To yule Moon ne karan ko ek nayab aur nadir werewolf me tabdeel kar diya hai aur kia khatarnak ho gaya hai ab dar iska hai ki yah baghawat na kar de warna Sikander ko khatra ghar me ho jayega coz wolf Alpha ke liye jung kartey hai koshish kartey hai.
Lekin ek baat to hai ki aap jis se bohat zada nafrat kartey ho dheere dheere aap wohi ban jaatey ho jaisa Sikendar ke sath ho raha hai. Ab woh khud wohi banta jaa raha hai jinke khilaf khada hone wala thaa aakhir Adhara ne sahi kaha hai usko ki woh avoid kar sakta thaa.
Ab bohat dino ke baad Rosie ka character wapis aaya aur dekh kar maza aaya woh Sikander ko dil ki gehrai se chahti thee magar taqat ki lalch ne Sikander ki aankho se uske pyar ko dikhaya hi nahi. Lekin woh kis mission per jaa rahi hai.