ek aur ghatiya planning... shayad in logo ne ab bhi nischal ke shakti samata ko kam ankalan kar rahe hai..
hmm.... shayad josefer ka mann badal rahan inshaano ke prati..
Yeh achha kiya nischal ne... shayad woh joh hamla hua tha uske flat pe nandu aur ansh ke upor. haalaki nischal aa gaya tha.. par phir bhi ek dar mann mein baith gaya ki kahin nischal ke anupasthiti mein phir se woh aliens hamla na kar de nandu par aur har baar ki tarah nischal uske paas nahi pahonch paya toh.. aur upor se ab jab sapna ke sath joh hua. isko madde nazar rakhte huye nandu ki safety ke liye woh mask usko diya hai taaki khud self defense kar sake... agar nischal paas naa bhi rahe tab bhi...
jane wali to jaa chuki hai par uski dard se jud chuka hai nischal job se dimag ko jod liya hai sapna ke dimag se.. aur joh pal prati pal badhta hi jaa raha hai...
hmm... uske antar mann mein jivu ke kahi baat kahin na kahin baith chuki hai... isliye visions mein sapna, jivu mein badal jaati hai... subconscious mind ushe yahin dikha raha hai ki kal ko agar jivu pe bhi aise hamle huye toh chaah kar bhi ushe bacha nahi payega.. yeh ek tarah se dar hai ki kal ko sapna ki jagah jivu bhi ho sakti hai..
par nischal bhool kyun jaat hai ki woh abhi taiyar nahi hai is shakti ko prayog karne mein.. lo iski dimagi tarange zoren ke us lallu tak pahunch gaya..
Ab aur zyada pranghati aliens bhejne wala hai dharti par woh...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill