• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,202 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 13.1%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,448

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,067
259
Last edited:

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,573
174
Update - 132 ~ Seer Vision

Ab tak :

Woh ekdum se peeche hui aur daud ke seedhe car ke andar jaa ke baith gayi.

'Fuuuucckkkkk!!!'

[...]

'Please tell me. It was again an accident. Right?'

[...]

'Right...???'

[....]


'Fuuucckkkkk!!!!'

Ab aage :

“Araam se dii!! Araam se!” Ek khubsoorat jawaan ladki apni badi behan ko ahista se sambhaal kar le jaa rahi thi.

Car me usse baithaate hue, usne driver ke bagal waali seat par baithe aadmi ko dekha aur boli, “Prakash Uncle, Dii ko sambhaal kar le jaana please!!”

Prakash : Ye bhi koi kehni ki baat hai Miss? Aap nishchint rahiye.

Ladki koi aur nahi, Sonia thi jo aphi badi behan Suhana ko hospital se leave karwa ke ghar le jaa rahi thi. Parantu, hospital ki kuch formalities ke liye usse rukna pada.

Suhana : Iske baad tum seedhe Mumbai ke liye nikal rahi ho. Theek hai na?

Sonia : Mein abhi jaana nahi chaahti par sirf aapke kehne pe mujhe jaana pad raha hai.

Suhana : Bilkul! Kyuki ab yaha tumhari zaroorat nahi hai. Business par dhyaan do! Tumne wese hi bohut din meri khatir-daari me waste kar diye hai.

Sonia : Ek behan ki seva karna samay ki wastage hai?

Suhana : Sonu!! Tum zaroorat se zyada parvaah kar rahi ho baby. Mein theek hu. Sach me!

Sonia : You were shot! Aur aap keh rahi ho aap sahi ho?

Suhana : Ab toh theek hu na par!?

Sonia : Bas Isliye aapki baat maan rahi hu. Warna mein yaha aapko akela chorr ke jaati hi nahi.

Suhana : Akeli kaha hu? Divya hai na? Aur Prakash Uncle bhi toh hai ab.

Sonia : That’s why! Anyways, agar aapko koi bhi taqleef hoti hai toh-

Suhana : Toh mein be-jhijak tumhe bata dungi. Yahi na? Pata hai baba mujhe.

Sonia : Fine! Th-Then I’m leaving.

Suhana (smiles) : Hmm! Mein bhi chalti hu. I’ll come soon. Okay?

Sonia agle hi shan bhaavuk ho, window se hi Suhana ke gale lag gayi.

Suhana : Hey! Mene kaha na mein jaldi aa jayungi. Ro kyu rahi ho?

Sonia : K-Kaha ro rahi hu?

Suhana (smiles) : Chalo chorro ab! Prakash Uncle dekho hass rahe hai tum par. Itni badi ho gayi fir bhi baat baat par rone lagti ho.

Sonia : Prakash Uncle nahi hasste mujh par. Aur mein ro nahi rahi.

Suhana : Theek hai maan liya. Now happy?

Sonia : Promise me aap jaldi aayengi.

Suhana : Tum jaanti ho ki mein promises nahi karti Sonu.

Sonia : Promise me!!!

Suhana : Sonuuuu!!! Zidd achhi nahi!

Sonia : Toh mein bhi nahi jaa rahi fir.

Suhana : Sonu!! Baat ko samjho!

Sonia : Toh promise kariye. Simple!

Suhana (sighs) : Theek hai! Promise toh nahi kar rahi. But I’ll try my level best to come back. Aur tumko khabar bhi deti rahungi.

Sonia : Fine! Aap maan’ne waali toh ho nahi. Th-Then bye! Take care! Okay?

Suhana (nods) : Mmm-Hmmm!! Have a safe journey.

Na chaahte hue bhi, Sonia ko waha se jaana pada. Apni badi behan ke liye uski chinta saaf dekhi jaa sakti thi. Uske jaate hi,

Suhana (sighs) : Prakash Uncle, jaldi chaliye. Divya ke ghar par mujhe jaldi pohuchna hai.

Prakash : Jii!

Aur Prakash ne driver ko order deke gaadi aage badhwa dii. Kuch hi palo me woh Divya ke aalishaan ghar ke baahar the.

Prakash : Ghar par toh lock laga hua hai Miss.

Suhana : Hmm! Ghar ki key mere paas hai. Divya mujhe deke gayi thi. Woh late night aayegi. Aaj usse zyaada kaam hai.

Prakash : Ohh!

Suhana : Kaera ki koi info?

Prakash : Unki toh nahi. Par iss se yaad aaya ki…

Bolte hue woh achanak, Suhana ke nazdeek aaya aur uske kaan me jhukte hue kuch kaha jisse sunn Suhana ki aankhein aashcharya ke maare fel gayi.

Suhana : Kya kaha aapne?

Parantu, Prakash maun raha. Aur uski chuppi saaf saaf batla rahi thi ki abhi abhi usne jo khabar dii woh shat pratishat sach thi.

Suhana (frowns) : Accha hua mene Sonu ko koi promise nahi diya. Aap jaa sakte hai.

Prakash : Par aap yaha akele?

Suhana : Meri chinta mat kariye. Meri ek doctor friend aa rahi hai. Woh mera khayal rakh legi. Aap jaaiye.

Prakash : Jaisa aap kahe. Agar meri zaroorat pade toh-

Suhana : Bilkul! Mein aapko call kar dungi.

Sarr haan me hilaate hue Prakash agle hi shan waha se nikal gaya. Woh kuch hi duri par sthit ek hotel me ruka hua tha. Taaki Suhana ko agar zaroorat pade toh woh madad ke liye fauran haazir ho sake.

Ek lambi aah chorrte hue Suhana darwaza khol ghar ke andar aayi. Hafto baad ghar ki hawa lete hi usne ek chenn ki saans lii. Poore samay hospital me rehne ke kaaran usse harr waqt dawaaiyo ki hi gandh ka saamna karna padta tha.

Andar aate hi woh ek bistar par araam se pait ke bal lait gayi. Apni peeth ko araam dene ke liye. Woh chal fir sakti thi, par abhi heavy kaam karne se usse manaahi thi.

Tabhi darwaaze ki ghanti baji aur jiska usse intezaar tha woh shaks aa chuka tha. Darwaza khulte hi ek sundar sii stree andar aayi,

Suhana : Itna bada bag? You came prepared huh?

Woh aurat muskuraayi aur apna bag rakh sofe par baith gayi.

“Tumne mujhe bulaaya, aur mein na aau? Aisa ho sakta hai?”

Suhana : Hmph! You didn’t come for me. You came because I paid you heavily.

“Ahem! Paisa zaroori hai Suhana. By the way ye ghar kyu? Hotel me kyu nahi?”

Suhana : Ye ghar meri friend ka hai. Uske yaha hote hue agar mein hotel me ruki toh woh mujhe kaccha chaba jayegi.

Woh aurat hassi. Aur fir bina Suhana ke kuch kahe hi, ghar me washroom dhoondh fresh hone chali gayi.

Usne apne taiyaar hone me itminaan se poora samay liya. Woh ghar me aise ghoom rahi thi jese maano ye uska hi ghar ho.

“So? Kya tum mere saath apni iss story ko share karna chaahogi?”

Suhana : Ki mujhe bullet kaise lagi? No thank you! Mujhe aur apne secrets nahi share karne.

Woh firse hassi,

“Hahahaha~ Dear! Mein aaj nahi toh kal tumhare muh se woh nikalwa hi lungi.”

Suhana (frowns) : Just because you are a psychologist, doesn’t mean you can interfere in my business.

“Mein sirf psychologist nahi hu Suhana. Mein tumhari personal psychologist hu.”

Usne adab se kaha. Uski aankho me ek aatmvishvaas tha jiske chalte Suhana ke maathe par shikan ki lakeere chhaa gayi.

Suhana : Mrs. Ashita! I’m warning you! Aap sirf meri personal psychologist ho. Not my Mom.

Ashita hassi,

Ashita : Hahahaha~ Hey!! Tum ek joke bhi nahi le sakti Suhana? Seriously? Lagta hai tumhare upar kaafi mehnat karni hogi mujhe.

Suhana : Hmph. Whatever.

Ashita : Alright! Toh shuru kare?

Suhana : Do what you want.

Ashita muskurate hue dining table ke sameep aayi aur usne fruit basket me se do santre haath me lete hue Suhana ko dikhaaye.

Ashita : Ye kya hai?

Suhana : Huh? Orange!?

Ashita : Hmm! Ab maan lo ki ye do santre tumhari 2 personalities hai Suhana.

Suhana : …

Ashita ne ek santre ko poori tarah se chheela aur doosre ko jyo ka tyo rehne diya.

Ashita : Ye santra dekh rahi ho? Jo chhila hua nahi hai.

Suhana : Hmm!

Ashita : Ye tumhari baahri personality hai Suhana. Aur ab ye chhila hua santra dekh rahi ho?

Suhana : That’s my other personality?

Ashita (smiles) : Exactly my dear. This is your inner personality. Aur hume inn dono ko ek karna hai. Inhe merge karna hai, taaki tum completely pehle ki tarah normal ho sako.

Suhana : And?

Ashita : And so… We will start with our game test again.

Suhana : Oh no! Please! Kuch bhi par woh nahi.

Ashita : What do you mean ‘woh nahi’ huh? Mein poori taiyyari ke saath aayi hu. Get ready!

Apne bag me se usne fatafat ek gaming console nikaala.

Suhana : Seriously?

Aur usse TV se connect kar Ashita Suhana ko pakad ke saamne baitha dii. Suhana ke haatho me remote thamaate hue usne kaha,

Ashita : Fighting game se shuru karte hai.

Suhana : Kahi mene apne paise waste toh nahi kar diye inhe bula ke?

Ashita : Shut up! I’m the finest psychologist in India. Tabhi toh tumne mujhe hire kiya hai.

Suhana ko jo sabse zyada na-pasand tha, woh yahi tha. Ek fighting game khelna. Woh games me behad bekaar thi. Ashita usse jaan boojh ke ye games khilwaati thi, jiske chalte Suhana lagataar unn games me haarti thi.

Jis vajah se uske andar frustration build up hota tha, aur uski split personality gusse ke chalte baahar aa jaati thi.

Aaj bhi Ashita ka iraada kuch aisa hi tha. Par,

Suhana : Hey! Literally, 20 rounds ho chuke hai aur single match bhi nahi jeeta hai mene. Let’s just stop okay?

Jab Suhana ne ye kaha, toh Ashita hairaani ke maare uth ke khadi ho gayi. Uska chehra dekhne laayak tha.

Suhana : K-Kya hua?

Ashita ne usse agle hi pal zorr se pakad ke jhunjhlaaya.

Ashita : Tum mere alaawa bhi kisi ko dikha rahi ho? Huh?

Suhana : Ahh! Wh-What? N-Noooo!

Ashita : Sach sach kaho!

Suhana : M-Mein sach keh rahi hu.

Woh hairat me peeche hui,

Ashita : I-Impossible!

Suhana : Kya hua hai?

Ashita : Sach sach kaho Suhana. T-Tum- Tum kisi se mili ho?

Suhana : Aap keh kya rahi ho meri kuch samajh nahi aa raha.

Ashita : Suhana, this is very important. Humne pehle bhi ye tests kiye hue hai aur tumhe pata hai tum kese react karti thi?

Suhana : !!!?

Ashita : Tum gusse me aa jaati thi. Tumhari dusri personality active ho jaati thi. Tum remotes ko idhar udhar fek deti thi, gaaliya bakne lagti thi aur sab kuch tahas nahas kar deti thi. Kuch yaad aaya?

Suhana : Th-That’s-

Ashita : Par ab dekho apne aap ko. Tumhe zara bhi gussa nahi aaya. Tell me honestly. Tum kisi naye shaks ke contact me aayi ho na? Ussi ne tumhe influence kiya hai na? Kyuki mein maan hi nahi sakti ki bina uske tum me antar aa jaaye. Kaho! Kaun hai woh?

Uske zorr dene par apne aap Suhana ka dhyaan uss ek shaks par chala gaya. Aur uss ladke ki chhavi uske mann me aayi.

Veer!!

Uske baare me sochte hi Suhana ke gaal sharm se laal ho gaye. Wahi toh tha. Wahi toh tha ek jisne uske gusse par qaabu paaya tha. Kya uske hi kaaran woh badal rahi thi?

Ashita ek maahir observer thi. Ek pal me bhaanp gayi woh ki ye haya kis liye thi.

Ashita : Oh my god!! Are you having an affair Suhana?

Suhana (panics) : Wh-What? No wayyyy! Shut uppppp!! And don’t talk nonsense.

Ashita : Tum mujhe bewakoof nahi bana sakti. Jaldi batao!

Suhana (blushes) : Wo-

Ashita : Haan! Haan! Kaho bhi!

Besabri se aage badh woh Suhana ki orr jhuki. Uss anjaan shaks ka naam zaahir hone hi waala tha. Par, agle hi shan-

Suhana : Nooooooo! You idiot! Get lost~

Suhana ne bagal me rakha cushion utha ke seedhe Ashita ke muh pe de maara,

“Ughhhhyaaaaaa~” Woh dhadaam se sofe par giri.

Suhana apni palke jhukaaye, surkh laal chehra liye waha se uth ke bhaag gayi.

‘I cannot tell anyone.’

***


Mumbai
Ragini’s house
Morning ~ 9:12 AM


Subah Subah yaha Veer ke ghar me bhi shorgul macha hua tha.

Tej : H-Hey! Mein khol rahi hu na, toh aapko bhi yahi kyu kholna hai?

Bhumika : Kyuki last waala tumne mujhse chhina ke khola. Toh ye waala mein kholungi.

Tej : Y-You-

Bhumika : Do mujhe!

Tej : Aap mujhe gussa dila rahi ho! Urgh~

Ek baar fir dono aapas me jhagadne me lagi hui thi. Veer ko diye gaye gifts khol rahi thi woh. Aur uss me bhi unki chheena jhapti chaalu thi.

Veer jese hi neeche aaya woh ye nazaara dekh taajub me reh gaya.

Veer : Woah~

Tej : Veer! Finally! Inse kaho ki ye tumhare gifts ko touch na kare.

Bhumika : Ahh! Kyu? Mein kyu nahi?

Tej : Kyuki ye mere bhai ke hai. Aur mein hu yaha inhe unwrap karne ke liye. Aap bacchiyo ki tarah behave kyu kar rahi ho?

Bhumika : Mein? Mein bacchiyo ki tarah? Mein tumhe sikha rahi hu. You are opening them the wrong way. Inhe aise nahi khola jaata. You have to be careful.

Tej : Oh Shut up! Mujhe aapse nahi jaan’na gifts kaise kholte hai. Gifts kholne ke liye hi hote hai. Jaise chaahe kholo.

Bhumika : Nooooo~
Tej : Argh! Chorro! Chorro warna gir jayega.

Bhumika : No! Tum chorro!

Inki kheecha taani me woh gift ka wrapper dono orr se phata aur gift uchhalte hue neeche gir gaya.

Tej : Ahhhh!

Bhumika : !!!!

Veer : Aap dono!!!

Tej : S-Sorry veer! But ye sab inki vajah se. Inki hi galti hai.

Bhumika : Kya? N-Nahi! Veer! Mein-

Veer : Dono jann! Shaant!

Uski ek tezz awaaz me dono darri hui billiyo ki tarah shaant hoke reh gayi.

Aabha : Accha hua aap aa gaye. Warna aaj na jaane kitne tohfe toot jaate.

Veer (sighs) : Seriously! Aap dono bhi! Ohh??

Jhukte hue Veer ne Arohi ke dwaara diya gaya gift uthaya.

Usme cufflinks ka set maujood tha. Unhe dekhte hi Veer ke hontho par muskan sajj gayi.

‘Arohi dii! As expected of her. Kitne dhyaan me rakh ke ye gift diya unhone.’

Woh utha aur unn dono ko dekha.

Veer : Anyways! Mein kuch kaam se jaa raha hu. Aap gifts khol sakti ho but don’t you dare fight. Okay?

Tej : Kaha jaa rahe ho tum?

Veer : Ek zaroori kaam hai.

Tej : Kya mujhe nahi bata sakte?

Veer : Business related hai.

Tej : O-Okay!

Bhumika : Veer! Mujhe bhi tumse ek zaroori baat karni hai. Akele me!

Tej : Haaaaahhhhh???

Bhumika : Toh please! Agar time mil sake toh~

Veer : Sure!

Bhumika : Thank you!

Tej : Whatttt? Aapko kya baat karni hai uss se akele me? Huh?

Par Veer ke paas samay nahi tha unki tu-tu me-me sunn’ne ka. Aaj usse ek sabse aham kaam niptaana tha.

Kaera ka mission!!!

Veer nahi jaanta tha woh ye kese karne waala tha. Par aaj kaise bhi karke woh kuch na kuch haasil karna hi chahta tha.

Karan ne kaha tha aaj Kaera free rahegi. Veer ye mauka apne haath se nahi jaane de sakta tha.

Isliye uski building ke baahar aake hi woh rukk gaya. Usse yaad tha ki ye ghar nahi, poori ki poori imaarat thi.

Baahar dherr saari security tainaat thi. Qareeb pohuchte hi guards uss se sawaal puchne me lag gaye.

Veer ne kayi baar bataaya ki woh Kaera ko jaanta hai aur Kaera usse, par ye baat guards ne na maani.

Aur abhi woh Karan ko call kar unhe proof dene hi waala tha jab upar se neeche aate ek shaks ne Veer ko pehchaan liya.

“Usse andar aane do!” Guards ne jese hi ye suna, woh sabhi peeche hatt gaye.

Saamne Jassi tha!

Veer : Ohh! Hey!

Jassi : Aaj achanak yaha?

Veer : Mein Miss Kaera se milna chaahta tha.

Jassi : Kya mein puch sakta hu kyu?

Veer : Business se related.

Jassi kuch derr tak usse dekhta raha, fir usne Veer ko raasta dete hue kaha,

Jassi : Miss upar hai apne room me. Tumhe pata hai na kaunsi floor pe hai unka room?

Veer : Haan! Mein pehle ek baar aa chuka hu.

Jassi : Good! You can go!

Veer : Thanks for the help!

Jassi ne koi jawaab na diya. Bas haan me gardan hila ke woh aage badh gaya.

Aur idhar entrance ki access paate hi Veer lift me chadh Kaera ke room waale floor par chal diya. Pichli baar jab woh aaya tha toh Julia ne usse bataaya tha ki Kaera ko lifts pasand nahi hai. Isliye uska room first floor par hi banwaya gaya tha. Veer ne tabhi uss info ko apne dimaag me store kar liya tha.

‘Fuck! It still surprises me everytime. Just how massive this house is?’

[Ye ghar nahi hai Master. It’s a fucking skyscrapper.]

‘You are right!’

Floor par aate hi, usse kayi chefs lambi lambi trolley le jaate hue dikhaayi diye. Toh kahi kuch maids samaan leke idhar se udhar ho rahi thi.

‘Kitne log rehte hai yaha?’

[Family me sirf teen log hai. Par uss se zyaada workers hai yaha. Ajeeb hai na?]

‘Behad!’

[Itni badi building hai. Itni space hai. Fir bhi ek loneliness hai iss building me. I can feel it. Aisa lagta hai kabhi iss building ne parivaar ki khushiyaan nahi dekhi.]

‘Tum sahi ho Pari! Aur isliye, mujhe unhe theek karna hi hoga.’

[Kehna asaan hai Master!]

‘Hum dekhte hai hum kya kar sakte hai.’

Chalte chalte woh jese hi kamre ke baahar pohucha toh darwaaze ko knock kiya. Par knock karte hi darwaza apne aap khul gaya.

Sankoch me qadam badhaate hue woh andar pravesh kiya toh usse koi bhi dikhaayi nahi diya.

‘Strange!’

Kamra itna bada tha ki usse samajh nahi aa raha tha ki ye kamra hi tha ya hall?

“Miss Kaera?” Awaaz dete hue jese hi woh ek orr muda toh-

“O-Ohhh!!!”



Uske saamne safed bathrobe daale woh geele baalo me khadi hui thi. Kaera!! Uski peni nazre Veer par hi tiki hui thi. Aur uske bagal se khadi Julia, hair-dryer liye uske baal sukhaane me lagi hui thi.

Veer : I-

Julia : Ohh! It's Young Master Veer!

Veer ko punaah dekh Julia chehek uthi. Ek baar fir uske muh se woh honorifics sunn, Veer ko ajeeb laga. Ye Julia usse Young Master kehke sambodhit kyu karti thi? Par last time usne Veer se permission le lii thi usse aise pukaarne ki. Toh ab bhala woh kaise mana kar sakta tha.

Veer : Umm! H-Hello! I think I came at the wrong time.

Woh mudne ke liye hua toh Kaera ne usse pukaara,

Kaera : Wait!!

Veer : ???

Kaera : Why are you leaving?

Veer : Umm!? Aap ready ho rahi ho. Mein baad me aa jaata hu.

Kaera : I’m already done with the bath. You can stay!!!

Veer : O-Ohh!!

Julia (smiles) : Please, have a seat young master.

Veer : Sure!

Ek sofe par virajmaan hote hue Veer apne aap hi Kaera ko tirchhi nazro se dekhne laga. Woh behad khubsoorat thi. Pata nahi kyu, par usse dekhte hi ek ajeeb si feeling aati thi uske dil me. Jisse woh samajh nahi paa raha tha. Kya thi ye anubhuti?

Kaera ka aura hi alag tha. Woh jese kheechta tha Veer ko apni orr.

Kaera jab taiyaar hui toh woh aake Veer ke saamne baith gayi. Aur idhar Julia fauran hi Veer ke liye coffee banaane lagi.

*Ding*

[Julia’s favorability : 45]

[Mujhe laga aap dekhna chaahte the.]

‘Ohh! Indeed! Thanks Pari!’

Kaera : Karan ne bataya tha tum aaoge. So?

Kaera ne uska dhyaan punaah kheencha. Veer uthate hue uske saamne aaya.

Veer : I think mene decide kar liya hai.

Kaera : Ohh? Contract ke baare me? The one we talked about earlier?

Veer : Haan!

Kaera : Mein sunn rahi hu.

Veer : Mein ready hu. I mean mene soch liya hai mujhe kis way me aage badhna hai.

Kaera : Tell me!

Veer : Well! Aapne kaha tha mein do tareeqe se aage badh sakta hu. Ya toh mein shuru se ek building ko banwau. Aur fir apna business start karu. Ya fir abandoned buildings ko khareed unhe renovate karwau aur fir apna business start karu.

Kaera : And you chose the second way. Right?

Veer (surprised) : That’s-

Kaera : Why the surprised face? Mein jaanti thi tum yahi way choose karoge.

Veer : Kaise?

Kaera : Wise people think alike Veer!

Kehte hue usne palke utha ke Veer ko dekha.



Buddhimaan log ek sa sochte hai. Aur ye baat satya thi.

Kaera : You can sit down! I won’t charge you for that.

Veer : S-Sure!

Kaera : Scratch se business start karne ke liye, property ka ek acchi location me hona zaroori hai. Then, tum uss land par building ko scratch se banwaoge. It will take time, money, and your hard work as well.

Veer : Right!

Kaera : Then staff selection, promotion, advertisements, maintenance, etc. Ye karna hoga. Tab jaake business initial stage pe aayega.

Veer : Hmm!

Kaera : So ultimately, this is time consuming.

Veer : Exactly!

Kaera : Better option ye hai ki tum not-in-use buildings ko target karo.

Veer : Yes!

Kaera : Building tumhari nahi rahegi toh tumhe business flop hone ki utni tension nahi rahegi. You just have to renovate it.

Veer : Par staff ka kya? Advertisements?

Kaera ke hontho par ek halki sii muskaan aayi,

Kaera : Jab ek puraani building ko own kiya jaata hai, toh uske saath uske benefits bhi aate hai Veer.

Veer : You mean-

Kaera : Ek puraani building pehle se hi public ki nazron me rehti hai. Unhe bas ye pata lagna chahiye ki ab uss jagah par koi aur business shuru ho chuka hai. Aur aise me advertisements ki requirements zyada nahi rehti.

Veer : Kyuki log chalte firrte hi jaan sakte hai ki kuch naya yaha khulne waala hai.

Kaera : Correct.

Veer : Par staff?

Kaera : Staff search karna easy nahi?

Veer : I think ye complicated hota hai.

Kaera : But not in your case.

Veer : Kaise?

Veer ke sawaal puchne par Kaera phir muskuraayi. Ab ye muskurahat thi? Ya fir bas hontho ka upar uthna? Ye kehna mushkil tha. Julia itne me Veer ke haatho me ek coffee ka cup thamaate hue uske bagal se khadi ho gayi.

Veer : Thank you!

Julia (smiles) : You don’t have to thank me, Young Master! It’s my pleasure.

Kaera : Ye easy hai Veer!

Veer : Hmm?

Kaera : Staff selection! You can leave that to me.

Veer : O-Ohh!

Kaera : So? Kya business socha hai?

Veer : Clothes ka!

Kaera (frowns) : Are you sure?

Veer : Yes!

Kaera : Tumhe kya lagta hai? Ye Top kitne ka hoga? The one which I’m wearing.

Veer : Probably a few thousands?

Kaera : Julia? How much was this one?

Julia : 1745$ Miss!

Iss se pehle ki Veer mann me calculate karta, Pari ne pehle hi uske saamne results rakh diye.

[Master! Uska top 1 lakh, 42 thousand, 5 hundred, 49 rupees ka hai.]

Jab Veer ne keemat suni, toh uske gale se coffee badi hi mushqil se andar gayi. Bhale hi woh crorepati kehlaane laga tha. Par ek lakh ke upar ka sadhaaran sa kapda dekh uska mann shaant na reh paaya.

Kaera aage badh uski orr jhuk ke baithi,

Kaera : When I buy clothes, I don’t see price tags. I only look for 3 things. Quality, comfort and lastly, wo mujh par jach raha hai ya nahi.

Veer : Par average people itni mehngi dresses nahi lete right?

Kaera : Agar tumhe aise chote business karne hai then I’m sorry Veer. I won’t invest. Look for someone else. Probably Sonia!

[Oooooooooooooooo~]

Veer ki bauhe ek chintan me sikudi. Kaera truly was a professional lady. Uski apni hi ek class thi.

Veer : Fine then! Mein aapki her terms se ready hu.

Kaera : No! You need to understand this first. Answer my question.

Veer : Puchiye!

Kaera : Kya tumhara cloth brand in-future mujhe aisi same satisfaction provide kar sakta hai? Kya tum mujhe iss brand se hatt ke apne brand ke clothes pehen’ne ke liye majboor kar sakte ho? If yes, then congratulations. We have an agreement. If no, then… You know the answer.

Veer : Yes!

Kaera agle hi pal apni jagah se uthi,

Kaera : Get ready then! We are leaving!

Veer : Huh?

Kehte hue woh andar chali gayi.

Veer : Where did she go?

Julia (smiles) : To change her clothes.

Veer : Again?

Julia (smiles) : Yes! Again!

Kaera ek baar fir kapde badal haazir thi. Veer uski harr adaa par lattu hota jaa raha tha.

Usse saath me lete hue woh neeche ki orr gayi. Jassi pehle se hi waha maujood tha,

Jassi : Kahi jaa rahi hai Miss?

Kaera : Yes! Tumhe follow karne ki zaroorat nahi. I’m going for a short ride.

Jassi : J-Jii!

Veer chup chaap khada hua tha. Agle hi pal basement se ek luxury Mercedes car baahar aayi aur unke saamne aake khadi ho gayi.

Kaera : Leave! Mein khud drive karungi.

Uski baat maante hue driver turant hi baahar nikal gaya.

Jassi : M-Miss? Aap drive kyu kar rahi hai?

Kaera : Kyuki mein drive karna chaahti hu.

Jassi : Theek hai! Sambhaal ke chalaiyega.

Jassi ko bina jawaab diye, Kaera andar baithi. Aur Veer uske bagal waali seat par baith gaya. Kuch hi palo me woh dono baahar the.

‘Maaf kijiye Miss! Par mein apni duty nahi chorr sakta.’

Mann me Jassi sochte hue apni bike uthaaya aur unke peeche peeche chal diya.

Veer : Hum kaha chal rahe hai?

Kaera : Tumhe building nahi dekhni?

Veer : Ohh! Building dekhne. Sure!!

Veer bagal se Kaera ke husn ko dekh usme khoya hua tha. Tabhi usse ek wild thought aaya.

‘Mene inke stats kabhi check nahi kiye. Pari?’

[Alright!]

Aur agle hi shan-

*Ding*

Jese hi Kaera ke stats saamne aaye, Veer ki aankhein phati ki phati reh gayi. Kyuki,

[Kaera’s stats :
Strength : 52 ⬆️
Intelligence : 150 ⬆️
Agility : 48 ⬆️
Endurance : 60 ⬆️
Appearance : 145 ⬆️]

Veer ki nazre intelligence par tiki hui thi. 150 ka intelligence. Uski bolti band ho chuki thi. Aur upar se 145 ka appearance. Ye kis prakaar ke ank the?

‘Wait! Y-Ye arrows? Ye arrows kisliye?’

[Uska matlab ye hai ki abhi woh stats aur badh sakte hai. Apni limit par nahi pohuche hai.]

Veer ke mann me ek visfot sa hua jese.

Kaera : Hmm? What is it?

Jese hi woh mud ke usse dekhi, Veer uski sundarta me hi kho gaya.



Veer : Ahh! N-Nothing!

‘She’s too gorgeous.’

[How many things did she sacrifice to achieve this level?]

‘Unke saare emotions Pari! Ek robot ki tarah kaam karte rehne par hi aap iss level pe aate ho.’

[We must cure her!]

Kaera jagah jagah gaadi le jaate hue Veer ko tarah tarah ki buildings dikhwa rahi thi aur unka poora gyaan dene me lagi hui thi.

Jiski vajah se Veer ne ek location decide bhi kar lii.

Kaera : Ask Karan for help! Wo real-estate me active hai. Building ke owner se wo tumhari baat easily karwa dega. Then come to me. We’ll sign the contract.

Veer : Okay! Thank you!

Kaera : Thank you? For what?

Veer : Aapne itni madad ki, isliye.

Kaera kuch na boli. Bas drive karti rahi. Wo ek raaste se guzar rahe the jab achanak hi gaadi ki raftaar apne aap kam ho gayi. Kaera khidki ke baahar kahi dekh rahi thi.

Dheere dheere gaadi poori tarah se ruk gayi aur unke bagal se ek behad bada sa ghar bana hua tha. Ghar puraana tha. Aisa lag raha tha usse kayi saalo se khaali chorra gaya tha.

Veer ne jese hi uss ghar ko check kiya toh ek baar phir aashcharya me reh gaya. Woh Kaera ka puraana ghar tha.

Car se utar woh ahista ahista aage badhi. Ghar ke baahar abhi bhi ek guard maujood tha. Shayad uske pita ne iss guard ko yaha ghar ki rakhwaali ke liye rakha hua tha. Taaki koi ghuspaith iska fayda na uthaaye.

Guard Kaera ko dekh apne aap salute maar khada ho gaya.

Guard : Madam!

Kaera bina uss par dhyaan diye hi chal dii. Uske qadam khud-ba-khud aage badh rahe the. Woh jaise ek trance me jaa chuki thi. Veer ne uska peeche kiya.

Kaera : This was-

Veer : Your old house?

Kaera : Y-Yes!

Apne purse se usne ek chaavi nikaali, aur taale par laga ke woh taala khol diya.

Bina Veer ka intezaar kiye hi woh andar ghus gayi. Andar dhool maujood thi. Samaan kuch kuch abhi bhi rakha hua tha.

Kaera harr ek hisse ko bade dhyaan se dekh andar jaati jaa rahi thi. Woh seedhiya jinse bachpan me woh utarti aur chadhti, Woh hall jaha baith uska parivaar saath hota tha, Woh study space jaha ek ke baad ek professors aake usse ghanto tak padhaate.

Usse kaafi kuch yaad tha. Woh upar ko badhi aur ek familiar jagah aate hi woh rukk gayi.

Saamne glass window thi ek jaha se neeche ka poora nazaara dekha jaa sakta tha. Ghar ka lawn yaha se saaf dikhayi padta tha.

Aur usse yaad aaya, yahi woh jagah thi jaha se woh apne chote bhai ko baahar khelte hue dekha karti thi. Aur woh andar hi ek chidiya ki tarah pinjre me band reh jaaya karti thi.

Veer bareeki se harr hisse ko dekh raha tha aur unhe check bhi kar raha tha. Kuch hisse kaale pade hue the. Aisa lag raha tha jese ghar me kabhi aag bhi lagi ho.

Veer : Kya ghar me aag laga thi?

Kaera : Y-Yes!

Veer : ???

Kaera : 3 tragedies happened here. That’s why my father left this home.

Veer : Can you share?

Kaera : Meri mom- She- She died here! Then there was fire too. Woh- Woh aag-! I remember! Aur woh ek-

Veer : ?

Kaera : Murder! Garden me! Mujhe yaad hai! There was blood! Crimson red in color-

Kaera ko kuch pal akela chorr Veer idhar udhar cheezein tatolne laga. Usse abhi 10 minute hi hue the jab usne ek sansani khej khoj kii.

Ek cupboard ko khiskaate hue usse deewaar me kuch nazar aaya. Ek prakaar ka drawer tha. Baahar usse kheechte hi uske saamne ek diary prakat hui.

Usse khol jaise hi usne andar dekha, usse ek aur bada jhatka laga.

‘Pari!’

[Yes?]

‘Do it!’

[Do what? Wait! Kahi aap? No! No! Aap aisa nahi kar sakte.]

‘Mene kaha na. Do it!’

[But Master- Finally ab jaake aap apne pendant ka raaz jaan sakte ho. Itna bada raaz jaan’ne ka mauka hai aapke paas. Kya aap sach me?]

‘Miss Kaera se badh kar nahi hai Pari. I cannot lose her.’

[B-But- Aisi skill dobaara nahi milegi master.]

‘Pari!!’

[Theek hai toh!]

*Ding*

[Seer Vision has been used.]

Kaera ko uske baad jald se jald ghar waapas chorr Veer apni himmat baandhe ghar lauta. Ghar me ghuste hi woh ladkhada ke apne kamre me gaya aur phisal ke apne bistar par gir woh behosh ho gaya.

[Maaasterrr!!!]

***

3 din guzar gaye. Kaera ke mission ke liye ab sirf do din shesh the. Veer dobaara Kaera se milne gaya.

Aur uss se milte hi usne ek diary Kaera ko thama dii.

Kaera : Kya hai ye?

Veer : Last time aapke puraane ghar se mili thi. Aapko dena bhul gaya tha. Abhi yaad aaya toh le aaya. Sorry!

Kaera : Ohh!

Woh usse thaam jese hi padhna shuru kii, uske maathe par chinta ki lakeere bann gayi.

Veer ko yu akela chorr woh ek kamre me ghusi aur khud ko lock kar lii.

Veer ne apna kaam kar diya tha. Ab bas usse notification ka intezaar tha. Par woh ye nahi jaanta tha ki Kaera 2 dino se ussi kamre me khud ko band karke rakhe huye thi.

Jab finally, mission ki time limit samaapt hui toh Veer ko ek aur bada jhatka laga. Kyuki jis notification ka woh intezaar kar raha tha woh toh aaya hi nahi. Mission khatam ho chuka tha toh notification toh aana hi chaahiye tha. Par wo nahi aaya,

Aur jo aaya, usse dekh Veer ke hosh udd gaye.

*Ding*

[Kaera’s favorability has dropped to 50.]

‘Wh-What???? N-Noooooo!!’
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Ek update aur hai agla waala, jisme kuch aur dikhaya jayega. Aur uske baad se hum seedha Crimson festival par lag jayenge. Iss update me Prakash aur Suhana ka ek convo tha jisse mene abhi subah hi hata diya hai. Moderation kiya hai firse. Toh derri ke liye maafi chaahta hu. Baaki, likes thokne ka aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad!
Veer ne apna one time use only seer vision skill use ki us pustak pr or uske baad vo ladkhadata hua ghar aaya, apne kamre me gya or 3 din tk bahar nhi aaya, akhir aisa kya tha us dairy me Jiska past dekh kr Veer ki aisi halat ho gyi or veer ne vo dairy kaera ko di, pr use thoda hi padh kr kaera ek alag kamre me kyo chali gyi, veer soche baitha tha ki mission accomplished ka notification aayega pr aaya kaera ki favourability reduce ka Jo 50 point kam ho gyi hai...

Kya iska yah parinam hua ki veer ka mission fail ho gya hai ya fir vo mission compite hone ke side effects the Jo aage chal kr khatm ho jayenge, ho sakta hai vo kaera ke real form awake Ho Jane pr jo veer ne kaera ke sath pahli baar me kiya tha uska hi Ye result ho points reduce, baki mission accomplished Ho gya ho...


Veer ko hi kyo Lagbhag sabhi ko hi kaera apni taraf attract karti pratit hogi, Uski personality hi aisi Bnai gyi hai bachpan se, Lekin ab jo veer ne kiya hai uske baad se hi kaera ki real groth start hui hai, aisa mujhe lagta hai or ab vo kayamat dhaane vali hai...

Veer ne apne business ke liye building chuse kr liya hai or kaera se contact sign karne vala tha kuchh din baad pr ab favourability kam ho jane pr Dekhte hai kya hota hai aage...

Idhar suhana soniya se chhup kr apni personal psychytrist ko bulva liya hai or jb usne test liya or uske result dekhe to shock rah gyi, suhana ab Pahle se bahut jyada Thik ho gyi hai, suhana se baar baar puchh rhi hai ki Kon hai Vo ladka Jisne Uski bimari ko sudhar diya pr suhana ne kuchh nhi btaya, Dekhte hai kya hota hai aage...

Aapne to suspense me hi daal diya kaera ke sambandh me...

Superb bhai sandar jabarjast lajvab wonderful amazing update with awesome writing skills bhai
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,573
174
Wow gosh your talented.so atleast puri story padh li maine and what a rollercoaster ride it has been.
Jis tarah se veer ka character grow hua h it's been amazing and Kudos to the pic you have added it's make more connected.
Yr mai bahot bura feel karti hu when I see keara the girl with such a talented but still she doesn't have a clue what is life it's really sucks.
Now about soina i think usko thoda aur focus me Lana chahiye tha but jitna bhi padhi hu she is very interesting especially her inferiority complex i want se her more

Now Nidhi ma'am my god (yea my favourite character) she has been so much i literally got tear in my ear jb she usne paper par sign kiye and when she held her son
Yes mai chahti hu nidhi should accept him they must be look great together

Suhana that women deserve some love she has been through a lot the growth of her character is amazing ek rich arrogant se cute caring suhana love your writing skill sir

Especial mention to our cute si jhuhi ek din chocolate ki factory jarur hogi hehe

Raghni(yea she is in my top three) the most focused female character i guess she does has her charms and jis tarah se she care, love and adore veer make me smile 😊

Kavya she is such a doll i totally adore her

Lol kuch jadha hi likh diya hehe once again i loved your story aur most importantly those characters feels relatable that make your story the best

Paaka ye last line h mai ek baar especial mention karna chati thi bhavna,tajak and shweta
And thanks a lot for this amazing and wonderful story huge respect for you sir.
Madam ji tear 😢 eye se nikaliye not in ear 👂
 

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
133,936
110,462
354
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words tak ho sakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. . Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writers ko Awards k alawa Cash prizes bhi milenge jinki jaankaari rules thread mein dedi gayi hai, Total 7000 Rupees k prizes iss baar USC k liye diye jaa rahe hain, sahi Suna aapne total 7000 Rupees k cash prizes aap jeet shaktey hain issliye derr matt kijiye or apni kahani likhna suru kijiye.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 28th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar shakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.


Rules Check karne ke liye is thread ka use karein — Rules & Queries Thread

Contest ke regarding Chit Chat karne ke liye is thread ka use karein — Chit Chat Thread



Prizes
Position Benifits
Winner 3000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3000 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top