• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,202 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 13.1%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,448

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,070
259
Last edited:

Update - 35 ~ The Deadliest Trap

Ab tak...

Aur jab saamne nazar padi... Toh...

Ek yuvak peeche khada hua tha. Jisne patthar fek uss aadmi ke sarr pe maar, usse yu gira diya.

Par Veer ki nazar jese hi uspe padi uski aankhein hairat ke maare felti chali gayi...

Veer : G... Goluuuu!???

Golu : Huh!?? Arre... T-Tum...!?

Ab aage...

*Vrrrrroooooooooooooommmmm*

Aaj ki iss Diyo se jagmag raat me jaha jagah jagah log tyohaar ka aanand utha rahe the, toh wahi Arohi aur Kavya apni scooty me baith uss sunsaan raaste me ghar ki orr bhaagti jaa rahi thi.

Dono ki dhadkane train ke maafik tezz ho chuki thi. Jab jaan par aati hai toh acche accho ki haalat kharaab ho jaati hai, badan thande pad jaate hai. Fir yaha toh wo dono ladkiya thi. Upar se aisa kuch bhi unke saath pehle kabhi ghatit nahi hua tha aur na hi unhone aisa kuch kabhi apne saamne dekha tha. Ekdum se jab aaj itni saari vaardaate unke saath hui toh bhaybheet hona toh swabhaavik tha.

Kavya sehami sehami sii aasu bahaate jaa rahi thi aur Arohi ke kandhe par apni chin rakhe uski kamar me zorr se haath baandhe hue thi.

Tabhi achanak...

*Tip*

'Huh!?'

Usse apne gaal pe kuch geela geela mehsoos hua.

Maano jese laga ki upar aasmaan se paani ki ek boond giri ho uske chehre pe aa kar.

Aur ek baar fir...

*Tip*

'??'

Usse fir ye andaaza lagaane me samay na laga ki ye paani ki boond kaha se aa rahi thi.

Kavya : D-Dii?? *sniff*

Ye Arohi ke aasu the. Jo hawa ke kaaran uske gaal se udd ke peeche jaa ke Kavya ke gaal se jaa takraaye the.

Ye abhaas hote hi ki uski badi behan bhi aasu baha rahi hai, Kavya aur zorr zorr se rone lagi aur Arohi ko bheench lii.

Unki scooty ab chowk tak aa chuki thi. Aur iss ilaake me aate hi ab jaake dono ko thodi raahat sii mehsoos hui. Kyuki yaha ujaala hi ujaala tha, Chahal pahal thi, raunak thi, raaste se aati jaati gaadiya thi, log the jo apne manoranjan me lage hue the.

Paas hi unhe ek thaana bhi dikha, par iss waqt Arohi seedhe ghar jaana chaahti thi. Usne soch liya tha ki ek baar ghar pohuch jaaye uske baad police ko inform karegi taaki wo jald se jald Veer ke liye madad leke jaa sake. Wo ye bhuli nahi thi, ki wo Veer ko waha akela kis situation me chorr kar aayi thi.

Aaj apne aap uski aankho se aasu beh rahe the. Kyuki abhi ki ghatna ne usse poora andar tak jhakjhor ke rakh diya tha. Bhale hi wo apne chehre par dikha nahi rahi thi, par andar se wo itna zyaada darri hui thi even Kavya se bhi zyaada. Par wo badi thi, aur yadi wo hi apna darr show karne lagti toh uski choti behan ka kya hota?

Bas isliye, Arohi andar hi andar sab dabaaye thi.
Ab jab wo uss situation se baahar nikli toh usse samajh aaya ki aakhir kitna affected thi wo uss situation me. Aur wo yadi abhi sahi salaamat apni scooty par apni behan ke saath baithi hui thi toh aaj ye keval ek hi shaks ke kaaran mumkin hua tha.

Aur wo tha ~ Veer.

Wahi Veer jisse wo hamesha ek cold shoulder deke chali jaaya karti thi. Rookha rookha vyavhaar karti thi uske saath. Kabhi baatein nahi karti thi. Kabhi uske baare me nahi sochti thi. Usne humesha se hi Veer ko ek stranger ki tarah treat kiya tha.

'Arohi Dii!? Wo hamaara bhai kehlaane ke laayak hi nahi hai.'

'Arohi uss se dur raha karo. Warna uske saath rehna kahi tumhe bhi affect na kar de. Harqate toh jaanti hi ho tum uski.'

'Dii! Aap hi dekhiye. Hum sabhi bhai behno me kitni acchi acchi qualities hai. We are talented. But ussi jagah Veer ko dekhiye. Kya wo kahi se bhi hamaara bhai lagta hai? Wo ek loser hai dii. Maana ki hamaara cousin hai, par Bhumika dii ko dekhiye aap ussi jagah. Wo bhi toh cousin hai hamaari. Par kitni alag personality hai unki. Isliye aap dur hi raha karo uss se.'

'Arohi! Kabhi socho ki tum apni high class friends ke beech ho aur achanak hi Veer waha aa jaaye aur kuch na kuch harqat kar de. Kya sochengi tunhari friends? Kitna embarassed feel karogi tum? Toh aisi situation kabhi na bane uske liye behtar hi ki uss se dur raho. Dekho, khud Tau jii bhi apne bete ko pasand nahi karte. Matlab gadbad Veer me hi hai. Ye toh uske liye khushkismat ki baat honi chaahiye ki uske iss ravaiyye ke baad bhi hum usse ghar par jhel rahe hai... Warna...'

Apne dono bhai, Pranjal aur Vivek ki baatein iss waqt Arohi ke mann me goonj rahi thi. Aur inhi baato ko liye wo aankho se aasu bahaaye road me apni gaadi bhagaaye jaa rahi thi bas.

Na jaane kitne beete saalo se yahi baatein uske mann me daali jaa rahi thi. Jiske chalte, Veer ko anjaan ki tarah treat karna usko ab normal lagne laga tha. Usse kahi se bhi ye galat nahi lagta tha. Lagta tha jese Veer ko aise hi treat karna sahi hai. Jese maano kisi samaaj ka niyam follow kar rahi thi wo. Kabhi kuch galat nahi laga.

Aur ye sab aaj bhi usse normal hi lagta yadi...

Yadi uss din usne college me Kavya ko Veer ki baaho me na dekha hota toh...

'Ye Kavya ko achanak kya ho gaya?'

Uss din wo issi sawaal ko liye poori raat tension me thi. Bhala uski choti behan, jo aaj tak uski hi tarah Veer se baat nahi karti thi. Wo bhala achanak uski baaho me!? Kyuuuu???

Ye kisi jhatke se kam nahi tha uske liye...

Par usse kya pata tha ki Kavya ghar me chori chori Veer se thodi boht baatein zaroor kar liya karti thi jo wo nahi karti thi.

Usse yaad tha kese uss din Veer Kavya ko uski class chorrne bhi gaya tha. Usse yaad tha ki uss din wo kitna badla badla sa lag raha tha.

Aur uss din ke baad toh jese usse na jaane kya kya jaan'ne ko mila tha.

Kavya uske liye kapde khareedne lagi thi, uske liye gifts khareedti. Derr raat raat tak usse messages bhej baatein karti...

Aur ye sab kuch ghatit hote hue wo apni aankho ke saamne dekh paa rahi thi.

'Kyuuuuuu!??? K-Kya mein hi galat thi? Vivek bhaiya aur Pranjal kyu kehte the aisa fir? Kyu aaya wo hume bachaane? Ek call pe hi wo aa gaya. Wahi Pranjal ka phone busy tha toh Vivek Bhaiya ne uthaaya nahi. Par usne... Kavya ka phone ek ring me utha liya... Aur... Itni jaldi wo waha par tha. Na jaane kitni tezz bike chalaayi hogi usne waha pohuchne ke liye. Mein... Mein...'

Aaj apne aap uski rulaayi chooth padi. Aaj Apna naam Veer ke muh se sunte waqt uske raungte khade ho gaye the. Kyuki wo jaanti thi uss awaaz me kitni chinta thi, kitni ghabraahat thi.

Aur ye chinta Veer ki unn dono ke liye thi. Sawaal wahi tha.

Akhir Kyuuu???

Anek prashn liye wo akhir kaar apni manzil par pohuchi...

Kismat se Ragini aur baaki sabhi porch me hi usse mil gayi.

Ragini : Arre!? Aa gayi tum dono!? Aao...! ??? Y-Ye kya??? Tum dono ke chehre ka rang kyu udaa hua hai aise? K-Kavya!?? Ro kyu rahi ho tum? Arohi tum bhiii!??

Jese hi unki dasha Ragini ne dekhi wo hadbada ke baahar aayi. Wo aur Suman iss waqt Veer ko hi dhund rahi thi kyuki achaanak wo bina kuch bataaye ghar se nikal gaya tha aur phone bhi nahi utha raha tha. Zaahir sii baat thi wo sabhi chintit thi.

Arohi : Bh-Bhabhi!!! Wo...

Uske baad Arohi ne shuru se ant tak saari baat bata dii, jisse sunn kar Ragini samet sabhi tension me aa gayi.

Ragini : Hey Bhagwaan! Tum dono theek toh ho na? A-Aur Veer??? W-Wo waha akela hai?? N-Nahi!!

Wo agle pal hi bhaag ke apna phone uthaayi aur police ko call kii.

Aaj tyohaar ka ye mahaul itna tension se bhar gaya. Sabhi ke chehre par bas darr, ghabraahat aur bechaini thi.

Aur sabhi police ka intezaar karne lage. Arohi aur Kavya toh jese tese bach gayi thi. Par yahi baat Veer ke liye kehna thoda mushqil tha.

***

"Arre...!? T-Tum!??"

Veer ke saamne iss waqt ek shaks khada tha, jis se Veer train me mila tha.

~Golu.

Par ye waqt uske liye sochne ka nahi tha. Golu ke aane se jo aadmi Veer ko peeche se daboche hue tha, uska dhyaan bhi bhatak chuka tha.

Aur issi ka fayda uthaate hue, Veer ne apni kohni seedha uski pasli me de maari...

"Aaaarrrrghhh!"

Wo dard ke maare karaaha aur apni pasli pakad jhuk gaya aur...

*Pooooooooowwwwww*

Ek zordaar ghusa uske gaal par aake pada jo usse poora hila ke rakh diya.

"Fuccckkk youuuu!" Next second hi, Veer ne full taakat se ek kick aur jadd dii uske pait me.

Aur wo banda peeche jaa gira.

Golu bhaagte hue uski taraf aaya. Veer ne dekha ki ek cycle zameen par padi hui thi jiska pichla chaka halka halka abhi bhi ghoom raha tha. Matlab Golu yaha cycle se guzar raha tha aur usne jese hi ye sab dekha toh madad ke liye aa pada.

Golu : Arre Bhai... Tum firse?? Aur ye chakkar kya hai? Saare aadmi tumhaare peeche kyu lage hai? Theek toh ho? K-Kya tha ye sab?

Veer : M-Mein theek hu. Boht boht shukriya, meri madad karne ke liye. Uss din train me bhi tumne... Par tum yaha? Wait! Kya hi ittefaaq hai ye...!? Uss din bhi tumne hi mujhe bachaaya tha aur aaj bhi...

Golu : Haha~ Kismat bhai. Jab jise mila de. Wese naam toh yaad hai na mera? Tumhara toh Veer hai.
Mujhe yaad hai.

Veer : And tum Golu!? Mujhe bhi yaad hai...

Golu : Hahaha~ Bilkul! Chalo yaad toh hai kam se kam. Par ye sab!? Kya tha?

Veer : Kuch Dushmani hak meri inse shayad. Jo ye mere parivaar ke peeche pade hai. Teh tak jaana padega mujhe iski. Na jaane kaun hai inn sab ke peeche.

Golu : Ohhh!

Veer : Par tum yaha...!? Sunsaan raaaste me!? Wo bhi... Cycle me!?

Golu : Apna kya hai Bhai... Uss din mein bhi apne gaav ke liye nikla tha, train se. Kyuki wahi apniichh janmbhumi hai. Apna koi haiich nahi. Aashram me pala bada, fir 18 baras ki umr ke baad paisa kamaane idhar Mumbai aa gaya. Suna tha paisa kamaana hai toh mayanagri jao. Haha~

Veer : ....

Golu : Mein idhar hi peeche ek hotel hai. Udhar kaam karta hu. Khaana peena wahi ho jaata hai. Rehne ka koi na koi jugaad ho hi jaata hai. Aaj Diwali ki kharchi lene gaya tha. Bas ab jaake hotel ke hi kuch dost log hai unke saath Diwali manaunga.

Veer : Ohhh!! Tumhari zindagii bhi... Kaafi...

Golu : Zindagi ka kya hai bhai. Ek din upar jaana hi hai. Tab tak jitne maze le sako le lo. Ek accha jeevan guzaaro aur kya. Apna toh ek hi sapna hai...
Hamesha se chaahta tha ki ek aisho araam ki zindagi jiyu. Par... Saala kismat hiich gaandu nikli haha~

Veer (smiles) : Kismat gaandu hi hoti hai.

[W-What master!?? Bhuliye mat... Mera aapke andar aana bhi kismat hi thi. Kismat ko aisa na boliye... Master!]

'Ohh really now!?'

Tabhi achanak hi Golu ne apna haath aage badhaaya aur Veer ki taraf kiya...

Golu (smiles) : Wese toh tum kisi bade ghar ke lagte ho. Par yadi mujh jeso se tumhe dikkat na ho toh... Aaj se hum dost!???

'Huh!?'

Aaj...

Aaj ye pehli baar tha, jab Veer ki taraf kisi ne apni taraf se dosti ka haath badhaaya tha. Kabhi kisi ne bhi uska dost bann ne ki pahal nahi kari thi. Ye jaante hue bhi ki Veer kisi na kisi pareshani me rehta hai aur uske paala khatarnaak aadmiyo se hai, fir bhi aaj Golu ne uski taraf ye dosti ka haath badhaaya tha.

Aise me...

Golu : Huh?? Oo bhai... Tum ro kyu rahe ho? Arre mein itna bura bhi na hu yaar
... Tum toh... Dekho bhai aisi beizzati na karo yaar...

Veer (hasste hue aasu pochh kar) : Nahi... Wo *smiles* Iske pehle kabhi kisi ne mera dost bann'ne ki koshish na kari... Aaj ye pehli baar hai. Isliye... Isliye... Bilkul... Aaj se hum dost hue...

Aur agle hi pal Veer ne kass ke Golu ka haath thaam liya.

Golu : Itna bhaavuk ni hote bhai... Zindagi me chill maarne ka... Aur kisi ne haath nahi badhaaya toh kya hua? Ab mene toh badha diya hai na? Haha~

Veer (smiles) : Hmmm!

Dono ko aaj ek naya dost mila tha. Jaha Veer Golu ka abhaari tha aur uske raviyye se impressed tha wahi Golu bhi iss baat se khush tha ki Veer jesa bade ghar ka ladka aaj uska yu dost ban gaya tha.

Par jese...

Dono ki iss khushi par kisi ki nazar lag chuki thi.

Kyuki agle hi pal...

Jhaadiyo me se 5 se 6 aadmi nikle aur Veer aur Golu pe toot pade...

Sab kuch itni jaldi hua ki dono ko kuch sochne ka time hi nahi mila. Do se teen bando ko jhelna toh Veer wese bhi kaafi hadd tak handle kar leta. Par 5 se 6!?

Ye toh namumkin jesa kaam tha uske liye. Uske stats abhi itne nahi the.

Golu bhi koi fighter nahi tha. Wo dubla aur lamba sa ladka tha. Ladaayi bhidaayi se shuru se hi dur rehne waala.

Nateeja obvious tha.

Jaha Golu ko maar maar ke unhone behosh kar diya tha toh wahi Veer kuch pal unse ladd waha unka saamna karta raha. Par...

Wo outnumbered ho chuka tha.

Enemies zyaadi thi, aur wo akela.

[Maaaasttteerrrr!!!]

Pari ki chinta janak awaaz aayi toh sanket samajh Veer muda par...

*Thud*

Uske sarr ke peeche se ek vaar aaya aur wo sarr pakad neeche girne laga...

[Noooooo
! Maaastteeerrr!!]

Aankhein uski band hone lagi...

Behoshi me jaane se pehle usse bas ek hi awaaz mann me sunaayi dii...

*Ding*

['Mission : Save Kavya and Arohi before it gets too late' has been completed.]

[40 points have been rewarded.]

'K-Kavya... Arohi...' Mann me wo apni behno ke baare me soch... Behoshi me chala gaya.

***

Aadmi 1 : Wo toh accha hua hum chhipe hue the. Jaldi nipat gaya maamla.

Aadmi 2 : Sahi kaha! Aur Bhau ne ekdum sahi kaha tha. Ki inn 4 logo se kaam nahi ho paega. Isliye unhone hume bhi bhej diya. Aur dekho... Unki baat ekdum sahi nikli.

Aadmi 1 : Hmm! Ab inka kya karna hai? Mujhe phone aaya unka, wo bata rahe hai ki wo dono, unn dono ladkiyo ko pakadne me nakaam rahe.

Aadmi 4 : Karna kya hai? Bhau ne toh pehle hi hume bataaya tha ki hume iss ladke ko nahi pakadna hai. Iske aas paas ke log yaani iske chaheeto ko pakad ke laana hai.

Aadmi 5 : Ekdum sahi kaha. Wo do ladkiya bach gayi toh kya hua. Ye dekho... Ye ek aur ladka pada hai yaha. Isne iss ladke ki madad kii... Matlab zaroor ye iska koi khaas hai, aur isse jaanta hai. Warna aise koi apni jaan khatre me nahi daalta. Aur dono haath bhi mila rahe the abhi.

Aadmi 3 : Haan! Isse uthao.

Aadmi 1 : Aur iss ladke ka kya!?

Aadmi 3 : Usse wahi pade rehne do. Bhau ne uske liye hi toh Jalsa me taiyaariya kii hai. Hume keval iss ladke se matlab hai. Ab jaldi chalo, wo dono ladkiya police ko lekar yaha zaroor aaengi.

Aadmi 6 : Jalsa!?? Baap re! Iss bande ki shaamat aayi hai lagta.

Aadmi 4 : Hmm! Zindagi me kuch bhi kar lo, par bhool ke bhi Bhau se panga na lo. Iss ladke ne anjaane me hi ek aisi jagah khud ko daal diya hai, jaha iska vinaash nishchit hai. Ab chalo jaldi...

Aur wo sabhi aadmi Golu aur apne aadmiyo ko waha se uthaa ke nikal gaye.

Veer idhar road ke kinaare besudh sa dala hua tha.

***

Raat ke 10 baj chuke the. Jab achanak hi Veer ko apne chehre par kuch geelapan sa mehsoos hua.

Aur wo apne hosh me aaya.

Dekha toh paaya ki...

Wo apne bed par tha. Aur uske ird gird, Ragini, Kavya, Arohi, Suman, Aabha, Sonali ye sabhi khadi hui thi.

'Huh??'

[Aap behosh ho gaye the master. Luckily, wo aapko wahi chorr ke chale gaye. You know... I was so worried... *sniff* Mein... Mein... Abhi aap kesa feel kar rahe ho? Wait! Mein khud hi check kar leti hu. You should rest.]

Kavya : Bhaiyyaaaaaaaaa!!!!

Kavya aage badh Veer se lipat gayi. Uski aankho me abhi bhi aasuo ki boonde saji hui thi.

Veer mehsoos kar paa raha tha ki Kavya ke dil ki dhadkan kitni tezz thi. Wo dekh paa raha tha ki Arohi ke chehre par tak aasuo ke nishaan the. Ragini aur Suman ki aankhein bhi nam thi. Aabha bhi chintit nazar se dekh r
ahi thi. Sonali bhi usse bauhe sikode dekh rahi thi.

Usse abhaas ho raha tha ki ye sabhi log uski kitni parvaah karte hai.

Kavya : Bhaiyaaaaaaa!!! *sniff* *sniff*

Veer : Mein yaha!?

Arohi (aage aate hue) : M-Mein bataati hu...

Uske baad Arohi ne sab kuch bataaya.

Kese wo ghar pohuchi, kese Police ko Ragini ne
inform kiya, Police aayi aur Kavya Arohi ko leke uss jagah par pohuchi jaha Veer unhe bachaana aaya tha.

Kese unn ne Veer ko waha behosh paaya aur yaha ghar waapas laaye. Police aasvaashan dete huye ki wo apni jaach jaari rakhenge keh ke chali gayi. Ye saari baatein Arohi ne Veer ko bata dii.

Veer : I see...!

Arohi : Wo...

Veer : Hmm???

Arohi : N-Nothing... Tum rest karo.

'Mere kaaran aaj ye sabhi tyohaar bhi na mana paaye.'

Ragini : Veer tum rest karo. Okay!

Veer : Mere kaaran aap sabhi... Aaj tyohaar bhi...

Ragini : Don't even think about that okay? Tyohaar toh harr saal aata hai Veer. Tum zyada zaroori ho ya tyohaar!? Rest karo okay!?

Kavya : Bhaiya! Aap bistar se nahi nikloge. Rest karo. Mein aapka dhyaan yahi rakhungi.

Ragini : Nahi Kavya! Veer ko kuch derr akela rehne do. Usse neend ki zaroorat hai. Mene doctor ko bhi inform kar diya hai. Wo aate hi honge...

Suman : Maali... Ahem! Veer jii! Apna dhyaan rakhiyega. Koi bhi pareshani ho toh mujhe awaaz laga dena. Mera kamra aapke bagal se hi jo hai. Ragini jii ko pareshan karne ki koi zaroorat nahi. Mein hu na.

Aur sabhi uske kamre se baahar nikal gaye. Aaj bechaara Veer itna bada parv Diwali na mana saka. Ek ke baad ek jese uski zindagi me bas pareshaniya hi likhi hui thi. Na jaane kab uski zindagi me khushiyo ki bauchhaar aaegi!?

***

'Wait!!! G-Golu? Golu ka kya hua? Wo bhi toh wahi tha!? Uska kya hua? Bechaara wo bhi mere kaaran...'

Sochte hue Veer derr raat bistar se uth khada hua.

Par jese...

Ye ghabraahat kam thi? Jo ek aur awaaz ne uski iss ghabraahat ko badha diya...?

*Ding*

[Mission : Get to Golu as fast as possible and save him.

Rewards : ?? Points.
Location : Jalsa Building. xxxxxxx road, near xxxxxxx route.
Time Limit : 19 hours.
Mission Fail Penalty : 100 Points Deduction.]

'N-Noo... No... Noooo Nooooooooooo...'

Mission padhte hi Veer apne bistar par gir pada.

'Nooooooo... Wo meri wajah se... Wo...'

Par jese ye sab kuch bhi kam tha uske liye jab achanak hi uska phone baj utha. Ek unknown number se call.

Veer : H-Hello!??

Voice : Hello! Wese... Hello kehne laayak mahaul toh nahi hoga tumhaare liye Haha~ Kyu!? Jhatka laga na?

Veer (frowns) : K-Kaun!?

Voice : Kaun hu, Kya hu ye sab baad me jaan jaoge apne aap. Tumne ek boht badi galti kar dii. Anjaane me hi kari par galti toh galti hoti hai. Hai na? Aur galti kii hai toh saza toh milti hi hai. Hai na?

Veer : ??

Voice : Toh ye tumhaara dost hai na!?? Kya naam hai iska!??

Veer : Huhhhh!??? G-Goluuuuu!?

Voice : Ohhh! Toh Golu hai iska naam. Haa toh tumhara ye Golu mere qabze me hai. Wese toh mein tumhari unn do behno me se ek ko uthaane waala tha par... Ye bhi bura target nahi hai. Haha~

Ye sunte hi Veer ke raungte khade ho gaye. Ki uski behne kitni badi musibat se bach ke baahar aayi thi. Warna na jaane kya hota Veer ka.

Veer : N-Nahiiiii! No..... Tummmm...

Voice (gusse me) : Kal! Kal raat 8 baje... xxxxx route par xxxxx road hai. Udhar ek dhalaan waala raasta milega. Andarr jaate jaana, aur ek building dikhegi.
Tumhaare swaagat ke liye waha bade se aksharo me Jalsa likha hoga. Police ko khabar karne ka koi fayda nahi hai. Wo mere naam se hi kaapte hai. Fir bhi bataana chaaho toh bata lena, par tumhaare dost ki guarantee fir mein nahi lunga. Yadi apne dost ko bachaana chaahte ho toh kal..bataayi gayi jagah par pohuch jaana... Warna...

*Call ends*

Veer ko maano saanp sungh gaya tha. Wo agle pal apna sarr pakad, baal kheechne laga.

'Nooooo!!!! Nooooooo!!! Ye sab kyaaa... Mere kaaran aaj sabhi Diwali nahi mana paaye... Aur bechaara Golu... no no no no noooo... Jiska koi kasoor nahi tha... Wo... Aaj mere kaaran... Arohi ya Kavya bhi uski jagah ho sakti thi... Sab kuch mere kaaran... Kaash... Right... I... I shouldn't have existed... I shouldn't have... *sniff*'

[Maaaaaaaasttteeeeeerrrrrrrr!!!]

'Huh!?'

[Please master! Don't get demotivated. Mein hu aapke saath. Aisa kabhi mat sochiyega. I'm always with you. Aap akele nahi ho. We... We will save Golu, just like we saved Arohi and Kavya. Ghabraaiye mat Master... Please! Mein aapko aise nahi dekhna chaahti. Aapki himmat tootate hue... Because, it hurts me too... Pleaassee! Be strong Master. Mein aapke harr ek kadam par aapke saath hu.]

'P-Pariii!??'

Pari ki baato ne jese apna asar kar diya tha. Kyuki agle hi pal Veer ne aapne aasu poche aur usne nishchay kar liya.

'Right! We... We will save him... We will... Pehli baar koi dost bana hai. *smiles* Mein usse kuch nahi hone dunga. I don't know ye kaun hai aur kyu meri family ke peeche pada hai. But... Mein apni family aur friends ko kuch nahi hone dunga. Right!!'

[That's the spirit master!]

'Mere stats dikhaao Pari!'

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 45/100
Appearance - 22/100]

'Hmm! Mere paas 90 points available hai. Mein... Mein unhe add kar sakta hu right?'

[Yes but changes subah dekhne ko nahi milenge master. Changes ke liye night time zaroori hai. Raat ke 12 se subah ke 8 tak. Abhi raat ke 2 baj chuke hai. Aapko points add 12 ke pehle karne the, tab jaake subah 8 ke baad aapko changes dekhne ko milte.]

'I see! Well koi nahi. Ab Golu ko bachaane ke baad hi... Mein ikhatte points invest karunga. I will save him.'

[As you wish Master. It's time to rest.]

'Yeaaaahhhh!!'

***

Diwali ki agli raat...

Aaj ke iss din sab kuch band rehta hai. Market se leke sab kuch...

Yaha tak ki aaj ke din akhbaar waale bhi chhutti lete the. Aur aaj ki iss raat Veer ek building ke saamne khada hua tha.

Samay 7:55 ho raha tha.

Usse uss aadmi ne 8 baje ka bola tha.

Building ek sunsaan sii jagah hi bani hui thi. Behad badi, aur kaafi puraani lag rahi thi.

Uski banaavat bhi puraane tareeko se kii gayi thi. Modern kahi se nahi lag rahi thi woh...

Saamne ek bada sa lohe ka gate tha. Aur upar LED lights se likha hua tha.

JALSA

'Bhala kesi jagah hai ye!?'

[It looks old master. Par saath hi saath modern touch bhi hai.]

'Yeah!!!'

Wo yaha keval ek shirt pehne aur neeche jeans daale poora prepared hoke aaya tha.

Uske jeans me ek lighter tha, saath hi saath wahi pocket knife bhi dali hui thi. Aur Kuch cash bhi tha.

'Hang in there.... Golu! Tumhe kuch nahi hoga. Tumne meri jaan do baar bachaayi... Now it's my time to save you.'

8 baj chuke the...

Aur...

*Ring* *Ring*

Wahi unknown number dekhte hi Veer ne call uthaaya,

Veer : Mein pohuch gaya hu. Aage batao.

Voice : Ohhh!? Itna confidence? I like it... Andar aao. Darwaaza khula hai.

*Call ends*

Ek lambi saas lete hue Veer ne apne dhadakte dil ko thoda calm karte hue aage badh, darwaaze ko khola...

*Creeeaakkk*

Par andar aate hi...

Ekdum ghapp andhera tha...

Kuch kadam wo chala ki tabhi peeche ka darwaaza apne aap band ho gaya.

'Huh???'

Aur uski calmness yu pal me gaayab ho gayi.

*Badump*

Andhera itna tha ki usse kuch nazar nahi aa raha tha.

Poora kaala andheraa... Ekdum shaant mahaul...

Aur tabhi Veer ne apne jeb se lighter nikaal usse jalaaya...

*Click*

Lighter ki maddham aag ki roshni se jese hi usse saamne ka nazaara nazar aaya toh uske raungte khade ho gaye...

Saamne toh kuch nahi tha...

Par...

Neeche...

Dherr saare laal rang ke gubbaare dale huye the. Yadi ye scene kisi horror movie ka hota toh aadmi ki dekh ke hi phat jaati.

Aur Veer toh khud waha uss situation me tha.

'Y-Ye...!?'

Tabhi achanak...

*Tuck*

Ekdum se kisi button ki awaaz aayi aur Veer ke saamne LED lights se bade se akshar jagmaga uthe...

Likha hua tha..

WELCOME

'????'

Wo kuch soch paata ki tabhi...

Uske kaano me ek awaaz padi...

*Clap* *Clap* *Clap*

"Welcome! Welcome! Jalsa me tumhaara swaagat hai.... Veeeerrrr!!!"

Ye awaaz upar lage intercom se aayi. Ek kaale rang ka box tha jo basically school aur colleges me classrooms me lagaaya jaata hai announcement ke liye.

Veer : ??? Tum... Mera naam...

Voice : Bilkul! Bilkul! Mein toh tumhaare baare me sab jaanta hu. Akhir tumne itna pareshan jo kiya hai mujhe. Itna pareshan ki mujhe tum jese chuho se khud deal karna pad raha hai batao.

Veer (chillaate hue) : Golu kaha hai!???

Voice : Shaant! Usse dhundne toh tumhe khud aana padega. Wese mein tumhe lighter dene waala tha par dekh ke accha laga ki tum poore intezaam se aaye ho.

Veer (frowns) : What do you mean ki mujhe usse dhundna padega!?

Voice : Tumhaara dost third floor par hai. Yadi bacha sakte ho toh bacha lo... Sab kuch tumhaare upar hai... Teesre floor par pohuchne ke liye teen padaav paar karne hai. Sabse pehle bagal me lagi lift me jao. Aur first floor ke liye button dabaana. Dhyaan rahe... No cheating... Pehli manzil yaani pehli manzil... Yadi baaki buttons dabaayi aur yadi... Current ka jhatka lagne se tumhaari maut ho gayi... Toh... Tumhaara dost bechaara... Hahahaha~

Veer (screams) : Daaaaamnnnnnn yooouuuuu...

Voice : Hahahaha~ Yahi toh pasand hai mujhe... Logo ki tadap, ghabrahat, darr...

Veer : Kyuuu??? Kya bigaada hai mene tumhaara? Kyuu kar rahe ho ye sab meri family ke saath? Mein toh tumhe jaanta bhi nahi hu... Fir kyuuuuu??

Voice (gusse me) : Shyaaana banta hai saale!? Club se tu hi uss ladki ko bhaga ke le gaya tha na? Bol!?? Uss Ragini ko bachaane bhi tu hi aaya tha na?? Bol?? Aur uss anguthi ko bhi tu hi chhina ke laaya tha na??? Haan? Ab samajh aaya tujheee!?? Bol!!!! Harr waqt tu kahi na kahi mere plan ke beech me aaya hai. Aur tere kaaran... Tere kaaran mere plans bikhar ke reh gaye... Maatr ek chuhe ke kaaran... Saza toh banti hai. Nahi?

Ye baat sunte hi Veer ko ek zordaar jhatka laga. Aur usse jese ateet yaad aane laga. Jese usse sab kuch samajh me aane laga.

'Huh? N-No way... Ragini Bhabhi... W-Wo ladki... Wo ring...'

[Iska matlab harr kartoot ke peeche ye aadmi ka haath tha master. Yahi hai jo hamaari family ke peeche pada hua hai. We have to take him down.]

Aur tabhi Veer ke kaano me ek jaani pehchaani sii dhun padi...

Jisse sunte hi uske haath kap kapaane lage...

Intercom se hi wahi mouth organ ki awaaz aa rahi thi aur ye wahi dhun thi jo Veer ne uss din club me suni thi.

'N-Nooo... Ye... Ye toh... It was him!???'

Ye abhaas hote hi uski aankhein shock ke maare felti chali gayi. Akhir wo banda Aatish tha.

Aatish : Aahhh! Waqai! Mera pyaara mouth organ hi mere gusse ko kaabu me karta hai.

Veer (shivers) : T-Tumm... Tum...

Aatish : Ohhh! Mujhe jaante ho? Koi baat nahi. Aur acche se jaan jaoge... Jese tumhaari... Kya naam tha uska... Haa! Ragini mujhe jaan gayi. Aaahhhh! Kya scene tha uss din... Uska rona... Uske pati ka apni zindagi ki bheek maangna... Kya toda tha mene uss din usko andar se...

Veer : Bh-Bhabhiii!???

Aatish : Haan! Aahhh maza aa gaya tha uss din.
Mujhe logo ka vishwaash todne me boht maza aata hai. Pata Veer!? Matlab boht zyaada... Jab... Jab unki wo shaqal banti hai na, baad me jab unka vishwaash toot'ta hai, aur fir wo bina koi aasha waala chehra banaate hai na... Wo... Usse dekh ke na... Usse dekh ke na... Pata nahi kyu par... Par mujhe boht zyaada sukoon milta hai. Kya gazab ka chehra banaaya tha uss Ragini ne... Ab toh poori tarah se toot gayi hogi... Aur yahi tumhaare saath hone waala hai... *smiles*

Veer : Tumne... Tumne ye sab kiya tha... I... I will kill you... Mein tujhe chorunga nahi haraam zaade...

Aatish : Lift me jao aur pehla padaav paar karo... Ye bilbilaana baad me... Tumhara samay shuru hota hai ab...

Na chaahte hue bhi, Veer ko akhir lift me jaana hi tha.

Andar ghuste hi lighter ki koi zaroorat nahi thi. Kyuki lift me lights on thi.

Lift ke andar sab kuch normal dikh raha tha.

Isliye ahista se Veer andar gaya aur jesa ki bataaya gaya tha usse first floor par jaane ke liye. Veer ne theek wesa hi kiya.

Lift ka darwaaza band hua aur lift chalna shuru ho gayi.

Par...

Aadhe raste me hi jese wo ruk sii gayi.

'There's something wrong... Hmmmm!???'

Khatre ka abhaas hote hi Veer ki nazar upar gayi aur...

*Hissss*

Ek ajeeb sii gas leak ki awaaz usse sunaayi dii...

Upar dekha toh paaya ki upar lift me kahi se gas leak ho rahi thi.

Bina ek second gawaaye...

'Check'

[Description : Fluothane gas. Ek baar inhale karte hi behosh kar sakti hai. Common cases me vomiting, nausea, breathing problems. Worst case - Death.]

'Shiiitttttttt!!!!'

Veer ko jese hi realize hua ki wo kya tha, maano jese uska dil baahar ko aa gaya tha.

*Badump* *Badump*

Dil ki tezz dhadkan control kar usne upar firse dhyaan diya toh dekha...

Upar kuch wires guccho me maujood the.

[Cover your mouth master.]

Pari ki salaah sunn Veer ne forun hi muh pe rumaal baandh liya...

Tabhi neeche ki floor se intercom se firse Aatish ki dheemi awaaz aayi,

"Sahi soch rahe ho. Hahahaha~ Unn saare wires me se keval 3 hi wire hai jo lift ki upar lagi gas machine ko rok sakte hai. Kaam simple hai. Sahi wire kaato, aur machine band karo. Wese itni jaldi behosh nahi hoege tum. Kyuki mene concentration uska thoda sa kam rakha hai. Aur haa... Wire kaatne ke liye... Neeche chaaku pada hai. Good luck! Hahahaha~ "

Veer (screams) : Daaaamnnnnnn youuuu....

Veer ne apni khud ki pocket knife nikaali aur...

'Wait! Mein wires ko check kar sakta hu. Mujhe harr ek kaatne ki zaroorat nahi hai.'

[Right master!]

'Check!... Ye nahi...'

'Check... Not this...'

'Check... Shiitttt!'

.
.
.
.
'Check'

[Description : One of the wires of the gas machine.]

'Mil gaya...'

*Cuts*

Aur kuch hi palo me Veer ko teeno wire mil chuke the. Jese hi usne teeno wire kaate...

Machine apne aap band pad gayi...

Halaaki halki sii gas Veer inhale kar chuka tha jiske chalte khaasi aur uske seene me dard shuru ho chuka tha. Yaha tak ki uska ab ulti karne ka bhi mann kar raha tha.

Aur lift ke chaalu hote hi first floor par pohuchte hi wo lift se baahar nikal neeche gir pada.

Apna seena dabaaye wo tezz tezz saasein le raha tha.

[Master! Are you okay??? Maaasteerrrr!!!]

'Haaah! Haaahhh haaaahhh haaaahh!!! Pariiii...'

*Cough* *Cough*

[Mein... Aap... Aap ko breathe karne me problem ho rahi hai master.]

'It's... It's okay Pari... I'm fine...'

[But...]

'Mene kaha na... *Cough* I'm... I'm fine...'

'I will kill him... Mein usse nahi... *Cough* nahi chorrunga... Golu... Mein tumhe bacha ke rahunga...'

Aatish (claps) : Maan na padega... Ki tumne meri umeed se kahi zyaada accha perform kiya. Toh? Taiyaar ho? Agle padaav ke liye? Saamne ek kamra hai. Kamre ke baahar ek laal button hai. Usse dabao... Darwaaza khul jaega.

Ladkhadaate hue Veer bina kuch kahe aage badha aur button dabaayi toh darwaaza khul gaya.

Par...

Andar aate hi usse ek behad hi bhaiyankar darr ki anubhooti hui. Jese maano uski maut aane waali ho. Usse nahi pata tha ki agla padaav uske liye kya kuch laane waala tha. Kya wo waqai Golu ko bacha paega!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like.
 
Last edited:

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,070
259
Awesome update with some action

Super duper update

golu kaha se aagaya?
kya hoga wo du ladkiko?
kya interesting update tha. thanks vai

Bhai ekdam fadu update hey
Bole to ekdm makhannn mafik
Aur ye kon log inke piche pade hey,
Bhai nidhi ko itna mat satao...

Zabardast thriller update bro par update buhut jaldi khatam ho gya

Ye update hai ya us ka baxha hai 2 din intizar bhi karo to maza nhi aata itna chota update parny ka.

Romanchak update bhai...waiting for next update eagerly...

Lajwab update bhai maza aaya pdh ke

Super bro nice

Superb Updatee

Mera kehna sahi thaa. Veer ka next mission Kavya aur Aarohi ko safe karna hi thaa. Par mission abhi bhi adhura hai. Par yeh Golu kaun hai jisne patthar fheka uss aadmi ke upar.

Yeh Pari ko kuch hua hai kyaa woh aise ajeeb sa behave kar rahi hai. Pari ek system hai toh kya koi virus ka locha hua hai kyaa yaa phir Pari ke andar feelings aagayi hai aur woh Veer ko pasand karne lagi hai aur isi wajah se ajeeb sa behave kar rhi hai.

Shaandar update bhai

Nice update

Amazing superb update bro what an art you got of writing you tied everyone with story to ultimate lvl that no one get bored and everyone enjoyed your updates so pls give updates fast

Superb update bhai and waiting for next thrilling update

Really amazing 🤩

Zabardast update

Mere bhai kahani ki jitni bhi tareef.karun wo bhi kam hai.. bas ek hi shikayat hai ki kahani bahut hi jayada slow chal rahi hai .... agar maine kuch galat kaha hai to usky liye .... sorry

Super update hai Bhai

Itni bandar ki tarah uchal khood ki par last mai hero ko bhi saviour ki jarurat padh hi gayi maza ayega ab dekhna hoga kitne points milte hai or kya veer higher lvl martial arts buy krega khud ki or apne chahne walo ki safety ke liye ya fir stats increase krega firse

Z

Zabardast awesome interesting maiend blowing update

maza a gawa thora or lamba dete:winknudge:

Excellent update

Superb and exciting update. Aarohiaur Kavya kya bhabhibke ghar pahunch paayengi. Kya veer dono gundon ko sambhal paayega.

Super se upar update bhai

Nice update

Nice update

awesome update..!!
dekhte hai ab yeh golu kaun hai..??

Mind blowing update bhai

Mast update bhai mujhe to lag raha hai ki pehle bala ladki aur uski ma veer ki sagi ma aur bahen hai... Aisa to nahi hai nidhi ma'am ki tarha veer ke mom ke sath bhi aisa hua tha... Golu aake to veer ko bacha liya ab jaldi hi usse nipatna hoga dekhte hain aage kya hota hai

Veer ki maa aur behen ne Diwali manayi jabki kuch bat he jo uski maa uske behen se chupa rahi he.Veer ne Nidhi ko bhi happy Diwali wish kiya lekin dono k mann me ek dusre ko leke kuch prashan he...kvaya aur aarohi ko veer ne bacha liya lekin veer bhi fasne wala tha.Golu me bachaliya veer ko..
Amazing update...

ह्म्म्म्म वीर को और पॉइंट्स चाहिए अपना मार्शल आर्ट्स स्किल को डिवेलप करने के लिए
अच्छा अपडेट था
बहुत ही बढ़ीआ

Very nice update

Nice update...

Super update
Ek bhot bada doubt h Golu hi kahi big boss to nahi h wo train main bhi mila tha yaha par bhi
Keep posting

awesome Update

Patakhe fodna ban hain me mods se pakdva dunga. Aur me bata du yaha ke mods bade harami manus hain.

Golu kar kya raha tha yeh time???
Kya Golu ko system ne bulaya tha???

Kya Golu aur Pari ka kuch chakkar hey?:dquestion:

Uff ab ye pari ko kya ho gaya. Patakhe to bed pe bhi footne chahiye werewolfji.

Awesome update

Awsome update once again
I think pari ke paas bhi feelings hai
Aur jis hisaab se uska master means veer phele din se hi use as a part of body maan raha tha or ek hisaab se veer ka pari le liye protective & possesive hona
Pari ko acha laga isliye uska veer ki tarf aakarshit hona swabhavik hai

Veer ki sauteli maa aur original mom milke veer ki baap ki pitai karna chahiye sab fasad ki jad wohi he.

Sare fasad ki jada wo alien pari ,soniya aur suhaana hai.. Pehle uski aisi ki taisi karni chahiye... Phir uske baad soniya aur us pagal suhaana ki :chop:
in teeno to naak mein dam kar ke rakh diya hai ... har roz ek nayi musibat :crazykill:

Superb update bhai

SUPER UPDAtE BRO

Nice updates bro

read the full story tonight . puri kahani me kahi bhi boriyat feel nhi hui .. agar kahani me mujhe sabse intresting seens lge vo the pari or suhana ki conversation . especially their reactions .. veer ki family ne jo uske sath kiya vo mafi ke layak nhi hai . ha agar koi naram dil insan ho jisne kabhi kisi se nafrat nhi ki ho uski baat alag hai .. hume ye bhi dekhne ko mila ki veer ki mom abhi zinda hai jinse vo mil bhi chuka hai bs dekhna te dilchusp hoga ki . veer khud unhe dhundne ki koshish karta hai ya fir accidentally hi unki meeting ek baar fir hoti hai ... l think last update me jin unknown girl and her moms ka jikr hua hai vo veer ki mom hi hogi .....

if my guess is right to me ye janne ke liye exciting hu ki kya veer ki mom ne dusri shadi ki ? veer ki real mom ki beti veer ki cousin hai ya fir real sister ?
ye sab baad ki bate hai filhaal to ye janna dilchusp hoga :confused:Will Veer be able to save kavya and arohi or not?

Fantastic updates as always , exciting storyline , selection of fabulous characters & curious to know more .. lets see what happens next

Superb Update a twist :what3:

romanchak update ..wo aurat jarur veer ki maa hi hogi ,aur shayad wo veer ke baare me hi soch rahi thi ,par apne beti ko apni pareshani nahi batayi .
nidhi aur shreya dono hi apne vicharo me khoye huye the ,aur dono ki soch bhi sahi hai waqt ke hisaab se .
shreya bojh nahi banna chahti nidhi pe uske paise branded cheejo me kharch karake .
wahi nidhi gumsum si hai kyunki wo sochti hai wo apne logo ke liye kuch kar nahi paa rahi .
veer ke message se khush ho gayi nidhi par sahi tarike se reply nahi kar paayi aur veer ko laga ki nidhi ab bhi usse naraj hai .

ye pari ke baare me itna kyu aur kya soch raha hai veer ,aisa kya kiya pari ne jo uspe doubt kar raha hai 🤔🤔..
kisika past jaanne ke liye uski jaan leni padegi ye kuch jyada hi danger ho gaya hai veer ke liye 😁..

ab ek naya mission aur usme bhi penalty points hai ,aarohi ko bachane ka .
kiske aadmi hai wo jo sirf aarohi ka pichha karke un dono ko pakadna chahte hai 🤔..
golu waise sahi waqt pe aa gaya aur veer ko bacha liya par kya veer ab faayda le payega us ek moment ka .golu koi fighter nahi hai to wo bhi fans jayega agar veer un asdmiyo ko maar nahi paya to .

Super update par ye pari ko kya ho rha hai aajkal khi zyada garam to nai ho gai aakhir he to machine wali hi

Kuch kahaniya aisi hoti jo bahut hi acchi hoti jaise ki ye kahani jo chal rahi ..... my favorite story....... baadshah... manhoos se mahan tak.... priyaarush A love story ...ye dono kahaniya adultry me hain

Fantastic updateb bhai

Mindblowing superbbb speechless update as always.........
keep posting bhai.........
waiting for next update............

Jabardust fabulous update Bhai

Super wonderful awesome update

Bahut hi badhiya update diya hai bhai...
Nice and excellent update...

Bahut hi badhiya update bro.
New character ki entry...
Maja aayega

Fabulous Update Bro.🔥

* Wo Aurat koi aur nhi Veer Ki MAA hai jo veer ke bare me soch rhi thi.

* This Story my favorite Cute Love Story Nidhi and Veer. ❤

* ye GoLu Kon Jisne Veer ki madad ki khai wo uska koi bhai to nhi yha uska koi khas dost but uska to koi dost nhi tha.

Dekhte hai aage kya likha hai samaye ke garbh me...... 🙏

Werewolf broo u r too awesome

Don't know why but I feel like that woman and her daughter is Veer's mother and sister :approve: Nidhi is very sweet and clean hearted, always helps everyone :love: but why is this always with her :sigh: Diwali is a festival of happiness but both that woman and Nidhi are sad :sigh2: Why is there sorrow in their life or they do not have the right to be happy, whatever the reason, I blame Veer :angry:
What should I say about Pari, she is hiding a lot, maybe we will come to know the truth when the time comes. :?: Today's scene was very good, enjoyed it, :cool: and who is this Golu? I felt incomplete, now let's see what happens next.
As always the update was great, You are writing very well, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...

Behtreen update bhai

Super update wolf bro

Wah Bahut mazaa aya ye update padhke

Umda lekhika ......" :applause: :applause:

Superb Update bro
Keep Posting

superb awsm update to gud plz plz plz update asap.
eagerly awaiting for ur update

Uff kamal krdiya ladke bhot mast updates the:rock1:
Suman is sucha alpha

:nope1: Veer ka alpha hona bhi Suman ki sangat ka asar hai u know what I mean :love1::booby2:
Abe ye Suhana to pure psycho:dscream::devil: hai
BUT cute as well :blush1:. Or dekho to maharani ko ek to ehsan kiya or over se bol rhi hai jayo maff kiya wtfff:lotpot:.
Chalo kuch to fyda hua.
ANA ko gussa aya. Musibat me padi kavya arohi. But koi ni apna hero haina:nokiss:. Pari weirdo :girlcry:but mastikhor to abhi bhi utni hi hai muje to fark ni laga.
Waiting veere

Hi buddy's sb kaise hain?
main thora busy hu in dinu jis wajha
se yahan time nhi de pa rha lakin umeed hai jald hi mulakat ho gi
tab tak k liye take care❤

Bohat he zabardast update veer jb b musibat me fasta hy to ye golu hamesha usse bachane pohnch jata zaroor pari ka golu se kuch connection hy aisa abi tk mujhe lagta hy or pari b kuch to chupa rahi hy veer se kher dekhte sch kia hy eagerly waiting for next

Badhiya update....

Waiting for next update

Superb update bro.... despirataly waiting for next update

Badhiya update

So as expected kavya and aruhi problem mai fas hi chuki thi but thanks to pari jisne time rehte veer ko inform kar diya chalo veer pahunch to gaya waha but wo 4 aur veer akela and usme bhi 2 log Phir se aruhi and kavya ke piche nikal chuke ab dekhte hai veer is problem ko kaise handle karta hai and kis tarah se aruhi and kavya ko save karta hai.
Is mission ke shayad Hume finally aruhi ki personality ke barey mai janne ko mile kya wo bhi veer ko pasand karti hai ya nahi.
And lagta hai veer ka pari ke behaviour ko lekar sonchna kahi na kahi sahi hai aur agar aise hai to veer ke liye ye challenging hoga ki wo kis tarah se isey handle karta hai.

Nice story bro.

Waiting for next update

Awesome update

Toh bai ab tuj kyu jalan ho rahi hai..likh wo raha hai..maza hame ah raha hai. Tum jaise kuch logo ki vajah se writer story likhna shod dete hai . Bai uski ki hoyi copy mat dekh . Uske likhne ka style dekh kitni mehnat lagti hai. Or han meri taraf se bhi sory agar bura laga ho toh...i know tum jay bai ki story pasand karte sab karte hai yr. But es storry ko bhi ek baar dheyan se pad

Bahot behtareen Shaandaar update bhai
Isbar ka mission h bada kathin poora huwa tow rewards or ager nahi poora huwa tow bahot bhari nuksaan
Dekhte h aarohi or kavya sahi salamat paoch payegi ya woh don biker un tak pahoch jayenge
Badhiya

Waiting Bhai

Today or tomorrow...

Update kab aayega sir

Superb update bro....
Waiting for next

Nice update

Wahhhhh jabrdast mindblowing superbbb speechless update.......
waiting for next update.......

Awesome update bhai keep posting

दोस्त हमारी कहाणी पढकर हमे सब लोग अच्छी बातें ही कहंगे यह बात कहना मुश्किल होता है ,जिस तरह एक हाथ की सभी उंगलियां भी अलग अलग होती है उसी तरह लोगो की सोच भी होती है ,जिसे जो बोलना है बोलने दो आप की कहानी लाजवाब है ,आप बस इसी तरह लिखते रहिए ,कहानी लिखना क्या होता है यह में बहुत अच्छे से जानता हूं ,पढ़कर कुछ भी लिखना आसान होता है पर कभी एक कहानी को लिखना क्या होता है यह तब समझ मे आता है जब आप खूद कुछ लिखते हो ,इसी लिए यहां पर पढ़ने वाले लाखों है पर लिखने वाले सौ भी नही है ।

Superb revo sanju bhai :applause: :applause:

Nice update...

Bhai next update kb ayega yrr

Aaj update aayega yeah🤗

Nice update

Aaj update aayega shayad ...?? Waiting bhai

Waiting eagerly!

Waiting for the update

Fir toh maza aa gaiga bhai....intezaar hai

Waiting for updat

Waiting sir ji

Sir g aap bhi enigma sir k guru hote jaa raje late night update ke regarding pls do something.

Or sir g naraj naa hona pls

Kitna time lagega sir ,agar jyada lagega to bta dijiyega morning mein padh lenge koi baat nahi.😁👍
Update 35 has been posted.
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,394
28,383
218
Update - 35 ~ The Deadliest Trap

Ab tak...

Aur jab saamne nazar padi... Toh...

Ek yuvak peeche khada hua tha. Jisne patthar fek uss aadmi ke sarr pe maar, usse yu gira diya.

Par Veer ki nazar jese hi uspe padi uski aankhein hairat ke maare felti chali gayi...

Veer : G... Goluuuu!???

Golu : Huh!?? Arre... T-Tum...!?

Ab aage...

*Vrrrrroooooooooooooommmmm*

Aaj ki iss Diyo se jagmag raat me jaha jagah jagah log tyohaar ka aanand utha rahe the, toh wahi Arohi aur Kavya apni scooty me baith uss sunsaan raaste me ghar ki orr bhaagti jaa rahi thi.

Dono ki dhadkane train ke maafik tezz ho chuki thi. Jab jaan par aati hai toh acche accho ki haalat kharaab ho jaati hai, badan thande pad jaate hai. Fir yaha toh wo dono ladkiya thi. Upar se aisa kuch bhi unke saath pehle kabhi ghatit nahi hua tha aur na hi unhone aisa kuch kabhi apne saamne dekha tha. Ekdum se jab aaj itni saari vaardaate unke saath hui toh bhaybheet hona toh swabhaavik tha.

Kavya sehami sehami sii aasu bahaate jaa rahi thi aur Arohi ke kandhe par apni chin rakhe uski kamar me zorr se haath baandhe hue thi.

Tabhi achanak...

*Tip*

'Huh!?'

Usse apne gaal pe kuch geela geela mehsoos hua.

Maano jese laga ki upar aasmaan se paani ki ek boond giri ho uske chehre pe aa kar.

Aur ek baar fir...

*Tip*

'??'

Usse fir ye andaaza lagaane me samay na laga ki ye paani ki boond kaha se aa rahi thi.

Kavya : D-Dii?? *sniff*

Ye Arohi ke aasu the. Jo hawa ke kaaran uske gaal se udd ke peeche jaa ke Kavya ke gaal se jaa takraaye the.

Ye abhaas hote hi ki uski badi behan bhi aasu baha rahi hai, Kavya aur zorr zorr se rone lagi aur Arohi ko bheench lii.

Unki scooty ab chowk tak aa chuki thi. Aur iss ilaake me aate hi ab jaake dono ko thodi raahat sii mehsoos hui. Kyuki yaha ujaala hi ujaala tha, Chahal pahal thi, raunak thi, raaste se aati jaati gaadiya thi, log the jo apne manoranjan me lage hue the.

Paas hi unhe ek thaana bhi dikha, par iss waqt Arohi seedhe ghar jaana chaahti thi. Usne soch liya tha ki ek baar ghar pohuch jaaye uske baad police ko inform karegi taaki wo jald se jald Veer ke liye madad leke jaa sake. Wo ye bhuli nahi thi, ki wo Veer ko waha akela kis situation me chorr kar aayi thi.

Aaj apne aap uski aankho se aasu beh rahe the. Kyuki abhi ki ghatna ne usse poora andar tak jhakjhor ke rakh diya tha. Bhale hi wo apne chehre par dikha nahi rahi thi, par andar se wo itna zyaada darri hui thi even Kavya se bhi zyaada. Par wo badi thi, aur yadi wo hi apna darr show karne lagti toh uski choti behan ka kya hota?

Bas isliye, Arohi andar hi andar sab dabaaye thi.
Ab jab wo uss situation se baahar nikli toh usse samajh aaya ki aakhir kitna affected thi wo uss situation me. Aur wo yadi abhi sahi salaamat apni scooty par apni behan ke saath baithi hui thi toh aaj ye keval ek hi shaks ke kaaran mumkin hua tha.

Aur wo tha ~ Veer.

Wahi Veer jisse wo hamesha ek cold shoulder deke chali jaaya karti thi. Rookha rookha vyavhaar karti thi uske saath. Kabhi baatein nahi karti thi. Kabhi uske baare me nahi sochti thi. Usne humesha se hi Veer ko ek stranger ki tarah treat kiya tha.

'Arohi Dii!? Wo hamaara bhai kehlaane ke laayak hi nahi hai.'

'Arohi uss se dur raha karo. Warna uske saath rehna kahi tumhe bhi affect na kar de. Harqate toh jaanti hi ho tum uski.'

'Dii! Aap hi dekhiye. Hum sabhi bhai behno me kitni acchi acchi qualities hai. We are talented. But ussi jagah Veer ko dekhiye. Kya wo kahi se bhi hamaara bhai lagta hai? Wo ek loser hai dii. Maana ki hamaara cousin hai, par Bhumika dii ko dekhiye aap ussi jagah. Wo bhi toh cousin hai hamaari. Par kitni alag personality hai unki. Isliye aap dur hi raha karo uss se.'

'Arohi! Kabhi socho ki tum apni high class friends ke beech ho aur achanak hi Veer waha aa jaaye aur kuch na kuch harqat kar de. Kya sochengi tunhari friends? Kitna embarassed feel karogi tum? Toh aisi situation kabhi na bane uske liye behtar hi ki uss se dur raho. Dekho, khud Tau jii bhi apne bete ko pasand nahi karte. Matlab gadbad Veer me hi hai. Ye toh uske liye khushkismat ki baat honi chaahiye ki uske iss ravaiyye ke baad bhi hum usse ghar par jhel rahe hai... Warna...'

Apne dono bhai, Pranjal aur Vivek ki baatein iss waqt Arohi ke mann me goonj rahi thi. Aur inhi baato ko liye wo aankho se aasu bahaaye road me apni gaadi bhagaaye jaa rahi thi bas.

Na jaane kitne beete saalo se yahi baatein uske mann me daali jaa rahi thi. Jiske chalte, Veer ko anjaan ki tarah treat karna usko ab normal lagne laga tha. Usse kahi se bhi ye galat nahi lagta tha. Lagta tha jese Veer ko aise hi treat karna sahi hai. Jese maano kisi samaaj ka niyam follow kar rahi thi wo. Kabhi kuch galat nahi laga.

Aur ye sab aaj bhi usse normal hi lagta yadi...

Yadi uss din usne college me Kavya ko Veer ki baaho me na dekha hota toh...

'Ye Kavya ko achanak kya ho gaya?'

Uss din wo issi sawaal ko liye poori raat tension me thi. Bhala uski choti behan, jo aaj tak uski hi tarah Veer se baat nahi karti thi. Wo bhala achanak uski baaho me!? Kyuuuu???

Ye kisi jhatke se kam nahi tha uske liye...

Par usse kya pata tha ki Kavya ghar me chori chori Veer se thodi boht baatein zaroor kar liya karti thi jo wo nahi karti thi.

Usse yaad tha kese uss din Veer Kavya ko uski class chorrne bhi gaya tha. Usse yaad tha ki uss din wo kitna badla badla sa lag raha tha.

Aur uss din ke baad toh jese usse na jaane kya kya jaan'ne ko mila tha.

Kavya uske liye kapde khareedne lagi thi, uske liye gifts khareedti. Derr raat raat tak usse messages bhej baatein karti...

Aur ye sab kuch ghatit hote hue wo apni aankho ke saamne dekh paa rahi thi.

'Kyuuuuuu!??? K-Kya mein hi galat thi? Vivek bhaiya aur Pranjal kyu kehte the aisa fir? Kyu aaya wo hume bachaane? Ek call pe hi wo aa gaya. Wahi Pranjal ka phone busy tha toh Vivek Bhaiya ne uthaaya nahi. Par usne... Kavya ka phone ek ring me utha liya... Aur... Itni jaldi wo waha par tha. Na jaane kitni tezz bike chalaayi hogi usne waha pohuchne ke liye. Mein... Mein...'

Aaj apne aap uski rulaayi chooth padi. Aaj Apna naam Veer ke muh se sunte waqt uske raungte khade ho gaye the. Kyuki wo jaanti thi uss awaaz me kitni chinta thi, kitni ghabraahat thi.

Aur ye chinta Veer ki unn dono ke liye thi. Sawaal wahi tha.

Akhir Kyuuu???

Anek prashn liye wo akhir kaar apni manzil par pohuchi...

Kismat se Ragini aur baaki sabhi porch me hi usse mil gayi.

Ragini : Arre!? Aa gayi tum dono!? Aao...! ??? Y-Ye kya??? Tum dono ke chehre ka rang kyu udaa hua hai aise? K-Kavya!?? Ro kyu rahi ho tum? Arohi tum bhiii!??

Jese hi unki dasha Ragini ne dekhi wo hadbada ke baahar aayi. Wo aur Suman iss waqt Veer ko hi dhund rahi thi kyuki achaanak wo bina kuch bataaye ghar se nikal gaya tha aur phone bhi nahi utha raha tha. Zaahir sii baat thi wo sabhi chintit thi.

Arohi : Bh-Bhabhi!!! Wo...

Uske baad Arohi ne shuru se ant tak saari baat bata dii, jisse sunn kar Ragini samet sabhi tension me aa gayi.

Ragini : Hey Bhagwaan! Tum dono theek toh ho na? A-Aur Veer??? W-Wo waha akela hai?? N-Nahi!!

Wo agle pal hi bhaag ke apna phone uthaayi aur police ko call kii.

Aaj tyohaar ka ye mahaul itna tension se bhar gaya. Sabhi ke chehre par bas darr, ghabraahat aur bechaini thi.

Aur sabhi police ka intezaar karne lage. Arohi aur Kavya toh jese tese bach gayi thi. Par yahi baat Veer ke liye kehna thoda mushqil tha.

***

"Arre...!? T-Tum!??"

Veer ke saamne iss waqt ek shaks khada tha, jis se Veer train me mila tha.

~Golu.

Par ye waqt uske liye sochne ka nahi tha. Golu ke aane se jo aadmi Veer ko peeche se daboche hue tha, uska dhyaan bhi bhatak chuka tha.

Aur issi ka fayda uthaate hue, Veer ne apni kohni seedha uski pasli me de maari...

"Aaaarrrrghhh!"

Wo dard ke maare karaaha aur apni pasli pakad jhuk gaya aur...

*Pooooooooowwwwww*

Ek zordaar ghusa uske gaal par aake pada jo usse poora hila ke rakh diya.

"Fuccckkk youuuu!" Next second hi, Veer ne full taakat se ek kick aur jadd dii uske pait me.

Aur wo banda peeche jaa gira.

Golu bhaagte hue uski taraf aaya. Veer ne dekha ki ek cycle zameen par padi hui thi jiska pichla chaka halka halka abhi bhi ghoom raha tha. Matlab Golu yaha cycle se guzar raha tha aur usne jese hi ye sab dekha toh madad ke liye aa pada.

Golu : Arre Bhai... Tum firse?? Aur ye chakkar kya hai? Saare aadmi tumhaare peeche kyu lage hai? Theek toh ho? K-Kya tha ye sab?

Veer : M-Mein theek hu. Boht boht shukriya, meri madad karne ke liye. Uss din train me bhi tumne... Par tum yaha? Wait! Kya hi ittefaaq hai ye...!? Uss din bhi tumne hi mujhe bachaaya tha aur aaj bhi...

Pranjal : Haha~ Kismat bhai. Jab jise mila de. Wese naam toh yaad hai na mera? Tumhara toh Veer hai.
Mujhe yaad hai.

Veer : And tum Golu!? Mujhe bhi yaad hai...

Golu : Hahaha~ Bilkul! Chalo yaad toh hai kam se kam. Par ye sab!? Kya tha?

Veer : Kuch Dushmani hak meri inse shayad. Jo ye mere parivaar ke peeche pade hai. Teh tak jaana padega mujhe iski. Na jaane kaun hai inn sab ke peeche.

Golu : Ohhh!

Veer : Par tum yaha...!? Sunsaan raaaste me!? Wo bhi... Cycle me!?

Golu : Apna kya hai Bhai... Uss din mein bhi apne gaav ke liye nikla tha, train se. Kyuki wahi apniichh janmbhumi hai. Apna koi haiich nahi. Aashram me pala bada, fir 18 baras ki umr ke baad paisa kamaane idhar Mumbai aa gaya. Suna tha paisa kamaana hai toh mayanagri jao. Haha~

Veer : ....

Golu : Mein idhar hi peeche ek hotel hai. Udhar kaam karta hu. Khaana peena wahi ho jaata hai. Rehne ka koi na koi jugaad ho hi jaata hai. Aaj Diwali ki kharchi lene gaya tha. Bas ab jaake hotel ke hi kuch dost log hai unke saath Diwali manaunga.

Veer : Ohhh!! Tumhari zindagii bhi... Kaafi...

Golu : Zindagi ka kya hai bhai. Ek din upar jaana hi hai. Tab tak jitne maze le sako le lo. Ek accha jeevan guzaaro aur kya. Apna toh ek hi sapna hai...
Hamesha se chaahta tha ki ek aisho araam ki zindagi jiyu. Par... Saala kismat hiich gaandu nikli haha~

Veer (smiles) : Kismat gaandu hi hoti hai.

[W-What master!?? Bhuliye mat... Mera aapke andar aana bhi kismat hi thi. Kismat ko aisa na boliye... Master!]

'Ohh really now!?'

Tabhi achanak hi Golu ne apna haath aage badhaaya aur Veer ki taraf kiya...

Golu (smiles) : Wese toh tum kisi bade ghar ke lagte ho. Par yadi mujh jeso se tumhe dikkat na ho toh... Aaj se hum dost!???

'Huh!?'

Aaj...

Aaj ye pehli baar tha, jab Veer ki taraf kisi ne apni taraf se dosti ka haath badhaaya tha. Kabhi kisi ne bhi uska dost bann ne ki pahal nahi kari thi. Ye jaante hue bhi ki Veer kisi na kisi pareshani me rehta hai aur uske paala khatarnaak aadmiyo se hai, fir bhi aaj Golu ne uski taraf ye dosti ka haath badhaaya tha.

Aise me...

Golu : Huh?? Oo bhai... Tum ro kyu rahe ho? Arre mein itna bura bhi na hi yaar... Tum toh... Dekho bhai aisi beizzati na karo yaar...

Veer (hasste hue aasu pochh kar) : Nahi... Wo *smiles* Iske pehle kabhi kisi ne mera dost bann'ne ki koshish na kari... Aaj ye pehli baar hai. Isliye... Isliye... Bilkul... Aaj se hum dost hue...

Aur agle hi pal Veer ne kass ke Golu ka haatha thaam liya.

Golu : Itna bhaavuk ni hote bhai... Zindagi me chill maarne ka... Aur kisi ne haath nahi badhaaya toh kya hua? Ab mene toh badha diya hai na? Haha~

Veer (smiles) : Hmmm!

Dono ka aaj ek naya dost mila tha. Jaha Veer Golu ka abhaari tha aur uske raviyye se impressed tha wahi Golu bhi iss baat se khush tha ki Veer jesa bade ghar ka ladka aaj uska yu dost ban gaya tha.

Par jese...

Dono ki iss khushi par kisi ki nazar lag chuki thi.

Kyuki agle hi pal...

Jhaadiyo me se 5 se 6 aadmi nikle aur Veer aur Golu pe toot pade...

Sab kuch itni jaldi hua ki dono ko kuch sochne ka time hi nahi mila. Do se teen bando ko jhelna toh Veer wese bhi kaafi hadd tak handle kar leta. Par 5 se 6!?

Ye toh namumkin jesa kaam tha uske liye. Uske stats abhi itne nahi the.

Golu bhi koi fighter nahi tha. Wo dubla aur lamba sa ladka tha. Ladaayi bhidaayi se shuru se hi dur rehne waala.

Nateeja obvious tha.

Jaha Golu ko maar maar ke unhone behosh kar diya tha toh wahi Veer kuch pal unse ladd waha unka saamna karta raha. Par...

Wo outnumbered ho chuka tha.

Enemies zyaadi thi, aur wo akela.

[Maaaasttteerrrr!!!]

Pari ki chinta janak awaaz aayi toh sanket samajh Veer muda par...

*Thud*

Uske sarr ke peeche se ek vaar aaya aur wo sarr pakad neeche girne laga...

[Noooio! Maaastteeerrr!!]

Aankhein uski band hone lagi...

Behoshi me jaane se pehle usse bas ek hi awaaz mann me sunaayi dii...

*Ding*

['Mission : Save Kavya and Arohi before it gets too late' has been completed.]

[40 points have been rewarded.]

'K-Kavya... Arohi...' Mann me wo apni behno ke baare me soch... Behoshi me chala gaya.

***

Aadmi 1 : Wo toh accha hua hum chhipe hue the. Jaldi nipat gaya maamla.

Aadmi 2 : Sahi kaha! Aur Bhau ne ekdum sahi kaha tha. Ki inn 4 logo se kaam nahi ho paega. Isliye unhone hume bhi bhej diya. Aur dekho... Unki baat ekdum sahi nikli.

Aadmi 1 : Hmm! Ab inka kya karna hai? Mujhe phone aaya unka, wo bata rahe hai ki wo dono, unn dono ladkiyo ko pakadne me nakaam rahe.

Aadmi 4 : Karna kya hai? Bhau ne toh pehle hi hume bataaya tha ki hume iss ladke ko nahi pakadna hai. Iske aas paas ke log yaani iske chaheeto ko pakad ke laana hai.

Aadmi 5 : Ekdum sahi kaha. Wo do ladkiya bach gayi toh kya hua. Ye dekho... Ye ek aur ladka pada hai yaha. Isne iss ladke ki madad kii... Matlab zaroor ye iska koi khaas hai, aur isse jaanta hai. Warna aise koi apni jaan khatre me nahi daalta. Aur dono haath bhi mila rahe the abhi.

Aadmi 3 : Haan! Isse uthao.

Aadmi 1 : Aur iss ladke ka kya!?

Aadmi 3 : Usse wahi pade rehne do. Bhau ne uske liye hi toh Jalsa me taiyaariya kii hai. Hume keval iss ladke se matlab hai. Ab jaldi chalo, wo dono ladkiya police ko lekar yaha zaroor aaengi.

Aadmi 6 : Jalsa!?? Baap re! Iss bande ki shaamat aayi hai lagta.

Aadmi 4 : Hmm! Zindagi me kuch bhi kar lo, par bhool ke bhi Bhau se panga na lo. Iss ladke ne anjaane me hi ek aisi jagah khud ko daal diya hai, jaha iska vinaash nishchit hai. Ab chalo jaldi...

Aur wo sabhi aadmi Golu aur apne aadmiyo ko waha se uthaa ke nikal gaye.

Veer idhar road ke kinaare besudh sa dala hua tha.

***

Raat ke 10 baj chuke the. Jab achanak hi Veer ko apne chehre par kuch geelapan sa mehsoos hua.

Aur wo apne hosh me aaya.

Dekha toh paaya ki...

Wo apne bed par tha. Aur uske ird gird, Ragini, Kavya, Arohi, Suman, Aabha, Sonali ye sabhi khadi hui thi.

'Huh??'

[Aap behosh ho gaye the master. Luckily, wo aapko wahi chorr ke chale gaye. You know... I was so worried... *sniff* Mein... Mein... Abhi aap kesa feel kar rahe ho? Wait! Mein khud hi check kar leti hu. You should rest.]

Kavya : Bhaiyyaaaaaaaaa!!!!

Kavya aage badh Veer se lipat gayi. Uski aankho me abhi bhi aasuo ki boonde saji hui thi.

Veer mehsoos kar paa raha tha ki Kavya ke dil ki dhadkan kitni tezz thi. Wo dekh paa raha tha ki Arohi ke chehre par tak aasuo ke nishaan the. Ragini aur Suman ki aankhein bhi nam thi. Aabha bhi chintit nazar aa rahi thi. Sonali bhi usse bauhe sikode dekh rahi thi.

Usse abhaas ho raha tha ki ye sabhi log uski kitni parvaah karte hai.

Kavya : Bhaiyaaaaaaa!!! *sniff* *sniff*

Veer : Mein yaha!?

Arohi (aage aate hue) : M-Mein bataati hu...

Uske baad Arohi ne sab kuch bataaya.

Kese wo ghar pohuchi, kese Police ko Ragini me inform kiya, Police aayi aur Kavya Arohi ko leke uss jagah par pohuchi jaha Veer unhe bachaana aaya tha.

Kese unn ne Veer ko waha behosh paaya aur yaha ghar waapas laaye. Police aasvaashan dete huye ki wo apni jaach jaari rakhenge keh ke chali gayi. Ye saari baatein Arohi ne Veer ko bata dii.

Veer : I see...!

Arohi : Wo...

Veer : Hmm???

Arohi : N-Nothing... Tum rest karo.

'Mere kaaran aaj ye sabhi tyohaar bhi na mana paaye.'

Ragini : Veer tum rest karo. Okay!

Veer : Mere kaaran aap sabhi... Aaj tyohaar bhi...

Ragini : Don't even think about that okay? Tyohaar toh harr saal aata hai Veer. Tum zyada zaroori ho ya tyohaar!? Rest karo okay!?

Kavya : Bhaiya! Aap bistar se nahi nikloge. Rest karo. Mein aapka dhyaan yahi rakhungi.

Ragini : Nahi Kavya! Veer ko kuch derr akela rehne do. Usse neend ki zaroorat hai. Mene doctor ko bhi inform kar diya hai. Wo aate hi honge...

Suman : Maali... Ahem! Veer jii! Apna dhyaan rakhiyega. Koi bhi pareshani ho toh mujhe awaaz laga dena. Mera kamra aapke bagal se hi jo hai. Ragini jii ko pareshan karne ki koi zaroorat nahi. Mein hu na.

Aur sabhi uske kamre se baahar nikal gaye. Aaj bechaara Veer itna bada parv Diwali na mana saka. Ek ke baad ek jese uski zindagi me bas pareshaniya hi likhi hui thi. Na jaane kab uski zindagi me khushiyo ki bauchhaar aaegi!?

***

'Wait!!! G-Golu? Golu ka kya hua? Wo bhi toh wahi tha!? Uska kya hua? Bechaara wo bhi mere kaaran...'

Sochte hue Veer derr raat bistar se uth khada hua.

Par jese...

Ye ghabraahat kam thi? Jo ek aur awaaz ne uski iss ghabraahat ko badha diya...?

*Ding*

[Mission : Get to Golu as fast as possible and save him.

Rewards : ?? Points.
Location : Jalsa Building. xxxxxxx road, near xxxxxxx route.
Time Limit : 19 hours.
Mission Fail Penalty : 100 Points Deduction.]

'N-Noo... No... Noooo Nooooooooooo...'

Mission padhte hi Veer apne bistar par gir pada.

'Nooooooo... Wo meri wajah se... Wo...'

Par jese ye sab kuch bhi kam tha uske liye jab achanak hi uska phone baj utha. Ek unknown number se call.

Veer : H-Hello!??

Voice : Hello! Wese... Hello kehne laayak mahaul toh nahi hoga tumhaare liye Haha~ Kyu!? Jhatka laga na?

Veer (frowns) : K-Kaun!?

Voice : Kaun hu, Kya hu ye sab baad me jaan jaoge apne aap. Tumne ek boht badi galti kar dii. Anjaane me hi kari par galti toh galti hoti hai. Hai na? Aur galti kii hai toh saza toh milti hi hai. Hai na?

Veer : ??

Voice : Toh ye tumhaara dost hai na!?? Kya naam hai iska!??

Veer : Huhhhh!??? G-Goluuuuu!?

Voice : Ohhh! Toh Golu hai iska naam. Haa toh tumhara ye Golu mere qabze me hai. Wese toh mein tumhari unn do behno me se ek ko uthaane waala tha par... Ye bhi bura target nahi hai. Haha~

Ye sunte hi Veer ke raungte khade ho gaye. Ki uski behne kitni badi musibat se bach ke baahar aayi thi. Warna na jaane kya hota Veer ka.

Veer : N-Nahiiiii! No..... Tummmm...

Voice (gusse me) : Kal! Kal raat 8 baje... xxxxx route par xxxxx road hai. Udhar ek dhalaan waala raasta milega. Andarr jaate jaana, aur ek building dikhegi.
Tumhaare swaagat ke liye waha bade se aksharo me Jalsa likha hoga. Police ko khabar karne ka koi fayda nahi hai. Wo mere naam se hi kaapte hai. Fir bhi bataana chaaho toh bata lena, par rumhaare dost ki guarantee fir mein nahi lunga. Yadi apne dost ko bachaana chaahte ho toh kal..bataayi gayi jagah par pohuch jaana... Warna...

*Call ends*

Veer ko maano saanp sungh gaya tha. Wo agle pal apna sarr pakad, baal kheechne laga.

'Nooooo!!!! Nooooooo!!! Ye sab kyaaa... Mere kaaran aaj sabhi Diwali nahi mana paaye... Aur bechaara Golu... no no no no noooo... Jiska koi kasoor nahi tha... Wo... Aaj mere kaaran... Arohi ya Kavya bhi uski jagah ho sakti thi... Sab kuch mere kaaran... Kaash... Right... I... I shouldn't have existed... I shouldn't have... *sniff*'

[Maaaaaaaasttteeeeeerrrrrrrr!!!]

'Huh!?'

[Please master! Don't get demotivated. Mein hu aapke saath. Aisa kabhi mat sochiyega. I'm always with you. Aap akele nahi ho. We... We will save Golu, just like we saved Arohi and Kavya. Ghabraaiye mat Master... Please! Mein aapko aise nahi dekhna chaahti. Aapki himmat tootate hue... Because, it hurts me too... Pleaassee! Be strong Master. Mein aapke harr ek kadam par aapke saath hu.]

'P-Pariii!??'

Pari ki baato ne jese apna asar kar diya tha. Kyuki agle hi pal Veer ne aapne aasu poche aur usne nishchay kar liya.

'Right! We... We will save him... We will... Pehli baar koi dost bana hai. *smiles* Mein usse kuch nahi hone dunga. I don't know ye kaun hai aur kyu meri family ke peeche pada hai. But... Mein apni family aur friends ko kuch nahi hone dunga. Right!!'

[That's the spirit master!]

'Mere stats dikhaao Pari!'

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 45/100
Appearance - 22/100]

'Hmm! Mere paas 90 points available hai. Mein... Mein unhe add kar sakta hu right?'

[Yes but changes subah dekhne ko nahi milenge master. Changes ke liye night time zaroori hai. Raat ke 12 se subah ke 8 tak. Abhi raat ke 2 baj chuke hai. Aapko points add 12 ke pehle karne the, tab jaake subah 8 ke baad aapko changes dekhne ko milte.]

'I see! Well koi nahi. Ab Golu ko bachaane ke baad hi... Mein ikhatte points invest karunga. I will save him.'

[As you wish Master. It's time to rest.]

'Yeaaaahhhh!!'

***

Diwali ki agli raat...

Aaj ke iss din sab kuch band rehta hai. Market se leke sab kuch...

Yaha tak ki aaj ke din akhbaar waale bhi chhutti lete the. Aur aaj ki iss raat Veer ek building ke saamne khada hua tha.

Samay 7:55 ho raha tha.

Usse uss aadmi ne 8 baje ka bola tha.

Building ek sunsaan sii jagah hi bani hui thi. Behad badi, aur kaafi puraani lag rahi thi.

Uski banaavat bhi puraane tareeko se kii gayi thi. Modern kahi se nahi lag rahi thi woh...

Saamne ek bada sa lohe ka gate tha. Aur upar LED lights se likha hua tha.

JALSA

'Bhala kesi jagah hai ye!?'

[It looks old master. Par saath hi saath modern touch bhi hai.]

'Yeah!!!'

Wo yaha keval ek shirt pehne aur neeche jeans daale poora prepared hoke aaya tha.

Uske jeans me ek lighter tha, saath hi saath wahi pocket knife bhi dali hui thi. Aur Kuch cash bhi tha.

'Hang in there.... Golu! Tumhe kuch nahi hoga. Tumne meri jaan do baar bachaayi... Now it's my time to save you.'

8 baj chuke the...

Aur...

*Ring* *Ring*

Wahi unknown number dekhte hi Veer ne call uthaaya,

Veer : Mein pohuch gaya hai. Aage batao.

Voice : Ohhh!? Itna confidence? I like it... Andar aao. Darwaaza khula hai.

*Call ends*

Ek lambi saas lete hue Veer ne apne dhadakte dil ko thoda calm karte hue aage badh, darwaaze ko khola...

*Creeeaakkk*

Par andar aate hi...

Ekdum ghapp andhera tha...

Kuch kadam wo chala ki tabhi peeche ka darwaaza apne aap band ho gaya.

'Huh???'

Aur uski calmness yu pal me gaayab ho gayi.

*Badump*

Andhera itna tha ki usse kuch nazar nahi aa raha tha.

Poora kaala andheraa... Ekdum shaant mahaul...

Aur tabhi Veer ne apne jeb se lighter nikaal usse jalaaya...

*Click*

Lighter ki maddham aag ki roshni se jese hi usse saamne ka nazaara nazar aaya toh uske raungte khade ho gaye...

Saamne toh kuch nahi tha...

Par...

Neeche...

Dherr saare laal rang ke gubbaare dale huye the. Yadi ye scene kisi horror movie ka hota toh aadmi ki dekh ke hi phat jaati.

Aur Veer toh khud waha uss situation me tha.

'Y-Ye...!?'

Tabhi achanak...

*Tuck*

Ekdum se kisi button ki awaaz aayi aur Veer ke saamne LED lights se bade se akshar jagmaga uthe...

Likha hua tha..

WELCOME

'????'

Wo kuch soch paata ki tabhi...

Uske kaano me ek awaaz padi...

*Clap* *Clap* *Clap*

"Welcome! Welcome! Jalsa me tumhaara swaagat hai.... Veeeerrrr!!!"

Ye awaaz upar lage intercom se aayi. Ek kaale rang ka box tha jo basically school aur colleges me classrooms me lagaaya jaata hai announcement ke liye.

Veer : ??? Tum... Mera naam...

Voice : Bilkul! Bilkul! Mein toh tumhaare baare me sab jaanta hu. Akhir tumne itna pareshan jo kiya hai mujhe. Itna pareshan ki mujhe tum jese chuho se khud deal karna pad raha hai batao.

Veer (chillaate hue) : Golu kaha hai!???

Voice : Shaant! Uske dhundne toh tumhe khud aana padega. Wese mein tumhe lighter dene waala tha par dekh ke accha laga ki tum poore intezaam se aaye ho.

Veer (frowns) : What do you mean ki mujhe usse dhundna padega!?

Voice : Tumhaara dost third floor par hai. Yadi bacha sakte ho toh bacha lo... Sab kuch tumhaare upar hai... Teesre floor par pohuchne ke liye chaar padaav paar karne hai. Sabse pehle bagal me lagi lift me jao. Aur first floor ke liye button dabaana. Dhyaan rahe... No cheating... Pehli manzil yaani pehli manzil... Yadi baaki buttons dabaayi aur yadi... Current ka jhatka lagne se tumhaari maut ho gayi... Toh... Tumhaara dost bechaara... Hahahaha~

Veer (screams) : Daaaaamnnnnnn yooouuuuu...

Voice : Hahahaha~ Yahi toh pasand hai mujhe... Logo ki tadap, ghabrahat, darr...

Veer : Kyuuu??? Kya bigaada hai mene tumhaara? Kyuu kar rahe ho ye sab meri family ke saath? Mein toh tumhe jaanta bhi nahi hu... Fir kyuuuuu??

Voice (gusse me) : Shyaaana banta hai saale!? Club se tu hi uss ladki ko bhaga ke le gaya tha na? Bol!?? Uss Ragini ko bachaane bhi ti hi aaya tha na?? Bol?? Aur uss anguthi ko bhi tu hi chhina ke laaya tha na??? Haan? Ab samajh aaya tujheee!?? Bol!!!! Harr waqt tu kahi na kahi mere plan ke beech me aaya hai. Aur tere kaaran... Tere kaaran mere plans bikhar ke reh gaye... Maatr ek chuhe ke kaaran... Saza toh banti hai. Nahi?

Ye baat sunte hi Veer ko ek zordaar jhatka laga. Aur usse jese ateet yaad aane laga. Jese usse sab kuch samajh me aane laga.

'Huh? N-No way... Ragini Bhabhi... W-Wo ladki... Wo ring...'

[Iska matlab harr kartoot ke peeche ye aadmi ka haath tha master. Yahi hai jo hamaari family ke peeche pada hua hai. We have to take him down.]

Aur tabhi Veer ke kaano me ek jaani pehchaani sii dhun padi...

Jisse sunte hi uske haath kap kapaane lage...

Intercom se hi wahi mouth organ ki awaaz aa rahi thi aur ye wahi dhun thi jo Veer ne uss din club me suni thi.

'N-Nooo... Ye... Ye toh... It was him!???'

Ye abhaas hote hi uske aankhein shock ke maare felti chali gayi. Akhir wo banda Aatish tha.

Aatish : Aahhh! Waqai! Meri pyaar mouth organ hi mere gusse ko kaabu me karta hai.

Veer (shivers) : T-Tumm... Tum...

Aatish : Ohhh! Mujhe jaante ho? Koi baat nahi. Aur acche se jaan jaoge... Jese tumhaari... Kya naam tha uska... Haa! Ragini mujhe jaan gayi. Aaahhhh! Kya scene tha uss din... Uska rona... Uske pati ka apni zindagi ki bheek maangna... Kya toda tha mene uss din usko andar se...

Veer : Bh-Bhabhiii!???

Aatish : Haan! Aahhh maza aa gaya tha uss din
Mujhe logo ka vishwaash todne me boht maza aata hai. Pata Veer!? Matlab boht zyaada... Jab... Jab unki wo shaqal banti hai na, baad me jab unka vishwaash toot'ta hai, aur fir wo bina koi aasha waala chehra banaate hai na... Wo... Usse dekh ke na... Usse dekh ke na... Pata nahi kyu par... Par mujhe boht zyaada sukoon milta hai. Kya gazab ka chehra banaaya tha uss Ragini ne... Ab toh poori tarah se toot gayi hogi... Aur yahi tumhaare saath hone waala hai... *smiles*

Veer : Tumne... Tumne ye sab kiya tha... I... I will kill you... Mein tujhe chorunga nahi haraam zaade...

Aatish : Lift me jao aur pehla padaav paar karo... Ye bilbilaana baad me... Tumhara samay shuru hota hai ab...

Na chaahte hue bhi, Veer ko akhir lift me jaana hi tha.

Andar ghuste hi lighter ki koi zaroorat nahi thi. Kyuki lift me lights on thi.

Lift ke andar sab kuch normal dikh raha tha.

Isliye ahista se Veer andar gaya aur jesa ki bataaya gaya tha usse first floor par jaane ke liye. Veer ne theek wesa hi kiya.

Lift ka darwaaza band hua aur lift chalna shuru ho gayi.

Par...

Aadhe raste me hi jese wo ruk sii gayi.

'There's something wrong... Hmmmm!???'

Khatre ka abhaas hote hi Veer ki nazar upar gayi aur...

*Hissss*

Ek ajeeb sii gas leak ki awaaz usse sunaayi dii...

Upar dekha toh paaya ki upar lift me kahi se gas leak ho rahi thi.

Bina ek second gawaaye...

'Check'

[Description : Fluothane gas. Ek baar inhale karte hi behosh kar sakti hai. Common cases me vomiting, nausea, breathing problems. Worst case - Death.]

'Shiiitttttttt!!!!'

Veer ko jese hi realize hua ki wo kya tha, maano jese uska dil baahar ko aa gaya tha.

*Badump* *Badump*

Dil ki tezz dhadkan control kar usne upar firse dhyaan diya toh dekha...

Upar kuch wires guccho me maujood the.

[Cover your mouth master.]

Pari ki salaah sunn Veer ne forun hi muh pe rumaal baandh liya...

Tabhi neeche ki floor se intercom se firse Aatish ki dheemi awaaz aayi,

"Sahi soch rahe ho. Hahahaha~ Unn saare wires me se keval 3 hi wire hai jo lift ki upar lagi gas machine ko rok sakte hai. Kaam simple hai. Sahi wire kaato, aur machine band karo. Wese itni jaldi behosh nahi hoege tum. Kyuki mene concentration uska thoda sa kam rakha hai. Aur haa... Wire kaatne ke liye... Neeche chaaku pada hai. Good luck! Hahahaha~ "

Veer (screams) : Daaaamnnnnnn youuuu....

Veer ne apni khud ki pocket knife nikaali aur...

'Wait! Mein wires ko check kar sakta hu. Mujhe harr ek kaatne ko zaroorat nahi hai.'

[Right master!]

'Check!... Ye nahi...'

'Check... Not this...'

'Check... Shiitttt!'

.
.
.
.
'Check'

[Description : One of the wires of the gas machine.]

'Mil gaya...'

*Cuts*

Aur kuch hi palo me Veer ko teeno wire mil chuke the. Jese hi usne teeno wire kaate...

Machine apne aap band pad gayi...

Halaaki halki sii gas Veer inhale kar chuka tha jiske chalte khaasi aur uske seene me dard shuru ho chuka tha. Yaha tak ki uska ab ulti karne ka bhi mann kar raha tha.

Aur lift ke chaalu hote hi first floor par pohuchte hi wo lift se baahar nikal neeche gir pada.

Apna seena dabaaye wo tezz tezz saasein le raha tha.

[Master! Are you okay??? Maaasteerrrr!!!]

'Haaah! Haaahhh haaaahhh haaaahh!!! Pariiii...'

*Cough* *Cough*

[Mein... Aap... Aap ko breathe karne me problem ho rahi hai master.]

'It's... It's okay Pari... I'm fine...'

[But...]

'Mene kaha na... *Cough* I'm... I'm fine...'

'I will kill him... Mein usse nahi... *Cough* nahi chorrunga... Golu... Mein tumhe bacha ke rahunga...'

Aatish (claps) : Maan na padega... Ki tumne meri umeed se kahi zyaada accha perform kiya. Toh? Taiyaar ho? Agle padaav ke liye? Saamne ek kamra hai. Kamre ke baahar ek laal button hai. Usse dabao... Darwaaza khul jaega.

Ladkhadaate hue Veer bina kuch kahe aage badha aur button dabaayi toh darwaaza khul gaya.

Par...

Andar aate hi usse ek behad hi bhaiyankar darr ki anubhooti hui. Jese maano uski maut aane waali ho. Usse nahi pata tha ki agla padaav uske liye kya kuch laane waala tha. Kya wo waqai Golu ko bacha paega!?
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like.
Jabardast update
 
Raj 88

Active Member
1,583
5,088
143

Nice bro
 
Devil king domnic

Active Member
884
3,234
123

Top