Update 10
ghar aane ke baad main chachi ko bata kar ground par khelne chala gaya. aaj phir teeno nahi aaye the shayad unko ab darr lag raha tha ya phir unko koyi nayi jagah mil gayi thi.
iska mujhe kuch pata nahi tha kyunki hone ko to kuch bhi ho sakta hai isiliye main khelne ke baad ghar chala gaya. aaj maine homework pehle hi kar liya tha isiliye main chachiyon ke saath baatein karne lag gaya.
c chachi- avi tumhari padhayi kaisi chal rahi hai.
avi- acchi chal rahi hai chachi.
m chachi- teri madam kaisi hai.
c chachi- kya didi aap avi se kuch bhi pooch rahi ho.
m chachi- theek hi to poocha hai magar tu hi ulta samajh rahi hai ki teri madam kaisi hai aur kaisa padha rahi hai.
avi- madam accha padati hai.
m chachi- teri madam ne aaj tujhe apne ghar khane par kyun bulaya tha.
avi- mujhe kya pata chachi.
c chachi- tum bhi na didi aise sawaal pooch kar kyun avi ko pareshaan kar rahi ho.
m chachi- accha chal jaane de meena. waise avi khana kaisa tha.
avi- bahut accha tha chachi.
c chachi- hum banate hai usse bi accha.
avi- nahi chachi,usse thoda kam accha tha.
m chachi- sacch bol raha hai na.
avi- haan chachi.
chacha- kya baatein ho rahi hai chachiyon ke saath.
avi- kuch nahi chacha ji wo padhayi ke bareme baatein ho rahi thi.
chacha- mujhe to padahiy likhayi ke baare mein kuch pata nahi hai tu apni chachiyon ko hi poocha kar.
avi- ji chachaji chachi hamhesa padhayi mein meri madad karti hai.
chacha- chalo ab mere sone ka waqt bhi ho gaya hai. subha jaldi uth kar kheton mein bhi jaana hai.
avi- good night chachaji.
b chachi- arre avi sun jara.
avi- haan boliye chachi.
b chachi- teri neha bua ne tujhe kal bulaya hai to kal shaam ko wahan chale jaana.
avi- ji chachiji chala jaunga.
b chachi- yaad se jaana aur haan...kuch nahi ja so ja.
avi- good night chachi.