• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

Anv

New Member
7
6
1
Update - 2

Zecro aur sab Darmen k saath chale gaye ....aur Arsalan baitha hua kisi soch mein gum tha .......

kuch dino se chal rahi gatividhiya ......aur iss tarah ek saath sabka aana ....aur Darmen ka usko baat ko talna .....usse kuch ajeeb sa lag raha tha .......

Thodi der tak Dhara bhi Arsalan ko aise hi khamosh baitha hua dekhti hai ......lekin phir puch hi leti hai ....

Dhara - kya baat hai aap itne khamosh baithe kin socho gum ho .......

Dhara ki aawaj se woh apni socho se bahar aata hai .....

Arsalan -( muskurate hue ) kuch nahi jaan bas aise hi apne projects k baare mein soch raha hu .......

Dhara - Nahi kuch toh baat hai jo aapko pareshan kar rahi hai .....kuch dino se mein dekh rahi hu aap kuch pareshan se lag rahe ho ....apni baaton aur apni hasi se aap muzhse kuch chupa nahi sakte ......sach sach bataye kya baat hai....

Arsalan - Dekho dhara tumhe iss paristhiti mein jyada nahi sochna chahiye ......tumhe muzhpar vishwas hai na ...mein sab sambhal lunga ......tum par aur humare putra par mein koi bhi aanch nahi aane dunga .....

Dhara - muzhe aappar poorna vishwas hai parantu .....mein janana chahti hu aapko meri shapat hai ......

Arsalan - Thik hai ...accha ek baat batao kya tumhe humare 6 putro ka aise ek saath aana kuch ajeeb sa nahi laga .....

Dhara - Ussmein kya ajeeb sa hai ....woh humare putra hai toh humse milne aaye the .....

Arsalan - kya unmein se kissi ka vyavjar ......aur Darmen ka unko saath le jaana ......tumhe kuch ajeeb sa nahi laga .....

Dhara - Haa shayad .....Nebhru jab muzhe upahar de raha tha toh Darmen ki aawaj sunkar ussne woh upahar .....chupa liya .....aur muzhe usse baad mein dekhne .....ka ishara kiya ......

Arsalan - jara dikhana toh ...woh upahar kya tha .......

Dhara apni takiya k niche se woh chota sa box nikalti hai .......aur Arsalan ko deri hai ......

Arsalan ne uss box ko lekar khol diya .....aur ussmein se nikalti hai ek gupt sandesh k saath Nebhru ki holographic image jo usne apne jaadoo se uss box k jariye uss box mein band ki thi ....

Nebhru - Aap dono ko mera pranam ...Pitashri yaha ek bahut bada shadyantra racha jaa raha hai jismein Maa aur unke garbh mein pal rahe shishu k prano par sankat hai ..... aap apne logo se satark rahe ...... mein vivash hu ki pratayksha roop se aapki koi sahyata nahi kar paa raha hu ....parantu maine apne jaadoo ki urja se ek suraksha kawach ka nirman kiya hai ...jo iss box mein ek mani k roop mein hai ......jisko dharan karne se kisi ek ki prano ki Raksha kar sakta hai ..

aap satark aur sawdhan rahiye .......itna kahkar Nebhru ki holographic image adrishya ho jaati hai....

Dhara ne jab uss sandesh ko suna ....toh usse apne pati ki chintao ka kaaran pata chal gaya ....usse yeh sunkar bahut aaghat pahuncha k jinka nirman usne apni aur apne pati ki urja se kiya hai aaj wahi unke virudh shadyantra rach rahe hai ......parantu kyu ....unhe kya chahiye ...aur...inn sabke picche ...mukhya haath kiska hai yeh woh samaz nahi paa rahi thi...

Arsalan ne Nibhru ka sandesh sunkar box mein dekha toh usmein ek laal rang ka chamakta hua mani tha .....Mani dekhkar Arsalan ka dhyan Dhara ki taraf gaya ....jo aankho mein aansoo liye ussi ki or dekh rahi thi ....

Arsalan - apne aapko sambhalo Dhara ... mein tumhe aur humare bacche ko kuch nahi hone dunga ..... ( aur uske paas jaakar uske aansoo ponchta hai ..gale lagakar usse santwana dene lagta hai )

thodi der dono chup rahkar ek dusre ki baaho mein baithe rahte hai .....

Dhara - yeh sab kya ho raha hai ..jiss grah ko humne apne prem se sinchkar swarg se bhi sundar banaya .....woh aaj nashta hone ki kagar par hai .....jinka nirman humne apni prem aur urja se kiya aur apni saari shaktiya di ...aaj wohi humare viruddh khade ho gaye hai .......muzhe toh abhi bhi vishwas nahi ho raha hai ........

Arsalan - yeh satya hai Dhara muzhe kai dino se iss baat ka aabhas ho raha tha ....aur issi vishaya mein mein Darmen se baat karna chahta tha .....lekin uss samay usne meri baat ko taal diya ......

Dhara - kya iss sab mein humari santane bhi shamil hai ....

Arsalan - Nebhru ki baatein sunkar toh muzhe kuch aisa hi lagta hai ......parantu abhi vishwas k saath kych kah nahi sakta ...k ...kaun kaun hai iss shadyantra k picche ...parantu yadi yeh satya hai k humare putro ka issmein kuch haath hai toh kyu ....kya kaaran hai..... .k humare bacche humare hi virudh ho gaye hai ....aur iss sab mein mukhya kiska haath .....

Nebhru k kathan ausar uski kuch vivashta hai ....aisi kya viswashta hai ....jo iccha hote hue bhi woh humara poorna roop se saath nahi de paa raha hai ....aise kai prashna hai ...jinka ...utaar muzhe khojna hai ......

tum abhi aaram karo aur apni saari chintao ko muzhpar chod do ......isase humari hone wali santan par asar pad sakta hai ......

Arsalan kuch der Dhara k paas raha jab Dhara so gayi ....toh usne Dhara ki vishwas paatra sevikao ko uski dekhrekh karne ka kahkar waha se apni secret lab mein pahuncha ....Jaha uske dono project Time machine aur maha astra par woh kaam kar raha tha .......

usne apne sawalo k jawab janane k liye aaj time machine ka upayog karne ka vichar kiya .......aur usmein usne uss samay jab uske 6 putra usase milne aaye the uske 2 ghante pahele ka time usmein set kiya ......aur ...Machine start kar di .....jisase uske time particle activate ho gaya aur woh pahunch gaya uss samay mein ......

iss grah ko usne apni urja k dwara vikasit kiya tha ...issiliye kuch aise gupt rastein the jinke baare mein Darmen bhi nahi kaanta tha .....unho raasto ka prayog karte hue woh Darmen k kaksha mein gupt roop se pahuncha .....aur chupkar dekhne laga .....

Darmen kisi vicharo mein gum apne kaksha mein idhar se udhar tahal raha tha ....aisa lag raha tha usse kisi ka intejar tha .......

Tabhi Arsalan ne Zecro k saath apne baaki santano ko waha aate hue dehka .......toh uska shak yakeen mein badal gaya ......uss pahle se hi aise lag raha tha ....k iss sab mein Darmen ki kuch na kuch bhumika jarur hai ......Darmen ki aawaj se uska dhyan uss taraf gaya ...

Darmen - aao aao Zecro tum sab ka hi intejar tha .....aao baitho ....
( sab baith jaate hai )

Darmen - kaho saari yojna kaisi chal rahi hai ......tumne mere nirdesha anusar unn sab chjo ko banaya hai na......

Zecro - Sab kuch aapki yojna k anusar hi ho raha hai ....parantu muxhe abhi bhi samaz nahi aaraha hai isase aapko kya prapt hoga .....aap toh humesha pitashri k hit k liye hi kaam karte the .

Darmen - Tum mere hit k baare mein sochna chod do ....aur apne hit k baare mein socho .....aur wahi karo jo mein kah raha hu .......nahi toh tum jaante hi ho .....mere virudh jaane ka kya parinam hota hai .....

Zecro - Parantu iss sab k liye unhe samapt karne ki kya awashyakta hai ...hum toh unhe bandhi bhi bana sakte hai ......

Darmen - Tum abhi Arsalan ko poori tarah nahi jaante ho bacche .....tum kya sochte ho him usse kaid karenge aur woh aasani se kaid ho jaayega ......
aur yadi kisi tarah humne unhe kaid kar bhi liya ...toh janm lega woh jiske haatho ...hum sabki maut likhi hai ...aur ..phir woh ban jaayega ...... humari galaxy ka samrat hoga ....
apne prano ki raksha k liye kisi k prano ko harna koi bura nahi hai .....aur aisa karne se tumhe ek aur fayda bhi hai ....k Arslan k baad tum ...
ARIN graho k samuday k naye samrat ban jaaoge ......

Nebhru - Parantu aap itne viswas k saath kaise kah sakte ho k jo janm lene wala hai woh humari mrityu ka kaarak hoga ......

Darmen - tum shayad bhul rahe ho k mein kiski upasna karta hu ......aur unhi mere malik se muzhe pata chala hai ...k Arsalan ki aanewali sanran hum sabka kaal hai ....nahi toh main kyu yeh nirnay leta ....

main bas apne mrityu daata ko janm lene se pahele hi samapt karna chahta hu ......aur iss sab mein tum sabko bhi laabh hai ......tumhe swatanra roop mein apne apne graho ka raj prapt ho jaayega ....aur ..prapt hogi mere maalik ki anant shakti......
ab aur koi prashna nahi .......bas waisa hi karo jaise mein kah raha hu .......

Kuch der unsab ki apne shadyantra ki yojna ko karyanvit karne ki baatein hoti rahti hai ...jo Arsalan chipkar saari baatein sun raha tha ....usse dukh tha k jisse usne apna bhai aur apna hi ek ang maana woh apne man mein unke liye itna jaher lekar baitha hai ...aur uske apne putra jinko usne aur dhara ne apni prem ki urja se utpanna kiya ...aur apni shaktiya di wo bhi aaj Darmen ka inke virudh saath dene k liye raazi ho gaye

parantu Arsalan ko yeh baat samaz nahi aarahi thi k Darmen kisko apna Maalik kah raha hai ....

aur uske baad Sab waha se Arslan k kaksh ki or nikal padte hai .....unke jaane k baad

Darmen - Dhara tumne meri jagah Arsalan ko chunkar bahut bura kiya ab uska dand bhugatne k liye tayar raho .......ha ha ha ......

Arsalan waha se nikalkar wapas apne time machine k paas pahunchta hai .......aur Apni lab mein wapas apne samay mein aa jaata hai ......waha se phir Dhara k paas pahunchta hai ....jo abhi bhi so rahi thi....kuch der uske paas baithkar .....aage aane wali paristhitiyo ka kis prakar saamna karna hai ......aur ...apni hone wali santan aur dhara ki kis prakar raksha karni hai .....uss baare mein sochta hai ....

Dhara ka maasum chehra usse sabhi mushkilo ka saamna karne ki prerna deta hai ......woh niche zhukar Dhara k maathe par kiss karta ....aur waha se jaane hi wala hota hai k Dhara uska haath pakad leti hai .....Arsalan k apne paas hone k ahsas se woh uth chuki thi .......Dhara usse apne paas baithne ka ishara karti hai ......

Ab dekhte hai k Darmen ne kis prakar aur kyu Arsalan aur Dhara k virudh jaane ka nirnay liya ......

Jis samay Arsalan , Dhara ...aur Darmen teeno ka nirman brahmand mein vyapt cosmic energy jisse hum parashakti ...parbrahma ...ishwar kai naamo se pukarte hai unke dwara hua ....Aur woh iss grah par aaye .the ...toh Darmen pahli hi nazar mein Dhara ki sundarta par mohit ho gaya tha .....woh har samay Dhara k hi saath rahna chahta tha ....

Uski hasi ...sunderta .....Darmen ko dino din apni or aakarshit karne lagi .....parantu Dhara man hi mann Arsalan ko apna pati maan chuki thi ... usse Darmen k mann mein chal rahe vicharo k baare mein kuch bhi nahi pata tha ......

Darmen Arsalan se Dhara ki najdikiya bardast nahi kar paa raha tha ......Usne Dhara ko kai baar apne mann ki baat batane ka prayatna kiya .....lekin bata nahi paaya .......

Uske baad Arslan aur dhara ki urja k dwara ...yaha ki sabyata ka aur 6 putro ka janm hua .....Arsalan aur Dhara k sushashan aur sabke prati prem k kaaran uhne sarva sanmati se ... yaha ka samrat niyukta kiya gaya ......aur Arslan aur Dhara ka vivah ho gaya ..aur dono ek ho gaye ....aur Darmen banke rah gaya ARIN K grah samuho ka Rakshak ....

woh sabke saath rahte hue bhi apne aapko akela mehsus karne laga......jiske kaaran woh aur krur ho gaya .....uska apradhiyo ko dand dene ka tarika ghinauna ho gaya tha .......log usase darne lage the......
jo bhi uske virudh hota woh usse bahut buri tarah maut deta .....jiske kaaran woh ab logo ki nazar mein shaitan ban gaya tha .....lekin uske bhay k kaaran koi bhi Arsalan k aage uski shikayat karne ka sahas nahi kar paata tha ....

Praja ab Arsalan aur dhara k shasan aur praja k prati prem ki prashansa karne lagi ..aur Arsalan aur Dhara ko apna Bhagwan manane lagi ....

yeh sab dekhkar Darmen k mann mein irsha ...krodh ...moh ne janm liya .....ab woh Arsalan ki jagah lena chahta tha ......woh banana chahta tha .....yaha ka Bhagwan ......

Abhi k liye itna hi ....

Agla update jald hi ....
superb update
 
  • Like
Reactions: jaggi57

Anv

New Member
7
6
1
Update - 3

Arsalan ki jai jaikar k kaaran Darmen k mann mein irsha ...krodh ...moh ne janm liya .....ab woh Arsalan ki jagah lena chahta tha ......woh banana chahta tha .....yaha ka Bhagwan ......

Darmen ne Arsalan k viruddha gupt roop se ek sena ka gathan karna aarambh kar diya .......dhere dhere usne Arsalan k vishwasniya sewako ko gayab karke apne vishpatro ko mahal mein tainat karta gaya ......lekin kuch mukhya sewak jo Arsalan aur Dhara ki sewa mein the unhe nahi hataya .....taaki unko Darmen par koi shak na ho sake .....

Arsalan Darmen par poora vishwas karta tha ...kyu ki kai baar bahari ...galaxy k shatruo se Darmen ne uske garho ki raksha ki thi .....aur uske dand aur nyay k kaaran ....uska rajya apradh loot paat se dur tha .....isiliye woh Darmen k mann mein chal rahe shadyantra ko nahi jaan paaya .

Darmen ne gupt roop se ab apni ek vishal sena ka gathan kar liya tha ...Itna kuch karne k baad bhi Darmen jaanta tha k woh Arsalan aur uske 6 putro ki shakti ka saamna nahi kar dakta tha ....usse kaise bhi karke unn sab ko apne paksha mein karna tha .....lekin woh jaanta tha k yeh itna aasan nahi hai .....kyuki unn 6 putro ki utpatti Arsalan aur dhara ki urja se hua tha ...

ek din inhi sab baaton ko sochte hue woh apne kaksh mein naitha hua tha ......k tabhi uske kaksh mein achanak andhera phailne laga ......aur dekhte hi dekhte uss kaksh mein itna andhera ho gaya k usse kuch bhi dikhayi nahi de raha tha .......

Darmen abhi soch hi raha tha k yeh ekdum se andhera kaise ho gaya ....kya yeh kisi ki chal hai ......k tabhi usse ek bhari aawaj sunayi deti hai ......

Awaaj - Darmen mere bacche iss prakar vichar karne se kuch nahi hoga ...tumhe aur shaktiya hasil karni hogi ......

Darmen - Kaun ho tum ...aur aise chupkar kya baat kar rahe ho ....kya sochte ho tum Darmen ka mukabla kar paaoge .....yeh andhera karne jaise chote mote jaadu se muzhe darane ka prayatna kar rahe ho ........

Awaaj - Shant ho jaao Darmen mein koi tumahara shatru nahi hu ......tumahara hitaishi hu ..aur tumhe tumahare udddesya tak pahunchne mein sahayata kar sakta hu

Darmen - yadi shatru nahi ho toh iss maya k picche chupkar kyu baat kar rahe ho ....saamne kyu nahi aate ......

Aawaj - yeh koi maya nahi hai yeh kaala andhera hi mera swaroop hai .....mein hu andhere aur kaali shaktiyo ka swami EBLIS

Darmen - Yadi aap swayam Eblis hai toh aap yaha kaise ...maine toh aapko nahi bulaya ....aur aap meri madat kyu karna chahte hai

Eblis - Muzhe kahi aane jaane ki aawashyakta nahi hai .....Poore Brahmand mein jaha bhi burai ki bhawnaye janm leti hai waha apne aap mera pravesh ho jaata hai ......
Tumahara janm divya urja se hua hai ....yadi tumhe meri kaali shaktiya bhi prapt ho jaaye toh ...tumhe iss sansar mein koi nahi rok sakta ......tum anant shaktiyo k swami ban jaaoge ...phir sansar mein koi bhi tumahara mukabla nahi kar sakega ...aur tum ban jaaoge ...Sarv shaktisali ...

Darmen - main jaanta hu k koi bhi maha shakti bina kissi tyag k prapt nahi hoti ......Jin kaali shaktiyo ki aap baat kar rahe hai usse prapt karne k liye muzhe kya karna hoga .....

Eblis - Sabse pahle tumhe sankalp karke apni aatma ka ek hissa muzhe dena hoga ....jisase mera vaas tumahare bhiter ho jaayega .....aur phir kuch sadhnaye jinmein tumhe roj apni prajati k logo k rakt se snan karna hoga ......

Eblis Darmen ko sadhna k kuch disha nirdesh deta hai ...phir waha se chala jaata ..hai

Darmen Eblis k bataye ansar hi apni sadhnaye shuru kar deta hai aur apni aatma ka ek hissa Eblis ko samrpit kar deta hai ....Jisase Eblis ko ab burai aur paap failane k liye ek sharir mil jaata hai aur woh Darmen k bhiter jivit ho jaata hai...

Doston jisne bhi ABHI - THE WARRIOR padi hai usmein meine Eblis k pragat hone ka rashasya aur uski shaktiyo k baare mein bataya tha ..yeh wahi Eblis hai jispar rok lagane k liye tridevo ki apni sammilit urja se janm hua tha Brahmand k rakshak ABHINAV ka.......

Ebils k baataye anusar jaise jaise Darmen sadhna karta hai uski shaktiya badhti jaati hai ......Darmen Arsalan ko samapt kar Dhara ko paana chahta tha .......lekin ussi samay Dhara garbhvati hogayi........Eblis ne usse bataya k Dhara k garbh se jo janm lene wala hai woh iss brahmand ka rakshak Abhinav hai ......

yadi uska janam hua toh toh woh uska kaal ban sakta hai ....isiliye uske janm lene se purva hi maar dena hai ......Eblis k kahe anusar ab Darmen ne Dhara ko bhi maarne ka nirnay le liya ....

Usne sab se pahele apne kaali shakti k prabhav se Zecro aur uske bhaiyo ko apne vash mein kiya ........unhe apna prabhav dikhaya .......aur saath hi Zecro ko yeh laalach bhi diya .....k ....woh ...Arsalan ka pahela beta hai ...isiliye Arsalan ki gaddi par uska adhkar hai ...

Yadi Dhara k garbh se uske putra ka janam hua toh woh unsabko maarkar Yaha ka samrat ban jaayega .....isiliye iske pahele unki maut janam le unhe usse hi samapt karna hoga .....

Kaali shaktiyo k prabhav mein hone k kaaran woh sab maan bhi gaye .......

Lekin Nebru k paas maya aur jadui shakti thi jiske kaaran woh Darmen k dwara sammohit nahi hua ........

Nebhru ne Darmen ki shaktiyo ka prabhav dekha tha ........usse pata tha Darmen k khilaf jaane ka arth mrityu ko gale lagana hai ......

usse bhi aur shaktiya prapt karne ka laalach tha ...aur apne prano ki raksha ka moh .......

Nebhru Apne Mata pita ko bhi bahut prem karta tha .....woh chahkar bhi unki sidhe taur par madat nahi kar sakta tha ..

isiliye usne unhe satark karne ka nirnay liya .....aur unn tak apna gupt sandesh aur apni urja se bana hua raksha kawach pahunchaya ......

ab aagee.......

Arsalan kuch samay Dhara k paas baitha rha ......aur iss sthiti se kaise nipta jaaye woh sochne laga .........

woh phir apne lab mein gaya aur time machine mein usne raat ka woh time fix kiya .....Jis time mein uski Darmen k saath meeting hone wali thi ........aur pahunch gaya woh uss samay mein ....

aur apne kaksh mein chupkar dekhne laga ......usne dekha ...k woh ..Dhara k paas baitha hua kuch baat kar raha hai .......aur tabhi waha Darmen aajaata hai ......

Arsalan - aao Darmen muzhe tumahara hi intezar tha .....kuch jaruri baatein karni thi .......

Darmen - kya baat hai aap kuch pareshan lag rahe ho ......

Arsalan - Darmen kuch dino se hume aisa kyu lag raha k himpar har wakt nazar rakhi jaa rahi hai .

Darmen - aisa kuch nahi hai bhai ....woh bas aapki suraksha k liye maine hi saare sainiko ko tainat kiya hai .....

Arsalan - zhoot mat bolo Darmen ....subah bhi zecro aadi humse milne se pahele tumse mile the ....aur yeh baat tumne humse chipayi ...kyu ...aakhir chal kya raha hai ....

Darmen - aap muzh par shak kar rahe hai ......

Arsalan - shak karne ka mauka bhi toh tumne hi diya hai .....mere putro k saath milkar kya shadyantra rach rahe ho aur kyu .....dekho ab zhoot mat bolna ......

kyuki main sab jaan gaya hu ki tumne muzhse chipkar ek vishal sena banayi hai jo iss samay humare poore rajya mein aur mahal mein phaili hui hai .....aakhir yeh sab chal kya raha hai ......

Darmen - chalo aacha hua marne se pahele tumhe saari sacchayi pata chal gayi hai .....isase yeh pata chalta hai k tumahara time machine ka prayog safal ho gaya ......

Darmen ki baat sunkar Arsalan ne turant apni talwar ka bahpur vaar uspar kar diya lekin woh talwar Darmen se takrakar chur chur ho gayi ......

Aur Darmen ne bhi turant apni urja ka prayog Arsalan par kiya ....jisase Arsalan kaksh ki deewar se takrakar nice gir gaya ....

Darmen - na...na....bhai ab yeh galti dubara mat karna ......ab tumhari koi bhi shakti muzhpar kou asar nahi kar sakti ......amar hu main .....maut muzhe chu bhi nahi sakti .....

itna kahkar Darmen Dhara ko apni urja k paash mein bandh deta hai .......jisase Dhara tadapne lagti hai ........

Arsalan - Darmen chod do usse ......chod do ...tum toh aise nahi the ......

Darmen - Kaise chod du saari fasad ki jad yahi toh hai ........ab isse marna hoga .......

Arsalan bhi apni saari urja ka ek gola banakar Darmen par chodta hai .......jo Darmen ko lagne se pahele hi usse Arsalan ki or mod deta hai ...jisase Arsalan ki ek cheekh nikal jaati hai ......

Arsalan ki koi urja kaam nahi kar rahi thi ab ....woh bahut burri halat mein tha ......

Yeh sab drishya dekhkar Chipkar dekh rahe Arsalan ko krodh aaraha tha ......woh khud Darmen ko maarna chah raha tha .....k tabhi usne dekha k kaksh mein Zecro ...Neilster.....Nebhru...aadi uske 6 putra aagaye ........

Zecro - Rukiye kakashri , jara hime bhi apne mata pita ki sewa ka awsar dijiye .....

Dhara - ( paash mein bandhe hue dard se tadapte hue ) toh tumsab bhi iske saath shamil ho ....Sharam aati hai muzhe tumahare jaisi santan ...ko utpanna karke jo apne hi janmdata ko maarne par utaru ho .....

Catospher - Maarne par utaru nahi ... hum toh aap dono ko mukti dene aaye hai .....

Arsalan - Bas karo tum sab ab Ab tum sab apne jeene ka hak kho chuke ho ...Aur apni maarak shakti .....jo kissi bhi planet ko pal bhar mein naash karne ki shakti rakhti thi usse pragat karne ki koshish karne laga .....lekin aaj uski woh shakti bhi pragat nahi ho rahi thi ..

Neilster - kya hua pitashri ....hume ...marne k liye apni shakti ko pragat kar raho ho .....ha...ha...ha......karo karo prayatna karo .......

Arsalan apna poora prayatna kar raha tha .....parantu uski woh shakti pragat nahi ho rahi thi ......

Glaco - aapko woh upahar yaad hai pitashri jo humne diye the .....Ab aapko saari maarak shakti usmein sama gayi hai ab aap kuch nahi kar sakte .........

Arslan ka dhyan un upaharo par jaata hai jo waha ek mez par pade the .....toh woh turant unko lene dauta hai ......lekin usase pahle hi Darmen un upaharo ko ek shakti mein badalkar soakh leta hai ......aur Arsalan muh k bal jamin par gir jaata hai .....

Arsalan - kuch toh sharam karo ....muzhpar na sahi parantu apni mata par toh rahem karo .......

Zecro - ab hume jyada gyan dene ka prayatna na karo .....raham aur uspar jo humari maut ko janam dene wali hai .....

Arsalan - yeh sab zhoot hai ....tum sab iss kamine ki baato mein aakar andhe ho gaye ho ......

Darmen - Bas ab tumahara samay poora hua ....yadi apni patni ko bachana chahte ho toh Time machine aur Weapon kaha rakha hai sidhe sidhe bata do .......

Darmen k paash mein bandi hui tadap tadapkar Dhara ki aankhien band ho rahi thi ........

Darmen - jaldi karo dekho tumahari patni k paas samay bahut kam hai ....

Arsalan - mein jaanta hu yadi maine bata bhi diya ....toh tum hume jeevit nahi chodoge ......

Darmen - Toh ab marne k liye tayar ho jaao ....tumahare marne k baad mein khud dhund lunga .....alvida mere bhai aur pyari bhabhi ....

Aur Darmen apni bhayankar kaali urja ka prahar ...Arsalan aur dhara par kar deta hai .....

Abhi k liye itna hi ....

Agla update kal .....
behtareen kahani
 
  • Like
Reactions: jaggi57

Anv

New Member
7
6
1
Update - 5

Karma Abhi ko apne putra roop mein paakar bahut khush hua ....usne apni patni Neeru k haatho mein jab uss nanhe se farishte ko saunpa toh Neeru ko jaise saari duniya ki khushi mil gayi.....

Usne uss nanhe se baalak ko apne hriday se lagaya ....aur uska mukh chumne lagi .....mamta ki adhikta k kaaran uski aankhon se ashru bah nikle .......

Nanha Abhi ko bhi apni nayi mata ki goad mein aakar ek sukoon sa mila ...aur mamta bhatre sparsh ....se usko nind aagayi aur woh apni maa ki goad mein so gaya .....

Kabile mein jashan shuru ho gaya ......waha ka jashan bhi kaisa .....shikar kiye hue janwaro ka maas , kuch jungli fal aur kand..mool .....aur shahd se bana hua sharbat .......

Kuch der sone k baad nanhe Abhi ko sapne mein wahi dhamaka nazar aata hai .....aur apne asli mata pita Arsalan aur dhara ka chehra dikhta hai ....jisase uski nind khul jaati hai ...au woh rone lagta hai .......

Neeru apne bacche ka rona dekhkar tadap uthati hai ....woh usse chup karane ki bahut koshish karti hai ....lekin woh hai k chup hone ka naam hi nahi le raha tha ......Uska rona dekhkar Neeru ki bhi aankhon mein aansoo aajaate hai ...

Karma bhi Neeru k saath bacche ko chup karane ka prayatna karta hai ......k tabhi usse yaad aata hai k hosakta hai k isse bhuk lagi hogi ......toh woh Neeru ko bata deta hai ..

Neeru bhi pareshan ho jaati hai kyu ki ab tak woh nisantan thi ....uske stano mein dudh nahi tha jisase woh apne bacche ka pet bhar sake ....

Uski aankhon mein aansoo aajate hai .....k kaisi abhagi maa hai jo apne bacche ko dudh bhi nahi pila sakti .....aur woh apne bacche ko hriday se laga leti hai .....

mamta ki adhikta k kaaran uss nanhe baalak k sparh se uske stano mein dudh utar aata hai ....Neeru ko apne stano mein kuch sarsarhat mehsus hoti hai ...dudh ki kuch bunde uske stano se chalak uthati hai .....jisase woh samaz jaati hai .....k ishwar ne uski pukar sun li ...aur woh apne nanhe se bacche ko dudh pilne lagti hai ....jisase uska rona ryk jaata hai aur woh so jaata hai ....

Yahi hai mamta ki shakti ....jo asambhav ko bhi sambhav bana de .......

Karma - Neeru humne toh apne bacche ka naam hi nahi rakha ...hum usse kya kah kar bulayenge ....

Neeru - mein bhi yahi soch rahi hu .....lekin kuch samaz nahi aaraha ...

Karma - koi baat nahi hum kal ....apne Baba ji k paas chalenge woh hi hume batayenge...

Karma k kabile mein ek din ek aisi bimari aayi k waha k bacche uss bimari ka shikar hone lage ....woh log jitni jadi butiya jaante the .....unn sabka prayog karne par bhi uss bimari ka koi ilaj nazar nahi aaraha tha ...aur bacche tezi se marne lage the ....tabhi ek vridh sa vyakti unke kabile mein aaya ....jiske sparsh maatra se .....sabhi bacche thik hone lage ......Karma ne unhe apne kabile mein hi rahne ka aagrah kiya...aur unke liye ek kutiya banayi .........

Sab unko Baba ji k naam se hi pukarte the ......Baba ji bahut kam hi apni kutiya se bahar aate the ..woh bina kuch khaye piye rahte the ...isilye unki shakti se prabhavit hokar dur dur tak k kabile k
log unhe ishwar ka hi roop maante the ....

Karma aur Neeru apne bacche ko subah Baba ji k paas band the ......jab woh waha pahunche toh kutiya ka dwar band tha ....jaise hi woh dwar tak pahunche kutya ka dwar apne aap khul gaya ...aur ek aawaj aayi .......andar aajao ......

aawaj sukar dono bache ko lekar ander chale gaye ... dono ne Babaji ko pranam kiya ...aur bacche ko unke charno mein rakhne lage ...k unhone unko rok diya aur bacche ko apni godi mein le liya .....

Baba ji - Karma inka sthan charno mein nahi ....hai ......Aaj mera itne dino ki pratiksha poorna hue ...aakhir aap aa hi gaye samay chakra ko paar karke ....yaha ...

karma ko babaji ki baatein samaj nahi aarahi thi ...usse yeh dekhkar ascharya ho raha tha ...k ..Baba ji toh unke bacche se aise baatein kar rahe hai jaise woh unhe pahele se hi jaante ho ....

Karma ne Baba ji ko saari baatein batayi ...aur apne bacche k liye koi accha sa naam pucha ......

Baba ji - Karma naam toh inka pahele hi rakha jaa chuka hai ...ABHINAV ....tum aur Neeru bade bhagyshali ho jo inke mata pita hone ka awsar tumhe prapt hua .....

Abhi ka naam karan hua ....Karma aur Neeru bade lagan ayr pyar se Abhi ka laalan paalan karne lage ....Aur Baba ji bhi bich bich mein Abhi k paas aaya karte the ......
Samay vyatit hone laga ....jaise jaise Bahi bada hone laga ....usse apne sapne mein Arsalan aur Dhara dikhayi dene lage ......sapne se jagne par woh unko apne aaspaas khojne lagta .....usse aise lagta k jinko woh sapne mein dekhta hai unse uska koi gahra naata hai .......

5 varsh ki awastha tak pahunchte pahunchte Abhi ka mastishk bahut vikasit ho gaya tha .....woh Kabile k baaki baccho se bilkul alag tha .....uska jyadatar samay ab Baba ji k paas gujarne laga ....

Baba ji ne Abhi ki shaktiya jarit karne k liye ab dhyan karna sikhana shuru kiya ....Aur Abhi bhi bahut jald hi gahan dhyan mein utarne laga ....

Ek din aise hi Abhi baba ji ki kutiya k bahar dhyan mein baitha tha .......k tabhi ek bahut bada toofan aaya ..hawayein jor jor se chalne lagi .......Kabile ki ghas phus ki bani hui kutiya ..uss toofan mein tinke ki tarah udne lagi ....
log apne prano ki raksha k liye yaha waha bhag rahe the ......Karma aur kabile k adhiktam purush apne pariwar k bhojan ki vyastha karne van mein gaye hue the ....
Neeru ko Abhi ka khayal aaya aur woh ...iss tufan mein Abhi ko dhundte hue Baba ji ki kutiya ki taraf chal padi ...usse pata tha k Abhi iss samay waha hi hoga ..

toofan mein chal rahi dhool bahari aandhi k kaaran usse aage dekhna mushkil ho raha tha .....abhi woh kutiya tak pahunch hi paati k ...wahi laga hua ek bada sa ped ukadkar Neeru par girne wala tha .....Ped ko apne upar girte dekh Neeru ghabrakar ladkhada gayi aur niche gir gayi ..
tabhi usne dekha k woh ped hawa mein ruk gaya hai ......uski nazar paas mein khade Abhi par padi jiske sharir ek prakash se chamak raha tha ...aur usne apna haath ....ped ki disha mein utha rakha tha ....

Abhi ne apne haath ko ek zhatka diya ..aur woh ped dur jaakar gira ......Neeru bade ascharya se apne nanhe se bacche ka karnama dekh rahi thi ....Abhi aage badkar kar Neeru k paas aaya ...

Abhi - maa aap thik toh ho na ....aapko koi chot toh nahi lagi ......

Neeru abhi bhi jamin par padi hui Abhi ko dekh rahi thi .....Abhi ne uska haath pakadkar usse uthane ki koshish ki...tab usse hosh aaya ....aur usne Abhi ko apne seene se laga liya ...

Neeru - mera baccha ....tu ..thik toh hai ...na ....tuzhe kuch hua toh nahi ....aur yeh sab kya tha ...kaise kiya tune .....

Abhi - Haa maa dekho mein bilkul thik hu ....muzhe kuch nahi hua ....

Neeru Abhi ko lekar khadi hogayi ....Tej hawayein abhi bhi chal rahi thi ..Abhi ne ab aakash ki aur apne ek haat uthaya ....aur upar ki or dekhne laga aur dekhte hi dekhte toofan ruk gaya ......

lekin tab tak toofan kabile ko tahas nahas kar chuka tha ......unke ghas phus k makan tinko ki tarah ud chuke the .....

Tabhi baba ji bhi Abhi k paas aaye aur uske sir par haath pherte hue .....toh Rakshak ne Vaayushakti ko sidh kar luya hai .....bahut acche

Neeru - parantu Baba ji yeh sab issne kiya kaise ...issmein yeh shaktiya kaha se aayi .....

Baba ji - abhi inn sab baaton ka samay nahi hai beti ...tum sab logo ko ek jagah ekatrit karo ......iss tufan ne sab logo ka sab kuch ujaad diya hai ...

Tab tak Karma aur kabile k baaki purush bhi aagye ....the ...ayr apne kabile ki aisi haalat dekhkar bahut dukhi hue .....

Karma ne sabko sangathit hokar ...iss kabile ko phir se banane ki yojna banae lage .....
Abhi sabki baat sun raha tha .....jab usne suna k sabhi phir wahi ghas phus ki kutiya banane ki soch rahe hai......toh woh Karma k paas gaya ....

Abhi - pitashri mein kuch kahna chahta hu ....

Karma - kya baat hai beta ....

Abhi - Pitashri aap sab phir se ghas pus se apne ghar banane ki soch rahe ho ......amine dekha hai k har saal aise hi toofan yaha aata hai aur sab kuch nasht ho jaata hai ....aise kab tak chalta rahega ....hume aise makan banane chaiye jo toofan mein bhi atal rahe ......hume baar baar unhe banane ki jarurat na pade ....

Karma - Arre wah mera beta itni si umar mein kitna samzdar ho gaya hai ......tum bilkul thik kah rahe ho beta ...lekin hum ka bhi kya sakte hai .....humare paas ghass aur ladki k alawa hai hi kya .

Abhi - Hai pitashri ...Mitti ...hum patter tukdo aur mitti se majbhut ghar bana sakte hai ....jo toofan mein bhi khade rahenge ....

Phir Abhi ne samzhaya k kis prakar woh patther aur mitti se ghar bana sakte hai .......Abhi ki samazhdari aur gyan dekhkar sab ascharyachakit ho gaye ...aur ussi k anusar Sabne milkar ghar banaye .....ab woh kabila ek gaon mein badal chuka tha ......

Abhi ko sabhi gaon wale dev putra manane lage .....Babaji ne Ab abhi ko Apne sharir k 5 kosh ...Par dhyan lagana sikhana shuru kiya ....jo 5 tatvo se bane hue hai ....

1 - Annamay kosh - prithvi tatva ...
2 - pranmay kosh - Vayu tatva
3 - Manomay kosh - Jal tatva
4 - Vigyanmay kosh - Agni tatva
5 - Aanandmay kosh - Aakash tatva ....

Aise hi niranter sadhnaye karte hue Abhi bada hone laga ....Apne gyan k dwara usne waha ab anaj ...fal ...sabjiya ...inn sab ki kheti ...waha k logo ko sikhayi ....

usne apne gyan aur vigyan se kai shastro ka nirman kiya ...jaise Dhanush ban ...talwar ...
Abhi ne kai prakar k dhatuo ka prayog logo ko sikhana shuru kiya ......djere dhere ab woh gaon nagar ka roop lene laga ......

lekin jab bhi kisi ki pragati hoti hai toh usko haasil karne k liye uske shatruo ki sankhya bhi bad jaati hai ....kuch aise bhi kabile the jo unki Abhi k gaon ki taraki se kuch sikhne k bajaye ...uspar apna adhikar karna chahte the ......

aur uske liye yojna bhi banane lage ....

Abhi ab 16 saal ka ho gaya tha ..aur inn saalo mein woh bahut si shaktiyo ko jagrit kar chuka tha jo aage pata chalega ..... Arsalan aur Dhara kai baar usse apne sapne mein dikhne lage .....jaise woh Abhi ko pukar rahe ho ...k mere baache ...hume yaha se nikalo ...

Bahur prayatna karne par bhi woh pata nahi laga paa raha tha k yeh kaun hai .....aur unse uska kya sambandh hai ...usne kai baar Baba ji se pucha ..toh woh bhi yahi kahkar taal dete the ...k...beta uchit samay aane par tumhe sab pata chal jaayega ....pratiksha karo ...

Abhi k liye itna hi .....

Agla update kal .....
Excellent update
 
  • Like
Reactions: jaggi57

Anv

New Member
7
6
1
Update - 10

Abhi Veeru aur Sham dono ko Babaji k paas lekar gaya .....aur unhe unke baare mein sab kuch bataya ....

Babaji - hmmm ..toh tum dono aashray paane aaye ho ......parantu yaha tumhe uske badle mein kaam bhi karna hoga ......aur yaha k niyamo ka sakhti se paalan bhi karna hoga ......

Viru - ji , aap jo bhi kahoge hum sab karne k liye tayar hai ......hum aapko shikayat ka awsar nahi denge ......

Abhi - gurudev muxhe aapse aur bhi kisi sandharbh mein baat karni hai ..

Babaji - Abhi tum pahle inhe aashram k bagiche ka kaam saunp do aur sab kaam samzha do ......aur haa uske baad muzhse aakar milna .......

Abhi waha se Viru aur sham ko aashram k bagiche mein lejaakar waha ka kaam samzhata hai ....aur wapas Babaji ki kutiya pahunch jaata hai ...

Babaji - kaho putra kya kahna chahte ho .....

Abhi - guruji kal jo ghatnae hue ...woh koi samany nahi thi ......muzhe aisa aabhas ho raha hai k koi toh hai jo jadui shaktiyo ka swami hai ......mere mitro ka achanak aapas mein ladna ...phir tadapna .....aur asadharan roop se bade woh 4 pahelwan ...phir unke shav gayab ho jaana .....


Sab Kuchh asadharan hi aur Mujhe Aisa Lagta Hai ke aap Iske bare mein jante ho

Babaji - Putra kai baar aisa hota hai Ke Jo Hamien Dikhta Hai vah Satya Nahin Hota Hai Ham Kuchh Logon ke Bahari aawaran Ko Dekhkar Uske asali Roop ko Nahin pahchan paate aur Dhokhe ka Shikar Ho Jaate Hain isiliye Putra is Samay main tumse ek hi baat kahta Hun Ki Hamesha satak Rahana....aur apni bhavnao ko vash mein rakhna


Babaji ki batien sun kar Abhi vahan se nikal jata hai aur apne mitron ke sath Astro ka Abhyas karne mein lag jata hai

Yahan Veeru Aur Shyam aashram ki Vatika mein apne kaam mein lag Jaate Hain lekin Unka Dhyan Hamesha abhi par bana rahta tha

aise hi 5 Din beet Gaye inn Dinon mein Veeru Aur Shyam ko Abhi ki kamjor kadi Ka Pata Lagane ka prayatna kar rahe the aur unhen ismein safalta bhi Mili

unhien pata chal chuka tha ke Abhi Apne Sapne ko Lekar bahut pareshan hai sapne mein dekhne wale Stri aur Purush ko Lekar Uske man mein Kai Sawal uthte Hain

Jinke Uttar pane ke liye vah Hamesha vyakul rahata hai

Veeru ke roop mein Vikat tha aur sham k roop mein tha Zumba

donon Ne abhi ki issi kamjori ka fayda uthane ka vichar Kiya aur apni ISSI Yojana ko Safal banane ke liye donon abhi se mile

Viru - mitra aapane Hamari Itni sahayata ki is Karan Ham bhi aapke liye Kuchh karna chahte hain

Abhi - Maine Koi Vishesh Karya nahin kiya bus Apna Kartavya hi nibhaya hai aap nishchint Raho Aap meri kis prakar aur kiss prayojan mein sahayta karna chahte hai

Viru - yah to aapki acchayi hai Mitra parantu yadi sahayata aapke Sapnon se sambandhit hai ..jiske kaaran aapka mann ashant rahta hai..

Abhi - Tum is bare mein kaise jaante ho ... Kaun Ho Tum

Viru - Mitra Hamare purvaj ojjha ka kam Karte The jis Karan unke kuch gun mujhe bhi prapt ho gaye hain
Abhi - hmm to Kaho to is sandrbh mein Meri Kya sahayata kar sakte ho

Viru - Mitra Meri Vidya batati hai ke Tumhare Sapne Mein Ek Stri aur Purush ka Joda Aata Hai aur Tumhen apni sahayata ke liye Pukarta hai


Abhi ne Jab yah suna toh usse Bada Aascharya hua

Abhi - Tumne Satya Kaha Mitra mujhe aisa lagta hai ke Unse Mera Koi Gehra sambandh Hai main Chaha Kar Bhi Kuchh Nahin kar pa raha hun

Viru - Tumhari Bhavnaye Satya hai Mitra unn donon Se Tumhara Janm Ka Nata Hai main Tumhen Unse milva sakta hun parantu kya tune Mujh per Vishwas hai

Abhi - kya tum Satya kah rahe ho Mitra Tum sach mein Mujhe Unse Mila sakte ho parantu vah kahan hai kya Tumhen iss baare mein pata hai

Viru - Tumhen iske liye Hamare Gaon Chalna hoga vahan Hamare kuldevta sakshat rup mein Viraj te hai vahin se Hamien unn Tak pahunchne ka Marg milega yadi Tumhen Vishwas Ho to kal subah hi yahan se Hamein Chalna hoga

Abhi - Mujhe iske liye Kuchh Samay chahie Mitra iska Uttar main Tumhen kal pratah hi dunga

Raat bhar Abhi inhi vicharo mein tha ...usne Viru k saath jaane ka nischay kar liya ......usse babaji k baat yaad aayi unhone kaha tha k samay aagay hai usse uske sab prashno k uttar milne ka ...
.pratha apne nithya karm se nivrut hokar usne apne mata pita ka aashirwad liya ....aue Aashram ki or nikal pada ....

Aashram pahunchkar woh Babaji se mila aur unhe sab kuch bata diya ......

Babaji - (rahsyamayi muskan k saath ) thik hai putra parantu meri baaton par dhyan dena ....

Abhi - ji gurudev ....aur Babaji ka aashirwad lekar ...Viru k paas pahuncha aur usse apna nirnay sunaya ....

Viru k roop mein Vikat apni yojna ko safal hote hue dekhkar bada prasna hua ...aur sham ko lekar Abhi k saath gurukul k bahar nikal gaya

Chalte chalte teeno Nagar k bahar pahunch gaye ....teeno bade hi khush the ...

Vikat isiliye khush tha k Abhi uski chal mein fas chuka tha ...

Zumba isilye khush tha k uska shatru mrityu k mukh mein jaa raha tha ...

aur Abhi isiliye prasnna tha k aaj usse uske prashno ka uttar milne wala tha ...aise uska vichar tha .....

Aashram mein pravesh karne k liye aur Babji se apne vastavik roop ko chupane k liye Vikat ne ek sarover mein apni kaali shaktiya chupa rakhi thi .....

Vikat aage aur uske piche Abhi aur zumba chal rahe the .....Chalte chalte teeno ek sarover k nikat pahunche ......

Vikat ne dono ko sarover k bahar ki pratiksha karne ka kahkar swayam sarover mein uttar gaya ..Sarover mein utarte hi usse uski kaali shaktiya wapas prapt ho gayi thi .....


abhi ki Pariksha lene ke Karan Abhi wicket ek baat Jaan chuka tha ke Koi Jaadui Raksha Kavach abhi ki Raksha kar raha hai use Kisi bhi Prakar apni Yojana Mein Safal hone ke liye use Raksha Kavach ko bhedna hoga

Vikat Sarovar ke bahar aa chuka tha Abhi ne bhi Sarovar Mein snan karne ki ichcha pragat ki parantu vikat Ne use mana kar diya ke Sarovar Ka jal theek Nahin Hai

Vikat ab abhi aur Zumba ko lekar aage badh gaya ...Abhi ko Vikat ka vayavhar kuch khatak ne laga k kyu usne usse sarover mein jaane se mana kiya tha ...

toh Abhi ne laghushakna ka bahana banaya ...aur chupke se sarover k nikat pahuncha ....toh usne dekha k sarover k jal k uppar mari hui machliya tair rahi hai ....

Abhi vichar karne laga k aise yaha kya hua k sarover ki saari machliya mar gayi ....kuch sochte hue woh phir vikat k paas pahuncha Aur uske picche picche chal diya ..

thodi der chalne baad woh teeno ek phalo se bhare hue ped k saamne ruk gaye ...

Abhi - kya hua mitra tum ruk kyu gaye ....

Viru - Bahut det se chalne k kaaran muzhe bhook aur pyas lagi hai .....isiliye iss vriksh ko dekhkar muzhse raha nahi gaya .....
kya tum mere liye phal toh doge ....tum sham jabtak Abhi humahre liye phal todta hai tum tab tak jal ka prabandh karo...

Sham - Muzhe toh bahut bhook lagi hai mein tod dete hu phal aur saath mein kha bhi lunga ...

Viru - jitna kaha hai utna hi karo ......hume bahut dur jaana hai ....

Abhi - (muskurate hue ) arre toh issmein kya hai mein jal ka prabandh yadi kar deta hu tum phal todo.....Aur Abhi ne apne jal tatva k prayog se waha swach jal pragat kar diya ....

isse pahele k Vikat Zumba ko rokta fal todne k liye aage badha aur Vikat kewal aawaj dekar rah gaya .....aur zumba ped k niche pahunch gaya .....

ped k niche pahunchte hi maani usse dharti nigal gayi hai .....woh kamar tak dharti mein gad vhuka tha .......

Zumba - bachao muzhe ....nikalao yaha se ...yeh dharti muzhe nigal rahi hai ....shighra karo mitra .....Vikat ....

Abhi - Kya kaha sham ...yeh Vikat kaun hai ......

Zumba - Vikat nahi Viru kaha maine ....shighra karo mitra ...bachalo muzhe .....

Abhi - kam se kam marte hue toh satya bolo Zumba .....maine tumhe pahele hi sawdhan kiya tha k ab dubara yadi mere saamne aaye toh woh tumharae jeevan ka aakhri samay hoga ...
kahir muzhe tumhe maarne k aawashakta nahi padi ...tum swayam hi mrityu k mukh mein pravesh kar chuke ho .....aur tum viru main jaanta hu tumahare asli swaroop ko isiliye ab apne roop ko chupane ki aawshyakta nahi .....

Abhi ki Baatein sunkar Vikat jaan gaya k Abhi unki satyata jaan chuka hai ...isiliye woh apne vastavik roop mein aagaya ....

Abhi - hmm yeh hui na baat ....kya kah rahe the tum meri sahayata karoge ...pahele apni toh sahayata karo .....aur ek jordar mukka uske jabde par de maara ...jisase Vikat picche ki or gir pada ...

Zumba garden tak mitti mein dab chuka tha .....woh pal pal apni or aarahi mrityu ko dekh raha tha ......Jaise hi Zoomba gardan tak jamin mein gad gaya .....tabhi ped k upar se ek shool uske sir mein aakar dhas gaya ...jisase uske sir k do faad hogaye usse toh chikhne ka bhi awasar nahi mila aur woh wahi samapt ho gaya ......

Vikat ne yeh jaal Abhi k liye banaya tha .....Parantu Zumba issmein fas gaya tha .....

Abhi k liye itna hi ....

Agla update jald hi ....
Thakur vikat toh gayo
 
  • Like
Reactions: jaggi57

RAAZ

Well-Known Member
2,837
7,178
158
Update - 4

Darmen k pranghatak vaar se Arsalan apne aapko aur Dhara ko rakh mein badalte hue dekhta hai ......

Yeh sab dekhkar uska krodh badh gaya tha ....woh Darmen ko samapth kar dena chahta tha , usne apni maarak shakti ka aawahan kiya lekon sab vyarth ....tab usse dhyan aaya apne kaksh mein rakhe unn upaharo ka ...jinhone uski shakti soakh li thi ....

Woh wapas time machine ki taraf jane k liye muda hi tha k usne Nebru ko apni or ghurta paaya, woh kuch bolta uske pahele hi Nebru ne Arsalan ko aankhon se hi yaha se turant nikalne ka ishara kiya ....aut hat gaya..

Arsalan turant waha se nikalkar time machine ko lekar apne samay mein wapas aaya ....... Woh samaz gaya tha k ab Darmen ki shaktiyo ka saamna woh nahi kar sakta tha, yadi woh apne samarthako k saath sidhe sidhe yudh bhi chid deta hai toh Darmen ki sena ka woh jayada der saamna nahi kar sakte ,

Usse pata tha sidhe yudh mein uske hi praja ka naash hoga .....jo Arsalan nahi hone dena chahta tha .....iska ab ek hi raasta tha ...uska woh Astra jispar abhi woh kaam kar raha tha ......usse Dhara aur uske garb mein pal rahe bacche ko bhi surakshit rakhna tha

Darmen ko rokne k liye usse apne super weapon ko activate karna bahut jauri tha .......aur iske liye usse bahit si urja ki jarurat thi......Aur time machine ki bhi powaer badani thi ......

Arsalan ne Dhara ko aur Time machine aur Super weapon ko gupt raste se lekar apne secret space station mein space ship tak pahunchaya .......
aur apne kaksha mein Apni aur Dhara ki Holografic image chod di jisse bina chue yeh pata lagana mushkil tha k yeh asli hai ya nakli......
aur saath hi usne in images mein future ki dekhi hui ghatna bhi feed kar di ......
woh abhi kaksh se nikalne hi wala tha k uski nazar Zecro aadi 6 putro k diye hue upahar par padi .
Jo uski maarak urja ki shakti apne bhiter soakh chuke the .....

Arsalan ne unn upaharo dwara sokhi hui urja ko Wapas dharan karne ka prayatna kiya ....parantu woh nahi kar paaya ......toh usne uss saari urja ko apne Weapon mein transfer kara diya ...aur unn upaharo ko wapas wahi rakh diya ......

Nebru k dwara fiya hua Raksha mani usne rakh liya tha ...kyu ko usse uss par vishwas tha ...

Saari sthiti ka jayja lene k baad nikal pada apni manzil ki or .......Arsalan ne yeh safar Galaxy to galaxy unke center mein sthit black hole dwara kiya .......aur Pahunch gaya Andromida galaxy k uss bhag mein jaha ....usse bahut adhik maatra mein ....Cosmic energy aur Time particles dono prapt ho gaye .......

Arsalan akele hi apne dono project poore karne mein jut gaya .....Dhara kisi bhi samay bacvhe ko janm dene ki sthiti mein thi .....isiliye woh chahkar bhi Arsalan ki koi madat nahi kar paa rahi thi ...

Dhara ki pida kam karne k liye Arsalan ne Usse Nibhru dwara diya gaya mani dharan karwaya tha ......jiske kaarn Dhara ko iss samay bhi pida nahi ho rahi thi ......

yaha Arin grah par sab kuch waisa hi ho raha tha jaise Arsalan ne future mein jaakar dekha tha ...Bas fark itna hi tha k ab waha Arslan aur Dhara ki jagah unki image thi .....

Darmen ne jab apna pranghatak vaar kiya toh usase unpar koi prabhav nahi hota dekh woh samaz gaya ki yeh asli nahi hai ....balki most advance holografic image hai ......

Darmen ne poore Mahal mein dono ki khoj ki lekin woh unhe kahi nahi mile.....Apni yojna vyarth hone k karan uska krodh badh gaya ......Lekon krodh se kuch honewala nahi tha .....usse Arslan ki santan ko janam lene se rokna tha ....isiliye usne pahele apne dimag ko shant kiya ....aur apni Sadhna kaksha mein pahunch gaya ...aur dhyan mein baithkar Eblis ko sampark kiya ....

Eblis se usse Arsalan ki stithi ka pata chala .....aur yeh bhi pata chala k Dhara k garbh se shighra hi Rakshak janm lene wala hai .......

Darmen ko aur der karna uchit nahi laga ....Woh bhi ek Space ship mein Sawar hokar nikal pada Arsalan ki taraf .....

Darmen ko Arsalan tak pahunchne mein 5 din lage inn 5 dino mein Dhara ne Ek sunder aur tejomay shishu ko janam diya ......Arsalan aur Dhara dono apne uss navjaat shishu ko dekhkar bahut prasanna hue ......dono ki aankhon mein khushi k aansoo aagaye ...k ..inn viparit paristhiti mein janm lene k baad bhi unka putra ...surakshit aur swastha hai
don se usse khub pyar kiya .....

Arsalan aur Dhara dono apne navjaat ka naam rakhna chahte the ......k dono k hridaye mein ek hi naam pragat hua ...ABHINAV...

Dhara ne Nebhru dwara diya hua suraksha kawach ab apne navjaat shishu Abhi ko pehna diya ....jisase is vikat paristhiti mein uski raksha ho sake ......

Arsalan lagbhag Apne dono project poora kar chuka tha .....Weapon ko usne Cosmic urja , apni maarak urja aur Dhara ki srijanatmak urja se Active ka diya tha ....... ...aur Time machine k liye usne itne time particles ekatrit kar liye the .....jinke jariye uski machine infinate time cross karke kissi bhi samay mein aa jaa sakti thi .....

Abhi bas machine ko high energy ki jarurat thi....

Abhi woh kuch aur karta k uske ship par high alert ka alarm bajne laga ....usne screen par dekha k ek bahut bada meteorite jo kissi planet se bhi bada tha ...full speed se unke Ship se takrane wala hai .....
Arsalan turant Dhara aur apne bacche ko lekar Time machine mein chala jaata hai ...jaise hi machine activate karta hai tab tak woh Meteorite uski Ship se takra chuka tha ......

Force itna tha k woh ship aur Meteorite paas hi milky way galaxy mein kissi bahut bade star se takra gaye ......Jisase ek bahut bada dhamaka hua ....aur uss star aur Arsalan k ship aur time machine k parkhacche ud gaye ......

Yeh sab nazara Dekh rahe Darmen k chehre par ek kamini si muskan aagayi aur woh wapas Arin grah nikal gaya .......

Dhamake se Uss star k kai tukde ho gaye ...jo uski gravitational force k kaaran ek sabse bade main tukde k charo taraf ghumne lage ....aur nirman hua hamare solar system aur ..humari prithvi ka ......

is Dhamake ko aaj bhi big bang k naam se jaana jaata hai ....

Jis samay Dhamaka hua tha ....aur Ship aur Time machine k parkhacche udd gaye the .....Arslan aur Dhara ka sthool sharir nasht ho gaya tha ...parantu ..Unki mrityu nahi hui thi woh Time machine k time particles k kaaran kissi anjan aayam bhi kaid ho gaye the ....

Aur Chotta Abhi ..Nebhru k suraksha kawach k kaarn surakshit tha .....Dhamake k kaaran uski saari urja kuch samay k liye jaag gayi thi ....jiske kaaran .....Saare time particles uske sharir mein sama gaye the ......jiske kaaran uss navjat shishu mein samay yatra ki shakti samahit ho gayi ......

uss Dhamake k kaaran Arsalan ka Weapon bhi kahi brahmand mein kho gaya tha....

Parashakti ki iccha se aur samay yatra ki shakti k kaaran woh nanha sa baalak pahunch gaya Prithvi par jab Stone age apni samapti par tha ..... ..

Pritvi par abhi kahi kahi manav sabhyata ka vikas hone laga tha ......Patther k bane hue saaman aur yatiyaro k saath saath ab dhatuo ka bhi prayog hone laga tha .....Manav samaj an alag alag samuday mein batne laga tha ......jiske kaaran ab bahut se kabilo ka aur chote mote kasbo ka gathan ho gaya tha .....

Manav ab samaj k saath rahna sikh gaya tha ......

Ussi kaal mein prithvi par ...ek nadi kinare ghane van mein kuch log apne aahar aur janvaro ki khal k liye kisi acche shikar ki talaash mein ghum rahe the .....

Unka mukhiya jisse hum karma k naam se pukarenge ......

Karma sabse aage haath mein ek bhala lekar badi sawdhani se aage bad raha tha ......Shokar dhundte hue unhe bahut samay ho gaya tha ....bhook aur pyas k kaaran unka haal bura tha ......lekin ab tak unke haath kuch nahi laga tha .......pyas k kaaran Karma apne saathiyo ko lekar .woh nadi k kinare aagaya ...sabne ..Nadi k sheetal jal se apni pyas bujhayi aur thodi der wahi vishram karne ka socha .....

Abhi woh baithe hi the k unhe piche Zhadiyo mein kissi janwar k hone ka ahsas ho gaya ......Karme ne apna bhala sambhala aur uss disha ki or badha ....k tabhi usse ek sher k gurane ki aawaj aayi ...woh Samaz gaya k zhadiyo mein jarur koi sher hai ......

Usne socha k chalo yeh bhi accha hai k aaj bade dino k baad kissi sher ka shikar karne ka mauka mila hai ......

Karma bilkul dhire dhire bina aawaj kiye ...zhadiyo k nikat gaya aur ander zhankne laga ......
usne Dekha ek nanha sa baccha jamin par pada hua sher ki taraf dekhkar muskura raha hai ....
Aur sher bhi uske saamne khada hokar utsukta vash toh pahele usse dekhte rahta hai ....
phir ek dahad maarkar dum se zhappatta marta hai ....

Iske pahle k Woh sher uss baalak ko kuch nuksan pahunchaye Karma ka bhala uss sher ko dher kar chuka tha ....

Sher k girte hi Karma aur uske saathi Zhadiyo se bahar nikale ......

Karma ne apne saatiyo ko apne shikar ko saath le chalne ka aadesh diya aur khud uss baalak ko uthaya......
uss nanhe se farishte k sunder aur maasuum chehre ko dekhkar Karma maano kho sa gaya .....
uski aankhon mein dekhne se Karma ko ek alag si shanti ka anubhav hone laga .....woh balak Karma ko ek tak dekh raha tha.....

Karma ne us k maathe par chuma ...aur uske chehre ko apne haath se sahlaya .....toh uss Baalak ne apne nanhe se haatho se Karma ki ungli pakad li ......Jaise woh karma se kah raha ho k muzhe bhi apne saath le chalo ...

Karma ko bhi koi santan nahi thi ......toh woh uss baalak ko apne kabile le aaya ....aur sabke saamne usse apna putra ghoshit karke usse apni patni k godi mein diya ......

nanhe mehman k aane ki khushi k kaaran aaj unke kabile mein khub jasan hua ....

Abhi k liye itna hi .....

Agla update jald hi ....
Aaj aapki yah story dekhi aur shuruwat se lag raha hai yah bhi apne first part ki tarah dhasu hogi aur shayad yah first part ka prequel hai aur isme humay Abhi 1st ki utpatti ka raaz pata chalega shayad. Dekhtey hai. Agar yah prequel hai 1st part ka to phir 1st part ka ek sequel bhi banta hai.
 

RAAZ

Well-Known Member
2,837
7,178
158
Update - 5

Karma Abhi ko apne putra roop mein paakar bahut khush hua ....usne apni patni Neeru k haatho mein jab uss nanhe se farishte ko saunpa toh Neeru ko jaise saari duniya ki khushi mil gayi.....

Usne uss nanhe se baalak ko apne hriday se lagaya ....aur uska mukh chumne lagi .....mamta ki adhikta k kaaran uski aankhon se ashru bah nikle .......

Nanha Abhi ko bhi apni nayi mata ki goad mein aakar ek sukoon sa mila ...aur mamta bhatre sparsh ....se usko nind aagayi aur woh apni maa ki goad mein so gaya .....

Kabile mein jashan shuru ho gaya ......waha ka jashan bhi kaisa .....shikar kiye hue janwaro ka maas , kuch jungli fal aur kand..mool .....aur shahd se bana hua sharbat .......

Kuch der sone k baad nanhe Abhi ko sapne mein wahi dhamaka nazar aata hai .....aur apne asli mata pita Arsalan aur dhara ka chehra dikhta hai ....jisase uski nind khul jaati hai ...au woh rone lagta hai .......

Neeru apne bacche ka rona dekhkar tadap uthati hai ....woh usse chup karane ki bahut koshish karti hai ....lekin woh hai k chup hone ka naam hi nahi le raha tha ......Uska rona dekhkar Neeru ki bhi aankhon mein aansoo aajaate hai ...

Karma bhi Neeru k saath bacche ko chup karane ka prayatna karta hai ......k tabhi usse yaad aata hai k hosakta hai k isse bhuk lagi hogi ......toh woh Neeru ko bata deta hai ..

Neeru bhi pareshan ho jaati hai kyu ki ab tak woh nisantan thi ....uske stano mein dudh nahi tha jisase woh apne bacche ka pet bhar sake ....

Uski aankhon mein aansoo aajate hai .....k kaisi abhagi maa hai jo apne bacche ko dudh bhi nahi pila sakti .....aur woh apne bacche ko hriday se laga leti hai .....

mamta ki adhikta k kaaran uss nanhe baalak k sparh se uske stano mein dudh utar aata hai ....Neeru ko apne stano mein kuch sarsarhat mehsus hoti hai ...dudh ki kuch bunde uske stano se chalak uthati hai .....jisase woh samaz jaati hai .....k ishwar ne uski pukar sun li ...aur woh apne nanhe se bacche ko dudh pilne lagti hai ....jisase uska rona ryk jaata hai aur woh so jaata hai ....

Yahi hai mamta ki shakti ....jo asambhav ko bhi sambhav bana de .......

Karma - Neeru humne toh apne bacche ka naam hi nahi rakha ...hum usse kya kah kar bulayenge ....

Neeru - mein bhi yahi soch rahi hu .....lekin kuch samaz nahi aaraha ...

Karma - koi baat nahi hum kal ....apne Baba ji k paas chalenge woh hi hume batayenge...

Karma k kabile mein ek din ek aisi bimari aayi k waha k bacche uss bimari ka shikar hone lage ....woh log jitni jadi butiya jaante the .....unn sabka prayog karne par bhi uss bimari ka koi ilaj nazar nahi aaraha tha ...aur bacche tezi se marne lage the ....tabhi ek vridh sa vyakti unke kabile mein aaya ....jiske sparsh maatra se .....sabhi bacche thik hone lage ......Karma ne unhe apne kabile mein hi rahne ka aagrah kiya...aur unke liye ek kutiya banayi .........

Sab unko Baba ji k naam se hi pukarte the ......Baba ji bahut kam hi apni kutiya se bahar aate the ..woh bina kuch khaye piye rahte the ...isilye unki shakti se prabhavit hokar dur dur tak k kabile k
log unhe ishwar ka hi roop maante the ....

Karma aur Neeru apne bacche ko subah Baba ji k paas band the ......jab woh waha pahunche toh kutiya ka dwar band tha ....jaise hi woh dwar tak pahunche kutya ka dwar apne aap khul gaya ...aur ek aawaj aayi .......andar aajao ......

aawaj sukar dono bache ko lekar ander chale gaye ... dono ne Babaji ko pranam kiya ...aur bacche ko unke charno mein rakhne lage ...k unhone unko rok diya aur bacche ko apni godi mein le liya .....

Baba ji - Karma inka sthan charno mein nahi ....hai ......Aaj mera itne dino ki pratiksha poorna hue ...aakhir aap aa hi gaye samay chakra ko paar karke ....yaha ...

karma ko babaji ki baatein samaj nahi aarahi thi ...usse yeh dekhkar ascharya ho raha tha ...k ..Baba ji toh unke bacche se aise baatein kar rahe hai jaise woh unhe pahele se hi jaante ho ....

Karma ne Baba ji ko saari baatein batayi ...aur apne bacche k liye koi accha sa naam pucha ......

Baba ji - Karma naam toh inka pahele hi rakha jaa chuka hai ...ABHINAV ....tum aur Neeru bade bhagyshali ho jo inke mata pita hone ka awsar tumhe prapt hua .....

Abhi ka naam karan hua ....Karma aur Neeru bade lagan ayr pyar se Abhi ka laalan paalan karne lage ....Aur Baba ji bhi bich bich mein Abhi k paas aaya karte the ......
Samay vyatit hone laga ....jaise jaise Bahi bada hone laga ....usse apne sapne mein Arsalan aur Dhara dikhayi dene lage ......sapne se jagne par woh unko apne aaspaas khojne lagta .....usse aise lagta k jinko woh sapne mein dekhta hai unse uska koi gahra naata hai .......

5 varsh ki awastha tak pahunchte pahunchte Abhi ka mastishk bahut vikasit ho gaya tha .....woh Kabile k baaki baccho se bilkul alag tha .....uska jyadatar samay ab Baba ji k paas gujarne laga ....

Baba ji ne Abhi ki shaktiya jarit karne k liye ab dhyan karna sikhana shuru kiya ....Aur Abhi bhi bahut jald hi gahan dhyan mein utarne laga ....

Ek din aise hi Abhi baba ji ki kutiya k bahar dhyan mein baitha tha .......k tabhi ek bahut bada toofan aaya ..hawayein jor jor se chalne lagi .......Kabile ki ghas phus ki bani hui kutiya ..uss toofan mein tinke ki tarah udne lagi ....
log apne prano ki raksha k liye yaha waha bhag rahe the ......Karma aur kabile k adhiktam purush apne pariwar k bhojan ki vyastha karne van mein gaye hue the ....
Neeru ko Abhi ka khayal aaya aur woh ...iss tufan mein Abhi ko dhundte hue Baba ji ki kutiya ki taraf chal padi ...usse pata tha k Abhi iss samay waha hi hoga ..

toofan mein chal rahi dhool bahari aandhi k kaaran usse aage dekhna mushkil ho raha tha .....abhi woh kutiya tak pahunch hi paati k ...wahi laga hua ek bada sa ped ukadkar Neeru par girne wala tha .....Ped ko apne upar girte dekh Neeru ghabrakar ladkhada gayi aur niche gir gayi ..
tabhi usne dekha k woh ped hawa mein ruk gaya hai ......uski nazar paas mein khade Abhi par padi jiske sharir ek prakash se chamak raha tha ...aur usne apna haath ....ped ki disha mein utha rakha tha ....

Abhi ne apne haath ko ek zhatka diya ..aur woh ped dur jaakar gira ......Neeru bade ascharya se apne nanhe se bacche ka karnama dekh rahi thi ....Abhi aage badkar kar Neeru k paas aaya ...

Abhi - maa aap thik toh ho na ....aapko koi chot toh nahi lagi ......

Neeru abhi bhi jamin par padi hui Abhi ko dekh rahi thi .....Abhi ne uska haath pakadkar usse uthane ki koshish ki...tab usse hosh aaya ....aur usne Abhi ko apne seene se laga liya ...

Neeru - mera baccha ....tu ..thik toh hai ...na ....tuzhe kuch hua toh nahi ....aur yeh sab kya tha ...kaise kiya tune .....

Abhi - Haa maa dekho mein bilkul thik hu ....muzhe kuch nahi hua ....

Neeru Abhi ko lekar khadi hogayi ....Tej hawayein abhi bhi chal rahi thi ..Abhi ne ab aakash ki aur apne ek haat uthaya ....aur upar ki or dekhne laga aur dekhte hi dekhte toofan ruk gaya ......

lekin tab tak toofan kabile ko tahas nahas kar chuka tha ......unke ghas phus k makan tinko ki tarah ud chuke the .....

Tabhi baba ji bhi Abhi k paas aaye aur uske sir par haath pherte hue .....toh Rakshak ne Vaayushakti ko sidh kar luya hai .....bahut acche

Neeru - parantu Baba ji yeh sab issne kiya kaise ...issmein yeh shaktiya kaha se aayi .....

Baba ji - abhi inn sab baaton ka samay nahi hai beti ...tum sab logo ko ek jagah ekatrit karo ......iss tufan ne sab logo ka sab kuch ujaad diya hai ...

Tab tak Karma aur kabile k baaki purush bhi aagye ....the ...ayr apne kabile ki aisi haalat dekhkar bahut dukhi hue .....

Karma ne sabko sangathit hokar ...iss kabile ko phir se banane ki yojna banae lage .....
Abhi sabki baat sun raha tha .....jab usne suna k sabhi phir wahi ghas phus ki kutiya banane ki soch rahe hai......toh woh Karma k paas gaya ....

Abhi - pitashri mein kuch kahna chahta hu ....

Karma - kya baat hai beta ....

Abhi - Pitashri aap sab phir se ghas pus se apne ghar banane ki soch rahe ho ......amine dekha hai k har saal aise hi toofan yaha aata hai aur sab kuch nasht ho jaata hai ....aise kab tak chalta rahega ....hume aise makan banane chaiye jo toofan mein bhi atal rahe ......hume baar baar unhe banane ki jarurat na pade ....

Karma - Arre wah mera beta itni si umar mein kitna samzdar ho gaya hai ......tum bilkul thik kah rahe ho beta ...lekin hum ka bhi kya sakte hai .....humare paas ghass aur ladki k alawa hai hi kya .

Abhi - Hai pitashri ...Mitti ...hum patter tukdo aur mitti se majbhut ghar bana sakte hai ....jo toofan mein bhi khade rahenge ....

Phir Abhi ne samzhaya k kis prakar woh patther aur mitti se ghar bana sakte hai .......Abhi ki samazhdari aur gyan dekhkar sab ascharyachakit ho gaye ...aur ussi k anusar Sabne milkar ghar banaye .....ab woh kabila ek gaon mein badal chuka tha ......

Abhi ko sabhi gaon wale dev putra manane lage .....Babaji ne Ab abhi ko Apne sharir k 5 kosh ...Par dhyan lagana sikhana shuru kiya ....jo 5 tatvo se bane hue hai ....

1 - Annamay kosh - prithvi tatva ...
2 - pranmay kosh - Vayu tatva
3 - Manomay kosh - Jal tatva
4 - Vigyanmay kosh - Agni tatva
5 - Aanandmay kosh - Aakash tatva ....

Aise hi niranter sadhnaye karte hue Abhi bada hone laga ....Apne gyan k dwara usne waha ab anaj ...fal ...sabjiya ...inn sab ki kheti ...waha k logo ko sikhayi ....

usne apne gyan aur vigyan se kai shastro ka nirman kiya ...jaise Dhanush ban ...talwar ...
Abhi ne kai prakar k dhatuo ka prayog logo ko sikhana shuru kiya ......djere dhere ab woh gaon nagar ka roop lene laga ......

lekin jab bhi kisi ki pragati hoti hai toh usko haasil karne k liye uske shatruo ki sankhya bhi bad jaati hai ....kuch aise bhi kabile the jo unki Abhi k gaon ki taraki se kuch sikhne k bajaye ...uspar apna adhikar karna chahte the ......

aur uske liye yojna bhi banane lage ....

Abhi ab 16 saal ka ho gaya tha ..aur inn saalo mein woh bahut si shaktiyo ko jagrit kar chuka tha jo aage pata chalega ..... Arsalan aur Dhara kai baar usse apne sapne mein dikhne lage .....jaise woh Abhi ko pukar rahe ho ...k mere baache ...hume yaha se nikalo ...

Bahur prayatna karne par bhi woh pata nahi laga paa raha tha k yeh kaun hai .....aur unse uska kya sambandh hai ...usne kai baar Baba ji se pucha ..toh woh bhi yahi kahkar taal dete the ...k...beta uchit samay aane par tumhe sab pata chal jaayega ....pratiksha karo ...

Abhi k liye itna hi .....

Agla update kal .....
Abhi ke bachpan ke sath uski shakti ka jagrit hona aur sath sath Ganv ka bhi vikas ko dikhaya gaya hai. Maza aa gaya is update sey. Ab dekhtey hai ki kaun kaun se dushman kaun si tuch harkatey kar ke Abhi ko uske lakshaya ki taraf lekar jaatey hai.
 

Sushil@10

Active Member
1,828
1,993
143
Update - 1

Hamari Milky Way galaxy se bahut Dur Ek Galaxy hai Cygnus A .....Jiska mukhya Grah hai ARIN jisse yadi uss galaxy ka swarglok kaha jaaye toh galat na hoga .....

aur iss Grah ke GOD hai Maharaja Arsalan , Unki patni Dhara, aur unka bhai ..Daarmen...

Inn teeno ka hi janam brahmand mein faili hui Cosmic energy jiise hum bhagwan ..ishwar anek naamo se bulate hai uske dwara hua .....

Arslan mein thi nirman shakti, Dhara mein thi palan shakti, aur Daarmen mein thi Sanghar shakti......

Cygnus Galaxy mein sabse bade se taare ko teeno ne apni urja k dwara kai kai khando mein vibhakt kiya aur ek naye saur mandal ka nirman kiya ......jismien kul 7 planets the .........

Phir Arsalan ne Har planet ki Urja aur apni Urja ko milakar unn 6 planets mein jeevan ki shuruwat ki aur phir Dhara aur Arsalan ne Apni Urja milakar 6 Santano ki utpati ki jo janm lete hi bade ho gaye Unmein janm se hi alag alag powers thi .... Arsalan ne unn 6 putro ko Unn 6 grahon ka rajya saunpa ,

Uske baad Arsalan ne unn 6 graho k madhya ...sabse bade 7 ve grah par .....jeevan ki shuruwat ki .......

Darmen ko Arslan ne apna pradhan senapati niyukt kiya .....jisse unn sabhi saato grah ki suraksha aur nyay vyastha ka karya bhar saunpa gaya ......

Aur teeno ne vichar vimarsh karke apne uss grah ka naam ARIN ( Shanti, aanandmaya, majubut aur surya k saamn prakashwan ) rakha ...baaki 6 planets ko ussi shrinkhala mein A2, A3 A4, A5, A6, A7 rakha ......

aayeiye dekhte hai 6 planets aur 6 santano k naam

1 - Zhathura - Zecro -.aakashiyiya urja ko control kane ki shakti

2 - Neilstar - Neilaster - Aadhunik vigyan ki shaki

3 - Catalyst - Catospher - Mind controling power

4 - Gema - Glaco - Prakash aur agni ki shakti

5 - Fayon - Ferron - Bijli , baarish aur toofan ki shakti

6 - Necro - Nibhru - maya aur jaadui shakti

Arslan aur Dhara ek dusre se prem karte the ....aur dono ki urja se utpanna unki abhi 6 santane thi ....isiliye dono ne iswar ko sakshi maankar .....Vivah kar liya .......

Waha ki janta aur apne 6 putro ki iccha se Arsalan aur Dharan k Singhasan Virajman ho gaye.....

Arsalan aur Dharan ARIN k singhasan par baithkar prroi shakti aur tanmayta k saath apne 7 graho ki unnati mein lage hue the .......
aur iiss ka yeh fal hua k unka grah brahmand mein sabse unnat graho mein se jaana jaane laga

waha chotti moti space ship toh aam ho gayi thi jo waha k logo ko unke 7 graho ki sair karati thi ... ...
Darmen k bhay aur nyay se unn saato grah mein koi apradh nahi hota tha ....aur wha ki vyastha sucharu roop se chal rahi thi ........

Darmen ne Neilaster se milkar anek prakar k weapons ka aur ek vishal sena ka gathan kiya ....

Dusre galaxy k graho mein rah rahe unnat prajati k jeevo ne kai baar ...whw ki satta paane k liye aakraman kiya ....lekin Darmen ki sena aur yudh kaushal k aage koi bhi tik nahi paaye ......

Antariksh par khoj karte hue Arsalan aur Dhara ne ....Galaxy k black hole ko khoj liya the ...jo ...kissi aur aayam mein unhe le ja...sakta tha ....

Arsalan ne aise device ko banaya jo uss black hole ko control kar sake aur uske jariye woh apne manchahe sthan par pahunch sake ........

Arsalan aur Dhara k sundar shashan k kaaran waha ki janta unhe apne Bhagwan ka darja dene lagi ....

Arsalan aur dhara ab antariksha mein phaile hue Time particals ko ikatrit karke .....time travel ...par research kar rahe ...the....

Lekin koi tha jisse yeh sab bardasht nahi ho raha tha ......Woh Arslan aur Dhara ki barbaadi chahta tha ......

Darmen ki veerta sushasan aur immandari dekhkar Arsalan ne Rajya saara bhar Darmen ko saunp diya ...aur Darmen bhi Arsalan k naam se hi sucharu roop se shasan chala raha tha .......

Arsalan ka time travel machine ka prayog lagbhag poora ho gaya tha ........Lekin unki woh machine unhe kuch ghante hi samay k aage ya pichhe le jaa sakti thi ......

Machine k power ko badane k liye liye unhe bahut adhik maatra mein time particles aur urja ki jarurat thi ........Jisase unki machine unhe kisi bhi samay kaal mein le jaa sake ....


Arsalan aur Dhara ne ab tak jin 6 santano ko aur praja ko utpanna kiya tha .......woh sab urja se kiya tha ......ab tak unmein vasna ne janm nahi liya tha .........

Lekin abhi kuch dino se unka aakarshan ek dusre k sharir prati badne laga tha ..........aur issi k vashibhut hokar ...ek ...raat ko unka milan hua ....aur uss milan.....k kaaran ...Dhara ne grabh dharan kiya ....

unke iss milan se utpanna hui ek urja unke sthapit kiye hue 7 graho vyapt ho gayi ......aur uske prabhav se waha bhi prem milan vasna se hi naye jeevo ki utpatti hone lagi ......

Garbh dharan karne k kaaran ......Dhara mein kuch badlav aane lage ....uska tej pahle se aur badh gaya .....

Yeh sab unke liye bilkul naya anubhav tha .......unki 6 santane ka bhi kuch dino se aana jaana badh gaya tha .......

Arsalan ne notice kiya k sabka bahna toh apni maa ko dekhne ka aur aane wale nanhe mehman ki utsukta ka tha .....lekin unka intrest time machine ...k ..uske praoyog par jyada tha .........
issi dauran Arsalan ko Andromida galaxy k madhya mein sthit black hole k samip usse bahut adhik maatra mein time particles aur cosmic energy k baare mein pata chala jo uske prayog k liye jaruri thi ......woh ek aisi time machine banana chahta tha ......jo ...billions ...years ka bhi fasla tay kar sake ....aur iske liye usse atyadhik urja ..aur time particles ki jarurat thi ...

Yaha kuch dino se Arsalan aur Dhara ne mehsus kiya k unpar har pal nazar rakhi jaa rahi hai ......Jisase usse kuch toh shadyantra ka aabhas hua .....Lekin abhi uski pahli prathmikta ..Dhara aur uske pet mein pal rahi uski santan thi ......

Arsalan ek energy weapon par bhi kaam kar raha tha ......jismein vinash aur srijan dono shaktiya ho .....usse apne dono project time machine aur weapon fono k liye bahut adhik maatra mein urja ki awashyakta thi .....

woh ab apne dono project jald se poore karna chahta tha ...........

Ek din.....

Arslan Abhi dhara k saath baitha hua hi tha ......k ......Zecro waha apne baaki bhaiyo k saath aaya ......

Sabne Arslan aur Dhara ko pranam kiya .....

Arslan - Tum sab ek saath aaj yaha .....sab thik toh hai na .......kya baat hai .....

Zecro - Pitashri jab tak aapka saaya humare sir par hai humara kya ahit ho sakta hai ....woh toh Ab humara bhai jaldi hi aanewala hai ......hume bas issi baat ki utsukta hai ......issilye hum sab apne aapko rok nahi paaye ......aur kitne din intezar karna hoga .....aur Maa ki tabiyat ki bhi chinta ho rahi thi isiliye ......parantu lagta hai aapko humara yaha aana accha nahi laga .........

Dhara - kya aap bhi yeh sab humare bacche hai ...kya ...bina kaam k humse milne nahi aasakte .....
Arsalan - arre nahi ...aisi koi baat nahi ......bas sabko ek saath aise dekha toh puch liya .....Muzhe toh garv hai hamare baccho par .......

Neilaster - Waise pitashri aapka project kaha tak pahuncha ....yadi mere laayak koi sewa ho toh toh kahna ....muzhe badi khushi hogi aapke udeshya ko purna karne k liye sahayak banane mein .

Arsalan - Abhi bahut kaam baaki hai ....woh sab main dekh lunga .....tum batao tumahare grah par toh sab thik toh hai na ....

Catospher - Neil k taraf ghurte hue - Kya tum bhi hum yaha maa se milne aaye hai aur tum ye kya baatein lekar baith gaye ho ......
( Phir Dhara ki taraf dekhte hue ) Kaisi ho maa .... dekho mein aapke liye kya laaya hu aur ek locket dete hue ....

Dhara - bilkul thik hu mere bacche .....lekin yeh kya hai .......

Catospher - Maa yeh locket ek device hai ...jo aapko swastha rakhega ..aur ...aapko honewale dard ko yeh sokh lega ......isiliye maine Neilster ki madat se isse khas aapkw liye hi banaya hai .....

Dhara - Thanks .....beta ...jankar bahut khushi hui ...tumhe apni maa ka itna khayal hai ......Bhagwan kare k sab mein aise hi pyar bana rahe .......

Zecro , Ferron aur Glaco ne bhi apne saath laaye hue uphaar Dhara ko diye .......

Nebhru abhi apna uphar de hi raha tha k tabhi Darmen ki aawaj sunayi di .......

Darmen - ohho toh aap sab yaha ho .......tum sab k aane ki khabar muzh tak pahunch chuki thi .....toh socha chalo mein bhi mil lu.....waise kaise ho tum sab ...aur tumahare graho ki vyastha
sab thik chal rahi hai na ....

Darmen ki aawaj sunkar Nebhru ne apne gift wala box dhere se .....Dhara k takilya k niche chupa diya ....jisse Dhara ne dekh liya .......
Dhara ne uski aankhon mein dekha ......Toh Nebhru ne ishare se uss box ko baad mein kholne ka ishara kiya ......Dhara ko samaz nahi aaya k Nebhru aisa kyu kar raha hai ....

Darmen ab un tak pahucnh gaya tha ......Arsalan aur Dhara ko usne pranam kiya .....aur Zecro aur uske bhaiyo ne Darmen ko .....



Zecro - Hum sab thik hai kakashri ... Kafi samay ho gaya tha maa aur baba se mile hue ...
isiliye hum sab toh bas Aaj Maa Baba se milne aaye the .......

aur humara bhai bhi aanewala hai toh usski khusi bhi celebrate karne aaye the .....aur saath hi saath humne kuch upahar bhi Maa k liye tayar kiye the toh unhe bhi dene aaye the....


Darmen - Chalo aaccha hai aaj humara saara pariwar ek saath hai .......Bahut accha laga sabko ek saath dekhkar .......

Arsalan - Darmen muzhe tum se kuch jaruri baatein karni hai ....

Darmen - Dekho na Bhabhi sab pariwar saath hai aur inhe abhi bhi kaam hi suzh raha hai

mein bhi kuch samay apne bhatijo k saath gujarna chahta hu .....

Dhara - kya aap bhi thodi der k liye toh yeh kaam ki chinta apne mastishik se nikal do ......itna bhi kaam k picche pagal hona thik nahi .

Kuch der waha aisi hi kuch baatein hoti rahti hai ...Phir Darmen Zecro aur uske bhaiyo ko lekar waha se jaane lagta hai .

Phir kuch sochkar Arsalan ko bolta hai ....Bhai muzhe pahle inn sab se kuch kaam hai ....phir mein aapko aakar milta hu ....

itna kahkar woh Zecro aur baakiyo k saath chala jaata hai

Abhi k liye itna hi ....
Agla update kal....
Nice update
 
Top