Update 11
kamre mein jaane ke baad maine wo kitaab aakhiri baar dekh kar apne bag mein rakhdi aur so gaya.
agle din school se aane ke baad mujhe ghabrahat si hone lagi kyunki ek to mujhe wo kitaab wapas rakhni hai aur uske baad neha bua ke ghar bhi jaana hai jo mujhse kabhi pyaar se baat nahi karti.
par aaj to neha bua ne khud mujhe apne ghar bulaya hai. ye sab socch-socch kar ghabrahat ke maare main khana bhi theek se nahi kha saka.
aise hi dopehar huyi aur main madam ke ghar chala gaya. aaj madam ka vyawhaar kal ke mukaable sahi tha.
madam- avi kya baat hai aaj tum thode se pareshaan lag rahe ho.
avi- nahi madam wo kya hai ki kal theek se neend nahi aayi thi shayad isiliye aapko aisa lag raha hai.
madam- ruko main abhi tumhare liye garam-garam coffee bana kar laati hoon.
avi- theek hai madam.
uske baad madam ke ander jaate hi maine wo kitaab bag se nikaal kar jahan mujhe milli thi theek uske samne waali table ke neeche rakh di. rakhna to main usi jagah chahta tha par yahan kyun rakhi maine wo kitaab mujhe bhi nahi pata.
tab tak madam bhi coffee lekar wapas aa gayi thi.
madam- avi ye lo coffee aur batao kya chal raha hai tumhari jindagi mein.
avi- kuch khaas nahi madam main padhayi ke siwa kuch nahi karta.
madam- tumhari umar ke hisaab se tum jis class mein ho tum uske student nahi lagte.
avi- wo kya hai ki mere accident se theek hone ke baad mujhe kuch classes dubara karni padi nahi to aaj main graduation kar raha hota.
madam- tum bahut bahadur ho avi.
avi- shukriya madam waise mujhe abhi jaana hoga main kal phir aaunga.
madam- aaj itni jaldi kyun ja rahe ho.
avi- madam aaj mujhe kuch kaam hai isiliye jaldi jaana hai.
madam- kya kaam hai.
avi- wo neha bua ke ghar jaana hai.
madam- theek hai lekin kal pir aana.
avi (bahar aake)- accha huwa maine wo kitaab rakh di. chalo ab yahi se seedha neha bua ke ghar chala jaata hoon.
uske baad main wahan se neha bua ke ghar chala gaya aur wahan pahunch kar gate khat-khataya to thodi dair baad komal ne gate khola. komal mujhe dekhkar wapas ander chali gayi aur main hall mein rakhe sofe pe baith gaya.
komal aur main ek hi class mein padhte hai. wahin neeta bua ki beti leena aur kavita wo dono bhi ek hi class mein hai. leena ka bhai rajesh bhi uski hi class mein hai lekin wo navodaya boarding school mein padhta hai aur wahin rahta hai.
pooja bua ki badi beti sweta aur chhoti beti sital shehar mein rehkar padhayi kar rahi hai. dono bahne unki bua (sweta didi ke pita ki bahen) ke saath rehti hai. pooja bua ke bete ko janam ke waqt kuch pareshani ho gayi thi jiski wajah se uski padhayi mein bhi badha pad gayi.
komal meri hi class mein mere saath padhti thi lekin usne kabhi mujhse baat nahi ki aur shayad uski wajah ye thi ki neha bua ne use mujhse baat karne se mana kiya tha.
neha bua- arre avi beta kaise ho.
avi (mann mein)- ye aaj bua ko kya ho gaya jo mujhe beta bula rahi hai.
avi- theek hoon bua, aap sab kaise ho.
neha bua- hum sab to theek hai magar tum hi ho jo ab yahan aate nahi ho.
avi (mann mein)- jab bhi aapke ghar aata to aap hi to mujhe ghar se chale jaane ko kahti thi. saath hi dubara yahan aane se bhi to aapne hi mana kiya tha.
avi- wo kya haina bua padhayi bahut jyada karni hoti hai isiliye waqt hi nahi mil paata.
neha bua- haan komal bata rahi thi ki tum math aur biology mein class mein 1st aaye ho aur ab biology ki madam ke pass bhi padhne jaate ho.
avi- haan wo principle sir ne madam ko kaha tha ki mujhe padhayi mein madad karein isiliye madam mujhe padhati hai.
neha bua- avi tum to apni bahen par bilkul dhyaan hi nahi dete ho.
avi- aisi koyi baat nahi hai bua.
neha bua- dekho tumhari bahen ne harr subject mein top kiya hai lekin maths mein sirf 40/100 marks lekar aayi hai. ab tum hi batao ki main kya karun.
avi- main kya keh sakta hoon bua. main to bas komal ko apne notes hi de sakta hoon.
neha bua- notes to komal ke pass bhi hai magar use koyi dhang se samjhane waala chahiye.
avi- haan aapki ye baat to sahi hai bua.
neha bua- beta kya tum apni bahen ki madat nahi karoge. kya tum komal ko padha nahi sakte.
avi (mann mein)- mujhe laga hi tha ki koyi kaam hoga tabhi mujhe beta-beta kah kar bula rahi hai.
avi- par bua mere pass to padhayi karne ke baad itna waqt hi nahi hota ki main kissi ko padha sakun.
neha bua- main tumhe abhi thodi na keh rahi hoon padhane ko. komal ne mujhe bataya tha ki biology waali madam agle mahine wapas ja rahi hai. jab madam wapas chali jayegi tab dopehar ke waqt tum komal ko padha dena.
avi- theek hai bua phir main agle mahine se komal ko padhayi mein madad kar diya karunga. accha ab main chalta hoon warna chachi pareshaan hongi.
neha bua- arre ruko bhi itne dino ke baad aaye ho to kuch khilaye bina thodi bhejungi.
tabhi komal sabke liye samose bana kar le aayi.
neha bua- komal ne khud banaya hai batao kaisa laga.
komal- haan avi batao.
avi- bahut accha hai.
samosa khane ke baad main seedha ground par chala gaya. aaj thoda lait pahuncha tha to sab khel kar ja chuke the.
magar wo teeno aaj bhi nahi aaye shayad mona aur uski mandli ne yahan aana band kar diya tha. jisse mera mona ki thukayi dekhna bhi band ho gaya tha.