• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

Naik

Well-Known Member
22,922
80,429
258
Update - 65

Trishool lagte hi Darmen cheekhne chillane laga ...uska sharir galne laga ....pahele upar ki chamdi ..phir maas ....majja ...iss tarah galte hue aur chillate hue woh bada vibhatsa lag raha tha ....dard se tadapte hue ...uske ek ek ang galne lage ....aur bach gaya sirf uska haddiyo ka dhancha ....

ab aagee .......

vahan se nikal kar Abhi mahal k bahar aagaya ....Bahar ..Arsalan ...apne bal aur talwar se ...Nebhru ..apni jadui vidya k praharo se ....Glaco ....agni aur prakash ki shakti se ...Ferron ....Bijli aur toofan ki shakti se ....Zecro ..apne mrityu dand se ....Shivali ..Ritu aur Vibhakta ...apni urja k ghatak praharo se Darmen ki sena ko maut k ghat utar rahe the .....

Abhi ne ab apni shakti trishool ..k ..dhamake se Darmen ka woh saara mahal ....Bhumi k bhiter dafan kar diya .....ab waha thi kewal ...registhan ki ret ....apna yaha ka kaam samapt karke sab wapas ...nagar aagaye ....

Yaha aakar dekha toh Ritu ka bhai Shankar apni sena lekar aaya tha ...parantu uska nagar dur hone k kaaran uss yaha pahunchne mein der ho gayi ....Shankar yaha pahunchkar .....uss yudh bhumi ko dekh hi raha tha ..k usdi samay Abhi ..aur baaki sab bhi waha pahunche ...

Abhi ne saare ranbhumi ki taraf nazar daali ...charo taraf laasho k dher ....uske veergati prapt hue kate fate sainiko k shav bikhre pade the ....hazro striyo k suhag ujad gaye the ....hazaro bacche anath ho gaye the ....yudh ki iss vibhishika k kaaran Sabki aankhon mein ashru aagaye ....Nagar k bhiter ka bhi kuch kuch aisa hi haal tha .....hazro striyo aur baccho ka krandan un sabko vyakul kar raha tha.....

Abhi ne Shankar ko Veergati prapt hue ..sabhi ...yodhao chahe woh usne pakhs k ho chahe shatru paksh k sabhi k antim sansar ka prabandh karne ko kaha ..Shankar apne saath aaye hue sabhi sainiko ki madat se ...uss karya mein lag gaya ....

Abhi ..ne bhi apne Diwangat ...palak mata pita ...k parthiv sharir ko ashrupurit shradhanjali di ..unn dono k charno mein pranam kiya .....aur poori shradha k saath vidhivat ...unka antim sanskar kiya .....Sabhi ne Uss yudh mein veergati prapt hue yodhao ki aatma ki shanti k liye prarthana ki ....

ujde hue nagar ki vyastha thik karne mein do char din lag gaye ......Abhi ne Shankar ko waha ka Raja banaya aur ...usse rajya ka karyabhar saunpa ....Nebhru ...Ferron ..Glaco ...Neilster ....aadi sab bhi apne apne nagar gaye waha ki saari vyastha thik karke yogya vyakti ko waha rajyabhar saunpa ..inn sab mein kuch aur din bit gaye ....

Yudh samapt hue ...karib 1 varsh bit chuka tha......inn 6 mahino mein Abhi aur uske bhaiyo ne kai chote chote rajya sthapit kiye ...aur pritvi par swarnyug ka samay shuru hua ......

Aise hi ek din sab apni ab tak ki uplabdi aur aage kya karna hai isspar vichar kar rahe the ....

Arsalan - Abhi se - beta ab humahara samay ho gaya hai apne grah Arin wapas jaane ka ....Darmen ne jo vinash waha phailaya hai ....aur himare graho ko ujad diya hai ....ab usse wapas thik karke .....apne grah ko purvavat ..hara bhara banana hai ....

Abhi - aap thik kah rahe ho pitashri ..mein bhi ab issi baare mein soch raha hu ....meri bhi bafi icvha hai apni matribhoomi ka darshan karne ki ....ab yaha ka karya bhi lagbhag poora ho gaya hai .....

Arsalan - woh toh thik hai beta ...parantu .....abhi bhi ek karya baaki hai ..aur woh hai Maha astra ..uske bina ..hum apne garho ko purva vat nahi kar sakte ....Arin k saath graho k samuh se poori tarah nakaratmak urja ko samapt karke ...unka punarnirman karne k liye ....uss astra ki bahut aawashyakta hai ......

Neilster - ek kaam aur hai pitashri ....aur woh hai ...humare grah tak pahunchne k liye anariksh yaan ka nirman ....

Abhi - yaan ki kya aawashyakta hai ..mein aap sabko ..kuch hi palo mein waha pahuncha sakta thu .....

Neilster - nahi yeh thik nahi ......kyu ki Abhi toh waha ...pal bhar mein pahunch jaayega ......parantu hum sabke paas itni urja nahi hai k hum aisa kar sake ....yadi yeh hume bhi apne saath le jaayega ....toh isska asar bhi him par bahut hoga ....kyu k yaha ki urja..aur samay mein bahut antar hai ...aur ...itni dur pal bhar mein pahunchne k liye Abhi jitni urja ka prayog karega ....uss urja ko humara sharir sah nahi paayega ...

phir thodi der aisi hi charcha chalti rahi ....Raat mein Abhi apne kaksh mein ...aakar ...prithvi par bitaye ab tak k samay ko yaad kar raha tha ......kyuki ab jiss dharti ne usse aashray diya tha ..prem mamta ...apna pan diya ...jaha usne ek karmyogi ki tarah apne karm poore kiye ab uss dharti ko chodkar jaane ka samay aagaya tha ....

inhi sab vicharo mein khoya hua ...uski aankhon se aansoo ki kuch bunde chalak aayi ...thi ...Tabhi Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ...kaksh mein pravesh karti hai ....unhe kaksh mein aate hue dekhkar Abhi apne aansoo chupa leta hai ....aur unki taraf dekhkar muskurane lagta hai ...

Shivali - kya baat hai aaj aap bade muskura rahe ho ....

Abhi - woh issiliye meri jaan kyu ki aaj tum teeno kahar dha rahi ho ...teeno itni khubsurat lag rahi ho .....k ..lagta hai aaj raat meri khair nahi ...yehi sochkar muskura raha tha ....

Ritu - baatein banana koi aapse sikhe ....parantu ...aap apni inn baaton k piche apni bhawnao ko chupa nahi sakte ....hum jaante hai ..k . aap iss bhumi ko chodkar jaane ka sochkar pareshan ho rahe ho .....na ..

Vibhakta - hume bhi iss bhumi ko chodkar jaana accha nahi lag raha parantu ....hume apna kartya path par aage badhte hue jaana hi hoga ....kai baar hum iss dharti par aaye hai ..aur aage bhi aayenge ....issilye yeh bhumi bhi humari maa k saman hi hai ....

uske baad thodi der aise hi baatein chali phir Abhi apni teeno patniyo k saath kuch pyar bhare pal bita kar ...ek dusre ki baahon mein so gaye ....

Dusre din brahma muhurat mein uthkar apne nitya karm niptakar Abhi ne thoda dhyan kiya ...Aaj usse Maha astra ki khoj k liye jaana tha ...toh usne Divya drishti ka upayog karke ...usse dhundne ka prayatna kiya ....Maha astra k swarup ko woh pahele hi Arsalan k mastishk mein dekh chuka tha ...

divya drishti k dwara usse ek grah dikhayi diya ....jiska ...aadha bhag ....hara bhara tha ..aur aadha bhag ..poori tarah ujda hua tha ......usse andaja ho gaya k hona ho woh Maha astra issi grah par kahi na kahi hai .....

Abhi teleport hokar ....uss grah k hariyali wale ksetra pahunch gaya ....usne ab apni divya drishti dwara ...uss poore grah par ...Maha astra ko khojne ka prayatna karne laga ..paratu woh woh astra ..kahi bhi dikhayi nahi diya ...

Abhi saf saf uss astra ki urja ka anubhav kar paa raha tha ...parantu woh astra usse kahi bhi dikhayi nahi de raha tha ....Abhi ..uss astra ko khoj hi raha tha ...k usse aisa ahsas ho raha tha k koi usse dekh raha hai .....toh usne charo taraf dekha toh ..paas hi zhafiyo k picvhe kuch hulchal usse nazar aayi ...woh ..uss or badha ..hi tha ..k usse waha se ...aisicaawaj aayi k jaisw koi waha se bhag raha ho .....

Woh turant zhadiyo k paas pahuncha toh waha koi nahi tha ....usse dur se woh kadmo ki aawaje sunayi de rahi thi ...wih unn aawajo k picha karta hua ....ek pahadi ilake mein pahuncha ....waha usse kuch kritrim gufaye nazar aayi ...woh gufa ki taraf badha hi ....k jungli bello k fando mein uske pair fas gaye ..woh chahta tha ....toh pal bhar mein unn fando se aazad ho jaata ...parantu woh dekhna chahta tha k aakhir yeh log kaun hai ....issiliye woh aise hi khada raha ..tabhivdo aur fande uspar aakar kas gaye ......

Thodi hi der mein usne dekha k bahut saare ...kuch ajeeb se log jinka sharir bilkul safed tha ...aur sar sahiri k mukable bada tha ....unn gufao se nikalkar ekattha hue ....woh usase duri banakar hi khade the ...unke chehro par bhay saaf nazar aaraha tha ...jo shayad Abhi ko dekhkar dar rahe the .....tabhi ..unmein hulchal si hui aur ...unhi ki tarah ek aur vyakti aage aaya ...woh shayad in sabka mukhiya tha ....

Woh Abhi ko apni bhasha mein kuch bol raha tha ....jisse Abhi apne gyan dristi se samazhne ka prayatna kar raha tha ......

Mukhiya - Kaun ho tum....kaha se aaye ho .. aur yaha humare garh par kya kar rahe ho .....hum sab shanti priya log hai ...chale jaao yaha se ....

Abhi - aap sab pahele shant ho jaayiye ...mein aapko koi nuksan pahunchane k liye nahi aaya hu ....mein toh bas apni ek vastu ...lene aaya hu .....

Mukhiya - nahi hume tumpar vishwas nahi hai ....kyu aaj tak humne kabhi tumahare jaise koi yaha nahi dekha ....toh tumahari koi cheej yaha kaise ho sakti hai ....jisse tum dhundne ka bahana kar rahe ho ....tum jarur hum sabko maarne aaye ho ....

Abhi - yadi muzhe tumhe maarna hi hota toh mein ab tak tum sabko yahi pal bhar mein ab tak maar chuka hota ....parantu maine aisa nahi kiya ...

Mukhiya - woh toh issilye k humne tumhe apne paash mein bandh rakha hai....

Abhi - kiss paash ki baat kar rahe ho ..isski ..toh dekhlo ..Abhi ne ek zhatke mein ..jungli bello se bane hue unn rasiyo ko todkar mukt ho gaya ...usse mukt hota dekhkar ....sabhi log wapas gufa ki or bhage ....Abhi wahi shanti se khada hua ....

Abho - arre aise bhaybhit kyu ho rahe ho ....mein sach mein tumahara shatru nahi hu ....

Abhi ko apni jagah par chup chap khade dekhkar Mukhiya himmat karke phir aage aaya ....

Mukhiya - yadi tum hame maarne nahi aaye ho toh kya aaye ho ....aur tumahari aisi kaunsi chij yaha khogayi ...jisse khjne yaha aaye ho ....

Tab Abhi ne usse astra k baare mein bataya ....aur saari sthiti se awgat karaya .....Jab Uss mukhoya ko pata vhala k woh arsalan ka beta hai ....toh woh bade khush hue ....unn sabne apna shish Abhi k aage zhukaya ....

Abhi - arre aap sab log aise kyu zhukar kahde ho ...mein koi ishwar nahi hu

Mukhiya - bhale hi aap humare ishwar nahi ho parantu humare ishwar humare Bhagwan k putra toh ho ....kai hazaro varsh purva ...Aapke pita ..ne humare grah ki raksha ki thi ...aur isse basaya tha ....tabhi se hum unhe bhagwan hi maante aaye...hai...

Pahele hu poor hara bhara tha ...humahare purvajo k anusar ek din ...ek divya prakash sa kuch yaha aakar gira hai ..uske baad ...humara aadha grah pranhin ho gaya ....woh ..chij jaha giri thi ...abhi bhi samay samay par waha se rang birangi ...urja nikalte rahti hai ..

uski baaton se Abhi samaz gaya k yahi par woh maha astra ho sakta hai ....Abji uss mukhiya k saath ussi jagah gaya .....waha uss jagah bahut bada sa gadha tha ..aur usmein se .teen tarah ki urja nikalte hue saaf mahsus ho rahai thi .....

uss jagah aur unn tarago se Abhi ko saaf pata chal gaya k ...iss samay woh Maha astra apne sthool roop mein nahi hai .....uss garah se takrakar woh astra ..teeno prakar ki uraja aur prakash mein badal gaya tha ...jiss kaaran woh uska pata nahi laga paa raha tha ....

uss astra ko apne sthool roop mein laane k liye ..ab Arsalan ko waha laana jaruri ho gaya tha ....issiliye ..Abhi ...Pritvi Arsalan ko le aaya ....apne bhadwan ko waha aaya hua dekhkar ...waha k sab log natmastak ho gaye ...unhone prapt sadhno k dwara Arsalan ka swagat kiya .....

uske baad Arsalan jaise hi uss gadhe k paas pahuncha ....toh usne apne Mahaastra ki urja ko mehsus kiya .....phir usne parashati ka dhyan karke ek haath aage badhaya ....aisa karte ..hi ...uss gadhe mein hulchal si hone lagai ..aur waha ki saari urja aur prakash Arsalan k haath mein ekatrit hone laga .....aur dekhte hi dekhte uss urja ne ek astra ka roop le liya ..
woh maha astra ab Arsalan k haatho mein tha ...

Maha astra prapt hone k baad ....Arsalan aur Abhi ...waha se nikalkar Prithvi par aagaye ...kuch hi dino mein Neilster ..Arsalan aur Bibhakta ne milkar antariksh yaan ka nirman kar liya .....

Antariksh yaan k nirman k baad ..sab usmein sawar hokar ...Arin grah pahunch gaye ......Yaha ka jeewan lagbhag samapt ho gaya tha ....Arsalan ne apne maha astra ki sahayata se ...wapas Arin k 7 graho ko purvavat bana diya .....Aur apne putro ko unka garh saunp diya ...Abhi apni teen patniyo k saath Arsalan k saath hi rah raha tha .....

Arsalan aur Dhara ne ..apni sammilit urja se phir se waha ki praja ka nirman kiya ....charo taraf phir se khushiyo ka samrajya sthapit ho gaya ....

Abhi k liye itna hi ....
Agla Update jald hi .....
Bahot shaandaar mazedaar lajawab update
Bhai kahani apne end ki taraf h ya abhi koyi villain ki entry baki h by the way
Bahot shaandaar update
 

Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
To aakhir kaar abhi apne grah arin pahuch hi gya with family ar waha pr reconstruction bhi ho gya ye bahut khub...sath me maha astra bhi prapt ho gya h...khusiyoon ke din aa gye hain...pr dekhte h in elbis kb tk yun hi chup rhega. Abhi ke jeevan me kaante to use bichhane hi h...uski khusiyon ko grahan to use lgana hi h.. ..ye shanti aane wale tufaan se phle ki khamoshi h...
Intzaar rhega agle part ka...bahut khub update... :drunk:
 

Sanjay Rai

New Member
49
82
18
:hyper::dancing2::laughclap::laughclap:
To aakhir kaar abhi apne grah arin pahuch hi gya with family ar waha pr reconstruction bhi ho gya ye bahut khub...sath me maha astra bhi prapt ho gya h...khusiyoon ke din aa gye hain...pr dekhte h in elbis kb tk yun hi chup rhega. Abhi ke jeevan me kaante to use bichhane hi h...uski khusiyon ko grahan to use lgana hi h.. ..ye shanti aane wale tufaan se phle ki khamoshi h...
Intzaar rhega agle part ka...bahut khub update... :drunk:
बहुत सुंदर
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143
Update - 66

Arsalan aur Dhara ne ..apni sammilit urja se phir se Arin grah ki praja ka nirman kiya ....charo taraf phir se khushiyo ka samrajya sthapit ho gaya ....

ab aagee .....chalte hai ...Prithvi par aaj k samay .mein.......

ek navjawan ladka apne bedroom mein gahri nind soya tha ..chehre par maasumiyat aur hontho par muskan najane kiske sapno mein khoya tha .....kamre mein halki si night bulb ki roshni ....faili hui thi ....tabhi halke se uske bedroom ka darwaja khula ..aur koi..dhire dhire halke kadmo se uske bister ki or badha ....

bister tak pahunchkar usne pahle gaur se uss ladke ko dekha fir dhire se woh uske bed par chad gaya ....usne pane haath mein pakdi hui chij ko ek baar dekha ....jisse dekhkar uske chehre par muskurahat aagayi ....woh chij ek electronic horn thi ....usne ek baar aur uss gahri neend mein sote hue ladke k chehre par nazar dali .....aur uss horn ka button daba diya ....aur ek ..tez aawaj hui .piippiiiiiiiiiiii.....

Achanak hui iss tezz aawaj k kaaran ...woh ..ladka ..gahri need se ek zhakte mein uchala ..aur ..hadbadahat ....mein bed se niche gir gaya .....abhi woh kuch samazta .k ..usse khilkhilar hasne ki aawaj aayi .....

hehehehe...bhai dar gaye ..bhai ..dar..gaye ...he..he..he..he....

ladka - Nitu ki bacchi ...tu..ruk abhi tuze batata hu ....aur usne ....usko pakadne k liye ..bed par chalang laga di ...parantu woh usse pakad paata ..uske pahele hi ....woh ...woh bacchi ...jisne uske kaan k paas horn bajaya tha ...woh bed se utarkar bhag khadi hui ...woh ladka bhi uske picche ..pakadne k liye bhaga ....woh usse pakadta ..tabhi kamre ki light on ho gayi ....

uske saamne uski bua ....cake lekar khadi thi ...aur uske ..mom dad bhi the ....sabhi ek saath ...

Happy Birthday to you ...Happy Birthday to you ...Happy Birthday to dear Deepu Haappy Birthday to you .....

Yeh ladka tha ..Deepu ..yani ..k Thakur Deepak Singh .....Thakur Abhinav Singh yani k Abhi aur Rimpy Devi ..ka beta .....aur Jo Cake lekar khadi thi Woh thi Uski bua ..Adira .singh ..jisse Abhi pyar se Addu bulata tha ...issiliye ..Deepu bhi usse Addu bua kahkar hi bulata tha .. .aur woh choti bacchi thi uski ladli shararati aur cute si choti bahen Neetu ...

Addu ko Deepu mein wohi Deepu nazar aata tha jisse usne unn khatarnak saayo k kaaran kho diya tha .....issiliye woh ..Deepu par apni jaan chidakti thi ...shadi k baad uske bhi do bacche the ..woh deepu ka janamdin manane jo ab poora 18 saal ka ho gaya tha ....adhi raat ko cake lekar aayi thi .....

Addu ko cake lekar khade dekhkar Deepu bahut khush hua ...usne Addu k pair chue ....

Addu - betu tuze kitni baar mana kiya hai mere pair chune ko lekin tu hai k maanta hi nahi ...Addu ne Cake Rimpy ko pakdaya aur Deepu ko ..uthakar ..uske maate ko chuma ..aur sar par haath pherte hue ...boli - mera pyra baccha ...Happy birthday to you betu ...aur usse gale laga liya ....Deepu ko gale lagakar Addu ki aankhien nam ho gayi usse phri apne muh bole bhai Deepu ki yaad aagayi .....

Deepu - ( Addu se alag hota hua )....yeh kya hai bua phir aapki aankhon mein yeh aansoo ...( apne haaton se Addu k aansoo ponchta hua ) kitni baar kaha hai muzhe aapki aankhon mein yeh aansoo acche nahi lagte ...lekin har janamdin par aise hi hota hai ....muzhe lagta hai k mein hi bura hu ...meri hi wajah se aapki aankhon mein yeh aansoo aate hai na ...

Addu - nahi mere bacche tu toh meri khushi hai ....teri wajah se kyu aayenge yeh aansoo ..yeh toh bas ause hi ....

Deepu - toh phir promise karo ab dubara aisa nahi hona chahiye nahi toh mein aapse baat nahi karunga ....

Addu - ( kaan pakadte hue ) thik hai baba ..ab nahi karungi ...

Deepu - thats like my beautiful bua ..I love you .bua ...( aur Addu k gale lag jaata hai )

Adfu - i love you too mera baacha ....

itne der se Abhi ...Rimy aur .Neetu ..bua aur bhatije ka pyar chup chap khade dekh rahi thi .....

Abhi - aur kitni der aise hi yaha darwaje par khada rahna hoga ...bhai hum bhi yaha line mein hai Birthday boy ko wish karne k liye ....chalo pahele cake kaato ....

Rimpy - haa nahi toh kya kab se cake lekar khdi hu ab toh mere haath bhi dukh rahe hai ....

phir sab room k andar aate hai aur Rimpy wahi room mein ek table par cake rakhkar candle lagati hai ...Phir Deepu phoonk maarkar un candles ko buzhata hai ..aur cake katata hai aur ek baar sabhi phir gane lagte hai .....

Happy Birthday to you...Happy Birthday to you ....Happy Birthday To Dear Deepu ..Happy Birthday To You ......

Cake katne k baad ..Addu ...Deepu ..ko khilati hai ..Deepu bhi Aduu ko cake khilakar Aashirwad leta hai ...Phir ..woh Apni maa Rimpy ka Aashirwad leta hai ..Rimpy bhi ...apne bete ka maatha chumkar usse gale laga leti hai ....

Rimpy - kush raho mere bacche ...Bagwan kare mere betu ..ko meri bhi unar lag jaaye ..aur... ..jeewan mein aanewali saari musibate dur ho jaaye ...tu humsha aise ki kush aur swastha rahe .....apne ..jigar k tukde k sar par haath pherte hue Aashirwad deti hai ....

Deepu - kya maa ...aap bhi ....muzhe ..aapki unar nahi chahiye ..mein toh chahta hu ...aapka yeh mamta bhara anchal humesha mere sarpar bana rahe .....

Rimpy ek baar phir apne bete ki iss baat se ...uska maatha chum leti hai ...

Tabhi bed k side table par rakha hua mobile bajne lagta hai ....toh sabka dhyan yss or jaata hai ....lekin Deepu uss or dhyan nahi deta aur Apne pita Abhi k charan chuta hai ....Abhi usse kandhe se pakadkar uthata hai ..aur ..sar par haath rakhkar Aashirwad dete hue ...

Abhi - Jamandin Mubarak ho mere sher ....aaj tu poore 18 ka ho gaya ..ab samay aagaya hai tuze apne vansh ki parampara ko aage badhane ka ....mera Aashirwad hai k tu har jathinay ko paar jarta hua apne kkaksya ko prapt kare ...

Chotti Neetu bichari apne number aane ka intezar kar rahi thi ..bade der se chup thi lekin ab usse sabra nahi ho raha tha .....

Neetu - arre bhai muzhe bhi cake khilao na mein kab se wait kar rahi hu .....

Deepu - tuzhe toh mein bilkul bhi nahi khilaunga cake ...ek toh muzhe iss tarah uthaya aur jab mein bed se gir gaya toh ...badi hasi aarahi thi ....

Deepu ki baat sunkar Neetu ki aankhon mein aansoo aagaye ....jisse dekhkar Abhi ...

tabhi phir mobile baja ...aur sabhi ka dhyan uspar gaya ...

Rimpy yeh baar baar kaun ph kar raha hai ..ek baar baat toh kar le ....

Deepu - kuch nahi mom woh frnds honge jo wish karne k liye ph kar rahe hai baad mein baat kar lunga ....

Abhi - woh toh thik hai..... lekin yeh kya tarika hai . ...apni choti bahen se baat karne ka ...yeh bechari yoh ...tuzhe wish karne k chakkar mein ab tak soyi nahi ....aur tu hai k issase naraz ho raha hai ....

Neetu - papa mere bhai ko koi kuch nahi bologa ..aur aap daatoge bhi nahi ....

Abhi - kaan pakadte hue - sorry gudiya ...nahi bolunga ..

Addu - Chalo bhai yaha se inn do bhai bahen k bich hum bolenge toh yahi hofa ...inhe hi nipatne do ....

Deepu - kaan pakadte hue Neetu k aage ghutno k bal baith jaata hai ...
sorry gudiya mein toh mazak kar raha tha ....mein jabhi tuzhse naraj ho sakta hu ...

itna kahkar Deepu .ne. Neetu ko uthakar apni goad mein bithaya ....aur uske aansoo ponchte hue ...

Deepu - naraz hai meri gudiya apne bhai se ....

Neetu - ( muh fulate hue ) hmmm...aap bhi toh gussa ho gaye the ...

Deepu - nahi gudiya ..mein tuzhse kabhi gussa ho sakta hu ...tu toh meri jaan hai ...mai toh bas mazak kar raha tha .....

Neetu - saachi bhai aap muzhse naraj nahi ho na ....

Deepu - bilkul nahi gudiya .....aur cake ka tukda usse khila deta hai ....love you mera baccha ...
itna kahkar Deepu apni pyari si gudiya k gaal par kiss kar deta hai ....

Neetu - Love you too bhai ....lekin muzhe bhi aapko cake khilaungi ....

Deepu cake ki plate uske aage kar deta hai ...Neetu ek bada sa tukda uthati hai ...aur Deepu apna muh khol deta hai ...lekin ...tabhi Neetu ...cake ka Deepu k muh par mal deti hai ...aur turant godi se khudkar ....darwaje ki taraf bhag jaati hai ....Deepu usse dekhta hai ....toh muh chadkar ...Happy birthday bhai kahkar bhag jaati hai ...

Neetu ki iss shararat par sabhi hasne lagte hai ...Deepu k chehre par bhi apni iss natkhat bahen ki shararat par hassi aajaati hai .....

Abhi - ab jaldi se so joo beta ....kal hume gaon k liye nikalna hai ...tumahare janadin ka ustsav kal dumdham se wahi hoga ...aur haa apne frnds ko bola k nahi ...

Deepu - Haa dad sabko bol diya hai ....

Abhi - thik hai good night ....

Phir sab good night wish karte hai aur apne apne room mein chale jaate hai ...Yaha Deepu ka ..mobile phir baja ...usne number dekha toh uske hontho par muskurahat aagayi thi ....lekin saare chehre par cake laga tha ....issiliye woh usse saaf karne bathroom chala gaya ..fresh hokar aaya ...aur ...phir ...usne mobli se ussi number par dail kiya jisase usse baar baar call aarahi thi .....

Baar baar ring baj rahi thi lekin udhar se koi ph nahi utha raha tha ....Deepu samaz gaya ...k mamla gadbad ho gaya hai ...usse uss number par sorry ka msg bhej diya ...thodi der tak koi jawab nahi aaya ..phir msg aaya Deepu ne dekha toh gusse wala emoji tha ....
jusse dekhkar Deepu ne phir msg kiya ....

Nakam thi meri sab koshishe ussko manane ki
Pata nahi kaha se sikhi adaye jaalim ne rooth jaane ki ...

tabhi phir ek msg aaya ....
mohabbat ajamane ho to bas itana he kafe hai,
jara sa rooth kar dekho manane kaun ata hai…

Deepu ne phir call kiya kiya iss baar call utha liya ...yeh thi Kirti jo Deepu ki jaan uska pyar thi

Deepu - haaye meri jaan aakhir iss naachij ka call uthane ki jahmat utha hi li ...

Kirti - ek toh khud mera ph nahi uthate ho aur upar se muzhe hi dosh de rahe ho ...

Deepu - main kya karta jaan , uss samay mom dad ..bua aur Neetu thi toh kaise uthata ....

Kirti - toh kya hua ...unhe bata dete k unki bahu ka ph hai ....

Deepu - accha ji ...lagta hai shadi kuch jyada hi jaldi hai ..hai thik hai kal milo waise bhi gaon jaa hi rahe hai ..wahi shadi bhi kar lenge ...mein toh abhi chala mom dad ko yeh khush khabri dene ..

Kirti - nahi ..nahi...ruko ...mein toh bas aise hi kah rahi thi ....abhi toh humare khelne kudne k din din ...abhi toh humne acvhe se pyar ko enjoy bhi nahi kya ....

Deepu - aagayi na line par ...lekin ab tak tumne wish nahi kiya ..

Kirti - uff ..mein bhi na baaton mein bhul hi gayi ...Happy Birthday to my shona ...

Deepu - yeh kya sukha sukha ...ek kiss toh do na ...

Kirti - abhi nahi ..kal kar dungi gila ....abhi k liye sukha hi thik hai ...

Deepu - accha kya gila kar dogi ...

Kirti - hat ...aap bhi na kuch jyada hi naughty ho rahe ho ...abhi k liye bye Good night ...kal jaldi uthna bhi hai kitni tayari karni hai .....Love you babu bye ..

Deepu - Love you too sweetu ...good night ....

Abhi k liye itna hi ....

Agla update jald hi .....
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143
Writer ji question tha
Story Apne end ki taraf ja rahi hai
Ya story mein kisi villain ki entry honi Baki hai
Otherwise
Fantastic story

my story
Thanku soo much bhai aapke shandar support k liye ....

nahi bhai yeh story ka end nahi hai ...Villan ka pata aapko jald hi chal jaayega ....


:thanks: :thanks: :thanks:

aise hi saath banaye rakhe ??

Update 66 posted.....
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,756
143
Top