• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery MANN KI BAAT

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Rate this story

  • 5 star

    Votes: 164 77.7%
  • 4 star

    Votes: 22 10.4%
  • 3 star

    Votes: 13 6.2%
  • 2 star

    Votes: 2 0.9%
  • 1 star

    Votes: 10 4.7%

  • Total voters
    211

Jai_09

Active Member
697
3,561
139
Shandar update..sharma ki to dhang s..mar li
Nice Update...
Jabardust update Bhai
Nice update
benchod sab chutiyapa hero ke sath hi hona tha... sab isko pel rahe hai aur ye sala mar kha raha hai....
kuch bhi ho bhi par likhate bahot qvha ho bus ab ya toh hero ko ekdam chutiya bando ya fir isko thoda acha karo..
baki toh bahot maja aa raha hai..
par hero ke liye bura lag raha hai.. aisa lag raha hai ismin self respect hai hi nahi....
nice update Jai_09 bhai
Mind blowing update 👍👍
Super update hai bhai
Fantastic Update 👍
Bohat hee shandar. Gadar. Har ek update pure dil se aur puri lagan se likha hai bhai. Alag aur dhamal. Bas bhai ek hee parthna hai kee kahani puri jarror karna.
Bahut hi sandar update
hero ki to lag gayee
Jabardast update bhai
Nice n fantastic update
Jitna socha tha utna turn nehi liya bhai par ab school chut raha he sab kuch dhire dhire barbad ho raha he career bhi to agala step kya hoga dekhne layak hoga
Jai_09 bhaiya yahan hero hamesha aapne baap se maar he khata rahega yaa kuch krega bhi
Kbhi chori krta, kbhi kise ki gaand me dildo gushata hai toh kbhi kuch
Yahan toh lgta hai aapne he hero ki marvane ke irade bna rkhe hai
Kbhi toh uski zindagi me kuch acha krao akhir me kahani ko uske ird gird he rehna hai
Esa lgta hai ki hero yahan samar nhi uska baap hai
Fantastic update waiting for next
Wow! Wonderful. Waiting for next update
Bahut hi shandaar update.
Aanchal ke jaane ke gum me Sam akela gumsum as rehne lga. Ladayi ke scene ke baad shayad Sam ka baap use khi dur bhej dega like boarding wagera me.
Nice update 👍
Sandarrrr updates bhai

Waiting for next
Bhai update kab tak aayga??
Update Posted Guys
Please read and give your precious reviews
 
Jai_09

Active Member
697
3,561
139
Happy dusshera guys
Aaj humaari story ke 50 updates poore ho chuke hain
In 50 updates ke safar me mujhe jo aapki taraf se protsaahan aur aapka pyaar mila, uske liye mai aap sabhi ko thanx kehna chahunga.
In 50 updates ke safar me kabhi-2 story thoda dheemi padi lekin aap sab ne mujhe apne suggestions deke protsaahit karna jaari rakha, agar aap logo ka support na mila hota to shaayad mai kabhi 10 upadates se bhi oopar nahi likh paata.
Aaj ka update thoda special hai kyonki aap sabhi readers ne day 1 se jis cheez ki demand ki thi vo aaj maine poori kar di hai.
Is update ke baad Samar ki life me bahot bada turning point aane waala hai, vo kya hoga, ye aapko aage kahaani me pata chal hi jaayega.

Once again thank you guys
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,411
28,444
218
Update-50

Jab mai papa ke saath ghar pahocha to papa mujhe kheechte huye hall me le gaye aur unhone mujhe thapedna shuru kar diya.

Papa--nikamme naalayak, kar li na tune apne mann ki. Jab nahi padhna tha to kyon mera itna paisa barbaad kiya, tujhse acha to mai 1 kutta khareed leta. Uspe agar maine tere jitna paisa lagaaya hota to vo bhi tujhse zyada kaam ka hota.

Papa ye chilla-2 ke bol rahe the, unki aawaz sunke dadi, chachi aur Anil room me aa gaye, dadi ne papa ko mujhe pelte huye dekha to unhone beech-bachaaw kiya aur papa ka haath pakad ke mujhse alag kiya.

Dadi--Mahipal, paagal ho gaya hai kya? Ab kya kar diya isne jo ise aise jaanwaro ki tarah maar raha hai.
Papa--to kya karun maa, isne kaam hi aisa kiya hai ki mann kar raha hai ise jaan se maar doon.
Dadi--aisa kya kar diya isne?
Papa--aapke laadle pote ko school se nikaal diya gaya hai.
Dadi--kya.....

Dadi aur chachi ne jaise hi ye baat suni to unke mooh shock me khul gaye, vo dono kabhi papa ko dekhte to kabhi mujhe dekhte.

Dadi--kyon nikaala ise school se?

Jaise hi dadi ne ye sawaal pucha to papa ne unhe aaj school me hui saari ghatna bata di, poori baat pata chalne par dadi ko bhi mujh pe gussa aane laga.

Dadi--ye kya harkat thi Samar, apne teacher ko hi maara tune. Aise kon karta hai bhala...
Papa--ye karta hai na, pata nahi kahaan se mere ghar me ye asur paida ho gaya hai. Isne apni poori zindagi sirf mujhe dukh aur pareshaaniyan hi di hain...

Papa mujhe suna rahe the ki tabhi Sujata bhi room me aa gayi, meri nazar Sujata ke haath par gayi to mai hairaan ho gaya. Uske haath me cigarette ka packet tha, vo packet mera tha jo maine chhat waale kamre me chhipa rakha tha.

Sujata--ye dekho ji, ye packet mujhe chhat waale kamre se mila hai. Ye isne chhipa rakha tha wahaan....
Dadi--Samar, tu cigarette bhi peeta hai. Kya ho gaya hai tujhe, kahaan se seekh raha hai tu ye sab.
Papa--hey bhagwaan, kyon di hai aapne ye santaan mujhe.

Ye bolte hi papa mere paas aaye aur fir se mujhe pelne lage, vo mujhe pele jaa rahe the lekin mujhe ghanta farak nahi pad raha tha. Kuch bhi feel nahi ho raha tha, na hi maar padne ka dard ho raha tha aur na hi unki khari khoti sunke bura lag raha tha. Thodi der papa mujhe pelte rahe aur uske baad thak ke 1 kursi par baith gaye, mai abhi bhi apni jagah par khada tha.

Papa--dekho is besharam ko, abhi bhi apni jagah par khada hai. Iski jagah agar koi aur hota to sharam ke maare chullu bhar paani me doob marta.
Sujata--pata nahi kaha se aaye hai isme aise gun. Ye sab zaroor iski maa ke gande khoon ki nishani hai, pata nahi kaisi kharaab character ki aurat se shaadi kar li thi aapne.

Sujata ne jaisi hi apni baat khatam ki to mera paara saatwe aasmaan par pahoch gaya, mai sab kuch bardaasht kar sakta tha par meri maa ke baare me koi galat shabd kahe, ye mai bardasht nahi kar sakta tha. Maine table par rakha hua 1 glass uthaaya aur zameen par patak diya. Jaise hi glass foota to sabki gaand fatt ke 4 ho gayi.

Mai(chillake)--chup ho jaa saali kutiya, mere baare me jo bolna hai bol le. Agar meri maa ke baare me kuch bolegi to agla glass teri gaand me daalke fod dunga.

Meri baat sunke sabhi logo ke mooh khule ke khule reh gaye, Sujata ko to samajh hi nahi aa raha tha ki achanak mujhe kya ho gaya. Papa thodi der mujhe hairaan hokar dekhte rahe aur fir unke chehre par gussa aa gaya, vo apni jagah se uthe aur mere paas aake unhone mere gaal pe 1 thappad maar diya.

Papa--ye kya tareeka hai bado se baat karne ka, yahi sikhaaya hai maine tujhe.
Mai--papa ye bhi to meri maa chataakkkk......

Mai apni baat khatam kar pata ki usse pehle hi papa ne mere gaal pe 1 aur thappad ghuma diya, ye papa ka pehla thappad tha jisne mere dil pe chot kar di thi. Sujata ne meri maa ke baare me jo kaha uske baad bhi papa ne use kuch nahi bola lekin maine use palat ke jawaab de diya to unhone mujh pe fir se haath uthaa diya, iska matlab saaf tha. Papa ke dil me maa ke liye pyaar khatam ho chuka tha.
Papa ne mujhe dobaara maarne ke liye haath uthaaya to is baar maine vo kar diya jo pichle 19 saal me karne ki meri himmat nahi hui thi. Maine papa ka haath hawa me pakad liya aur unhe dhakka deke door gira diya, papa peeche kursi par gir gaye. Jaise hi vo sambhale to vo chilla pade.

Papa--Samar.....
Mai--chillaiye mat, bahot ho gayi aapki taanashaahi. Ye aurat meri maa ko kuch bhi bole jaa rahi hai aur aap mujhse expect karte hain ki mai chup baith ke iski bakwaas sunu. Kya bol rahe the aap kuch der pehle ki bhagwaan ne aapko kaisi santaan de di hai, arre pehle aap bataaiye ki pichle 12 saalon me aap kab mere baap bane. Mujhe school bhej dete hai aap, khaana aur kapde ke liye paisa de dete hain to kya itna kar ke aapki zimmedaariyan khatam ho gayi. Maa ko gaye 12 saal ho gaye hain, in 12 saalon me aisa koi din nahi gaya jab aapne mujhe ehsaas na karaaya ho ki mai 1 loser hoon. 1 pal bhi aisa nahi aaya in 12 saalon me jab aap mere paas baithe ho, aapne mujhse pyaar se baat kari ho. Aapko to ab bas apni ye biwi aur dusra beta Anil dikhaai deta hai. Mai to aapke ghar me pada saaman hoon jispe aapka jab mann karta hai, aap apna gussa nikaal dete hain. 1 baar bhi aapko feel nahi hua ki Anil ke alaawa aapka 1 beta aur hai aur vo apni zindagi me khush nahi hai. Kaise hi pata chalega aapko, aapko to ye Sujata ki lene se fursat mile to aapko kuch pata chale na.
Dadi--Samar, tu ye kya bol raha hai......
Mai--baat khatam karne do aap log mujhe. Ye Sujata inke liye sabkuch hai, mai kya hoon, kuch bhi nahi. Arre log apne jaanwaron ke saath aisa vyavhaar nahi karte jaisa ye mere saath kar rahe hain, kyon paal rahe ho aise aap mujhe papa. Isse badhiya to aap mujhe uthaake ghar se baahar fek do, us din maine kitna bola aapse ki chalo Aanchal ke papa se baat karlo lekin mujhe dekhte hi to aapka dil patthar ka ho jaata hai. Fir chaahe mai ro loon ya gidgida loon, aapko thodi hi kuch farak padta hai. Aapko kya dikkat hai meri khushiyon se, konsa baap apne bete ki khushiyon ki gaand maar leta hai. Aur kya bolte rehte ho aap ki mai nikamma hoon, kisi kaam ka nahi hoon. Khud aap apni zindagi me kuch haasil kar nahi paaye aur uska saara frustration aap mujh pe nikaalte ho. Aap bol rahe the na ki bhagwaan ne aapko kaisi santaan di hai, mai bolta hoon bhagwaan se ki kaash aap bhi usi din mar gaye hote jis din maa mar gayi thi, kam se kam meri zindagi ke aise laude to nahi lagte.

Meri baat khatam hui to sab ke sab mujhe ghoor ke dekh rahe the, papa ko gussa aane laga. Vo mere paas aaye aur unhone mera collar pakad liya, mai to apne gusse me paagal ho gaya tha. Maine bhi gusse me papa ke collar pakad liya, ye dekhkar Sujata hume chhudaane aayi par hum dono alag hone ka naam hi nahi le rahe the. Maine gusse me Sujata ko zor ka dhakka diya to uska sar jaake seedha table se takraaya, uske sar pe cut pad gaya tha aur khoon behne laga tha. Papa aur Anil ne Sujata ki haalat dekhi to vo turant uske paas daud gaye, baaki sab bhi Sujata ke paas aa gaye aur use sahaara deke khada karne lage.

Dadi--arre iska itna khoon beh raha hai, ise turant hospital le chalo.

Papa ne use uthaaya aur fir sab use lekar hospital ke liye nikal gaye, mai to wahin apne gusse ke saath khada tha. Thodi der mai wahaan khada raha aur fir apne room me jaake maine darwaaza andar se band kar diya.

Shaam 6 baje:-

Sab ghar waapis aa chuke the, Sujata ke sar par chot kaafi gehri lagi thi jiske vajah se stitches aaye the. Chacha ko jab is baare me pata chala to vo bhi office se jaldi ghar aa gaye, sab log us waqt mere baare me hi baat kar rahe the. Mai apne kamre me tha lekin fir bhi un sabki baatein saaf sun paa raha tha.

Sujata--dekha na aaj kya kiya usne, aapka collar pakad liya,mujhe dhakka dekar gira diya. Aap use ghar se nikaal dijiye abhi ke abhi.
Chachi--didi, ye aap kya keh rahi ho? Vo is ghar ka beta hai, aise kaise use ghar se nikaal sakte hain hum.
Sujata--ghar ka beta hokar vo aisi harkatein kar raha hai Rama, aaj usne apne papa aur mujh pe haath uthaaya hai. Ho sakta hai kal ko bachon par bhi haath uthaana shuru kar de.
Chachi--didi, galti aap ki bhi hai. Aap agar uski maa ko kuch naa bolti to vo ye sab kabhi na karta.
Sujata--tujhe uspe bada pyaar aa raha hai Rama, aisa kya jaadu kar diya hai usne tujh pe jo uski galti hone ke baad bhi tu usi ke gun gaa rahi hai. Kahin pasand to nahi aa gaya tujhe vo.
Dadi--Sujata, zabaan sambhaal ke baat kar. Jo mooh me aa raha hai, vo bole jaa rahi hai. Bolne se pehle kuch to soch le 1 baar.
Sujata--aap sirf mujhe hi bol rahi hain maa ji, use koi kuch nahi bol raha hai. Sab galti aapki hai maaji, aap ne hi use itni chhoot de rakhi hai. Agar uske papa ki tarah aapne bhi use thoda tight rakha hota to aaj uski vo sab karne ki himmat bhi nahi hoti.
Chacha--bhabhi, shaant ho jaaiye aap. Please aap apni tabiyat mat kharaab kijiye.
Sujata--shaant karwaana hai to apni biwi aur maa ko karwa Hari jo us Samar ke gun gaa rahi hain. Anil ke papa, aap meri 1 baat ab dhyaan se sun lijiye. Aap use ghar se nikaal dijiye varna mai aur Anil ye ghar chhod ke chale jaayenge, ab faisla aapka hoga ki is ghar me kon rahega aur kon nahi.

Ye bolke Sujata Anil ko saath leke apne kamre me chali gayi, 1-1 karke baaki sab bhi apne-2 kamro me chale gaye. Mai apne room me pada hua soch raha tha ki aage mujhe kya karna chahiye, thodi der mai bed par pada raha aur uske baad maine socha ki chhat par chalte hain aur thoda dimaag ko shaant karte hain. Jaise hi mai chhat par pahocha to maine dekha ki papa aur chacha chhat par baithkar sharaab pi rahe the aur aapas me baat kar rahe the. Mai seedhiyon par khada ho gaya taaki vo mujhe dekh naa paaye aur mai unki baatein sunane laga.

Papa--Sujata aur Anil ko mai nahi jaane de sakta Hari, vo dono chale gaye to meri zindagi to sooni pad jaayegi.
Chacha--bhaiya, unhe rokoge to aapko Samar ko ghar se nikaalna padega.
Papa--arre ab vo jiye ya mare, mujhe ghanta farak nahi padta.
Chacha--aisa kyon bol rahe ho bhaiya, vo aapka beta hai.
Papa--nahi chahiye aisa beta mujhe, arre aaj jo usne kiya hai, koi beta karta hai kya apne baap ke saath.
Chacha--maaf karna bhaiya lekin baat usne sach hi kahi thi. Nirmala bhabhi ke jaane ke baad aapka farz banta tha ki aap use baap aur maa dono ka pyaar de lekin aap ne aisa kuch bhi nahi kiya. Aap ne kabhi bhi usse pyaar se baat nahi kari, vo hamesha aapki shaabashi paana chahta tha isliye usne apni life me chhoti-2 cheezein achieve kari lekin shaabashi dene ke bajaaye aapne use sirf daanta. Kabhi-2 aapko aur use dekhta hoon to lagta hai ki abhi bhi mai office me hi hoon jahaan aap boss ho aur Samar aapka employee. Aap ya to use daant dete ho yaa use khari khoti sunaate rehte ho, 1 baar pyaar se usse baat karne ki koshish karo bhaiya, shaayad haalaat kuch behtar ho jaayein.
Papa--ae Hari, zyaada gyaan mat de mujhe. Peena hai to pi varna nikal yahaan se aur haan, us Samar ki ab koi baat nahi karni mujhe.

Papa ki baat sunke mai waapis apne kamre me aa gaya aur waapis bed par let gaya. Lete-2 mai ye sochne laga ki mujhe aage kya karna chahiye.

Mai(mann me)--koi mujhe is ghar me nahi chahta hai, mai in sab par sirf bojh ban raha hoon. Mujhe yahaan se chale jaana chahiye, haa yahi sahi hoga. Mai kal subah yahaan se hamesha ke liye chala jaaunga aur fir kabhi is ghar ke logo ko apni shakal nahi dikhaaunga.

Thodi der mai ye sab sochta raha aur fir maine Varun ko call kar diya. Maine use scooty leke ghar aane ko kaha aur fir mai bhi ghar se baahar nikal gaya, thodi der baad Varun aa gaya to mai use lekar pehle 1 theke par gaya aur wahaan par maine apne liye 2 beer ki bottle le li. Dusri dukaan se maine Varun ke liye 1 badi pepsi aur kuch chakna le liya, uske baad hum log 1 park me chale gaye. Shaam ke 7:30 baj chuke the, chaaro taraf andhera chhaaya hua tha. Park me is waqt mere aur Varun ke alaawa aur koi nahi tha, maine park me beer peeni shuru kar di. Varun bhi apni pepsi ke sip lene laga, maine 1 sutta jala liya aur beer ke saath-2 sutta sulgaane laga.

Varun--abbe tujhe pata chala, Sri Lanka ka prime minister bomb blast me maara gaya. Uski rally nikal rahi thi ki tabhi uski gaadi me blast ho gaya.
Mai--abbe madarchod, tujhe yahaan maine bomb blast discuss karne ke liye nahi bulaaya hai.
Varun--acha theek hai, ye bata ki ghar pe sab kuch theek hai?
Mai--lauda kuch theek hai, aaj lad liya mai apne baap se.
Varun--kya baat kar raha hai? Poori baat bata bhai.
Mai--to hua yun...(uske baad maine Varun ko ghar pe huye saare kaand ke baare me bata diya)
Varun--maadarchod.....to ab koi tujhe ghar pe rakhna nahi chahta.
Mai--mai khud us ghar me rehna nahi chahta, wahaan ab mere liye kuch bhi nahi bacha hai. Kal subah mai ghar chhodke chala jaaunga, jaane se pehle socha ki aakhiri baar tujhse mil loon. Tune itne din sambhaala hai mujhe to tera itna jaanane ka haq banta hai.
Varun--par tu jaayega kahaan bhai?
Mai--soch raha hoon ki mama ke paas gaaon chale jaaun, wahaan jaake mai unki dukaan me kaam kar lunga kuch. Mama bhi mujhse bahot pyaar karte hain, vo mana nahi karenge mujhe apne paas rakhne ke liye. Thode bahot paise ikkatha ho jaaye to kahin aur chala jaaunga aur fir wahi kuch kaam dhoond loonga.
Varun--tere gharwaalon ko pata hai tere is faisle ke baare me?
Mai--kya hi karenge vo ye sab jaankar, kal mai chala jaaunga to unki aur meri, sabki life sorted ho jaayegi.
Varun--padhaai ka kya karega?
Mai--dekh loonga kuch na kuch bhai, tu meri chhod aur ye bata ki aunty ne kya bola aaj.
Varun--wahi usual, Samar se door reh blah-2. Arre bhai, vo nahi samajh sakti apni dosti. Unhe ghanta nahi pata ki tune aaj mujhe bachaane ke liye itna bada jhooth bola hai, unhe to bas ye lagta hai ki tu mujhe bigaad raha hai.
Mai--koi baat nahi bhai, tere liye to itna kar hi sakta hoon mai. Aunty ko mera bye bol dena aur unse ye bhi bolna ki khaana bada acha banaati hai vo, unke haath ka khaana khaake maa ki yaad aa gayi mujhe.

Hum dono wahaan lagbhag 1 ghanta gappe maarte rahe, itni der me maine apni dono beer khatam kar li thi. Varun ke saath gappe maarke bada acha lag raha tha, bhale hi humaari dosti ko 1.5 saal huye the lekin fir bhi humaari dosti bahot zyada hi gehri ho gayi thi. Uske baad hum dono ghar ke liye nikal gaye, Varun ne mujhe mere ghar chhoda. Jaane se pehle vo mere gale laga aur fir jab alag hua to mujhse bol pada.

Varun--1 baar fir se soch le bhai.
Mai--soch liya hai bhai, decision final hai mera. Vaise bhi delhi se mann bhar gaya hai, ab jitna yahaan se door rahun, utna hi meri sehat ke liye acha hoga.
Varun--theek hai, apna khayaal rakhna aur saale phone karte rehna.
Mai--tu bhi apna khayaal rakhna, zinda rahe to baar-2 milenge aur nahi rahe to seedha haridwaar milenge. Bye bro.
Varun--bye.

Uske baad Varun apne ghar ke liye nikal gaya, maine bell bajaayi to darwaaza chachi ne khola. Unhe shaayad mere mooh se beer ki badboo aa gayi to vo gusse se mujhe dekhne lagi, maine unhe andekha kiya aur apne room me aa gaya. Room me aate hi mai bed par let gaya, thodi der me chachi khaana leke aayi par maine khaana khaane se mana kar diya. Chachi ne plate wahin table par rakh di aur fir vo apne kamre me chali gayi, unke jaane ke baad mai thodi der bed par pada raha aur fir maine 1 chhote se bag me apne kapde aur zaroorat ka saaman pack karna shuru kar diya. Jab packing khatam ho gayi to mai subah hone ka intezaar karne laga, intezaar karte-2 pata nahi kaise meri aankh lag gayi. Aaj pata nahi kitne din baad mujhe neend aayi thi, shaayad dil me sukoon tha ki jo itne saal se mere dil me papa ka darr tha, aaj maine uspe kaaboo paa liya tha. Ab aage ki zindagi kaisi bhi ho, kam se kam mujhe aise roz-2 apni beizzati to nahi karwaani padegi.
Agli subah meri neend apne aap 6:30 baje khul gayi, uthate hi mai fresh hua aur uske baad apna bag leke ghar se nikalne laga. Jaane se pehle maine 1 baar dadi ke kamre me jhaanka to vo so rahi thi, maine mann hi mann bhagwaan se prarthana kari ki vo meri dadi ko hamesha khush rakhe. Uske baad mai dabe paaon ghar se jaane laga, mai abhi ghar ke main gate par pahocha tha ki tabhi mujhe peeche se aawaz aayi, kisi ne mujhe mera naam leke pukaara tha. Maine palat ke dekha to chacha mujhse thodi doori par khade the.

Chacha--kahaan jaa raha hai?
Mai--vo.....vo mai ye ghar chhod ke jaa raha hoon.
Chacha--apne kamre me jaa....
Mai--aapke bolne se mai nahi rukne waala chacha.
Chacha--tune suna nahi maine kya bola, apne kamre me jaa.
Mai--aur wahaan jaake kya karun, intezaar ki kab koi dobaara meri ya meri maa ki beizzati kare.
Chacha--nahi, apne kamre me jaana aur school ke liye taiyaar ho jaana.
Mai--kya.....school se nikaal diya gaya hai mujhe.
Chacha--mai aakhiri baar tujhse bol raha hoon, apne kamre me jaa aur school ke liye taiyaar ho jaa. Mai aaj tere saath tere school chalunga, tere principal se baat karni hai mujhe.
Jabardast update....bhai.🤟💥

🤨Ab cacha kya karange?
 
Last edited:

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,277
38,718
258
Update-49

Mai zameen par baitha hua tez-2 saanse le raha tha ki tabhi mera dhyaan waapis us reporter ki baaton par gaya.

Reporter--mrit logo ke shareer ko ambulance dwaara xxxxx hospital le jaaya gaya hai.

Jaise hi maine hospital ka naam suna to mai khada ho gaya, maine fatafat Varun ko call kiya. 2-3 ring ke baad usne call uthaai.

Mai--bhai, jaldi se ghar aa jaa. Apne ko hospital chalna hai.
Varun--hospital kyo jaana hai bhai?
Mai--bhai, mujhe pata karna hai ki jo ye news waale dikha rahe hain vo sach hai ya jhooth.
Varun--bhai rehne de, aisa karke sirf dard.....
Mai(chillake)--maa ke bhosde me gaya dard, tune suna jo maine kaha. Jaldi scooty leke mere ghar aaja.

Ye bolte hi maine call kaat di aur ghar se nikalne laga, maine itni zor se gaali baki thi ki ghar ke lagbhag sabhi logo ne sun liya tha aur vo bhi us kamre me aa gaye the. Dadi ne mujhe hadbadi me baahar jaate huye dekha to vo mujhe rokne lagi, lekin mai unki baat bina sune baahar bhaag gaya. Thodi der baad Varun aa gaya to mai uske saath us hospital ki taraf nikal gaya, kareeb aadhe ghante baad hum us hospital pahoche. Jab tak Varun scooty park karta tab tak mai bhaagta hua hospital me ghus gaya aur turant receptionist ke paas pahoch gaya.

Mai--vo kal raat Yamuna expressway par 1 car ka aacident hua tha, victims kahaa par hai.
Receptionist--teeno victims mar chuke the, unki laash is waqt morgue me hai.
Mai--kahaan par hai morgue?
Receptionist--aap un logo ke kya lagte hain?
Mai(serious hoke)--aap vo sab chhodiye aur bataaiye morgue kahaan hai.

Mujhe serious hote dekh receptionist darr gayi aur usne mujhe murdaghar ka raasta bata diya, mai bhaagta hua us taraf gaya. Varun bhi mere peeche daudta hua aa raha tha, jaise hi mai murdaghar ke paas pahocha to Varun ne mera haath pakad liya.

Varun--kahaan jaa raha hai?
Mai--mujhe 1 baar check karna hi padega.
Varun--mat jaa mere bhai, please mat jaa. Tujhe sirf dard hoga mere bhai.
Mai--bhai zaroori nahi hai ki vo Aanchal ki family ho, ho sakta hai ki koi dusri family ho. Mujhe 1 baar dekh ke to aa jaane de.
Varun--meri baat maan, chal yahaan se.

Varun mujhe kheechte huye wahaan se le jaane laga to maine use dhakka deke gira diya aur murdaghar ke andar ghus gaya. Jaise hi mai andar ghusa to 1 zor ki gandh meri naak me ghus gayi, wahaan saans lene me bhi mujhe dikkat aa rahi thi. Maine apni naak ko apne haath se dhaka aur aaspaas dekhne laga, wahaan mujhe 1 wardboy dikh gaya jiski shaayad wahin ki duty thi. Mai turant uske paas gaya aur usse puchne laga.

Mai--bhai, kal raat jo Yamuna expressway par aacident hua tha, usme jo log mare hain mujhe unki laash dekhni hai.
Wardboy--aap kon ho bhaisaahab.
Mai--bhai mujhe shaq hai jise mujhe door karna hai, 1 baar vo laash dikhaado please.
Wardboy--permission leke aaye ho kya?
Mai--permission....
Wardboy--nahi leke aaye ho to nikalo yahaan se.

Vo mujhe dhakka deke baahar nikaalne laga to maine uska collar pakad liya aur use kheech ke apne paas le aaya.

Mai--bhosdike chupchaap laash dikha, zyada bakwaas karega to inke saath tujhe bhi leta doonga. Maadarchod dikha jaldi.

Mai is waqt bahot hi zyada gusse me tha, mera gussa dekh ke wardboy ki fatt gayi aur usne mujhe 1 taraf ishaara kar diya. Maine us taraf dekha to wahaan stretchers par 3 laashein rakhi hui thi jinka chehra safed kapde se dhaka hua tha. Maine us wardboy ko chhoda aur un laashon ke paas chala gaya, laashon ke paas pahochkar maine apne haath ko kapda hataane ke liye badhaaya. Mere haath is waqt bahot zyada kaamp rahe the, mann hi mann mai bhagwaan se prarthana kar raha tha ki please in me se koi bhi laash Aanchal ki na ho. Badi hiimmat jutaake maine pehli laash ke kapde ko pakda aur use hata diya, kapda hatate hi mujhe laash ka chehra dikhaai diya aur us chehre ko dekhte hi meri rulaai chhoot gayi.

Mai--nahi nahi ye nahi ho sakta, ye nahi ho sakta naahhhiiiiiii..........

Mai bahot tez chillaya aur us laash ka chehra pakad ke rone laga, vo kisi aur ki nahi balki meri Aanchal ki laash thi. Uske sar par 1 chot ka nishaan tha aur uska chehra baayi taraf se poora chhil chuka tha. Mere chillane ki aawaz shaayad baahar tak chali gayi thi jiski wajah se Varun bhi andar aa gaya aur mujhe rota dekh mere paas aake khada ho gaya. Jaise hi usne laash ko dekha to 1 baar ko uska bhi mann paseej gaya, mai to paagalo ki tarah bas roye jaa raha tha. Varun ne mere kandhe par haath rakha to mai uske gale lag gaya aur foot-2 ke rone laga, rote huye mai bas yahi soch raha tha ki kaash ye 1 bura sapna ho aur jald hi ye khatam ho jaaye par aisa nahi tha. Ye sab haqeeqat tha aur meri Aanchal mujhe hamesha ke liye chhod ke jaa chuki thi.

2 hafte baad:-

Mai is waqt Varun ke room me uske bed par leta hua tha, raat ke 9 baj chuke the. Mujhe is waqt ghar jaana chahiye tha par ab gharwaalon se mera koi khaas moh reh nahi gaya tha, mai leta-2 soch raha tha ki kaise achanak meri sooni zindagi me dher saari khushiyaan aayi aur kaise achanak 1 baar aur mujhse sab kuch chhin gaya. Maa ke jaane ke itne saalo baad Aanchal meri zindagi me aayi thi dher saari khushiyan lekar lekin shaayad oopar waale ko kuch aur hi manzoor tha, shaayad isliye usne Aanchal ko mujhse chheen liya. Aanchal ke chale jaane ke baad mai toot sa gaya tha, dinbhar bas rota rehta tha ya paagalo ki tarah use yaad karta rehta tha. Aanchal aur uske parents ka antim sanskaar uske chacha ne kiya tha, mai gaya tha wahaan. Meri aankho ke saamne meri Aanchal raakh me mil gayi thi, us din mai raat ko 9 baje tak shamshaan ghaat me baitha raha. Meri jagah koi aur hota to darr ke maare sooraj doobne se pehle hi bhaag jaata par ab to darr bhi khatam hone laga tha, andar kuch reh gaya tha to vo tha dukh, sab kuch kho dene ka dukh.
Uske baad mai ghar waapis aa gaya tha. Ab to gharwaalon ki shakal dekhne ki bhi ichha khatam ho gayi thi isliye agle din se maine school jana shuru kar diya, school me bhi ab mann nahi lagta tha. Wahaan bhi Aanchal ki yaadein mujhe kaatne ko daudti thi, 1 naya chutiyaapa bhi shuru kar diya tha humaare school ne. Jis student ke bhi kisi subject me kam marks aaye the, use school ke baad extra class ke liye rukna padta tha. Mere bhi hindi me kam marks the to mujhe Neetu ki extra class ke liye rukna padta tha, school ke baad mai seedha Varun ke ghar aa jaata aur raat ko 10 baje tak wahin rukta. Khaana bhi mai usi ke yahaan khaata tha, ichha to nahi hoti thi par Varun zabardasti khila deta tha. 10 baje mai apne ghar ke liye nikal jaata, jab ghar pahochta to papa aur dadi mujhe ghar na aane ke liye daantate the par unki baat ansuni kar ke mai chhat waale kamre me chala jaata. Chachi bhi aati thi mere paas mujhe dilaasa dene par unke dilaase ka mai kya karta, vo bhi mere paas thodi der baith ke baatein karti par mai unhe koi jawaab nahi deta. Aakhir me thak-haarkar vo bhi apne kamre me chali jaati, uske baad mai bed par leta hua chhat ko dekhta rehta aur Aanchal ko yaad karta rehta. Raat bhar neend to aati nahi thi to bas jaagte huye raatein kat rahi thi, agle din fir se wahi loop shuru ho jaata.
Mai apne khayaalo me khoya hua tha ki tabhi Varun 1 thaali me mere liye khaana leke aa gaya.

Varun--Sam, chal uth. Khaana khaa le bhai.
Mai--ichha nahi hai bhai, aaj rehne de. Please aaj zabardasti bhi mat kariyo.
Varun--khaa le bhai, khaana nahi khaayega to tabiyat kharaab ho jaayegi.
Mai--gaand maraaye tabiyat, mujhe nahi khaana.....

Varun ne meri baat suni aur plate table par rakh di, mai abhi bhi chhat ko taade jaa raha tha. Mujhe gehri soch me dooba hua dekhkar Varun ne mujhse sawaal kiya.

Varun--kya soch raha hai bhai?
Mai--mai soch raha tha ki hum sab zindagi se kitni umeedein karte hain aur zindagi 1 jhatke me humaari umeedon ki maa chod deti hai(ye bolte huye mai bed par baith gaya) tujhe pata hai, jab Aanchal jaa rahi thi to maine khudse waada kiya tha ki 1 din uski nazaron me apne pyaar ki sachaai saabit karunga lekin mujhe to vo mauka mila hi nahi. Mere saath hi kyon Varun, mai jab bhi zindagi se mauka maangta hoon to zindagi meri gaand kyon maar leti hai.
Varun--life is unfair Sam. Aksar aisa hota hai ki hum kuch sochte hain ki hum ye karenge par kuch aisa ho jaata hai ki hum vo nahi kar paate, tu bhi apni sachaai saabit karna chahta tha par nahi kar paaya. Koi baat nahi bro, Aanchal agar oopar se tujhe dekh rahi hogi to ab use tere pyaar ki sachaai pata chal gayi hogi.
Mai--ye bhi unfair hai, vo kam se kam mujhe oopar se dekh to paa rahi hai aur mai bas yahi prarthana kar raha hoon oopar waale se ki 1 baar mujhe Aanchal ki jhalak dikha de.
Varun--vo tere paas hi hai bro, 1 baar aankh band kar to vo tujhe zaroor dikhaai degi.
Mai--try kar chuka hoon, kuch dikhta hai to sirf uski laash. Mai use aise nahi dekhna chahta Varun, mai use fir se haste, muskurate, mujhe pyaar se dekhte huye dekhna chahta hoon.

Ye bolkar mai bed se utha aur gate ki taraf badh gaya to Varun ne mujhe rok kar poocha.

Varun--kahaan jaa raha hai bhai?
Mai--ghar jaa raha hoon.
Varun--gharwaalon se baatcheet shuru hui.
Mai--nahi, aur karni bhi nahi hai.
Varun--kab tak aisa karega tu, kabhi na kabhi to baat karni hi padegi na.

Maine uski baat ansuni kar di aur wahaan se nikal gaya, jaate-2 Varun ne chillake mujhe khaana khaake jaane ko kaha lekin mai fir bhi nahi ruka. Thodi der baad mai apne ghar pahocha to chachi ne gate khola, vo mujhe dekh ke halka sa muskurai par mai unhe andekha karke chhat waale room me chala gaya. Mai bed par let gaya aur fir se Aanchal ki yaadon me kho gaya.
Agli subah mai naha-dhokar fatafat taiyaar hua aur bina nashta kiye school chala gaya, school me ab mai zyada kisi se baat nahi karta tha. Mere khaas dost bhi mujhe hasaane ke liye bakchodi karte par mai unhe bhi response nahi deta tha. Thodi der try karne ke baad vo bhi chupchaap apni jagah par baith jaate. Lunch me bhi jab vo sab canteen jaate to mai class me hi baitha rehta, Varun waapis aate huye mere liye samosa le aata tha to mai vo khaa leta tha. Aaj bhi lunch me mai class me akela baitha hua tha ki tabhi kisi ne mere kandhe par haath rakha. Maine palatkar 1 baar us shaqs ki taraf dekha aur fir mera dimaag garam hone laga, vo shaqs koi aur nahi balki Meera thi.

Meera--hi Samar.
Mai--kya kar rahi ho tum yahaan?
Meera--mai tumhaara dukh baatne aayi thi, mai tumhe aise nahi dekh sakti. Tum pehle kitne ache the, hasi mazaak karte rehte the aur ab dekho, aise lagte ho jaise bilkul toot chuke ho.
Mai--thanx, par mujhe tumhaare saath koi dukh nahi baatna hai.
Meera--aise kaise nahi baatna, agar kisi ke saath apna dukh nahi baatoge to andar hi andar ghut-2 ke marr jaaoge aur mai aisa kabhi nahi hone doongi. Mai tumhe nahi dekh sakti aise dukhi, tumhe aise dekhti hoon to mera dil jalne lagta hai.
Mai--to fir ye dukh kyon diya tumne mujhe?
Meera--maine.....maine kab tumhe dukhi kiya Samar.
Mai--tumne hi to Aanchal ki mummy se kaha tha ki maine tumhaara istemaal karke tumhe chhod diya tha, tum pregnant bhi hui thi aur tumhe abortion bhi karwaana pada tha.
Meera--ye tum kya bol rahe ho Samar, mai aisa kyon karungi tumhaare saath.

Uski baat sunke mujhe gussa aa gaya aur maine table par 1 zordaar mukka de maara, uski aawaz itni tez thi ki Meera darr gayi aur thoda peeche hatt gayi.

Mai--jhoot mat bolo tum, mujhe sab pata hai ki tumne kya kiya hai. 1 baat bataao, kahaan se banwaai thi tumne vo jhoothi report?

Maine ye bolte huye apni power activate ki aur uska dimaag padhne laga, usne vo report khud banaai thi photoshop karke. Mujhe uski soch pe itna gussa aa raha tha ki maine uske gaal par 1 thappad raseed diya, thappad padte hi vo 1 bench par gir gayi. Class me is waqt jo log maujood the vo hume dekhne lage the, 1-2 ladke to meri taraf aane bhi lage par maine unhe aankh dikhaayi to vo wahin ruk gaye. Maine Meera ke baal pakde aur uske gaal par 1 aur thappad de maara.

Mai--tum jaanana chahti thi na ki mai tumse kyon pyaar nahi karta hoon, isliye pyaar nahi karta hoon mai tumse. Tumhaara mann, tumhaari aatma itni kaali aur gandi hai ki tumhaare paas aane me bhi mujhe ghinn aati hai. Tum kya jaano pyaar ka matlab, pyaar ka matlab sirf paana hi nahi hota balki jisse pyaar karte ho uski khushi hota hai. Par ye baat tum kaise samjhogi, mai tumhaari mohabbat thodi na hoon, mai to tumhaari zid hoon. Ab meri 1 baat dhyaan se sunlo, photoshop mujhe bhi aata hai aur tumse 10 guna better aata hai. Agli baar agar tumhaara saaya bhi mere paas aaya na to khoob saari gandi-2 photos, videos aur 1 farzi report mai bhi banaaunga aur use FB par post karke tumhaari poori family ko tag kar doonga. Vo sab photos aur videos sirf tumhaari nahi hongi, tumhaari maa aur behan ki bhi hongi. Aur haa, police ki dhamki mujhe mat dena. Mere paas jo kuch bhi bacha tha khone ke liye, vo sab mai kho chuka hoon. Ab mujhe kisi baat ka darr nahi hai, now fuck off.

Ye bolte huye maine use dhakka diya aur waapis apni seat par baith gaya, vo thodi der mujhe dekhti rahi aur fir wahaan se chali gayi. Mai apne gusse me jalta hua wahin class me baitha raha.
Aaj chhutti se pehle waale humaare sports ke period the to mai poori class ke saath ground par chala gaya, Amir aur Sameer to dusare section ke laundo ke paas chale gaye unhe football match ke liye challenge karne. Mai jaake ground pe 1 kone me jaake baith gaya, thodi der baad match ke liye sabhi players ground me apni-2 position par khade ho gaye. Mai chupchaap baitha hua tha ki tabhi Bhaanu ne mujhe aawaz lagaayi.

Bhaanu--Sam, humaari team me 1 player kam hai. Aaja bhai, tu hi khel le.
Mai--mujhe nahi khelna bhai, tum log dusra koi dhoond lo.
Varun--kya nakhre kar raha hai bhai, aaja na yaar.
Mai--abbe bola na nahi khelna mujhe, 1 baar me samajh nahi aata.

Meri baat sunke vo sabhi log chup ho gaye par tabhi mujhe 2 laundo ki aawaz sunaayi di, maine unki taraf dekha to vo Chiraag aur Anees the, wahi Kuldeep ke dost jinhe mere dosto ne pela tha jab Kuldeep Aanchal ke saath bakchodi kar raha tha.

Chiraag--kya hua Sam, fatt gayi kya?
Anees--abbe rehne de bhai, konsa ye aa jaayega to inki team jeet jaayegi. Haarna to inhe fir bhi hai.
Chiraag--abbe Sam, tu kab se haar se darrne laga be.
Mai--ae bhosdike, teri gaand me darr bhar doonga agar ab tune bakchodi kari to.
Anees--abbe Chiraag, use football khelna kahaan aata hai bhai. Use to sirf bhaagna aata hai, kabhi-2 to darr ke maare bhi bhaag jaata hai vo.

Un dono ki baat sunke mujhe gussa aa gaya aur maine Varun se keh diya ki mai bhi khelunga. Thodi der me game start ho gaya, dono hi teams bahut rough game khel rahi thi. Dekhne vale logon ko aisa lag raha tha jaise football ka match nahi mahabharat ka yudh chal raha ho. Chiraag bahut zyada cheating kar raha tha, vo kabhi-2 mere team ke players ko dhakka deke gira deta aur aise jataata jaise vo galti se gira ho. Match me 1 time aisa aaya jab Varun ne ball mujhe pass ki, mai ball leke goal post ke bahut paas pahuch gaya ki tabhi Chiraag peeche se aaya aur mujhe dhakka deke gira diya. Mai chhati ke bal zameen par gir gaya, jaise hi maine mud ke dekha to Chiraag smile kar raha tha. Mai khada hua aur Chiraag ko maarne jaane laga lekin Varun ne mujhe rok liya

Mai(chillate huye)--dhang se khel le bhosdike Chiraag, varna yahi teri maa chud jayegi aaj.

Thodi der mai Chiraag ko gusse se dekhta raha aur fir maine khelna continue kar diya, kuch der game aise hi chalta raha. Score abhi bhi 0-0 tha, kuch der baad Varun ke paas ball aayi aur vo goal karne jaane laga to Chiraag aur Anees ne Varun ko dhakka diya, Varun hawa me uchal gaya aur muh ke bal zameen par gir gaya. Jab vo utha to uski naak se khoon beh raha tha, ye dekhkar Chiraag aur Anees hasne lage

Chiraag--abbey chutiye, jab khelna nahi aata to kyo aate ho field par
Anees--saale abhi bhi time hai chala jaa field se, ya haath pair tudwa kar hi jaayega

Ye sunte hi mera paara garam ho gaya aur maine peeche se jakar Chiraag ki gardan par 1 thappad raseed diya. Achanak huye prahar se Chiraag sambhal nahi paya aur zameen par gir gaya, ye dekhte hi Anees mujhe maarne ke liye mujh par lapka lekin maine 1 haath se Anees ka collar pakad liya aur doosre haath se Anees ke oopar ghuson ki barsaat kar di. Achanak Chiraag peeche se aaya aur mujhe peeche se maarne laga, Anees aur Chiraag dono mujhpar haawi hone lage. Ye dekhkar Varun bhi hamari ladai me ghus gaya aur Anees ko maarne laga, ye dekhte hi dono sections me josh aa gaya aur dono section ke students aapas me ladne lage. Football ground par gang war shuru ho gaya tha, mai Chiraag par andhadhun ghuson aur thappadon ki baarish kar raha tha. Uske badle vo bhi mujhe thappad maar raha tha lekin us saale ke 5 thappad mere 1 thappad ke barabar the. Maine Chiraag ko zameen par gira diya aur uske oopar chadhke uske chehre par mukke maarne shuru kar diye. Achanak mujhe Varun ki aawaz sunayi di, vo mujhe madad ke liye bula raha tha. Jab meri nazar uspar padi to maine dekha Anees use berahami se maar raha tha, mai Varun ki help karne uske paas gaya aur Anees ko collar se pakad kar fir se use maarne laga. Achanak Chiraag peeche se aaya aur firse usne mujhpar peeche se vaar kiya. Anees aur Chiraag firse milkar mujhe maarne lage the, lekin 1 baar aur Varun mujhe bachaane aa gaya. Vo achanak Anees ke kandho par chad gaya aur usne Anees ki gardan par daant gada diye. Anees dard ke maare chillane laga aur mujhe chhodkar khud ko varun se chhudane laga, itne me mujhe sambhalne ka mauka mil gaya aur maine dhakka dekar Chiraag ko zameen par gira diya. Uske baad maine vo kiya jis ki kisine umeed nahi ki thi, maine 1 laat Anees ke tatton par maar di. Anees dard ke maare chillane laga aur zameen par gir gaya, Varun uske oopar chad gaya aur use maarne laga. Mera poora focus Chiraag pe chala gaya, mai us time itne gusse me tha ki mera mann kar raha tha saale ko jaan se maar du aur isi gusse me maine apna 1 joota utaar liya Chiraag ko maarne ke liye. Chiraag achanak mujhpar lapka aur usne mere chehre par 3-4 mukke maar diye, jawab me maine Chiraag ke muh par apna joota de maara. Chiraag peeche hata to maine uske chehre par firse apna joota maar diya, Chiraag mujhse bachne ke liye bhaagne laga to mai bhi uske peeche dauda. Maine Chiraag ko pakada aur use vahi giraakar firse joote se maarne laga. Itne me Sharma sir peeche se aaye aur mujhe pakadkar Chiraag se alag karne lage, maine apne aap ko unki pakad se aazad kiya aur gusse me joota unke chehre par bhi ghuma diya. Jaise hi joota unke chehre par pada to vo sambhal nahi paaye aur zameen par gir gaye, maine 1 baar Sharma ko dekha aur fir mujhe us behan ke laude Sharma ki harkat yaad aa gayi. Sharma zameen se uthne laga to maine uski gaand par 1 laat de maari jisse vo fir zameen par gir gaya, mai uske oopar chadh gaya aur uske chehre par bhi joote se maarne laga. Sharma zameen par pade bas karha raha tha aur mujhse chhootne ki koshish kar raha tha par maine use na chhoda aur joote se pelta raha. Itne me Arun sir achanak field par aa gaye aur zor se chillake hum sab ko rukne ko bola, baaki sab to ruk gaye lekin mai naa ruka aur Sharma ko maarta raha. Jab Varun ne dekha ki mai nahi ruk raha hoon to vo mujhe rokne aaya, uske sath-2 Arun sir ne bhi mujhe pakad liya. Unhone mujhe kheech kar Sharma se alag kiya, mai unse chhootne ki koshish karta raha taaki Sharma ko dobaara pel sakun. Jab mai na ruka to Arun sir ne mere gaal pe 1 thappad de maara, thappad padte hi mai ruk gaya aur Arun sir ko gusse se dekhne laga.

Arun--paagal ho gaya hai Sam, maar dega kya unhe. Abbe saale ye to soch ki vo teacher hai yahaan pe. Kya, ho kya gaya hai tujhe?

Arun sir ki mai bahot respect karta tha isliye mai ruk gaya, maine 1 baar Sharma ki taraf dekha to uski haalat kharaab ho gayi thi. Saale ki naak se khoon beh raha tha, use dekhkar aisa lag raha tha ki abhi use first aid na mila to saala kuch der me mar jaayega. Maine apna joota waapis pehan liya aur 1 baar ground me chaaro taraf dekha, saare students ke kapde fatte huye the. Kisi-2 ka to khoon bhi beh raha tha, aisa lag raha tha jaise kuch der pehle yahaan toofan aaya ho aur sabki maa chod ke nikal gaya ho. Maine Arun sir ki taraf dekha to unki aankho me abhi bhi gussa tha.

Arun--had hoti hai kisi cheez ki Sam, tune aaj bahot galat kiya hai. Bhaanu, Amir aur Sameer, tum log Chiraag aur Sharma sir ko medical room leke jaao. Sam aur Varun, tum dono chalo abhi mere saath principal office.

1 ghante baad :-

Mai aur Varun principal office ke bahar baithe huye the, andar office me mere papa aur Varun ki mummy principal se baat kar rahe the. Hum baahar baithkar bhi andar ho rahi saari baatein sun paa rahe the.

Principal--dekhiye mr. Singh, ye aapke bete ki koi pehli complaint nahi hai. Aapka beta pehli bhi kayi baar aisi harkatein kar chuka hai. Maar-peet, gaali-galoch ye sab Samar ke liye aam baat hai aur pichli baar to ye class me us ladki ke saath....
Papa--sir, mai sab janta hoon. Mai kya karun sir, mai khud is se pareshaan hu. Saara din ye us Varun ke saath aawaragardi karta rehta hai...
Varun's mummy--arrey-2 bhaisahab, aap ye kya keh rahe hai. Mera Varun to padhne me hoshiyar hai, balki aap ka beta mere Varun ko bigaad raha hai. Jab tak aapke bete se nahi mila tha tab tak hamesha uske 95% se oopar aate the aur ab dekhiye, sirf 1 saal aapke bete ke sath raha aur uske sirf 92% aaye hain.
Principal--bas kariye aap dono, maine aapko aapke bachon ke baare me batane ke liye bulaaya hai aur aap aapas me hi lad rahe hai. Dekhiye, Varun aur Samar ne aaj milkar jin do ladko ko mara hai unme se 1 ki gardan par stitches aaye hai aur doosre ka to 1 daant toot gaya hai. Arre unse zyada bura haal to Samar ne Sharma sir ka kiya hai, acha badla liya hai usne Sharma sir se. Maar-2 ke naak suja di hai Sharma sir ki usne, agar un logo ko kuch ho jaata to...... dekhiye, aaj jo bhi hua bahot galat hua. Is sab ke liye aapke bachon ko mujhe saza deni padegi, maine faisla kiya hai ki mai aapke bachon ko school se nikaal raha hoon.

Principal ki baat sunke Varun bahot zyada hi shocked ho gaya, uske chehre par halka-2 darr chhaa gaya tha. Maine 1 baar use dekha to mujhe uske liye bura lagne laga, mujhe laga ki meri vajah se bechara Varun bhi fas raha hai,akhir uski galti kya thi. Sirf mujhe bachane hi to aaya tha vo, uske saath mai ye sab hone nahi de sakta tha. Maine apne andar himmat jutaai aur seedha office ke andar ghus gaya

Mai--excuse me sir.....actually saari galti meri thi. Sabse pehle maine Chiraag ko maara tha, Varun to sirf beech-bachaaw karne aaya tha. Anees ki gardan par maine kaata tha, Chiraag aur Shama sir ko bhi maine hi maara tha. Aapko jo bhi saza deni hai mujhe dijiye, Varun ki isme koi galti nahi hai.
Varun's mummy--dekha sir, mai keh rahi thi na ki saari galti isi ki hai. 1 to saara din humaare ghar me pada rehta hai aur oopar se mere bete ko bhi bigaad raha hai, sir aapko jo bhi saza deni hai ise dijiye.

Varun bhi mere peeche office me aa gaya tha, jaise hi usne apni mummy ki baat suni to vo bhi bol pada.

Varun--maa,aap ye kya bol rahi ho?
Varun's mummy--chup ho ja, tu chhota hai abhi, beech me mat bol
Principal--theek hai, aap sab bahar jaaiye. Mr. Singh, aap yahi rukiye. Mujhe aapse akele me baat karni hai

Hum sab bahar aa gaye, Varun ki mummy mujhe abhi bhi khaa jaane vaali nazaron se dekh rahi thi. Maine unhe andekha kar diya aur andar ho rahi baatein sunane laga.

Principal--dekhiye Mahipal ji, mujhe aapke bete ko school se nikalna hoga. Uski badmaashiyan bahot badhti jaa rahi hai.
Papa--sir,mai aapki baat samajh raha hu par aap bhi to meri baat samajhiye. Vaise hi vo apne 2 saal barbaad kar chuka hai, agar aapne use nikaal diya to uska 1 saal aur barbaad ho jaayega...
Principal--Mahipal ji, ye mera aakhiri faisla hai. Aap please kal aake uska school leaving certificate le jaiyega, ab aap jaa sakte hai. Aap apne sath Samar ko bhi ghar le jaaiyega

Papa aage kuch na bole aur seedhe officr se bahar aa gaye, jab papa office se baahar nikle to vo mujhe gusse se dekh rahe the. Unhone wahin pe mujhe 1 thappad maar diya, thappad ki goonj se wahaan khade sabhi log seham gaye.

Papa--chal jaldi ghar, aaj mai tujhe nahi chhodunga..

Papa ne mera collar pakad liya aur mujhe kheechte huye ghar le jaane lage, jab maine peeche mudke dekha to Varun mujhe isharon me "all the best" keh raha tha. Mera to saale ko gaali dene ka mann hua ki uske "all the best" ko kya mai apni gaand me daalu fir bhi use "thanx" ka ishaara karke mai papa ke peeche chal diya.
Awesome update
 
Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,277
38,718
258
Happy dusshera guys
Aaj humaari story ke 50 updates poore ho chuke hain
In 50 updates ke safar me mujhe jo aapki taraf se protsaahan aur aapka pyaar mila, uske liye mai aap sabhi ko thanx kehna chahunga.
In 50 updates ke safar me kabhi-2 story thoda dheemi padi lekin aap sab ne mujhe apne suggestions deke protsaahit karna jaari rakha, agar aap logo ka support na mila hota to shaayad mai kabhi 10 upadates se bhi oopar nahi likh paata.
Aaj ka update thoda special hai kyonki aap sabhi readers ne day 1 se jis cheez ki demand ki thi vo aaj maine poori kar di hai.
Is update ke baad Samar ki life me bahot bada turning point aane waala hai, vo kya hoga, ye aapko aage kahaani me pata chal hi jaayega.

Once again thank you guys
Bhai aap ko bhi Dusshera ki shubh kamnaye
Aur
Congratulations aap ko bhi 50 update pure hone par
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,411
28,444
218
Happy dusshera guys
Aaj humaari story ke 50 updates poore ho chuke hain
In 50 updates ke safar me mujhe jo aapki taraf se protsaahan aur aapka pyaar mila, uske liye mai aap sabhi ko thanx kehna chahunga.
In 50 updates ke safar me kabhi-2 story thoda dheemi padi lekin aap sab ne mujhe apne suggestions deke protsaahit karna jaari rakha, agar aap logo ka support na mila hota to shaayad mai kabhi 10 upadates se bhi oopar nahi likh paata.
Aaj ka update thoda special hai kyonki aap sabhi readers ne day 1 se jis cheez ki demand ki thi vo aaj maine poori kar di hai.
Is update ke baad Samar ki life me bahot bada turning point aane waala hai, vo kya hoga, ye aapko aage kahaani me pata chal hi jaayega.

Once again thank you guys
Happy dusshera ..bhai apko bhi &
Congrats for 50 update's
 
Awan Badshah

Well-Known Member
2,180
5,661
158
Update-50

Jab mai papa ke saath ghar pahocha to papa mujhe kheechte huye hall me le gaye aur unhone mujhe thapedna shuru kar diya.

Papa--nikamme naalayak, kar li na tune apne mann ki. Jab nahi padhna tha to kyon mera itna paisa barbaad kiya, tujhse acha to mai 1 kutta khareed leta. Uspe agar maine tere jitna paisa lagaaya hota to vo bhi tujhse zyada kaam ka hota.

Papa ye chilla-2 ke bol rahe the, unki aawaz sunke dadi, chachi aur Anil room me aa gaye, dadi ne papa ko mujhe pelte huye dekha to unhone beech-bachaaw kiya aur papa ka haath pakad ke mujhse alag kiya.

Dadi--Mahipal, paagal ho gaya hai kya? Ab kya kar diya isne jo ise aise jaanwaro ki tarah maar raha hai.
Papa--to kya karun maa, isne kaam hi aisa kiya hai ki mann kar raha hai ise jaan se maar doon.
Dadi--aisa kya kar diya isne?
Papa--aapke laadle pote ko school se nikaal diya gaya hai.
Dadi--kya.....

Dadi aur chachi ne jaise hi ye baat suni to unke mooh shock me khul gaye, vo dono kabhi papa ko dekhte to kabhi mujhe dekhte.

Dadi--kyon nikaala ise school se?

Jaise hi dadi ne ye sawaal pucha to papa ne unhe aaj school me hui saari ghatna bata di, poori baat pata chalne par dadi ko bhi mujh pe gussa aane laga.

Dadi--ye kya harkat thi Samar, apne teacher ko hi maara tune. Aise kon karta hai bhala...
Papa--ye karta hai na, pata nahi kahaan se mere ghar me ye asur paida ho gaya hai. Isne apni poori zindagi sirf mujhe dukh aur pareshaaniyan hi di hain...

Papa mujhe suna rahe the ki tabhi Sujata bhi room me aa gayi, meri nazar Sujata ke haath par gayi to mai hairaan ho gaya. Uske haath me cigarette ka packet tha, vo packet mera tha jo maine chhat waale kamre me chhipa rakha tha.

Sujata--ye dekho ji, ye packet mujhe chhat waale kamre se mila hai. Ye isne chhipa rakha tha wahaan....
Dadi--Samar, tu cigarette bhi peeta hai. Kya ho gaya hai tujhe, kahaan se seekh raha hai tu ye sab.
Papa--hey bhagwaan, kyon di hai aapne ye santaan mujhe.

Ye bolte hi papa mere paas aaye aur fir se mujhe pelne lage, vo mujhe pele jaa rahe the lekin mujhe ghanta farak nahi pad raha tha. Kuch bhi feel nahi ho raha tha, na hi maar padne ka dard ho raha tha aur na hi unki khari khoti sunke bura lag raha tha. Thodi der papa mujhe pelte rahe aur uske baad thak ke 1 kursi par baith gaye, mai abhi bhi apni jagah par khada tha.

Papa--dekho is besharam ko, abhi bhi apni jagah par khada hai. Iski jagah agar koi aur hota to sharam ke maare chullu bhar paani me doob marta.
Sujata--pata nahi kaha se aaye hai isme aise gun. Ye sab zaroor iski maa ke gande khoon ki nishani hai, pata nahi kaisi kharaab character ki aurat se shaadi kar li thi aapne.

Sujata ne jaisi hi apni baat khatam ki to mera paara saatwe aasmaan par pahoch gaya, mai sab kuch bardaasht kar sakta tha par meri maa ke baare me koi galat shabd kahe, ye mai bardasht nahi kar sakta tha. Maine table par rakha hua 1 glass uthaaya aur zameen par patak diya. Jaise hi glass foota to sabki gaand fatt ke 4 ho gayi.

Mai(chillake)--chup ho jaa saali kutiya, mere baare me jo bolna hai bol le. Agar meri maa ke baare me kuch bolegi to agla glass teri gaand me daalke fod dunga.

Meri baat sunke sabhi logo ke mooh khule ke khule reh gaye, Sujata ko to samajh hi nahi aa raha tha ki achanak mujhe kya ho gaya. Papa thodi der mujhe hairaan hokar dekhte rahe aur fir unke chehre par gussa aa gaya, vo apni jagah se uthe aur mere paas aake unhone mere gaal pe 1 thappad maar diya.

Papa--ye kya tareeka hai bado se baat karne ka, yahi sikhaaya hai maine tujhe.
Mai--papa ye bhi to meri maa chataakkkk......

Mai apni baat khatam kar pata ki usse pehle hi papa ne mere gaal pe 1 aur thappad ghuma diya, ye papa ka pehla thappad tha jisne mere dil pe chot kar di thi. Sujata ne meri maa ke baare me jo kaha uske baad bhi papa ne use kuch nahi bola lekin maine use palat ke jawaab de diya to unhone mujh pe fir se haath uthaa diya, iska matlab saaf tha. Papa ke dil me maa ke liye pyaar khatam ho chuka tha.
Papa ne mujhe dobaara maarne ke liye haath uthaaya to is baar maine vo kar diya jo pichle 19 saal me karne ki meri himmat nahi hui thi. Maine papa ka haath hawa me pakad liya aur unhe dhakka deke door gira diya, papa peeche kursi par gir gaye. Jaise hi vo sambhale to vo chilla pade.

Papa--Samar.....
Mai--chillaiye mat, bahot ho gayi aapki taanashaahi. Ye aurat meri maa ko kuch bhi bole jaa rahi hai aur aap mujhse expect karte hain ki mai chup baith ke iski bakwaas sunu. Kya bol rahe the aap kuch der pehle ki bhagwaan ne aapko kaisi santaan de di hai, arre pehle aap bataaiye ki pichle 12 saalon me aap kab mere baap bane. Mujhe school bhej dete hai aap, khaana aur kapde ke liye paisa de dete hain to kya itna kar ke aapki zimmedaariyan khatam ho gayi. Maa ko gaye 12 saal ho gaye hain, in 12 saalon me aisa koi din nahi gaya jab aapne mujhe ehsaas na karaaya ho ki mai 1 loser hoon. 1 pal bhi aisa nahi aaya in 12 saalon me jab aap mere paas baithe ho, aapne mujhse pyaar se baat kari ho. Aapko to ab bas apni ye biwi aur dusra beta Anil dikhaai deta hai. Mai to aapke ghar me pada saaman hoon jispe aapka jab mann karta hai, aap apna gussa nikaal dete hain. 1 baar bhi aapko feel nahi hua ki Anil ke alaawa aapka 1 beta aur hai aur vo apni zindagi me khush nahi hai. Kaise hi pata chalega aapko, aapko to ye Sujata ki lene se fursat mile to aapko kuch pata chale na.
Dadi--Samar, tu ye kya bol raha hai......
Mai--baat khatam karne do aap log mujhe. Ye Sujata inke liye sabkuch hai, mai kya hoon, kuch bhi nahi. Arre log apne jaanwaron ke saath aisa vyavhaar nahi karte jaisa ye mere saath kar rahe hain, kyon paal rahe ho aise aap mujhe papa. Isse badhiya to aap mujhe uthaake ghar se baahar fek do, us din maine kitna bola aapse ki chalo Aanchal ke papa se baat karlo lekin mujhe dekhte hi to aapka dil patthar ka ho jaata hai. Fir chaahe mai ro loon ya gidgida loon, aapko thodi hi kuch farak padta hai. Aapko kya dikkat hai meri khushiyon se, konsa baap apne bete ki khushiyon ki gaand maar leta hai. Aur kya bolte rehte ho aap ki mai nikamma hoon, kisi kaam ka nahi hoon. Khud aap apni zindagi me kuch haasil kar nahi paaye aur uska saara frustration aap mujh pe nikaalte ho. Aap bol rahe the na ki bhagwaan ne aapko kaisi santaan di hai, mai bolta hoon bhagwaan se ki kaash aap bhi usi din mar gaye hote jis din maa mar gayi thi, kam se kam meri zindagi ke aise laude to nahi lagte.

Meri baat khatam hui to sab ke sab mujhe ghoor ke dekh rahe the, papa ko gussa aane laga. Vo mere paas aaye aur unhone mera collar pakad liya, mai to apne gusse me paagal ho gaya tha. Maine bhi gusse me papa ke collar pakad liya, ye dekhkar Sujata hume chhudaane aayi par hum dono alag hone ka naam hi nahi le rahe the. Maine gusse me Sujata ko zor ka dhakka diya to uska sar jaake seedha table se takraaya, uske sar pe cut pad gaya tha aur khoon behne laga tha. Papa aur Anil ne Sujata ki haalat dekhi to vo turant uske paas daud gaye, baaki sab bhi Sujata ke paas aa gaye aur use sahaara deke khada karne lage.

Dadi--arre iska itna khoon beh raha hai, ise turant hospital le chalo.

Papa ne use uthaaya aur fir sab use lekar hospital ke liye nikal gaye, mai to wahin apne gusse ke saath khada tha. Thodi der mai wahaan khada raha aur fir apne room me jaake maine darwaaza andar se band kar diya.

Shaam 6 baje:-

Sab ghar waapis aa chuke the, Sujata ke sar par chot kaafi gehri lagi thi jiske vajah se stitches aaye the. Chacha ko jab is baare me pata chala to vo bhi office se jaldi ghar aa gaye, sab log us waqt mere baare me hi baat kar rahe the. Mai apne kamre me tha lekin fir bhi un sabki baatein saaf sun paa raha tha.

Sujata--dekha na aaj kya kiya usne, aapka collar pakad liya,mujhe dhakka dekar gira diya. Aap use ghar se nikaal dijiye abhi ke abhi.
Chachi--didi, ye aap kya keh rahi ho? Vo is ghar ka beta hai, aise kaise use ghar se nikaal sakte hain hum.
Sujata--ghar ka beta hokar vo aisi harkatein kar raha hai Rama, aaj usne apne papa aur mujh pe haath uthaaya hai. Ho sakta hai kal ko bachon par bhi haath uthaana shuru kar de.
Chachi--didi, galti aap ki bhi hai. Aap agar uski maa ko kuch naa bolti to vo ye sab kabhi na karta.
Sujata--tujhe uspe bada pyaar aa raha hai Rama, aisa kya jaadu kar diya hai usne tujh pe jo uski galti hone ke baad bhi tu usi ke gun gaa rahi hai. Kahin pasand to nahi aa gaya tujhe vo.
Dadi--Sujata, zabaan sambhaal ke baat kar. Jo mooh me aa raha hai, vo bole jaa rahi hai. Bolne se pehle kuch to soch le 1 baar.
Sujata--aap sirf mujhe hi bol rahi hain maa ji, use koi kuch nahi bol raha hai. Sab galti aapki hai maaji, aap ne hi use itni chhoot de rakhi hai. Agar uske papa ki tarah aapne bhi use thoda tight rakha hota to aaj uski vo sab karne ki himmat bhi nahi hoti.
Chacha--bhabhi, shaant ho jaaiye aap. Please aap apni tabiyat mat kharaab kijiye.
Sujata--shaant karwaana hai to apni biwi aur maa ko karwa Hari jo us Samar ke gun gaa rahi hain. Anil ke papa, aap meri 1 baat ab dhyaan se sun lijiye. Aap use ghar se nikaal dijiye varna mai aur Anil ye ghar chhod ke chale jaayenge, ab faisla aapka hoga ki is ghar me kon rahega aur kon nahi.

Ye bolke Sujata Anil ko saath leke apne kamre me chali gayi, 1-1 karke baaki sab bhi apne-2 kamro me chale gaye. Mai apne room me pada hua soch raha tha ki aage mujhe kya karna chahiye, thodi der mai bed par pada raha aur uske baad maine socha ki chhat par chalte hain aur thoda dimaag ko shaant karte hain. Jaise hi mai chhat par pahocha to maine dekha ki papa aur chacha chhat par baithkar sharaab pi rahe the aur aapas me baat kar rahe the. Mai seedhiyon par khada ho gaya taaki vo mujhe dekh naa paaye aur mai unki baatein sunane laga.

Papa--Sujata aur Anil ko mai nahi jaane de sakta Hari, vo dono chale gaye to meri zindagi to sooni pad jaayegi.
Chacha--bhaiya, unhe rokoge to aapko Samar ko ghar se nikaalna padega.
Papa--arre ab vo jiye ya mare, mujhe ghanta farak nahi padta.
Chacha--aisa kyon bol rahe ho bhaiya, vo aapka beta hai.
Papa--nahi chahiye aisa beta mujhe, arre aaj jo usne kiya hai, koi beta karta hai kya apne baap ke saath.
Chacha--maaf karna bhaiya lekin baat usne sach hi kahi thi. Nirmala bhabhi ke jaane ke baad aapka farz banta tha ki aap use baap aur maa dono ka pyaar de lekin aap ne aisa kuch bhi nahi kiya. Aap ne kabhi bhi usse pyaar se baat nahi kari, vo hamesha aapki shaabashi paana chahta tha isliye usne apni life me chhoti-2 cheezein achieve kari lekin shaabashi dene ke bajaaye aapne use sirf daanta. Kabhi-2 aapko aur use dekhta hoon to lagta hai ki abhi bhi mai office me hi hoon jahaan aap boss ho aur Samar aapka employee. Aap ya to use daant dete ho yaa use khari khoti sunaate rehte ho, 1 baar pyaar se usse baat karne ki koshish karo bhaiya, shaayad haalaat kuch behtar ho jaayein.
Papa--ae Hari, zyaada gyaan mat de mujhe. Peena hai to pi varna nikal yahaan se aur haan, us Samar ki ab koi baat nahi karni mujhe.

Papa ki baat sunke mai waapis apne kamre me aa gaya aur waapis bed par let gaya. Lete-2 mai ye sochne laga ki mujhe aage kya karna chahiye.

Mai(mann me)--koi mujhe is ghar me nahi chahta hai, mai in sab par sirf bojh ban raha hoon. Mujhe yahaan se chale jaana chahiye, haa yahi sahi hoga. Mai kal subah yahaan se hamesha ke liye chala jaaunga aur fir kabhi is ghar ke logo ko apni shakal nahi dikhaaunga.

Thodi der mai ye sab sochta raha aur fir maine Varun ko call kar diya. Maine use scooty leke ghar aane ko kaha aur fir mai bhi ghar se baahar nikal gaya, thodi der baad Varun aa gaya to mai use lekar pehle 1 theke par gaya aur wahaan par maine apne liye 2 beer ki bottle le li. Dusri dukaan se maine Varun ke liye 1 badi pepsi aur kuch chakna le liya, uske baad hum log 1 park me chale gaye. Shaam ke 7:30 baj chuke the, chaaro taraf andhera chhaaya hua tha. Park me is waqt mere aur Varun ke alaawa aur koi nahi tha, maine park me beer peeni shuru kar di. Varun bhi apni pepsi ke sip lene laga, maine 1 sutta jala liya aur beer ke saath-2 sutta sulgaane laga.

Varun--abbe tujhe pata chala, Sri Lanka ka prime minister bomb blast me maara gaya. Uski rally nikal rahi thi ki tabhi uski gaadi me blast ho gaya.
Mai--abbe madarchod, tujhe yahaan maine bomb blast discuss karne ke liye nahi bulaaya hai.
Varun--acha theek hai, ye bata ki ghar pe sab kuch theek hai?
Mai--lauda kuch theek hai, aaj lad liya mai apne baap se.
Varun--kya baat kar raha hai? Poori baat bata bhai.
Mai--to hua yun...(uske baad maine Varun ko ghar pe huye saare kaand ke baare me bata diya)
Varun--maadarchod.....to ab koi tujhe ghar pe rakhna nahi chahta.
Mai--mai khud us ghar me rehna nahi chahta, wahaan ab mere liye kuch bhi nahi bacha hai. Kal subah mai ghar chhodke chala jaaunga, jaane se pehle socha ki aakhiri baar tujhse mil loon. Tune itne din sambhaala hai mujhe to tera itna jaanane ka haq banta hai.
Varun--par tu jaayega kahaan bhai?
Mai--soch raha hoon ki mama ke paas gaaon chale jaaun, wahaan jaake mai unki dukaan me kaam kar lunga kuch. Mama bhi mujhse bahot pyaar karte hain, vo mana nahi karenge mujhe apne paas rakhne ke liye. Thode bahot paise ikkatha ho jaaye to kahin aur chala jaaunga aur fir wahi kuch kaam dhoond loonga.
Varun--tere gharwaalon ko pata hai tere is faisle ke baare me?
Mai--kya hi karenge vo ye sab jaankar, kal mai chala jaaunga to unki aur meri, sabki life sorted ho jaayegi.
Varun--padhaai ka kya karega?
Mai--dekh loonga kuch na kuch bhai, tu meri chhod aur ye bata ki aunty ne kya bola aaj.
Varun--wahi usual, Samar se door reh blah-2. Arre bhai, vo nahi samajh sakti apni dosti. Unhe ghanta nahi pata ki tune aaj mujhe bachaane ke liye itna bada jhooth bola hai, unhe to bas ye lagta hai ki tu mujhe bigaad raha hai.
Mai--koi baat nahi bhai, tere liye to itna kar hi sakta hoon mai. Aunty ko mera bye bol dena aur unse ye bhi bolna ki khaana bada acha banaati hai vo, unke haath ka khaana khaake maa ki yaad aa gayi mujhe.

Hum dono wahaan lagbhag 1 ghanta gappe maarte rahe, itni der me maine apni dono beer khatam kar li thi. Varun ke saath gappe maarke bada acha lag raha tha, bhale hi humaari dosti ko 1.5 saal huye the lekin fir bhi humaari dosti bahot zyada hi gehri ho gayi thi. Uske baad hum dono ghar ke liye nikal gaye, Varun ne mujhe mere ghar chhoda. Jaane se pehle vo mere gale laga aur fir jab alag hua to mujhse bol pada.

Varun--1 baar fir se soch le bhai.
Mai--soch liya hai bhai, decision final hai mera. Vaise bhi delhi se mann bhar gaya hai, ab jitna yahaan se door rahun, utna hi meri sehat ke liye acha hoga.
Varun--theek hai, apna khayaal rakhna aur saale phone karte rehna.
Mai--tu bhi apna khayaal rakhna, zinda rahe to baar-2 milenge aur nahi rahe to seedha haridwaar milenge. Bye bro.
Varun--bye.

Uske baad Varun apne ghar ke liye nikal gaya, maine bell bajaayi to darwaaza chachi ne khola. Unhe shaayad mere mooh se beer ki badboo aa gayi to vo gusse se mujhe dekhne lagi, maine unhe andekha kiya aur apne room me aa gaya. Room me aate hi mai bed par let gaya, thodi der me chachi khaana leke aayi par maine khaana khaane se mana kar diya. Chachi ne plate wahin table par rakh di aur fir vo apne kamre me chali gayi, unke jaane ke baad mai thodi der bed par pada raha aur fir maine 1 chhote se bag me apne kapde aur zaroorat ka saaman pack karna shuru kar diya. Jab packing khatam ho gayi to mai subah hone ka intezaar karne laga, intezaar karte-2 pata nahi kaise meri aankh lag gayi. Aaj pata nahi kitne din baad mujhe neend aayi thi, shaayad dil me sukoon tha ki jo itne saal se mere dil me papa ka darr tha, aaj maine uspe kaaboo paa liya tha. Ab aage ki zindagi kaisi bhi ho, kam se kam mujhe aise roz-2 apni beizzati to nahi karwaani padegi.
Agli subah meri neend apne aap 6:30 baje khul gayi, uthate hi mai fresh hua aur uske baad apna bag leke ghar se nikalne laga. Jaane se pehle maine 1 baar dadi ke kamre me jhaanka to vo so rahi thi, maine mann hi mann bhagwaan se prarthana kari ki vo meri dadi ko hamesha khush rakhe. Uske baad mai dabe paaon ghar se jaane laga, mai abhi ghar ke main gate par pahocha tha ki tabhi mujhe peeche se aawaz aayi, kisi ne mujhe mera naam leke pukaara tha. Maine palat ke dekha to chacha mujhse thodi doori par khade the.

Chacha--kahaan jaa raha hai?
Mai--vo.....vo mai ye ghar chhod ke jaa raha hoon.
Chacha--apne kamre me jaa....
Mai--aapke bolne se mai nahi rukne waala chacha.
Chacha--tune suna nahi maine kya bola, apne kamre me jaa.
Mai--aur wahaan jaake kya karun, intezaar ki kab koi dobaara meri ya meri maa ki beizzati kare.
Chacha--nahi, apne kamre me jaana aur school ke liye taiyaar ho jaana.
Mai--kya.....school se nikaal diya gaya hai mujhe.
Chacha--mai aakhiri baar tujhse bol raha hoon, apne kamre me jaa aur school ke liye taiyaar ho jaa. Mai aaj tere saath tere school chalunga, tere principal se baat karni hai mujhe.

FFantastic Update 😊
 
Excellent update bro
 
Top