• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,209 83.1%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,455

Sanki Rajput

Abe jaa na bhosdk
5,716
14,456
174
Ekdum satya vachan! Aur mein toh 1700 pages se upar se ye dekhte aa raha hu. :laughing: Thodi hataasha toh hoti hi hai. Mein ye nahi keh raha story par lambe revos chhaapo. Ek line bhi likh rahe ho toh chalo wahi likho. Par kam se kam usme toh kuch alag likho guys. Harr baar wahi ek line. :sigh2: Yadi koi writer harr baar wahi same update de toh aap logo ko kesa lagega? Sabhi itne padhe likhe toh zaroor hai yaar ki kisi cheez ko padh ke uske baare me 2-4 shabd likh sake. Mein sirf keh hi sakta hu. Uss par implement karna toh aapka hi kaam. And thanks man! Ju ne kaafi acche se points rakhe.

Ye kahani likhna matlab harr update me brainstorming karna. Back and forth move karna padta hai mujhe updates me cheezo ko mind me baithaane ke liye. :D Ki mene iss update me yaha ye kiya tha. Yaha par Veer ke paas points itne the. Baad me usse itne mile. Uska poora hisaab kitaab bana ke chalo. Uske baad unn pics me inko edit karo. Saath hi kiski favourability kitni thi, kis update me kitni badhi kitni ghati... Ye sirf mein upar upar ka bata raha hu. :D

Anyways! Thanks a lot for pointing it out. ✨
Koi n bhaya ju bas isi trah khus rahne ka aur apan logo ko bhi apne writing skill se entertain krte rahne ka
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update - 99 ~ A Night at the Mansion (1)

Ab tak...

Divya : The second criminal...!!!!!

Veer : Huh???

Suhana : !!????

Aur agle hi pal... Usne table par ek paper patalte hue rakha. Ye wahi printout tha...

Usse dekhte hi Suhana ka badan kaanp utha.

Saamne printout me jo tha, wo tha...

Ek wanted paper!!!!

Divya : And his name is...

Veer : ?????

"THE NIGHTWALKER!!!!"


Ab aage...

[Is this the one? Master! Please! Be extra careful. Isse dekh ke mujhe bilkul bhi sahi nahi lag raha hai.]

'Tum akeli nahi ho Pari! I'm getting the same vibes. Yaha kuch boht hi bhayanak humse chhupa hua hai. Kuch aisa, jiske liye shayad hum taiyaar nahi.'

[Mein uss Nik ko kabhi maaf nahi karungi. I will never. Sab kuch uske hi kaaran hua hai. I hate that couple.]

'Nahi Pari! Ye toh hona hi tha. I guess maybe mujhe yaha next mission mil jaaye? Tum jaanti hi ho hume points ki kitni zaroorat hai.'

[Maaasttterrr~ Aap sirf points ke liye apni jaan daav pe nahi laga sakte. Missions ka kya hai? Woh toh milte rahenge. I cannot lose you like this okay? Aap sunn rahe ho na?]

'I'm listening Pari! Par, Aisa kaun sa waqt tha meri zindagi me jidhar mene risks nahi liye? Mera jeevan khatro se hi bhara tha Pari. Abhi bhi bhara hai. Aur aage bhi bhara rahega. Ye baat toh mein tab hi jaan gaya tha jab tum mere andar aayi thi."

[I-I'm so sorry. :verysad: ]

'Pagli! Mein tumhe dosh nahi de raha. Tumhare aane se hi toh mein firse zinda hua hu. I can never blame you. No matter what! You are my soul, Pari.'

[M-Maaaasssttteeerrr! (╥﹏╥)]

Pari aur Veer ke beech bhavnaatmak baate chal hi rahi thi jab,

"I'm dropping you both here. You better survive. I won't come here to pick your dead meat."

Saamne se pilot ne Veer se kaha. Helicopter me woh savaar tha. Aur uske bagal se baitha hua tha, Mike. Jo investigation department se hi tha.

Neeche unke ek hi drishya tha. Ek khubsoorat island!!!

Helicopter thoda neeche hua aur utarne ke liye airstairs ko hawa me neeche gira diya gaya.

'Fuck! Meri phat rahi hai utarne me. Mene kabhi kiya nahi ye.'

[Masterrrr! Don't worry! Bas pakad mazboot rakhna apni. Stay strong maaasterr~]

'Yeahhh!'

Mike ki dekha dekhi kar Veer stairs se utarna shuru kiya aur...

*Plop*

Dono ne zameen par girte hue apne qadam rakhe.

"I'm fucking leaving!! Good luck!!!"

Upar se pilot ne zorr se chillaaya, par helicopter ki ghoomti hui blades ki awaaz ke aage uski awaaz theek se sunaayi na de saki Veer aur Mike ko. Aur copter waha se nikal gaya.

Ek lambi aah chorr Veer ne apne saamne dekha. Uske saamne ye khaufnaak sa island maujood tha. Dur dur tak ped paudho ke alawa kuch nahi dikh raha tha usse.

Sooraj dhal chuka tha, andhera barkaraar tha. Chaand par ghane kaale baadalo ki chaadar bichhi hui thi. Aur mand mand chalti thandi hawaein, jo Veer ke badan me ruye khade kar rahi thi.

Yaha se aage ka raasta usse aur Mike ko akele hi tay karna tha. Wo dono iss island ke chorr par akele khade hue the.

Investigation department ki taraf se copter unhe yaha chorr ke nikal chuka tha. Kuch khaas shabd toh nahi kahe the pilot ne uss se kuch derr pehle. Private detectives se jude logo ko waqai kuch zyaada hi hate de rahe the ye investigation waale.

Kherr! Veer aur Mike aage badhe. Unke paas kaafi samaan tha utility ka. Chaahe emergency torch ho, knife ho, ya kuch bhi. Taiyaari ke saath woh yaha aaye the. Yaha aane se pehle kaafi bawaal bhi hua tha. Jesa ki Pari ne Nik ka zikr kiya.

Ek prakaar se Veer uske hi kaaran yaha tha. Investigation department ke Head Nolan ne saaf saaf Nik ko chetaavni de dii thi ki unke department se ab iss case ko lekar koi bhi apni taang nahi adayega. Unhone ye bhi keh daala tha ki ab tum log hi apni taraf se bhejo kisi ko. Bada shauk hai na private detectives hone ke baad public cases solve karna ka?

Toh lo fir. Diya case! Jao! Risk uthao! Aur saabit karo.

Nateeja? Nik ne Veer ko aage kar diya. Woh bewakoof nahi tha jo khud aisi khatarnak jagah jaake apni hi gaand marwaaye. Aur woh Divya ko bhi nahi bhejne waala tha. Suhana ko bhi nahi bhejta woh. Toh bacha kaun?

Of course! None other than Veer!!!

Aur Veer se toh uski koi pehchaan bhi nahi thi. Divya bhi bada hi flirt kar rahi thi Veer se. Isliye Veer ko khatre me daalne se pehle ek baar bhi usne Veer ke baare me nahi socha. Jalan sach me kutti cheez hoti hai.

Par Mike aisa nahi tha. Jab usne dekha ki kese Veer ko akele maut ke kuye me dhakela jaa raha hai. Toh uss se raha nahi gaya. Veer ka toh koi lena dena hi nahi tha iss case se. Usse faaltu me bali ka bakra banaya jaa raha tha. Isliye usne apna naam bhi aage kar diya. Beshaq, uske iss faisle se kaafi vivaad khada hua par ant me uski baat unhe maan'ni hi padi. Akhir uski marzi thi ye.

Woh Veer ko aise akele nahi jaane de sakta tha. Veer andar hi andar Mike ke prati abhaari tha. Kuch log insaaniyat ke aur dil ke boht hi acche the yaha. Jese Mike...

[I fucking hate that man soooo much!! Humne kya bigaada hai uska?]

"Shhhhh! Mene kaha na Pari! It's inevitable! Ye hona hi tha."

[But still...]

"Shhh!!! Let's get going."

Veer ne Pari ko shaant kiya.

Bagal me chal raha Mike tabhi uss se bola,

Mike (smiles) : Don't worry bro! We'll handle this.

Wo Veer ka confidence badhaane ki koshish kar raha tha.

Veer (smiles) : Sure!

Kuch bhi ho jaaye, Veer Mike ko marrne nahi de sakta tha. Apne mann me hi usne ek commitment baandha.

Yaha aane se pehle Suhana ne bhi kaafi virodh kiya tha. Suhana Veer ko yaha help ke liye laayi thi. Usse marwaane nahi. Jese tese Veer ne usse shaant kar diya tha. Par woh jaanta tha Suhana abhi kitni bechain ho rahi hogi. Jab woh copter me baith ke nikal raha tha tabhi uska chehra dekhne laayak tha. Sach kaha jaaye toh pehli baar Veer ne Suhana ke chehre par apne prati woh bhaav dekhe the.

She never showed but she really cares for him. Yaha tak ki Divya bhi kuch chinta me thi. Shayad uska ravaiyya badal raha tha.

Mike aur Veer aage badhe, haatho me torch thi unke. Ghane ped paudho ke patte hataate hue wo Island me aur bheetar ghuse. Aur jese hi ialand ke beecho beech aaye. Saamne ka nazara dekh unke hosh udd gaye.

Island ke beecho beech unke saamne tha...



Disneyland-Haunted-Mansion

Ek khubsoorat par utna hi daraawna sa Mansion.

Badi hi ajeeb sii anubhooti karwa raha tha ye Mansion. Sundar tha, bada bhi tha, par uss mansion me kuch aisi baat thi jo Veer ko aage qadam badhaane se pehle chetaavni de rahi thi.

Ajeeb baat ye thi ki mansion ki lights jal rahi thi. Island me electricity ka koi source nahi tha. Matlab basement me generators pakke se maujood the.

Veer : What do you think?

Mike : Well! I never imagined there would be such a huge mansion hiding in here. And guess what? Lights are on.

Veer : Then that means...

Mike : Yeah! Someone else is inside.

Veer : Other participants?

Mike : Maybe! Or maybe not!

Mansion ki jalti hui lights yahi ishaara kar rahi thi ki koi na koi andar maujood tha.

Mike : We must find whoever it is. We will definitely catch Senior Connor's murderer.

Veer : Hope so...

Mike : Shall we head inside?

Veer : Alright!

Entrance ki orr woh badhe. Entrance par ek bhi guard maujood nahi tha. Koi security nahi thi. Lohe ka bada sa gate tha jisse khol woh andar aaye.

Mansion ke saamne chota sa lawn tha jaha ghaas lagi hui thi, bagal me ek chariot rakha tha safed rang ka par koi ghoda nahi bandha tha uss se.

Andhere me poora Mansion vishaal pedo se ghira hua tha aur woh dono main gate pe pohuch gaye.

Mike ne apne jeb se ek card nikaala aur Veer ko dekha.

Veer (nods) : Do it!

Aur darwaaze ke hi side me ek patla sa slit gap maujood tha. Mike ne jese hi card andar slit me daala toh...

*Click*

Darwaaze se awaaz aayi. Aur woh unlock ho gaya.

Mike : It actually worked.

Veer : The info was true then...

Jankari sach thi matlab. Connor ke akhiri video se unhe iss jagah ka pata chala tha. Ab sawaal ye tha ki Mike ko woh card kese aur kaha se mila? Iski jankaari bhi usne video me hi dii thi.

Slot machines ki street me hi ek aadmi tha jo ye cards bechta tha. Wahi lottery waali slot machines. Yaha sab kuch khufiya tareeqe se hota tha. Uss bechaare ko ye bhi nahi pata tha ki ye cards kis liye hai. Usse bas bechne diye gaye the aur cards bik rahe the, iss baat se hi khush tha woh.

Police usse yu hi giraftaar nahi kar sakti thi. Uss bechaare ko toh ye bhi nahi pata tha ki ye cards kaun bhijwata hai usse. Kyuki delivery wala toh deliver kar ke chala jaata tha.

Inn cards ka istemal island me maujood iss darwaaze ko kholne ke liye hi tha. Koi soch bhi sakta tha aisa? Kuch boht hi badi planning chal rahi thi peeth peeche.

Darwaaza khol jese hi woh andar aaye, andar ka nazaara kuch aisa tha.



b-o-w-qin-mansion-hall-render-01j

Upar ceiling se chandelier latak raha tha. Andhera tha par jagah jagah candles jal rahi thi. Kahi kuch lights bhi jal rahi thi.

Aur ye main hall bhi nahi tha. Ye toh sub hall ki tarah tha. Neeche bada sa carpet biccha hua tha jo saamne darwaaze ki orr jaake khatam ho raha tha.

Shayad wahi main hall ka entrance tha.

Mike : Let's go!

Veer : Yeah!!!

Mike aur Veer apne dil ki tezz dhadkano ko thaam aage badhe. Hall ka gate bhi khula hua tha.

Jese hi unhone gate khola, unhe ek hallway nazar aaya.



19265474208-792f4e133e-b

Jagah jagah paintings lagi hui thi deewaaro par, jo kisi ke ateet ko baya kar rahi thi. Neeche biccha khubsoorat sa kaaleen. Iss area me lighting sub hall ke muqaable zyada thi.

Wo andar ki orr gaye aur jese hi wo enter kiye,

Veer : Huhh???

Unhe waha 6 log aur dikhaayi diye. Jinme se 4 ladke the aur 2 ladkiya.

"What the hell? More people are coming? But that's actually good."

Sofe pe baitha ek ladka unme se bola.

Veer : These guys...

Tabhi ek ladki jo kareeb 27-28 saal ki lag rahi thi woh uth ke aayi aur Veer aur Mike ke ird gird ghoomne lagi. Fir boli,

Ladki : You guys! Are you here for the bars too??

Veer : Y-Yeaahhh!!!

Uss ladki ne sawaal kiya. Kya Veer log bhi idhar bars ke liye aaye the? Veer ne jawaab haan me diya.

Bars!!! Samjhe? Golden bars!!! Bole toh sone ke biscuits.

Mansion me 10 million dollars worth ke golden bars maujood the. Alag alag jagaho par. 10 million bole toh kareeb kareeb 79 crores, 84 lakh, 55 hazaar ke aas paas ka rokda.

Aur shayad yaha maujood baaki log bhi issi ki talaash me the.

Ladki : Ohhh! I'm Emma by the way. A nurse by profession.

Mike : Nice to meet you! I'm Mike. Just a graduate. And he's Veer, my friend.

Mike ne apni identity jaan boojh ke chhupa lii.

Emma : Veer? Strange name! But you are hot though. I will give you that. *wink*

Emma khubsoorat thi. Par Veer ko usme koi interest nahi tha. Uski nazre jiski taraf gayi woh koi aur hi thi.



IMG-20220725-002231

Black denim jacket daale woh bookshelf ke paas khadi hui thi. Aur unhe hi dekh rahi thi. Khaaskar Veer ko. Ek sundar vyakti dusre sundar vyakti ki taraf aakarshit hota hai. Ye baat sach thi.

Khubsoorti ka uska koi jawaab nahi tha. Sonia aur Kaera ki takkar ki thi woh yadi chehre ki khubsoorti ki baat ki jaaye toh.

Usse dekhte hi...

*Ding*

[Name : Zoey Clarkson

Age : 27
Bio : Zoey ek model hai. Par paiso ki tangi ki wajah se woh apni life me aage nahi badh paa rahi hai. Khubsoorat hone ke bawajood usse Model contracts zyaada mil nahi paa rahe kyuki woh nudity ya intimate photoshoots pe nahi utarna chahti. Financial condition kaafi gir chuki hai. Kisi se gupt jankari usse mili hai ki island ke iss Mansion me khazana chhupa hai. Woh apna luck azmaane aayi hai yaha. Ghar me uska koi nahi hai. Toh apni jaan ki parvaah kiye bina woh ek akhiri baar apni kismat azmaana chaahti hai.

Favourability : 4
Relationship : Strangers.]

'I see!!!'

Emma dekh rahi thi ki Veer Zoey ko nihaar raha tha aur Zoey bhi usse dekh rahi thi. Ye dekhte hi andar hi andar woh jal bhun gayi.

Woh bhi yaha maujood thi. Fir uski sundarta par koi kyu dhyaan nahi de raha tha? Aisa nahi tha ki Emma sundar nahi thi. Bas, Zoey ke saamne woh thodi feeki lag rahi thi. Zoey kuch zyada hi aakarshak thi.

Mike : And who are they?

Emma : The girl over there. She's Zoey! A model. And these guys are, Jacob, Tommy, Chester, and Ronnie.

Ek ek karke Emma ne unka parichay diya.

Emma : We got familiar just few minutes ago.

[Dekha master!!!! Ye bilkul wesa hi hai jesa Connor ne bataya tha. Alag alag log yaha aate hai. Aur raat guzaarte hai. Golden bars ko dhundne ke liye jo yaha kahi na kahi chhupe hue hai. Par raat me hi...]

'Yeahhh!!! The NIGHTWALKER!!!'

[Yes Master~ Abhi 7:30 hua hai time. Connor ne bataya tha raat 9 baje se shuru hota hai sab.]

'Hmm~ Hamaare paas dedh ghante hai yaha ki territory ko dimaag me baithaane ke liye. Pari!!!'

[Don't worry Master! Path Tracker on hi hai. Mansion boht bada hai. Mene off nahi kiya hai usse.]

'Good job!!!'

Connor ne jab video banaya tha, tab uska connection department se cut ho chuka tha. Mansion me network nahi milta hai. Dusri bhaasha me, phone calls nahi lagaaye jaa sakte aur na hi receive kiye jaa sakte hai.

Iska matlab, Divya aur Nik ko jo video mili woh NIGHTWALKER ne khud hi bheji thi unhe shayad.

Veer aur Mike ko ye raat apne hi bal bute par guzaarni thi. Veer ne harr ek ke naam dimaag me baitha liye the.

Emma jo nurse thi, Zoey ek model. Jacob ek fashion designer ka assistant tha. Tommy aur Chester ka group band tha aur Ronnie ek choti si company ka employee. Sabhi paiso ki tangi ki wajah se hi yaha the.

Mann me dherr saare sawaal aa rahe honge. Ki yadi ye crime yaha ho raha hai, toh police seedha dhaava kyu nahi bol deti yaha? Par jitna asaan ye dikhta tha utna tha nahi.

Ye Mansion band rehta tha. Keval chuni gayi dates par hi khulta tha ye. Aur aaj woh chuni gayi dates me se ek date thi.

Mike ne jo Card use kiya tha kuch derr pehle usme date mentioned thi. Aaj ki date.

Aur toh aur... Govt. police ki madad karne se katra rahi thi. Police department me restrictions thi kuch. Yaani ye jo kaam ho raha tha woh tha toh illegal. Par legally iss par koi rok nahi lagayi Jaa rahi thi.

Ye ek boht badi baat thi.

Emma : So? What are we gonna do?

Jacob : The NIGHTWALKER is real right? I heard rumours about him.

Emma : What do you mean?

Ronnie : The NIGHTWALKER!! He's a protector of the treasure. I have heard about him. He kills those people who try to steal the treasure.

Emma : Wh-Whaaattttt??!

Emma ko iss baare me koi jankari nahi thi ki yaha koi Nightwalker naam jesa bhi kuch tha. Woh toh yaha paisa kamane aayi thi. Kya matlab Nightwalker unhe maar deta hai jo khazana lene aate hai? Emma ki ab phat rahi thi.

Tommy : Of course! What were you expecting? Will someone allow you to steal his treasure just like that? We have to survive this night. A killer will be roaming here freely to kill the one amongst us who tries to steal the treasure.

Chester : Yeah!!! It's just like that. Do or die.

Emma : Whaaatttttt??? N-No waayyy! I-I'm fucking leaving. I don't wanna die.

Emma ne jab ye baat suni toh darr ke maare uske perr kaapne lage. Tommy ne kaha tha ki raat me ek killer mansion me ghoomta hai. Aur unn logo ko maut ke ghaat utaar deta hai jo bhi raat me uski nazro ke saamne aate hai.

Emma bhaagte hue baahar nikalne ko hui par jese hi woh main hall ke gate par pohuchi aur usse kholi...

Uski ghabraahat aur bhi badh gayi. Main hall ka gate band ho chuka tha.

Emma (screams) : Fucking open the goddamn door.... Aaaarrghhhhh!!! Open it!!!! I DON'T WANNA DIE HERE! I WANT TO LEAVE!!!

Par darwaaza nahi khula. Tabhi ek awaaz aayi aur unn sab ko sunaayi dii. Awaaz buland thi par usme ek kharaash thi, Daraavni thi woh awaaz.


"Welcome to the Nightwalker mansion!
You chose to come here. You purchased the card. Now you cannot leave the mansion until tomorrow morning."

"Rules are pretty simple!!! Survive the night! 10 million worth of gold bars are hidden in this mansion. If any of you can find them, you can take them away."

"Game will begin sharp @ 9 PM"

"Remember! You can only search the Mansion for half an hour during intervals. In other words, 9-9:30 will be your search time. After 9:30 Nightwalker will walk through the mansion. If he finds anyone of you roaming. YOU WILL BE KILLED."

"He will walk till 12 AM. Then, again you can search the Mansion for half an hour. After 12:30 he will walk till 3 AM. Again a half hour will be alloted. And last time will be Nightwalker walking from 3:30 AM till 6 AM"

"There are many rooms on both the floors. You can choose whichever you want."

"It's 8:00 PM now. You have 1 hour. You can do whatever you want to do. Remember the time. Sharp 9 PM."

"Good luck!"


Aur awaaz band ho gayi. Awaaz aayi toh intercom se hi thi par Veer ko kahi koi intercom nazar nahi aaya.

[Maaasterrrr~]

Pari ki ek chinta janak awaaz Veer ke mann me goonji,

'Don't worry Pari!! Mein apna dhyaan acche se rakhunga.'

[Yes please!!! Mujhse jitna hoga mein aapki madad karungi.]

Uss awaaz ke band hote hi sabhi ek dusre ko dekhne me lage hue the.

Emma (screams) : WHAT THE HELL IS THIS? YOU ARE TELLING ME A KILLER IS THERE IN THIS MANSION WITH US????

Ronnie : Seems like it.

Emma : This is bullshit... How the fuck can I search the bars if someone is roaming outside to kill me?

Rules simple the. Theek 9 baje maut ka ye khel shuru hona tha. Teen interval diye gaye the. 9 se 9:30, 12 se 12:30, aur 3 se 3:30 tak ka samay. Yaani kul milaake dedh ghante.

Iss dedh ghante ke samay me aapko bars dhundne the. Yadi aap dhundh sakte ho toh dhundho. Par baaki ke samay me, Nightwalker poore mansion me ghoomega. Yadi koi bhi usse nazar aaya toh...

Maut!!!

Veer thoda chintit tha. Emma ki toh phat ke hi chaar ho chuki thi. Par baaki sabhi kaafi relaxed lag rahe the.

Chester : Huhh? That's it??? Man!! This is so easy. We can search for half an hour and when that time ends. We can head back to our room. Simple right?

Zoey : Is that Nightwalker even real?

Zoey ne pehli baar kuch kaha. Veer aur uski nazre ek baar fir takra gayi.

Mike : Hmm! Yes! I can say for sure that the Nightwalker is real. It's not a myth or legend. He's here.

Tommy : Wait!!! What if he's one of us???

Zoey confirm kar rahi thi ki ye Nightwalker sach me hai bhi ya nahi? Kahi ye koi afvaah toh nahi hai? Mike ne bhi Connor ki video dekhi thi. Beshaq, Nightwalker ka mask bhi dekha tha usne uss video me. Isme koi shaq nahi tha ki woh hai. Aur issi Mansion me hai. Shayad woh awaaz bhi ussi ki thi? Kisse pata? Par itna zaroor pata tha ki woh hai yaha par.

Par Tommy ki baat ne ek baar fir unhe chinta me daal diya. Kahi unhi me se ek Nightwalker toh nahi tha?

Mike : I don't think it's plausible. Nightwalker is someone else. Maybe the one who told us about the details? Or maybe someone else? And if he's among us, then we can easily identify him. Whoever will be absent during our group meeting. Only he/she can be one.

Mike ne samjhaate hue kaha. Uska kehna tha ki yadi aapas me se koi Nightwalker nikalta bhi hai toh bhi usse asaani se pakda jaa sakta hai. Group meeting ke dauraan jo bhi unke beech gaayab rahega. Uske upar hi shaq jaega.

Jacob : We should select a room first. We can keep our bags there. And then how about taking a stroll in the Mansion? That way we can get familiar with our surroundings.

Chester : Definitely! Sounds good!!!

Jacob ki raay sabhi maan gaye. Uska kehna tha ki jo ye ek ghante ka samay mila tha. Kyu na hum uss ghante me apne apne room select kar usme samaan rakh de aur baahar nikal ke Mansion ka ek chakkar lagaaye taaki hume pata chal sake kaun sii jagah kidhar par hai.

Idea bura nahi tha. Aur yadi Jacob ye baat nahi bhi rakhta toh bhi Veer ek chakkar mansion ka maarta hi.

Zoey : Alright!

Tommy : Yes!!! That's it guys. Let's meet here after 15 minutes.

Ronnie : Okay!

Emma : J-Jacob, Can I stay in the room beside yours?

Jacob : Ohh sure!!!
Ronnie, Jacob, Tommy, Emma, Chester ye sabhi upar chadhe aur baayi orr mud ke baayi taraf hallway me chale gaye.

Toh wahi Veer aur Mike aage badhe, unke peeche Zoey thi.

Jese hi woh waha pohuche unke saamne do corridor ke liye raste the. Ek baayi orr jaa raha tha jaha woh sabhi abhi gaye hue the. Aur ek daayi orr.



200801-loftus-hall-haunted-sale6

Veer : Which one?

Mike (smiles) : I always do my things right!

Veer (smiles) : Let's go then!!!

Mike ke kehne par dono aage badhe aur daayi orr mud gaye. Khaas baat ye thi ki Zoey bhi unke peeche thi.

Veer ne peeche palat usse dekha toh ek baar fir unn dono ki aankhein ek dusre se mili. Par dono ne hi kuch kaha nahi. Veer ki pride aur attitude usse conversation strike karne se rok rahi thi. Alpha male instincts active the uske. Ab woh unn ladko me se nahi tha jo laundiyo ke peeche bhaag ke unki chaate.

Ladkiya khud-ba-khud uske paas aati thi. Uski pehchaan hi ab aisi thi.

Mike toh friendly tha hi. Usne hi baat shuru kii,

Mike : You are not going with them?

Mike ne pucha. Zaahir hai ki Zoey unke saath khadi hui thi. Par fir bhi woh abhi veer aur uske saath aa rahi thi.

Zoey : I trust you guys more than them.

Veer : !!!???

Mike : Hahaha~ I see! So that's how it is. Veer! I'm choosing this one.

Mike ne ek room ke darwaaze ke baahar rukte hue kaha.

Veer : Alright! I'll choose the one next to you.

Woh aage badha aur jese hi room ke baahar ruka woh toh uska dhyaan darwaazo aur room numbers pe gaya.

Veer : Hmm?

Darwaaze ki banawat alag kism ki thi. Rectangular Bars bane hue the darwaaze me.

'Iss Nightwalker ko golden bars ka itna shauk hai ki darwaaze par bhi bars banwa diye!? Haha~'

[Yeah!!!]

Jis prakaar se rectangular bars ek chocolate me hote hai. Kuch ussi prakaar darwaaze ka structure tha. Veer ne jese hi darwaaza khola usse aashcharya hua.

'Ohhhh~'

Darwaaza kaafi bhaari tha.

'Hmm? That's weird!'

[Room number?]

'Yeahhh!!! Pari!!! Mike ka room number mere se ek kam ya zyada hona chahiye. Uska room mere bagal se hi hai. Par uska room number toh kuch aur hi tha. Yaha ki numbering lagta badi hi ajeeb hai.'

[I agree master! Yaha ki kaun sii cheez ajeeb nahi hai? Fucking everything!]

'Hahahaha~ Ye baat bhi sahi hai.'

Zoey Veer ke peeche se nikalte hue aage gayi aur Veer ke bagal waale room me ghus gayi. Ghusne se pehle ek baar usne Veer ko zaroor dekha.

[Hehehe~ She's interested in you.]

'Ohhh shut up! Favourability tumne dekhi nahi kya? 4 thi.'

[Toh fir woh aapke saath kyu aayi? Woh bhi aapke bagal waale room me? *sniff *sniff* I smell curiosity here.]

'Hahaha~ Tum overthink kar rahi ho Pari. Usne kaha toh. Woh humpe zyada bharosa kar rahi hai. Aur dusri baat, mene pehle Mike ke bagal wala room le liya. Toh woh zaahir hai ki mere next wala hi room choose karegi. Bhala akele hoke woh humse dur waala room kyu lena chaahegi?'

[Hmm... But still! I can tell... I'm a girl too.]

'Naah!!!'

Veer ne apna bag andar room me rakha. Room accha tha. Par uske bawajood scary vibes de raha tha.

Bag rakh sabhi ussi hall me ikhatta hue. 15 minute baad milne ka decide kiya tha unhone.

Sabhi ekatr hue aur sabhi ne mansion me ghoomna shuru kiya ek saath. Mansion itna bada tha ki sabhi stabdh the ye jaanke.

Aur ghoomte ghoomte unki asli gaand tab phati jab unhe pata chala ki washroom ek hi tha poore Mansion me.

Woh bhi ground floor par. Woh sabhi toh upar wali floor par the. Upar se kitchen bhi ekdum end me tha. Pani ki supply toh yahi thi. Ye toh dikkat waali baat thi.

Ghoomte ghoomte woh ek aise hisse par pohuche jaha ajeebo gareeb paintings latki hui thi.



5706355407-daa3e1e358-b

Veer unn paintings ke nazdeek pohucha...

'These are weird!! Check!!!'



d2d61c3072ab87ae80f585b562195f21

*Ding*

[One of the paintings collected by Noah.]

'Noah?? Ye Noah kaun hai? Yaha ka maalik? Ya past me jo yaha tha?'

[I don't know master! Par aap bas apna dhyaan rakho. Don't care for Money or anything else. I want you to be safe. That's it.]

'Tum toh meri maa bann rahi ho Pari! Haha~'

[Because I love you. You know that. Aur aap jaante hi ho mera kya haal hota hai. Why don't you understand?]

'Wese...'

[Hmm?]

'Kya meri maa waqai meri chinta karti hai? Asli maa...'

[Don't get emotional. She definitely loves you.]

'Unki taraf se abhi tak koi response nahi aaya hai Pari. Unhe Pendant dikhane ke baad bhi.'

[Thoda intezaar kijiye. Woh zaroor aapko dhundhne aaengi.]

'Kaash....!'

Poora mansion ghoomne ke baad.

Neeche rakhi badi sii ghadi ka ghanta baj chuka tha.

*Ding Dong*

Ghadi se chidiya nikal kuku kuku kar rahi thi. 9 baj chuke the. Intercom se iss baar koi awaaz sunaayi nahi dii thi.

Aadhe ghante tak unlogo ne dhundha par kahi koi khazana nahi mila.

Zoey : We didn't try harder. What if money is hidden in the basement? Or maybe behind the paintings? You know what I mean?

Tommy : Definitely! We will do that in our next shift.

Aur yahi soch sabhi apne apne kamre me chale gaye.

Kyuki Nightwalker ke ghoomne ka samay shuru ho chuka tha.

Sab ne andar se apne room ko lock kar liya. Raat me woh ghoomta tha, tabhi uska naam pada tha. Nightwalker!!!

Khauf ke maare sab andar dubak gaye. Veer bistar par lete kuch soch raha tha jab achanak hi...

"Eeeeaaarrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhh"

Ek raungte khade kar dene waali cheenkh poore mansion me goonj gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad! Like thokne ka aur comments karne ka. Matlab revos chhaapne ka. 😁
Keep supporting! ✨
Awesome Updateee
 

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,467
89,410
259
Bro ye night Walker wala schene same to same granny game se milta hai apka kya khyal hai dude😁
Nahi bhai! Ye alag hi cheez hai. Granny toh chotu sa game hai bhai. Cheezein dhundo, fit karo bhaago niklo. Hmm wese yahi ek similarity hai. Yaha bhi kuch dhundna hai aur nikalna hai yaha se baahar.
 

Your heart

New Member
17
92
13
Dost, mera ek suggestion maanoge, is story se sex bilkul hata do, ye story thriller jyada achchhi lgti h, mujhe personally iske thrill scenes jyada pasand aaye hain, main anya logo ki baat nhi keh skta lekin mera opinion yahi h ki aapne is story ko incest me rakh kr bhul ki hai, mujhe ye story bahut jyada pasand aa rahi h lekin bina sex scenes ke, main sex scenes skip kar ke padh raha hu aapki story ko, ab tak aapne bahut hi badhiya rakha h, I hope that there would more exciting updates came without sex, and personally I will get more satisfied with it, iske baad aapki ichchha h ki aap ise sex k sath rakhte ho ya sex k bina, lekin personally mujhe ye story sex k bina jyada exciting lagi......


Baki aap ne story bahut mast likhi h, main har roj yahi sochta hu ki aaj iska next update aa jayega, fir yahi soch kr shaant ho jata hu ki jaise main din bhr busy hone k baad aaram dhundhta hu waise hi aapko aaram ki sakht jarurat h, isiliye mere dost, main comments paas nhi krta, baaki aapki ichchha pr ye purntaya nirbhar h ki aa kis catogary me is story ko chalana chahte hain, aapki ichchha ka samman krte hue hm is story ko hr format me padhne k liye taiyaar hain......


Keep writing n keep updating us



Your true well-wisher
Veer sinha
 

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,467
89,410
259
Dost, mera ek suggestion maanoge, is story se sex bilkul hata do, ye story thriller jyada achchhi lgti h, mujhe personally iske thrill scenes jyada pasand aaye hain, main anya logo ki baat nhi keh skta lekin mera opinion yahi h ki aapne is story ko incest me rakh kr bhul ki hai, mujhe ye story bahut jyada pasand aa rahi h lekin bina sex scenes ke, main sex scenes skip kar ke padh raha hu aapki story ko, ab tak aapne bahut hi badhiya rakha h, I hope that there would more exciting updates came without sex, and personally I will get more satisfied with it, iske baad aapki ichchha h ki aap ise sex k sath rakhte ho ya sex k bina, lekin personally mujhe ye story sex k bina jyada exciting lagi......


Baki aap ne story bahut mast likhi h, main har roj yahi sochta hu ki aaj iska next update aa jayega, fir yahi soch kr shaant ho jata hu ki jaise main din bhr busy hone k baad aaram dhundhta hu waise hi aapko aaram ki sakht jarurat h, isiliye mere dost, main comments paas nhi krta, baaki aapki ichchha pr ye purntaya nirbhar h ki aa kis catogary me is story ko chalana chahte hain, aapki ichchha ka samman krte hue hm is story ko hr format me padhne k liye taiyaar hain......


Keep writing n keep updating us



Your true well-wisher
Veer sinha
Thanks a lot man! Bilkul jo cheez pasand hai usse kehne ka aur jo nahi usse saamne rakhne ka.

Ye story bro mene incest me rakhi hai. Kuch soch ke. Abhi erotica introduce nahi hua. Incest toh aaya hi nahi hai theek se. Kyuki Veer ka abhi proper harem establish nahi hua hai. Jab woh ho jaega, tab erotica saath me chalegi. Plot me koi compromise nahi hoga. Par ek naya element jud jaega. Erotica aur sex ka.

Story issi ke saath hi aage badhegi. Kyuki bro yahi soch ke mene iski shuruaat kii thi. Aur yahi sahi hai. Jinko sex nahi padhna woh toh skip kar hi sakte hai. Par jinko dekhna hai apme favourite characters ke beech. Unka kya? Woh toh bechaare aas liye hi baithe reh jaenge na? Isliye dono taraf chalna padta hai. Baaki apni baat rakhne ke liye boht boht shukriya. Keep supporting man! ✨
 

Rihanna

Let the fire burn
564
2,953
123
readers har kisam ke hote han bhai.. kisi bhi cheez ko leke vichar bhi har kisi ke alag alag hote han.. kuch log XFORUM par zayada stories read kar rahe han, to wo jaldi se "superb update".."nice update".."zabardast update" likh kar next story ki or badh jaate han..
kuch readers aise bhi hote han bhai, jo kisi story ki update read karne ke baad apne andar chal rahe vichar"jo usay update ko padhne ke bad aate han" tarteeb nahi de paate, to just simple words ka use karte han.. agar sabhi ko detail me reviews dena aa jaaye to fir wo koi story bhi to likh sakte han.. unhe reader rehne ki zarurat hi kya hai !!!

sorry main bhi kabhi aise hi readers me raha hon, jise reviews dena nahi aata tha, aise hi likhne baith gaya.. to fir reviews dena bhi aa gaya... aapki story is time chal rahi sabhi stories me se top par hai bhai.. to agar aapko achhe reviews nahi mil rahe, to aap ye dekh liya karen keh aapki aane wali update ke liye kitne readers intezar me rehte han..

wahi readers din me najaane kitni baar aapke thread ka visit karte han, aur jin readers ne achhe reviews diye hote han, wo read karte han.. silent readers agar reviews nahi dete.. bohut se readers agar achhe reviews nahi dete, to kya hua bhai.


wahi readers achhe views to de hi rahe han naa.. to jo mil jaaye hum writers ke liye wahi bohut hai..
pyar kam mile ya zayada .. pyar sirf pyar hota hai.. per update 20-30 pages ye sab aapke liye readers ka pyar hi to hai bhai.. aap sab ke sath han, sab ko zabardast intertain kar rahe han to saare readers bhi dil se aapke sath han..

aap ek baar keh den keh "bhai log main 10 din tak update nahi de sakunga" to readers aapke liye 10 din kya 20 din bhi wait kar lenge..

sorry agar maine kuch galat likh diya ho to :sorry:

Aapki story padhna baki h romance wali... 🤗
mujhe jese hi time milega main padhungi zaroor...
I haven't forgotten... 💫
 
Top