• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    317

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,291
144
UPDATE 85 ~
(History Unfolds) (2)




Varsha's Office
France ~ 1989 November 17


*Click*


Varsha darwaza kholte huwe uske kamre ke andar aa gayi, Avinash aur Ankush bhi andar he baithe huwe the, Avinash ke paas uska ek bara suitcase rakha huwa tha, Ye Laboratory ke andar he uska office tha.


Ankush: Ab Beatrice kaisi hai?


Varsha: Beatrice ki condition ab stable ho gayi hai! Usko abhi aaram karne de rahe hai, Uski caretaker uske paas he hai.


Varsha bhi Ankush ke saath aa ker baith gayi, Uske chehara per kuch sakoon aya tha, Beatrice ko daikh ker uski halat bohat zyada bigad gayi thi.


Varsha: Avinash, Thank you! Agar ap nahi ate to main soch bhi nahi sakti ke Beatrice ke saath kya hota.


Avinash(Nod): Shukriya kehne ki zaroorat nahi hai! Main agar kisi ke liye kuch ker sakta hu to zaroor karu ga, Lekin...... Main sirf abhi ke liye kuch ker saka hu, Beatrice abhi bhi khatre me hai.


Varsha(Sigh): Huh, Ye he to baat hai! Hum kuch bhi nahi soch sakte, Beatrice ki spirit energy lagatar badh rahi hai, Uska core literally crush hone wala tha, Lekin ap ne kiya kya? Uski energy bilkul bhi kam nahi huwi.


Avinash: Main ne uski energy ko direction de di hai! Ab tak uski puri energy unstable thi aur uske core per pressure ban raha tha, Lekin main ne usko stable karte huwe Core se dur ker diya hai, But......


Varsha: But?


Avinash: But uski energy ke aur badhane ke baad dobara se uske core per pressure bane ga! Uski spirit energy ke badhane ki speed daikh ker lag raha hai ke 7-8 saal maximum hai, Sadly uske baad main bhi kuch nahi ker sakta.


Avinash ki baat sun ker Varsha aur Ankush ka mann bhaari ho gaya, Lekin ye bhi sach tha ke ye 7-8 saal bhi Avinash ke bina unko nahi mil sakte the.


Ankush: Thank You! Lekin ap yahan per ker kya rahe the? I'm sorry agar main rude lag raha hu, Varsha se main ne ap ke baare me suna hai, Lekin i don't think ke ap dono itne kareeb hai ke ap Varsha se milne ke liye yahan ao gye?


Ankush Avinash ko daikh ker ab tak hairan tha, Uski aur Avinash ki ye pehli mulakat thi, Usne Varsha se uske baare me suna huwa tha ke dono ek he clan se hai aur Avinash ek genius tha.


*Knock-Knock*


Unki baato ke beech me he darwaze per knock huwa aur ek nurse ne darwaza khol diya.


Nurse: Doctor, Ye bhi ap ko dhoond rahe the.


Nurse ne raasta dete huwe kaha to uske peeche se ek aadami andar aa gaya, Uske haath me ek baby pakada huwa tha.


Varsha: Bharat Uncle! Ap bhi aye hai?


Bharat ko daikhte he Varsha uth ker uske paas chali gayi, Bharat ne uske sar per pyaar de diya, Bharat Avinash ka father tha aur saath Spirit clan ka Elder 1 bhi tha to Ankush ne uske baare me bhi suna huwa tha.


Varsha: Bharat Uncle agar ap aa rahe the to batate na! Hum ap ko airport recieve karne ke liye aa jate.


Bharat: Yahan kuch aur kaam bhi the to un kaamo ke baad yahan aye hai! Hamay tum se bhi kuch baat karni thi.....Kuch khaas baat hai.


Bharat ka ishara Ankush ki taraf tha, Uski baat ka matlab samajh ker Ankush bhi uth gaya aur baahir nikal gaya, Usko pata lag tha ke ye baate uske saamne nahi ho gi.


Varsha: Sure, Aye baith ker baat karte hai!


Varsha Bharat ko bhi andar le ayi, Avinash hospital se Varsha ko bhaagte daikh uske peeche aa gaya tha, Bharat usko samay de ker aya udhar aya tha.


Varsha: Uncle ye Avinash ki beti hai kya?


Varsha ne Bharat ke haath me pakadi huwi bachi ko daikhte huwe kaha.


Avinash: Nahi, Ye....Ye Bua ki beti hai!


Varsha: Clan Leader ki beti? Clan Leader bhi ayi hai kya?


Varsha ke savalon ko sun ker Avinash aur Bharat ek dusre ko daikhne lage, Varsha ko wo kuch batana chahate the, Lekin uski shuruaat kaise kare ye samajh nahi aa rahi thi.


Varsha: Uncle, Kuch huwa hai kya?


Bharat: Varsha.......We did it! We executed the operation.


Bharat ki baat sunte he Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Uske ek pal me raungte khade ho gye.


Varsha(Stunned) A-Ap ka matlab......Clan? Ap ne sab ko......You killed them?


Bharat(Nod): Haan, They had to be stopped! The cruelty…..We couldn’t watch them destroy more lives.


Varsha sirf hairani se unko daikhti he reh gayi, Uska pura clan maara gaya tha, Uske Papa ne usko operation ke baare me bataya tha, Lekin usko laga nahi tha ke wo sach me usko execute kare gye.


Varsha: Lekin Kyu? Yahan main koshish ker to rahi thi na? If I had figured out a way for Qi users to have kids with non-Qi users, everything would’ve been okay, Hum unhe rok sakte the......Why did you have to kill everyone?


Avinash(Sigh): Huh, Lekin usme aur kitna samay lagna tha? Varsha hum ne intezar kiya tha, Lekin ussi intezar ke kaaran he hazaron log mare the, Unki kya galti thi? Har din auraten unke bache khandan sab kuch tabah ho raha tha, Kya hum sab kuch baithe daikhte rehte?


Avinash ki awaaz me ek dukh mehsoos ho raha tha, Unhone kya daikha tha ye unhe he pata tha, Varsha uske khilaf to thi, Lekin usko bhi pata tha ke wo galat nahi tha.


Varsha ne vada kiya tha ke wo kuch kare gi, Lekin 4 saal ho gye the aur usne kuch bhi progress nahi ki thi, Usko aur 4-5 ya 10 saal bhi lag sakte the.


Varsha: D-Dad kanha hai?


Varsha ka saval sun ker dono he chup ker gye, Lekin unki ye chupi ab Varsha ko dara rahi thi, Uska shareer ab kanpana shuru ho gaya tha.


Varsha(Shivering): Uncle, Avinash! Dad, Dad kanha hai?


*Thud*


Avinash ne suitcase khol diya, Uske andar kuch kapade rakhe huwe the, Unko daikhte he Varsha ki rooh kaanp gayi, Kapade uske father ke the aur khoon se sane huwe the.

6a0f66426cc468077ac87b78536480f4.jpg

Varsha ki aankhon se aansu chhalak pade, Bina kuch bhi kahe wo sar neeche ker ke baithi aansu bahati rahi, Uski sisakne ki awaaz unhe sunayi de rahi thi.


Avinash: Elder 2 was really an incredible man! Unhone he sab ko operation ke liye taiyar kiya tha, His blade was the one most stained with blood that night, But when the sun touched that blood, he couldn’t handle the weight of all the lives he’d taken... He asked me to end his life... And i did, I’m the one who killed Elder 2.


Varsha Avinash ko daikhti reh gayi, Uske saamne baith ker Avinash khud ye baat kabul ker raha tha, Uske shabd to kathor the, Lekin uske kaanpte haath uski halat ko bayan ker rahe the.



*Swish*


Varsha(Stunned): Huh?


Avinash ne uski sword ko suitcase se nikal ker Varsha ke gale per rakh di, Ek pal me kya huwa usko bhi samajh nahi ayi, Bharat bhi khamoshi se usko daikh raha tha.


Avinash(intimidating): I’m the one who killed Elder 2! But before he died, he asked me for a promise, and I made a blood oath with him.......Now, you have two choices! Either marry me and live as the next clan leader's wife, but you won’t be allowed to use your core without my permission, or you can die by my hands.

aa82dc41a5ae520977071d317e19751e.jpg


****
Varsha's House
France ~ 1989 November 18


“Madarchod”


Ankush kursi se uthate huwe bola, Varsha ne usko kal huwi sab baate batane ke liye bulaya tha, Avinash ki kahi baat ke baare me sun ker usko gussa aa gaya.


Ankush: Unki himmat kaise huwi? Yahan aa ker tumhe dhamki de rahe the?



Varsha: Ankush, Tumhe gussa karne ki zaroorat nahi hai! Abhi meri baat puri nahi huwi.


Ankush: baat ho gayi hai! Abhi kanha ho gye dono?


Varsha(Sigh): Yahan Bharat Uncle ke ek dost rehte hai! Bharat Uncle clan leader ki beti ko unko dene gye hai, Unka koi bacha nahi hai.


Ankush: Uska adress bata! Abhi dono ko pakad ker yahan le ker ata hu, Unke khayal me bhi ye baate dobara nahi aye, Behanc-


Varsha: Ankush! Stop saying silly things! Please calm down and just listen to me.


Varsha ne thodi unchi awaaz me kaha to Ankush bhi chup ker gaya, Varsha ne uska haath pakad ker usko dobara baitha diya.


Varsha: Ankush! Avinash ne blood oath li hai, Uske paas aur koi raasta nahi tha, Aur Dad ne ye oath lene ke liye usko kyu kaha hai ye bhi main samajh sakti hu......Dad ke liye unki family se zyada important justice hai, Unhone agar sab ko saza di hai to beti ki baari wo kamzor kaise per sakte the?


Varsha ki aankhe dobara bheeg gayi, Lekin usne khud ko sambhal liya.



Varsha: Avinash se shadi ka matlab hai ke main uski responsibility ban jau gi! Lekin agar main shadi nahi karti to main bhi unke liye baakiyo ki tarha hu, Avinash ko unhone kaise convince kiya ho ga main soch bhi nahi sakti.


Ankush: Lekin tumhari kya galti hai? Aakhir tumhe kyu saza mile gi? Ab tak tum ne har din clan ke liye mehnat ki hai, Blood oath Avinash ne khud li hai, Usme tumhari kya galti hai? Aur kya pata ke Avinash shuru se ye he chahata ho?



Varsh(Sigh): Huh, Nahi! Avinash aisa nahi hai......Usne.....Usne mujhe bhaagne ke liye kaha hai, Kyu ke wo bina mere consent ke Shaadi nahi karna chahata aur na he kisi aur ko maarna chahata hai.


Avinash ne sword to uski taraf ki thi, Lekin uske kaanpte haath bata rahe the ke usko abhi bhi uss sword se kaate huwe logo ki cheekh aur pukar sunayi de rahi thi.


Ankush(Nod): Fine, Hum yahan se bhaag rahe hai! Let's go.


Ankush khada ho gaya aur Varsha ko bhi uthane laga, Lekin Varsha bina uthe baithi uski taraf daikhti rahi, Uske expressions ko daikh ker Ankush ka mann bhaari hone laga.


Ankush(Whisper): Varsha?


Varsha: I'm sorry, Lekin main ye nahi ker sakti! Ankush......Dad ke wo aakhiri shabd the *Sniff* Unhone kabhi mujhe kuch bhi nahi kaha, Main aise bhaag nahi sakti.



Ankush: Bhaag nahi sakti? Phir kya tum sach me shaadi?......Aur hamara kya?


Varsha(Crying): I'm sorry!


Ankush ne neeche baithate huwe Varsha ka haath pakad liya, Uski aankhe bheeg gayi thi.


Ankush: Sorry? Sorry kyu keh rahi ho? Aisa nahi ker sakti, Mere saath tum aisa nahi karo gi na? Varsha hum ek dusre se pyaar karte hai na?.....Varsha main Mom ke baad tumhe nahi kho sakta.....Varsha, Please!


Varsha ne haatho ko Ankush ke haatho se alag ker diya, Ankush usko daikhta he reh gaya.


Ankush: Ye kya ker rahi ho? Varsha? Ek baar Beatrice aur Suhani ke baare me he soch lo na, Unka kya ho ga? Unhe tumhari zaroorat hai.


Varsha(Nod): Avinash ne 7-8 saal kahe hai na? Avinash ab clan leader hai, Uske paas clan ke purane records aur bhi bohat kuch hai, Ab tak main unko daikh bhi nahi saki thi, Lekin Clan Leader ki wife ban ker main unko daikh sakti hu, Unke beech kuch na kuch to kaam ka ho ga he.


Varsha ke nirnay ka ek bada kaaran ye bhi tha, Uske liye clan ki purani details aur notes bohat kaam ke the, Unko padhne ka aur koi raasta nahi tha.


Varsha: Lekin tab tak tumhe Beatrice aur Suhani ka dhayan rakhna ho ga! Unke liye ek lab india me bhi banani ho gi, Usme bhi samay lage ga, Lekin tum ye ker lo gye na?


Varsha uski halat ka andaza to laga sakti thi, Lekin abhi ye sab karna bohat zaroori tha, Uska ye kaam Ankush ker sakta tha.


Ankush aur Varsha bohat samay se saath the, Usko bhi pata tha ke agar Varsha ne ye nirnay le liya hai to usko rokna mumkin nahi hai, Varsha ke liye uski research sab se zyada important thi.


Uske liye usko Avinash se shadi bhi karni ho to wo rukne nahi wali thi, Ankush ne bhi uski baat maan li, Uske andar kuch toot sa gaya tha, Lekin usne aansuon ko paunchh liya.


Ankush(Sigh): Huh, Theek hai! Lekin yaad rakhna ke tum ne give up kiya hai, Main ab bhi tum se pyaar karta hu aur karta rahu ga.....Agar kuch bhi pareshani ho to main madad ke liye hamesha taiyar rahu ga.


Usko daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Lekin uske chehre per muskurahat bhi thi Ankush ka pyaar daikh ker.


Varsha(Nod): Thank You!



****
Avinash's House
Pune ~ 1990 January 6


Varsha ke haan kehte he Bharat ne uske sar per haath rakh diya tha, Varsha ne kisi bhi dhoom dhaam se rok diya tha, Lekin phir bhi Bharat ne unke liye kuch taiyari ker di thi.


Avinash aur Varsha ki ek mandir me shadi ker di gayi thi, Unke saath sirf Avinash ke parents he gye the, Unki bilkul sadharan shadi huwi thi, Lekin Bharat aur Lakshmi unke bete ke liye khush the, Varsha unko shuru se pasand thi.


Varsha ke father ek normal family se aye the, Uske andar Qi talent tha aur uski Maa bhi dusre clan se thi, Uske kaaran se clan me unhen log pasand nahi karte the,


Lekin Bharat unhe dost ki tarha daikhta tha, Uske liye apne dost ki bachi ko bahu banana ek khushi ki baat thi, Varsha ko bhi pata tha ke Bharat aur Lakshmi ko uski kitna parwah hai.


*Knock-Knock*


Avinash ke kamre me Varsha uske bed per baithi uska intezar ker rahi thi, Kamre ke darwaze per dastak huwi to Varsha hairan ho gayi ke Avinash knock kyu ker raha hai.


“Varsha! Main hu”


Varsha: Aunty? Andar aa jaye na.


Varsha ke kehne per Lakshmi bhi andar aa gayi, Usne haath peeche kiye huwe the aur muskura rahi thi, Lakshmi bed ke paas aa ker khadi ho gayi.


Lakshmi(Smile): Akeli bore ho rahi thi kya?


Varsha: Aisa kuch nahi hai! Yahan abhi utni comfortable nahi hu na, Ab kitne saal se to france reh rahi thi, Uske kaaran thodi si......Huh, Bore ho rahi thi.


Lakshmi(Giggle): Laga he tha! Abhi dono baap bete baahir baithe huwe hai.....Bharat usko class le rahe hai, Usko keh rahe hai ke usne agar tumhe thoda bhi tang kiya to uski kher nahi ho gi.


Varsha(Smile): Uski kya zaroorat thi? Agar usne tang kiya to main he kaafi thi, Uncle ko kuch karne ki zaroorat bhi nahi pare gi.


Lakshmi: Haye, Ab to bechare per tadas aa raha hai!......Ye haath to dikhana.


Varsha: Haath? Haatho ko kya huwa?


Varsha haatho ko daikhne lagi, Lakshmi ne uska haath pakad liya aur dono haatho me kangan pehna diya, Varsha ne unko ek pal me pehchan liya, Usne Lakshmi ko hamesha ye kangan pehne daikha tha.


Varsha: Aunty, Ye kyu?


Lakshmi: Ab dialogue nahi sunau gi! Lekin ye meri saas ne diye the, Ab agar tumhe na deti to upar unse baate sunanai per jaani thi.


Uski baat sun ker Varsha bhi muskurane lagi, Usko ye kangan sach me bohat zyada pasand the, Lakshmi uske haatho ko daikh rahi thi.


Lakshmi: Varsha, Ye sach hai ke tum dono ki shadi ache maud per nahi huwi! Lekin phir bhi main chahati hu ke tum ek achi zindgi ki shuruaat karo, Hum guzre kal ko to badal nahi sakte, Lekin ane wale kal ko suhana bana sakte hai.


Varsha ko samajh raha tha ke Lakshmi kya kehna chah rahi hai, Ye sach hai ke uske liye ye bhoolna aasan nahi tha ke Avinash ne he uske baap ko mara tha, Lekin usko bhi pata tha ke uske paas aur koi choice nahi thi.


“Maa?”


Avinash kamre ke andar aya aur Lakshmi ko saamne daikh ker hairan ho gaya.


Lakshmi: Arrey, Kya ho gaya? Ab biwi ayi to Maa ka ana bhi khatak raha hai? Haye, Ye buddhi kanha jaye gi.


Avinash: Baad ka to pata nahi! Lekin abhi ap baahir jaye gi.


Lakshmi: Haye, Maa ko baahir nikal raha hai? Nalayak iss din ke liye itna bada kiya tha kya tujhe?


Lakshmi ke natak daikh ker Varsha ko bhi hansi aa gayi, Lakshmi usko hansane ki he koshish ker rahi thi, Usko hanste daikh ker wo bhi chup chap baahir chali gayi, Avinash bhi Varsha ke paas baith gaya.


Avinash: Huh, Maa ki baato ko serious na lena! Unki mazak karne ki aadat hai.


Lakshmi: Ye mujhe batane ki zaroorat nahi hai! Unko tum se to zyada he jaanti hu.


Avinash: Sure, Sure, Tumhari to idol bhi hai na? Unko daikh ker he to tum doctor bani thi.


Varsha(Nod): Haan, Bilkul hai! Ek din unki tarha he main bhi nahi discoveries bhi karu gi.


Lakshmi bhi ek doctor thi, Uska dhayan Qi healing ki taraf zyada tha, Uske kaaran he tha ke Avinash ki ruchi Qi technique per bani thi aur usne nayi techniques bhi banayi thi, Lekin unka galat upyog ho ga ye usne kabhi nahi socha tha.


Avinash(Sigh): Varsha, Main tumhe kuch bhi bhulane ke liye nahi kahu ga! Lekin kya tum mujhe ek chance de sakti ho?


Varsha: Haan, Hamare beech pyaar nahi hai! Sach kahu to mujhe nahi lagta ke ye kabhi ho bhi sake ga, Lekin main ek patni ke sabhi kartavya ko nibhane ki koshish kar sakti hu.


Varsha ki baat ko sun ker Avinash usko daikhta reh gaya, Lekin usne ek gehri saans li aur hami bhar di.


Varsha: Umm, Avinash! Ek permission bhi chahiye thi......Kya main clan records ko access ker sakti hu?


Avinash(Nod): Sure, Lekin yaad rakhna ke ye records kisi ko nuksan pahunchane ke liye Use na ho! Aur tum cultivation nahi ker sakti, Agar tum ye ker sakti ho to tum sab kuch access ker sakti ho ek locker ke sivaye.


Varsha: Locker?


Avinash: Haan, Usko sirf Arya he access ker sakte hai! Usko Maa ya Papa ko bhi kholne ki permission nahi hai, Usme kuch purani aur khaas details hai.


Varsha: Leki-


Avinash: Ab bas kare kya? Raat bohat ho gayi hai.


Avinash ne usko beech me chup karwate huwe kaha, Raat ke 2 bajne ko the, Varsha ne bhi nod ker diya, aur Avinash ne kamre ki light ko band ker diya.



****


Avinash aur Varsha ke ek naye rishte ki shuruaat ho gayi thi, Unke beech pyaar utna nahi tha, Lekin unhone apne kartavya ko bakhubi nibhaya tha.


Avinash ek school me PT teacher ki job ker raha tha, Varsha har din clan ki purani kitabon ke samundar me doobi rehti thi.


Bharat ki uss raat ke baad se halat bigad rahi thi, Uska core buri tarha se damage ho gaya tha, Lakshmi bhi usko heal karne ka prayas kar rahi thi.


“Varsh-”


Avinash ki aankh khuli to raat ke 2 baj rahe the, Varsha abhi bhi kamre me nahi ayi thi, Avinash uth gaya aur study room ki taraf chala gaya, Uska andaza sahi tha.


Varsha udhar table per sar rakhe soo rahi thi, Uske aage kuch papers rakhe huwe the, Unke byah ko ek saal hone ko aa gaya tha, Lekin ab tak Varsha khud ko kitabon se baahir nahi nikal saki thi.


“Avinash?”


Kamre se baahir nikalti huwi Lakshmi ne Avinash ko study room ke darwaze per khade daikha to hairani se usko daikhte huwe uske paas aa gayi.


Lakshmi: Avinash! Itni raat ko yahan kya ker rahe ho?


Lakshmi ne poochha to Avinash ne Varsha ki taraf ishara ker diya, Lakshmi ne kamre ke andar daikha to usko kaaran pata lag gaya.


Lakshmi: Bachi ko aise daikh ker bura lag raha hai! Kitne dinon se aise he kitabon ke beech uljhi rehti hai, Lekin ab tak usko kuch umeed bhi nahi mili hai.


Avinash(Sigh): Main samajh raha hu! Lekin aise to ye khud ka kuch na kuch to nuksan ker le gi, Kayi kayi din tak soo bhi nahi rahi.


Avinash ko uski chinta ho rahi thi, Lekin wo kuch keh bhi nahi sakta tha, Varsha uski baat ko maan ker bilkul bhi cultivate nahi ker rahi thi, Lekin usne badle me unko uske kaam ke beech ane se roka huwa tha.


Lakshmi: Abhi usko kamre me le ja! Main ne kuch socha hai, Usko khuli hava chahiye ho gi, Uske liye main kuch karti hu.


Lakshmi ki baat ko sun ker Avinash ne sar hila ker nod ker diya aur kamre ke andar chala gaya, Varsha gehri neend me soo rahi thi, Avinash ne usko bahon me utha liya aur uske kamre me le gaya aur bed per laita diya.



Avinash(Breath): Fuuu ~ Khud ka khayal rakhna shuru ker do! Ab ye sab kab tak chale ga.


Avinash ne soti huwi Varsha se kaha aur light band ker ke uske saath lait gaya.



****
Little Star School
Pune ~ 1991 March 16


“Avinash”


Avinash school ke ground me khada uski PT class le raha tha ke usko ek taraf se Varsha ati dikhayi di, Uske haath me ek tiffin box pakada huwa tha.
e4a1250fe588688b5b89ddfb7fb49a2f.jpg


Avinash: Keep stretching! Main abhi aa raha hu.


Avinash ne bacho se kaha aur Varsha ke paas chala gaya, Varsha udhar he bane ek bench per baith gayi, Avinash bhi uske saath baith gaya.


Avinash: Aj kaise ana huwa?


Varsha: Aunty Ji keh rahi thi ke subha tum breakfast kiye bina he aa gye! Unhone ye khana bheja hai.


Avinash ko samajhte samay nahi laga ke ye uski Maa ki karni hai, Varsha ne tiffin khol diya aur Avinash khaane laga.


Varsha(Exhale): Huhhhhh ~ Yahan kaam karte ho tum? Nice.


Varsha ne aas-paas daikhte huwe pucha.


Avinash(Nod): Haan, Yahan clan ke 138 ke kareeb bache bhi padhte hai! Unke core's ko to seal ker diya gaya hai, Lekin abhi bhi unke upar nazar banaye rakhne ki zaroorat hai.


Avinash ne clan ke kuch bacho ko bacha liya tha, Unke core abhi tak puri tarha se develope nahi huwe the, Avinash ne unke core's ko seal ker diya tha to wo Qi use nahi ker sakte the.


Ye school unke clan ke ek funder ka he tha to bacho ke liye hostel bhi banaya gaya tha, Avinash koi aur naukari bhi ker sakta tha, Lekin usne bacho ke liye ye he naukari chunni.


Varsha: Lekin itne bacho ka kharcha? Kya sab principal ker raha hai?


Avinash: Nahi, Uske liye hum clan money ka upyog ker rahe hai! Abhi ke liye bohat paisa hai.


Varsha: Clan ke paise? Lekin wo to clan ke leader liye hote hai na?


Avinash: Clan ke bina Leader kya hai? Aur ye bache he to clan banaye gye, Hamara kya hai? Hamare liye 3 time ka khana ban raha hai aur kya chahiye hai?


Avinash ek samay per sab se upar baitha hota tha, Uske paas logo ko kuchal dene ki kshamta thi, Lekin ab wo he Avinash ek sadharan teacher bana huwa tha.


Varsha: I can't believe it! Kya tum sach me ache ho ya sirf ek idiot ho? Koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai? Kaise tum stranger ke liye khud ko barbad ker sakte ho?


Avinash(Smile): Kyu nahi ker sakta? Aakhir tum bhi to ye he ker rahi ho na? Raton ki neend aur din ka chen barbad ker ke har din un bacchiyon ke liye cure dhoond rahi ho, Aakhir koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai?


Avinash ne uski baat he usko waapis laga di thi, Varsha uski baat sun ker muskurane lagi, Lekin usko bhi khud ki halat ka ache se andaza tha.


Varsha: Beatrice ko hum ne 12 saal pehle Rescue kiya tha! Uske father ke andar Qi talent tha, Lekin unhe bilkul bhi pata nahi tha, Beatrice ki Maa to usko janam dete huwe he mar gayi aur uske baap ne uski doshi Beatrice ko he bana diya, Usko marna peetna aur sab kuch, Ankush aur main ne usko rescue kiya to uski puri body ghavon se bhari huwi thi, Beatrice ke liye mujhe bura lagta hai......Main chahati hu ke usko bhi ek nayi zindgi de saku aur wo sab ke saath hans khel sake.


Avinash ne bhi daikha huwa tha ke Varsha Beatrice ke saath emotionally kitni zyada attached thi, Usko Avinash ne bachaya tha tab Varsha ko kitna sakoon mila tha usne sab daikha tha.


Varsha: Aur Suhani Light clan se thi! Uske bhi Father Qi user the, Lekin usne baahir ki ladki se shadi ker li aur wo bhi delivery ke time per survive nahi ker saki, Clan ko aur uske baap ko kamzor bachi nahi chahiye thi, Ankush ne usko rescue kiya tha, Uski halat bhi Beatrice ki tarha he hai aur uski spirit energy bhi lagatar badh rahi hai per uski age abhi utni nahi huwi aur abhi ke liye wo stable hai, Lekin kuch aur samay ke baad uski halat bhi Beatrice ki tarha ki he hone wali hai.


Varsha ke chehre per ab udaasi chhalak rahi thi, Avinash ne uske haath per haath rakh diya, Varsha ko bhi uske saath hone se kuch sakoon mila.


Varsha: Hamare paas zyada samay nahi hai! Mujhe ab aur bhi jaldi kuch karna ho ga, Unko main kuch bhi hone nahi de sakti.


Avinash: Sab theek ho jaye ga! Lekin uske liye tumhe khud ka bhi dhayan rakhna ho ga.


Varsha(Smile): Thank You!


Avinash ne uska khaana khatam kiya aur tiffin Varsha ko de diya, Varsha ne usko bag ke andar rakh liya aur jaane ke liye uth gayi.


Varsha: Fu....ck?


Varsha khadi he huwi thi ke tabhi uska sar chakarane laga aur uska balance bigadne laga, Avinash ne uska balance yun bigadte daikh ker khada ho gaya aur usko pakad liya.


Avinash: Varsha, Kya huwa? Tum theek ho na?


Varsha: I don't know! Suddenly headache hone lagi aur blackout ho gaya tha, Maybe overwork ke kaaran huwa ho ga.


Avinash: Yahan baitho! Abhi kanhi jaane ki zaroorat nahi hai.


Avinash ne usko dobara bench per baitha diya aur usko daikhne laga, Usko hairani ho rahi thi ke overwork ke kaaran Varsha ko aisa kuch ho ga, Varsha ek Qi user thi to uske liye ye normal nahi tha.


Avinash ne Varsha ka haath pakad liya aur aankhen band karte huwe Qi ko uski body me bhejne laga, Varsha bhi samajh gayi ke Avinash kya ker raha hai.


Avinash(Stunned): Huh?


Avinash ne chaunkate huwe apni aankhe khol li, Varsha usko aise chaunkate daikh ker dar gayi, Avinash ka haath Varsha ke haath se uske pait per chala gaya.


Varsha(Flustered): Avinash? Ye kya ker rahe ho?


Avinash(Whisper): Pregnant!


Varsha: Kya keh rahe ho? Sunayi nahi diya.


Avinash: Pr...P-Pregnant ho! Main....I mean hum....nahi tum pregnant ho, Twins hai.


Varsha: Pregnant?.....Wait, What? Avinash?


Dono he hairani se ek dusre ko daikhte reh gye, Unke chehre laal aur dono ko samajh nahi aa rahi thi kya kare.


Avinash: Varsha!


Avinash ki aankhe bheeg gayi aur usne aage badhate huwe Varsha ko gale laga liya, Varsha ne bhi usko pakad liya, Dono he bhool gye the ke wo kanha hai.


Avinash: Thank You!



****


Lakshmi aur Bharat bhi khushkhabri sun ker khush ho gye the, Avinash ne khud ko Varsha se dur karna he band ker diya, Pura din wo Varsha ke paas reh ker uska khayal rakhta.


Varsha aur Lakshmi ko usko dhake de ker kaam ke liye bhejana per raha tha, Bharat aur Lakshmi bhi uski khatirdari me kuch kasar nahi chhod rahe the.


Avinash ne uske study room ko bhi upar se neeche move ker diya tha, Varsha pura din unki khushiyon ko daikhti rehti.


Unke ghar me hamesha he ek udaasi rehti thi, Uss raat ko wo bhule nahi the, Lekin ab ek nayi khushi ne unko dobara muskurane ka kaaran de diya tha.


Samay kaise guzar gaya kisi ko bhi ehsaas he nahi huwa, Varsha ki delivery ka time ho gaya tha, Varsha ne Lakshmi ko delivery karne ke liye kaha tha.


Lakshmi ye pehle bhi ker chuki thi to uske liye taiyari karni mushkil nahi thi, Unhone ghar me he ek kamre ko taiyar kiya tha.


Avinash aur Bharat dono kamre ke baahir baithe intezar ker rahe the, Avinash ki dil tez dhadak raha tha, Bharat usko aise daikh ker muskura raha tha.


Bharat(Smile): Ab kya ho gaya hai? Abhi tak to bohat khush tha.


Avinash: Kuch bhi nahi huwa! Lekin dar lag raha hai, Kya main ap ki tarha ek acha baap ban saku ga?......Kya main unke liye ek rakshak ban saku ga? Ab tak lag raha tha ke main bohat strong hu, Lekin ab dar lag raha hai ke kanhi main kamzor per gaya to?


Bhara: Haye, Ek baar jab tere bache tere haath me aye gye na! Sab pareshaniyan khud he khatam ho jaye gi, Unke chote chote haatho ko pakade ga to unke andar aisa khoye ga ke kuch sochne ka samay he nahi mile ga.


Avinash uske haatho ko daikhne laga, Unhi khaali haatho me abhi wo uske bacho ko uthane wala tha, Uske chehre per ayi sabhi lakeere khud he mitne lagi aur ek muskan uske chehre per saj gayi.


*Click*


Darwaza khula aur Lakshmi baahir nikal ayi, Avinash aur Bharat uth ker uske paas chale gye.


Avinash: Maa? Kya huwa?


Lakshmi ne Avinash ki taraf daikha aur uske haatho ko pakad liya.


Lakshmi: Avinash, Ek beti aur.....Ek beta huwa hai!


Lakshmi ki baat sun ker Avinash ki aankhe bheeg gayi, Usne Lakshmi ko gale laga liya, Khushi se uska haath aur paun kaanp rahe the, Lakshmi ne bhi usko pakad liya.


*Sob*


Lakshmi ke sisakne ki awaaz sun ker Avinash chaunk gaya, Avinash peeche hone laga, Lekin Lakshmi ne usko pakada huwa tha.


Avinash: Maa, Kuch huwa hai kya? Varsha theek hai na?....Maa?


Lakshmi(Sobbing): Avi......Ladka bach nahi saka!
.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update 5.5K words ka tha, Aur ye update kitni baar re-write kiya hai bata nahi sakta, Anyways, Like target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, As you know ke agar target nahi huwa to update bhi delay ho ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,291
144
Seriously! What’s going on? I was just trying to log into my XF account on my laptop, but it's so slow it feels like it’s not working at all.

I edited the entire update on my phone and posted it, I absolutely hate editing on my phone!
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,291
144
Ha ha ha bhai yah to ek naya sawal khada ho gaya Ankush Arora ka character aa gaya aur varsha ka uske sath hona aur ek project pe kaam karna taki Arora ke sath uska rishta jud sakey. Aur Avinash ka ek dum se aana. Maza aayega inki story me agle update ka intezar rahega bhai.

Nice update

Awesome update

Superb bhai...next update ka intezar rahega.....

Ab kya hi kahu ....is update ke bare me, ek to urvi ne aarav ko pehchana nahi....uper se ye ankush ko aapne jyda hi close dikha diya varsha ke .......fir urvi bhi arora ho gai....itna bura laga hai na ye sb padhkar ki ab kya hi batau ...ho sakta hai maine kuchh alag hi dimag laga liya ho....lekin mood to kharab h na... subah subah jo love triangles jesi chiz padh li

Nice update

Nice update

nice update

Ding 👍nice update keep posting

Super update

awesome update bro

fANTASTIC COME BACK

Bahut jabardast update tha bhai. Ab aage kiya hoga dimaag me aa raha hai. Jaldi Next update dena bhai 👌👌👌👌👌👍👍👍

Super fabulous

भाई ने आपके लिए अकाउंट बनाया है आप एक अद्भुत कहानी लिख रहे हैं


Nice update

Parth, Urvi ka husband, Arav k hometown wala friend hai na ?

Nice n fantastic

Nice
But abhi bhi bhot kuch clear hona bakki h

Zabardast 💯 🔥 🔥 🔥 🔥 🔥


To 'Forged Bonds' ki shuruat history se shuru huyi. Yeh update kuch uttar ki jagah prashn jyada chhod gaya. Kuch updates ke baad jyada clear hoga, khas kar jab Aarav apni maa ke dimag ki kuch memories ko padh kar satya jaan jaaye.

Jo doctor itne dino se Akash ka ilaz kar rahi thi, weh Urvi thi. Pehle kuch doubt hua tha lekin system ne bataya hai, to sahi hi hoga. Aur Urvi ki shadi aur ek ladki bhi ho gayi hai. Lekin aashcharya ki baat yeh hai ki uske uper koi bhi dot nahi hai, iska kya arth hai. kya uske liye Aarav ka koi astitva hi nahi hai. Aur weh Qi user bhi hai. Mujhe laga the ki weh Aarav ki chhoti bahan hai, yahan to Aarav ka twin likha hai.

Ek baat aur, Qi user aur normal logon ke bacche bach nahi rahe the. Yeh to bilkul ulta hi hai, pehle to bataya tha ki Soul Clan wale apni clan ko badhane ke liye normal aurton ka balatkar karne lage the. Kuch samajh nahi aaya...

To yeh madam Suhani wahi ladki hai jo uss samay Varsha bachane ki loshish kar rahi thi. Beatrice kahan hai.

Nandini aur Aayush ka bhi interesting romance shuru ho gaya hai. Lagta hai jaise Kitsune ko Aarav ne sikhaya, Red Dragon ko bhi Nandini human ki body me rehna sikha degi.

Kya Avinash ne Varsha ko blackmail karke shadi kari thi, yeh keh kar ki uske bacche bach jayenge...

Lagta hai ki yeh Qi Soul Core ki hi hai.

This is a very unexpected turn in the story and i enjoy it a lot keep it up bro

कमाल का अपडेट था

Update 14


Amelia Ellis mil gayi, to yeh thi Barbie aur Hannah ki behan (???). Lekin weh mari kaise, jiske liye Hannah apne aap ko bhi doshi man rahi hai...

Nice update


Nice 1
Urvi aise kyu react kar rahi hai yeh samajh nhi aaya


Varsha ki memory mein kya kya hai yeh dekhna dilchasp hone wala hai

Surprise update and nice story

Nice Update . urvi bhul gayi hai aarav ko .kya suhani ko pata nahi ki aarav bhai hai urvi ka jo wo gusse me thi .
aarav ne sach jaanne ke liye apne memory wale system ka istemal kiya aur usko dhire dhire sab baate samajh Aa jayegi varsha aur avinash ke baare me .

qi aur non qi se honewale bachche jinda nahi rehte ispar research kar rahi hai shayad varsha aur funding ankush ka Baap mohan kar raha hai kyunki usko apne bete ke liye best partner chahiye jo powerful baby ko janm de sake .

Bahut badhiya suspenseful update

1. Shuruwat hi suspense ke sath hui ha idhar ha to ye ladki urvi hi lekin urvi to arav ki chhoti behen thi idhar to wo uski twin nikli kher urvi ko kuchh yad nahi ha sbhi or to or uske uper koi dot bhi nahi ha laga hi thi writer sahab kuchh to kand karenge pehle laga tha black dot hoga lekin idhar to dot hi gayab kar diya kher arav abhi to chowka hua ha tinker bell ne bhi use shant rahne ke liye kaha ha isliye abhi shant ha dekhte han kya ha urvi ki mystery

2. Idhar urvi to khud ko urvi arora bata rahi ha or uski baton se lagta ha ki usne kisi parth naam ke bande se shadi kar li ha kher akash ne bhi abhi sab ko shant rah e ke liye kah diya ha or main bat urvi bhi qi user nikli like seriusly bas yahi bachi thi or ab ye bhi qi users me aa gayi

3. Idhar dining table per kand hi gaya ha suhani to arav ke uper bhadki hui ha urvi ko gale lagane se or lagta ha ye arav ko thik se janti bhi nahi ha ki samne khada banda duniya mitane ki takat rakhta ha uske samne wo kuchh bhi nahi ha kher varsha idhar arav ko manane ki koshish kar rahi thi udhar arav ne to full gusse or nafrat se bat ki ha apni maa se

lagta ha bachpan me chhod jane se abhi bhi tak naraj ha uski maa se kyonki use sab yad aa raha tha ki uske jane ke bad kaise jiya ha wo kis kadar tadpa ha wo apni maa ke pyar ke liye lekin uski maa jinda hone ke bad bhi unke pas nahi aayi or uske dad bhi lagta ha uski maa ke wajah se hi sharab ke adi ho gaye the to ab apna pyar dikhane se thodi wo maa maa kahkar unse gale milega or uski maa uske papa avinash ko galat bata rahi thi jisse arav ko ir gussa aa gaya kyonki lagat ha inhe pata nahi ha ki avinash ke sath kya hua tha inhe to lagta ha ki avinash aise hi accident me mar gaya tha lekin puri story to arav ko pata ha ki uske papa kya the or wo aaj jinda bhi ha to apne papa ki wajah se kher agar puri story bata di arav ne to varsha kuchh kahne ke layak nahi bachegi

4. Kher varsha ki memories padhkar to aisa hi lagta ha ki ye is ankush ko pasand karti thi or lagta ha dono me kuchh to chal raha tha or varsha ne jo do ladkiyon ki bat kahi thi kahi wo fire clan wali yoo jung or uski sister to nahi jinhe unke clan walon ne nikal diya tha ir unki jan ke dushman ha or varsha ne kaha tha ki ek normal insan ir qi user bachha peda nahi kar sakte but spirit clan walon ne to aisa kiya tha ir main bat arav ka to khud ka beta ha veronica se jo normal ladki thi or arav qi user to lagat ha spirit clan wale hi aisa kar sakte han kher idhar ye manohar arora kuchh strange lag raha ha or lagta ha varsha se iska kuchh rishta bhi ha or ab ye Beatrice kon aa gayi ha ab jiska ilaj chal raha ha or last me hui apne avinash ki entry or soul binding ki power se unhone Beatrice ko thik kar diya lagta ha idhar se hi varsha ir avinash ki story start hui ha or lagta ha ankush villain ban gaya hoga


Sawal bahut sare han lekin jawab lagta ha age ke ep me milenge intezar rahega agle update ka

Mujhe nahi lagta avinash ne blackmail kiya hoga jaroor kuchh badi baat hogi jo ki fir se revenge par khatm hogi...
Shayad koi badi misunderstanding kyunki avinash ne khud hi aarav ko apni jaan deke bachaya tha .....aur to aur jitna bhi hmne avinsh ka character padha hai isse pehle to achha hi tha

Chalo baccha log phir bajaao taaaliii 👏👏

Waise mene to bola tha yaarr 🥺

🤔🤔 Toh finally ek naya Arc shuru ho chuka hai.... First of all congratulations 🎉🎉🎉 story blockbuster hoti jaa rahi hai site par...


Saath hi bhut saare sawaal khade ho rahe hai padhte hue Jo pichle arc mai nahi mila unpar bhi discussion karenge but pehle iss update ki baat kar lete hai...


1- urvi ki yaddasht chali gayi aarav ka ek baar fir cut chuka hai... Kitne umeed se urvi ke gale lag roya tha bechara but writer sahab kisi ke emotions kaha dekhte h.... Yaha bhi twist daal kar cheedlhani kar di... So finally urvi doctor hai saath hi uski shadi bhi ho chuki h.... Iss baat par bhi aarav koi react kyun nhi kiya.... Aur yeh Dot ka kya chakkar hai kaha chala gaya shayad yaddasht chale Jane se dot ko farak nahi padta... Urvi ko aarav yaad hai but woh system ke jariye nahi bhooli aisa meri theory kehti hai.... Yehi reason hai aur koi reason banta nahi hai.... And please aisa kuch twist mat daal dena ki starting se urvi jo aarav ke saath thi woh uski ek aur behn thi dimaag kharab ho jayega... Maja bhi nahi aayega....


2- suhani ab yeh kon hai new character intro hua hai aarav se gussa just urvi ko hug karne par... Iska introduction past se aarav ko pata chal hi jayega jo woh dekh raha hai... Iske baare kuch pata nahi toh isko baad ke liye chodte hai...


3- varsha Aarav ki mom... Itne saal baad milna aur aarav se expect karna sab kuch theek ho jayega aarav uska beta hai thoda Jayda soch rahi hain... Normal logo ko yeh baat samjhne mai time lagta hai yeh toh fir bhi apna aarav hai.... Suhani ke saath bhi iska kya bond yeh bhi pata chal jayega... Next update mai isko bhi thoda hold par rakh dete hai.... Abhi past dekh raha hai aarav...



4- Nandini aur aayush ki alag chamestry chal rahi hai... Ishika ko abhi hosh nahi aaya aur Mumbai mai kya ho raha abhi tak Singh family ko pata bhi nahi hai ishika kaha hai... Tanu bhaiya ka wait kar rahi hai... Kam se kam aayush hi uske paas phunch jata jisse woh rakhi jo usne banayi thi aarav ko bandh deti kyuki dusri jagah bhi aarav ka cut chuka hai... Kya socha tha kya hua..


Now talking about questions regarding last arc and fan theory bhi daal dunga... Jo mujhe lagta hai baaki writer shab iska jawab denge nahi update mai hi pata chalega... 🤣🤣


1- Mumbai mai aarav ki new team khatre se bahar hai.... Unko Deadpool update mai kaafi screen time diya writer sahab ne but aarav ki old team tha OG's ko bhut kam time Mila na unki theek se fight dekh paaye hum woh sab bhi S ranker hai thoda unko time bhi milta toh maja aata...


Baaki meri theory yaha kehti. Hai ki jab strong character ko kam time important updates mai milta hai toh woh bhut si baatain chupane ke liye hota hai.... Jo baatain aarav ko baad mai pata chal hi jaengi but abhi sawal jawab se bachne ke liye aisa kiya gaya hai...


2- sab log Zinda hai vanshika bhi hogi hi obvious hai quki abhi uske baare mai kuch detail pata nahi... Maybe Aakash know ki woh kaha hai... Ho sakta hai uski condition bhi Archana jaisi jo jiss wajah se usko ab tak aarav se dur rakha gaya hai... Starting me hi story ke first crush apni itni chalaki se chupa hona aarav ke dimaag me kyun nahi ghanti baj rahi... Aur waise bhi aarav kisi ko chase krne jata nahi khud ba khud usko sab milte gYe hain... Yaha bhi aisa hi hoga...


Meri theory kehti hai aakash know about Vanshika maybe vanshika ki abhi woh condition na ho jise aarav dekh sake ek aur point yeh hai maybe vanshika would be traiter... Who knows I am just guessing....


3- Zinda hone se yaad aaya Avinash ki body monarch le gaye the... Fu~fu maybe.... Or maybe not but he is not dead yet itne twist and turns dekhne ke baad koi 100% nahi keh sakta.... Baaki yoo~ Jung ki sister hmmmm... Iske baare mai kuch pata nahi chala aage kisi arc mai yeh bhi graveyard se bahar hi milegi.... Maybe or maybe not 😁😁



4- Aarav ki new team purani se bhi khatarnak hai... S rank ke uper ke levels ke baare mai bhi discussion ho chuka h... Sunne me hi goosebumps aa rahe hai... Baaki according to Michele Aarav 4 star S rank se uper hai jab Aarav ke status sabhi seal ho chuke hai kya hoga Michele ka jab uska saamna aarav se next time hoga tab toh aarav ke status 25% unseal ho chuke honge... Gand fat ke hath mai hi aa jayegi...

Fan theory yeh kehti hai aarav ne abhi tak kisi ko bataya nahi hai woh black hole mai kitne saal survive kar chuka hai... Aur uske actuall stats kya hai... Jab woh saamne aayenge toh stone manarch ki bhi Gand fati padi hogi... Kisse panga le liya usne...


Isko last rakhte hai review Jayda bada ho raha hai... baaki bhut se sawaal ke jawaab abhi milna baaki hai kuch solve hoga tabhi mai bolunga abhi dekhte hai Salty~Otaku bhai Hume kya dikhna chahte hai....

Baaki ke sawaal next time till then signing off...

Forged Bond.... Apne Naam Ke anusar is Ark Ne Apna Kam karna Shuru kar diya hai..
Varsha Arora aur Urvi Arora /Arya....jinda bhi hai aur thik thak bhi hai.....how???

Khair Jahan Tak Mujhe Yad hai Arya Keval Ek title Hua karta hai jo Soul clan Mein sabse shaktishali vyakti Ko Diya jata hai na ki koi ek cast hai....

Aarav ne apni Maa ke dwara Kahe Gaya Kisi bhi truth Ko Na mante Hue Khud Faisla karta hai ki Sach kya hai aur jhuth kya hai..... Apne Khas ability ka istemal karte hue..Memorie Gaze.

Dekhte hain Jab Aarav apni Maa ki puri Yadon ko khangal Lega tab use kya pata chalta hai...

kya Uske Pitaji Sahi the ya uski maa ...ya FIR vah donon..apni jagah.

Ek baat batao bhai ham log Tab Se bakchodi karte hue a Rahe Hain Ki Aakash aarav ka kya lagta hai.....iska pata system k dawara check kar k kiya ja sakata hai kuch had tak...ha ki nahi??

Bahana achha bana lete ho bhai update na Dene ka....

Update aaj raat 11:30 bje ke liye scheduled tha. 118 likes already ho chuke hain.
Agar raat tak target pura ho jaye to shayad update aa jana chahiye.

Awesome update bhai ☺️ 😊

Iska reply chahiye Salty~Otaku
Waise update aana tha delay ho gaya kya... 🤔🤔

Haan bhai update to aane ka tha pr writer ne Salty~Otaku ne bola k aj 6 pm tak like target 🎯 poora nhi huwa to delay hoga...
Ab target poora nhi huwa to you know naa...

Baaki me kya bolta hun k zara Ayush ko phone ghumaao or writer hi uthwaa lete hain...
😁

Great update Bhai

Beautiful update and nice story


Still Waiting

waiting for update bhai

UPDATE 84 ~

Nice update


Update please Bhai 🙏 🙏 🙏 🙏

waiting eagerly
Update 85 has been posted Guys!!! :catwoah:
 

Harman11

Active Member
1,098
1,393
159
UPDATE 85 ~
(History Unfolds) (2)




Varsha's Office
France ~ 1989 November 17


*Click*


Varsha darwaza kholte huwe uske kamre ke andar aa gayi, Avinash aur Ankush bhi andar he baithe huwe the, Avinash ke paas uska ek bara suitcase rakha huwa tha, Ye Laboratory ke andar he uska office tha.


Ankush: Ab Beatrice kaisi hai?


Varsha: Beatrice ki condition ab stable ho gayi hai! Usko abhi aaram karne de rahe hai, Uski caretaker uske paas he hai.


Varsha bhi Ankush ke saath aa ker baith gayi, Uske chehara per kuch sakoon aya tha, Beatrice ko daikh ker uski halat bohat zyada bigad gayi thi.


Varsha: Avinash, Thank you! Agar ap nahi ate to main soch bhi nahi sakti ke Beatrice ke saath kya hota.


Avinash(Nod): Shukriya kehne ki zaroorat nahi hai! Main agar kisi ke liye kuch ker sakta hu to zaroor karu ga, Lekin...... Main sirf abhi ke liye kuch ker saka hu, Beatrice abhi bhi khatre me hai.


Varsha(Sigh): Huh, Ye he to baat hai! Hum kuch bhi nahi soch sakte, Beatrice ki spirit energy lagatar badh rahi hai, Uska core literally crush hone wala tha, Lekin ap ne kiya kya? Uski energy bilkul bhi kam nahi huwi.


Avinash: Main ne uski energy ko direction de di hai! Ab tak uski puri energy unstable thi aur uske core per pressure ban raha tha, Lekin main ne usko stable karte huwe Core se dur ker diya hai, But......


Varsha: But?


Avinash: But uski energy ke aur badhane ke baad dobara se uske core per pressure bane ga! Uski spirit energy ke badhane ki speed daikh ker lag raha hai ke 7-8 saal maximum hai, Sadly uske baad main bhi kuch nahi ker sakta.


Avinash ki baat sun ker Varsha aur Ankush ka mann bhaari ho gaya, Lekin ye bhi sach tha ke ye 7-8 saal bhi Avinash ke bina unko nahi mil sakte the.


Ankush: Thank You! Lekin ap yahan per ker kya rahe the? I'm sorry agar main rude lag raha hu, Varsha se main ne ap ke baare me suna hai, Lekin i don't think ke ap dono itne kareeb hai ke ap Varsha se milne ke liye yahan ao gye?


Ankush Avinash ko daikh ker ab tak hairan tha, Uski aur Avinash ki ye pehli mulakat thi, Usne Varsha se uske baare me suna huwa tha ke dono ek he clan se hai aur Avinash ek genius tha.


*Knock-Knock*


Unki baato ke beech me he darwaze per knock huwa aur ek nurse ne darwaza khol diya.


Nurse: Doctor, Ye bhi ap ko dhoond rahe the.


Nurse ne raasta dete huwe kaha to uske peeche se ek aadami andar aa gaya, Uske haath me ek baby pakada huwa tha.


Varsha: Bharat Uncle! Ap bhi aye hai?


Bharat ko daikhte he Varsha uth ker uske paas chali gayi, Bharat ne uske sar per pyaar de diya, Bharat Avinash ka father tha aur saath Spirit clan ka Elder 1 bhi tha to Ankush ne uske baare me bhi suna huwa tha.


Varsha: Bharat Uncle agar ap aa rahe the to batate na! Hum ap ko airport recieve karne ke liye aa jate.


Bharat: Yahan kuch aur kaam bhi the to un kaamo ke baad yahan aye hai! Hamay tum se bhi kuch baat karni thi.....Kuch khaas baat hai.


Bharat ka ishara Ankush ki taraf tha, Uski baat ka matlab samajh ker Ankush bhi uth gaya aur baahir nikal gaya, Usko pata lag tha ke ye baate uske saamne nahi ho gi.


Varsha: Sure, Aye baith ker baat karte hai!


Varsha Bharat ko bhi andar le ayi, Avinash hospital se Varsha ko bhaagte daikh uske peeche aa gaya tha, Bharat usko samay de ker aya udhar aya tha.


Varsha: Uncle ye Avinash ki beti hai kya?


Varsha ne Bharat ke haath me pakadi huwi bachi ko daikhte huwe kaha.


Avinash: Nahi, Ye....Ye Bua ki beti hai!


Varsha: Clan Leader ki beti? Clan Leader bhi ayi hai kya?


Varsha ke savalon ko sun ker Avinash aur Bharat ek dusre ko daikhne lage, Varsha ko wo kuch batana chahate the, Lekin uski shuruaat kaise kare ye samajh nahi aa rahi thi.


Varsha: Uncle, Kuch huwa hai kya?


Bharat: Varsha.......We did it! We executed the operation.


Bharat ki baat sunte he Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Uske ek pal me raungte khade ho gye.


Varsha(Stunned) A-Ap ka matlab......Clan? Ap ne sab ko......You killed them?


Bharat(Nod): Haan, They had to be stopped! The cruelty…..We couldn’t watch them destroy more lives.


Varsha sirf hairani se unko daikhti he reh gayi, Uska pura clan maara gaya tha, Uske Papa ne usko operation ke baare me bataya tha, Lekin usko laga nahi tha ke wo sach me usko execute kare gye.


Varsha: Lekin Kyu? Yahan main koshish ker to rahi thi na? If I had figured out a way for Qi users to have kids with non-Qi users, everything would’ve been okay, Hum unhe rok sakte the......Why did you have to kill everyone?


Avinash(Sigh): Huh, Lekin usme aur kitna samay lagna tha? Varsha hum ne intezar kiya tha, Lekin ussi intezar ke kaaran he hazaron log mare the, Unki kya galti thi? Har din auraten unke bache khandan sab kuch tabah ho raha tha, Kya hum sab kuch baithe daikhte rehte?


Avinash ki awaaz me ek dukh mehsoos ho raha tha, Unhone kya daikha tha ye unhe he pata tha, Varsha uske khilaf to thi, Lekin usko bhi pata tha ke wo galat nahi tha.


Varsha ne vada kiya tha ke wo kuch kare gi, Lekin 4 saal ho gye the aur usne kuch bhi progress nahi ki thi, Usko aur 4-5 ya 10 saal bhi lag sakte the.


Varsha: D-Dad kanha hai?


Varsha ka saval sun ker dono he chup ker gye, Lekin unki ye chupi ab Varsha ko dara rahi thi, Uska shareer ab kanpana shuru ho gaya tha.


Varsha(Shivering): Uncle, Avinash! Dad, Dad kanha hai?


*Thud*


Avinash ne suitcase khol diya, Uske andar kuch kapade rakhe huwe the, Unko daikhte he Varsha ki rooh kaanp gayi, Kapade uske father ke the aur khoon se sane huwe the.


6a0f66426cc468077ac87b78536480f4.jpg

Varsha ki aankhon se aansu chhalak pade, Bina kuch bhi kahe wo sar neeche ker ke baithi aansu bahati rahi, Uski sisakne ki awaaz unhe sunayi de rahi thi.


Avinash: Elder 2 was really an incredible man! Unhone he sab ko operation ke liye taiyar kiya tha, His blade was the one most stained with blood that night, But when the sun touched that blood, he couldn’t handle the weight of all the lives he’d taken... He asked me to end his life... And i did, I’m the one who killed Elder 2.


Varsha Avinash ko daikhti reh gayi, Uske saamne baith ker Avinash khud ye baat kabul ker raha tha, Uske shabd to kathor the, Lekin uske kaanpte haath uski halat ko bayan ker rahe the.



*Swish*


Varsha(Stunned): Huh?


Avinash ne uski sword ko suitcase se nikal ker Varsha ke gale per rakh di, Ek pal me kya huwa usko bhi samajh nahi ayi, Bharat bhi khamoshi se usko daikh raha tha.


Avinash(intimidating): I’m the one who killed Elder 2! But before he died, he asked me for a promise, and I made a blood oath with him.......Now, you have two choices! Either marry me and live as the next clan leader's wife, but you won’t be allowed to use your core without my permission, or
you can die by my hands.

aa82dc41a5ae520977071d317e19751e.jpg


****
Varsha's House
France ~ 1989 November 18



“Madarchod”


Ankush kursi se uthate huwe bola, Varsha ne usko kal huwi sab baate batane ke liye bulaya tha, Avinash ki kahi baat ke baare me sun ker usko gussa aa gaya.


Ankush: Unki himmat kaise huwi? Yahan aa ker tumhe dhamki de rahe the?



Varsha: Ankush, Tumhe gussa karne ki zaroorat nahi hai! Abhi meri baat puri nahi huwi.


Ankush: baat ho gayi hai! Abhi kanha ho gye dono?


Varsha(Sigh): Yahan Bharat Uncle ke ek dost rehte hai! Bharat Uncle clan leader ki beti ko unko dene gye hai, Unka koi bacha nahi hai.


Ankush: Uska adress bata! Abhi dono ko pakad ker yahan le ker ata hu, Unke khayal me bhi ye baate dobara nahi aye, Behanc-


Varsha: Ankush! Stop saying silly things! Please calm down and just listen to me.


Varsha ne thodi unchi awaaz me kaha to Ankush bhi chup ker gaya, Varsha ne uska haath pakad ker usko dobara baitha diya.


Varsha: Ankush! Avinash ne blood oath li hai, Uske paas aur koi raasta nahi tha, Aur Dad ne ye oath lene ke liye usko kyu kaha hai ye bhi main samajh sakti hu......Dad ke liye unki family se zyada important justice hai, Unhone agar sab ko saza di hai to beti ki baari wo kamzor kaise per sakte the?


Varsha ki aankhe dobara bheeg gayi, Lekin usne khud ko sambhal liya.



Varsha: Avinash se shadi ka matlab hai ke main uski responsibility ban jau gi! Lekin agar main shadi nahi karti to main bhi unke liye baakiyo ki tarha hu, Avinash ko unhone kaise convince kiya ho ga main soch bhi nahi sakti.


Ankush: Lekin tumhari kya galti hai? Aakhir tumhe kyu saza mile gi? Ab tak tum ne har din clan ke liye mehnat ki hai, Blood oath Avinash ne khud li hai, Usme tumhari kya galti hai? Aur kya pata ke Avinash shuru se ye he chahata ho?



Varsh(Sigh): Huh, Nahi! Avinash aisa nahi hai......Usne.....Usne mujhe bhaagne ke liye kaha hai, Kyu ke wo bina mere consent ke Shaadi nahi karna chahata aur na he kisi aur ko maarna chahata hai.


Avinash ne sword to uski taraf ki thi, Lekin uske kaanpte haath bata rahe the ke usko abhi bhi uss sword se kaate huwe logo ki cheekh aur pukar sunayi de rahi thi.


Ankush(Nod): Fine, Hum yahan se bhaag rahe hai! Let's go.


Ankush khada ho gaya aur Varsha ko bhi uthane laga, Lekin Varsha bina uthe baithi uski taraf daikhti rahi, Uske expressions ko daikh ker Ankush ka mann bhaari hone laga.


Ankush(Whisper): Varsha?


Varsha: I'm sorry, Lekin main ye nahi ker sakti! Ankush......Dad ke wo aakhiri shabd the *Sniff* Unhone kabhi mujhe kuch bhi nahi kaha, Main aise bhaag nahi sakti.



Ankush: Bhaag nahi sakti? Phir kya tum sach me shaadi?......Aur hamara kya?


Varsha(Crying): I'm sorry!


Ankush ne neeche baithate huwe Varsha ka haath pakad liya, Uski aankhe bheeg gayi thi.


Ankush: Sorry? Sorry kyu keh rahi ho? Aisa nahi ker sakti, Mere saath tum aisa nahi karo gi na? Varsha hum ek dusre se pyaar karte hai na?.....Varsha main Mom ke baad tumhe nahi kho sakta.....Varsha, Please!


Varsha ne haatho ko Ankush ke haatho se alag ker diya, Ankush usko daikhta he reh gaya.


Ankush: Ye kya ker rahi ho? Varsha? Ek baar Beatrice aur Suhani ke baare me he soch lo na, Unka kya ho ga? Unhe tumhari zaroorat hai.


Varsha(Nod): Avinash ne 7-8 saal kahe hai na? Avinash ab clan leader hai, Uske paas clan ke purane records aur bhi bohat kuch hai, Ab tak main unko daikh bhi nahi saki thi, Lekin Clan Leader ki wife ban ker main unko daikh sakti hu, Unke beech kuch na kuch to kaam ka ho ga he.


Varsha ke nirnay ka ek bada kaaran ye bhi tha, Uske liye clan ki purani details aur notes bohat kaam ke the, Unko padhne ka aur koi raasta nahi tha.


Varsha: Lekin tab tak tumhe Beatrice aur Suhani ka dhayan rakhna ho ga! Unke liye ek lab india me bhi banani ho gi, Usme bhi samay lage ga, Lekin tum ye ker lo gye na?


Varsha uski halat ka andaza to laga sakti thi, Lekin abhi ye sab karna bohat zaroori tha, Uska ye kaam Ankush ker sakta tha.


Ankush aur Varsha bohat samay se saath the, Usko bhi pata tha ke agar Varsha ne ye nirnay le liya hai to usko rokna mumkin nahi hai, Varsha ke liye uski research sab se zyada important thi.


Uske liye usko Avinash se shadi bhi karni ho to wo rukne nahi wali thi, Ankush ne bhi uski baat maan li, Uske andar kuch toot sa gaya tha, Lekin usne aansuon ko paunchh liya.


Ankush(Sigh): Huh, Theek hai! Lekin yaad rakhna ke tum ne give up kiya hai, Main ab bhi tum se pyaar karta hu aur karta rahu ga.....Agar kuch bhi pareshani ho to main madad ke liye hamesha taiyar rahu ga.


Usko daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Lekin uske chehre per muskurahat bhi thi Ankush ka pyaar daikh ker.


Varsha(Nod): Thank You!




****
Avinash's House
Pune ~ 1990 January 6



Varsha ke haan kehte he Bharat ne uske sar per haath rakh diya tha, Varsha ne kisi bhi dhoom dhaam se rok diya tha, Lekin phir bhi Bharat ne unke liye kuch taiyari ker di thi.


Avinash aur Varsha ki ek mandir me shadi ker di gayi thi, Unke saath sirf Avinash ke parents he gye the, Unki bilkul sadharan shadi huwi thi, Lekin Bharat aur Lakshmi unke bete ke liye khush the, Varsha unko shuru se pasand thi.


Varsha ke father ek normal family se aye the, Uske andar Qi talent tha aur uski Maa bhi dusre clan se thi, Uske kaaran se clan me unhen log pasand nahi karte the,


Lekin Bharat unhe dost ki tarha daikhta tha, Uske liye apne dost ki bachi ko bahu banana ek khushi ki baat thi, Varsha ko bhi pata tha ke Bharat aur Lakshmi ko uski kitna parwah hai.


*Knock-Knock*


Avinash ke kamre me Varsha uske bed per baithi uska intezar ker rahi thi, Kamre ke darwaze per dastak huwi to Varsha hairan ho gayi ke Avinash knock kyu ker raha hai.


“Varsha! Main hu”


Varsha: Aunty? Andar aa jaye na.


Varsha ke kehne per Lakshmi bhi andar aa gayi, Usne haath peeche kiye huwe the aur muskura rahi thi, Lakshmi bed ke paas aa ker khadi ho gayi.


Lakshmi(Smile): Akeli bore ho rahi thi kya?


Varsha: Aisa kuch nahi hai! Yahan abhi utni comfortable nahi hu na, Ab kitne saal se to france reh rahi thi, Uske kaaran thodi si......Huh, Bore ho rahi thi.


Lakshmi(Giggle): Laga he tha! Abhi dono baap bete baahir baithe huwe hai.....Bharat usko class le rahe hai, Usko keh rahe hai ke usne agar tumhe thoda bhi tang kiya to uski kher nahi ho gi.


Varsha(Smile): Uski kya zaroorat thi? Agar usne tang kiya to main he kaafi thi, Uncle ko kuch karne ki zaroorat bhi nahi pare gi.


Lakshmi: Haye, Ab to bechare per tadas aa raha hai!......Ye haath to dikhana.


Varsha: Haath? Haatho ko kya huwa?


Varsha haatho ko daikhne lagi, Lakshmi ne uska haath pakad liya aur dono haatho me kangan pehna diya, Varsha ne unko ek pal me pehchan liya, Usne Lakshmi ko hamesha ye kangan pehne daikha tha.


Varsha: Aunty, Ye kyu?


Lakshmi: Ab dialogue nahi sunau gi! Lekin ye meri saas ne diye the, Ab agar tumhe na deti to upar unse baate sunanai per jaani thi.


Uski baat sun ker Varsha bhi muskurane lagi, Usko ye kangan sach me bohat zyada pasand the, Lakshmi uske haatho ko daikh rahi thi.


Lakshmi: Varsha, Ye sach hai ke tum dono ki shadi ache maud per nahi huwi! Lekin phir bhi main chahati hu ke tum ek achi zindgi ki shuruaat karo, Hum guzre kal ko to badal nahi sakte, Lekin ane wale kal ko suhana bana sakte hai.


Varsha ko samajh raha tha ke Lakshmi kya kehna chah rahi hai, Ye sach hai ke uske liye ye bhoolna aasan nahi tha ke Avinash ne he uske baap ko mara tha, Lekin usko bhi pata tha ke uske paas aur koi choice nahi thi.


“Maa?”


Avinash kamre ke andar aya aur Lakshmi ko saamne daikh ker hairan ho gaya.


Lakshmi: Arrey, Kya ho gaya? Ab biwi ayi to Maa ka ana bhi khatak raha hai? Haye, Ye buddhi kanha jaye gi.


Avinash: Baad ka to pata nahi! Lekin abhi ap baahir jaye gi.


Lakshmi: Haye, Maa ko baahir nikal raha hai? Nalayak iss din ke liye itna bada kiya tha kya tujhe?


Lakshmi ke natak daikh ker Varsha ko bhi hansi aa gayi, Lakshmi usko hansane ki he koshish ker rahi thi, Usko hanste daikh ker wo bhi chup chap baahir chali gayi, Avinash bhi Varsha ke paas baith gaya.


Avinash: Huh, Maa ki baato ko serious na lena! Unki mazak karne ki aadat hai.


Lakshmi: Ye mujhe batane ki zaroorat nahi hai! Unko tum se to zyada he jaanti hu.


Avinash: Sure, Sure, Tumhari to idol bhi hai na? Unko daikh ker he to tum doctor bani thi.


Varsha(Nod): Haan, Bilkul hai! Ek din unki tarha he main bhi nahi discoveries bhi karu gi.


Lakshmi bhi ek doctor thi, Uska dhayan Qi healing ki taraf zyada tha, Uske kaaran he tha ke Avinash ki ruchi Qi technique per bani thi aur usne nayi techniques bhi banayi thi, Lekin unka galat upyog ho ga ye usne kabhi nahi socha tha.


Avinash(Sigh): Varsha, Main tumhe kuch bhi bhulane ke liye nahi kahu ga! Lekin kya tum mujhe ek chance de sakti ho?


Varsha: Haan, Hamare beech pyaar nahi hai! Sach kahu to mujhe nahi lagta ke ye kabhi ho bhi sake ga, Lekin main ek patni ke sabhi kartavya ko nibhane ki koshish kar sakti hu.


Varsha ki baat ko sun ker Avinash usko daikhta reh gaya, Lekin usne ek gehri saans li aur hami bhar di.


Varsha: Umm, Avinash! Ek permission bhi chahiye thi......Kya main clan records ko access ker sakti hu?


Avinash(Nod): Sure, Lekin yaad rakhna ke ye records kisi ko nuksan pahunchane ke liye Use na ho! Aur tum cultivation nahi ker sakti, Agar tum ye ker sakti ho to tum sab kuch access ker sakti ho ek locker ke sivaye.


Varsha: Locker?


Avinash: Haan, Usko sirf Arya he access ker sakte hai! Usko Maa ya Papa ko bhi kholne ki permission nahi hai, Usme kuch purani aur khaas details hai.


Varsha: Leki-


Avinash: Ab bas kare kya? Raat bohat ho gayi hai.


Avinash ne usko beech me chup karwate huwe kaha, Raat ke 2 bajne ko the, Varsha ne bhi nod ker diya, aur Avinash ne kamre ki light ko band ker diya.




****


Avinash aur Varsha ke ek naye rishte ki shuruaat ho gayi thi, Unke beech pyaar utna nahi tha, Lekin unhone apne kartavya ko bakhubi nibhaya tha.


Avinash ek school me PT teacher ki job ker raha tha, Varsha har din clan ki purani kitabon ke samundar me doobi rehti thi.


Bharat ki uss raat ke baad se halat bigad rahi thi, Uska core buri tarha se damage ho gaya tha, Lakshmi bhi usko heal karne ka prayas kar rahi thi.


“Varsh-”


Avinash ki aankh khuli to raat ke 2 baj rahe the, Varsha abhi bhi kamre me nahi ayi thi, Avinash uth gaya aur study room ki taraf chala gaya, Uska andaza sahi tha.


Varsha udhar table per sar rakhe soo rahi thi, Uske aage kuch papers rakhe huwe the, Unke byah ko ek saal hone ko aa gaya tha, Lekin ab tak Varsha khud ko kitabon se baahir nahi nikal saki thi.


“Avinash?”


Kamre se baahir nikalti huwi Lakshmi ne Avinash ko study room ke darwaze per khade daikha to hairani se usko daikhte huwe uske paas aa gayi.


Lakshmi: Avinash! Itni raat ko yahan kya ker rahe ho?


Lakshmi ne poochha to Avinash ne Varsha ki taraf ishara ker diya, Lakshmi ne kamre ke andar daikha to usko kaaran pata lag gaya.


Lakshmi: Bachi ko aise daikh ker bura lag raha hai! Kitne dinon se aise he kitabon ke beech uljhi rehti hai, Lekin ab tak usko kuch umeed bhi nahi mili hai.


Avinash(Sigh): Main samajh raha hu! Lekin aise to ye khud ka kuch na kuch to nuksan ker le gi, Kayi kayi din tak soo bhi nahi rahi.


Avinash ko uski chinta ho rahi thi, Lekin wo kuch keh bhi nahi sakta tha, Varsha uski baat ko maan ker bilkul bhi cultivate nahi ker rahi thi, Lekin usne badle me unko uske kaam ke beech ane se roka huwa tha.


Lakshmi: Abhi usko kamre me le ja! Main ne kuch socha hai, Usko khuli hava chahiye ho gi, Uske liye main kuch karti hu.


Lakshmi ki baat ko sun ker Avinash ne sar hila ker nod ker diya aur kamre ke andar chala gaya, Varsha gehri neend me soo rahi thi, Avinash ne usko bahon me utha liya aur uske kamre me le gaya aur bed per laita diya.



Avinash(Breath): Fuuu ~ Khud ka khayal rakhna shuru ker do! Ab ye sab kab tak chale ga.


Avinash ne soti huwi Varsha se kaha aur light band ker ke uske saath lait gaya.




****
Little Star School
Pune ~ 1991 March 16



“Avinash”


Avinash school ke ground me khada uski PT class le raha tha ke usko ek taraf se Varsha ati dikhayi di, Uske haath me ek tiffin box pakada huwa tha.

e4a1250fe588688b5b89ddfb7fb49a2f.jpg


Avinash: Keep stretching! Main abhi aa raha hu.


Avinash ne bacho se kaha aur Varsha ke paas chala gaya, Varsha udhar he bane ek bench per baith gayi, Avinash bhi uske saath baith gaya.


Avinash: Aj kaise ana huwa?


Varsha: Aunty Ji keh rahi thi ke subha tum breakfast kiye bina he aa gye! Unhone ye khana bheja hai.


Avinash ko samajhte samay nahi laga ke ye uski Maa ki karni hai, Varsha ne tiffin khol diya aur Avinash khaane laga.


Varsha(Exhale): Huhhhhh ~ Yahan kaam karte ho tum? Nice.


Varsha ne aas-paas daikhte huwe pucha.


Avinash(Nod): Haan, Yahan clan ke 138 ke kareeb bache bhi padhte hai! Unke core's ko to seal ker diya gaya hai, Lekin abhi bhi unke upar nazar banaye rakhne ki zaroorat hai.


Avinash ne clan ke kuch bacho ko bacha liya tha, Unke core abhi tak puri tarha se develope nahi huwe the, Avinash ne unke core's ko seal ker diya tha to wo Qi use nahi ker sakte the.


Ye school unke clan ke ek funder ka he tha to bacho ke liye hostel bhi banaya gaya tha, Avinash koi aur naukari bhi ker sakta tha, Lekin usne bacho ke liye ye he naukari chunni.


Varsha: Lekin itne bacho ka kharcha? Kya sab principal ker raha hai?


Avinash: Nahi, Uske liye hum clan money ka upyog ker rahe hai! Abhi ke liye bohat paisa hai.


Varsha: Clan ke paise? Lekin wo to clan ke leader liye hote hai na?


Avinash: Clan ke bina Leader kya hai? Aur ye bache he to clan banaye gye, Hamara kya hai? Hamare liye 3 time ka khana ban raha hai aur kya chahiye hai?


Avinash ek samay per sab se upar baitha hota tha, Uske paas logo ko kuchal dene ki kshamta thi, Lekin ab wo he Avinash ek sadharan teacher bana huwa tha.


Varsha: I can't believe it! Kya tum sach me ache ho ya sirf ek idiot ho? Koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai? Kaise tum stranger ke liye khud ko barbad ker sakte ho?


Avinash(Smile): Kyu nahi ker sakta? Aakhir tum bhi to ye he ker rahi ho na? Raton ki neend aur din ka chen barbad ker ke har din un bacchiyon ke liye cure dhoond rahi ho, Aakhir koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai?


Avinash ne uski baat he usko waapis laga di thi, Varsha uski baat sun ker muskurane lagi, Lekin usko bhi khud ki halat ka ache se andaza tha.


Varsha: Beatrice ko hum ne 12 saal pehle Rescue kiya tha! Uske father ke andar Qi talent tha, Lekin unhe bilkul bhi pata nahi tha, Beatrice ki Maa to usko janam dete huwe he mar gayi aur uske baap ne uski doshi Beatrice ko he bana diya, Usko marna peetna aur sab kuch, Ankush aur main ne usko rescue kiya to uski puri body ghavon se bhari huwi thi, Beatrice ke liye mujhe bura lagta hai......Main chahati hu ke usko bhi ek nayi zindgi de saku aur wo sab ke saath hans khel sake.


Avinash ne bhi daikha huwa tha ke Varsha Beatrice ke saath emotionally kitni zyada attached thi, Usko Avinash ne bachaya tha tab Varsha ko kitna sakoon mila tha usne sab daikha tha.


Varsha: Aur Suhani Light clan se thi! Uske bhi Father Qi user the, Lekin usne baahir ki ladki se shadi ker li aur wo bhi delivery ke time per survive nahi ker saki, Clan ko aur uske baap ko kamzor bachi nahi chahiye thi, Ankush ne usko rescue kiya tha, Uski halat bhi Beatrice ki tarha he hai aur uski spirit energy bhi lagatar badh rahi hai per uski age abhi utni nahi huwi aur abhi ke liye wo stable hai, Lekin kuch aur samay ke baad uski halat bhi Beatrice ki tarha ki he hone wali hai.


Varsha ke chehre per ab udaasi chhalak rahi thi, Avinash ne uske haath per haath rakh diya, Varsha ko bhi uske saath hone se kuch sakoon mila.


Varsha: Hamare paas zyada samay nahi hai! Mujhe ab aur bhi jaldi kuch karna ho ga, Unko main kuch bhi hone nahi de sakti.


Avinash: Sab theek ho jaye ga! Lekin uske liye tumhe khud ka bhi dhayan rakhna ho ga.


Varsha(Smile): Thank You!


Avinash ne uska khaana khatam kiya aur tiffin Varsha ko de diya, Varsha ne usko bag ke andar rakh liya aur jaane ke liye uth gayi.


Varsha: Fu....ck?


Varsha khadi he huwi thi ke tabhi uska sar chakarane laga aur uska balance bigadne laga, Avinash ne uska balance yun bigadte daikh ker khada ho gaya aur usko pakad liya.


Avinash: Varsha, Kya huwa? Tum theek ho na?


Varsha: I don't know! Suddenly headache hone lagi aur blackout ho gaya tha, Maybe overwork ke kaaran huwa ho ga.


Avinash: Yahan baitho! Abhi kanhi jaane ki zaroorat nahi hai.


Avinash ne usko dobara bench per baitha diya aur usko daikhne laga, Usko hairani ho rahi thi ke overwork ke kaaran Varsha ko aisa kuch ho ga, Varsha ek Qi user thi to uske liye ye normal nahi tha.


Avinash ne Varsha ka haath pakad liya aur aankhen band karte huwe Qi ko uski body me bhejne laga, Varsha bhi samajh gayi ke Avinash kya ker raha hai.


Avinash(Stunned): Huh?


Avinash ne chaunkate huwe apni aankhe khol li, Varsha usko aise chaunkate daikh ker dar gayi, Avinash ka haath Varsha ke haath se uske pait per chala gaya.


Varsha(Flustered): Avinash? Ye kya ker rahe ho?


Avinash(Whisper): Pregnant!


Varsha: Kya keh rahe ho? Sunayi nahi diya.


Avinash: Pr...P-Pregnant ho! Main....I mean hum....nahi tum pregnant ho, Twins hai.


Varsha: Pregnant?.....Wait, What? Avinash?


Dono he hairani se ek dusre ko daikhte reh gye, Unke chehre laal aur dono ko samajh nahi aa rahi thi kya kare.


Avinash: Varsha!


Avinash ki aankhe bheeg gayi aur usne aage badhate huwe Varsha ko gale laga liya, Varsha ne bhi usko pakad liya, Dono he bhool gye the ke wo kanha hai.


Avinash: Thank You!




****


Lakshmi aur Bharat bhi khushkhabri sun ker khush ho gye the, Avinash ne khud ko Varsha se dur karna he band ker diya, Pura din wo Varsha ke paas reh ker uska khayal rakhta.


Varsha aur Lakshmi ko usko dhake de ker kaam ke liye bhejana per raha tha, Bharat aur Lakshmi bhi uski khatirdari me kuch kasar nahi chhod rahe the.


Avinash ne uske study room ko bhi upar se neeche move ker diya tha, Varsha pura din unki khushiyon ko daikhti rehti.


Unke ghar me hamesha he ek udaasi rehti thi, Uss raat ko wo bhule nahi the, Lekin ab ek nayi khushi ne unko dobara muskurane ka kaaran de diya tha.


Samay kaise guzar gaya kisi ko bhi ehsaas he nahi huwa, Varsha ki delivery ka time ho gaya tha, Varsha ne Lakshmi ko delivery karne ke liye kaha tha.


Lakshmi ye pehle bhi ker chuki thi to uske liye taiyari karni mushkil nahi thi, Unhone ghar me he ek kamre ko taiyar kiya tha.


Avinash aur Bharat dono kamre ke baahir baithe intezar ker rahe the, Avinash ki dil tez dhadak raha tha, Bharat usko aise daikh ker muskura raha tha.


Bharat(Smile): Ab kya ho gaya hai? Abhi tak to bohat khush tha.


Avinash: Kuch bhi nahi huwa! Lekin dar lag raha hai, Kya main ap ki tarha ek acha baap ban saku ga?......Kya main unke liye ek rakshak ban saku ga? Ab tak lag raha tha ke main bohat strong hu, Lekin ab dar lag raha hai ke kanhi main kamzor per gaya to?


Bhara: Haye, Ek baar jab tere bache tere haath me aye gye na! Sab pareshaniyan khud he khatam ho jaye gi, Unke chote chote haatho ko pakade ga to unke andar aisa khoye ga ke kuch sochne ka samay he nahi mile ga.


Avinash uske haatho ko daikhne laga, Unhi khaali haatho me abhi wo uske bacho ko uthane wala tha, Uske chehre per ayi sabhi lakeere khud he mitne lagi aur ek muskan uske chehre per saj gayi.


*Click*


Darwaza khula aur Lakshmi baahir nikal ayi, Avinash aur Bharat uth ker uske paas chale gye.


Avinash: Maa? Kya huwa?


Lakshmi ne Avinash ki taraf daikha aur uske haatho ko pakad liya.


Lakshmi: Avinash, Ek beti aur.....Ek beta huwa hai!


Lakshmi ki baat sun ker Avinash ki aankhe bheeg gayi, Usne Lakshmi ko gale laga liya, Khushi se uska haath aur paun kaanp rahe the, Lakshmi ne bhi usko pakad liya.


*Sob*


Lakshmi ke sisakne ki awaaz sun ker Avinash chaunk gaya, Avinash peeche hone laga, Lekin Lakshmi ne usko pakada huwa tha.


Avinash: Maa, Kuch huwa hai kya? Varsha theek hai na?....Maa?


Lakshmi(Sobbing): Avi......Ladka bach nahi saka!

.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 5.5K words ka tha, Aur ye update kitni baar re-write kiya hai bata nahi sakta, Anyways, Like target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, As you know ke agar target nahi huwa to update bhi delay ho ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Very nice update tha bhai geart
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Malik-18

Active Member
585
733
108
bohat hi acha update tha.

Beatrice ko kafi importance mil rahi hai, dekhna ye hai k ab wo zinda bach sakey gi ya nhi. Suhani ko to hum dekh hi chuke hain present mein lekin shyd abhi tak Beatrice ka zikar nahi hua. Suhani Beatrice se chhoti thi to mujy 50-50 chances lag rhe hain. varsha Beatrice k sath itni zeyada attached kese hai? is piche mujhy kuch aur reason bhi lagta hai.

clan leader jo k avinash ki bua thi us ki beti ka kya hua. I think us ka bhi abhi tak koi zikar nahi hua.

last update ko maine gor se read nahi kiya qk flashback feels boring to me. jis wajah se ankush k character ko understand nhi kar saka. ab lagta hai previous update ko dubara se read krna pare ga sirf is character ko smajhne k liye. ankush ka present mein zikar hua hai? Literally Ankush's character is making me curious. __thukra k mera pyaar, mera inteqaam dekhegi__ wala koi scene nah kiya ho ankush ne. Let's see kya hua tha

jurwa bache aur bete ki death ho gai. ye to bohat bara twist ageya. lekin mujhy lagta hai k beta bach jaye ga avinash shyd apni powers ka use kar k bcha le apne bete ko. lekin beti (urvi aur arav jurwa hain i forget) agar nahi to phir ye urvi to nahi ho sakti. as i remember urvi arav se chhoti hai.

138 babies with spirit wo abhi kahan par hain. spirit clan ko khatam karne ki koshish ki gai thi to kya wo bache survive kar sake? agar mujhy sahi se yaad hai to arav k parents bhi abhi powers ka use nhi kar rhe the k koi unhe detect nah kar le Am I right?

keep writing

waiting for the next update :dost:
 
Top