- 16,176
- 109,449
- 259
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Bilkul sahi kaha bhaiBhai logo....
Writer ki bhi apni zindagi hoti...wo aapke liye hi yaha nahi betha rahega ya likhta rahega ... uski apni marji he ke update de ya nade ...wo toh kewal appke manoranjan ke liye itni mehnat karta ...aur app log kuch din update nahi aatetey hai toh shuru hojate hai ki update nahi aaya abhi tak....bhai log jab writer ko time milega wo update kar dega....
Bhai apki bat 100% sahi h ....mujhe is bat se koi aitraj ni h k update Dene m kuch din deri ho jae....sb ki life h, problems he....bt ap jante ho yha update 12-2 k bich m ata h.... update aaega y kha.... isliye hm adhi rat tk jagte rhe ...me to subhah 4 baje soya hu.... update na de sko to km se km ek msg dal do k ni de paenge.....taki koi update ki rah m jagta na rhe....bs yhi ek shiyakat h meri writer sahab se...bata dete to bura hi ni lgta...Bhai logo....
Writer ki bhi apni zindagi hoti...wo aapke liye hi yaha nahi betha rahega ya likhta rahega ... uski apni marji he ke update de ya nade ...wo toh kewal appke manoranjan ke liye itni mehnat karta ...aur app log kuch din update nahi aatetey hai toh shuru hojate hai ki update nahi aaya abhi tak....bhai log jab writer ko time milega wo update kar dega....
Bahtreen update tha Bhai phele atish wali fight aur ab ye dono ZaBarDast thi Koshish karna agla update jaldi dene ki intezar nahi Hoga kyunki update bari galat jagah khatam Kara he apne
Superb update bhai as always.....
Superb Update
Gajab bhai kamal ka action scene tha maza aa gaya aur 900 points to mil hi chuke hai veer ko aur ek aur naya mission bhi mil gaya use aur kaera ke man me bhi kuchh feelings aane wali hai uske liye and that's great veer ko isse bahut help milegi aage badhne me
Kamal update
36 experiments![]()
आनंद उठाए....
Nice update...
Superb update Werewolf bro. So this menly action of Veer created some repulse in Kaera's heart, she is emotionally turning towards Veer and it is a good news for veer.
Fantastic mind-blowing update
Superb update
Maza aa gaya awesome
Just marvelous update Werewolf bhai like a hard hitting action packed movie....
Zabardast update
Holly wood movie scene![]()
Interesting bro super amazing skills veer basics ke sath ladhta rahega to ghanta na jeet payega ab usko gold se diamond tier Martial arts or kuch dangerous skills and technique buy krke seekhne ki jarurat hai kyunki ek assassin ne uski hawa tight kr di thi usko apni strength mind agility ke upar bhi kaam krna hoga abhi
Aur baat kre kaera ki to uske ander ki feelings dheere 2 bahar aa rhi veer ko lekar or uske emotions bhi slowly 2 active ho rhe pyar rona to ho chuka jealousy nafrat irritation or bahut se emotions abhi baki hai
Kamal ka action tha curiosity badh hai h ab to waiting for next update.
Jabardast update..![]()
Awesome update bhai keep posting
Cha gye GURU.... Super se Bahot upar wala update hai and waiting for the next .....
Pari ne veer ko bachaya he is baar ab koi pari ko bura mat bolna waise bhi jaisi interesting life veer ki abhi he woh pari ki hi wajah se he awesome update
Superb Update Bro...
Waiting for Next
awesome update
but story main kuch missing hai
or please do answer few questions like why slogan do know that veer wiil stop thier limo
they told, "he said he will come"
matlab koi toh hai jo janta tha ki veer ko ye mission mila hai
or woh mission bhi kafi ajib tha
us mission ka basically koi matlab nahi tha, ya fir system veer koslogan se introduce karna chahta tha
or wo gadi main wo ladki kon thi slogan ke sath
kya koi or bhi pari ki sachai janta
Bhai bhai bhai...... Super duper update.....!!!! Like Netflix series!
Nice update waiting for the next
Superb update bro. Waiting for next
Bahut hi shandaar update hai bhai maza aa gaya
Waiting for the next update
Nice update bhai
A
Awesome update
Super update hai Bhai
Nice update
Zabardast action seen bhai aaj tu veer ne Kamal kr diya ....
Superb update
Awesome updates
Bahut hi badhiya update diya hai Werewolf bhai....
Nice and beautiful update.....
Bohot hi badiya update bhai
Ekdam लाजवाब bhaijannn
Shandar update bhai
Veer n aakhir Kaera bacha lia khud injured ho gaya lekin Kaera per aanch nahi aane dia bahot zaberdast mission bhi poora huwa or rewards k taur 900 points mile zaberdast
Doosra mission fir gaya gang ka samna karo ab dekhte h isme kia hota h Veer paar pata h ya nahi
Behtareen zaberdast shaandaar update bhai
Superb update bro waiting for next one
Nice update but laet post
Jabardast
Nice update
★ Fabulous Mind Blowing Updated...
★ Aisi Fight ko hollywood ki Film me bhi nhi hoti boss jese apne dikha di Great...
★ Akhir mission complete kar hi diya Veer ne aur 900 point bhi mil gye usko..
★ But usko ye bhi kaam lag rhe the aur point ki jrurt thi usko aur sath hi usko naya mission bhi mil gaya agar se fight jitta hai to uski chandi hi chandi ho jani hai...
★ But Dekhna ye hai ki wo fight puri kar payega ki nhi... Shyd haa...
★ But Veer ko bhi pata chal gaya hai ki usko point kese mil skte hai bhale hi mission na bhi mile usse usko khud hi mission create krne aane laga hai...
★ Jese usne keara ko nikal kar ek mission complete kiya hai aur ruk gaya unse fight ke liye usko pata tha jitna muskil me wo pdega itna hi system usko mission dera rhe hai aur veer point banata rhe ga...
★ Raghu wapas aayega Veer ko backup ke liye..
★ Suhana ki Help time par puch payegi kya nhi...
★ Us help se madad hogi ya police hi usko galat samaj legi i don't know...?
★ Slogan kya chup rhe ga uski ek aur haarrr ke liye jo unse veer ko marne ka plan banya tha...
★ Suhana aage kya krne wali hai Qki usko ab bhi shak hai ke Veer koi ajuba hi hai kya wo jaan payegi veer ka such...
★ Kya veer hi koi khel khel jayega suhana ke sath bhi....
★ Sawal to bhut se hai but Dekhte hai aage kya- kya hota Hai Samaye ke Garabh me....
★ Waiting for next update...![]()
Awesome update
Bhut sadar update bro
Awesome buddy![]()
Fabulous Updatee
Fantastic mind blowing update bary din bad koi mission mila or complete b howa hai or next mission bhi mill gya great fight ka maza aya pari ki veer k liye fikar or instructions bht din bad daikhny ko milli great maza a prh kr
This update is awesome and brings back Werewolf to his wonderful form.
Nice update
Ghajab ka update diya hai aapne....
Mazaaaa aa gaya bhai waah....
Mind-blowing update bro
वाव
लाजवाब
मतलब अभी तक मिशन अधुरी है
वीर को किसी और की इंतजार है
पर है कौन
मुझे नहीं लगता स्लोगन होगा
Super update veer ki diwaniyon ka list lambi hoti jaa rahi he..
bahi sach u are a genius writer
kia dhanso steyl se update phenke ho
he ek pehlo ko kia trteeb diye ho esi esi sacne create kiye ho k banda khud ko imagian kerne lagta h sacne mai
or update k bare ab kia hi kaho veer ne to Apna action dikha hi dia
kia dhoya h bagair serf excel k
lakin sala ye banda bhi km na tha dexter knife chalane mai
veer ki to waat lag jani thi agr waqt rehte pari veer ko denger se Agaha na krti
Kher knife to lag hi gai veer ko or bleeding bhi hone lagi jis ki waja se kaira Rone Lagi us ko veer ko fikr hone lagi
lakin ek baat to clear ho gai k kaira ko kuch feel na hote hoy bhi boht kuch feel ho raha h lakin sirf us ko ye nahi pta k ye feeling hsin kesi
or veer ka kaira ko ye khena
k trust me in mai se ek bhi ap k pass ane nahi do ga
kia line likhi h yar awesome
Ye pari ka bhi samajh nahi aata kabhi irritate karti hai veer ko aur aaj poori help ki usko bachane ke liye. Aur system use missions bhi usko strong banane ke liye de raha hai. Beautiful update.
Waiting for next update bhai
Awesome update bhai waiting for next update
Waiting for next update
Lajwab update bhai
Next update please!!!!
हे महापुरुष !
कहानी का अगला अंश कब तक जारी किया जायेगा?
Werewolf अगले अंश से संबंधित कुछ जानकारी देने की कोशिश करे भ्राता श्री!
Jabardast
Nixe update bhaii maza aya giea par kar ab new update ka intazar ha bhaiii wating new update
Waiting
Waiting for your next update bro....
Awesome update
Behtreen update
Behtreen update
Lazwaab update
Bro today is update day i think so
Waiting for next update bro
Fantastic Update...
Waiting for next update
Nice story. Waiting for update.
AJE UPDATE AYE GA ?
Waiting brother bahut time se update nahi diya hai
Nice update Bhai
भाई अब तो अपडेट दे दो
Sayad kal se hi bhai ne likha tha
Waiting bhai
nice update..!!
veer fight toh bahot achhi ki aur kaera ko bhi protect achhese kiya..aur kaera ne first time veer ke liye emotions feel kiye..ab kaera ke zindagi me bhi bahot changes aayenge..!! veer ne mission complete kar ke points toh bahot kama liye lekin ab usse aur ek naya mission mil gaya..ab dekhte hai veer kya karta hai..!!
waiting for next update bro..!!
Waiting 4 update![]()
Really man...isse phle maine aaj tk aisi story ni pdi![]()
Agle update ki pratiksha mein
Kabhi Kabhi eke donextra update de do bro readers ko gift
Fantastic Update
Waiting for next update
Intezaar rahega....
Ok bro
Waiting
Ok Bhai waiting
update do bro
Jaldi update kr Dena bhai![]()
Bhai update kab tak doge
Waitng bro
अब तो दे दो बहुत दिन हो गए l अब बर्दास्त नहीं होता l
After some day finally xforum open in my phone
So sorry for late reply
Awasome super update
waiting kab tak doge update brother
Update 63 has been posted.werwekrj bhai summary toh humne yaad karle magar aage ka paragraph kha hai.....
Superb updateMega UpdateAb tak...
Update - 63 ~ Taken Away
*Ding*
[Mission : Take Kaera to Mirror gallery has been completed.]
[You have been rewarded 900 points.]
Par Veer ko majbooran yaha rukna tha.
Uska kaaran tha...
*Ding*
[Mission : Confront the gang!
Rewards : ???? Points.]
Ab aage...
*Badump* *Badump*
Kuch aisi hi dhadkano se aaj Kaera ka dil behad bechain tha. Kuch derr pehle hi usse Raghu waha uss Mirror Gallery se churra ke zabardasti apne saath car me leke aaya tha. Wo ab uss mushqil, uss khatre se baahar thi.
Par fir bhi...
Fir bhi uska dil zorro se dhadak raha tha. Jab apni safety nishchit ho fir kaahe ka ghabrana? Lekin ghabrahat toh thi Kaera ko, mehfooz hone ke baad bhi. Aur wo ghabraahat keval ek shaks ke liye thi iss waqt uske andar.
Veer!
Veer ke khaatir aaj wo behad hi chintit thi. Aur ye uske haav bhaav, uske chehre par saaf nazar bhi aa raha tha. Iss se pehle aaj tak Kaera kabhi kisi ke liye itna bechain nahi hui thi. Shayad last baar tabhi wo iss haalat se guzri thi jab usse pata chala tha ki uski Maa iss duniya me nahi rahi.
Par fir bhi, tab toh wo choti thi, utni samajh nahi thi. Lekin ab...
Ab usse harr cheez ki samajh thi. Feelings uske andar jese apne aap janm le rahi thi.
Veer ne usse do baar bachaaya tha bina apni jaan ki parvaah kiye. Aur Kaera ko ye baat palle nahi pad rahi thi. Aaj ki iss duniya me, bhala aisa vyakti kaun hota hai jo bina kisi fayde ke aapki madad kare? Aur upar se apni jaan bhi daav pe laga de?
Shayad koi nahi!?
Par yaha toh Kaera ne aisa shaks dekha bhi aur uske dwaara apni jaan wo bacha bhi paayi. Aisa shaks jo tha wo tha Veer. Akhir koi itna dayaalu kese ho sakta tha?
Yahi sawaal uske mann me chal rahe the. Aur iss waqt wo car ke andar apni ungliyo se apni dress ko kass ke chintan ke maare bheenche huye thi.
Kaera : R-Raghuuuu!!!
Raghu : Jii Miss!
Kaera : You said ki tum Veer ke liye madad bhijwa rahe ho. Where's the help??
Raghu : Wo raaste me hi hai miss. Jald hi pohuch jaenge.
Kaera (Chillaate hue) : TELL THEM TO HURRY!!!!!
Raghu : J-Jii!
Kaera : He's bleeding Raghu... He's bleeding... He... *sniff*
Aur bas, wo ro padi.
Idhar aage baitha Raghu khud itna hairaan tha aaj Kaera ko iss haalat me dekh. Iske pehle usne na jaane kab akhiri baar apni Miss ko aise rota hua dekha hoga.
Ek aisi bold ladki, ek leader, ek perfectionist, ek beauty queen, ek royal lady, ek rich powerful woman aaj iss qadar kisi ek maamuli se bande ke liye ro rahi thi.
Koi yakeen karega iss baat pe? Shayad nahi!?
Par sacchaayi toh yahi thi.
Raghu : Miss... A-Aap...!?
Raghu ke bulaane par Kaera kuch nahi boli, usne apne aasu poche aur forun hi kisi ko phone lagaaya.
Kaera : Hello!!! Father!
Kishor : Kaera?
Kaera : Father! I need help! Right now.
Kishor : Kya hua?
Kaera : Mein aapko abhi nahi bata sakti. Please! Jald se jald jitni security aap bhej sakte ho bhejiye. xxxxxxxx venue par. Please! As soon as possible. You must...
Kishor : Kya tum kisi mushqil me ho?
Kaera : I-I was... But mujhe Veer ne bachaaya. He's in danger now Father. Please! Send the help!
Kishor : Raghu aur Jassi kaha hai?
Kaera : R-Raghu mujhe drive kar ke ghar le jaa raha hai. Jassi is taking a fight with them.
Kishor : Hmm~ Tumhe koi chot toh nahi aayi na?
Kaera : I'm... I'm fine! But Veer ke liye...
Kishor : Kaun hai ye Veer?
Kaera : Wo... Wo... Father! Abhi ye important nahi hai ki wo kaun hai. He saved me twice. Aur uski jaan abhi khatre me hai yadi usse kuch ho gaya toh...
Kishor : Hmm?
Kaera : Mein apne aap ko kabhi maaf nahi kar paungi. Please! Send the help.
Kishor apni beti ki baat sunn kuch derr shaant raha. Usse aascharya ho raha tha ki bhala kese uski beti kisi anya ke liye itna ghabrayi hui thi.
Aisa toh pehle kabhi nahi hua tha. Par Veer ka naam ab uske dimaag me chadh chuka tha. Aur ye bhi ki uski beti Veer se kuch zyaada hi attached nazar aa rahi thi. Kahi dono ke beech kuch chal toh nahi raha tha? Bhala uski beti kese ek ladke ke pyaar me pad sakti thi? Ye baat Kishor jaanta tha ki Kaera ne hazaaro ameer ladke dekhe honge par unme se ek ko bhi aaj tak Kaera ne bhaav nahi diya tha.
Fir ye achanak se kisi Veer ke liye apni beti ki tadpan dekh Kishor ka dimaag ghumne laga tha.
Kishor : Theek hai! Hold pe raho ek minute.
Aur Kishor ne Kaera ka call hold pe rakha aur kahi aur phone lagaaya.
Kishor : Hello? Hmm! Team bhejna hai. Nahi poori nahi. Jitni tumhe sahi lage. Hmm! Venue mein message kar deta hu. Haan, Veer naam ke ek ladke ko bachaana hai. Par suno... Venue jaana, jitna peeche se ladaayi le sako le lena. Par... Usse bachaana mat. Kyu? Mujhse sawaal mat karo. Jitna kaha hai utna karo. Jab khabar lag jaaye ki wo marr chuka hai toh mere paas udaas muh leke aana aur kehna ki tum Mission me unsuccessful rahe. Yahi soorat meri beti ke saamne bhi dikhni chaahiye. Samajh gaye? Hmm!
Aur call cut ho jaata hai. Uske baad Kishor apni beti Kaera ke call ko resume karta hai.
Kishor : Mene bol diya hai, tum mujhe address bhejo mein unhe forward kar dunga.
Kaera (khush hote hue) : Th-Thank you! Thank you! Father!!! Thank you so much!
Kishor : Tumhare liye kuch bhi beta. Jaldi se ghar aa jao ab.
Kaera : I'm... I'm on my way!
*Call ends*
Kaera ye khabar praapt hote hi behad khush thi aur ek raahat ki saans lii thi usne. Uske Dad ki kaha tak pohuch thi ye baat wo acchi tarah se jaanti thi.
Kaera ki khud ki approach security related matters me nahi thi. Keval uske Dad ki thi, yahi kaaran tha ki aaj Kaera ko apne Dad se help maangni padi.
Aur uske Dad ne help bhej bhi dii, par bechaari usse kya pata tha ki Kishor ne kis tarah ki help bheji thi.
Wo khud ko shaant karne ki koshish kar rahi thi par fir bhi mann toh chanchal hai, na jaane kab kaun se khayal aa jaaye. Aur iss samay uske mann me ek behad hi khaufnaak sa khayaal aaya.
Kahi Veer marr gaya toh?
Ye sochte hi uske poore badan ke raungte khade ho gaye. Shareer kaapne laga aur wo khud se hi mann me bad-badaane lagi.
'N-Nahi! Nahi! Aisa nahi hoga. Dad ne help bhej dii hai. Everything will be fine now. Of course~ He'll come back. This time, I will save him. Mene usse uski signature dishes ke ideas bhi toh diye na. Abhi toh usne apna business shuru kiya hai. He cannot die like that. He'll come... Surely... He'll come...!'
Raat ke 10 baj rahe the aur ab Veer ke ghar me yaani ki Ragini ke ghar me Ragini samet baaki sabhi chinta me aa gaye the.
Na hi Veer phone utha raha tha, na hi apni taraf se usne koi message kiya tha. Wo din ka nikla hua tha aur aaj toh usne apna dhandha bhi nahi khola. Fir raat tak kaha tha wo abhi?
Sabhi issi sawaal me doobe hue the par koi uttar na mila unhe.
Ragini : Kaha chala gaya hai Veer? Harr baar aisa hi karta hai ye. Mein kitna kehti hu ki jo bhi karna hai karo par ek baar mujhe bata diya karo. Fir bhi ye...
Suman : Veer jii ho sakta hai kisi kaam me phass gaye ho Ragini jii!
Ragini : Par aisa bhi toh ho sakta hai na ki wo kisi museebat me phasa ho? Haan? Hey bhagwaan! Kahi wo kisi pareshaani me phassa hua ho aur uske paas phone bhi na ho apna toh? Haan! Yahi hua hoga tabhi toh phone nahi utha raha. Kahi koi durghatna toh... Nahi!!! Bilkul nahi!
Suman : Shubh shubh sochiye Ragini jii!
Ragini : Kese sochu shubh shubh Suman jii? Aap hi bataaiye? Jitni baar aisa hua hai utni baar Veer mujhe... mujhe chotil haalat me mila hai. Uss din diwali waali raat me... Gate ke baahar kese chotil hua neeche zameen par mila tha. Uske baad wo Veer ke phone se uss aadmi ne call kar ke mujhe hospital ka pata diya tha waha bhi wo... wo... kitni gambheer haalat me mila tha. Bewakoof hai ek number ka... Wo... Wo...
Suman ne dekha ki kese Ragini apni aankho se halke halke aasu pochne ki koshish kar rahi thi. Asal me Suman khud bhi boht zyaada chintit thi par wo apne face par dikhaana nahi chaahti thi.
Ragini itni acchi actress nahi thi shayad, uske haav bhaav uske emotions sab saaf jhalak rahe the.
Wo gussa bhi thi, udaas bhi, chintit bhi aur thoda ghabraayi hui bhi.
Suman : Mann ko shaant rakhiye Ragini jii! Veer jii ko kuch nahi hoga. Ho sakta hai wo bas kisi kaam me phass gaye ho. Aapne sikhaaya tha na mujhe... Hamesha positive sochna chaahiye, bole toh sakaraatmak. Aur aap hi ab nakaraatmak bhaav laa rahi ho?
Ragini : Hmm! K-Kya karu Suman jii! Mann hai ki maanta nahi. Utt pataang khayaal aa hi jaate hai. Bhagwaan na kare usse kuch bhi hua ho. Pehle hi do baar usse uss haalat me dekh chuki hu, ab aur nahi. Wo pagla samajhta hi nahi hai ki... *sniff* ki mujhe kitni taqleef hoti hai jab jab usse uss haalat me dekhti hu toh... *sniff*
Koi aur samjhe ya na samjhe par Suman iss samay Ragini ko dekh ke bhauchakki sii wahi jamm gayi thi.
'K-Kya mein sahi soch rahi hu? Ragini jii... Aapka vyavhaar saaf saaf jhalak raha hai. Kahi aap mere maalik se...!???'
Suman (shaant hote hue) : Thoda aur intezaar karte hai aur yadi Veer jii nahi aate hai toh hum unhe dhundne chalenge.
Ragini uski baat sunn keval haan me sarr hila deti hai. Wahi Aabha aur Sonali bhi kuch tension me thi, unke mann me bhi yahi sawaal uth raha tha ki Veer akhir itni derr tak kaha chala gaya tha?
***
Mirror Gallery...
Yaha Mirror gallery me halaat bilkul bhi acchi nahi thi. Na hi Veer ke liye, aur na hi Jassi aur uske saathiyo ke liye jo baahar ladd rahe the.
Kaera ke jaane ke baad hi Veer ke saamne ab kareeb kareeb 10 bande uske saamne khade hue the. Veer unhe check kar liya tha aur ye assassins nahi the iss baat ki usse khushi zaroor thi.
Par...
Wo iss waqt wounded tha, saath hi dhuye me 10 bando se ladna kaafi mushqil kaam tha. Yadi jagah badi hoti tab toh koi baat hi nahi thi. Par jagah thi sakri ekdum. Wo corridor lambaayi me bada tha, chaudaayi me nahi. Bas yahi par dikkat aa rahi thi aur saath me maujood woh ziddi dhua jo hattne ka naam nahi le raha tha.
Veer bas wait kar raha tha unke aane ka. Kyuki wo jaanta tha ki yaha usse khud ki energy aur movements ko ekdum kam karke rakhna hoga warna wo utni hi jaldi thakega, uska blood loss firse chalu ho jaega aur ant me nateeja ~ Behoshi.
[It will be very difficult. Tumhaare reminder ke liye bata du, you have 1100 points now.]
'Yeah!'
Veer lambi lambi saasein le raha tha aur uski nigaahe ekdum saamne ki orr focused thi. Mann me hi wo Pari se bhi baatein karta jaa raha tha.
[You know... Tum mission abort kar ke bhaag sakte ho.]
'No! Mission me iss baar koi penalty nahi dii gayi hai. Iska matlab hai ki... Yadi mein ye mission chorrta hu, toh I will lose you.'
[I know. Toh tum system ke liye ye karoge?]
'Baat system ki nahi hai. Yadi meri saari skills saare points bhi le liye jaaye badle me toh bhi mein de dunga but I'll never lose you. NEVER!'
Maano Pari ko iss baar ek jhatka sa laga tha ye sunn ke. Wo iss waqt Veer ke andar itne strong emotions ko feel kar paa rahi thi ki uski bolti hi band ho gayi thi. Wo strong emotions the Pari ko kabhi bhi na khone ke.
[Y-You... Idiot!!]
'Yeah! I am! Still, I won't lose you!'
[T-Tum... ]
Aur Pari kuch bol hi na paayi.
'They are coming!'
[Huh!? Don't lose your focus, stay calm, apne movements ko kam se kam rakho, unke attacks unpe hi deflect karo, try karna ki unme se koi bhi tumhaare chest par attack na kar paaye because you're wounded there. And... And...]
Pari ek ke baad ek apni advises rakhte jaa rahi thi, Veer ke resolution ne jaise usse iss baar majboor kar diya tha ki wo uski help kare aur Veer ko kuch bhi hone na de. Kuch bhi nahi.
Wo saare ke saare bande ek saath aaye aur iss baar unn sab ke haatho me koi na koi hathiyaar tha.
That means, this fight was worse.
*Whooooossshhhh*
Ek saamne se aati rod ko Veer ne peeche uchak ke dodge kiya aur fir...
*Whoooosssshhhh*
Left se aati ek stick ko...
*Swoooooosssshhhh*
Right se aata ek bat...
Unn teeno ko dodge usne jese tese kar liya aur uske baad hi usne pehle bande ko attack kiya.
*Pooooowwwwwww*
Ek back fist punch seedha uske gaal pe aur wo aadmi ghumte hue peeche lage mirror me jaa bhida.
*Craaaashhhhhhh*
Sheesho ke tukde ek baar fir zameen par bikhar gaye.
Veer ne uss bande ko chorr dusre ko dekha aur uske kareeb jaate hi...
Double kicks!!!
Veer ne hawa me hi uss bande par do kicks maari seedha uski chhaathi par. Pehli kick toh uski chaathi par chadhne aur usse dhakelne ke liye thi par dusri kick itni strong thi aur itne force ke saath jadi thi Veer ne ki wo aadmi itni dur peeche jaake gira ki pal bhar ke liye uske saathi bhi Veer ko thoda darr ke dekhne lage.
[Noooo!!! Noooooooo!!! I told you na... Apni movements kam rakho. You cannot lose your energy too much. Tumhara chest aur dukhne lagega.]
Aur wahi hua, Veer ke chest me dard badh chuka tha.
Wo lambi lambi saasein lete hue wahi khada tha par abhi bhi uske mann me dridhta kaayam thi.
He will never lose Pari!
Aur shayad uska ye behaviour kahi na kahi Pari ko andar se touch kar gaya.
[Run idiot! Just forget it! Tum aur chotil mat ho.]
'Hahaha~ Are you caring for me now?'
[YOU IDIOT!!!! Ye samay nahi hai inn faaltu baato ka. Fucking run, yadi unhone tumhe pakda then wo tumhe zinda nahi chorrenge. It's a fucking trap! Run away you fucking idiot... You cannot lose your life just l...]
'Huh!?'
[Run you idiot!!!! I said run... Mauka hai abhi! You will live... Ek baar me tumhaare dimaag me kuch nahi ghusta kya???]
'Shut up!'
[Huh!?]
'I said shut up! Mene keh diya na... Chaahe kuch bhi ho jaaye, I won't lose you!'
[Y-YOU... DAMN YOUUUU!!!! FUCKING STUPID, IDIOT, YOU... YOU... CARELESS MORON!!!!]
Pari ke chillaane par wo bas muskuraaya aur waapas se ladne me busy ho gaya. Dard toh ho raha tha kyuki movements ki wajah se bleeding firse shuru ho chuki thi.
[You stupid fucking brat... Mene kaha na ki bhaago yaha se, samajh nahi aata kya?]
'Go to sleep mode!'
[Huh!?]
'I said go to sleep mode! Now!'
[N-Nooooooo! No you can't... Not at this time... Noooooo!!!!]
'Just go!'
[Damn youuuuuu!!! Fucking... Shit!!!!]
Pari Veer ke order ko neglect nahi kar sakti thi. Yadi veer ne koi order diya tha iska matlab usse karna hi tha. Beshaq, wo pissed off thi iss harqat par lekin wo kuch nahi kar sakti thi.
[System has entered into the sleep mode.]
Veer ne ye keval isliye kiya tha kyuki wo energy save karke rakhna chaahta tha. Pari ke instructions kaam ke toh the par iss waqt Pari khud uski chinta me bad-bada rahi thi aur aise me Veer ki energy aur zyaada lose ho rahi thi. Iss kaaran se Veer ko ye risk lena pada.
Par shayad ye utna sahi decision nahi tha kyuki...
"Maaro saale ko..."
Wo saare uspe toot pade. Veer se jitna ho sakta tha usne utna unke attacks deflect kiye, par fir bhi uss sakri sii jagah me koi na koi uspe peeche se vaar kar hi de raha tha.
Nateeja - uska aur chotil hona. Ab uski saasien ukhdi ukhdi chal rahi thi. Kisi bhi waqt wo exhaust hoke neeche gir sakta tha. Par tabhi jaise saamne khade kuch aadmi aapas me baat karne lage.
"Boss ne kaha tha ki unke side se jo bhi mile usse hum pakad ke le aaye. Wo Kaera naam ki ladki toh bhaag chuki hai. Behtar yahi hoga ki hum iss ladke ko le chale."
"Tumne sahi kaha. Yaha zyaada derr rukna sahi nahi. Baahar maujood unko bhi ye khabar dedo ki hum iss ladke ko lekar peeche ke raaste se nikal rahe hai. Aur unhe bhi yahi kehna ki wo bhi chakma deke peeche ke raaste se nikal aaye. Hume apne raaste ka route nahi pata lagne dena hai unhe."
"Theek hai!"
Aur wo sabhi Veer par ek baar fir toot pade. Veer koi robot nahi tha. Wo bhi ek insaan hi tha. Wo utna hi ladd sakta tha jitni uski limit thi. Aur shayad aaj wo apni limit par pohuch chuka tha.
Jab ek vaar uske peeche se uss stick se uske sarr par pada toh Veer ki aankhein apne aap band ho gayi. Par behoshi me jaane se pehle usse ye zaroor sunaayi diya tha.
*Ding*
[Mission - Confront the gang has been completed.]
[You have been rewarded 1000 points.]
Aur...
*Thud*
Wo fir dhadaam se neeche ki orr gir pada jaha kuch jagah kaanch ke tukde pade hue the. Kuch kaanch ke tukde toh pakke se uski skin me ghus gaye honge.
"Saala ladka tha ki kya tha? Poore laundo ki vaat laga ke rakha hua tha ye ek ladka. Mann toh kar raha ki saale ka yahi game baja du, par boss ne keh ke bheja hai ki koi bhi mile usse utha laana. Chalo, jaldi se ab... Uthao isse aur peeche ke raaste se van se niklo. Mein inform karke aata hu baahar se."
"Okay!"
Aur Veer ka shareer unhone uthaya aur peeche ke raaste se uske haath perr baandh ke van me ghused diya.
Unke ek aadmi ne baahar ladd rahe bando ko inform kiya toh sabhi ishaara samajh gaye ki waqt aa chuka tha yaha se rafu chakkar hone ka.
Baahar ki duniya bilkul wese hi chal rahi thi, kisi ko kuch nahi pata tha ki andar uss venue me kya ho raha tha.
Jassi apne saathiyo ke saath ladd raha tha aur apni baaki ki team ke aane ka wait kar raha tha. Wo jaanta tha ki Veer waha akela tha aur sach kaha jaaye toh wo bhi thoda Veer ke liye pareshan tha. Aur jald se jald uski madad ke liye andar jaana chaahta tha. Par saamne khade do Assassins aur kuch aadmi unn par jese haavi pad rahe the.
Tabhi achanak hi dherr saari gaadiyo ki awaaz aayi aur baahar se andar ki orr kayi saare aadmi aane lage.
Ye Jassi ki baaki ki team thi aur unke saath hi ek copter bhi aaya hawa me udte hue, ye Kishor dwaara bheji gayi poori team thi. Aadmi itne the ki pal bhar ke liye unn Assassins ki bhi gaand phatt gayi thi.
Ye toh plan me nahi tha unke. Wo toh yaha surprise attack karne ke liye aaye the na? Fir plan fail kese ho gaya? Ladki bhi bhaag gayi, unke aadmi bhi chotil ho gaye, aur toh aur opponent ne itne saare aadmi aur alag se bhi bulwa liye? Kya chal raha tha ye sab?
Par wo nahi jaante the ki inn sab ko anjaam dene waala ek hi ladka tha. Wo tha ~ Veer!
Jassi : Finally... Ek minute!? Copter? Ye helicopter toh... Boss ne bheja!?? Kahi Miss ne toh!?? Yadi aisa hai toh Veer ko definitely bachaana hoga.
Jassi ne dekha ki wo Assassins ki team bhaagte hue andar jaa rahi thi.
'Shit!'
Wo andar jaane ke liye hua tabhi do aadmi uske kareeb aaye.
"Jassi Sir!"
"Oye Suno!"
Jassi : Huh!?
Pehla aadmi : Jassi sir! Bade sarkaar ne bheja hai mujhe. Aapki help ke liye.
Jassi : Mujhe laga hi tha. Mein theek hu, tum log jald se jald andar jao. Andar kisi ko madad ki zaroorat hai.
Pehla aadmi : Jii!
Aur wo pehla aadmi apni team ko leke andar chala gaya.
Jassi : Aur tum kaun ho?
Dusra aadmi : Wo sab ka time nahi hai. Ye batao, ye Veer kaha hai!?
Jassi (frowns) : Veer se tumhara kya kaam?
Dusra aadmi : Hum yaha uski madad ke liye aaye hai. Wo kaha hai?
Jassi : Wo wahi andar hai. Par tum logo ko kisne bheja?
Dusra aadmi : Ye bataana mein zaroori nahi samajhta. Chalo re!!!
Aur wo aadmi Jassi ko yu chorr ke andar apne saathiyo ke saath chala gaya.
Isme koi shaq nahi tha ki ye aadmi kisi aur ke nahi balki Suhana ke bheje gaye aadmi the.
Sabhi aas liye andar toh gaye the lekin jo khabar unhe waha mili wo bilkul bhi sukhad khabar nahi thi.
Veer laapata tha. Uska koi thikaana nahi mil raha tha.
Jaise ekdum se gaayab ho gaya tha woh. Andar bas unhe neeche pade kuch behosh aadmi, jagah jagah bikhre hue toote hue sheeshe ke tukde, kuch khoon ke nishaan, kuch hathiyaar hi nazar aaye bas.
'Shit!'
Ye ek bad news thi. A very bad news. Jis haalat me Kaera waapas gayi thi, yadi usse ab iss baat ka pata lagega ki Veer ko wo pakad ke le gaye hai toh kya hoga? Jassi shayad kuch kuch jaan chuka tha.
'Mein abhi Miss ko ye baat nahi bata sakta. Hargiz nahi!'
Jassi : Tum sab... Jao! Dhundo aas paas. Jitna dur jaa sakte ho jao aur copter ko saath leke jao. Chhaan maaro sab aur Veer ko dhund ke laao. Kese bhi. Okay? Wo ek white shirt pehne hue tha. Tum dekh ke pehchaan jaoge usse. Miss ke saath dekha hoga tum logo me se kisi ne usne.
Pehla aadmi : Jii! Mein abhi search shuru karwaata hu.
Aur sabhi Veer ki talaash me jutt gaye.
Idhar wo dusra aadmi bhi side me aake kisi ko phone lagaaya.
Aadmi : Hello?
Toh dusre side se kisi lady ki awaaz aayi,
Lady : Haan bolo!
Aadmi : Madam! Yaha aane par pata laga hai ki wo veer toh gayab hai. Usse utha ke shayad log le gaye hai.
Lady : Shit!!! Toh waha kya chal raha hai abhi?
Aadmi : Koi aur bhi log hai jo uski talaash me jute hue hai.
Lady : Accha theek hai, tum aas paas ussi area me raho. Wo venue chorr do par rehna uske aas paas hi. In case yadi mujhe tumhaari zaroorat padi toh mein tumhe forun hi wahi ke wahi bhej dungi.
Aadmi : Jii madam! Mein aadmiyo ko leke yahi aas paas filhaal theher jaata hu. Fir jaisa bhi ho aap bata dijiyega!
Lady : Alright!
*Call ends*
Aur call cut hote hi wo lady jo apni ek rocking chair par baithi hui thi apne ghar me wo khadi hui aur khidki ke nazdeek aate hue usne apni saheli ko call kiya.
Lady : Hello!
Toh dusri taraf se uski saheli ki awaaz aayi jo aur koi nahi balki Suhana hi thi.
Suhana : Haan Divya bol!
Aur ye lady uski saheli, Divya!
Divya : Mujhe abhi abhi pata chala hai ki wo Veer jiske liye tumne mujhe aadmi bhejne bola tha wo gaayab hai. Matlab shayad log usse utha ke le gaye hai kahi. Aur uski search me koi aur log bhi lage hue hai jo mere aadmi nahi hai.
Suhana : WHAAAAAATTTT!!? Wo... Wo Veer ko utha ke le gaye!??
Divya : Yes!
Suhana : Damn itttt!!! Shittt!! I knew it!!! Wo SLOGAN hai... Kya socha tha usne!? Damn it!
Divya : Kya kaha tumne? SLOGAN!? Did you really..!?
Suhana : Ahh! Yes! Sorry Divya! Mein tumhe bataana bhul gayi.
Divya : Bataana bhul gayi? Are you insane Suhana? Tumhe pata bhi hai wo kaun hai? Aur mene yaha apni normal team hi bheji hai. Not the experts okay? It's like mein unhe maut ke muh me utaar rahi hu.
Suhana : I'm sorry yaar! But uss time mein kaafi kuch soch rahi thi. Bataana bhul gayi. But abhi wo important nahi hai. Important ye hai ki hume kese bhi kar ke Veer ko dhundna hai. That idiot... Mene kaha tha... Ki apni college life enjoy karo, don't get into this... But ye hai ki... Shit!!! Kya karu mein iss duffer ka... Saara matter mujhpe chorr deta hai... Idiot!!!
Divya : Suhana!?
Suhana : Haan!?
Divya : Tum... Aren't you caring a little too much for him? Kaun hai akhir ye Veer? Jisne meri Suhana tak ko iss qadar worry karne par majboor kar diya? Or... Is something going on between you and him? Haan?
Suhana maano Divya ki iss baat se thoda jhep sii gayi.
Suhana (blushes) : Wh-Whaattt!?? N-Nooo! He's just a... just a business partner. Nothing else. Aur mazaak band karo. And apne aadmiyo ko bol ke rakho ki wo wahi ruk ke rahe.
Divya : Hahaha~ Looks like mujhe milna hi padega uss se. And don't worry, mene pehle hi unhe bol diya hai. Kuch bhi ho, call kar dena. If needed, I'll send more people.
Suhana : Thanks a lot Divya!
Divya : Haan haan chal chal! Isme kya thanks. Now good night! Mujhe ek report bhi banaani hai abhi. Will talk to you later.
Suhana : Hmm~ Good night!
*Call ends*
Aur inn baato ke saath Suhana ne phone rakh diya. Wo kaafi tension me lag rahi thi. Aur mann hi mann na jaane kaun kaun sii gaaliya Veer ko diye jaa rahi thi.
Par itna zaroor jaanti thi wo ki yadi Veer Slogan ke changul se baahar aaya toh iska matlab tha ki zaroor Veer kuch uss se chhipa raha tha.
Jiska khulaasa wo kar ke hi rahegi.
***
SLOGAN'S hideout...
Hua wahi jo hona tha. Jassi aur unki team, Suhaa dwaara bheje gaye aadmi Veer tak pohuchne me nakaam the. Ya yu kahe ki wo thoda late ho gaye, jis kaaran se Veer ko bandhi bana ke wo sab SLOGAN ke hideout pohuch chuke the.
Aur ye hideout wahi pichla waala nahi tha. Ye koi naya hideout tha uska.
Veer iss waqt ek chair se bandhe hue tha. Uske haath perr sab kuch bandhe hue the. Aur wo abhi bhi behoshi ki haalat me tha.
Jab achanak se...
*Splaaaaasssshhhhh*
"Ughhh!!!!"
Dherr saara paani uske chehre par aake pada aur usse hosh aaya.
Usne apni palke kayi baar jhapkaate hue saamne dekha toh sabse pehle uske mann me awaaz padi,
[You are awake! Thank God you are awake! I can feel it. Dard abhi bhi hai tumhe... Bleeding has stopped once again. But uska treatment bhi zaroori hai. Pulse theek hai, tumhaari breathing bhi sahi hai. Thode boht kaanch ke tukde skin me lage hue hai. These bastards... Tell me! How do you feel?]
Wese toh Pari sab kuch feel kar sakti thi par fir bhi wo shayad Veer ke muh se sunn'na chaahti thi.
Veer ka dard shayad badh raha tha. Aur issi kaaran usne apni aankhein dobaara band kar lii.
[Heyyyy! T-Tell me... Tum sunn rahe ho na??]
'....'
[H-Heyyyy!!! Oye!!! Suno... Tell me... Tell me you are good!!! Veeeeerrr!!!]
Aaj pehli baar tha jab iss Pari ne Veer ko uske naam se pukaara tha. Aur iss baar Pari ki awaaz me bhi desperation saaf jhalak raha tha. Wo kitna bechain thi, uski awaaz me saaf maalum pad raha tha.
[Veeeeerrr!! Are you listening...? Tell me!!!]
Aur tabhi Pari ko wo awaaz sunaayi dii jisse sunn'ne ke liye wo tadap rahi thi.
'I'm fine!!!'
[Haaaashhh! Finally!! I-I see... Okay! Aur bol kyu nahi rahe the? Muh me dahi jama ke baithe tha kya?]
Uski baat sunte hi Veer ke muh par ek muskaan fel gayi. Pari waapas se apne rang roop me aa chuki thi. Par ye baat bhi jhutlaayi nahi jaa sakti thi ki usse Veer ki boht chinta thi. Veer ke liye bas yahi kaafi tha.
'Don't you hate me? Ab care kyu dikha rahi ho? Haan!?'
[Wh-Whaaat!?? N-Nooo!! W-Who cares for you?? I-I don't hmph!!!! Wo toh mein aise hi... Ahem!! *Cough* And wait a minute, tumne mujhe sleep mode me daala kese? Are you insane? Tum jaante bhi ho wo kitna critical moment tha? Aur tumne kitna bura decision liya tha wo karke?]
'I needed energy...!'
[Huh!?]
'Tum boht badbada rahi thi. Aur mujhe energy ki sakht zaroorat thi. I couldn't afford to waste my energy.'
[Ahem! Well that... Anyways! Wo sab baatein chorro... Aur saamne dekho. I think hum boht badi problem me phass chuke hai.]
Pari ki baat sunn Veer ne jab apna sarr uthaate hue saamne dekha toh uske saamne ek jaana pechchaana shaks saamne aaya.
SLOGAN!
Wo poore suit coat pehne taiyaar baitha tha. Shareer pe ek black suit aur aankho par ek chashma.
Usne chashma utaara aur Veer ko dekha.
Slogan : Ek baar firse Welcome! And look at you... Kisne ek baar firse mera plan barbaad kiya hai? Tumne Veer... Hahahahaha~ Toh? Kesa lag raha hai Veer? Mera plan fail karke? Mera matlab mene toh surprise attack rakha tha Kaera ko paane ke liye par mujhe pata chalta hai ki waha ka tamaam intezaam kharaab ho chuka hai aur mera target bhi bhaag chuka hai. Fir mere aadmi tumhe yaha laake paroste hai ye kehte hue ki tum hi iss plan ke failure ka mukhya kaaran ho. Toh? Batao! Kesa lag raha hai do baar mera plan fail karte hue? Feeling proud? Strong? Confident? Hmm?
Slogan ke sarcastic question ka Veer ne koi jawaab na diya. Wo bas uski orr nidarta se dekhta raha. Jese maano Slogan se usse koi darr mehsoos nahi ho raha tha.
Aur kahi na kahi Slogan ko ye baat irritate kar gayi.
Wo kareeb aaya aur usne Veer ke geele baalo ko pakad ke kheechte hue uska chehra uthaaya aur uski aankho me dekhte hue bola,
"Tumhe pata hai? I hate that stare! Jab jab log mujhe aise dekhte hai na? Bina mere khauf ke... Mein unka boht hi bura haal karta hu. Boht bura! Aur tumhara bhi jald wahi haal hone waala hai. Samjhe? Countdown shuru ho chuka hai tumhaara Veer."
Aur Slogan ne fir Veer ke baal chorre aur zorr se ek ghusa uske gaal par jada.
*Pooooowwww*
Ghusa boht tezz tha. Aur kyuki Veer sthir tha toh wo seedha jaake ekdum sahi spot par pada tha, jis kaaran se Veer ke muh se khoon nikal aaya.
[This bastard....!!!]
Still, wo zara bhi nahi ghabraaya aur na hi dagmagaaya. Uski nigaahein abhi bhi kisi baaj ki tarah SLOGAN ko ghur rahi thi jese maano abhi shikaar karne ke liye planning kar rahi ho.
Aur Slogan Veer ki aankho ko dekh baar baar gusse me aa raha tha.
Slogan : Tumhaari ye aankhein toh mein nuchwa ke jangli kutto ko khaane ke liye dunga Veer. Bas dekhte jao.
Tabhi peeche khade ek aadmi ne Slogan ki taraf kadam badhaaye aur uske kaan me aake kuch baatein boli.
Aadmi : Boss! Aapne mujhe pichle do saalo se uss Kaera ladki ke peeche lagaaya hua hai. Aaj jab ye ladka chotil hua tha na, toh aaj mene pehli baar uss Kaera ko rote hue dekha. Aaj tak mene usse kabhi iss haal me nahi dekha hai. Iska matlab ye ladka uske liye koi khaas hai.
Slogan : Ohhh!???
Aadmi : Jii Boss! Wo ladki, apne bodyguard ke saath bhi nahi jaa rahi thi aur iss ladke ke paas rukne ki zidd kar rahi thi.
Slogan : Ohhh! Samjha!! Maan'na padega Veer! Tum me kuch khaas baat toh hai. Tabhi toh mera Aatish bhi yu haar baitha. Kaera jaisi ladki tumhaari deewaani bann baithi, batao. Warna Kishor se zyaada acche se mein uski beti ko jaanta hu. Wo kabhi bhi kisi bhi ladko ko ghaas nahi daalti thi. Aur tumhaare liye wo ro padi...!? Surprise!!! Hahaha~ Ab tum hi mera kaam asaan karoge Veer!
Veer : ....
Slogan : Yadi Kaera tumhaare liye itni care dikha rahi hai toh mein daave ke saath keh sakta hu ki wo tumhe bachaane ke liye zaroor aaegi. Kese nahi aaegi? Jab tum mere qabze me ho ab. Hahaha~ Steve!!!!
Steve : Jii Dada!
Slogan : Zara khaatirdaari toh karo hamaare khaas mehmaan kii.
Steve : Jii Dada!
Slogan (jaate hue) : Dhyaan rahe! Wo marrne na paaye. Aur behosh bhi na ho paaye. Samjhe?
Steve : Aap nishchint rahiye Dada!
Aur Slogan waha se chala gaya.
Steve : Ladke log! Aao, zara apne haath saaf karlo. Kaun kaun maar khaaya tha waha pe? Aao, apna badla lelo.
Wo aadmi toh jese baithe hi hue the, jo jo Veer ke haatho se Mirror gallery me pita tha wo poore naye josh ke saath khade hue aur apni hatheliyo ko malte hue uski taraf nafrat bhari aankho se aage badhne lage.
[Damn you bastards....!!! Damn it! Damn it! Damn it!!!!!!!]
'Pari!'
[H-Huh!??]
'Open the quests!'
[A-Are you sure!?]
'Yes!'
Veer apna sarr jhukaaye Pari se baat kar raha tha aur aane waale hamlo ke liye khud ko taiyaar bhi kar raha tha. Pari itna chintit thi ki uski awaaz bhi ladkhadaane lagi thi ab.
[I'm... I'm opening...]
Aur Veer dwaara diye gaye nirdesh par Pari quests ko open karne lagi. Veer ke paas iss mission ke 1000, pichle mission ke 900 aur pehle ke 200 points bache hue the.
Yaani ki total 2100. Jinhe shayad wo ab quests par lagaane waala tha.
Aur tabhi Veer ke gaal par ek tezz ghusa aake laga.
*Poooooooowwwww*
"Maadarchod! Mujhe maara tha haan? Le behanchod saale haramkhor....!"
Aadmi apna gussa barsaate hue uss par toot pade. Veer pehle se hi chotil tha aur ek baar aur usse iss kadar maara jaa raha tha.
[Damn you morons! You fuckers!!! I'll kill you.... Shitt!!]
*Ding*
Aur tabhi treasure khula aur usme se ek card baahar nikla.
[You have recieved a Trash Card.]
[Fuccccckkk!! Damn it! I told you not to take risk. Ab dekha na?]
Par Veer kuch na bola, wo bas maar sehta raha aur harr guzarte pal, Pari aur zyaada bhavuk hoti jaa rahi thi.
'Keep going on!'
[Shitttt!!!]
*Ding*
[You have received a Trash Card.]
[Fuckkkkk this.... Damn ittttt!!! 1700 points bache hai. You sure you want to keep going on?]
'Go on!'
[B-But...!]
"Ye le maadarchod! Boht uchak raha tha na waha toh, le na saale. Kaha gayi teri ab hekdi? Nikal gayi na hawa behanchod."
Aur abhi bhi aadmi usse peetne me lage hue the. Pari ka gussa saatve aasmaan par tha. Lekin wo kuch nahi kar sakti thi. Bas Veer ko pitate hue dekhne ke alaawa uske paas koi upaay nahi tha.
Pari ki haalat aisi thi maano usse kisi jail me band kar diya ho aur jail ke baahar uske kisi apne ko peeta jaa raha ho. Bilkul aisa hi mehsoos kar rahi thi abhi woh.
*Ding*
[You have recieved a Trash Card.]
[Damn youuuu!!! I knew it! This is risky. 15% chances hai Legendary cards ke, of course ghanta kuch milega hume. Damn it!!]
'Do it!'
[Lekin...!]
'I said do it!'
[Ugh! Fine!]
*Ding*
[You have received a Trash Card.]
*Ding*
[You have recieved a Trash Card.]
[Fuck this shit!!!!]
*Ding*
[You have received a Trash Card.]
[Fuck! Paagal hai kya ye? Is something wrong? 900 points hi bache hai. Are you really...]
'Keep going on...!'
[Damn it! Fine!!!]
*Ding*
[You have received a Trash Card.]
Aur uske paas ab 700 points hi bache hue the jab...
*Ding*
[You have received a Legendary Card.]
[This... Omg!?? No waayyyyyyy!!!]
Aur Pari ke reaction ki awaaz sunn, iss baar maar khaate hue bhi Veer ke hontho par ek muskaan thi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hii guys!
Dhanyavaad!
Like thok ke jaane ka aur apne comments rakhne ka.![]()
Extraordinary update bro
Superb update bhai as always.....
Superb Update
आनंद उठाए....
Nice update...
Thanks a lot guys!Fantastic mind-blowing update