Update 53
wahin dusri taraf 6 din tak teeno chachiyon ne harr din upwaas karke nange panv mandir ke saat chakkar pure kar liye.
aaj saatvein din bhi unhone upwaas karke saat chakkar pure karne ke liye dheere-dheere aage badhna shuru kiya.
tabhi achanak unki uttejna badhne lagi aur ek gandh unhe madhosh karne lagi.
jis kaam ko wo teeno harr din aaram se poora kar leti thi aur aasan samajhne lagi thi.
aaj unhe samajh aa raha tha ki kyun maharaj keh rahe the ki ye mushkil kaam hai.
parantu teeno ko maharaj ki wo baat bhi yaad aa gayi thi ki "tum isko pura kar loge".
unki ye baat yaad aate hi teeno apni bhavnao ko niyantran mein karte huye aage badhne lagi.
wo teeno dheere-dheere aage pag utha rahi thi aur saath hi bhagwaan ko bhi yaad kar rahi thi.
magar baar-baar unka dhyaan bhatak raha tha. aakhir aisa hona swabhavik tha jab roop aur kaam ki devi kisi ki pariksha le rahi ho.
yahi teeno ke saath ho raha tha lekin maharaj ki kahi baatein yaad aati ki "agar yeh vidhi puran kar li to tumhe santaan sukh ki prapti hogi aur tumhari jholi khushiyon se bhar jayegi" to wo teeno josh se bharkar aage badhne lagti.
aise hi teeno ne pehla chakkar pura kiya to aaj maharaj ne pehli baar teeno ko pehla chakkar puran karne par mubarak baad di.
saath hi teeno ke oopar pushpon ki varsha ki aur agla chakkar pura karne ka aashirvaad diya jiske baad teeno aage chal padi lekin tabhi unhe laga ki koyi cheej unke pair ke oopar se nikal gayi jisse unhe jhatka laga aur ek halki si cheekh unke muh se nikal gayi.
abhi wo dard ki wajah se rukne hi waale the ki unhe maharaj ki baat yaad aa gayi ki "ek baar chakkar lagana shuru karne ke baad rukna nahi hai" to wo teeno chalti rahi lekin unhe apne panv mein bahut dard ho raha tha.
abhi wo kuch aage hi badhe the ki tabhi ek kaali billi pata nahi kahan se aayi aur usne teeno ka rasta kaat diya.
ab samasya ye khadi ho gayi thi teeno ke liye ki kya karein. na to wo teeno wahan ruk sakti thi aur na hi aage badh kar apshakun ko nimantran de sakti thi.
phir teeno ne socha ki wo bhagwaan ke mandir mein hai jo hoga accha hoga aur ye soch kar teeno bina ruke aage badh gayi.
teeno aage badh rahi thi aur teeno ke mann mein gud-gudi ho rahi thi ye soch kar ki teeno jald hi maa banegi. maa banna teeno ke liye ek swapna ki tarah tha.
maharaj ki baatein teeno ke dil mein bahut gehre tak baith gayi thi aur teeno hi kisi bhi haal mein yeh pooja puri karni hai ye dimaag mein rakhakar dridh nischay se apne kadam aage badhati rahi.
issi tarah teeno ne dusra chakkar bhi pura kar liya to maharaj ne phir se teeno ke oopar pushpon ki varsha karte huye puja puri karne ka aashirvaad diya aur saath mein bole.
maharaj- putri puja puri hone tak bhagwaan tumhara imtihaan lete rahenge isiliye bilkul bhi ghabrana mat aur parikrama ko harr haal mein pura karna.
teesre chkkar mein chalte-chalte unhe achanak apna bhavishya dikhne laga jisme chacha ji teeno ka tiraskaar karke unhe ghar se nikaal rahe hai lekin teeno ne apna mann kada karke bina ruke teesra chakkar bhi pura kar liya.
jiske baad maharaj ne teeno ko phir se aashirvaad dete huye pushpo ki varsha ki aur saath hi saavdhan rehne ke liye kaha.
chauthe chakkar mein unhe apne paida hone waale bacche ka mrit sharir dikha to wo kuch dair ke liye dukhi ho gayi lekin phir bhagwaan par vishwaas rakhte huye aage badhti rahi.
aise hi unhone chautha chakkar bhi pura kar liya aur maharaj ne unhe aashirvaad dete huye pushpo ki varsha ki.
paanchve chakkar ke dauraan unhe apne mayake se tiraskaar milne ki baatein dimaag mein aane lagi lekin jaise-taise unhone ye chakkar bhi pura kar liya.
paanchva chakkar bhi pura hone ke baad maharaj ne teeno ko aashirvaad diya aur pushpo ki varsha ki.
chhatha chakkar abhi shuru kiye kuch dair hi huyi thi ki tabhi teeno ke jism mein bahut tezz dard ki lehar doud gayi. unhe samajh hi nahi aaya ki kya huya.
magar jaise hi aage badhne ke liye unhone agla pag zameen par rakha unhe samajh aa gaya ki unke pair mein kuch chubh gaya hai jisse unhe tezz dard ho raha hai.
ab unse seedha khade rehna bhi mushkil ho raha tha lekin parikrama ko pura karne ki prabal ichha unke mann mein thi to teeno dheere-dheere apni edee ke bal par aage badhte huye chhatha chakkar pura karne lagi.
chhatha chakkar pura hone mein abhi thoda samay baaki tha ki tabhi tezz havayein chalne lagi jisse teeno ka aage badhna mushkil hota ja raha tha.
havaon ne dheere-dheere vikral roop dharan karna shuru kar diya tha. unhe aisa lagne laga ki yeh bhi bhagwaan ka hi ek imtihaan hai aur unhe darr kar rukna nahi hai.
teeno bahut hi sambhal-sambhal kar apne pag aage badhati gayi lekin ye teeno ke liye dohri maar thi. pehli ki wo dard ki wajah se apna panja sahi se nahi rakh pa rahi thi aur dusra unhe tezz havaon ka bhi samna karna tha.
bhagwaan ki kripa se aakhir kar teeno ne chhatha chakkar bhi pura kar hi liya. jiske baad maharaj ne teeno ko vijayi hone ka aashirvaad diya aur pushpo ki varsha ki.
tabhi maharaj ki najar teeno ke paanv ki taraf gayi to unhone dekha ki paanv mein koyi cheej ghusi huyi hai jisse khoon nikal raha hai. maharaj ne door se hi dekha aur kaha.
maharaj- putri tumhare paanv mein to kaanta chubh gaya hai lekin main abhi tumhari koyi madad nahi kar paunga kyunki agar maine aisa kiya to puja purn nahi hogi. haan magar tum agla chakkar shuru karne se pehle apne paanv se kaanta nikaal sakti ho.
magar teeno jaanti thi ki agar kaanta nikala to khoon jyada behne lagega aur ek hafte tak lagataar upwaas karne ki wajah se ab unhe thakaan bhi hone lagi thi. jiske baad teeno maharaj se aashirvaad lekar aage badhne lagi.
ek baat ajeeb thi yahan ki teeno ek saath parikrama kar rahi thi lekin parikrama ke dauran unhe apne alawa wahan kissi ka pata nahi chal raha tha.
aise hi wo teeno aage badhne lagi to thodi der baad baarish shuru ho gayi aur teeno bheegne lagi lekin parikrama ko pura karne ke liye teeno aage badhti rahi.
jab saatvein chaakar ko pura hone mein kuch kadam hi baaki the to teeno ko laga ki ab to parikrama puri ho jayegi tabhi kuch aisa huya jo unhone socha nahi tha.