Update-278(He Is Back)
278
Meri body haar maan chuki thi main blood lost or hypothermia ki wajah se hallucinate karne laga tha.. Mujhe kuch bhi kuch bhi dikh raha tha sabkuch dhundhala hogaya tha even woh hospital ka board bhi mujhe blurred dikh raha tha...Main almost behosh he hone waala tha but main hua nahi, bhenchod behosh hojaata toh kya faayda mera bhagwan hone ka, kon AP kehta mujhe.. AP marr jaaega but haarega nahi yahi soch k sath main ladta raha main chalta raha main rukka nahi, lund mera rukkega finally main road pe aaya kyunki road cross kartey he hospital tha maine road cross kiya ab woh hospital ka board clear dikh raha tha mujhe kyunki just mere saamne he toh tha woh board main hospital k saamne aaya toh 2 guards ek side khaddey cigarette pee rahe they..
Main-Hhh. H. H. H. Elllllpppp..
Main chilaaya toh unhone dekha mujhe and turant he bhaagte hue meri taraf aaye maine Jack ko niche utaara toh sansein chal rahi thi uski maine time se pehle pohancha diya tha usko..Thank me later Jack.. Main niche baith gaya ek ambulance k sahaare leke.. Woh guards udhar se aarahe they... Meri aankhein bhi bandh hone lagi thi main almost behonsh hone waala tha ki mujhe mere saamne se awaaj aai..
"Bahot shyaana hai tu i give you that"
Maine dekha toh saamne 4 shaks khaddey they ye 4on Manaar k aadmi they or unmein sabse aage wahi tha jo main banda tha jisne kal firing ki thi jo aaj bhaga tha jisne Jack ko chaaku maara tha uske alawa 3 or bandey they.. 4on k pass chaaku they..
"Maine toh pakka maan liya tha ki teri laash he milegi kal, koi chance he nahi hai ki tum dono jinda bachoge no chance ho he nahi shakta but Boss ko pata tha itani ashaani se nahi marrega tu , or tereko hospital jaana jaruri tha tere ye dost k liye toh 2 kilometers k area mein 3 hospital hain toh humlog 3no hospitals mein pohanch gaye or tera badluck tu mujhe mill gaya..Unfortunately tujhe main nahi maar shakta but boss aarahe hain don't worry lekin tere is dost ko iske dard se jarur ilaaj kar shakta hun main.. "
"Max Pehele boss ko inform kardey "
Uska dusara sathi bola usko, toh iss maadarchod kaa naam Max tha, good to know..
Main uss ambulance ka sahaara leke badi he muskill se khadda hua..
Max- A guard jindagi pyaari hai toh usko wahin chhodke bhaag jaao"
Usne un guards ko dhamki di jo Jack ko uthane mein busy they..
Guard1-Ye kon hain pata hai tujhe?? Saale maar dey humein inke liye marr jaaenge..
Guard2- Haan.. Bhai ko yun nahi chhodne waale hum..
Main-Sssshhhh!isko leke andar jaao.. Police ko phone karo unhe bolo Anjali se abhi connect karwaae or usko batao main yahaan hun 5-6 minutes mein yahaan aajaaenge wohlog tabtak main dekhlunga inko..Goooo.. Iske pass time nahi hai..
Ye sunte he wohlog Jack ko uthaake andar lejaane lage un 4on ne aage aana caaha but unhe pata tha main hun still wahaan beshak injured hun lekin main hun wahaan..
Unmein se ek aage aaya jabki woh Max phone karne laga..
Woh banda mere saamne aaya hansa or apna bada saa chaaku mere saamne kiya or jhapta mere uppar.. Mere andar itani energy nahi thi main usko maar paaun like koi chance he nahi tha, mujhe bus time nikaalna tha 6-7 minutes or woh bahot bhaari hone waala tha.. Main usase bachne laga..Lekin main dhirre dhirre behonsh horaha tha meri aankhein bandh horahi thi apne aap.. Minutes durr mere liye seconds muskill horahi thi..
Max- Oye rukk jaa..
Woh unka boss Max bola toh woh rukk gaya woh phone pe baat kar raha tha still.. Shayad Manaar se.. Idhar main khudse ladd raha tha honsh mein rehne k liye jo impossible hota jaa raha tha and main finally wahin girr padda or fir nahi uth paaya, maine koshish ki lekin mere sareer kaa koi hissa meri baat sunaney ko taiyaar nahi tha meri aankhein bandh thi jinhe main caah kar bhi nahi khol paa raha tha, main sun paa raha tha bus..
Max - Bhai moka hai aisa moka kabhi bhi kissi ko bhi nahi milega.. Aap North India k king ban jaaoge.. Boss iske sathi aatey honge.. Behosh hogaya.. Boss.. OK.. OK.Haan aap aajaao tabtak. Haan jinda rahega toh aapka otherwise seedha nikal jaana.. Behonsh padda hai.. Haan.. ." Hahahaha..
"Kya hua Max"
Max-Boss ne bola hai maardo isko isase badhiya moka kabhi nahi millega..
Ye sun sab hans paddey..
Max-Bus iska sir kaatke leke jaana hai.. Logon ko thodi pata chalega humne maara hai, iski khopdi boss dikha denge duniya ko.. Hatt be mujhe maarne dey.. Mujhe still belive nahi horaha main isko maarne waala hun tujhe pata hai Underworld ki duniya mein kya naam hoga mera.. Sanjay boss khud mujhe apna khaas banaenge. Bhagwan Kehte hain log isko..Oye uth..
Ye bolke usne mujhe laat maari..ek k baad ek kai laat.. But main caahke bhi nahi uth paaya..
Usne fir mujhe laat maari lekin nahi main nahi uth paaya, uthna durr main meri aankehin takk nahi khol paaya, main maano paralysed tha.. Woh Max mere pass baitha usne apna chaaku uthaya..
Max-Tu soch bhi nahi shakta tujhe maarke main kya ban jaaunga.. Mera khouff Pure India mein bolega.. Bhagwan ko maardunga main.. Hahahaha...
No... Kya ye mera end tha? AP the great ka end?? Moutt k itana kareeb aake main nahi haar shakta.. No way..
Max-Dont worry kuch he seconds mein khatam hojaaega sab.. Jyaada dard nahi dunga main.. Good Bye Bhagwan..
Ab usne chaaku uthaya, mere or moutt k bichmein sirf 1 feet ka fansla tha..
Max-Here we go...
Is this the end?? Maine khudse pucha and agle he second maine uss bandey ka hath pakkad liya usne chaaku chala diya tha mere heart k uppar seedha lekin maine uska hath pakkad liya chaaku mujhse 5 inches durr tha ek second mein or game over hojaata mera literally ek second mein.. But question ye tha maine toh uska hath dekha takk nahi toh fir maine uska hath kaise pakkad liya..
Maine ghumke usko laat maari jisase woh piche hatta and main jump maarke khadda hua toh mere saamne 4 bandey khaddey they hathon mein chaku liye jisme se ek toh mere bilkul close tha and 3 bandey thoda piche they.. Maine chaaron taraf dekha toh khudko kissi hospital k saamne paaya mere shoulder mein taaja ghaav tha chaaku ka i think.. Maine chaaron taraf dekha ye samajhne k liye ki ho kya raha hai but mujhe kuch yaad nahi aaya..
Main-Who are you?? Orr Mujhe itani shardi kyun lag rahi hai bhenchod...
Max-T. T. T. Tu.. Tu... Uth kaise gaya..
Main-Hmmm.. Uth gaya?? Ohh Haan, Main kai din baad he uthata hun, koi particular reason nahi hota but most probably mere uthane ka sabse bada reason gussa yaa fir drugs he hain but kuch drugs not all drugs.. And also jab ye chutiye ki jaan khatre mein hoti hai tab uthata hun main.. Ohh haan yaad aaya issiliye toh utha hun abhi main.. Jaan khatre mein thi chaaku tha. Tune maara tha kya be?? Bhenchod...
Woh mere saamne confused khadda tha..
Max-Tt. T. Tu behonsh hogaya tha na..
Main-Yeah.. Iske Behonsh hone k baad he main aata hun..
Max-Tttt.eri aankhon ko kya hua...
Main-Ye inbuilt feature hai.. Cool haina??
Max-Ttuuu...tu..tu..
Main-Oh I'm so sorry, so rude of me, introductions first.. Myself 2.0.. Or bhi bahot naam hain mere but teri aukaat yahi sunaney ki hai.. And also just to add main jaan se maardunga tumhe, tum sabko.. I will kill all of you..
Continued..