• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Antique Love (Anokha Pyar) Incest, Magic, Romance, Thriller & Fantasy (Hinglish)

Do you like this story?

  • Yes

    Votes: 374 97.1%
  • No

    Votes: 16 4.2%

  • Total voters
    385

Baba__Bhai

I am open book, But you have no access to read it.
1,774
5,103
143
OK kal ko ispar naya update deta hun.....
Or koshish karunga ki ye story jaldi puri ho or apka intrest bhi khatam na ho......
 
Baba__Bhai

I am open book, But you have no access to read it.
1,774
5,103
143
-----------------------
Update - 104
-----------------------

---------------------------
Kahani Ab Tak -
---------------------------

Maine jakar guruji ke pair chhukar pranam kiya,
or unke sameep khada ho gaya.

Thodi der me guruji ne aakhen kholi, or mujhe dekhkar
muskura diye.

----------------------------
Ab Aage -
----------------------------

Guruji (hath uthakar ashirvad dee hue) - sukhi bhava:

Main (hath jodkar) - gurudev, mujhe kshama kijiyega ki main is samaye kisi ki madad nahin kar pa raha hun,
Kyonki main apni behen ko diye hue vachan ke karan bandhit hun.
Ab aap hi mera marg darshan kar sakte hain.

Meri baat sunkar gurudev sehejta se bole - balak yahan mere paas baitho, aaj main tumhen tumhare bare me bataunga, jo tum nahin jante ho, aaj tumhare har savaal ka javaab mil jayega, kyonki ab tumhare paas vakht bahut kam bacha hai.

Unki ye baat sunkar main serious ho gaya, or unke paas paalti maar kar baith gaya.

Gurudev - bahut samaye pehle ki baat hai,
jab devtaon or rakkshaon ( राक्षस ) ka yudh hua tha,
vo bhi amrit ke liye.
To akhir me adhikansh rakkshas (राक्षस) mare gaye,
or amrit par devtaon ne apna adhikar kar liya.
Parantu is beech ek baat thi, ki ek rakkshas (राक्षस) bach gaya tha,
jisko bhagwan ka vardan prapt tha. Uska naam tha varkasur.
Usne ye vardan maanga tha ki anant kaal tak usko koi devta ya unka koi avtar use maar na sake. Kyonki vo janta tha ki devtaon ke alava kisi ke paas itni shaktiyan nahin hain ki vo use maar paye.

Main (beech me) - parantu gurudev bhagwan ne ek rakkshas ko aisa var kyon diya ?

Gurudev - kyonki jo sachche man se bhagwan shambhu ki aradhna karta hai vo sabko bina bhed-bhav ke vardan de dete hain, jaise unhone ravan ko diya tha.

Main - gurudev phir aage kya hua?

Gurudev - kyonki rakkshas lok ka vinash ho chuka tha
to vo prithvi lok par aakar chhip gaya,
par usko khane ke liye bahar aana padta tha,
kyonki vo insan ka maas khata tha,
Jisse usko nayi urja milti thi.
Par jab zyada log marne lage tabh bhagwan dwara usko naraklok me kaid kar diya gaya.
Parantu uski shaktiyon ke aage sab vifal rahe or vo ek din vahan se bhaag nikla or dobara rakkshas lok pahuch gaya.
Jahan vo sabhi rakkshason ka bhagwan ban baitha.

Jab usne kai lokon par tabahi machai to bhagwan ne ek baar phir usko gehri nennd me sula diya,
par bhagwan jante the ki vo zyada samaye tak usko neend me nahin rakh payenge....
Uski or uski sena ki tabahiyon se sabhi devi devta
tang aa chuke the,
isliye vo bhagwan shambhu ko iska karan batane lage,
Kyonki unhone hi usko aisa vardan diya tha
Jab sabhi ikattha hokar kailash parvat pahuche tabh bhagwan ne iska upay nikala or vo upay tha ki kisi manushye ko devtaon ki shaktiyan di jayen
or uske hathon hi varkasur mara ja sakta hai.
Par manushye bahut lobhi hote hain.
Vo shaktiyan pakar uska galat upyog na karen isliye vo shaktiyan kisi ko nahin di gayin,
Lekin jab tum apni maa ke pet me pal rahe the tabh bhagwan ne bhavishyevani ki thi ki wo tum hi hoge
jo sirf prem ki bhasha jante ho or kisi shakti ka
galat prayog nahin kar sakte.
Isi liye vo shaktiyan tumhen mili hain.
Parantu tum apne lakshye se bhatak gaye ho.
Or ab sabhi lokon ke baad dhartilok ka
sarvanash bhi nishchit hai.

Main to ye sab sunkar awaak sa reh gaya.

Main (nam aakhon se) - gurudev mujhe kshama (क्षमा) kijiye, maine sirf apne parivar ke hit ke me socha,
jabki mere karan samucha brammand musibat me hai.
Par main aisa nahin hone dunga.
Aap mujhe raah dikhiyye gurudev ab mujhe kya karna chahiye.

Guruji - vats shigra, atishigra parilok chale jao,
Kyonki bahut dino se parilok khatre me hai,
uspar sabse zyada hamle ho rahe hain,
Tumhari hone vali patni yani ki anjalika bhi khatre me hai,
Vo isi liye tumhen yahan chhod kar gayi thi,
vo tumhare parivar par aanch nahin aane dena chahti thi.
Ye us balika ka bahut bada balidan tha.
Isse pehle ki der ho jaye tumhen vahan jakar un sabhi ki raksha karni hogi, kyonki unka raksha kavach
kabka toot chuka hai.

Ye sab sunkar meri aakhon se aansu behne lage,
Or mujhe sab kuchh samajh aa gaya ki us vakht anju
mujhe chhod kar kyon gayi thi.

Guruji - ye samaye shok manane ka nahin hai balak
apni kundli jagrit karo, jisse tumhari sabhi shaktiyan
jagrit ho jayengi.

Main - parantu gurudev, main us vachan ka kya karun.

Guruji - uska upay ye hai ki apna ek ansh apne ghar par chhod do, jisse kisi ko shak nahin hoga ki vo tum hi ho ya koi or.

Phir guruji ne mujhe ansh bahar nikalna or apni shaktiyon ka or bhi zyada prayog sikhaya jo main abhi tak nahin janta tha.

Maine apne ansh ko sab kuchh samjha kar
ghar par bhej diya.

Or khud guruji ka ashirvad lekar parilok ki yatra par nikal gaya.

Jab main vahan pahucha to vahan ka haal dekhkar mere pair thithak gaye,
or mujhe anju or uske pariwar ki chinta satane lagi.
Ki vo kahan par hogi or kaisi hogi.
Vahan par charon taraf trahi - trahi machi hui thi....
Or jahan par sundar upvan hote the aaj vahan sirf jalti hui raakh thi...
images

Charon taraf sirf aag or dhua uth raha tha.
images

Parilok ka mahal bhi nasht ho chuka tha...
images

Jo ab bas ek khandar ki tarhan lag raha tha.

Ye sab dekhkar mera bura haal ho raha tha.

Udhar -
Ek secret gufa me -
images

Anjalika senapati or apni sena se
kuchh baten kar rahi thi.

Senapati - Rajkumari, ye hamare liye bahut hi dukhad samachar hai, raksha kavach tootne ke baad se
bhari sankhya me aam log mare ja chuke hain.
Wo shaitaan din pratidin takatwar hote ja rahe hain.
Aise to vo hame bhi jald hi dhundh lenge.

Anjalika - Main un shaitano ko nahin chhodungi,
main unhen maarkar pitaji ki mout ka badla lungi.

Aaj uski aankho me aansu nahin the,
balki ek dradh nishchay ke bhaw the. Or ek tej tha.

Wo abhi baat kar hi rahe the ki achanak
unhen aisa laga jaise koi bomb phata ho,
or jis gufa me wo the wo gufa tootne lagi.

Senapati - Rajkumari, jaldi chaliye yahan se hamare upar
halma hua hai,
Wo sabhi bahar ki taraf bhage,

Badi mushkilon se vo bahar nikal paye the ki bahar dekhkar
Sab chonk gaye,
kyonki vahan par shaitano ki ek badi sena
unka bahar intzaar kar rahi thi.
Us sena ka senanayak khud Keela tha jo shaitan ka beta tha.

Vo sabhi ko bahar aata dekhkar zor se hansa ....
Hahahahhahahaa chuho ko bahar nikalne ka
isse achchha rasta nahin tha....
Kyon be chuhon kahan chhipe baithe the ....
Ohho! Ye to rajkumari hai, isse milaap karke main
Shaktishali bachchon ko janam dunga....
Hahahahahahhahaha
Sab ko bandh do or kaid kar lo .....

Anjalika - main tujhe chetavni de rahi hun....
Agar tune aisa socha bhi to tu bahut buri mout marega.

Keela - Hahahahhahahha janeman main sochta nahin
karta hun....

Or usne apni sena ko kuchh ishara kiya...

Uska ishara milte hi uski sena ne Rajkumari samhit
Uski sabhi sena ko charon or se gher liya.

Idhar Anjalika ke ishare par uski sena ne bhi hamla shuru kar diya....
Wo apni shaktiyon se bahut samaye tak bahaduri se ladte rahe.
par sankhya me kam hone ke karan vo marne lage ...

Or jald hi keela ki sena ne unpar vajay prapt kar li....

Sath hi Rajkumari or Parilok ke senapati ko bandi bana liya gaya...
Jo abhi bahut zyada zakhmi the.

Keela - le chalo in dono ko .... Isko to main apni randi banaunga ...... Hahahahahhahahaha

Rajkumari Anjalika ki aakhon me aansu the ...
Anjalika (man me) - agar iska ganda jism mere jism se chhua bhi to main atmahatya kar lungi.....

Keela ke kehne par uski sena unko bandi bana kar apne sath ke jane lage ...

Keela - Aaj pitaji mujhpar prasann honge.... (Tez awaaz me) senapati parilok par shaitanon ka jhanda lehra do...
Ab ye hamara hai.... Or agli baari hai Jinnlok ki

images

Hahahahahahahahhaha

To....Be......Continue...
 
Last edited:

FallenAngel

Active Member
1,258
3,999

Bhai rongte khade ho gaye update padhte hi bechari anjalika bina baat ke fas gayi akhir Apne hero ko man ki shakti se bulawa to bheje Or wo usko andhi ki trah aye or anjalika ko bacha kr Toofaan ki trh rakhshahoo ka khatma kr de

Bhai ab thoda jaldi update dena
 
Baba__Bhai

I am open book, But you have no access to read it.
1,774
5,103
143
Bhai rongte khade ho gaye update padhte hi bechari anjalika bina baat ke fas gayi akhir Apne hero ko man ki shakti se bulawa to bheje Or wo usko andhi ki trah aye or anjalika ko bacha kr Toofaan ki trh rakhshahoo ka khatma kr de

Bhai ab thoda jaldi update dena
Thanks for your comment. .... Aage kya hone vala hai vo to aane vale update me apko pata chal hi jayega .... Par main tumhare question ka javaab de raha hun.... Ki anjalika ne man me hi hero ko kyon nahin bataya....
Kyonki jab vo dharti lok se gayi thi to usne man me hone vali baaten ya kahen ki TP power ka connection hero se tod liya tha ... Taki hero uska pata na laga paye..... Wo hero par musibat nahin aane dena chahti thi...
.kyonki vo jamti thi ki hero apni family ko lekar bahut zyada possesive hai....
 
Last edited:
Top