Update - 64
aakash se darti par ek bijli giri aur bhayankar visfot hua ...aur ..uss visfot ...se paragat hua ..bhayankar roop mein garajta hua .. Habbis
ab aagee......
Habbis apna siyar wala muh upar karke aawaj kane laga ...uss aawaj k gunjte hi ..wala charo taraf manhusiyat phail gayi ....Abhi aur uski patniyo ko chodkar waha maujud sabhi ..ka utsah ..khatam ho gaya ...woh sab shithil padne lage ....Habbis k kadam rakhte hi ...waha aas paas k ilaje mein lage hue ..saare ped paudhe ...sukhne lage ..aur aakash mein udne wale panchi niche girkar chatpatate hue ..apne pran tyagne lage ...
Abhi ne uss ajeeb si nayi aayi hui musibat ....ko dekh raha tha k ab yeh kya bala hai ...Tabhi bhumi mein kampan hona laga ....aur dekhte hi dekhte ...Habbis k jaise hi anginat ...jeev ..nikalkar bahar aagaye ...yeh thi unn sabki pret aatmaye jinhe habbis ne khaya tha ...ab unki aatmaye uske niyantran mein thi ....unn sabne apne aaka ki taraf dekha ....Habbis ne ek haath uppar ki taraf kiya ....k ek bijli si chamki aur uske haath mein bijli k saman chamakta hua ek shool pragat ho gaya ....
yaha Abhi ne dekha ...k uske Bhai aur ..Pita sabhi nirash jokar uudh bhumi mein baithe hue hai ...toh usne ..Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ko ....unhe ...Zecro aur Catospher jo murchit pade the ...aur Karma k mrit deh ko waha se le jaane k liye kaha ...Teeno unn sabko ..Bhawan le aayi ...
yaha yudh bhumi mein ab akela Abhi khada tha ..Habbis aur uski sena k aage ....Habbis ka ishara paate hi ...uski sena nagar ki or daudi ....jaise jaise woh aage badh rahe the waha ki ghass ped paudhe sab sukh rahe the .....
Neilster jo Nagar ki suraksha mein tainat tha ....usne jab Habbis k sainiko ko Nagar ki taraf aate hue dekha toh usne...nagar ki suraksha tarango ko aur sakriya kar diya ...aur apni topo ka muh khol diya ....unn topo se nikalne wale ..baarud k bade bade gole ...uss sena par gir rahe the .....jisase waha aneko visfot ek saath ..hone lage ....aur unn Visfoto mein Habbis k sainiko k chithde ud rahe the ...
unn ..Sainiko ne bhi apne haath mein pakde shool k saath ..vidyut tarango se Ngar ki boundry wall par tainat topo aur sainiko par karne laga ....
Vidyut tarango se bachne k liye woh sanik .....deewar k picche chup kar bachne ka prayatna karne lage ...parantu phir bhi kuch ....nagar k kuch sainik ..vidyut tarango k prahar lagne se niche girne lage ..aur Habbis k sainik unhe noch noch kar khane lage ....
Nagar ...Abhi ..aur uski teeno patniyo dawra nirmit ek suraksha kawach se surakshit tha ..jiss ..kaaran ...na ..toh Habbis k ..sainik ussmein pravesh kar paa rahe the aur ..nahi ...Habbis k aagman par phailne wali manhusiyat yaha pravesh kar paa rahi thi ....
Yaha ....Habbis ...ne jab apne ..saamne akele Abhi ko dekha ...usne ek kilkari maari shayad woh apni ..pashuo wali bhasha mein hasa ho ....Woh Abhi ki aankhon mein bas ghure jaa raha tha ....
kai maasa haari jeevo mein visheh baat hoti hai ...k ..woh apni nazro se hi apne shikar ko vash mein kar leta ...hai ....Jabbis bhi kuch aisa hi kar raha tha ..woh Abhi ko vash mein karke usse apna niwala banana chahta tha ....apni Abhi par iska koi prabhav nahi hua ..woh waise hi khada ..iss ajeeb se jeev ko apni jagah par khada ..uske vaar ka intezar kar raha tha ..takki woh uska pratiuttar de sake ....aur jald se jald samapt kar sake ....
Apni sammohan shakti kaam na karti hui dekh ..Habbis krodh mein dahada ...aur Usne ...Apne ...shool Se Vidyut urja ka ek jordar prahar Abhi par kiya ..par wah bhi bekar ...woh Vidyut urja Abhi k seene se takrayi ...par Abhi apni jagah par ...hila tak nahi ....Abhi iss samay apne poorna roop mein tha issiliye Habbis k chote mote saare vaar Abhi par nishprabhav ho rahe the ....
Habbis Abhi par lagatar prahar kar raha tha ....Ab Abhi ne bhi apni Panch tatvo ki urja ka prahar ...uss par baari baari karana aarambh kiya ....
Abhi ne pahele Habbis par agni varsha ki ...parantu aascharya ...Habbis ne woh saari agni apnne bhiter soakh li .....aur kaali shakti aur uss agni ka mishran karke Abhi par prahar kiya .....jisase ek bhayankar dhamaka hua ....aur bhumi par ek gahra gadda hobgaya ..aur Abhi usmein sama gaya ...gadde mein Abhi k samate hi ..Habbis ..ne apni shakti se bhumi ko purvavat kar diya ....woh sochne laga k usne Abhi ko jinda dafan kar diya ..aur khusi k maare muh uppar uthakar siyar ki tarah cheekha .....
Parantu uski khushi bas pal bhar ki thi ..Abhi ..bumi ko cheerta hua bahar aaya ...aur Uspar vayu shakti se ek Bade chakra vat ka nirman kiya ..woh chakravat ..waha yudh bhmi mein bikhri hue laasho astro ...bhale talwar aadi sabko apne bhiter samate hue ..badi tezi se Habbis ko ki taraf badha .....Habbus bhi uss bawandar mein khinchta chala gaya ....Jaise hi woh uss bawandar mein samaya ...uss bawandar ki gati aur adhik teevra hogaye ..
Tabhi ek teer ki bhanti ...Habbis ...uss bawandar se nikalkar Abhi se takraya ....woh itne jor se takraya tha ...k ..Abhi girte girte bacha ...usne apne haath ...piche jamin par tika diye the ...phir uchalkar hawa mein gulatiya khata hua ...Habbis k saamne khada ..hua hi tha ..k Habnis phir Abhi se takrane k liye teevra gati se badha ..parantu iss baar Abhi satark tha ..woh bas apni jagah se thoda hata ...aur Habbis ..usase takrane k bajaye muh k bal bhumi par gir pada ..tha ..
Habbis ka saamna aaj tak kissi yodha se nahi hua tha ..ab taka toh woh jisse chahe apna aahar bana leta tha ..parantu yaha sthiti kuch alag hi hai ..jiss kaaran uske karod aur badhne laga ...
Iss baar Habbis ne ..apni ..kai gulam aatmao ...ko kaali shaktiyo k ek gole mein bheja ...woh shakti badi teevra gati se Abhi ki or badhi ...Jaise jaise woh shakti Abhi k paas pahunch rahi thi ..Abhi ko ussmein ...nihit pretaatmao ki dardnak cheekhe sunayi dene lagi ....unki dardnak aawaje Abhi ko vichalit karne lagi ......
woh sahakti Abhi ko lagte hi woh saari aatmaye ek saatha Abhi k sharir mein pravesh karne ka prayatna karne lagi ......unki gunjti hui cheekho k kaaran ...Abhi ko apna dhyan kendirt karne mein kathinayi ho rahi thi ....usne ab apni saari indriyo ko ...niyantrit kiya ....Aur aagya chakra mein dhyan lagaya ....jisase Abhi k sharir se divya prakash prasgutit hone laga aur uss parakash k kaaran woh saari aatmaye mukt ho gayi .....
Abhi ne aab apne shakti trishool ....ka aawahan kiya ...aur uski prachand urja se ..Habbis par prahar kiya ....jiske lagte hi ...woh ghayal hokar dur jaakar gira ...Abhi uspar dusra vaar karta ...uske pahele hi ..woh teevra gati se waha se hat gaya ....
Ab Habbis ne apni teevra gati ka prayog karte hue Abhi par vaar karna shuru kar diya ....Abhi ispar apni urja se vaar karta tab tak woh apni jagah badal chuka tha ....pal bhar mein kabhi yaha toh kabhi waha ....uski gati itni tez thi k ....sthan badlte hue woh dikayi hi nahi deta tha ...
Abhi ne uske gati ko pakadne ki liye ...mann ekagra karne ka prayatna karne laga parantu uss ek pal mein Habbis ne usse uthkar patak diya ....uske lagatar humlo k kaaran Abhi ko Dhyan kendrit karne mein kathinayi jone lagi ....
yaha dusri taraf ....Habbis k sainik ek taraf ki deewar ko dhwast kar chuke the ...aur nagar mein pravesh karne lage the .....Nagar k bhiter ki sena ko Neilster ne aadunik laser gun se susajjit kiya tha ....woh sainik unn pashu roop Habbis k sainiko par uss laser gun se prahar karke unhe rokne ka prayatna karne lage ....laser ki kirno k lagte hi woh kuch der k liye .....jakhmi ho jaate ...unke nagar k bhiter pravesh karte hi waha k jalashya sukhne lage ....hariyali samapt hone lagi ....jamin mein banjar bhumi ki tarah darare padne lagi ....Abhi k sainiko k mukable mein ...Habbis k sainik adhik the ....woh apna poora prayatna karne par bhi ...unn sainiko ko rokne mein asamarth ho rahe the ....Habbis k sainik bahut s logo ko apna niwala bana chuke the
Beana k bhiter ..Shivali ..Vibhakta aur Ritu ne apni urja se Catospher aur Zecro ko thik kar diya ..tha ....Nebhru ...Glaco ...Ferron aur Arsalan ..par bhi Habnis ka jo prabhav pada tha ..usse Vibhakta ne apni sakaratmak urja se thik kar diya ..tha ...
Apne pita ko apne saamne dekhkar sabne Arsalan aur dhara ..k charno mein lootkar apne kiye ki kshama maangi ....Arsalan ab jaan chuka tha ..k uske putra Darmen k sammohan mein hone k kaaran unke virudh ho gaye the ..Arsalan aur Dhara ne apne baccho ko kshama kar diya aur gale laga liya ..abhi woh bahut kuch bolna chahte the ....parantu ...yudh ki sthiti hone kaaran ab inn sab baatoh k liye yeh samay uchit nahi tha ....
Ab sabhi Bawan se bahar aakar ...Habbis k jeevo ka saamna kar rahe the .....unke urja k praharo se ...woh sainik gahayl jarur ho jaate the parantu phir thodi hi der mein thik ho jaate ..
Yaha ....Habbis apni teevra gati ...k dwara Abhi par lagatar humla kar raha tha ..Kabhi ..urja ..se toh kabhi haath pairo se .....uska saamne karte hue Abhi k bhi kai jordar ghuse aur kick usspar pad chuki thi .....
Iss tarah toh Habbis ko marna kathin ho raha tha ..toh Abhi ab adrisya hokar Apni hagah par sthir ho gaya ....Habbis ko ab Abhi dikhayi nahi de raha tha ....Achanak se Abhi k iss tarah gayab hone se Habbis sthir ho gaya .....woh aaha siyar tha ....issiliye woh ab sunghkar Abhi ka pata lagane ka prayatna karne laga....
Abhi k liye itna samay paryapt tha ...usne apna shakti trishool samabhala aur Habbis par parachand urja se vaar kiya ....jiske lagte hi Habbis jor se chinghadte hue bhimi par gir pada ....Abhi k uss vaar se ...woh bahut buri tarah jakhmi ho gaya tha ....
Habbis k aawaj se Darmen ab hos mein aagaya tha parantu woh abhi bhi bahut ghayal tha ...badi kathinayi se wih uthkar baitha ....usne dekha ..k Habbis bhumi par pada tha ....
Abhi ..Habbis k paas jaakar dekhne laga ..toh usne dekha ...k Habbis ..nirjeev bhumi par pada hai .....Habbis ko mara hua ..dekhkar ...Abhi Darmen ki taraf muda hi tha ....k ...kissi ne ..piche se uski gardan ...apne jabde mein pakad li ....thi ...yeh tha ..Habbis jisse Abhi mara hua samazhkar Darmen ki taraf badha tha ....
Habbis apna pura jor lagakar Abhi ki gardan chabane ka prayatna kar raha tha .....parantu ...uske paine dant Abhi ..ko rk kharoch pahunchne mein bhi safal nahi ho paa rahe the ....uss samay Abhi k bhiter se Kaal ...nikal ..aur ..Habbis ka sar apne vishal jabde mein jakad liya....jiss kaaran uski Abhi par se pakad chut gayi ....Kaal apna poora jor lagakar ...usse chabane ki koshash karne laga ...jab nahi chaba paaya ...toh usne Habbis ko uthakar bhumi par patak diya
iske pahele woh sambhalta Kaal ne uspar laat ghuso ki barsat kar di ...Tabhi Habbis ne apne aapko sambhala aur kaal ko niche patak diya ...aur uski chatti par chadkar uspar prahar karne laga ....aise hi kabhi Kaal upar toh Kabhi Habnis ...dono ek dusre par prahar kar rahe the dono mein se ...kam koi nahi tha .....
yaha nagar k bhiter ghamasan macha hua tha ....Neilster apni vaigyanik buddhi se Um Habbis k unn sainiko ko samapt karne ka marg soch raha tha ...yeh bhale hi sainik the parantu thetoh aadhe pashu ....tabhi usse apne ...ek aavishkar ka dhyan aaya jo usne pashuo ko niyantrit karne k liye banaya ....tha ...
Uske banaye yantra se ultra sonic sound waves nikalti thi ..jo ..bade se bade pahshu ko kaabu mein kar sakti thi ...woh yantra bahut bada tha ...jisse woh akela laane asmartha tha ...
woh Zecro ..aur Ferron ko apne saath le gaya ....aur uss yantra ko yaha le aaya ....usne yantra chalu kiya ..woh yantra chalu karte hi uss yantra k daaire mein jitne bhi Habbis k sainik aarahe the woh apne kaan par haath rakhkar cherkhne lage ...unke kaano ..nak aur aankhon se khoon bahne laga ....aur ...unke sar mein dhamaka hua ...jisase unke sar k chithde ud gaye aur .woh samapt hone lage ...parantu unki sankhya bahut adhik thi ....jiss kaaran sab tak woh ultra sonic sound waves nahi pahunch paa rahi thi ....
Neilster ne vichar kiya yadi kissi tarah isski shakti badhayi jaaye toh iss samasya ka hal shighra hi ho jaayega ....usne iis baare mein Vibhakta se baat ki kyu k woh Vibhakta k gyan ki shakti se parichit tha .....Vibhakta ne .. uss yantra mein kuch ferbadal kiya ....aur saath hi apni urja ka bhi prayog kiya ......jisase uss yantra ki range bahut adhik ho gayi .....
Ab uss yantra ko dubara shuru kiya ....Yaha ...Habbis ab phir apni teevrata ..ka prayog karke Kabhi aal aur Kabhi Abhi par prahar karta .....Tabhi ....uss yantra ki ultra sonic sound wave k kaaran uski gati ruk gayi aur woh ....aur ...woh kan par haath rakhkar jor jor se cheekhne laga ...uski dardnak cheekh waha gunjne lagi ....uske kaano se khoon bahne laga ....
Uske sainik toh pal bhar mein hi uss sound wave se mrityu ko prapt ho rahe the ..parantu Habbis .bahut adhik shaktishali tha ...woh apne aapko niyantrit karne ka prayatna karne laga ...
Abhi ko samaz nahi aaraha tha k achanak yeh kya hogaya .....usne apni divya drishti ka upayog karke poori sthit janane ka prayatna kiya toh usse saari baat samaz aagayi ki yeh Neilster aur Vibhakta ka kiya dhara hai .....
Iske pahele Habbis sambhle Abhi ab usse samapt kar dena chahta tha ...usne apne shakti trishool ...mein Kaal ka aawahan kiya ...Kaal ab mrityu roop dharan karke uss trishool mein sama gaya ....ab Abhi ne uss trishool mein ...apni ...teeno mahashaktiya ...Nirman shakti ..aur .Samridhhi shakti ki viparit urja ...aur maarka shakti ...samahit kar di ..ab woh trishool maha vinashak ban gaya .....
Abhi ...ne ..woh trishool ..turant Habbis k seene mein utar diya ....uss trishool k lagte uska sharir galne laga .....aur ....woh cheekhte hue ....sampt ho gaya uska saara shari gal gaya ...tha ...
yaha uske saare sainik bhi maare jaa chuke the ..aur woh saari pretaatmaye mukt ho gayi thi jinhe Habbis ne apna gulam banaya hua tha ....
Ab Nebhru Arsalan ....aadi sab aur Abhi ki teeno patniya waha yudh bhumi pahunch chuki thi ...
Habbis ki maut dekhkar Darmen thar thar kaanpne laga usse apni mrityu spasht nazar aane lagi thi .....Abhi ab apna shakti trishool lekar Darmen ki taraf badha hi tha ...k woh waha se adrishya ho gaya .....
Darmen ko jaate dekhkar Abhi bhi waha se teleport hokar Egypt uske mahal pahunch gaya ...Abhi ko isd tarah jaate hue dekhkar sabko andaja ho gaya k woh kaha gaya hoga ....toh sab bhi waha pahunch gaye .....
Damen k mahal k bahar sena ki ek tukdi khadi thi jo uss mahal ki raksha kar rahi thi ....
Arsaln - Abhi se - beta ....tum uss Darmen ko sambhalo hum iss sena ko dekhte hai .....aaj ..uska ant hona hi chahiye ....
Apne pita ki baat sunkar Abhi ne mahal k pravesh dwar ...ko ek visfot se uda diya ...aur Mahal k bhiter pahuncha ...usne divya drishti se dekha k Darmen ...mahal mein bane hue tahkhane mein apne sewak Evom k saath jaa raha hai ....
Abhi turant waha se teleport hokar Darmen k saamne pahuncha .....usse dekhkar ...Darmen ki aankho mein maut ka khauf saaf zhalak raha tha ....Evom toh Abhi ko dekhkar bhag khada hua ...
Abhi - Kaha bhag rahe ho Darmen apni maut se kab tak bahgoge ....
Darmen - dekh bacche chod de muzhe ..mein tera chacha hu ....ab mein sudhar jaaunga tu jo kahe ga wohi karunga ....Arsalan k pairo mein naak ragadkar maafi maangunga ...muzhe mat maar ...aahkri baar muzhe jeevandan dede ...
Abhi - apni galtiyo ka pachtawa hua toh kab ...jab maut saamne khadi hai ....muzhe tumpar jara bhi vishwas nahi hai ...aur ..tumahare apradho k liye ab maafi ki koi gunjayish nahi hai ....ab apni maut k liye tayar ho jaao ......
Darmen - tum muzhe maarega ....Darmen hu mein Darmen ..khud maut hu ..mein ....Itna kahte hi usne apni poori urja k saath ek khanjar Abhi par vaar kiya ....jisse Abhi ne apne trishool se kaat diya ...aur ek zhatke mein Darmen k seene mein woh trishool utar diya ...
Trishool lagte hi woh cheekhne chillane laga ...uska sharir galne laga ....pahele upar ki chamdi ..phir maas ....majja ...iss tarah galte hue aur chillate hue woh bada vibhatsa lag raha tha ....dard se tadapte hue ...uske ek ek ang galne lage ....aur bach gaya sirf uska haddiyo ka dhancha ....
Abhi k liye itna hi .....
Agla update jald hi ......
Friends aaj Dadi ka shradh tha iss kaaran update thoda late hogaya ....