- 6,713
- 25,687
- 219
Update 03 Posted gys...
please like and comment me.
please like and comment me.
Last edited:
Ai se bana lo ya waise koi celeb ki image use kar lo.Bhai mere character wise photo dhudhne me bahot time lagta hai. Or aise hi kisi ki bhi pic nahi lagana chahta main..
Bhai phele ka story ko complete nehi karogeBencho..ye forum ki system to pehle se bahod change ho gayi. Ye index me update ki link add karte te woh to ho hi nahi raha mere se bc.. kuch samaj na aa raha mereko . Inte time gayab kya hua apun idher to bc bahot backchodi ho gayi.
Ab koi ye naw system samja do bhaiyo .
Nice updateUpdate- 01
"W-what?"
Rahul choked..!
" tumne meri baat suni" Avni ki voice Sharp or impatient thi. "me ab tumhare sath nahi rehna chahti..Mujhe koi behtar mil gaya hai!.A real man. koi aisa jo sach me mera khyaal rakh shake or mujhe woh sab de shake jo me chahti hu".
Uske words hathode ki tarah hit hue,lekin uska kam abhi poora nahi hua tha.
" Tumhare jaisa chhota aadmi nahi, jo kisi ghatiya restaurant me apni life barbaad kar raha ho."
Rahul ki fingers mobile par kas gayi, uski dhadkan fast-slow hoti hue chal rahi thi,or under se ek voice aa rahi thi" yeh real nahi hai..aisa ho hi nahi shakta"
" Don't call me again." Avni ne apni aakhri aavaj me kaha. " Pata hai kya? Koi baat nahi. I'm blocking you."
Tint!..
Call End ho gay bas aise hi
Rahul khade-2 ek jagah pe jame hue mobile ki screen ko ghurr raha tha. Uska mind blank. Uska heart....tut gaya tha.
Lehre kinnare se takkra rahi thi. Hawa me namak ki ki khushbu feli hue thi.ye romantic hona chahiye tha..ye uski life ki sabse khubsurat nights me se ek honi chahiye thi.
Niche dekhte hi uska right hath vibrate karne laga, uske hath me ek small box tha Red and Gold colours ka. finely crafted, elegant. Uske under ek ring thi jo night me bhi chamak rahi thi.
Ek ring jiske liye usne 5 year apni salary mai se saving ki thi.
Uske liye..
us aaurat ke liye jo uski maa ki mout ke baad uska sahara bani thi, us aaurat ke liye jisne use dark phase se bahar nikala tha.
Love? Maybe. Ya phir ek dependence thi?.
Rahul ke face par ek kadvi smile aayi,uske seene me jakdan ho rahi thi. Uski nazre uper uthi,usne apne aas-pas ke nazare ko dekha.. Soft candlelight ,rait par bikhri hue phulo ki pankhudiya, is raat ko perfect banane ke liye usne jo mehnat ki thi.
Sab kuch bekar
" mujhe yakeen nahi ho raha ki usne mujhe aaise hi chhod diya..."
Uski aavaj muskil se nikal rahi thi, hawa me uski aavaj gayab ho rahi thi.
" kya uske liye ye sab ek khel tha?"
Uske under kuch tut gaya tha.
Isase pehle ki woh kuch soch pata, uski fingers ring ke box par majbuti se kas gai - or nirasha se dahadte hue , smunder me fek diya.
Fshhh!
Ek second time bita phir dusra or..
Rahul phir apne ghutne pe aa gira.
" Wait. Wait, wait, wait-- MERA PAISA!"
Reality ka bhan hote hi ghabrahat fel gay uske under.
" What the fuck is wrong with me?!"
Bina time waste kiye, apne jute utar kar pani ki taraf bhaga. Woh apni five years ki jama-punji or apni gf ko ek hi raat me khona nahi chahta tha.
Lahre lagatar or wild hokar garaj rahi thi. Lekin rahul ruka nahi, pani bahot hi cold tha jo uski body ko chubh raha tha, par uski nazre pani ki under sateh par ghum rahi thi, box ko dhund rahi thi.
Phir smuder me or aage jane laga.
Woh teara, uski arms laharo ko chirti hue aage badh rahi thi, desperation use aage dhakel rahi thi.
" yaha wapas aao,bewakuff!"
Ek bahot badi laher uske uper tut padi.
Wawe ka force bahot jyada or bhayanak tha, mano eit ki deewar uski body se takkra rahi ho. Pani uske muh , fefde or gale me bhar gaya. Uske hath-pair ladkhada rahe the, lekin smunder bahot strong tha.
Rahul ab dubne laga.
Deeper .!
Pani ke pressure ne or dabav dala, uska vision dhundhla hone laga.
"No. No" no, no."
Usns struggled kiya, likin uski body baijan hone lagi thi. Every movement se uski bachi-kuchi oxygen khatam ho rahi thi.
Uske lungs chikh uthe
" Damm it! agar Avni na hoti to me yaha na hota! meri khud ki stupidity na hoti to--!"
Uske thought sust pad gaye. Uski fight weak pad gay.
Fine
Me haar manta hu. Vaise bhi mera wait karne wala koi nahi hai.
Uski body limp ho gayi, consciousness lupt ho gay.
Then--
CRACK .
Uska sar kisi thos chij se takraya.
A rock
Woh glowed karne laga.
A brilliant, otherworldly light phut pada,jisne gehraiyo ko roshan kar diya. Rahul ko use samajne ka time hi nahi mila tha. Sab kuch uska dard, uske vichar, uska astitav - gayab ho gaya.
He died.
-------------
Rahul ki awareness shuny me laut aay. Ek vishal, ant-hin shuny.
Use laga... weightless . Alag. Uski body?-No, koi body nahi thi, bas flickering karta hua energy ka ek wisp, abyss me floating kar tha .
" Wait..... me kaha hu?"
Uske charo or ek mechanical zhankar gunj uthi, ek emotionless female aavaj.
[ System Activated ]
[ You have received the Sovereign Bond System.]
[ You Have Died.]
Rahul thithak gaya
[ You Will Be Reborn Into a New World.]
"Reborn?(punar-janm) What?!"
Aavaj bina vichlit hue aani chalu rahi.
[ Analyzing Host's Memories...]
[ Searching for a Suitable World...]
[ Scanning Novels the Host Has Read...]
" Wait. wait,what?! Tum bahot fast ja rahi ho!"
Phir, final Notification :
[ Ding! The World of Leah Has Been Chosen.]
Rahul ka Dil ruk gaya.
" Oh. My. Lord."
[ Host , Brace Yourself. You Are Being Reborn.]
Rahul ko kuch samaj pane ka time hi nahi mila tha ki use andhere ne puri tarah se nigal liya.
.
.
.
.
Nice starting![]()
Bahut badiya update
Congratulations
Update posted..Congratulationsfor new story
Achchi suruwat dekhte h Rahul ko systam punar janam me kia kuch naya deta h
Badhiya shaandar updateUpdate 02 - Virat
Gold and silver se sajaya hua grand chamber. Hawa me Jasmine ki halki si khushbu thi, or enchanted crystals ki flickering glow diwaro par soft shadows dal rahi thi. Bahot hi jyada sunder nazara tha.
Chamber ke center me ek vishal bed par, jis par 10 log beth sakte the, ek ladka leta hua tha, jiski age 14 saal se jyada nahi hogi
Then--
"AAHHHHHH!!!"
Ek khun jama dene wali cheekh ne silence ko cheer diya.
BOOM!
Door open hua.
" Young Master Virat! kya aap thik hai?!"
Maid's ki uniform paheni hue ek middle-aged ki aaurat under bhagi, uska face tension se pila pad gaya tha. Usne apne hath uper uthaye, uske hatheliyo me ek garm green light flickering kar rahi thi. " Please, let jaiye! main aapki help karti hu!." Usne use shant karne ke liye apne magic ka use kiye.
Ladka- Rahul, ab ek unfamiliar body main- chakkit hoke palke jhapka raha tha. Uski breathing tej thi, heart teji se dhadak raha tha.
What... just happened?
Reincarnation? nahi. Ye to bas ek fiction concept hai, ye sach nahi ho sakta.
Lekin ab tak jo kuch bhi hua tha woh ek truth ki or ishara kar raha tha.
Ye vastvik tha.
" main kaha hu?."
" Young master? " aaurat ki aavaj kamp rahi thi- uske liye chinta se nahi, balki darr se. Is darr se ki ki agar uski maa ko uska beta bimar mila to woh kya karegi.
Rahul ki-- nahi, Virat ki- nazar uss par padi.
Usne kamjori se sar hilaya " main thikh hu." uski aavaj bhari or unfamiliar nikli
Suspicion se bachne ke liye apne word ko short rakhna hi sahi laga.
Maid ne raahat ki sans li " to phir main aapko aaram karne deti hu." itna keh kar woh room se bhagti hue nikal gay. Mano jaroorat se jyada uske sath rehne ko taiyar na ho.
Virat use jate hue dekh raha tha, uska mind ghum raha tha.
Then-
[ Ding! Tumhara Leah ke world me reborn hua hai.]
[ Your new identity : Virat Weaverheart, Weaverheart Family ka ek louta utradhikari. ]
Virat ka khun thanda pad gaya.
Weaverheart
Yeh name uske liye thunderbolt ki tarah tha.
Nahi, bilkul nahi.
Woh iss name ko janta tha
How could he not?
Ye name novel main tha , woh novel jise usne apni unfortunate dubne ke incident ke thik pehle read karna start kiya tha.
" The Goddess's Lover is Her Champion."
Magic, swords, dungeons, kingdom's, or powerful families se bhari ek medieval fantasy novel. All the standard tropes.
Lekin sabse buri baat kya hai?
Protagonist
Virat ne apni muthhi bhis li.
" Rock Stoneheart."
Chalta-phirta cliche. Four great families main se ek - Stoneheart family ka naajayaj beta. Ek prostitute se born hua. scorned, ignored, gandki jaise treat kiya hua. Apne Awakening day tak.
Jaha usne ek SSS-rank talent unlock kiya, Goddess se aashirwad prapt kiya, or use ek broken hue system soppi gay, jo use overpowered rewards main se ek tha.
Bas ishi tarah, wo ek hi din main sabse lowest sthan ke parson main se kingdom me sabse mahan parson ban gaya.
Or Virat Weaverheart ke liye iska kya matlab tha?
Uska downfall.
Virat ne teji se sans chhodte hue khud ko calm rehne par majbur kiya.
Novel me, Virat ki mout first 30 chapters main hi ho jati hai.
Why?
Kyuki Royel family dwara hostad ek event me - jiska matlab sirf Rock ko Goddess dwara chune hue parson ke roop me pesh karna or Princess ke sath uski engagement announce ki ghosna karna tha- Virat, jo ek bigda hua Weaverheart Family ka utradhikari tha. Use ye humiliation sahan nahi hue.
Virat bahot pehle se princess se love karta tha. Vo dono childhood friends the. Unki families ne wada kiya tha ki jab vo bade ho jayenge tab unki engagement kar denge.
Or Ab, sirf isliye ki kisi anjaan vyakti ko Goddess ka aashirwad mil gaya, unhone apna mind change kar liya.
Thik hai, sach kahu to ye baat logical to hai. Lekin,
Woh use bardast nahi kar saka.
Isliye usne ek bigde hue bachhe ki tarah act kiya. Usne rock ki maa ka apman kiya.
Sabke samne use Whore kaha.
Rock ne virat ko tapka diya.
Or yeh to sirf starting thi.
Virat ki Maa, Shriya Weaverheart-- Matriarch of the Weaverheart Family -- virat ko apni aankho ke samne marte dekh gussa ho gay or apne bete ka revenge lene ke liye , four great families ke head's main se three ke sath fight ki...or woh bhi mar gai..
Apne bete ke liye mar gai.
Because.. Shriya Weaverheart aisi hi thi.
Ek maa jiski puri duniya usks bete ke ird-gird hi ghumti rehti thi.
Uski sabse badi strength.
Uski sabse badi weakness.
Or uske reckless pratishodh ki wajah se, pura Weaverheart Family khatam ho gaya.
Aise hi.
Virat ne kanpte hue sans chhodte hue apne balo me hath phera.
" ...me barbad ho gaya hu."
Iss life main uski body trash thi. Apne Awakening day par, vo ek D-rank talent unlock karega. Jo sabse lowest main se lowest tha. Ye uske lineage ke liye ek kalank hai.
Or sabse worst baat?
Use koi idea nahi tha ki chapter 30 ke baad kya hua .
Because usne novel ko aage continued nahi kiya.
Why?
Because baki ke chapters locked the.
Or uske paas unhe unlock karne ka paisa nahi the.
Because woh uss ring ke liye paisa bacha raha tha .
Virat ne apni aankhe close kar li, or (rahul and virat) dono ke past life ki stupidity or cheating ex ke bare soch kar khud ko koch raha tha.
Usne ek deep breath li.
" System!" apne under ho rahi uthal-puthal ke baad bhi aavaj steady thi " tumne mujhe yaha reincarnation kyu kiya? Mene jeetni bhi novels read ki hai, usme se?"
[ Host, it was random.]
Uski aankhe fadak uthi. Uske hotho se ek gehri ahh nikli. " Fantastic! Bas mera luck."
Ab use kya karna chahiye tha? Use to ye bhi nahi pata tha ki uski mout ke baad kahani kaise aage chalegi.
Virat bahot soft pillows par pith ke bal let gaya, or apni kanpatiyo ko raggad ne laga.
Sab kuch uske against tha.
Uska talent.
Uska fate.
[ Host, aapne mujhe pa liya hai ]
Virat frowned " Yeah. Yahi to reason hai ki main abhi khud ko khudki se bahar nahi phek raha hu. To...tum kya ho? Tum kya kar sakti ho? Kya tum mujhe rock ke system jaise quests dogi?"
[ I am the Sovereign Bond System .]
[ ek billion se jyada destroyed universes ki residual energy se nimit ek power ka samuh.]
Virat ki sanse tham gay. Yeh ominous lag raha tha.
" or tumhari abilities ?.
[ jaise ki mere name se pata chalta hai, Host]
[ women's ke sath bond bana kar, aap unka talent, bloodline, skills, physique, or attributes share kar sakte hai -- jo ki ×10,000 guna badh jata hai. But only work up to 3 rank above you. ]
Virat ki aankhe sock se chhodi ho gay. Woh turant uth kar beth gaya, uski back sidhi ho gay.
...What ?
WHAT ?!
Uski sanse atak gay, lekin usne khud ko focus karne ke liye force kiya. " bond, ko define karo ."
[ Deep Emotional Connection ]
[ Only true love ko hi recognize kiya jayega. No shallow relationship. Bond banane ke liye affection ka level kam se kam 70% hona chahiye . ]
[ yadi unka affection isase niche drop ho jata hai...to aap unse gain kiya hua everything kho denge ]
Virat ke lips herani se halke se khul gaye. " Wait. To main yuhi random girls se flirt karke power nahi bator sakta?! "
[ Correct. Only genuine, meaningful relationships qualify. ]
[ The System will assist and guide you...but every choice is yours. ]
Bhavy chamber me silence chha gaya.
Virat ne sans chhodi or apne shoulder upar ka tanav door kiya. Uske hands, jo kuch time pehle kamp rahe the, ab normal ho gaye.
To yahi thi.., hai na? New reality.
Ek aisa world jaha power chosen hue logo ke paas hoti hai.
Jaha talent aapki kimmat tay karta hai.
Jaha usse marne ke liye ek kaddam se jyada kuch nahi samja gaya.
... Screw that.
Virat ke face par ek slow, sharp smile aa gai.
Let me show you how to truly cheat fate.
.
.
Thank you bhai.Badhiya shaandar update
Tow Rahul ab Virat ban gaya
Baki system wali kahani se hatke likh ke likh rehe h sahi h