Naik
Well-Known Member
- 22,764
- 80,190
- 258
Bahot badhiya shaandar updateUpdate-737(The Rally-4)737
Vinay ne apna bhaasan khatam kiya toh logon ne badhiya response Diya usko ,maine bhi taaliyaan bajaai uske liye ,gutsy bhaasan diya tha londey ne ,usne mere pair chuwe or piche hatt gaya or main aaya mike par ..
Main - Namaskar mere pyaare deshwaashiyon pehle toh bahot bahot bahot dhanyawad aap sabka yahaan aane k liye , aap sabne saare records tod diye itani badi rally kabhi India mein nahi hui thi mujhe khud bhi vishwas nahi horaha ki ye sab ashli hai ,woww...Or ye aap sabki madad se he sambhav ho paaya hai ..Ye bahot maayne rakhta hai humaare liye or BLD ki taraf se main aapsabka tahe dil se dhanyawad karta hun.... Ab baat kartey hain ki hum yahaan kisliye ikkatha hue hain .. Vinay Deswal ..Vinay actually waise toh mera bada bhai hai lekin ye iska badapann hai ki ye mujhe itani ijjat deta hai ...Aap sabko pata hai Vinay ka past kaisa Raha hai sabko pata hai usne kya Kiya hai kya nahi kiya or main uski safaai dene nahi aaya hun usne jo kiya woh galat kiya main khud maanta hun lekin kabhi kabhaar galat karna bhi jaruri hota hai apne pariwar ko bachaane k liye ,or aap sab humaara pariwar ho .. Or wahi uss time hua tha Vinay ne pehla kadam nahi uthaaya tha pehal saamne se hui thi Humaari party k logon ko maara gaya tha dhamkaya gaya tha unka jeena durlabh kiya gaya tha or Vinay ne pehle police ka he darwaja khatkhataya tha usne FIR darj ki thi lekin center mein uss time kiski sarkaar thi ye aapko pata he hai toh police hath par hath rakh k baithi rahi or humaare logon ka soshan nahi rukka woh masoom log seh rahe they kyunki woh kuch kar nahi shakte they lekin Vinay ye nahi sehne waala tha usne apne logon k liye hath uthaaya haan galat tha but jaruri tha I'm proud of him iski jagah main hota toh jaan se maar deta unko ..Kyunki agar aapke pass kuch kar dikhaane ki power hai or aapke hotey hue bhi gareeb or majboor logon ka soshan horaha hai or aap kuch kar nahi rahe toh aap aadmi nahi ho thuuuu hai aapke uppar ..Uske baad Vinay ne jurm kabool bhi kiya or uske liye jail bhi gaya apni saja bhi kaati... Ye election nahi ladna caahta tha isko darr tha ki aaplog kya sochoge woh toh maine isko force Kiya jaan bujhke yahaan leke aaya kyunki South Delhi ko iski jarurat hai kyunki yahaan k purav MP jo khud centre government k maai baap they unke hotey hue bhi South Delhi ka aisa haal hai toh unke yahaan se koi dusara jeetata toh ab opposition mein baithke toh South Delhi ko khatam he kar detey issliye mujhe koi trusted banda caahiye tha yahaan se taaki South Delhi ko waapis Delhi waale standard par leke aaya jaaye or Vinay se jyaada trusted yahaan koi tha nahi mere liye, toh main seedha iske pass gaya kyunki iski saari jindagi yahaan Faridabad or South Delhi mein he nikalli hai isko pata hai aapsabko kya caahiye or kya nahi or ye wahi karega .. Ye keh raha hai ki ye sudhra nahi hai but koshish kar raha hai ye actually bahot sudhar chuka hai or main yahaan khadda hoke iski guarantee leta hun ...Main khud jimmedar hun iska .. Issiliye toh dekhlo aapke saamne akela khadda hun Vinay nahi caahta tha ki humaari party se koi orr yahaan aake isko support kare jiski wajah se log iske iljaam unpe bhi lagaaein or unka or party ka naam kharaab ho lekin mujhe farak nahi padta inn sabse mujhse jyaada kharaab naam bhalla kiska hai aaj k time or uske uppar kya he kharaab hoga bhalla karlo kharaab ,aap logon ka pyaar itana hai ki naam kaisa bhi ho aap sath detey he ho mera...Opposition waale or kuch media waale bol rahe they dekha maine ki Vinay gunda hai BLD gundo ko ticket de rahi hai gundagardi he karni aati hai unko wagaira wagairah toh ye main aapko bata dun ki unki khudki party mein Saikdon log hain jinke uppar Vinay se bhi jyaada sangeen criminal cases lage hue hain or woh still MP ya mla hain toh agar woh ladd shaktey hain toh Vinay ne toh kuch galat kiya he nahi... Gunda??apne logon ko bachaana agar tumhe gunda bana deta toh I'm sorry to say but Vinay se pehle main Gunda hun mujhse bada Gunda toh koi hai he nahi ... Kyunki harr jagah kanoon aapka sath nahi de paata main toh abhi bhi kehta hun ye baat ki harr jagah kanoon kaam nahi aa paata , hum khud centre mein hain fir bhi , rules aise hain ki gawaah nahi milte saboot mill jaaye toh dates nahi milti dates mill jaayein toh saboot khatam ho jaatey hain yahi sachaai hai or isko hum khatam bhi kar rahe hain but 60+ saal se ye sab chalta aaraha hai toh time toh lagega he lekin trust me ek din main yun he aap sabke saamne khadda hounga or kahunga ki humne corruption khatam kar diya hai ... Bus aap aise he aashirwad banaaye rakho aise he humein jeetwatey raho aage main dekh lunga .. ...Ye Agle elections takk aapke bich rahega harr kaam karwaaega chota ho ya bada iske darwaaje aap sabke liye humesha khulle rahenge ye mera waada hai ...Mujhe pata hai Vinay ko aap jeetwaaoge uske liye pehle he dhanywaad bol deta hun main aapsabko... Dhanywaad bhaiyo or behano yahaan aane k liye please khaana khaaye bina matt jaana also Delhi Government ko bahot bahot dhanyawad ye sab itane ache se organise karwaane k liye ...Jai Bharat Jai BLD...
YE Bolke maine Ek hath Vinay ka pakkada dusara uski wife ka or dono ko stage k bichmein laake hath uppar uthaadiye or crowd lagi firse chilaane ...And yahaan hum election jeet chuke they as simple as that... We've already won..
Delhi mein aag lagaake main nikala waapis Sirsa k liye Delhi mein ektarfa jeetwa diya tha maine 6-7 lakh k margin se jeet thi confirm...Ab baari thi Sirsa ki toh Sirsa mein bhi mahool jamaa rakha tha maine wahaan bhi record bheed thi but Delhi k muqabla nahi tha ..But yahaan itana he possible tha or kaafi bhi ...
Continued.
Tow Rally ho dono jagah zabardast public ekattha huwi
Delhi me kuch ziada hi
Ab janta ko bhar bharvke vote dena chahiye