Samar_Singh
Conspiracy Theorist
- 4,548
- 6,196
- 144
SAAJAN
JAYA
Baat 1970 ki hai
Main bahut chhoti thi jab mere pita ne meri shaadi mujhse dugni umar ke aadmi se karwa di
main jab bachchi thi toh woh aaya karte the
mere pati saajan
dikhne mein hi lambe chaude
gore chitte the
woh mere pita se milne aate the
hum Kolkata mein rehte the
us samay
mere aur mere pati ka gaon ek hi tha
main bachpan se hi bahut darpok thi
pata nahi kyun mujhe ladne jhagadne se bahut dar lagta tha
dheere dheere samay beet ta gaya
aur main badi hone lagi
aur jab hui
toh pitaji ne shaadi meri inse karwa di
mujhe pitaji se koi sikayat nahi thi
aur na hi mujhe apne saajan se koi shikayat thi
woh is Umar mein bhi
kisi hero se kam nahi lagte the
pata nahi unhone mujhse shaadi kyun ki thi
mera rang saanwla tha
woh ek dum gore chitte
mere pati raaj gharane se the
unke dada is jagah ke raja the
aur mere dada unke yahan kaam karte the
bachpan mein mere pita bhi unke ghar pe kaam karte the
lekin raaj paath khatam ho gaya tha
phir unke pita ne apne hisse ka sab kuchh daan kar diya gareebo mein
aur vrindavan chale gaye
izzat lekin waisi hi thi
shaadi ki pehli raat woh aaye
aur unhone mera ghughat uthake
mujhe bade se pyar se dekha
aur phir woh baat kahi
jise sunke mujhe bada dukh hua
kya mere andar itne bhi sanskar nahi the
ki main apni saas ki seva kar saku
Saajan
jaya main apni maa se bahut pyar karta hoon
unhone bahut dukh sahe hain
humesha unki izzat karna
kuchh bolein bhi toh chup karke sun Lena
yeh bolke unhone mere pair pakad liye
main ghabra gayi
main kuchh nahi boli
phir wohi hua jo hona tha
unhone mere ang ang ko todke rakh diya
subah jab main uthi
toh dekhi woh bistar pe nahi the
main bahar nikli
toh meri saas ne mere hath mein jhaadu pakda diya
main ghar mein jhaadu lagayi
phir bartan dhoyi
phir roti banayi
tab tak mere pati saajan aagaye
unhone mujhe dekha
Saajan
nahaya nahi tumne
main dar gayi
aur kuch nahi boli
Saajan
tumse hi puchh raha hoon
nahaya ki nahi
Jaya
jee nahi
saajan
kyun
meri aankho mein aansu aagaye
unhone mera hath pakda
aur mujhe kamre mein le gaye
aur gate lock kar diya
main ro padi
mujhe laga shayad ab woh mujhe maarenge
us samay yahi sab toh hota tha
patni daasi thi
aur pati maalik
har gaon ke har ghar ki yahi kahani thi
jara sa kuchh hua
patni pe hath utha diya
saas aur nanad milke bahu jeena haram kar deti thi
lekin mere hosh tab ude jab
unhone mujhe apni baaho mein bhar liya
Saajan
mujhse darti kyun ho tum
main koi sher thodi hoon
main kuchh nahi boli
phir main nahane chali gayi
aur jab wapas aayi
toh unhone mere liye alag kapde nikaal diye the
aur bed pe baithe hue the
main sharmane lagi
Saajan
aise kya sharma rahi ho
yeh waali saari pehno
mujhe bahut sharam aarahi thi
main unke saamne kapde kaise badalti
lekin meri unse bolne ki himmat bhi nahi ho Rahi thi
Saajan
shayad tum mujhe apna nahi maanti
kahan mere jaisa buddha
aur kahan tum jaisi apsara
raat bhi tum shayad mujhse dar gayi thi
isi liye mujhe pyar karne diya
nahi
yeh sunke Aisa laga jaise Mere dil mein unhone sui chubho di ho
main ghabra gayi
main unke baare mein Aisa bilkul nahi sochti thi
woh bahut achche aur Shareef insaan the
poor Calcutta mein unka naam chalta tha
woh har kisi ki madad karte the
unka chappal ka karkhana tha
aas pados ke gaon se jo bhi besahara aata tha
woh unke yahan hi rukta tha
yahan toh woh raaj gharane se the
isi liye unki izzat thi
lekin Calcutta mein toh unki yahan se bhi jyada izzat thi
woh uthke.jaane lage
main unka hath pakad li
unhone mujhe pyar se dekha
Saajan
majak kar raha hoon re
tum bhi na badi bholi ho
aur unhone mere hontho ko chum liya
main buri tarah se lajja gayi
jab woh kamre se bahar gaye
toh mujhe awaj sunayi di
saas
kitna besharam ho gaya hai tu
apni maa ke saamne aisi harkat karte hue sharam nahi aati tujhe
mere pati kuchh nahi bole
ghar mein meri saas
aur meri chhoti nanad rehti thi
meri badi nanad humare ghar ke samane waale ghar mein rehti thi
unki shaadi hui thi
lekin ek saal baad hi woh apne pati ko chhodke aagayi thi
unke pati sharabi the
aur sath mein ek bachcha bhi leke aayi thi
mere pati ne unhein saamne waala ghar banwa ke Diya tha
gaon mein mere pati se jyada koi Ameer nahi tha
paiso mein bhi aur izzat mein bhi
kuchh dino baad mere pati chale gaye
aur phir mujhe ehsaas hua ki main Kahan fans gayi hoon
meri saas roz mujhe taane maarti
ki pata nahi tujh jaisi se mere bete ne kyun shaadi kar li
jarur tune koi jaadu tona Kiya hoga
maine kya kya sapne dekhe the
tune sab mitti mein mila diya
woh Tera baap humara naukar tha pehle
aur Aaj Mera samdhi ban gaya hai
main kuchh nahi boli
aur apne kamre mein aake rone lagi
kuchh din aise hi beet gaye
main khana banake apne kamre mein gayi
toh dekhi
meri chhoti nanad mere sandook mein se mere gehne nikaalke pehen Rahi thi
main kuchh nahi boli
tabhi usne meri maa ka diya maang tika le liya
Jaya
seema yeh mat lo
yeh meri maa ki aakhri nishaani hai
yeh sunte hi seema ne meri meri saas ko awaj lagayi
meri saas aayi
seema rone lagi
aur boli
maa yeh mujhe gaali de rahi hai
keh rahi hai
ki mere gehne kyun chori kar rahi ho
us din meri saas ne.mujhe bahut maara
aur mujhe khoob gaali di
main bahut royi
jab mere pati kuchh.mahino baad aaye
toh woh mere liye kapde laaye the bahut saare
lekin sab unki behno ne le liya
mere liye bas ek Jodi bachi thi
tabhi unki najar mere kapdo pe padi
meri saari fati hui thi jagah jagah se
Saajan
yeh sab kya hai
main unse lipat gayi
aur rone lagi
saas
ab toh yahi kahegi
ki maine aur seema ne iski yeh haalat ki hai
yeh bolke woh chali gayi
main saajan se lipatke roti rahi
Saajan bhi rone lage
main yeh dekhke bahut pareshan ho gayi
apne saare dukh bhoolke unhein dekhne lagi
Jaya
aap ro kyun rahe hain
mujhe maaf kar dijiye
agar mujhse koi galti Hui hai toh
woh rote rahe kisi bachche ki tarah
maine kabhi kisi mard ko rote nahi dekha tha
kuchh der baad woh chup hue
aur unhone mujhe dekha
saajan
yahan aao
main unke paas gayi
unhone mere aansu pochhe
aur mujhe bade pyar se dekhne lage
main buri tarah se sharma gayi
Saajan
jaya main sharminda hoon
meri wajah se yeh sab tumhein sehna pad Raha hai
kaash maine tumse shaadi karke tumhari zindagi barbaad na ki hoti
main yeh sunke unke munh pe hath rakh di
jab tak woh rahe
tab tak main khush thi
lekin jab woh chale gaye
toh phir wohi sab hone laga
jo hota tha
meri saas ke taane
meri chhoti nanad ki man marzi
mere pati mere liye alag se paise bhejte the
woh bhi meri saas rakh leti thi
mujhe ek rupya bhi nahi deti thi
ek din mere Jeth Suresh ghar pe aaye
meri saas aur seema badi nanad ke Ghar gayi thi
Suresh
maa kahan hain
main ghughat kar li
jaya
jee woh badi nanad ke yahan gayi hain
Suresh
ek cup chai bana do
main chai banane lagi
tabhi unhone mujhe pichhe se pakad liya
Suresh
jaya jab se tumhein dekha hai
tabse mera dil machal raha hai
aaj mauka mila hai
tumhein paane ka
main rone lagi
Jaya
Jeth jee yeh kya kar rahe hain aap
mujhe chhod dijiye
bhagwan ke liye mujhe chhod dijiye
unhone ek na suni
aur mere sharir ko maila karne lage
mujhe chhune lage
main buri tarah se ghabra gayi thi
aur rone lagi
tabhi kisi ne darwaja Peeta
Suresh ne mujhe chhod diya
Suresh
yeh baat agar kisi ko batayi
toh main sabko bata dunga
ki mera tumse najayaz sambandh hai
sab meri hi baat pe vishwas karenge
main jaake gate kholi
toh mere bade bhaiya kaali the
woh ek saal se jail mein the
unke hath mein bag tha
main bhaiya kehte hue
unse lipat gayi aur rone lagi
mere kaali bhaiya mujhse bahut pyar karte the
jab unhein pata chala ki meri shaadi pitaji saajan se kar rahe hain
toh unhone pitaji se bahut jhagda kiya
lekin pitaji ne unki ek na suni
kaali
kya hua
main kuchh nahi boli aur roti rahi
tabhi unhone Suresh ko dekha
kaali
jab ghar mein koi mard nahi hai
toh tu yahan kya kar raha hai
raaj gharane ke pille
kya tujhe nahi pata nahi hai
ki maa behen ke alawa ghar mein agar koi ladki akayli ho
toh ghar mein nahi baith te hain
Suresh
apni hadd mein reh kaali
shayad tu apni aukaat bhool raha hai
kaali
rona band karo
aur phir bhaiya ne mujhse mere kamre mein chalne ko kaha
main jaise hi kamre mein ghusi
unhone bahar se gate lock kar diya
Suresh kuchh samajh paata
usse pehle hi bhaiya uspe jhapat pade
aur use maarne lage
agar main unhein bata deti
ki Suresh ne meri izzat pe hath daala hai
toh woh use jaan se maar dete
mere saajan ko apne bhai ka dukh hota
shayad isi liye main chup reh gayi
meri saas aur dono nanad bhi aagayi thi
saas
Teri itni himmat
do take ka aadmi
mere ghar mein ghuske
mere bete ko maar raha hai
kaali
budhiya aaj maine apni behen ki aankhon mein aansu dekha hai
usne mujhe kuchh bataya toh nahi
lekin ek baat sun le
agar meri behen ko ek kharoch bhi aayi
toh tum sabki maa chod dunga
kaali naam hai mera
mere Karanamo ka tum sab ko pata hai
aur agar nahi pata
toh main pata lagwa dunga
tabhi meri chhoti nanad seema bol padi
jise nahi bolna chahiye tha
Seema
tum yahan se nikloge
ya phir hum panchayat bithaye
kaali
panchayat kyun bithayegi
sabko apni godi mein bitha le
29 saal ki ghodi ho gayi hai
aur tujhe ladka hi pasand nahi aaraha hai
agar tu meri biwi hoti
toh is Umar mein tu 10 bachcho ki maa hoti
bhains ki tarah motaye Jaa Rahi hai
mere jeeja ki kamayi ko aise khaa rahi hai
jaise daayan bachcho ko khaati hai
kulta karamjali naaspeeti
daayan dhochhiya kulakhshini
aag lage teri bur mein
main chilla padi
bhaiya
kaali
bag mein tere liye kuchh saman hain
yeh bolke woh chale gaye
isi liye main unse kuchh nahi kehti thi
na pitaji se kehti thi
mere bhaiya bahut gusse waale the
aur badtameez bhi
bachpan mein ek ladke ne mera hath pakad liya tha
bhaiya ne uska hath kaat Diya tha
aur phir unhein do saal ki jail ho gayi thi
ab tak woh 8 baar jail Jaa chuke the
pitaji ne bhi usne baat karna band kar diya tha
kuchh mahino Tak sab sahi raha
meri saas ne mujhse baat karna chhod diya tha
meri nanad bhi mujhse door rehti thi
bhaiya ki baatein sunke woh bahut royi thi
phir yeh aagaye mere saajan
jaise hi inhone ghar mein qadam rakhkha
meri saas rote hue inse lipat gayi
apni maa ko rota dekh inka bhi dil bhar aaya
yeh buri tarah se bechain ho gaye
Saajan
kya hua maa
meri saas ne rote hue bataya
beta Teri Bahu ne tere saale ko ghar bulaya tere bhaiya ghar mein hi the
tere bhaiya ko usne maara
humare sath badtamizi ki
seema ke sath badtamizi ki
use gandi gandi gaaliya baki
Teri Bahu yeh sab dekhke bas muskurati rahi
yeh sunke saajan mujhe aise dekhne lage
jaise main is duniya ki sabse badi paapi hoon
mujhe laga ki woh mujhse puchhenge
meri baat sunenge
meri fariyad bhi sunenge
lekin woh mujhe aise dekh rahe the
jaise mujhe khaa jaayenge
aur phir woh gusse mein mere paas aaye
andar chalo
woh garajte hue bole
main ro padi
mujhe bahut dar lag raha tha
Saajan
suna nahi
main rote hue andar aagayi
meri saas aur nanad dono ke chehre pe muskurahat thi
unhone kamre ka gate lock kar diya
Saajan chillate hue
tumhare Bhai ki itni himmat
main kuchh bol nahi paa Rahi thi
mujhe dar lag raha tha
main bas ro Rahi thi
tabhi unhone woh kiya jiski mujhe ummid nahi thi
unhone mujhe apni baaho mein bhar liya
main buri tarah se chaunk gayi
meri samajh mein kuchh nahi aaya
Saajan
aise cheekho jaise main maar raha hoon tumhein
yeh sunke main unhein dekhne lagi
Saajan
jaldi karo na
unhone meri kamar mein chimti kaat Li
jaya
aah
Saajan
pyar waali aah nahi nikalni hai
maar waali aah nikaalo
mujhe nahi aata
Saajan
sirf rona aata hai
nirupa Roy ki tarah nahi
Jaya
yeh kaun hai
aur phir unhone woh kiya
jise dekhke main buri tarah se chaunk gayi
Saajan
besharam behaya tumhari himmat kaise hui
meri maa aur behen ke sath Aisa bartaav karne ki
aur phir woh meri awaj mein
cheekhne lage
saajan meri awaj mein
aah maa maaf kar dijiye mujhe
mujhse galti ho gayi
aage se aaaah maaaa
Aisa kabhi nahi karungi
mujhe maaf kar dijiye
aaah maaaa dard ho raha hai
aur woh phir meri awaj mein rone lage
main hanse lagi
Saajan
hanso mat
kahin sun liya
toh meri shaamat aajayegi
main munh dabake hansne lagi
kuchh der tak yeh chala
phir unhone mujhe dekha
Saajan
dobara agar Aisa hua
toh seedha Ghar bhej dunga
aur phir woh mujhe leke bed pe baith gaye
mera hath pakadke mujhe dekhne lage
main sharma gayi
Saajan
waise Jaya ek baat batao
tum itni sunder kyun ho
main kuchh nahi boli aur apni najrein neeche kar li
Saajan
bolo na
main khaamosh rahi
aur phir unhone mujhe apni baaho mein bhar liya
raat mein unhone mujhe Kasam dilwaake puchh hi liya
ki Suresh ghar kyun aaya tha
maine rote hue sab bata diya
jise sunne ke baad unki aankhein aisi ho gayi
jaise kisi ghayal sher ki aankhein ho
agli subah meri jethani rote hue humare ghar aayi
aur meri saas ko rote hue batane lagi
maa jee
raat mein ek chor ghar mein ghusa
aur usne inhein bahut maara
bistar se uth bhi nahi paaa rahe hain
yeh sunke meri saas rote hue
apne bete ke ghar ki taraf chali gayi
tabhi mere pati ghar ke andar aaye
Saajan
kuchh khaane ko dogi
ya phir tumhara khubsurat chehra dekhke pet bhar loon
main sharmayi
Jaya
woh Jeth jee ko kisi ne bahut maara raat mein
saajan
ab bhaiya ke kaam hi hain pitne waale
toh koi kya kar sakta hai
main unhein dekhne lagi
Saajan
khaana de do devi
warna pran tyaagna pad jaayega
Jaya
yeh kaisi baatein karte hain aap
shubh shubh boliye
woh muskura diye
phir main unhein khana laake di
woh ek mahina ghar pe rahe
aur phir mujhe apne sath le jaane ko bole
meri saas ne rona dhona shuru kar diya
saas
aaj tak apni maa ko nahi leke gaya
aur aaj bahu ko leke Jaa Raha hai
aaj bahu jyada pyari ho gayi maa se
Saajan
bahut Chhota tha main jab
mujhe ehsaas hua
ki meri maa kitne dukh kaat Rahi hai
mere pita toh sanyas leke chale gaye
bhagwan ki Pooja karne
aur hum sabko bhukha marne ko chhod gaye the
meri maa bahut unche gharane se thi
jab woh aayi thi
toh 10 kilo Sona aur 50 kilo chandi leke aayi thi
lekin mere pita ne woh sab gareebo mein daan kar Diya
woh apne ghar ke eklaute the na
mujhse bada ek bhai tha
jo 15 saal ka tha
phir didi thi jo 3 saal
phir main tha 10 saal ka
aur phir meri gudiya thi 1 saal ki
maa ne kabhi apne maayke se kuchh nahi liya
meri maa bahut swabhimani thi
woh bade Ghar ki beti thi
aur Aaj unke paas kuchh nahi tha
kuch zameen thi jise woh kheti ke liye diye hui thi
wahan se anaaj aata tha
meri maa hum sab ko achche se khilati thi
lekin khud ek time ka.khaana khaati thi
mujhe bahut dukh hota tha apni maa ko dekhke
ek saal baad jab main 11 saal ka hua
toh main maa se bola
ki main ab kamane jaaunga
woh mana kar di
lekin maine unhein dhamki di
ki main bhaag jaaunga
toh phir unhone mere chacha ke sath jo Calcutta hi Jaa rahe the
unke sath bhej diya
main Calcutta pahuncha
pehle ek hotel mein kaam kiya
mujhe 50 rupees milte the
main thode thode karke paise jama karne laga
ek time khaata
din raat bas kaam karta
aur 10 rupees rakhke
saare paise ghar bhej deta
ek din main table saaf kar raha tha
tabhi dharam jee mujhe dikhe
woh mere hi gaon se the
unhone mujhe pehchaan liya
dharam
chhote maalik aap yahan
main unhein namaste kiya
dharam
chhodiye yeh sab
unhone mere hath se kapda chheen ke
fenk diya
are dharam jee aap ise jaante hain
hotel ka maalik bola
dharam jee ne mera hath pakda
aur mujhe apne sath le gaye
main unhein sab bata diya
dharam
agar aapko kuchh karna hi hai
toh koi hunar seekh lijiye
jisse aap zindagi mein aage badhenge
yeh sab karke aap kuchh nahi kar paayenge
lekin main kya seekhu
mujhe toh kuchh pata bhi nahi hai
aur phir unhone mujhe ek chappal ke karkhane mein lagwa diya
wahan ke maalik bahut achche the
unhone mujhe samjhaya
ki beta pehle ek mahina dekho
phir tumhein seekhayenge
main ghabra gaya
ek mahina mujhe ek rupya nahi Milne waala tha
main ghar kaise kaise bhejunga
lekin main apna dil maarke seekhne laga
ek hafte baad dharam jee factory aaye
aur mujhe 300 rupya diya
maine mana kar diya
dharam
udhaar de raha hoon rakh lijiye
jab kamaiyega toh wapas kar dijiyega
aur phir main 50 rupya rakhke
baaki ghar bhej diya
aur 6 mahine beet gaye
ab main chappal kaatna seekh Gaya tha
maalik mujhe 100 rupya mahina dene laga tha
main double kaam karta
woh mujhe aur paise dete
aur dheere dheere main factory ka mukhya kaarigar ban gaya
meri tankhwa dugni ho gayi
har saal meri tankhwa badhti rahi
5 saal beet gaye main ghar nahi gaya tha
maa ne zameen khareed Li thi
maine jo paise bheje the
phir ek din khabar aayi ki mere bhaiya ki shaadi hai
main gaon wapas aagaya
apni maa didi aur gudiya ke liye bahut kapde aur gehne leke gaya
maa bahut khush hui aur mujhe apne seene se lagake rone lagi
bhaiya ki shaadi ke baad main wapas aagaya
aur phir dharam jee ke paas gaya
maine unse bola ki mujhe paise chahiye
main apni factory kholunga
woh muskura diye
aur unhone mujhe paise diye
aadhe paise the mere paas
aadhe unhone mujhe diye
aur maine apni factory khol li
bhagwan ki kripa se meri factory chalne lagi
mera sheher mein naam hone laga
dukandar meri hi factory se maal leke jaane lage
main dukaan dukaan ghumke sample deta tha free mein
dheere dheere main kaamyaab hota gaya
phir maine apni didi ki shaadi kar di
ab mere neeche 50 log kaam karte the
lekin meri didi apne pati ko chhodke wapas ghar aagayi thi
unhone mujhse bola ki unhein alag ghar chahiye
main unhein banwake de diya
main factory mein hi sota tha
ek raat kisi ne gate Peeta
maine gate khola
toh dekha ek budha aadmi tha
use bahut chot lagi hui hai
woh behosh hoke mere upar gid pada
main doctor ko bulaya
uski malham Patti karwayi
aur phir subah use hosh aaya
Saajan
kaun hain aap
aur aapko itni chot kaise lagi
unhone mujhe dekha
aur phir Bina kuchh bole chale gaye
ek mahine baad woh phirse meri factory mein aaye
aur unhone mujhse kaha ki woh chahte hain ki main padhu
main hans pada
aur phir unhone mujhe bataya ki woh cbi mein hain
aur main unke jaisa banu
yeh sunke main hansne laga
aur unhein nashta karwake wapas bhej diya
agle.din woh phirse aaye
lekin dharam jee ko sath leke
dharam jee ne jab mujhse kaha ki mujhe padhna chahiye
woh mujhpe zor Dene lage
aur main padhai karne.laga
aur graduation karte karte main 25 saal ka ho gaya
lekin meri factory ka kaam nahi ruka
aur factory chalti rahi
aur 30 saal ka.hote hote main bhi cbi officer ban gaya
in 20 saalo mein main bahut kam ghar gaya tha
teen chaar saal mein ek baar chala jaata tha
maa ne Naya Ghar banwa liya tha
maine ek achche aadmi ko manager rakh liya
aur phir case ke silsile mein main bahar dusre state mein jaata rehta tha
aise hi meri umar 35 saal ki ho gayi
ek din dharam jee mere ghar pe aaye
aur mujhse bole ki meri beti se shaadi kar lo
main chaunk gaya
kyunki woh toh bahut chhoti thi mujhse
maine mana kar Diya
dharam jee
mana mat kijiye
chhote maalik
saajan
aapse kitni baar kaha hai
ki mujhe chhote maalik mat bol kijiye
main koi maalik nahi hoon
ulta ehsaan aapka hai mujhpe
aapki wajah se main is jagah hoon
dharam jee
toh phir meri beti se shaadi kar lijiye
ab main kya karta
mujhe unki baat maan ni padi
main unka.kaha kaise taal sakta tha
aaj main jo bhi tha usmein unka bhi bahut bada yogdaan tha
main gaon aagaya
aur maa se bol diya ki main dharam jee ki beti se shaadi kar Raha hoon
maa mujhpe bahut chillayi
lekin maine bas yahi kaha
ki agar aap meri Khushi chahti hain
toh haan keh dijiye
dharam jee ko hi pata tha ki main cbi mein hoon
gaon mein toh sab yahi sochte the
ki main vyapaari hoon
meri jaya se shaadi ho gayi
aur phir main uska ghughat uthake
usse yahi bola
jaya main apni maa se bahut pyar karta hoon
unhone bahut dukh sahe hain
humesha unki izzat karna
kuchh bolein bhi toh chup karke sun Lena
aur phir uske pair pakad liya
woh buri tarah se ghabra gayi
aur phir main pehli baar apne jeevan mein kisi ladki ko pyar Kiya
phir main wapas chala gaya
aur jab Ghar wapas aaya
toh maa ne Jaya ki bhar bhar ke shikayat ki
main apni maa ko jaanta tha
main apni jaya ko aisi haalat mein dekhke tadap gaya
mujhe maa pe bahut gussa aaya
lekin woh meri maa thi
woh apne jeevan mein itna dukh jhel chuki thi
ki woh sahi galat ka farq karna bhool gayi thi
main unka beta tha na
unhein samjhata toh unhein dukh hota
jaya mujhse lipatke ro Rahi thi
main khud rone laga
dharam jee ne mujhpe bharosa karke mujhe apni beti di thi
aur meri wajah se unki beti ki yeh haalat ho gayi thi
jaya bahut achchi ladki thi
mera naseeb bahut achcha tha
kyunki jaya meri patni thi
kuchh din baad main phirse chala gaya
aur jab wapas aaya
toh maa ne ro ro ke mujhe sab bata diya
maine bhaiya ko jaanta tha
woh kis tarah ke aadmi the
roz main criminals se milta tha
unse baatein karta tha
unse sach ugalwata tha
main samajh gaya tha ki mere bhaiya ne jarur kuchh Kiya hoga
phir main jaya ko room mein laaya
aur uski awaaj nikaalke cheekhne laga
woh hansne lagi
mujhe bahut achcha lagta tha
jab woh hansti thi
shayad mere jeevan mein usi ki kami thi
aur phir jab main maa se bola ki main jaya ko apne sath le jaa raha hoon
toh maa rone lagi
main unhein room mein leke gaya
Saajan
maa main use wahan se is liye le ja Raha hoon
kyunki ab main use nahi rakhna chahta
jo meri maa ki nahi woh meri nahi
main use uske baap ke paas chhod aaungaa
yeh sunke maa bahut khush ho gayi
lekin maa ne aur seema ne sab gadbad kar di
woh dono baat kar Rahi thi
jo maine maa se kaha tha
jise jaya ne sun liya
aur zor zor se rone lagi
main uske paas aaya
usne mere pair pakad liye
jaya rote hue
bhagwan ke liye mujhe mat chhodiye
main aapke Bina mar jaaungi
aap mujhe maarna peetna
main uff tak nahi karungi
lekin mujhe mat chhodiye
main mar jaaungi
main use uthaya
aur apni baaho mein bhar liya
main
are tum bhi Kamal karti ho yaar
saara plan kharab kar dogi
chup raho jab dekho roti rehti ho
ek baat batao tumhein chhod dunga
toh mujh jaise ko phir kaun itna pyar karegi
uske dil mein yeh baat ghar kar gayi thi
ki main use chhod dunga
pagli kahin ki
aur phir main jaya ko leke Calcutta aagaya
jaya apne pita se milke bahut khush hui
lekin woh mujhe ek pal bhi akayla nahi chhodti thi
Jaya
main keh deti hoon
agar aapne mujhe chhoda
toh main apni Jaan de dungi
Saajan
toh phir main jee ke kya karunga
main bhi mar.jaaunga
yeh sunke woh ghabra gayi
jaya
shubh shubh boliye
saajan
shuruaat kisne ki
Jaya
aur phir mujhe ehsaas hua
ki saajan ke liye main kya thi
main unke liye sab kuchh thi
woh mere liye sab kuchh the
main bahut khush thi
ki saajan mere pati the
ek saal baad mujhe beta hua
saajan
yeh tumne theek nahi kiya
mujhe chhoti jaya chahiye thi
aur tumne mere sath dhokha kiya
mujhe chhota saajan deke
main tumhein maaf nahi karunga
main sharma gayi
kya aap bhi bachcho jaisi baatein karte hain
Aisa kaun bolta hai
mere hath mein thodi hai
Saajan
rehne do rehne do
main sab jaanta hoon
meri samajh mein nahi aaya
ki main kya bolu
woh kabhi kabhi bachche ban jaate the
tabhi ek din khabar aayi
ki kaali bhaiya ne seema se shaadi kar li
mere hosh udd gaye
sath mein saajan ke bhi
Saajan
saale kaali ko bhi meri hi behen mili thi
yeh bolke woh meri taraf gusse se dekhne lage
main ghabra gayi aur rone lagi
sajaan
are tumhein kuchh aur kaam nahi hai kya
yeh kya har samay roti rehti ho
main sharminda hoon
main rote hue boli
Saajan
huh meri behen itni bhi gayi gujri nahi hai
ki tum sharminda ho rahi ho
yeh sunke main unki taraf bhaagi
unhein maarne ke liye
pata nahi saajan kaise mard the
unke andar abhimaan gussa nafrat kuchh tha hi nahi
kis mitti se Bane the woh
aur phir do saal baad humari beti Hui
woh bahut khush the
phir ek din unhein khabar aayi
ki unki maa beemaar padd gayi hai
hum sab gaon pahunche
unki maa ne humein apne paas bulaya
woh apne pote poti ko godi mein leke khilane lagi
aur phir woh rone lagi
mujhe maaf kar de beta
maine tere sath bahut galat kiya
Tera bachpan jawani sab khaa gayi
agar tu itna achcha nahi hota
toh pata nahi jaya ke sath kitna bura karta
mere kehne pe
main bahut sharminda hoon
Teri kamayi se apne bachcho ko paalti rahi
apne naam pe zameen khareedti Rahi
jo sirf Tera hona tha
woh ab tere Bhai behno ka bhi ho gaya
saajan rote hue
maa aisi baatein kyun karti ho
tumne mujhe Janam Diya hai
mera sab kuchh tumhara hi toh hai
meri saas apne bete se lipatke rone lagi
aur phir unhone mujhe maa ka pyar diya
meri maa toh mere bachpan mein hi chal basi thi
Lekin aaj mujhe mehsus hua
ki maa ka pyar kya hota hai
aaj main samjhi ki saajan ne kabhi apni maa se behes kyu nahi ki
woh apni maa se pyar toh karte the
lekin unki maa unse bahut jyada pyar karti thi
aaj mujhe samaj mein aaya
ki unki maa kyun din mein sirf ek baar khaana khaati thi
woh khush thi ki ab unka koi bachcha bhukha nahi rehta tha
lekin woh yeh bhi jaanti thi
ki unke saajan ne kitne dukh sahe the
woh apne aapko kosti thi
us din ke liye jab unhone saajan ko kamane bheja tha
6 mahine Tak meri saas ne mujhe apni beti ki tarah pyar Kiya
saajan bahut khush the
meri chhoti nanad seema Aaj bhi mujhse chidhti thi
lekin kaali bhaiya se woh bahut darti thi
pata nahi kaise usen kaali bhaiya se shaadi kar li
kaali bhaiya bhi ab sudhar Gaye the
woh dono saale din bhar
ek dusre se baatein karte
taash khelte
ghumne jaate
pata nahi kaise dono mein itni gehri dosti ho gayi
aur phir ek din maa jee chal basi
saajan apni maa se lipatke rote rahe
tabhi meri beti apne nanhe nanhe hatho se apne pita ke aansu pochhne lagi
ek din main aur gaon ki aurtein aangan mein baithke baatein kar rahe the
sab gaon ki aurtein mujhse bas yahi bol rahi thi
ki kaash unhein bhi Saajan mile hote
kaash unki shaadi bhi saajan se hui thi
kuchh toh yeh bhi keh rahi thi
ki apne saajan se meri shaadi karwa de na
main unhein gaali deti thi
aur woh hansti thi
ek toh peechhe hi padd gayi
Jaya main toh Teri bachpan ki saheli hoon na
main teri jindagi bhar ghulami karungi
apni saheli pe rehem khaa na
karwa de na meri shaadi apne saajan se
jeevan bhar Teri seva karungi re
tere pair dho dho ke peeyungi
mujhe gussa aagaya
main un sabse tang aake
peechha chhudane ke liye bol padi
are woh buddha upar upar se itna achcha Shareef hai
ek number ka jaanwar hai
mujhe Roz maarta hai
mujhe gaaliya deta hai
ab mujhe pata hi nahi chala ki kab saajan ghar ke andar aagaye the
woh mere peechhe hi the
saari aurtein ghabra gayi thi
woh aadmi nahi rakshas hai
uske sath toh daayan bhi ro de
woh itna zaalim hai
achcha
yeh sunte hi mera poora jism kaanp gaya
main peechhe mudke dekhi
mere saajan khade the
Saajan
toh main jaanwar hoon
Rakshas hoon
buddha hoon
tumhein Roz maarta hoon
tumhein gaaliya deta hoon
nahi
sab aurtein bhaag gayi
main ghabra gayi
aur ro padi
jaya
mujhe maaf kar dijiye
woh sab mere peechhe padi hui thi
mujhe pareshan kar rahi thi
bas isi liye unse peechha chudane ke liye main woh sab bol di
pitaji ki kasam mere man mein koi Paap nahi hai
main unke pair pakad li
Saajan
aaj tumko dikhaunga
ki janwar kise kehte hain
zaalim
maine socha woh mujhe maarenge
peetenge
lekin woh mujhe apni godi mein uthake kamre mein le gaye
aur bed pe patak diya
main ro padi
Saajan
are ab chup bhi ho jaao
pyar karne ke samay bhi
tumhein rona hai
Jaya
bachche aajayenge
Saajan
are unki maa ka
CONTROL
yeh bolke woh mujhpe toot pade
aise the Mere Saajan....
Review
Story - SAAJAN
Writer - Black
Plot - ek ladki Jaya ki shadi usse dungi umra ke aadmi se ho jati hai, lekin uske pati ka pyar dekhkar vo khud ko khushkismat manti hai, parivar me kuch dukh use jhelne padte hai lekin ant me sab thik ho jata hai. Saajan aur Jaya ki Prem yatra hi ye kahani hai.



Pehli baar apni darkness se alag kuch likha aur usme bhi jhanda gaad diya.
No koi khun khraba naa koi extreme situation, simple pyar ki simple problem aur sab sahi
Vaise mujhe tumhara vo dark writing style bahut acha lagta hai, lekin this story was something different and heartwarming.
Kam shabdo me pura background ache se samjha diya. Saajan ke roop me bilkul ek ideal husband ka character daal diye ho. Aksar aisi shadi hone par ladki jindagi bhar ansu bahati hai lekin Jaya ke liye sab uske ulat hai.
Jab kaliya ka character aaya tab laga ki ab to pakka kuch khoon khraba hoga, jaisa tumhara style hai, lekin aisa nahi hua, achha kiya. Lekin ye kaliya ne Seema ko pataya kaise? Mtlb simple story me bhi kuch to mystery rkhni thi tumhe.
Mujhe koi kami iss story me nahi lagi....mast story.
Last edited: