• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Waah! Life Ho Toh Aisi - The Merchant Of Death ( COMPLETED )

Which type of ending do you want for this part?


  • Total voters
    95
  • Poll closed .

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,227
218
Update-63(The Aftermath)


Main woh kick k andar itana kho gaya tha ki mujhe ye bhi Dhyaan naa raha ki Main khadda Kahaan hun lekin main jhatke se piche palta, kyun? Kaise? No idea but mudtey he maine piche se aarahe bandey ki gardan pakkad Lee.. Ye uss bandey kaa bhai tha jiska main bol raha tha ki ye hero banke aaega jarur lekin maine expect kiya tha ki iske sath ek do or hero banenge lekin koi aage nahi aaya woh log khaddey - 2 unke boss ko ghurr rahe they kyunki woh padda padda aise tadap raha tha maano Jaan nikal jaaegi abhi..

Khair maine uski gardan pakkad usse piche deewar se satta diya tha.. Ye half tha uss bandey kaa ek punch mein Marr jaae aisa banda tha woh.. Lekin maine maara nahi usse..

Main-Isko utha hospital leke Jaa 30-40 minutes hain iske pass jisme se 5 already Jaa chuki hain late hua toh ye Marr jaaega.. Belive me..

Ye bolke maine uski gardan chhodi woh khaanstey hue niche girra or fir bhaagke apne bhai k pass pohancha.. "A Gaadi Le Aa"..

Woh apne bandon ki taraf dekh k chilaaya lekin wahaan tha nahi koi woh Bhaag gaye they as expected.. Unke hissab se Marr he gaya woh...Ab usse bhi realise hua ki ye thi unki ijjat.. Ussne apne bhai kaa sir apne pairon Mein rakha or apna phone nikaalke ambulance ko call karne laga..

Main-Ambulance aane kaa time nahi hai uthaao isko Ravi Rohit.. Main Gaadi le aata hun..

Ravi kaa Saara gussa churr hogaya tha uski haalat dekh k Ravi beshak gussail ho lekin bahot soft hai woh.. Abhi wagaairaah sab aise ghurr rahe they usse maano kya he hogaya.. Anaa bhi munh or aankhein faade usse he ghurr rahi thi..

Maine Sam se chaabi Lee or bahaar aaya parking se Gaadi nikaali or canteen k Saamne leke aaya garden ki gand maartey hue.. Tabtak Sam Ravi Rohit or uske bhai ne usko uthaake Gaadi Mein daala constantly uske munh or naak se khoon nikal raha tha uski Saari body vibrate horahi thi bc..fuck..

Maine Gaadi ghumaai.. Sam aage baitha tha..

Main-Ruhi ko call kar toh..

Sam Ne Ruhi ko call kiya or mujhe diya phone..

Ruhi-Haan Sam sir...

Main-Its me listen emergency patient hai Trauma to liver and broken ribs 10 minutes Mein pohanch raha hun main doctors ko bol ready rahein..

Ruhi-Ok OK.. Liver trauma hai toh Gaadi bump Matt karna jyaada, steadily leke aana and chest par halka saa pressure banaae rakho..

Main-OK.. Thanks..

Call disconnected..

Main-Isko Kass k pakkad lo hillne Matt dena Rohit tu iske chest par halka saa pressure banaae rakh..

Maine 10 minute Mein Gaadi hospital k Saamne rouki jaake or wahaan ward boys stretcher liye ready khaddey they unhone turant usko nikaala or andar legaye Ruhi wahin thi.. Humlog uttare..wohlog andar legaye usko.. Ruhi ne doctors ki team ready rakhi thi unko kuch instructions diye Ussne or Wohlog chale gaye uske sath..

Ruhi-Kya hua accident??

Sam-Nahi..

Ruhi-Toh building se girra??

Sam-Naa..

Ruhi-Toh liver rupture kaise hua?? Woh bhi itane bure tareeke se..

Sam-AP kicked him..

Ruhi-Yeah nice joke bro.. Nice.. Wait a second tu serious hai??

Sam-Tujhe kya lagta hai..

Ruhi-ohh God tu serious he hai.. No way what the hell this is nuts how is this even possible.. AP how can you rupture someone's liver this badly by just a kick..

Main-No idea maine kick maari bus shayad jor se lag gayi..

Ruhi - Jor se?? Bahot jyaada jorr se.. High speed car accidents mein he possible hai ye case.. And you just did that with a kick?? What the hell.. Or ye toh kamjor bhi nahi hai.. Hatta katta aadmi tha.. What..? How??

Main-Chill.. Mujhe nahi pata Gundagiri kar raha tha maine maara then kick maari or ye tabse aise he hai paralysed..

Ruhi-Aise he rahega ye kaafi time takk.. Oh god that looks painful.. You are insane AP..

Main-Listen iska Bill main pay kardunga..

Ruhi-No worries aapka he hospital hai sir.. Listen woh police complaints wagaairaah dekh lena Taaki doctors ko koi problem naa ho..

Main-Sure, waise toh case karega nahi ye kyunki Pehle issne attack kiya tha in front of camera but still main boldeta hun Ajay ko woh dekhlega..

Ruhi-Ok..

Main-Sun hum chaltey hain thanks for the help bye.. College Chhodke aae hain..

Ruhi-Ok bye guys.

Sam-Bye..

Maine Anjali ko message kiya ki kissi ko bhejdey college Taaki cctv footage wagaairaah collect hojaae or hospital ko koi dikkat naa aae..

Humlog aae Gaadi Mein toh bhenchod Gaadi ki back seat par khoon ulti or khoon he reh gaya tha.. Gaadi baans Maar rahi thi bc.. Isliye Gaadi ko wahin hospital k Saamne ek cleaning shop par drop kiya time lagne waala tha toh Humne paise diye then extra paise diye gaadi haweli par drop karne k liye.. Address deke usko humlog aae wahaan corner par Auto k liye..

Ravi-Bhenchod tu toh seriously legaya . Bach toh jaaega naa ye??

Main-Haan.. Time bahot lagega lekin recover hone Mein.. Like 1 saal.. Or tabtak pain itana he rahega..

Ravi-Holy fuck bhenchod aise bhi nahi maarna tha yaar..

Main-Ye bhosdk tu socha kar kand karne se Pehle ki kand chhota hua ho yaa bada agar AP k Saamne Jaake roega toh sabko Maar barabar he milegi bata ab road rage k liye bechare ki jindagi gayi samjho.. Tu sorry boldeta toh issue he khatam hota..

Ravi-Fuck bc.. Sorry yaar.. Bahot lag gayi isko toh..

Main-Ghar pe ye naa bolna ki kick maari maine.. Bolna lagtey lagtey jo kuch laga woh lagta raha..

Sam-Bol kya raha hai lawde..

Main-Ye he bolna.. Bhenchod jab toh gandu hero ban gaya..

Ravi - Abe lawde kaa hero mujhe thodi malum tha itana marega tu..

Main-Haan bhenchod galati meri ab. Gand fod deta teri woh saale.

Ravi-Toh bc bhai nahi hai kya tu mera gandu?? ..

Main-Bus toh fir kam jyaada kya maarna..

Sam-Bhenchod ye tune galati se toh naa maari, haina??

Rohit-Arrey auto maadarchod rukkja..

Rohit side se nikaltey auto waale k Uppar chilaaya.. Hum toh ye bhi bhull gaye they ki auto k liye khaddey hain wahaan.. Rohit akela he aage Jaake khadda tha.. Or uski Gaali sunke woh auto waala waapis aaya..

Auto-Kya be bhen k lawde Gaali kisko diya..

Main-Tujhe maadarchod akad kya dikha raha hai abhi maai chod denge teri..

Ye sun ussne dekha toh dusari side hum khaddey they usse laga Rohit akela tha..

Sam-Haan bhenchod Vimal jaisi shakal k Pehle he dimag kharaab hai aise nikal Jaa jaise tha he nahi warna Maa chod dunga teri..

Rohit-Sun Yahaan college takk leke jaaega..

Main-Leke kyun nahi jaaega bhenchod gand naa fodd dunga.. Baitho be..

Humlog auto Mein baithtey woh driver bechara bus Humein ghurrta raha then meter down karke chala woh..

Main-Bhenchod khaali he tha toh Tarzan bana kyun udaa Jaa raha tha..

Driver-W. W. Woh gas nahi hai woh dalwaane jaraha tha..

Rohit-Koi naa wahaan hai pump aage dalwaalena Humein drop karke..

Main-Bhosdk piche nahi aage dekh thokdega toh gand tod dunga..

Sam-Soch kya raha hai bhai..

Driver-Yahi ki bhai sahaab jissne Gaali di thi woh toh tameej se bol raha hai or aaplog Gaali derahe hain.. Ye Pehli baar hua hai..

Rohit-Maadarchod apna kaam kar..


Sam-Le ussne bhi di ab khuss.. Ab Saamne dekh..

Ab ussne maari break or Rohit mere Uppar aake girra...

Main-Teri Maa kaa ghonsla bhenchod andha hai kya aise kya chala raha hai..

Driver-Red light hai sahaab..

Main-Maa chudaae red light bhaga warna abhi dunga piche se bhosdk bhaga..

Driver-Sahaab.. Woh..

Main-chala raha hai ki dun piche se...

Ussne cut maarke red light Mein he bhaga di bhenchod lekin fir maari Ekdum se break..

Sam-Teri maa ki chut maarun idhar Aa tu.. Teri bhen chodun..

Driver-Sahaab police hai police.. Aage aagaya woh..

Tab ek police waala aaya piche..

"Kyun Be itani jaldi kaaeki hai kahan jaarha hai bhenchod"..

Main-Tere Ghar bhosdk.. Durr hatt auto se..

"Hainnn"..

Sam-Maadarchod hath hata auto se..

"Oho maai Baap aap ho auto Mein kaise."..

Main-Aise he chull machi thi.. Hatt Jaa ab..

"Jaaiye sahaab jaaiye"...

Main-Haan be chal ab..

Auto waale ne nikaala auto turant or college k Saamne rouka..

Sam-Andar chal naa gandu..

Rohit-Bhosdk dada naa ban uttar Jaa ab.. Andar guard na Jaane denge..

Ravi-Guard ki Maa naa chod dunga tu le be andar..

Ussne auto ghumaaya toh Guards Turant aage aane lage toh Ravi ne nikaali mundi bahaar or chilaaya..

Ravi-Maadarchod rukwaa liya toh gand todunga yahin k yahin..

Guards turant piche hatt gaye bhenchod ladke form Mein they aaj toh. Auto seedha Canteen k bahaar rukwaaya Humne.. Toh canteen k gate par he woh budhau Principal khadda tha uske aalwa kuch staff Advisor Rajendra uncle Nicki or Riti mam and apne Amit sir khaddey jaayeja lerahe they.. Kaafi students bhi they wahaan.. Auto rukka humlog uttare...Rohit ne usse 2000 kaa note diya obviously chuttey nahi they lekin ussne bola rakhle itani bakchodi ki hai tere sath banta hai auto waala hath joddke thank you bolke waapis nikal gaya ye Saari jindagi sochega ye hua toh hua kya. Ab principal aaya Humaare pass..

Prin-2 things First vehicles are not allowed to enter here so why you guys??

Main-Sorry sir actually i have an injury to my knee a bad one.. Dekh shaktey ho aap yahin se..

Prin-OK second thing you better have an explanation for this fighting inside my college AP or you are getting suspended..

Main-No i am not.. That was all self defense camera hai wahaan dekho sab recorded hai...Ussne Pehle attack kiya then me.. And also mujhe toh aapke against Complaint karni hai..

Sam-Wait what??

Prin-Saaf saaf bolo AP..

Main-Sir aapki leadership Mein security guards k hotey hue front gate se atleast 15 non students log with weapons enter hogaye college Mein chal kya raha hai sir..

Ab ye sun budhau atka.. Fansa budhau bc..

Main-Rajendra uncle this is not good right..

Rajendra - Don't worry beta we will fix that and will make sure that doesn't happens again..

Main-Thank you.

Prin-So AP I need a police report claiming that ye sab self defense he tha and then you'll be good until then you are not allowed to attend any classes..

Main-Sure report abhi mill jaaegi.. I'll send it to your office.. Don't worry sir...

Prin-OK I will be waiting..

Tab aai wahaan ek Gaadi red light waali.. Usme se Pooja uttari uske sath ek constable bhi tha..

Pooja-Morning boss..

Main-Morning..Abhi bhejdunga report sir.. Aap chaliye tabtak..

Principal bechara mujhe uljhaane aaya tha ulta maine uljhaa diya.. Thats what happens when you mess with AP..

But filhaal mere mann Mein still ek question tha hua kya bhenchod or kaise hua woh.. Kahin jiska darr tha wahi toh naa horaha?? Yaa usase bhi bura kuch??

Continued..
Nice update bhai
 

AP 316

"You are playing to win; I am playing Gaawd ."
Divine
14,353
596,750
259
Update - 66(The Long Game)



Constable wagaairaah chale gaye wahan se or Sarpanch akela bacha wahaan.. 7.30 baj gaye they bc andhera hogaya tha..

Main-Uncle ji hum chaltey hain thankyou so much for your help.. Aap jaise log bahot kam hotey hain duniya Mein..

Sarpan - Arey ye toh farj tha beta mera.. Gaon beshak chota ho lekin dil bahot bada hai yahan k logon kaa..

Main-Or Haan chinta matt kijiye hospital thana sab banega Yahaan.. I promise you.. Aapka sapana main pura kardunga..

Sarp-Sachi beta??

Main-Ji.. Aapne humari madad ki badle Mein itana toh kar he shaktey hain hum.

Sarp-Bahot bahot dhanywaad beta.. Aapko chhod dun main ghar??

Main-Arrey nahi uncle ji aapka phone dedijiye ghar call kardunga aajega koi. Aapne itana kiya wahi bahot hai..

Maine budhau ka phone liya or kiya Mangal ko call ussne nahi utaaya toh Abeer ko kiya ussne bhi nahi utaaya.. Meeting Mein honge shayad or aise time par unknown number se phone naa uthaatey wohlog.. Then maine kiya babhi ko call thankfully unhone uthaaya..

Babhi-Hello..

Main-Yo babhi..

Babhi-Arrey babhi k bache ho Kahaan tumlog kabse call kar rahi hun main..

Main-Thoda kaam Mein busy they.. Suno Kissi ko bolo Idhar Biwani gaon k main addey se pick karle Humein..

Babhi-Main Sam or Ravi Yahaan Nicki k pass aae they hum he aajaatey hain.. Biwani bola naa??

Main-Haan Jaldi karna please.. Yahaan Biwani Mein enter kartey he bus stop hai wahin hain hum..

Babhi-OK..

Call disconnected..


Main-Ye lijiye uncle ji thankyou for your help.. Hum chaltey hain.. Thanks so much again uncle..

Sarp-Be safe beta ji.

Ye bolke hum dono uthey or bahaar aae then chale Jahaan se aae they uss taraf.. Wahaan se phone and purse bhi uthana tha.. Andhera hogaya tha lekin galliyon Mein street lights lagi thi.. Hum gaon se nikale.. Yahaan keval ek street light thi woh bhi bus stop k Uppar jo thoda durr tha toh roshni kaafi kam thi Yahaan..

Main-Kahaan daale they phones be..

Rohit-Bhosdk dikh bhi nahi raha konsi jhaadi thi..

Main--What the fuck do you mean dikh nahi raha.. Tune rakha tha naa be.

Rohit-Haan toh bhosdk dikh raha hai tujhe kuch..

Main-Ye jhaadi thi kya??

Rohit-Dekh pathar hoga ek..

Main uss jhaadi k niche jukha lekin bc andhere ki wajah se ulta bhenchod uss jhaadi k kaantey or lag gaye mereko..

Main-Bhosdk.. Yahaan nahi hai..

Rohit-Side waali Mein dekh..

Main-Mera lund dekhega tu dekh bhosdk..Idhar kaantey chubh gaye bhenchod..

Rohit-Ye toh kaafi chotti lag rahi hai maine rakha tha woh badi thi.. Rukk check karta hun..

Main-Haao..

Rohit-What the fuck bc kuch bhi nahi dikh raha..

Main-Yeah no shit sherlock raat hogayi hai.. Or for your kind information raat ko andhera ho jaata hai..

Rohit-Bhenchod kaantey.. Nahi haibe gand marrae bhenchod mobile..

Main-Gandu naa ban..

Rohit-Abhi dikh toh nahi raha be..

Rohit ek jhaadi Mein or ghussa lekin jaise he ussne pair rakha toh uss jhaadi Mein hui hulchal koi jaanwar tha shayad lekin jaise he hupchal hui Rohit bahaar kudda jhaadi se or hum dono bhaage bus stop ki taraf..

Rohit-Gand marrae phone.. Bhenchod saanp waanp kaatlega Yahaan Maa chudd jaaegi..

Humlog bus stop par rukke Jahaan ek choti si bench lagi thi..

Main-Bhosdk main bol raha tha faink detey hain abhi simcards takk andar hai mobile Mein and purses Mein documents chutiye..

Rohit-Haan toh main kya gand marraun..

Hum dono Baat kar rahe they ki side Mein babhi ki audi aake rukki.. SAM drive kar raha tha..

Sam-Wassup babes..

Rohit-Thankfully bc..

Main-Ab kya karna hai??

Rohit-Main abhi nahi dhundney waala fuck that..

Main-Subah tujhe aana padega fir.. Kyunki mereko phone caahiye I don't give a fuck..

Rohit-Theek aajaunga..

Babhi-Kya bol rahe ho re?? Kya hua??

Main-Kuch Khaas nahi..

Hum dono piche baithtey Ravi aage baitha tha Babhi or hum dono piche finally nikale humlog wahaan se..

Babhi-Abhi bataaoge Yahaan kya kar rahe they..

Main--Lambi story hai.. Actually hua ye ki..

Then maine unhe bataaya dophar se abtak kya kya hua..

Babhi-What the hell you guys are nuts.. Itana sab??

Sam-Abe itana uljhane ki kya jarurat seedha Jaake thok kyun nahi detey Uday ko..

Main-Aji ghanta ye normal villain nahi hai jo isko ghar ghuss k thokdenge ye smart hai bahot smart or usase bhi jyaada dangerous aise he hath naa aaega ye or aa bhi gaya toh guarantee nahi hai hum sab sahi salamat rahenge isko pakkadke.. Casualties k chances bahot hain... Sunny usko hide karke rakhta hai khudse bhi jyaada isliye usko bahaar nikalne ka yahi option hai hum usse dhund nahi shaktey..

Ravi-Hmm.. Tab toh ye sab sahi lag raha hai..

Babhi-What about that girl??

Main-Abhi kuch nahi..

Babhi-So you'll break her heart..

Main-Yeah babhi I don't give a fuck uske ek heart k tuttney se agar hajaaron Jaan bachti hain toh main khussi-2 tod dunga uska heart..

Babhi-Make sense.. But what about Anaa.. Usko kaise samjhaaega??

Main-Samjhaaunga he nahi.. Let it be a secret..

Babhi-Hmmm..

Main-Fuck I am tired...

Humlog haweli pohanchey bhenchod bahot thakk gaya tha main.. Bhai wagaairaah aae nahi they toh unka wait nahi kiya maine or dinner karke room Mein aaya babhi ko bataaya ki bhai or Jaanwar wagaairaah ko bataa dey kya hua.. Main dinner karke room Mein aaya mast nahaayaa Rohit bhi yahin so gaya tha.. Thakk itana gaya tha ki turant so gaya or subah chill karke utha.. Bhenchod kya mast nind aai pucho Matt.. 7 baje utha main as jaldi sogaya tha.. Utha fresh hua nahaake ready hua and niche aaya breakfast k liye.. Niche Bhai, Guptaji(Bhai k Manager) Babhi Rishi and Rohit they..

Babhi-Anjali kaa call aaya tha call kar le ek baar..


Maine babhi se phone liya or Anjali ko call kiya..

Main-Yo..

Anjali-What the fuck boss itana sab hogaya or mujhe bataaya bhi nahi tumne..

Main-Kya hua??

Anjali-What do you mean kya hua kal Tumhaari bike chori hui even tumhe or Rohit ko chott bhi aai.. Mere pass report aai abhi..

Main-Lol Arrey nahi woh fake thi actually uss ladki k liye maine lamba waala game khela hai.. Hua ye ki..

Maine usko batayaa ki kya scene tha..

Anjali-Oh god waakai Mein lamba game khela hai..

Main-Lamba game best rehta hai.. Specially jab Saamne waala Uday jaisa shayaana ho..

Anjali-True..

Main-Ye report ko gayab kardena..

Anjali-OK boss.. Best of luck..

Main-Thanks..

Call disconnected..

Babhi wagaairaah sab naasta kar rahe they toh main bhi baitha..

Main-Babhi ne bataaya bhai mera plan??

Bhai-Haan lamba hai lekin tikaau hai..

Main-Yep.. Lamba game sahi rahega shortcuts kaa risk nahi le shakta main Uday k against..

Bhai-True..

Main-Oye Rohit Naasta kartey he khadda ho or nikal le.. Mereko phone caahiye..

Rohit - Haao Jaa raha hun..

Main-Gupta ji iske sath Jaana aap jarra, Rohit woh sarpanch k ghar k Saamne plot tha naa bada saa woh dikhaana Guptaji ko.. Guptaji mereko woh plot caahiye kissi bhi Kimat par.. Jitana jaldi ho shake utana jaldi.. Or itana secretly ki owner k alaawa kissi ko khabar bhi naa ho...

Guptaji-OK beta..


Rishi - Hospital banana hai??

Main-Yeah..

Rishi-Rohit tu Woh Raman builder ko jaanta hai?

Rohit-Haan aata rehta hai papa k pass woh..

Rishi-Perfect mera khass hai woh usase mill lena tumlog usko idea dedena Kahaan kya banana hai Baaki sab woh dekhlega..

Rohit - OK boss..

Babhi-Waise ye sahi hai Tumhaara kaam bhi hojaaega or gaon Mein hospital ban jaaega toh aas pass k gaon takk k liye helpful rahega..

Deva-Yep..

Rohit-aao guptaji..

Rohit or guptaji gaye wahaan se..

Deva - By the way woh College Mein hua tha uska kya hua?? Koi case wagaairaah toh nahi kar raha naa??

Main-Naa na or agar karega toh bhi mere pass sab proof hai Pehle ussne hath uthaya tha..

Deva-Great..

Babhi-Waise Nicki ne bataaya ki tune bahot try kiya unko shant karne kaa even sorry bhi bola bahot baar..

Main-Yep.. Bahot baar.

Babhi-Shabbas sudhar raha hai tu..

Deva-Aji Haan 2 kadam sudharne ki taraf or 200 kadam bigadney ki taraf jaate hain iske..

Main-Ab sudharne kaa time gaya bhai ab isase jyaada naa sudhar shakta main..

Deva-Lol.


Ab Humein waiting game khelna tha or wahi khela Humne Next 2 din humaare sab kuch set karne mein he gaye woh jameen khareed lee Humne license wagaairaah sab hogaya tha. Then builder k sath millke ek blueprint taiyar kardiya ab aage woh khud dekhega.. Jyada bade hospital ki jarurat nahi thi bus itana ki aas pass k kuch gaon Aa shakein Yahaan.. Next Day tha Sunday or humlog Jaane waale they wahaan yaani woh ladki bhi milegi.. The Game Is On Uday Beta I Am Sure You Won't See This Coming..

Continued..
 

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,227
218
Update-64(Master Plan)

Principal gaya wahaan se uske sath pura staff gaya bus Nicki mam bachi wahaan par Pooja milli Nicki mam se unka milaap hua.. Ab wahaan canteen k bahaar Main Sam Ravi Rohit Pooja Nicki mam or Anaa he they. Pooja k sath ek constable aaya tha ussne usko bheja Cctv footage laane...

Nicki - Chal kya raha hai boss??

Main-Aap maanoge nahi kal Ravi kaa issue hua tha bahaar usko dhundtey hue yeloh Yahaan aae or belive me kasam se bol raha hun maine itani maafi maangi unse jitani puri life Mein naa maangi hogi lekin naa maane toh kya karta ab.. And majaak Mein Nahi real Mein bahot sorry bola tha maine..

Nicki-Bataaya Anaa ne mujhe.. Ab honi ko bhalla kon taal shakta Hai.. Haina..

Main-True..

Nicki-Chalo main chalti hun..

Main-Aao coffee peela dun aapko..

Nicki - 15 minutes Mein class hai meri..

Main-15 minute Mein toh coffee k sath sath propose bhi kardun main aapko..

Ye sun sab hans paddey..

Nicki-A shut up Haan AP..

Pooja-(hanske) Haan teacher hain Tumhaari..

Main-Usase bahot jyaada Pehle friend hai meri..

Nicki - True.. Hmm mathematically dekhte hain..

Main-Andar aao wahaan dekhenge..


Hum sab aae andar toh bhenchod students ki gandu aadat hoti hai teacher kahin bhi dikhe kaddey hojaaenge beshak or kuch khadda nahi hota ho..issliye humlog aagaye side Mein or sab ek he table par baithtey.. Anaa bhi Humaare sath he baithi..

Main-Laxman 100 ki speed se sabke liye special...

Laxman-Laaya bhai..

Nicki-Mathematically dekhein toh I know you when you was 4 or 5 years old and teacher bani thi main uske 5 yaa 6 saal Baad so main tumlog ko almost 17 saal se jaanti hun..

Main-Yeah nice math mam..

Pooja ne ek page nikaala shayad report wagaairaah kaa kuch tha..

Pooja-A AP pen dey toh..

Main-Main kya patwari hun jo pen hoga mere pass..

Pooja-Come on yaar college Mein aae ho tum bina pen??

Main-Oh fuck. Woh Haan actually woh girr gaya pen abhi mera kasam se..

Anaa-Ye lo di..

Pooja-Thanks Anaa..

Laxman coffee le aaya.. Sabne lee..

Pooja-Saamne waale kaa naam??

Main-No idea..

Pooja-Address, area anything??

Main-Nope...

Pooja-Bina jaankaari k he fodd diya??

Main-Yep.. Uske liye Ruhi k pass Jaana padega tereko.. Wahan uske sath ek bhai hai uska..

Pooja-Nice dude..

Woh constable ek pendrive leke aaya wahaan..

Pooja-OK boss main ye verify karke report mail kardungi principal ko..

Main-Hell yeah..

Pooja-Chalo we gotta go hospital Jaana Hai abhi..

Main-Yo.. Thanks for the help..

Pooja-Anytime for you boss.. Oh Haan actually Anjali mam ko call karlena free hoke..

Main-Sure..

Pooja sabko bye bolke nikal gayi Nicki mam class lagaane gayi sablog gaye Sam Ravi ko bhi bheja maine kyunki main toh class laga nahi shakta tha bina report diye principal ko.. Ab Main bacha akela wahaan.. Main aaya guffa Mein or cigarette jalaai.. Or Kiya Anjali ko call..

Main-Haan darling..

Anjali-Arrey woh Uday kaa kya scene hai?? Uski girlfriend kaa I mean..

Main-Wahi plan dhund raha hun.. Tumne uske piche koi banda lagaya tha koi news??


Anjali-Yeah ussi liye main call karne ka boli thi actually khabri k according Ye ladki hai isse bhi na pata ki Uday kon hai or kya karta hai wagaairaah uske hissab se Uday bus ek secretive businessman hai jo foreign Mein rehta hai or keval ussi se milne Yahaan aata hai.. Even ladki k phone bhi tap karwaaaye lekin nothing..

Main-A hahaha..

Anjali-Haan.. Toh main soch rahi thi ki kyun naa hum uss ladki ko vishwaash Mein lelein kyunki I am sure ki woh humari Baat Maan jaaegi or then Uday ko trap karein..

Main-Hell no Hell no.. Ladki ko kuch nahi bataana hai nope Pehle toh ye pyaar ka chutiyaapa pata hai tumhe 90% chances hain woh usse alert karegi Pehle ki hum aae they then breakup karegi.. 10% chance woh Maan bhi jaae or Humaare sath mill bhi jaae toh Uday is smart as fuck Pehle din he pakkad lega woh usko.. Toh ladki ko kuch nahi bataana..

Anjali-Toh kya karein boss..

Main-Agar ye news 100% sachi hai ki Uss ladki ko kuch naa pata Uday k baare Mein toh mere pass ek plan hai lekin tum ye news Pehle 100% confirm karwao no risks.. Ye news Confirm hotey he plan dedunga main and it'll work..

Anjali-Ye news 100% Confirm hai boss.. 100%..

Main-Then I have a plan thodi derr Mein bataata..Mereko uss ladki k ghar kaa address message kar..

Anjali-OK boss..

Call disconnected..

Mere pass ek plan tha but thodi research karni thi or mereko Jaana tha.Lekin bahaar aake realize hua mujhe ki Gaadi nahi hai.. Gaadi Gaadi.. Rohit ki Gaadi.. Hell yeah..

Main Uppar aaya Rohit ki class ki side.. Toh thankfully class Nicki mam ki he thi.. Saved..

Main-Excuse me mam..

Ye sun Madam rukki..

Nicki-Yeah..?

Main-Rohit se thoda kaam hai mujhe..

Nicki-Abhi Tumhaare pass se he aaya hai ye.. Padh lene do..

Main-Urgent hai madam..

Nicki - Rohit Jaao jarra..

Rohit khadda hoke bahaar aaya hum ek side aae..

Main--Aaja chalna hai kahin Gaadi nikaal le..

Rohit-Lawda Gaadi bike leke aaya hun main..

Main-Bhosdk gandu tera bike love college Mein naa dikhaaya kar tu saale. jitane ki teri bikes aati hain utane Mein 4 luxury gaadiyaan leleta or Daru k paise bach bhi jaate bhosdk.. Ab kya karein?

Rohit-Bike par chaltey hainbe.. 30 lakh lagaae hain logon ko bhi toh dikhaun..

Main-Lund hidden Jaana haibe.. Woh Uday ki setting k gaon..

Rohit-Fuck.. Toh Gaadi kiski ab..

Ye bol rohit ne mujhe or maine Rohit ko dekha or ek sath bol paddey. "Nicki Mam"..

Main-Excuse me man..

Nicki-Ab kya reh gaya??

Main-Can I talk to you a minute..

Nicki-Sure..

Ye bol madam aai bahaar..

Nicki-Kya hua??

Main-Gaadi ki chaabi do toh..

Nicki-Gaadi?? Woh toh Ritika legayi waapis ghar uski tabiyat kharaab thi.. Even main tereko bolne waali thi drop karne ko..

Main-Fuck..

Rohit-Abe bike se chaltey hain naa kon pehchaanega..

Main-Ghanta be itani loud bike par Saari Duniya pehchaanegi.. Chal auto se chaltey hain bc..

Rohit-Ghanta be..

Main-Bhosdk..

Nicki-A language..

Main-Sorry mam..chalbe option naa hai or koi ghar jaaega waapis tabtak toh pohanch jaayenge.. Aaja.. Mam Sam ko bike ki keys dejaaenge aapko drop kar aaega woh..

Nicki-Awww thank you.. Love you guys..

Main-Same.. Bye..

Rohit-Bye mam..

Nicki-Bye..

Hum dono aae humari class ki side.. Toh class thi Amit ki Waah bc aaj kismat badhiya thi..

Rohit-Uber karlein??

Main-Lund Uber aaegi tabtak raat hojaaegi.. Abhi auto Mein aae toh they lawde..

Amit-Arrey k hogaya guruji gate par khaddey k khussar phussar kar rahe ho..

Main-Guruji hawa Mein he parnaam..

Amit-Parnaam sahaab parnaam..

Main-Ek baar Sam Or Ravi ko bhejdena jarra..

Amit-Jarur..

Sam or Ravi aae bahaar sathmein aaya Amit..

Main-Master ji Gaadi leke aae ho??

Amit-Naa rai Gaadi toh bhai leke gaya hai bike se he aaya hun main toh..

Main-Bhenchod aaj toh gaadiyon ki he hawa hogayi bolo koi naa leke aaya..

Rohit-Lol.. Ye le Sam bike ki chaabi..

Main-Sun Nicki mam ko drop karke Jaana ghar humlog thoda kaam se jarahe hain..

Sam-Toh bc hum bhi chaltey hain..

Main-Auto se jarahe hain.. Chalega??

Sam-Naa fir toh Jaake aao padhaai bhi jaruri hai..

Amit-Dekh pencho paltibaaj..

Main-Aa be Rohit..

Rohit-Mam ko yaadse drop kardena be warna waat lagegi teri fir..

Sam-Kardunga.. Best of luck..

Hum dono aae niche.. College se bahaar aae or Auto kaa wait karne lage..

Rohit-Lund jaana Kahaan hai??

Main-Yahin city k border par..

Rohit-Bhosdk city kaa border yahin thodi hai.. Chutiye 25-30 km hoga.. 30 km auto se jaaega..

Main-Dafukk..Taxi?? Oye taxi rukk maadarchod.. Oye..

Maine ek taxi waale ko rokka.. Or hum gaye uske pass..

Driver-Haan sahaab kidhar Jaana Hai??

Main--City border par..

Driver - Konsi side?

Rohit-Matlab..

Driver-Arrey bhau Border toh 4on taraf hai.. Tumhe konsi side or exactly Kahaan Jaana Hai..

Main-1 minute rukk address aaya nahi hai abhi..

Driver-itana time nahi hai sahaab.. Dusari karlena..

Main-Bhosdk Chalaake dikha ye phone he naa faink k maarun toh teri gand par..

Driver - Hain??

Main-Haan sahi suna rukk 1 minute Yahaan lawde.. A Rohit andar baith...

Rohit Gaadi Mein baitha or maine kiya Anjali ko call..

Main-Madam bhej bhi do ab address..

Anjali-Bus bhejdiya..

Main-Thank you.

Call disconnected..

Main-Haan bhai Bawani gaon hai city border par wahaan Jaana Hai..

Driver-Bawani 300 rupaye lagenge sahaab..

Main-Haao.. Chal ab..

Main bhi baitha Gaadi Mein or woh chal padda..

Main - Kitana hai Yahaan se??

Driver-32-33 km hai sahaab..

Main-Kitana time lagega..

Driver - Dekhtey hain sahaab city se kitani derr Mein nikalein..

Main-Jaldi nikaal Light signal no entry kahin bhi ghussa dey bus thokna nahi kissi ko Baaki main dekhlunga..

Driver - Aap AP ho naa??

Main-Haao.. Wassup autograph lega??

Driver-Arrey maalik mujhe laga tha suru Mein ki aap wahi ho lekin mujhe laga aap taxi Mein Kya karoge..

Rohit-Bhosdk aage dekh aage.. Saala sab drivers ek jaise he mill rahe hain aaj..

Main-Jaane dey koi rukwaaega toh hum dekhlenge..

Rohit-Scene kya hai??

Main-Dekh Ye jo ladki hai iske baare Mein Keval Uday he jaanta hai filhaal unki gang Mein kyunki Sunny ne kaha tha ki ladki se durr hojaa or kaam Mein Dhyaan dey ek hissab se Uday durr he hogaya kabhi kabhaar milta hai akele.. Alone.. Iska matlab ussne puri gang Mein kissi ko nahi bata rakha ki woh still milta hai ladki se kyunki unki gang k jitane bhi members hain woh sab Uday se jyaada Sunny k sath hain toh uday ne ye apne takk he rakha hai ki woh ladki hai abhi bhi iska matlab Uday kaa koi banda Uss ladki par najar nahi rakhe hue hai or ladki ko ye maalum nahi hai ki Uday kon hai or uska Humse kya lafda hai yaani hum uss ladki k Uppar openly najar rakh shaktey hain or mera plan ye hai ki Pehle main uss ladki ko yaa uski family ko apne vishwaash Mein lun.. Uske liye unke pass Jaana jaruri hai toh Humein ab dekhna hai uske ghar k aas pass aisa kuch business jisse hum start karenge or uske liye kuch din wahaan aana Jaana laga rahega.. Or itane time Mein bc kaam hojaaega..

Rohit-What the fuck... You are insane.. Lekin vishwaash Mein naa aae toh wohlog..

Main-Toh ladki pataani padegi boss..

Rohit-Lekin ladki pataaega kon??

Main-Hmm.. Sam Ravi itana time waste karenge nahi mission k liye toh bacha tu yaa fir main.. Tu karega nahi toh bacha main yaani main..

Rohit-Tu karega??

Main-Bhosdk itane time Mein main ladki pata dun 4 tu ek ki Baat kar raha hai..

Rohit-I know lekin remember teri girlfriend hai ek Anaa naam hai uska ?? Apne he college Mein Hai bhai..governor ki beti hai.. Yaad aaya kuch??

Main-Oh fuck.. Haan bc ye toh bhull he gaya tha.. Fuck..

Rohit-Ab???

Main-Ab kya Rock and roll.. The old AP days..

Rohit-No fucking way..

Main-This is the only way bitch.

Continued..
Nice update bhai
 
Top