt. ki taraf se jo bhi madad chahiye, woh govt. dene taiyaar hai. Lekin, frontline me aapko hi rehna hoga.

Renshu : Koi zaroorat nahi hai. Jaisa ki maine kaha… Koi dakhal andazi nahi chahiye. Tum jaa sakte ho.

Official : J-Jii! Haha!

Aur, woh waha se sarpat nikal gaya. Uske jaate hi Veer wapas andar aaya. Renshu ke liye toh sarkaar izzat rakhti thi. Fir ye kya tha?

Veer ne jaise hi Erica ko dekha toh Erica ne apni nazre ferr li. Badi tareef karti thi woh ki China ke govt. ke log bhi uske Dad ke saamne maatha tekte hai. Toh ab ye kya tha? Ab bhala woh kaise muh dikha sakti thi Veer ko?

Par, Veer ke shabdo ne uske chehre par hairaangi laa di.

Veer : It’s okay! Looks like, govt. khud khoon kharaabe aur loss se bachne ki koshish kar rahi hai. Unhe mine bhi chahiye hai, aur loss bhi nahi jhelna hai. A perfect plan by a government.

Veer ke muh se kahi par bhi Renshu ke liye koi bhi burayi nahi nikli aur na hi usne Erica ka koi mazaak banaya. Erica halka muh khole use jigyaasa me bagal se dekhti rahi.

Renshu (sighs) : Ab tumhe samajh aaya na ki kya chal raha hai?

Veer : Hmm! Ek sawaal ye hai mera ki akhir tribe waalo ne ye mine ko hathiyana kab se shuru kiya?

Renshu : Kareeban pichle saal se…!

Veer : Hmm! Yaani ki iske pehle sab kuch normal tha?

Renshu : Haan!

Veer : Aur pichle saal se sab badalne laga. Akhir kya reason raha hoga? Mine ko agar woh poora hathiyaa rahe hai toh iska matlab toh yahi hua ki woh radioactive elements ke liye badh rahe hai. Magar kyu-!? Huh!!!! Ek second-!

Renshu : ???

Veer : K-Kahi! Jaw Long ko koi radioactive elements se judi skill toh nahi mil gayi?

Uske sawaal par dono Renshu aur Erica stabdh reh gaye.

Erica : I-It might be-! Dad!! Ye reason ho sakta hai.

Renshu (nods) : Hmm!

Erica : L-Lekin-! Unka purpose kya hai?

Veer : Maybe-! ‘Order’ ko khatam karna?

Ek baar fir, Veer ke uttar par dono Renshu aur Erica khamosh reh gaye. Kyuki, Veer ki baat sahi saabit ho sakti thi.

***


Night~ 9:10 PM

Raat ka samay ho chuka tha. Dinner kar ke Veer, Erica aur Renshu sab fursat ho chuke the. Woh sabhi ek jagah par baithe halke kambal odhe aapas me baat hi kar rahe the jab achanak hi-

“Huhhh!!??”

Erica akasmat hi kambal ko fek satark hoke khadi ho gayi. Uski nazre gate par daudi aur tabhi-

Erica (yells) : Dad!!!!

*Craaaaasssshhhhhh*

*Whoooooosssshhhhh*

Ek lambi si sui khidki ke sheeshe ko todte hue andar tezz raftaar ke saath ghusi aur seedha waha rakhi mombatti ki lau ke aar paar hote hue deewar me dhass gayi.

Sui ki itni tezz raftaar ke chalte mombatti uske hawa ke jhoke ke chalte bhuj gayi.

*Whoooossshhhh*

*Whooossshhhhh*

Ek ek kar waha saari mombatti bujhti chali gayi. Veer aur baaki sabhi hairat me the. Itne shor ke bawajood Renshu ka koi bhi aadmi madad karne ke liye andar nahi aaya.

*Whooossshhh*

Jaise hi ek aur sui Renshu ke paas rakhi mombatti ko bujhaane ke liye tezz raftaar se aayi tabhi-

*Claaaaaanggggg*

Kisi thos cheez se takraate hue woh sui upar hawa me ghoomte hue neeche gir gayi. Renshu samet Veer apni apni jagah par khade ho chuke the. Andar bas ab ek hi mombatti jal rahi thi. Aur, baahar se aa rahi chaand ki roshni-

Bas itna hi ujaala tha.

Renshu ne apne ek lakdi ke dande se uss mombatti ko bujhne se bacha liya tha.

*Ding*

[Beowulf’s Blessings has been activated.]

Aur tabhi-

*Craaaasssshhhh*

Darwaaze ko cheerte hue ek saaya andar aaya. Jaise hi raushni uske chehre par padi. Veer ke saath saath Erica ki aankhein hairat me fel gayi. Siwae Renshu ke…!

Kyuki, woh ye sui ko pehchaan chuka tha. Aur woh uss saamne khade shaks ko dekh zorr se chillaaya,

Renshu : Garofano!!!!!

Veer khud stabdh tha.

‘Garofano!? Y-Yaha!? Wh-What?’

Garofano (screams) : Li Renshuuuu!!! Was it you!!???

Renshu ki aankhein kisi predator ki tarah Garofano par tainat thi. Toh wahi Garofano ki aankhon par hare rang ki parat chadhi hui thi. Lag raha tha jaise ek naagin andhere me apne shikaaro ko ghoor rahi ho.

Aur agle hi pal-

*Whooossshhh*

Garofano hawa ke jhoke ke samaan apni jagah se aage badhi…

*Swooossshhh*

Toh wahi Renshu apni jagah se ek pal me gaayab ho gaya.

Renshu ka ek haath mutthi kass ke seedhe Garofano ke jabde par maarne ke liye aaya aur tabhi-

*Dodge*

Garofano apni baayi orr mudi. Renshu ka mukka hawa ko cheerte hue Garofano ke muh se ek inch ki duri se nikal gaya. Par, uska haath guzar hi raha tha ki-

*Swooossshhh*

Na jaane kaha se Garofano ne apne haath me ek 15 cm lambi sui nikaali aur seedhe Renshu ke gale ki orr fek dii. Itni nazdeek se uss sui ko rokna Renshu ke liye namumkin tha. Woh sui Renshu ke gale ki chamdi ko cheerte hue ghusne hi waali thi jab-

Erica (screams) : Daaddddd!!!

*Ding*

[Hawkeye]

*Whooossshhh*

Ek chammach udte hue uss sui ki doguni raftaar se aage aayi aur seedhe sui se takra gayi. Sui aur chammach aapas ki matbhed me ghoomte hue idhar udhar jaa gire.

*Ding*

[Intimidating Presence has been equipped.]

Iss se pehle ki Garofano aur Renshu punah ek dusre ke upar focused ho paate-

*Whooooosssshhhh*

Ek haath ne unn dono ke haath ko baari baari mazboot jakad me thaam liya. Aur, koi unn dono ke beech aa gaya.

“Tum me se ab kisi aur ne fir haath uthaaya…! Toh accha nahi hoga.”
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 6.7k words. Abhi kahani me Diwali nahi aayi hai. Kahani current time period se do teen mahine peeche chal rahi hai. But time skip hoga Disembowler’s me toh its perfectly fine. Baaki, target apna wahi hai. 160. Toh likes thokne ka aur revos rakhne ka. Keep supporting. Also, happy new year aap sabko.

Dhanyavaad!!! ✨
 
Last edited:
Top