Update:- 87
Jivisha:- Kya yaar Shwetna, jo mere Nischal ke kaam ka tha wo mujhe bata gayi. Isme to mera computer bhi madad nahi karega, mujhe Nischal ko khud puri baat batani hogi… waise tumhe kya pakka yakin hai ki main hi wo ladki hun jise rani Vishi Kritima ki shaktiyan mili hai, aur issi wajah se tum mujhe Rajkumari kah rahi ho..
Shwetna:- Aap ko ye shaktiyan kahin aakash se nahi mili hain.. aap unhi ki vansaj hai.. aur vivaah ke purv Rajkumari aur vivah ke baad hongi humari Rani…
Jivisha:- Tum koi kahani to nahi bana rahi, jaise aksar main banaya karti hun…
Shwetna, badi utsah se….. Ye eklauti aisi kahani hai jo hum me jine ki ummid diye hai… itihaas ki yah sachai hi to humara bacha hausla hai, lekin Rajkumari humari utsah to abhi aap ki kahaniyon me hai… ek lamba arsa huye kuch naya sune… hume bhi kuch kahaniyan sunao na…
Jivisha:- Abhi nahi Shwetna, mera aadha dhyan to unhi logon par hai…
Shwetna, ne apne partham mukhya sahayak Lin se kuch kahi aur wo turant uski baat par amal karta hua Nischal aur Nandni ki haalat ka jayja lekar Shwetna ke pass pahuncha….. "Rajkumari aap ke sath aayi wo ladki…"
Jivisha:- Nandni, naam hai uska..
Shwetna:- Ji Rajkumari, wo kewal behosh matr thi, unhe kuch nahi hua tha. Wo abhi hosh me aa chuki hai. Aur wo ladka..
Jivisha:- Ladka nahi hai wo… meri jaan hai.. meri dhadkan.. mera pyar.. Nischal..
Jivisha ke mukh se ye shabd sunkar Shwetna hasi, aur kahne lagi… "42000 sapon ka vish unke ander gaya tha, kintu zahar jaise sama gaya ho unke ander. Behosh hain wo, kintu koi khatra nahi hai… unhe aaram karne dijye, jab aankh khulegi to wapas pahle jaise ho jayenge"..
Jivisha:- Hmmm ! Mujhe milwao dono se..
Ajib si bhumigat jagah thi, jahan charo ore kafi nami thi. Aisa lag raha tha chattano se bani pillar par, iss jagah ka pura dhacha taiyar kiya gaya tha aur wahan ki har chattan halke hare aur nile rang ke ghas jaisi paudho ke chadar se dhaki thi. Un paudho ke patti ka aakar bindu jitna tha, jo pure chattan ko dhake huye tha aur uss jagah ko kafi manmohak bana raha tha..
Jivisha uss jagah ko niharti hui aage badhne lagi. Ek jagah ke manmohak banawat ne Jivisha ka kadam rok liya…. "Shwetna ye itni sare manmohak aur khubsurat tane ki jal ki deewar kitni pyari lag rahi hai…..
Shwetna:- Rajkumari wo ek tarah ka deewar hai, jiske piche ek khubsurat vatika aur alokik talab hai…
Jivisha:- Aisa kya, fir to main bhi wo vatika aur talab ghumungi…
Jivisha, Shwetna se baat karte huye Nandni ke kamre tak aayi. Nandni kisi se baat kar rahi, Jivisha ko dekhte hi uske ore bhagi… "Ahhhh ! Tu thik hai Jisa"…
Jaise hi Nandni ne Jivisha ka haal lee, pass khadi Shwetna ke muh se "khiii-khiii" nikal gaya… Jivisha usse tej najron se ghur'kar pura dhyan Nandni par lagayi…
Jivisha:- Main bilkul thik hun.. tu kaisi hai.. koi taklif to nahi diya inhone..
Nandni:- Andhere me to kuch pata bhi nahi chala mujhe, sadme se sayad main behosh ho gayi thi. Aankh khuli to main yahan thi. Bahut ache hai ye log aur kafi pyari baten karte hain. Nischal kahan hai..
Jivisha:- Wo aur uska vigyaan, jab se yahan raushni hui hai, bus sodh kar rahe hain… chal aaj raat tu yahin aaram kar, main jarra unki khabar lekar aaun..
Nandni:- Nahi yaar, ya to Ansh ko yahan bula de ya chal wahin chalte hain… Chinta kar raha hoga bechara..
Jivisha:- Kamini sab samjhti hun main.. Shwetna, kya tumhe humare jahaj ke bare me pata hai..
Shwetna:- Haan Rajkumari, aap ke viman ki jankari hai mujhe..
Nandni:- Rajkumari, ye kab hua…
Jivisha:- Shwetna, Nandu ko bhi wo itihaas bata do jo tumne mujhe sunaya hai… aur haan humare viman me 3 log honge.. dhyan se sunna 3 log.. jisme se 2 issi grah ke hain... Tumhari jimmedari hai un tino ko yahan surakshit lekar aao..
Shwetna:- Rajkumari uss Parijivi Mittoso (Mahamahim ka naam) ke log ke baare me sochkar hi aap logon par aise humle ho rahe the.. aap soch sakti hai kitna rosh hai unke liye..
Jivisha:- Thik hai fir hum hi yahan se chale jate hain…
Shwetna:- Rukiye, kisi ko kuch nahi hoga yah mera wada hai.. lekin hum viman ke ander nahi ja sakte… pahle bhi kosis karke dekh chuke hain...
Jivisha:- Computer ji iss kharnak si ladki aur iske sathi ko wahan please acess de dijiye.. Shwetna is baar mukhya dwar se jana aur haan suno wahan Ansh hoga, tum pahchan jaogi..
Shwetna:- 2 uss Mittoso ke log hain, to bache huye teesre ki aap baat kar rahi hai na, bilkul pahchan jayenge…
Jivisha:- Smart haan. Ansh ko mere dost ke kamre me chhodna aur khyal rahe unhe koi padesan na kare..
Shwetna:- hihihi.. thik hai Rajkumari main samjh gayi..
Jivisha:- Nandu ab to khush.. chal ab main jarra apne unke pass jati hun... Tu aaram kar..
Jivisha Nandni ko aankh maar kar wahan se nikali aur Shwetna ke gair maujoodgi me uska pratham sahayak Len Jivisha ko Nischal ke pass tak lekar gaya…
Nischal khule badan behosh para hua tha. Kamar par kapda matr tha aur wahan aas pas baithi kuch ladkiyan Nischal ke dilkash badan ko dekh'kar mand-mand muskura rahi thi…. Jivisha unhe ghurti hui… "Chalo bahar niklo yahan se… Ye sab kaun thi, Lin"..
Lin:- Ye sewika thi, jo inki sewa aur jaroorton ke liye rakhi gayi thi..
Jivisha, badi si aakhen kiye… "Kis tarah ki jaroorat"..
Lin:- Aushdhi aur any vastu ki jaroorat…
Jivisha:- Nana koi nahi rahega yahan.. inki har chhoti badi jaroorat ke liye main hun yahan … abhi ke abhi jao sabhi yahan se…
Lin aur wahan jitni bhi ladkiyan thi, wo sab sar jhuka kar wahan se bahar nikal gayi… Jivisha ne aaram se uss kamre ko lock kar di. Nischal ke khule badan ko dekh'kar thandi aahen bharti … "hayyyyyyy".. ki madhoshi bhadi awaj Jivisha ke shwanson se nikli aur sine me gud-guda ehsas machalne laga…
Jivisha apna pura panja Nischal ke sine par rakhti, uska chehra dekhne lagi. Idhar jaise hi Jivisha ka hath Nischal ke sine se laga, wo tej gahri shwans apne ander khincha.. aur fir sukoon ki shwans lene laga…
Hath lagane se uske chehre par aaye sukoon ko dekhkar Jivisha hasne lagi… "Behoshi me bhi sparsh pahchan rahe ho haan.. natkhat kahin ke"… Jivisha hasti hui apne sar ko jhuka li aur pyar se Nischal ke naak par apne naak firati wo honth se honth ko sparsh karne lagi"..
Jivisha jab honth ko chum'kar uthi tab wo Nischal ke badan par huye kuch badlaw ko dekh rahi thi. Kuch der tak wo uske badan ko gaur se dekhti rahi.. uska skin aisa lag raha tha jaise bilkul soft hokar hawa me ek madam khusboo chhod rahi thi, jiska asar Jivisha ko pagal banane laga…
Jivisha turant hi uske pass se uthi aur thodi dur khadi hokar apni shwans samanya karti hui… "Baby tum to pagal banane lage mujhe… Aahhh ! Aise behosi me rijhane ka kya matlab hai jaan… Hosh me to khud ko kabu me rakhte ho"..
Jivisha apni swans samanya karne lagi… kuch duri bana kar uske badan ki dilkash najara leti rahi. Kuch der baad jab sab kuch samanya hua, tabhi Jivisha ki najar paun se khinche mans par gayi.. itne gahre jakhm dekh'kar uski aakhen badi ho gayi….. gusse me aakhen laal kiye wo fir ek baar nikli…
Shwetna aur uske log Jatin aur Baby ko ghere baithi aapas me hi hans rahe the, jaise hi Jivisha pahunchi, sab ke sab apna sar pakad kar niche jhuka liye….. "Mari jaan ka ye haal kisne kiya.. unke paun me itne sare jakhm kaise huye.. jitne bhi uske jimmedar hain wo samne aa jaye"..
Shwetna:- Rajkumari, wo kisi ghor dushman ko marne ke aawesh uthaya gaya kadam tha, kintu aap to jaan-bujh'kar har baat par apne logon ko yatnayen de rahi hain… shakti ke sath itna aawesh thik nahi.. aap bekabu ho rahi hain..
Shwetna ki baat sun'kar Jivisha khud ko kabu ki aur wahin baith gayi…. "Maaf karna wo Nischal ki haalat dekh'kar mujhe rah-rah kar gussa aa raha hai"..
Shwetna:- Ab to gussa nahi aa raha na Rajkumari, ab to muskura sakti hai.. kash is waqt aap humare dil ka haal bhi samjh pati…
Jivisha:- Hmmm ! Chalo mera to dil bechain hai, tum sab apne hi dil ka haal bata do..
Shwetna ne apne mukhya sahayak ko kuch vaywastha karne kahi aur baki sabhi mehmano ko unke kamre me pack kar diya gaya, ek khas jashn jo apne samuday ke bich hi manaya jata tha…
Jivisha ke liye fulon se saji ek baithki ka intzam kiya gaya jahan uske khane aur pine ki vises suwdhyen thi... Charo ore fulon ki khusbu se vatavaran mahak utha… dekhte hi dekhte wo jagah kewal aur kewal sapon se bhad gayi jo ek madhur sangit par jhum rahe the..
Kayi sharp Jivisha ke paun ke charo ore chakkar laga rahe the to kayi Jivisha ke hathon se lipte rahe… utsaw jaisa mahol tha jo kafi lamba chala tha… anth me sabha ka samapan ho gaya aur sabhi log sone chale gaye..
Jivisha ek baar fir Nischal ke pass thi. Muskurati hui, fir wo lamha ek baar mehsus karna chahti thi, jo ab se chand ghantey pahle wo mehsus ki thi. Ek baar fir Jivisha pyar se Nischal ke honth ko chum'kar, un madak ehsas ke sath Nischal ke sine se lipat kar so gayi.
Kafi khili hui subah thi. Charo ore se manmohak pusp ki khushboo aa rahi thi, mithi si angdai lekar Jivisha jab apni apni aakh kholi… "Ufff baby ab kitna tadpaoge. Ek lambe arse ke baad dono sath hain.. lekin sath milkar ab tak sukoon ke wo pal humne bitaye nahi. Mujhe chhod'kar kahan chale gaye"..
Jivisha muskurati hui uthi aur charo ore ka najara lene lagi. Char kadam chali hogi ki tabhi wo hari bhari ladiyon ki unchi deewar najar aayi. Jivisha uske banawat ko dekh'kar uss ore aakrashit hoti hui, apne kadam badha di.
Jaise hi Jivisha uss dwar ke pass pahunchi, bahar khadi sewika apna muh niche karke hansi aur talab ka darwaja khol di.... Jivisha khule darwaje se jhank'kar ander ke lubhawne drishya ko apne jehan me samet'ti hui ander ghusi, aur sewika ne uss dwar ko band kar diya.
Itna khubsurat talab Jivisha ne aajtak nahi dekha tha… aisa pratit ho raha tha mano kisi dev lok ki vatika me wo aa gayi ho.. Jivisha talab kinare bane ghat ki sidhiyon se pani me utarne lagi… Talab ka shital jal jaise hi Jivisha ke paun ko chhune lage… Jivisha ka man prashann ho gaya..
Wo dhime-dhime talab me utar'ti chali gayi aur ghat ke kinare baith'kar, shital jal ka aanad lene lagi… Jivisha ka pura mann shant ho gaya aur aakhen mund'kar wo sukoon ki gahraiyon me chali gayi… Bahut hi umda anubhaw tha ye..
Tabhi achanak uss pani me hulchal hui aur Jivisha ki aakhen khul gayi… Jaise hi uski aakhen khuli aur samne Nischal ka khula pith dikha… Jivisha ka dil joron se dhak-dhak karne laga….. "Baby tum yahan"..