• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143
Update - 61

apne bete ki cheekh sunkar Claira ....uss or daudi ...parantu ..Abhi ka trishool ek dhamake se ...Jacob k sharir k chithde uda chuka tha .....

ab aagee......

Claira jabtak pahuncha ..uska sabkuch khatam ho chuka tha .....uske bete k sharir k tukde charo taraf bikhre pade the .....jisse dekhkar ....dukh aur krodh ...k aaweg mein Claira jor se ceekhi ....uski ...woh ceekh itni tez aur bhayankar thi ...k aas paas ..k sainiko ..k kaan k parde fat gaye ...aur unke kaan aur naak se khonn nikalne laga .....

Claira ka roop ab bhayankar ho gaya tha .....uske sharir ...se ....aneko ajeeb se asankhya jeev ...nikalne lage ......aur ...sainiko ko chir faadkar apna aahar banane lage .......

Shivali ..Ritu ..aur ..Vibhakta ..ne jab ..dekha ...toh ..teeno ..ne ..apni ....urja ...se ek saath uspar vaar kiya ....jisase ...woh ...piche jakhmi hokar dur jaakar giri ....apne dono beto ko khone k kaaran aaj Claira ...raudra roop mein thi ..ab ..usse apne ...jakhmo ki koi chinta nahi ...thi ..woh turant sambhalkar phir khadi ..hogayi ...aur ...apni ..poori urja se ...Abhi ki teeno patniyo par ...vaar karne lagi ....ek taraf Claira thi toh dusri taraf ...woh teeno ...Eblis bhi ek saaye k roop me Claira ki madat kar raha tha ....

Claira ne ...un ..teeno par ..kaali shaktiyo se sampanna ..dhardar astro ki jaise varsha hi kar di ...Eblis ki urja k kaaran woh astra ...aur jyada ghatak ho gaye the ...Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ...apni urja se unn astro ko rokne ka prayas kar rahi thi ....rok nahi paa rahi thi ...teeno ne apne charo taraf ek suraksha ghera bana rakha tha ....jis kaaran woh astra un tak nahi pahunch rahe the ......Jisse dekhkar Claira ka krodh aur badh gaya ....tabhi ek ...baingani kiran ..Eblis k saaye se nikalkar ...unn teeno k suraksha kawach par padi ....jisase ...unka kawach tut gaya ..aur ..woh nukile astra ....unpar barsne lage ....jisase unke sharir par bhi kai ghav ho gaye ...

Wahi dusri taraf Abhi Jacob ko samapt karne k baad ...bacche hue daityo ko maut k ghat utarne laga .....Kaali shaktiyo k kawach k nasht hone k baad ....Kaal ..Nebhru ...Ferron ....unn daityo ..par kahar bankar tut pade the ...aur Glaco bhi ...un pisacho ko kareeb kareeb samapt kar chuka tha ...parantu ....tab tak ....Karma ki sena k adhikaansh saink unn daityo aur pisacho k dwara maare jaa chuke the ab bas kuch gine chune hi sainik baaki the ....

Abhi unn bache hue sainiko ki raksha karte hue ....bache hue daityo ko samapt karne mein laga hua tha ...k tabhi .usse Claira ki cheekh sunayi di ....usne uss or dekha ..toh asankhya jeev ..saare yudh bhumi mein failne lage ..jo Claira ne utpanna kiye the ...woh jeev ..sainiko par zhapatkar unka khoon pirahe the ......

ek toh pahele hi bahut kam sainik bacche hue the ..aur upar se yeh ajeeb se jeev ....Abhi ne un jeevo ko rokne k liye agni tatva se prahar ..kiya ....parantu agni ...urja k lagte hi unn jeevo ko shakti aur badne lagi aur unka aakar bhi badhne laga ....Abhi ab apna maarak khanjar ..lekar ...kud pada ...parantu woh sankhya mein itne jyada the ...k jab tak Abhi ...ek k seene mein khanjar ghonpta tab ..tak ..8...10 ..jeev uspar zhapat jaate .....unn jeevo se Abhi ...par kuch prabhav toh nahi ho raha ..tha ....parantu baakiyo ki raksha k liye unhe maarna bhi jaruri tha ...
Abhi ab ek chkra ki tarah gol ghumte hue ...unn jeevo ...par vaar kar raha tha ....

Yaha Nebhru ...Glaco ....Ferron ....Kaal .....kareeb kareeb un daiyo aur pisacho ka safaya kar chuke the ...k ....inn jeevo k roop mein ek bayi musibat unke saamne thi .....inn jeevo par unkivurja ka koi asar nahi ho raha tha ...kewal ..astro aur bahubal k dwara hi unhe maara jaa sakta tha .......issilye ab sab apne astra ..lekar unn ...Jeevo ka saamna karne lage ......

Dusri taraf ...Catospher apni poori urja lagakar ..Zecro ko niyantrit kiye hue tha ...parantu ...uske bhiter ki kaali urja .. Catospher par bhari pad rahi thi ...ab woh kamjor padne laga tha .....woh jerv bhi ab uss tak pahunch gaye the ..jo Kaal ne dekh liye tha ......ek ..ne Catospher par chalang lagayi hi thi k ..Kaal ..teevra gati se waha pahunch gaya ...aur uss jeev ki gardan pakad li ....aur apne panjo mein dabakar pal bhar mein uski gardan ukhad di .....tabhi kuch jeev Catospher ki taraf badhe ...Kaal unko rokta uske pahele ....Kaal par bhi ...kuch Jeevo ne humla kar diya ....

Kaal bhi ab krodh badhne k kaaran apne raudra roop mein aagaya tha ....woh apne pahjo se aur apne jabde se unn jeevo ko chir faad raha tha ....

yaha ek jeev Catospher par chalang laga chuka tha ....jisskaran ..woh ..jamin par gir pada ....adhik urja ..vyay hone k kaaran woh bahut kamjor pad gaya tha ..ab ..woh iss haalat mein nahi tha ..k woh uss jeev ka saamna kar sake ....woh jeev apna jabda kholkar usse khane hi wala tha k tabhi ..ek talwar tezi se aakar uss jeev k paar ho gayi .....aur woh jeev dharashayi ho gaya ...

kuch aur jeev uski taraf badhe hi the ....woh talwar dharak Catospher aur unn jeevo k bich aagaya .....aur ..teevra gati se ..unn jeevo ko apni talwar se maut k ghat utarne laga ....Cotospher ne halki si aankhein kholkar dekhi ....toh uss talwar dharak ko dekhkar uski aankhon mein aansoo aagaye ....kyu ki woh aur koi nahi ..Arsalan tha ....jis pita ko maarne k liye woh Darmen k shadyantra mein shamil hua tha aaj wohi uski raksha kar raha tha ....

Apne pita se woh milna chahta tha ...apne kiye hue apradho ki kshama maangna chahta tha ...paratu woh ab uthne mein bhi asamartha tha ...kamjori k kaaran dheere deere uske aankhien band hone lagi aur woh murchit hone laga ....

Yaha dusri taraf ...Abhi apni poori teevrata se unn jeevo ko maut k ghat utar raha tha ....parantu woh ...sankhya mein bahut adhik the ....tab ..usse dhyan aaya ....k yeh jeev bilkul ussi tarah k jeev hai ..jinse ...Nebhru k nagar mein Darmen k jaal mein fasne k kaaran ...Abhi ka saamna hua tha .....aur ..unn sab ..jeevo ko usne vash mein kiya tha ....
tab Abhi ne apne mooladhar chakra ...ki char pankhudiyo ...ki ..urja ko aur jyada sakriya kiya ....jo .uske antarman se sambandhit thi ....aisa karne se Abhi k sharir se ek prakash nikalne laga ....aur jo bhi jeev us prakash k dayre mein aata ....aur ..Abhi k man se judkar sthir ho jaata ..aur Abhi ka sanket paakar ...baaki ..jeevo par .....humla kar deta ....Abhi ab bahut se jeevo ko apne niyantran mein kar chuka tha .....

Wahi Dusri taraf . Egypt mein ....Darmen ....Abhi ki pratiksha mein tha ....lagbhag aadha din bit chuka tha .....aur waha yudh ki sthiti ka bhi kuch pata nahi chal raha tha ..k kya ho raha hai ...issiliye ..woh apne sadhana kaksh mein rakhe hue Eblis dwara diye hue ....Crystal mein yudh ka haal dekhne gaya .....

uss Crystal mein dekhne k baad ...jab usse pata chala k uske beta ..Jacob nahi raha ..toh uska krodh saatve asman par pahunch gaya .....usse aisa lagne laga k woh Abhi k dwara thaga jaa chuka hai ....usne jo drishya bhawishya mein dekhe the ..woh sab jhoote the ....
ab woh poori tarah krod mein bharkar ..waha ..se ..teleport hokar sidhe Yudh bhoomi pahunch gaya .....

Yaha Abhi jab unn jeevo ko apni urja k dwara niyantrit karne laga tha ....Tabhi uspar k bhayankar kaali shaktiyo ki urja ka prahar hua .....jiske lagne se woh dur jaakar gira ....uss urja ka vaar uski pith par itna jabadast hua ..k ....uski pith ka woh hissa ..thoda zhulas sa gaya ...aur ..bahut jalan karne laga .....

Abhi apni pida ko niyantrit karta hua ...muda toh dekha saambe Darmen tha ....

Darmen - tumne Jacob ko maarkar thik nahi kiya hai baache ....ab apni bhayank maut k liye tayar ho jaao ...aaj ..tumhe aur tumahare saare apno ko maarkar mein yeh kissa hi samapt kar dunga ..
itna kahkar ....Darmen ne ....ek aur kaali urja ka bhayankar vaar Abhi par kiya ....

Tab tak Abhi sambhal chuka tha ....aur apni shwet urja ki shield se uss vaar ko rok chuka tha ....

Abhi - Tumahari santan mrityu ko prapt hui hai tumahare kaaran ....tumahare ki karmo ka dand unhe bhogna pada ....yadi itna ..hi moh tha apne baccho ka toh unhe sahi marg batate ....unhe maine nahi ...tumne maara hai ......

Abhi usse baat kar hi raha tha ...k Darmen ne ...aag k saamna dhadhakti hui Shakti ka prahar kiya .....Jo Abhi se takrate hi ek bhayankar dhamaka hua .....

Darmen apne iss vaar se bahut khush hua ...parantu dhamake se ...utha hua ..dhua jab chata toh Abhi wahi ..par adig khada muskura raha tha ....

Abhi - aaj tumahari koi shakti kaam nahi karegi Darmen ...kyuki aaj tumahari mriyu ka din hai ...laga lo apna poora jor ....

itna kahkar Abhi ..ne apni urja k lagatar prahar ..Darmen par karne laga ....aur Darmen bhi ...apni urja se uspar vaar kar raha tha ....dono taraf se ghamasan macha hua tha ....

Wahi dusri taraf ...Claira ...dwara ....anenk astro ka saamna ...kar rahi thi ..Eblis ki shakti se unka sraksha kawach tut gaya tha ...jiss kaarn....kai astra teeno ko lage ....jisase woh teeno ghayal ho gayi thi ....parantu ...unki healing power k kaaran woh ghav bhi ..turant bharne lage .....ab teeno apni apni talwar lekar apne upar barste hue astro ko kaatne lagi ....teeno ki talware itni tezi se ghum rahi thi ....k ab ek bhi astra ...ab unhe chu bhi nahi paa raha tha ....

Claira k astra lagatar baras rahe the ....aur woh teeno bhi apni talwaro se unn astro ko kaat rahi thi parantu kab tak ...kyuki inn astro se nipate hue ..woh Claira par koi vaar nahi kar paa rahi thi ...

Shivali ..Ritu ..aur ..Vibhakta ..ne ab ..talwar ..chalate hue ...ek dusre ka haath pakad liya ....aur ankhon hi aankho mein kuch ishara kiya ....tabhi unn teeno k sharir se ek divya prakash nikalne laga ....unke sharir se prakash nikalte hi ...Unpar barasne wale saare astra stabdh hokar aakash mein sthir ho gaye ....

Apne astro par se Claira ka niyantran ab hat chuka tha ...jisase woh ascharya chakit si ho gayi ..usne apni poori shakti lagayi parantu ab uski ..shakti ...ka unn astro par koi prabhav nahi ho raha tha ....

abhi Claira kuch samaz paati tab tak ...Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ne apne haat ..aakash ki tarf uthaye aur ...ek nazar unn astro par daali ...unke aisa karte hi un astro ko disha badal gayi ...aur woh tezi ..se Claira ki taraf badhe ....Claira unhe rokne mein asamartha thi ....woh astra Claira k sharir ko chalni karte hue ....aar paar ho gaye ...jisase woh jor se cheekhti hui ...bhumi par gir gayi ...

Claira k bhumi par girte hi ...teeno ne uske paas jaakar dekha toh ..uske sharir se rakt ki anek dhara bah rahi thi ....saara sharir ...chalni ho gaya tha ...woh tadapte hue chikh rahi ..thi ....uski saanse ukad rahi thi ......

Shivali - Dekha claira ...apne bure kaamo ka natija ...pahele toh apne baccho ko khoya ..aur ab khud bhi maut k muh mein ho ....

itna kahkar teeno ..usse aise hi marne k liye choda aur ..mudkar ..yudh bhumi mein aage badh gayi ....woh teeno abhi aage badh hi rahi thi ....k Kissi ne Vibhakta ki gardan piche se kaskar pakad li thi .....yeh thi Claira ....

Apne hi astro se Claira jab antim saanse le rahi thi ...tab ...uske upar mandrata hua Eblis ka saaya uske bhiter pravesh kar gaya ....Eblis k saaye k pravesh karte hi ..claira ....k sharir mein dhase hue saare astra bahar ..nikal gaye ..aur uske ghav bhi turant bhar gaye ......

Claira apni poori shakti lagakar Vibhakta ki gardan pakadkar daba rahi thi ....jisse Shivali ne dekh liya ....Shivali ne ek jordar mukka ...uske jabde par de maara ....jiske lagte hi uski pakad dheeli ho gayi ...pakad dheeli hote hi Vibhakta ....ne apni kohni se uski chatti par prahar kiya ...abhi woh sambhal ti ....k Ritu ne bhi uske baal pakadkar ...ek zhatka dekar usse jamin par gira diya ....aur teeno thokro se uspar tabadtod humla karne lage ...

Lagatar prahar hone k bawjood ...Claira ne apne aapko sambhala aur teevra gati se waha se hat gayi ....ab ..woh bijli ki si gati ...se ..unn teeno par humla karne lagi ...Eblis ki shaktiyo k kaaran ab usski gati itni tez ho gayi thi ....k woh dikhayi hi nahi de rahi thi ....bas uske dwara ...ho rahe prahar unn teeno par pad rahe the ...parantu kahte hai na ..k diya buzne se pahele adhik fadfadata hai ....

Teeno ..ne phir ek dusre ka haath pakad liya ....aur maa parashakti ka dhyan karte hue ....unke trishool ka aawahan kiya .....Parashakti ka trishool pragat hote hi waha ek diya aabha failne lagi ..

Eblis jo Iss samay Claira k sharir mein tha ....usne jab parashakti ka trishool dekha ....toh bhaybhit hogaya ....woh iss trishool ka saamna karne mein asamartha tha ...issiliye ...woh Claira k sharir se nikalkar ...waha se chala gaya .....uske nikalte hi Claira ki ...bhi shakti jaise samapt hogayi thi .....Shivali ..ne der na karte hue uss Trishool ka vaar ....Claira par ...kiya ...jiske lagte hi ...Claira ki dardnak cheekh waha gunj uthi aur kuvh hi pal mein ....woh rakh k dher mein badal gayi ......aur ..woh yrishool bhi apna karya poora karke wapas parashakti k paas pahunch gaya ....

wahi dusri taraf .....Arsalan ...jab unn jeevo se Catospher ki raksha kar raha tha ...tab tak Abhi dwara niyantrit kiye hue jeev unn jeevo par tut pade the ..ab ..Claira dwara pragat kiye jeev aapas mein lad bhid kar samapt ho rahe the .....Arsalan ...ab unn jeevo se mukt ho gaya tha .......tabhi uski nazar Zecro ..par padi jo ab hosh mein aagaya tha ....hosh mein aate hi ....jamin par pade ...Ctospher par apne mrityu dand se prahar karne hi wala tha .....k usne turant catospher ko uthakar waha se hataya ...aur Zecro la vaar bekar ho gaya ...

apna vaar bekar jaate hue dekhkar ....Zecro ..ka krodh aur bdh gaya tha ....usne Catospher ko uthane wale ko dekha ..toh waha Arsalan Catospher ....ko godh mein uthaye khada tha .....

Arsalan - Ruk jaao ...Zecro hosh mein aao ...jisse tum marna chate ho woh tumahara bhai hai ....
hosh mein aao mere bacche ......

Arsalan ki baaton ko sunkar uske chehre par ek krurta bhari muskan aagayi .....jisse wahi paas khade Karma ne dekh liya tha ......woh jaanta tha k Zecro kabhi bhi humla kar sakta hai ..

Karma - Hat jaaiye waha se iss samay woh aapka bete nahi ...Darmen ka gulam hai ....

tab tak Claira ko maarne k baad Vibhakta bhi waha tak pahunch chuki thi ...Karma ki baat sunkar woh jaan gayi thi k Zrcro iss samay Darmen k sammohan mein hai ...usne apni Sakaratmak urja ko sakriya kiya ..aur ....Zecro par chodi ....Sakaratmak urja ...Zecro ...tak pahunchti tab tak Zecro apna prahar kar chuka tha ...

aur ek saath do chikhe waha gunji ....

Abhi k liye itna hi ....

Agla update jald hi ....
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143
Bahut bahut dhnyawad mitra aapke Sneh .....shandar aur jaandar samiksha avem tippani k liye ....

:thanks: :thanks: :thanks:
aise hi saath banaye rakhe ,??

Update 61 posted.....

Bemishaal vakye sarnchna se veer rash se shuhobhit ek aur divye kalaye bhikherte hue Abhinav bhai laaye hai achhai ki burai per haar pardarshit karte hue Rakshak dwara. Atiutam
Partiksha me agli rash barshati sunder chhavi liye hue ek manoram update ki.
 
Top