• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

sorbobhuk

Well-Known Member
2,355
5,553
158
Update:-88(B)


Avneesh Sinha:- 00:00 hour ke baad tum ek team ke sath middle East nikloge... Isliye apni team taiyar rakhna. Mission ki poori detail tumhe der raat mil jayegi... Remember one thing... Yadi mission me kuch bhi gadbadi hoti hai to tumne apne juniors ko to traning me bheja hai... Lekin main tumhe sidha dismiss karunga... Is that clear...


Som:- Yes Sir..


Avneesh Sinha:- Fir mera muh kya dekh rahe ho... Lag jao kaam par aur pahle khud ko sabit karo...


Yah din Som ke liye kafi lamba ho gaya. Sabse pahle to IAF ki karyavahi ko rokni thi warna mamla tul pakadta to IIRF ki dhajjiyan udd jati. Yahan mamla unofficially niptana tha aur base Incharge Atul ko ab sara kuch officially hi chahiye tha.


Dopahar ke 3 baje se intzar karte-karte sham ke 5 baje Atul milne ke liye raaji huye. Takriban aadhe ghante tak convience karne ke baad Atul, Som ki baat ko maante huye Riaz aur Daliya ko shaunp diya. Lucknow Air Base se un dono ko sidha Connecting Apartment me bhej diya gaya, jahan in dono ko kamre ke alawa kahin aur jhankne tak ki izazat nahi thi.


Sham ke karib sadhe 5 baj rahe honge. Riaz aur Daliya ko bhej diya gaya aur office me kewal 3 log Som, Charnjeet aur Aakash baithe huye the...


Charanjeet:- Boss humse chuk kahan ho gayi...


Som:- Pata nahi Charanjeet... Riaz nahi hota to hume inke casual apporch ka pata tab chalta, jab koi bahut badi musibat ho jati...


Charnjeet:- Aakash Delhi office me Dhurv se contact karo..


Ek minute baad Dhruv line par aate... "Hello Charnjeet Sir, kaise yaad kiye"..


Charanjeet:- Tumhe agle aadesh tak suspend kiya jata hai. Suspension ke dauran tum house arrest rahoge, jabtak ki humari puchh-tachh khatm nahi ho jati...


Dhruv:- Sir baat kya hai...


Charnjeet:- Call over... Aakash, Banglore office Satish Ram subrmanyam ko call karo.....


Kuch der baad Satish line par aate... "Hello sir"..


Charnjeet:- Satish ji aap abhi 25 recruits suggest karenge wo bhi 2 ghante me. Yah kaam khatm karne ke baad sidha Delhi office ja'kar join kijiye.…


Satish:- Sir yahan ka kaam..


Charnjeet:- Apne 3 subordinate ke promotion ka proposal bhejiye, unhi me se kisi ek ko promote kiya jayega..


Satish:- Aur Delhi me main kya kewal training hi dekhunga..


Som:- Satish ji maine aapke naye traning manual ko approved kar diya hai. Aaj se aap Dhruv ki jagah IIRF ke new traning head rahenge. Iske alawa recruitment karne wali ek fresh team banaeye jiske proposed candidate ka test le'kar final interview ke liye humare pass bhejenge.. Aapko kuch kahna hai...


Satish:- Thanks a lot sir...


Som:- Satish ji, aap hum sab me kafi senior hai. Ummid hai aapke anubhav ka fayda hum sab ko ho... Haan lekin pahle 25 new recruits ki list bhejiye...


Call disconnect hote hi Aakash hath utha diya... "Ji Aakash sir"


Aakash:- Sir baki sari agencies jahan itne sare tracing device aur tracker istamal karti hai wahin humari agency in sab chijon se itni parhej kyon karti hai... Yadi cargo plane ka motion sensor aur any upyogi taknik ka istamal kiya hota to aaj ye din dekhna nahi padta...


Charnjeet:- Dhruv ki naukri abhi issi baat ke liye gayi na... Aakhir kaisi traning thi uski jo ye log basic tak sahi se follow na kar sake... Cargo ke survilence camre tak ko in logon ne check nahi kiya. Motion sensors on nahi kiye... Kisi bhi prakar ke suraksha intezam nahi tha aur na hi cargo me kisi ko chhod'kar gaye the... Rahi baat tracing device aur hi-tech humare na istamal karne ki to kya jabran ghusne wale hi-tech sequrity bridge ko tod nahi sakte?…


Aakash:- Haan ye baat to hai, lekin...


Som:- Main tumhari bhavnao ko samjh raha hun lekin DRDO se hume utna support nahi milta jitna baki agencies ko milti hai. Hume to high technical support, survilence aur hi-tech sequrity se nipatane ke liye, NSA ko approved kiya gaya hai. Unhi ki daya se humara kaam chalta hai... Sabhi agency ke mukhiya ek mat ho'kar kahte hai ki humara kaam to kewal dusre agencies ko support karna hai, uske liye alag se poora survilence aur high-tech technical support team kyon chahiye...


Aakash:- Oh ho... Isliye main kahun ki ab tak koi dusra ethical hacker ya fir software wale iss department ko kyon nahi join karte...


Som:- Humari apni limitations hai. Hume under the rule & regulations kaam karna padta hai... Khair kuch jaroori chijon ka proposal tum bhi bana lo. Iss baar lad jhagad kar un sab ko applicable karwa lunga... Charnjeet middle East ka mission risky hone wala hai kya?


Charnjeet:- News hai ki Indian aur Russian Navy joint operation kar rahi thi. Joint operation me samil sabhi officers gayab hai... Russian agency apne hisab se investigation kar rahi hai... Aur Idhar se shayad hum logon ko bheja ja raha hai...


Som:- Hmmm... Thik hai yahan ki team ko rahne do, tum Sameer Singh se contact karo...


Charnjeet Aakash ke ore dekha aur usne turant Sameer se contact kiya.…


Sameer:- Hello bade sahab log... Bade din baad yaad aayi...


Som:- Sameer main bol raha hun..


Sameer:- Sorry sir, mujhe laga Charanjeet hai...


Som:- Sameer tum kiski investigation me lage huye ho...


Sameer:- NSA ka kaam hai... Indo-China eastern border par hun..


Som:- Wahan se apni poori team ko ready kar'ke apni location bhejo... Aaj hi hume niklna hai...


Sameer:- Fir yahan ka kaam...


Som:- Wahan ke kaam ke liye ek immature ki tukdi yahan se bhejunga... Apne kisi bharosemand ko poori baat samjha'kar team lead karne kah dena...


Sameer:- Thik hai sir. Main aadhe ghante me poori team ready kar'ke location bhejta hun...


Call disconnect ho chuka tha. Aakash canteen se kuch halka-fulka khane ke liye le aaya. Sath me Scotch ki ek bottol bhi le aaya... Kuch snax ke sath teeno apna pahla peg uthaya... Som peg khinchne ke sath hi ek gahan soch me kuch der duba raha fir jaldi se dusra peg khinchte.… "Charnjeet mission ke liye sare equipment mangwa lo. Ab rah gaya uss ladki Daliya ke bare me sochna"…


Charanjeet:- Mujhe to wo normal civilian lagi.


Som:- Haan lekin uska baap to normal civilian nahi. Thodi si chuk se na sirf agency badnam hogi balki desh ki izzat bhi internationl forum par uchhlegi...


Charanjeet:- Kyon na Daliya ka kaam Riaz ko hi shaunp de. Issi bahane uski efficiency bhi samjh me aa jayegi aur Daliya ko le'kar agar koi doubt hua to subject nuturalise bhi kar dega...


Som:- Kya wo aisa kar payega...


Charnjeet:- Wah nahi kar paya to un dono ko Pakistan me hi nipta denge...


Som:- Haan yah sahi prastav hai. Aakash Vijay Awadiya ko phone lagao...


Kuch hi pal baad Vijay Awadiya…. "Hello kaun"..


Som:- Tera baap Som bol raha hun...


Vijay:- Som saheb... Iss garib ko kaise yaad kiya...


Som:- Tumhare liye ek kaam hai..


Vijay:- Karna kya hoga saheb...


Som:- 2 logon par najar rakhni hai aur baat humare mann mutabik na ho to turant hume suchna dena hai... Aage ka fir uske baad batayenge..


Vijay:- Maal kitna milega...


Som:- Najar Pakistan tak banaye rakhni hai... Apni kimat bolo...


Vijay:- Kam se kam 50 lakh aur aane jane ka poora kharch..


Som:- Kuch jyada bada muh nahi khul gaya...


Vijay:- Saheb Pichhli baar videsh me apna 2 pantar sahid ho gaya... Sun'ne me ye tak aaya hai ki uss Nirbhay Singh ke pass ab to bhejne ke liye chhokde nahi bache... Uske itne panter ko aapne sahid kar diya...


Som:- Jyada ander mat ghus, kitni baar samjhaun... 40 lakh aur sare kharch... Aaj raat hi Lucknow ke liye niklo... Yahan meri PA Neha sari details de degi.…


Vartalap khatm hone ke baad Charanjeet ek peg Som ke ore badhate... "Boss sara kaam khatm hua"…


Som:- Abhi kahan... 25 recruits ke bare me detail collect karna aur unko parakhna bhi hai... Tum nikalne ki taiyari karo main recruitment dekhta hun...


Sham ke 7.30 baje se fir ek merathan shuru ho gaya. Satish ne sare naye recruits ki details bhej diya. Aakash ek-ek kar'ke sab se sampark kiya aur Som ne personally sabko parkha. Satish ke suggest sabhi 25 naye recruits kafi kabil dikhe... Sabhi ka interview khatm karne ke baad Satish ko jaroori baten samjha di gayi thi.


Poora kaam samapt karte huye lagbhag 11 baj chuke the. Uske baad Som aur Charanjeet ne milkar sara paper work khatm kar diya. Tay samay ke hisab se Som ne apna poora written explanation Director Avneesh Sinha ko submit kar diya. Jaise hi usne poora written explanation submit kiya, Avneesh Sinha apne chember se bahar aa'kar Som ke sath ek walk lete...


Avneesh:- Sorry main jara shakt ho gaya..


Som:- It's ok sir .. hum sabhi apna kaam kar rahe hain...


Avneesh:- Tumhari team ready hai..


Som:- Haan wo ready hai...


Avneesh:- Mission ki poori detail send kar diya hai. Aaram se mission complete karo. Yah mission apne agency ke liye proud hone wala hai, isliye tumhe bhejna majboori thi.… 2 deshon ke 22 officers gayab hai. Ek poori pandubbi gayab hai. Jao aur poori investigation kar'ke sabko surakshit wapas lao...


Som:- Itna bada operation hume mila kaise...


Avneesh:- Pakistan me ghus'kar jo 3 target tumne uthaye the, uss se prabhavit ho'kar Home ministery se hume direct order mile hain.…


Som:- Thik hai sir, main poori kosis karunga….


Avneesh:- Som ek baat aur... Russian agency bhi iss case par kaam kar rahi hai... Dekhna koi credit unhe na mile..


Som:- Let's hope for the best sir... Mission ke jit ka celebration karne ke baad hi aap Lucknow chhodna...


Avneesh:- Jo hukm sir .. chalo ab niklo tum log...


Raat ke 12 baje Som ka viman udan bhar chuka tha. Din se le'kar ab tak ka mahol aisa raha ki iss dauran Som ko ek baar bhi Meera ka khyal nahi aaya. Office aate hi phone to waise hi silent ho jata hai aur jab mission ke liye nikal rahe ho to koi bhi apna phone sath le nahi ja sakta.… In sab poore prakran me Meera kahin gayab si ho gayi.…


Som ka viman der raat sabse pahle Indonesia ki seema me land kiya. Wahan se sabke Indonesian passport aur I'd collect karne ke baad viman ko officially Tunisia ki seema me utara gaya aur wahan se by road sabhi Libya ke ek mukhya sahar Tripoli ke liye rawana ho gaye. Intel ki maane to jo pandubbi gayab hui thi uska location bhumadhya Sagar dikha raha tha. Yah apne aap me ek achraj bhada vakya tha, jab ek poori pandubbi hi hijeck kar liya gaya ho.


Libiya ki pristhiti kabhi bhi samaya nahi rahi. Tel ke akut bhandar aur unpar malikana haq ki ladai jag jahir thi. Upar se wahan ke rajnitik haalaat bhi kafi uthal-puthal se bhara tha. Kayi sare group wahan par active the. Tripoli, Lybia ke un shahron me se ek tha jahan ghani abadi basti thi.


Tunesia se karwaan nikla aur agle din sham 4 baje ke karib Som & company Tripoli ke ek hotel me check in kar rahe the... Sabhi roop-rekha taiyar karne ke baad poore team ko kaam par laga diya gaya tha. Iran, Iraq aur middle East ke anya country ke informers se Tripoli me kisi safe informer pata lagane kaha ja raha tha.


Poore 24 ghante ki khak chhan'ne ke baad 2 bhadose ke informers ka pata chala. Ek ka naam Elaaf tha aur dusre ka Aaban. Dono hi uss kshetr ki kafi jankari rakhte the aur kisi bhi mamle ko pata karne ki kabiliyat. Dono informers milne ke baad to jaise investigation ko nayi disha mil gayi thi.



Haan lekin yah kahna galat nahi hoga ki informers ke milne ke baad Som ki team ne kewal thrill hi face kiya. Aadhe se jyada waqt to samajhne me lag gaya ki kaun kiske pichhe hai aur ek baar jab tasveeren saaf hui fir aage jo hua wah shayad ek epic history hi tha...
Mast update hai....
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
9,478
39,862
218
ये दो अपडेट्स ने तो हमें वर्ल्ड सैर करवा दिया । पाकिस्तान के साथ साथ मिडिल ईस्ट कंट्री के बारे में भी बहुत कुछ पढ़ने को मिला ।
पाकिस्तान और भारत के बीच बुरे सम्बंध का सबसे बड़ा कारण काश्मीर रहा है और यह बहुत ज्यादा सेंसिटिव चीज है इसलिए इस विषय पर बातें करना मुझे नहीं लगता कि सही होगा । खास तौर पर इस फोरम पर ।
दलिया और रियाज के बीच इस विषय पर जो भी बातें हुई , वो लगभग वही थी जो हम सालों से दोनों देशों की अवाम से सुनते आ रहे हैं ।

लेकिन मिडिल ईस्ट कंट्री का जिक्र करके कहानी में एक और ट्विस्ट जोड़ दिया आपने । ईरान , ईराक , अरब , युनाइटेड अरब अमीरात , कुवैत , इंडोनेशिया , ट्यूनेशिया , लेबनान , सिरिया वगैरह देशों से युक्त क्षेत्र । मुझे जहां तक याद है यह क्षेत्र सिर्फ एक ही सागर से कनेक्टेड है । भुमध्य सागर जो अटलांटिक महासागर से जुड़ा हुआ है ।
इस सागर की गहराई शायद करीब अठारह हजार फीट है और यह इंडिया के क्षेत्रफल का ७५ % हिस्सा होना चाहिए । इसी सागर में इंडियन और रसियन आर्मी से भरी हुई एक पनडुब्बी अचानक से गायब हो गई ।
यह साजिश है या दुर्घटना... पता नहीं , पर सोम को यह जिम्मेदारी दी गई है कि वो इस गुत्थी को सुलझा कर इंटरनेशनल लेवल पर इंडिया का नाम रोशन करे ।

पुरी तरह से कहानी ही बदल गई । लगता है हमें एक हैरतअंगेज एडवेंचर्स जल्दी ही देखने को मिलने वाला है ।
जिस तरह से परिस्थितियों ने अचानक से करवट बदली उसमें सोम को मीरा की यादें न आना बिल्कुल स्वाभाविक है । एक सिपाही के लिए देश पहले है उसके बाद ही कुछ और ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट नैन भाई ।
 
Last edited:

Indrajeet

Active Member
822
1,568
138
Welcome back nain11ster bro.... Tino update mst the ...apna Riaz actually ek achcha agent ban sakta h ...rahi baat uski daliya ke sath Hui conversation ki to....sala Aaj Inka desh chay bhi udhar leke pi rha h aur bate karte h badi badi ..... jitni funding terrorism ke liye karte h uska aadha bhi desh ke infrastructure me laga dete to Aaj ye naubat na aati......ek ghatna batata hu nain bhai...mere ek bhaiya h unse baat ho rhi thi indo pak relations ke bare me ...wo bolte h yaar ek missile chhod hi dete h salo pe ...kissa hi khatm ek baar me....to maine reply Diya ...kya bhaiya unko khatm karne ke liye apna missile kyo waste kare kuch salo me KHUD HI KHATM HO JAYEGA...hahahaha... khair bechari Meera ke sath bura hua ...but kya kare jb itni badi responsibility hoti h to kuch chije yaad nhi rhti ..aur jb desh ki baat aati h to wo sbse upr hi rhta h ....vaise intejar rhega aaj
 

Mbindas

Active Member
1,939
4,125
158
Dono hi update kamal ke diye hai bhai
 

The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158
Update- 87



Sia kahe to kya kahe aur Vyas ka bhi wahi haal tha. Wo dono khamosh aur Som gusse me aag babula.…


Som ke chehre se uske gusse ka andaja lagaya ja sakta tha. Sia to najre jhuka'kar jamin ko dekh rahi thi lekin usse Som ke gusse ka andaja tha. Iss se pahle ki Som kuch kahta Shashtri family se pandit ji aur Alka Shashtri pahunch gaye. Unhone aate hi Sia ka aabhar vyakt karte ek baar uska haal le liya.


Yun to Som, chinta aur gusse ke sath hi hospital pahuncha tha. Usse Sia ke sir ke chot ki kafi jyada chinta thi, prantu hospital pahunch'kar jo aankhon ke aage manjar dikha, usme sari baten hawa ho gayi. Baharhal kuch aupcharik baten hone ke baad Som aur Sia wahan se vida liye. Dono chup-chap sath chal rahe the.


Parking me pahunch kar jaise hi Sia ne Som ko toka, Som ek jhannatedar thappad chipkate.… "Naye ghar par aao. Wahin baat hogi"…. Itna kah'kar Som apni gadi se nikal gaya aur Sia apne galon par hath rakhe.… "Aaj teri khair nahi Sia. Som kuch jyada hi naraj lag raha hai"…


Sia bhi Som ke pichhe-pichhe chal di. Dono apne naye ghar par the aur teesra koi nahi. Dono aamne samne baithe aur room me chir shanti.… "Bhaiya... O... Bhaiya".. Sia ne bade pyar se pukara...


Som usse gusse me ghurte... "Achanak main Som se bhaiya ho gaya. Wo tere logic kahan gaye"…


Sia:- Fine... O Purusom Malhotra... Gusse me laal kaahe ho...


Som:- Ek shabd bhi mat bolna... Warna main na jane kya kar jaun...


Sia:- Thappad to maar hi diye... Ab kya jaan le loge...


Som:- Will you please shut up...


Sia:- Achha sophisticated gussa aa raha hai.…


Som, Sia ko kha jane wali najro se ghurte... "Tumse ye ummid nahi thi... Kitna bhadosa tha"…


Sia, Som ka hath thamti.… "Sorry Som, ye sari confusion uss Riaz ke wajah se hai. Main to Alfanso hotel me rakhi party ke dauran hi sari baten bata deti magar"…


Som:- Sari baten... Matlab kaun si baten...


Sia:- Yahi ki main Vyas ko behad pasand karti hun. Wah mujhe achha lagta hai. Lekin Riaz ne itna natak kar rakha hai ki kuch samjh me hi nahi aa raha tha. Upar se mere upar logon ki najar. Kisi ko yadi pata chal gaya ki main Vyas ko chahti hun to tum samjh rahe ho na Som...


Som, wapas se ek aur thappad chipkate.… "Mere ander aag lagi hai. Mera dimag iss waqt logic nahi samjh raha. Mera khun khaul raha hai. Achha hai wo Vyas pahle se hospital me hai, warna main usse admit kar chuka hota"…


Sia:- Haan to usse apna jija bana lo, itna khun nahi khaulega...


Som:- Kya????


Sia:- Haan to chaunk kyun rahe ho. 2 thappad chipka chuke, mujhe aur tumhari narajgi nahi jhelni... Ya fir mera lover tumhe pasand nahi to abhi kah do. Uss se sare nate tod lungi...


Som:- Haan pasand nahi... Abhi hi break up kar le...


Sia, Som ke baal ko nochti.… "Khud ladki pasand aayi tab kisi se puchha tha, sidha shadi karke aa gaye. Abhi mujhe break up karne kah raha. Mujhe wapas aana hi nahi chahiye tha. Main kal UK wapas ja rahi...


Som:- Jitni natak mere pass karti hai. Jitni saitan tu mere pass dikhti hai. Utna duniya ko kyun nahi dikhati?


Sia, muskurati... "Tu to meri poori duniya hai. Meri maa, Mera baap, mera bhai.... Tujhe apne emotion kyun na dikhaun... Tu mere emotions ko samjhta hai. Baki ke log to bus dusron ke emotions ka mazak banate hai..."


Som:- Ye jane ki dhamki mat diya karo. Dil to jal raha hai lekin thik hai manjoor hai rishta. Haan lekin 5 fit ki duri honi chahiye...


Sia uchhal'kar Som ke gale lagti... "Thanks Bhai.… Waise 5 fit kuch jyada nahi ho gaya"..


Som:- 5 fit matlab 5 fit. Main survilence par ek aadmi bhi lagaunga. Oh haan ek baat aur, jab tak tumhari shadi nahi hoti uss Vyas ko mujhse dur hi rakhna...


Sia:- Main UK ja rahi..


Som ghurti najron se dekhte... "Fir se drama"…


Sia:- Haan to itne clause lagaoge uss se achha hal UK chali jaun...


Som:- Main kuch nahi kah raha. Tum samjhdar ho tum jano kya karna hai. 2 baten dhyan rahe... Pahli main jab bhi Vyas ko dekhunga wo anchaha pal yad aayega, isliye apni shadi tak usse mujhse dur rakho. Dusra kal jaisi paristhiti kabhi dobara na aaye..


Sia, gahri shwans leti.… "Galti meri hai. Mujhe apni bhavnao par kabu rakhni chahiye thi. Iss baar gussa thuk do aur please Vyas se naraj nahi raho.. Aur haan mujhse to bilkul bhi nahi... Tumhara naraj hona akhadta hai... Chaho to 2 thappad aur laga lo...


Som:- Bahut baten ho gayi. Chhodte hain... Chal dad aaye huye hain... Unke sath waqt bitaya jaye...


Dono wahan se muskurate nikle. Sia jaise hi ghar pahunchi chinkhte-chillate poora ghar sar par utha li. Sabhi fir raat ko party aur dinner ke liye nikal gaye.


Raat khushi se bhari hui thi aur usme thrill dalne ke liye Sia ne ajib si demand rakh di. School dino ki yaden taja karte huye Sia ne Som aur Diksha ke samne ek ajib si demand rakh dee.… Jaise school ke dino me hostel ke kisi bully ladke ko Som sabak sikhata tha, thik waise hi aaj raat ko Nausad namak ladke ki pitai uske room me ja'kar karni thi.


Naushad wahi ladka tha jisne Vyas ko goli maari thi. Som to samjh chuka tha ki yahan Sia badla le rahi, lekin Diksha thi isliye Sia ko daant bhi nahi sakta tha. Upar se Diksha bhi jid par utaru. Fir kya tha Som Medical hostel me chor ki tarah dakhil hua aur Naushad ki haalat kharab kar chala aaya. Aisa maara tha ki nishan sharir par kahin bhi nahi the, lekin asahniya pida poore badan me daud rahi thi. Naushad dard se lagaatar chilla aur chhatpata raha tha.


Som ke action ke baad Naushad ki bhi khat ussi hospital me lagi jahan Vyas admit tha. Raat ka anth hote-hote Sia kafi khush najar aa rahi thi. Aur khush bhi kyon na ho poora parivar jo sath tha. Khair sab ki dincharya to samanya hi thi, lekin kinhi karno se Som ki shukh-shanti me shayad aag lagane wali thi.


Subah-subah ka waqt tha. Meera apne ghar se jogging ke liye nikli aur idhar Som apne ghar se nikla. Dono park ke bench par baithe aaram se ek dusre ko nihar rahe the...


Meera:- Jaan hum kab naye ghar me shift ho rahe hain... Mujhe ab akele sone me maza nahi aata...


Som:- Bus 2-3 din ki hi to baat hai. Aise chehra kyun utra hai...


Meera:- 10 dino baad college ki chutti shuru ho rahi aur mammi ghar bula rahi hai... Ek mahina aapko na dekhne ka khyal kafi pira'dayak hai.



Som:- Abhi to filhaal yahin ho na, fir subah-subah itni chinta kyon...


Meera:- Yahan rah'kar bhi kya fayda hai. Ab hum kal subah hi milenge wo bhi jogging karte huye...


Som:- Nahi baba... Aaj bus din me thoda kaam hai... Evening main poora tumhare sath hun..


Meera:- Sach me...


Som:- Haan baba sacchi... Aur fir hum apartment bhi jaynge... Wahan palang tod naughty harkaten hongi...


Meera:- Chhi... Sommmm...


Som:- Haan to kamre me akele bhajan karenge..


Meera:- Idea bura nahi hai... Jaan wo sham ki baat hai sham me dekh lenge... Abhi filhaal chalte hain.


Som:- Sham tak intzar ke liye ek kiss to deti jao...


Meera, Som ko dhakka de'kar wapas bhejti... "Sare armaan ab sham ko poore honge.… Thik 5 baje pahunch jana... "


Som:- Thik hai love 5 baje pahunch jaunga.…


Dono ek khushmayi subah ki shurwat kar rahe the. Meera wapas lauti aur Sia ke sath sabse pahle Vyas ko hi dekhne pahunchi thi. Kuch log wahan pahle se maujood the, bus iss tikri ka teesra sathi Riaz hi nahi tha...


Vyas:- Abe uss Naushad ko tune pela kya??


Aasif:- Nahi mera koi hath nahi... Kahin usse Riaz ne to nahi pela..


Vyas:- Chutiye ka naam mat le... Humare bich phoot dalne ki usne kam kosis nahi ki hai...


Aasif:- Nahi tu galat soch raha hai. Bade bhaiya ka call aaya tha..


Som ko yaad kar'ke hi Vyas kaanp gaya. Hischkichate huye wah puchha... "Bade bhaiya ka phone... Kya bol rahe the"… Vyas ko laga kal sham hui uske aur Sia ke bich ke vardat ko lekar Aasif ko phone kiya ho..


Aasif:- Tujhe dard ho raha hai kya? Ya koi taklif hai?


Vyas:- Aisa kyon puchha...


Aasif:- Juban ladkhada rahi aur mathe par achanak se itna pasin..


Vyas:- Nahi aisa kuch nahi. Bade bhaiya ke bare me kuch kah raha tha…


Aasif:- Haan.. Unhone phone kar ke kaha tha ki Riaz ke bare me jyada nahi sochne. Usne jo bhi kiya tha wah poore yojna aur hosh me kiya tha. Hum sabke achhe ke liye. Baki jab wo samne aayega khud hi poora detail dega..


Vyas:- Aisi baat hai kya? Aisa kya plan kiya tha jo hume bata na saka...


"Kaun se planning ki baat chal rahi. Kahin uss ladke Naushad ko pitne ki baat to nahi kar rahe"…. Pichhe se sabse pahle Nirali aur Jannat ke sath Aqsa pahunchi.. Aur unke baat par pratikriya deti puchhne lagi...


Aasif:- Wah hum dusri baat kar rahe the..


Jannat:- To pahli baat bata do na..


Aasif:- Ye pahli aur dusri jaisi koi baat nahi... Itni enquiry karna band karo..


Nirali:- Aise kaise band kar de... Ek ki khat pados ke kamre me lagwa diya, uske baad bhi kuch plan kar rahe the.. batao kaise band kare...


"Kya band karwane ki baat chal rahi"..Pichhe se Sia aur Meera dono pahunch gaye... Baki sari baton ka jawab baad me. Apni priyasi yani Sia ko ek poori najar dekhna, wo bhi baad me... Vyas ko sabse pahle Meera ka khila hua chehra hi najar aaya aur tanj kaste huye achanak hi kah diya.… "Lagta hai Meera subah-subah apne khas boyfriends se mulakat kar'ke aa rahi hai, isliye itni khili hui hai"…


Nirali:- Boyfriends… Hosh me to ho..


Vyas:- Itna react kyon... Pahle school time kisi aur ko chahti thi aur abhi kuch dino pahle college campus me koi dusra ladka manhgi gaadi me aaya tha. 5-6 bodyguard the aur Meera uske sath kafi khush bhi lag rahi thi"…


Yun to Sia bade acche mood se aayi thi. Lekin Vyas ne uske ore dhyan na diya. Na koi haal samachar aur na hi ek smile tak diya... Sidha uski pyari bhabhi par tanj kasa . Sia bhala kaise chhod deti... Sia bhi Vyas ko aade hath leti.… "Kisi ke sath dekh lene par itna vahiyat comment wo bhi uss classmate friend ke liye jo uski study me complete help kar rahi. Vyas lagta hai chot ka asar dimag par hua hai. Sab baaten karo main apne class me chali"…


Sia poorn roop se gussa ho kar wahan se nikli. Jannat aur Nirali ne bhi Vyas ko aade hath lete usse khadi-khoti suna diya. Aalam yah raha ki pahle kis vishay par baat ho rahi thi usse chhod'kar sab ke sab Vyas ke pichhe pad gaye... Siway Meera ke... Wo bus poore prakaran me mand-mand muskura rahi thi.


Khair khadi-khoti sunane ka kota jab sab ka poora ho gaya fir sabhi hospital se chale aaye. Meera bhi apne class ke liye nikal chuki thi. Apne class khatm hone ke baad Meera ghar jane ke badle ek baar fir campus me bane medical hospital me chali aayi jahan Vyas admit tha...


Dopahar ke karib 3 baj rahe the. Vyas ke sath iss waqt kewal Alka shahstri thi jo dusre bed par baith'kar Tv ka luft utha rahi thi. Wahin Vyas gumsum kahin khoya hua tha. Meera jaise hi pahunchi, Alka shahstri ko usne sabse pahle chalta kiya aur sabko 5.30 baje wapas aane ke liye kah di. Iss bich wah Vyas ke sath study karti.


Jaise hi Alka wahan se gayi... Meera seb ko uchhal'kar catch karti... "Maza aaya.. aur tane de do"..


Vyas:- Sorry.. wo main kuch jyada hi bol gaya...


Meera:- Bilkul nahi darling... Tumne jo bhi kaha usme kuch to sacchai hai... Subah-subah main apni jaan se milkar hi aa rahi thi aur 5 baje sham ko main unhi ke sath ghumne niklungi...


Vyas:- Kya????


Meera:- Itna chaunk kyon rahe ho. Abhi to maine shock diya kahan hai?


Vyas:- Mere bolne se thode na tum shock dena chhodogi... Dal do thrill ab life me...


Meera:- Aisa hai to suno bacchu... Sia apne pyari junior ke liye kahe gaye shabd se stabdh nahi hui, balki tumne uske bhabhi ke bare me ulta-sidha kaha tha..


Vyas:- Kya.… Bhabhi...


Meera:- Ji haan bhabhi... Main officially Sia ki bhabhi hun... Aur tumne apni girlfriend ko naraj kar diya...


Vyas:- Bhabhi... Haan... Sala mai gadha... Pahle to bhaiya ko mange karna tha... Ab to Sia se bhi pange ho gaye...


Meera:- Mamuli panga nahi beta... Tumne apni Gf ko pahle to ignore kiya aur sone par suhaga uski bhabhi ke bare me ulta sidha bola...


Vyas:- Maine to panga le liya lekin tum kya kar rahi ho bhabhi..


Meera:- Waah.. waah.. badi jaldi sur badal gaye... Achanak se mujhe respect milne lagi...


Vyas:- Nahi seriously.. ye bag se tum kapde kyon nikal rahi...


Meera:- Batayi to 5 baje se ghumne ja rahi.. ussi ki taiyari...


Vyas:- Oh... Khair mujhe sach me tumhare aur Som bhaiya ke bare maloom nahi tha. Ulta tum shuru se Bade bhaiya ko chahti rahi aur achanak se tumhe kisi dusre ladke ke sath dekh'kar mai jarra confuse ho gaya tha... Isliye itni bakwas kar gaya...


Meera:- Main wapas aakar sab samjhati hun... Filhaal mujhe jaane ki taiyari ka ek ko hai


Meera bathroom me ja'kar change ki aur taiyar hoti hui wah Vyas se baat karne lagi. Meera ne fir apne secret shadi ki poori kahani batayi. Sath me yah bhi ki kaise usne apne bade bhai jignesh aur apne sath rah rahe naukaron ko confuse kiya. Meera baaten bhi kar rahi thi aur taiyar bhi ho rahi thi. Saadhe 4 (4.30Pm) baje ke karib wah taiyar ho'kar Som se contact karne ki kosis karne lagi... Sadhe 4 se 5 baje gaye... 5 se 6… Iss dauran Meera 20 se upar call laga chuki thi lekin jawab me ek chhota message tak nahi aaya...


Saadhe 5 baje se to Shashtri family bhi hospital pahunch chuki thi. Meera ko dekh kar har koi stabdh tha aur jaan'ne ki kosis me juta tha ki Meera aakhir aise taiyar kyon hai... Lekin Kya Meera ke jahan me ye sab baaten thi... Bilkul nahi... Wah to kewal Som ke intzar me thi. Gujarte waqt ke sath Meera ka para bhi chadha ja raha tha aur anth me haar'kar wah ghar laut gayi...



Meera gusse me thi wahin Som vichitr si pristhiti me fasa hua tha. Lucknow Millitary air field me ek ghuspaith ki suchna thi, jisme Ek Hindustani ladke Riaz ke sath ek Pakistani ladki Daliya pakdi gayi thi. IIRF ne unhe pakda hota to bhi mamla hath me rahta, lekin IIRF ke operational area me ghus kar IAF ke officers ne 2 ghuspaithiyon ko pakda tha jahan ab mamla 2 agency ke bich tha...
Nice update bhai
 
Top