• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,506
173
SAAJAN
UPDATE-174
Rajgarh ka Raaz Continues....

Paridhi—maine bhi suna hai ki yaha bhoot, pret, pishach raha karte hain jo kabhi kabhi yaha se bahar nikal kar junglo me ghumte hain....yahi karan hai ki raat to kya din me bhi koi iss tilismi jagah ki oor nahi aata hai....yaha hamesha ghor sannata hi chhaya rahta hai hamesha.

Nani—kya bhoot hain yaha.... ?

Payal—chinta mat kar tujhse jyada khartarnak nahi ho sakte vo bhi.

Raj—jana to padega hi....warna yaha aane ka koi fayda nahi niklega.....iske andar se hi hamari manzil ka rasta hai.. jo ab bilkul karib aa gayi hai.

Meri baato se sabhi ne majboori me sahmati jatayi.....hum abhi mushkil se uss darwaje tak hi pahuche honge ki tabhi....hamari ankhe kuch dekh kar buri tarah se chounk gayi.

Ab Aage.......

Mujhse kuch hi doori par uss pahadi nadi ke kinare ek chattan par baith kar pani me apne pair latkaye dhire dhire kuch gun gunati aur pani me hilol karti machhliyo ko dekhti huyi ek kamsin ladki ke upar meri nazar gayi to mere kadam vahi ruk gaye.

Lagta tha ki usko hamare yaha aane ki koi khabar nahi huyi thi kyon ki vo vaisi hi laparwahi ke sath baithi pani me pair hilati huyi gungunati rahi.

Mujhe bhi uske roop ki ye chhata dekhne ka poora mouka mila jisse main kuch der tak awaak hokar lalchayi nazaro se uske soundarya ko niharta raha.

Magar yakayak chounk kar meri nazar uss sundari par se hatkar ek jhadi ki taraf ghum gayi....Jo uske dahine taraf thi .aur udhar se aati huyi khadkhadahat ki awaze ek do baar uske kaano tak pahuch chuki thi.

Mera dhyan uss awaz ki taraf barbas hi chala gaya kyon ki uss jhadi ki aad me chhipe kisi janwar ki aispast shakal mujhe dikh rahi thi.

Meri tez nigaho ne mujhe abhas kara diya ki ye ek sher hai jo apni khunkhar ankhe uss ladki par jamaye huye hamla karne hi wala hai....ye samajh aate hi achanak mere muh se nikal gaya.

Raj (chilla kar)—Kanganaaaa......chattannn ki aad me ho jaoooo.... tumhare paas me sher khada haiiiii.

Mere aise chillane se payal didi aur baki sab bhi chounk gaye...aur kabhi mujhe to kabhi meri nigaho ka picha karne lage.....maine turant vaha se ek lakdi tod kar aage badha,..kangana ghabra kar apne idhar udhar dekhne lagi.

Vo sher shayad hamla karne ke liye apne panjo par jhuk hi raha tha ki maine vo lakdi usse phenk kar mari jo ki uske pair me lagi.

Tabhi vaha aag ki ek darawani chamak nikli aur vaha charo taraf dhuwa phail gaya.....main tezi se kangana ke paas aa gaya.aur uska hath pakad ke chattan se niche khich liya..ye dekh ke payal didi ka chehra lal hone laga.

Payal (mann me)—ye yaha bhi aa gayi... ‼ Ye raj ke piche kyo pad gayi hai…? Aur ye raj bhi na..uski taraf kyo bar bar attract ho raha hai…mujhe jaldi hi iss chudail ko bhagana hoga.

Raj—tum yaha kya kar rahi ho…? Abhi yaha sher khada tha..tumhe hosh nahi rahta kya….?

Nani—kyaaaa sherrrr…..?

Meri baat se sabhi shocked ho gaye…lekin mujhe shock to tab laga jab meri iss baat se chounkne ki jagah kangana khil khilakar hasne lagi.

Neha—tum has rahi ho….?

Kangana—hasu nahi to kya karu…? Kaha hai yaha sher…?

Raj—uss jhadi ke piche hai.

Kangana—hahahaha….uss jhadi ke piche sher kaha hai…vo dekho…vaha to mere baba khade hain.

Ab solid chounkne ki bari meri thi….kyon ki uss jhadi ke piche se vahi sadhu nikal kar chala aa raha tha…..jabki uss jagah abhi abhi ek sher tha, ye meri ankho ka vaham nahi ho sakta.

Raj—sadhu maharaj aap yaha…? Aur vo sher kaha gaya jo uss jagah khada tha…?

Sadhu (haste huye)—yaha kisi sher ki itni himmat nahi ki vo mere makan tak aa sake…tumhe bhram hua hoga.

Hum sab—apka makan….?

Sadhu ki baat se hum chounk gaye…hamne apne charo taraf dekha to hum ab uske ussi makan ke bahar khade the jaha se hum nikal chuke the.

Neha (dhire se)—raj…ye locha hai…?

Raj—pata nahi.

Payal—magar hum to yaha se uss lutiya pahadi me pahuch chuke the...phir vapis yaha kaise aa gaye... ?

Raj—nahi…nahi meri ankhe itna bada dhokha nahi kha sakti…maine vaha sher ko dekha tha.

Sadhu (haste huye)—ye mat bhulo ki tum iss samay tilism ke andar ho……yaha har taraf sirf dhokha hi dhokha hai… charo taraf bhram ka mayajaal hai….yaha kuch bhi hona asambhav nahi hai.

Raj—lekin main lutiya pahadi tak pahuch gaya tha phir yaha vapis aane ka kya prayojan ho sakta hai….?

Sadhu—yaha kuch bhi ho sakta hai…beti khane ka prabandh karna..main tab tak pooja kar leta hu.

Sadhu hame aise hi hairan pareshan chhod kar pooja karne apne ussi kamre me chala gaya…..aur main gahri soch me doob gaya.

Paridhi—raj…ab hum kya kare…? Hum to yaha phans gaye hain.

Payal—mujhe to ye dono baap beti bahut bade mayavi lagte hain….lagta hai iss kalmuhi kangana ki gardan kaat du abhi.

Hum apas me baat karne me mashgul the ki tabhi andar se kisi ke apas me bahas karne ki awaz aane lagi.. baato se to aisa samajh me aa raha tha ki jaise koi lapta lapti aur maar peet kar rahe ho.

Paridhi—andar koun lad raha hai jor jor se….?

Nani—lekin andar to kewal vo sadhu hi gaya hai abhi, phir dusra kab aur kaha se aa gaya…?

Raj—pata nahi…chalo dekhte hain andar chal ke.

Payal (hath pakad ke)—nahi…nahi…ab hum andar nahi jayenge…..pahle ki tarah ye phir se hame kisi jaal me phasane ki inki koi chaal hai..aur tu bhi nahi jayega, samjha

Raj—didi, Ye tilismi jagah hai…yaha har baat par risk to lena hi hoga….tabhi koi bahar nikalne ka ya aage badhne ka rasta mil sakta hai….kintu agar hum risk nahi lenge to kisi aur musibat me phans jayenge aur phir tilism ke andar hi andar dhanste chale jayenge…..isliye risk uthana hi behtar rahega.

Neha—lekin …

Raj—lekin vekin kuch nahi…andar chalo sab chup chaap

Phir kisi ne kuch nahi kaha aur sab mere piche picheandar jane lage ki tabhi andar se do log apas me ek dusre ko dhakka mukki karte huye bahar nikal aaye…un dono ko dekhte hi hum chounk gaye.

Hamare hairan hone ki sabse badi vajah ye thi dono sadhu hamshakal the…aur dono ki shakal bilkul vaisi hi thi jaisi uss pahle wale sadhu ki shakal thi.

Payal—ye sadhu ek se do kaise ho gaya….?

Neha—ye kya naya jhamela hai raj….?

Nani—mujhe to lagta hai ki ye sadhu koi bhoot ya pret hi hoga....ab mera kya hoga...kaha phans gayi.... ?

Payal—ye budhiya thodi der shant nahi rah sakti.... ? yaha hamari jaan par bani hai aur tu apna hi soche ja rahi hai, matlabi kahi ki.

Raj—sadhu baba...aap dono kyo lad rahe hain... ? dono ki ek jaisi shakal kyo hai…?

1st sadhu—raj...ye bahu rupiya hai.....isne hi vo kitab churayi hogi aur yaha mujhe marne aaya hai ab.

2nd sadhu—jhooth bolta hai, pakhandi......raj iski baat ka yakin mat karna....ye tumhe shuru se dhokha deta aa raha hai ye mera roop bana kar tumhe phasana chahta hai...asli sadhu main hu..ye dhongi hai

1st sadhu—asli main hu...tu dhongi hai

2nd sadhu—thahar ja..abhi batata hu...dhongi tu hai aur mujhe bolta hai...abhi tera sir phod dunga main

1st sadhu—tu dhongi hai...main teri dadhi me aag laga dunga.

2nd sadhu—raj..isne hi vo tilismi kitab churayi hai jisse tum ye tilism na tod sako..ye akele hadapna chahta hai

1st sadhu—dhongi...mera bhesh bana ke raj ko dhokha de raha hai...kitab tune churayi hai.

Dono ke dono ek baar phir se guttham guttha ho gaye...ek dusre ke baalo ko pakad ke khichne lage...aur nochne khasotne lage nakhuno se.

Raj—aap dono shant ho jaiye...ye to nishchit hai ki aap dono me se ek nakli sadhu hai...

1st sadhu—mai asli hu…ye nakli hai.

2nd sadhu—ye nakli hai...asli main hu

Raj—aap dono chinta na kare...main abhi ye sabit kar deta hu ki asli koun hai aur nakli koun..... ?

Paridhi—kaise sabit karoge raj.... ?

Raj—mere paas ek aisi dawayi hai jiske khate hi log sach bolne lagte hain....main aap dono ko vo dawa deta hu jise aap dono ke khate hi koun asli hai aur koun nakli khud hi malum chal jayega.

Neha—rajjj...ye kyaaa... ? dono sadhu kaha gaye dekhte dekhte... ?

Raj—ye kya...dono sadhu bhag gaye.... ? dono me se jo nakli tha, uska bhagne ka matlab to samajh me aata hai lekin asli wala sadhu kyo bhag gaya... ? jarur bahut bada mamla hai ye..kuch sochna padega.

Payal—mujhe to dono ke dono hi pagal lagte hain...ye hame gol gol ghumaye ja rahe hain.

Paridhi—ab yaha se kaise nikalenge raj…?

Raj—sochne do didi mujhe thoda...

Main inn sab baato ke vishay me sochte huye apni ankhe band kar li aur iss tilism me pravesh karne se lekar yaha tak ke safar ka bariki se avlokan karne laga….Jo kuch bhi yaha pahuchne tak hua hamare sath ya phir jo kuch bhi dekha suna, unn sab baato par gaur karta gaya.

Lagbhag dus minute tak main aise hi dhyan me magn raha…..antatah maine apni ankhe khol li…lekin ab mere chehre par pareshani ke badal chhant chuke the aur ek sukun aa gaya tha mere chehre me.

Payal—aise shant kyo hai rajj…? Kuch bata na..kya kare ab….?

Raj—Jab bhi koi lafda hota hai iss kamre se hi shuru hota hai….hum abhi tak uss kamre me kya hai, nahi jante…. Kintu sara rahasya iss kamre se hi juda hua lag raha hai.

Neha—to tere kahne ka matlab hai ki hame iss kamre ke andar jana chahiye... !

Raj—haan…mujhe lagta hai ki yahi se hame yaha se bahar nikalne ka rasta milega.

Payal—lekin hum to yaha se pahle bhi bahar nikal chuke the na...uss dariya ko paar karke.....phir se vaise hi paar kar ke nikal jayenge.

Dariya phir se paar karne ka sun kar neha chachi aur nani ke chehre par hawaiya udne lagi....sab kuch jaise phir se unki ankho ke samne unke sath hota hua vahi sab nazar aane laga....jisse dono ke chehre maare sharam se jhuk gaye.

Raj (mazak me)—kyo chachi phir se dariya paar kaar ke chale.... ? kyo nani aap batao.... ?

Neha (dhire se)—rajj....kya koi aur dusra rasta nahi hai..... ?

Nani—nahi..nahii...main kamre ke andar chalne ko taiyyar hu.

Raj (mushkura kar)—theek hai..sab aao andar

Mere piche piche sabhi uss kamre me aa gaye jisme vo sadhu jata tha…..lekin ye kya hum jaise hi kamre ke andar pravistha huye vaise hi darwaja band ho gaya.

Kamre me har taraf ghana andhera pasra hua tha….koi bhi nazar nahi aa raha tha…koi bhi nazar aane ki baat to bahut door apna khud ka hath tak nahi dikhayi de raha tha uss andhkar me.

Paridhi—rajj..kaha ho…? aaaaaaaa

Payal—rajj..kuch nahi dikh raha…aaaaaa…mere pair….rajjjjjj…?

Neha—aaaaaaa…rajjj…mere pair….

Nani—aaaaaaa…rajjj..bachaoooo

Raj—sab ek dusre ka hath pakad lo

Paridhi—rajjjjjjjjj….aaaaaaaaaaa

Ek baar phir se hum ussi kamre me phans gaye jaha par pahle ulajh gaye the aur hamare pairo me zanjeer pad gayi thi….abhi bhi theek vaisa hi ho raha tha..sabhi ke dono pairo ko zanjeer ne jakda hua tha aur unko vipreet disha me unke dono pairo ko phailate huye apni apni taraf khiche ja rahe the.

Vaha unn sabhi ki dard me doobi cheekhe goonjne lagi…ye sun kar maine soch liya ki agar jaldi hi kuch nahi kiya gaya to inme se koi bhi jyada der tak jinda nahi rah payengi.

Ye soch kar maine jhuk kar dono hath se apne dono pairo ki zanjeero ko pakad liya aur tezi se ek disha me jump karte huye kood gaya.

Agle hi pal vaha poore kamre me roshni phail gayi…….sabhi dard me chillate huye meri taraf ghum gayi…to chounk gayi kyon ki maine kisi ko apni baho me dabocha hua tha.

Payal (shocked)—kanganaaaaaa…..? aaaaaaaa

Ye kangana hi thi jisko maine daboch rakha tha……usko ujale me meri baho me dekh sabhi hairan ho gaye lekin agle hi pal sab ke kaano me bhayanak awaz padte hi sab darr se kaampte huye jaise hi samne ki oor dekha to sabhi ki cheekh nikal gayi.

Ek taraf sher aur ek taraf se vo bhediya lohe ki unn moti moti zanjeero ko apni taraf tezi se gurrate aur dahadte huye khich rahe the….lekin meri zanjeer vo nahi khich pa rahe the, poori taqat lagane ke baavjud bhi.

Payal—raajjjjjjjj

Maine ek hath se pakad ke jor ka jhatka laga kar apne pairo se un zanjeero ko tod diya lekin vo agle hi pal phir se pata nahi kaha se aakar mere pairo se lipat gayi.

Neha—rajjjjj…bachaooooo

Nani—marrr gayiiiiiiiiii

Maine ek baar phir se ek hath se kanganaa ko daboche huye dusre hath se unn zanjeero ko tod diya…..isse pahle ki vo mere pairo ko phir se jakad pati maine kangana ko unn zanjeero ke hawale kar diya.

Zanjeero ne kangana ko lapet liya…lekin mere piche dusri zanjeer badhne lagi..ye dekh main vaha se jump kar gaya aur sidha paridhi didi ke paas pahuch gaya.

Raj—main jaise hi zanjeer todu…aap turant mere kandhe par baith jana….sab log dariya paar karne wali position me baith jana.

Maine jaise hi paridhi didi ki zanjeero ko pakad ke toda..to vo mere ek kandhe par baith gayi..lekin tab tak mere pairo me zanjeer phans chuki thi.

Maine phir apni zanjeer tod kar payal didi ke paas pahuch gaya aur unhe azad kar ke apne dusre kandhe par bitha liya…aise hi mere pairo ko zanjeer jakadti rahi aur main usko tod kar neha chachi ko peeth me aur nani ko samne se kamar me chipka liya.

Mere pairo me phir se zanjeer phans chuki thi aur dono taraf se bhediya aur vo sher usko khich rahe the lekin main har bar unhe todte huye aage unki taraf badhne laga.

Ye dekh kar dono gusse se meri oor jhapat pade…main to pahle se hi taiyyar tha ..unke iss hamle ke liye..jaise hi dono ne mere upar hamla kiya maine ek ek punch dono ke jabdo par rakh diya kas ke.

Agle hi pal dono jamin par ja gire…dusra hamla karne ki unme himmat nahi thi..maine payal didi ki kulhadi lekar jaise hi sher ki gardan katni chahi to vo ussi sadhu me badal gaya…hum sab hairan hokar dekhne lage aur jaise hi bhediya ko marne gaya to vo bhi sadhu me badal gaya.

Payal—raj…maar do iss sadhu ko…ye dono ke dono dhongi hain.

maine dono ki gardan ek jhatke me uda di…..lekin ye kya dono ke marte hi unki body vaha se gayab ho gayi_aur unki body ki jagah par do kitabe roshni bikherti huyi nazar aane lagi.

Maine dono kitabo ko utha kar payal didi ko pakda diya…jaise hi kangana ki taraf muda to ek bar phir jhatka laga, kyonki ab vaha kangana thi hi nahi balki uski jagah par ek sunahre rang ki ek chabi thi.

Maine jaise hi uss chabi ko uthaya to agle hi pal vaha se sab kuch gayab ho gaya…aur ab hamare samne vahi bhootaha__qila tha yani ki mout ka ghar._

Payal—ye kyaa…hum yaha kaise pahuch gaye….?

Neha—vo dariya kaha gaya….?

Raj—vo dariya ab nahi ayega aur na hi vo sadhu.

Paridhi—pahle bhi to vo yaha aa gaye the…?

Raj—kyon ki pahle vo zanjeer wala tilism toota nahi tha na, isliye…par ab vo tilism toot chuka hai…baki sab baad me detail me bataunga….abhi aage ke safar ke liye taiyyar ho jao.

Maine uss darwaje ko dhakka dekar khol diya jiske upar Mout ka Ghar likha hua tha aur andar ghus gaya..sabhi abhi bhi mere upar hi tange huye the. Maine sab ko niche utara aur aage chalne lage.

Yaha na jane kitne kamre bane huye the…jo khatam hi nahi ho rahe the..abhi tak hame koi pareshani yaha pesh nahi aayi thi lekin kya pata aage koun sa khatra hamara intazar kar raha ho.
*
*
*

2850 words.....
Next Update will come Tomorrow...Jo ki Shayad Rajgarh ke Raaz ka antim bhag hoga.
 
Status
Not open for further replies.
Top