Update - 30
ab tak aapne dekha A1 Jwalamukhi parwat pahuch chuka hai.......
ab aage.......
mein aur GK waha khade dhadhakte hue lawa aur parvat ki aur dekh rahe the jisme se niranter visfot ho raha tha aur har visfot k saath nikal raha tha laal laal lawa , maine paas hi pada ek patthar uthakar uusmein phenk kar dekha toh , woh patther uss lawa ko chute hi pighal gaya......
tab maine socha ki agni hui agni ko kewal jal hi shaant kar sakta hai.
tab maine apni jal tatva ki urja ko ektrit karke ek bada sa jal ka gola sa banaya aur saamne lawa k sarover mrin chod diya......jal lawa par girte hi badi maatra mein dhua utpanna hua
GK - wah mitr yeh yukti kaam kar sakti hai......
uske paas bhi jal aur vaayu tatva ki power thi toh woh bhi mere saath uss lawa par jal ki varsha karne laga
hum dono ne itni maatra mein jal barsaya ki utne jal se ek talab bhar jaaye.......
charo tarf dua hi dhua ho gaya....
tab humne vaayu tatva ka prayog karke uss dhuve ko uda diya aur dekha ki lawa upar se thanda ho gaya hai aur kaale patther maidan k jaisa lag raha hai........
humne socha ki hamari yukti kamayab ho gayi....
jaise hi kadam aage badaya toh hua ek bada sa dhamaka....aur sarover ka jame hue lawe ki jamin hilne lagi aur phir woh lawa waise hi ho gaya jaise pahle tha.....
ab hum soch hi rahe the ki kya kiya jaaye .....tabhi uss laawe ki jhil se pragat hue bhayankar agni danav
unka sharir dhadhadkte hue laawe se bana hua tha jinme se aag ki lapte nikal rahi thi....unki sankhya lagbhag 100 k kareeb hogi...saare 50 ft k aaspaas hi hogi
pragat hote hi sabhi agni danav jor se garajne lage .....
unko itne sankhya mein dekhkar mein aur GK bhi sawdhan hone lage
hum phir jal tatva ka upayog karke waha musaladhar jal ki varsha karne lage.....
lekin kya jal untak pahunchne se pahle hi bhaf bankar udne laga ab woh danav hamari taraf badne lage
mein aur GK apni apni urja se unnpar war karne lage lekin hamare war ka unn k upar koi asar na hote dekhkar ab hum sochne lage kaise innka saamna kiya jaaye
tabhi ek danav ne mujhpar hamla kar diya.....usska ek prahaar sidha mere chatti par pada aur mein dur jaakar gira...
GK ne apni apne bhitar se waisa hi ek danav pragat kiya .....jisske saath mein ladha tha Jab mera saamna usse pahli baar hua tha...
Gk aur uska danav se talwar se un agni danav ka saamna kar rahe the toh maine bhi apni divya talwar ko yaad kiya aur bhid gaya unse...
woh danav lagatar aag se humla kar rahe the....hum bache hue apna war kar rahe the ....maine tabhi ek jordar war saamne aarahe 10 danavo par vaayu ki gati se apni talwar se war kiya....
aur woh danav kat kar wapas laawe mein gir gaye...
apne war ko safal hote dekhkar mein bada prasana hua ki tabhi woh kate hue 10 danav wapas uss laawe se pragat ho gaye..
tabhi ek agni danav k war se Gk ka danav jalkar basm ho gaya .....
yeh dekhkar GK na jaane kyu
muskurane laga ...
tabhi maine dekha ki waha GK k basam hue danav ki raakh se 4 danav aur pragat ho gaye ...woh char danv jaise hi aage badhe toh agni danav k prahar se woh bhi bhasm ho gaye aur unki bhasm se 8 danav pragat ho gaye
mein - yeh kya maya hai mitr...
GK - yeh muzhe mila hua vardan hai mitr isiliye mera naam Gunak hai
jab tak muzhe koi kshati nahi pahunchti yeh aise hi badte rahenge
aise hi GK k danavo ki sankhya 60 k kareeb ho gayi thi hum sab apne war se unn agni danavo ko apni talwr k war se samapt kane ka pratna karne lage.......tabhi ek aag ka gola GK ko aakar laga aur woh dur jaakar gira
aur uske saare daanav jaane kaha gayab ho gaaye....
hum toh abhi lawe k sarover mein bhi pravesh nahi kar paarahe the aur....
aur woh danav waha se nikal nikal kar
hamari aur badh rahe the.....
maine socha ki aise toh hum kabhi uss parvat par pahuch nahi paayenge
ky kiya jaaye .....tabhi mere haath ki anguthi chamkne lagi aur mahaguru ki aawaj aayi...
mahaguru - iss vipatti ka samadhan tumahare hi paas hai putr bas apne buddhi se kaam lo ..vichar kar
tabhi mein vichar karne laga kuch kuch upay nazar aane laga .
mein - Gk tum jal aur vaayu ki urja se ek sheet lahar ka nirman karke ek ek danav par chodo......
Tab maine apni gada ko apne bhitar se pargat kiya ...
Jaise hi GK ne sheet lahar lawa se nikalte hue danao par chodi woh danav pather ki tarah jamne lage aur mein gada se unhe nasht kar raha tha
unka shair meri gada k prahar se pathar k tukdo mein badalne lage
lawa hi unki jeewan shakti thi usse unka sampark tutte hi unka naash hone laga....
aur issi tarah sabhi agni danav samapt hue ......
ab sirf uss jhil ko paar karke parvat tak pahunch na tha..
toh humne sheet lahar ka prayog karke uss jhil ko jammane ka prayatna kiya..........toh phir Mahaguru ki aawaj aayi......
putra dhyan rahe jis astra ko tum prapt karne aaye ho woh agni tatv ki urja k hai ....tumhien unhe iss garam lawa ka saamna karte hue prapt karna hoga.....
ab kya kiya jaaye....
tabhi vichar aaya ki agni ...agni ko jala nahi sakti...
phir maine MANIPURAK chakra ko jaagrit kar k uss ki samprana urja ...
se apne sharir ko agni roop mein badalne laga ...ab mere shari se bhi bhayankar asg ki lapte nikalne lagi
aur mein teevra gati se lawe par chal kar pahuch gaya Jwalamukhi Parvat
aur uss parvat k shikhar par jaakar kud gaya garam laawe k bhiter
tairte hue muzhe ek shool dikha..
iss pighle garam lawe mein bhi woh shool apne swarup mein tha ...
mein samaz gaya ki yahi agni shool hai..usse lekr mein bahar nikala ..
muzhe apni urja kam hoti hui lagi..
mein uss shool ko lekar apni puri urja ko lagakar uss Jwalmukhi parvat se bahar aaya ...waha aakar dekha ki na toh ab koi lawa waha tha aur na hi uss parvat se koi jawalamukhi....
meri bahut si urja iss karya mein lag gayi thi isiliye meri asnkhein band hone lagi aur mein behosh ho gaya...
behoshi ki haalat mein hi muzhe zhatke lagne lage ( agni shool k apni bhayankar urja k saath bhitar pravesh karne k kaarn) aur muzhe aisa lagne laga jaise mein bhayankar agni mein jalraha hu....muzhe badi jalan hone lagi....tabhi achanak woh saari agni lupt ho gayi.......muzhe aise laga ki mere chehre par paani ki bunde pad rahi hai ...aur meri aankhien khuli
jaise meine dekha toh paaya ki do badi badi aankon se aansoo ki bunde mere chehre par pad rahi thi...
mera sir apni goad lekar muzhe pukar rahi thi ...ab mein puri tarah hosh mein tha.......muzhe hosh mein aaya hua dekhkar unn aankon mein khushi chalak uthi .....apne liye athah prem unn aankhon mein dekhkar mein kho gaya.....hum ek dusre ko bas dekhe jaa rahe the......
Tabhi GK k aawaj se humara dhyan hata......
GK - SHIVALI ji abhi humara karya adhura hai.........
ji haa woh Yakhsha kanya Shivali thi jo Kuber ji k Alkapuri mein mili thi
hum dono khade ho gaye....tabhi agnidev pragat ho gaye....
Agnidev - putra aaj tumahare sahas aur veerta dekhkar mein prasanna hua ....mein tumhe vardan deta hu ki meri agni tumhe kabhi kou haani nahi pahunchayegi......
aur upahar k roop mein yeh lo..
AAGNAYASTRA......
Agni shool aur astra paakar yeh padav bhi ab poora ho gaya tha
mein Shivali k taraf dekhkar ...
mein - aap yaha kaise ...
tabhi GK ne kaha -- mitr jab tum behosh ho gaye the maine tumhe bahut uthane ka prayatna kiya par safal nahi ho paaya...
Tabhi muzhe inn Awaaj bar bar sunai de rahi thi....aisa lag raha tha jaise yeh muzhe hi pukar rahi ho...
meine socha ki innke paas tumhe swastha karne ko koi upay hoga .
toh mein inhe yaha le aaya...
Shivali - muzhe na jaane kyu kuch anisht hone ki aashanka ho rahi thi
mera mann bhi na jasne kyu ghabra raha tha...
jab mein dhyan mein baithi toh muzhe yaha ka drisya dikhayi diya
isiliye mein yaha aagayi
mein vichar karne laga ki yeh kaise adbhut sambandh hai jo dusre lok mein hone k paschyat bhi isse meri pida ka anubhav hua....
abhi k liye itna hi ....
adla update kal....