• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    323

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
1,950
21,658
144
Quick Recap of the Arc: After Aarav's encounter with kim Min-soo as Avinash Kim Min-soo ran away. Then Kunle got invitation from the Carnival of death (COD) to save him and for Aarav's alterior motive aarav and Yoo-Jung decided to go with him and joined them Becky and also Caroline who wanted undiscovered her father's murderer.

In carnival with Aarav and Yoo-Jung's help they clear each floor and Aarav was taking all game master out until at floor 3 they got tricked by the game master and lost becky there.

Later they are joined by another team's 2 remaining players (Mira&Daryl) and they entered the 4th floor where they got summoned into another world to complete a quest, Save this world from demon kind and from the demon king and an side quest to save both of Priestesses twin daughters(Eira&Sola). To save them Aarav made a sacred bond(Marriage by earth means) with both of daughters them and get into a physical relationship with them.

*End of recap*
 

drx prince

Active Member
1,565
1,576
143
UPDATE 3
[THE PREY]



Recap


Wanhi Jab Aarav ne apni taraf Arrows ate daikhe to us ke chehre per halki si muskurahat aa gayi, Arrows ko dodge karne ki wajha se Wolves ki speed slow ho rahi thi jis se Aarav ko distance barhane ka moka mil raha tha.



Per ye khushi kuch palo ki he thi, bhaagte huwe Aarav ko apne saamne ek khayi dikhi, Khayi daikh ker Aarav apne Kadmo per zor dete huwe ruka.


*Grrrr*


Per Us ke rukte he ek wolf Aarav per kud para aur us ne Aarav ke kandhe per apne daant gara diye jis Aarav ka balance kharab huwa aur wo larkharate huwe seedhe khayi me gir gaya.



Aarav: i'm Sorry!!!!! Urvi.


Ab Aage







“Urvi! Tujhe nahi lagta tujhe ye sab karne se pehle bhayia se puchna chahiye tha?”

Urvi ki dost Divya jo us ke saath college se wapis aa rahi thi us ne Urvi se kaha, Us ka sawal sunn Urvi ne dheeme se Naa me sar hila dia


Urvi: (Sigh) Nope! Tujhe kia lagta hai? Agar main bhayia se puchti to wo mujhe college ki larkiyo ko tution dene ki permission dete kia?


Urvi ka jawab sun Divya ke paas kuch bhi kehne ko na bacha Aarav kabhi bhi Urvi ko permission nahi dene wala tha, Ulta Urvi ke kehne per wo apne ap ko aur push ker leta kaam ki taraf jo Urvi chahti nahi thi, Lekin Aarav Urvi ko School ke baad MBBS karwana chahta tha jis ka Urvi ka bhi Mann tha.


Urvi Scholarship ke liye Aim karne wali thi lekin Scholarship mil bhi jaye to aur bhi bohat se kharche the jin ko afford karna Aarav ke liye bohat mushkil tha, Iss liye Urvi ne tutions dene ka socha jis se apne kuch kharche wo khud pure ker sake jis se Aarav ko kuch Asani ho jaye.


Divya: Phir bhi! bhayia ko bina bataye Tution kaise de gi?


Urvi: (😁) Wo main ne soch lia hai! Daikh Bhayia raat me ghar ate hai, main bhayia ke ane tak ghar ke thore kaam karti hu jo itne zada nahi hai, to phir main aisa karu gi school ke baad wanhi school ke paas ek larki ke ghar tution du gi larkiyo ko, main ne larki se puch lia hai us ke ghar walo ko koi issue nahi hai, Bus us larki se tution fees nahi lu gi, Tution ke baad 4:30~5:00 Baje tak seedhe ghar aa ker bhayia ke ane se pehle ghar ke kaam ker lu gi.


Divya: (Frowns) Baap re! Kameeni tu to puri Planing bana ker baithi huwi hai.


Divya ne Urvi ke kandhe per kandha maarte huwe kaha jis per Divya ne use kandha maar dia aur dono khilkhilate huwe ek dusre ko halke dhake dene lagi.


Divya: (Frowns) Parth Bhayia! Lekin unho ne ye kise uthaya huwa hai?


Divya ne Road ke dusri taraf per chalte apne bhai Parth ko daikha, Jis ki kamar per uss ne kisi ko uthaya huwa tha, Divya ki baat sun Urvi ne Parth ki taraf daikha per jab uss ki nazar peeche wale insaan per gayi to uss ke chehre ki rangat badal gayi.


Urvi: (Stunned) Bhayia!


Bhale he Aarav ka chehra Parth ke dusre kandhe per hone ki wajha se dikh nahi raha tha, Per Urvi ne use ek jhalak me pehchan lia, Aarav ko daikhte he Urvi tezi se Aarav ke paas aa gayi.



Urvi: Bhayia!



Urvi ki awaz sun Parth chalte huwe ruk gaya, Us ke ghoomte he Aarav ka chehre saamne aa gaya, Aarav ki ankhe band thi us ke sar per Dressing ki huwi thi, Aarav ko yun Unconscious daikh Urvi ki ankhko se ansoo behne lage uss ne kaampte haatho ko Aarav ke chehre per rakh use chunne lagi, Wo itna ghabrayi huwi thi ke kuch bol bhi nahi paa rahi thi.


Parth: Fikar mat karo! Kuch nahi huwa Aarav ko, Bus zada kaam karne ki wajha se Weakness ho gayi thi jis ki wajha se dukan per gir gaya tha, Glucose lagwa li hai kuch der Araam karne ke baad hosh aa jaye gi.


Urvi: (Sobbing) Phir tum inhe hospital me araam karne dete aise kiu le ker ghoom rahe ho?


Urvi ne gusse se kaha, Apne bhai ko iss halat me daikh uss ki samajh me kuch nahi aa raha tha wo kia bole ja rahi hai, Iss liye parth ne bhi gussa nahi kia.


Parth: Agar isse Hospital me chorta to hosh me ate he Seedha kaam per wapis aa jata, Iss liye isse ghar chorne ja raha hu jahan tum isse zabardasti aram karwa sako, aur rahi baat aise kiu le ja raha hu wo iss liye kiu ke wahan koi rickshaw wagaira nahi thi iss liye.


Parth ki baat sun Urvi ko ehsaas ho gya wo gusse me kuch zada he uncha bol gayi, per wo bhi kia karti? jab baat uss ke bhai ki ho to wo khud ko control nahi ker pati thi.


Divya: Urvi! Sawal baad me bhi puche ja sakte hai, pehle Aarav Bhayia ko ghar le ker jane de Parth bhayia ko.


Divya ki baat sun Urvi side per ho gayi, Parth Raasta milte he dobara chalne laga aur ghar aa ker Aarav ko bistar per lita dia.


Parth: Mujhe wapis kaam per jana hai! Chal Divya tujhe ghar chorte huwe jata hu.


Urvi ne dono ko darwaze tak chora aur darwaza band ker ke wapis Aarav ke paas aa gayi, Urvi ne Aarav ko bohat waqt ke baad aise sakoon se sote daikha tha wo wanhi Aarav ke paas ek stool ko rakh ker baith gayi.


Urvi: Kiu karte ho mujhe Tang!....


Urvi ki awaaz rowasi ho gayi thi.


Urvi: Kitni baar!!!!!! Kitni baar ap se kehna ho ga mujhe ke sirf ap ke upar nahi hai sab zimedariya, Yaad hai bachpan me jab hum khelte the ap kia kehte the.



Ek pal ke liye bachpan ki yaad ko yaad ker Urvi halki si muskurahat hansi.


Urvi: Maa yahan nahi hai to kia huwa? Hum hai na ek dusre ke liye! Agar ek khelte huwe gir bhi jaye ga to dusra use dobara utha de ga, Phir kiu? Akhir kiu ap ne khud ko girne se itni mushkil se roka huwa hai? Akhir kiu mujhe khud ko uthane ko moka nahi de rahe ho?


Urvi ke andar ki sari bharaas wo apne bhai per nikal rahi thi, Jitna bhi dard wo samete huwe thi wo bahir nikal rahi thi, Bhale he Aarav use sun na sake per wo keh paa rahi thi ye he bohat tha uss ke liye.


Urvi: (Glares) Aarav Arya! Agara tum apni Mann mani karne chahte to aisa he sahi! Per yaad rakhna mujhe mera bhai bilkul sahi halat me wapis chahiye, Tumhe jo karna hai karo per ant me hamesha mera bhai mujhe mere paas chahiye.


****


*Huh*


2c428d127071c28d38267d85c76e9521.jpg

Aarav ne apni ankhe kholi, Us ka chehra upar Asmaan ki taraf tha, use apne saamne wo pahar nazar aa raha tha jahan se wo gira tha, Uss ki apni saanse tez chal rahi thi per wo un saanso ko mehsoos nahi ker pa raha tha, Aisa tha jaise us ka shareer us ke saath hai he nahi.


Aarav: Kia? Kia main bach gay....,


*Agggggggh*


Aarav khud se sawal ker he raha tha jab us ke pure shareer me ek tez dard ki lehar uthi, Jo injuries body Numb hone ki wajha se feel nahi ho rahi thi un sab ka dard ek saath Aarav ko mehsoos huwa, Aur dard aisa jo bardasht ke bahir tha.


Aarav ne zindagi me bohat se zakhm aur dard bardasht kiye the per iss ke saamne wo kuch nahi the, Shareer ke alag alag hisso me maas phat ke khoon beh raha tha aur Aur bohat si hadiye buri tarha se toot chuki thi,


Insaan ke jism me agar thora sa bhi cut lage to dard sehna mushkil hota, Lekin agar pura jism he jagha jagha se cut jaye to dard kaha se seh paye ga Insaan? Dard itna zada tha ke Aarav hil bhi nahi paa raha tha, Uss ka ek taraf ke kandha bhi toot chuka tha aur wahan se maas bhi gayab tha, Jis wajha se khoon kandhe se bhi lagatar beh raha tha.


Aarav: Fuckkkkkkk!!!!!



Dard ke kaaran Aarav kuch theek se soch bhi nahi paa raha tha, Aarav ke saamne ka pahar daikh ker lag raha tha ke 100 foot ki unchai se gira tha Aarav, Wo zinda tha ye bhi ek chamatkar se kam nahi tha.



Lekin agar wo zinda tha bhi to aur kitni der zinda reh sakta tha? Jis tarha khoon beh raha tha use umeed nahi thi ke wo zada der zinda reh sake ga.


Maano jaise uss ka pareshani System ne bhaanp li ho, Us ke saamne dobara ek system window aa gayi

f32162f170c6ff5184a3585e9f0e8514.jpg

[The Player is in a critical state, HP is dropping repeatedly]



HP 27 se gir ke 7 ho gayi thi aur lagatar girti ja rahi thi, Zahir tha ke HP 0 hone per Aarav mar jaye ga, Jis se Aarav ko ehsaas ho gaya ke us ke bachne ka koi Chance nahi hai.



Aarav: Agggh! Akhir kiu? Kiu ho raha hai mere saath ye sab? Akhir Kia bigara hai main ne kisi ka?


Aarav ka Mann bhaari ho raha tha Dard Sehan karna chah ker bhi wo seh nahi paa raha tha, Akhir me uss ki ankho se ansoo behne lage


Aarav: Sirf Ek khawaish! Sirf ek khawaish ki thi main ne ke apni behan ko muskurahat de saku, kia ye bhi bohat zada maang lia tha main ne?


Aarav ne puri zindagi me khud ko itna bebas kabhi mehsoos nahi kia tha, Chahe jo bhi mushkil hoti wo hamesha Mehnat ker ke un mushkilo ko khatam karne me yaqeen rakhta tha, Lekin aj wo andar se toot chuka tha pehli baar Aarav ko lag raha tha ke wo aj haar gaya hai.



*Thump*


Aarav se koi cheez zor se aa ker takrayi jis ke chalte Aarav ka pura shareer Barf me gulatiya khate huwe 10 se 12 Feet dur ek pathar se ja takraya.


*Eeeeeeeeeeee*


Aarav ke kaano me siti si bajne lagi Ankho ke aage sab dhoondla dikhne laga, Aarav ka pura shareer buri tarha kaampne laga.


Aarav ne mushkil se apni kholi per abhi bhi sab dhoondla tha, Dheere dheere Aarav ka vision theek ho gya, Per jab us ne apne saamne ke manzar ko daikha to us ki bachi huwi himmat bhi jawab de gayi.


Uss ke saamne 15 ke kareeb Demon Wolves the per jo use dara raha tha, wo wolves nahi balke un ke saamne khara ek Vishal barfeela Bhaaloo tha. (Ice Bear)


43e2a79ddf1e2841c06a517063ca9e49.jpg


Wo Bhaaloo kisi Haathi se bhi bara tha, aur uss ke upar jagha jagha khoon laga huwa tha, Us ke saamne Wolves bacho jaise lag rahe the, Aarav ne apne kareeb daikha to wahan ek Demon Wolf mara huwa tha, ye Wohi wolf tha jo abhi Aarav se aa ker takraya tha.



Per sirf ye he Wolf nahi tha jo mara tha bohat se aur bhi Wolves wahan mare huwe the jin ke shareer me ice spikes ghuse huwe the, Per wo Ice Spikes per gire kaise ye Aarav ko samajh nahi ayi? Per iss Sawal ka jawab bhi Aarav ko foran mil gaya.


Jab bhaaloo ne apna haath Zameen per Maara to Wolves ke neeche Ice spikes Nikalne lage, Demon Wolves ne tezi se apni jagha se chalang maari aur un Ice Spikes ko Dodge karne lage.


Lekin phir bhi bohat se wolves un spikes se injured ho gye, Per wo yahan ruke nahi aur sab tezi Se bhaaloo ki taraf barhe wo bhaaloo per apne numbers ka use ker ke attack karna chahte the, per Vishaal hone ke bawajood bhaalo ki raftaar dheemi nahi thi wo kisi bhi wolf ko apne kareeb ane nahi de raha tha.



Aarav: (Shivers) Ye!!!! Ye kia ho raha hai? Akhir ye kahan aa gaya hu main? Ye ice Spikes? Ye vishaal Bear?


Aarav theek tarha bol bhi nahi paa raha tha, Ab dard ki jagha Khoof ne le li thi saamne ka nazara koi aisa nahi tha jis ko daikh ker wo calm reh sake. Bhaaloo ki wajha se Aarav Wolves se to bach gaya tha.


Lekin bhaalo Wolves se Aarav ko bachane ke liye nahi lar raha tha balke wo khud Aarav ko apna shikaar banane ke liye lar raha tha, Dono side me se jo bhi jeetne wala tha wo Aarav ka shikaar karne wala tha.


Matlab chahe jo bhi jeete Ant me Aarav ki maut he thi, ye soch ker Aarav ko khud ki kismat se jo thori bohat Umeed thi wo bhi khatam ho gayi.


Wanhi dusri taraf Wolves lagatar sankhya me kam hote ja rahe, Akhir me sab Wolves ne ek taraf se attack karne ki jagha Bhaaloo ke chaaro taraf phel gye aur ek saath uss per Attack karne ke liye bhaag pare.


9cdd7962b052d7e2dac146a3c8282668.gif

Lekin iss baar un ki Movements badal gayi thi, Wo baar baar apni position change ker rahe the aur baar baar ek pal ke liye un ki speed itni tez ho rahi thi ke wo dikhayi bhi nahi de rahe the.


Bhaaloo ne dobara khud ko ghoomaya aur sab per attack karna chaha per usi pal Wolves ne apni speed barhayi aur apne Claws se bhaaloo ke Shareer ko pharne lage.


*Groowwrr*


Bhaalo buri tarha se dahara per Wolves ruke nahi aur lagatar Bhaaloo per Claws aur apne daanto se us ke shareer ko kaatne lage.


Bhaaloo gusse me aa gaya aur apne haatho se sab Wolves ko utha utha ke dur phenkne laga, Sab Wolves dur dur ja ker gir rahe the per wo foran he khare hote aur dobara Bhaaloo per Attack ker dete per ye khel zada waqt nahi chala.



*Roaaaaar*


Bhaaloo ne ek dahar li aur apne aage ke dono haatho ko zameen per de maara uss ke chaaro taraf Ice Spikes Nikalne lage Wolves ne bhagna chaha per Ice Spikes bohat dur tak phel chuke the jis ke chalte bohat se ice spikes wolves ko maarne me kamyaab ho gaye.

8fe3890d05f27b7baa3fdc26ba60cd62.jpg

Sirf 3 se 4 he wolves bache the jo buri tarha se zakhmi the, Wo aise larayi jeet nahi sakte the ye wo khud bhi samajh gye the.


*Oowwwoooo*



Un me se ek wolf ne apna muh upar karte huwe Howl kia ye howl ek signal tha baki wolves ke liye, Wolves ab sirf shikaar nahi jeetna chahte the ab wo Ice bear ko apna shikaar banana chahte the, Bhale he wo janwar the per apne pack ke wolves ko yun marta daikh gussa unhe bhi aa raha tha.



Wanhi abhi huwe Ice Spikes ke Attack ko daikh Aarav aur bhi chaunk gaya, Ab tak uss ne jo kuch daikha tha ye uss sab se zada chauka dene wali cheez thi, Wo jahan bhi tha use ye pata lag gaya tha wo Prithvi per to nahi tha.


Us ice spikes se huwe attack ki wajha se puri zameen aur pahar hil gye, Tabhi Aarav se ek Seeshe ki bottle aa takrayi Aarav ne us bottle ko daikha to beech me hare rang ka paani tha.

1379d91ce7deffd3e545ca20faa93abf.jpg

[Item: (Healing Potion) ~ Effect: (Instantly Restores 10 HP)]


Aarav ke saamne jab dobara window khuli to uss per likhe Lafz parh ker Aarav ke saanse thamne ko ho gayi, Use yaqeen nahi ho raha tha ke jo likha huwa wo sach hai, Per jo uss ne abhi daikha tha wo kahi se bhi normal nahi tha, Per Aarav ke paas Shaq karne ka moka nahi tha waise bhi wo marne he wala tha us ki HP sirf 2 reh gayi thi.



Aarav ne bottle uthani chahi per us ka haath hila he nahi, Aarav khud pura hilana laga jis se Zakhm aur khulne lage aur dard aur barhne laga per Aarav iss waqt us ek chance ko gawana nahi chahta tha jo use itni mushkilo ke baad mila tha.



Aarav aise he hilta raha use koi faraq nahi per raha tha ke larayi me aage kia ho raha hai wo sirf us potion ko hasil karna chahta tha, Aise he hilte hilte wo potion ke kareeb gir gaya.



Aarav ne ek lambi saans bhari aur dard bardasht karte huwe khud ko ghaseet ker potion ke kareeb le gaya, Per ab sawal tha ke wo Bottle ko kaise kholta, lekin itna kareeb aa ker wo peeche nahi hatna chahta tha.



Per usi pal wahan ka mahool badal gaya, Wahan ki hawa bhaari mehsoos hone lagi, Ab tak jo larne ki awaze aa rahi thi ek pal me band ho gayi, Aarav ko apne peeche kuch mehsoos huwa kuch aisa jo uss ne kabhi mehsoos nahi kia tha, Uss ka dar barhne laga aur tabhi us ke saamne ek aur notification aa gaya.


[Alpha Demon Wolf presence stunned player body, Player have fallen into a stunned state.]


Aarav ne dheeme se apni gardan ghooma ker daikha to ek chattaan ke upar ek ek wolf khara mehsoos huwa Aarav use theek se daikh bhi nahi paa raha tha, Dikh rahi thi to wo 2 Laal khoon ke liye bhooki ankhe.

f3520725eded697a86809c3705d1a1c2.jpg

[Activating Unique Ability (Will to live)]



[Requirements not met]


[To use the Unique Ability (Will to live) to its full potential, you have to meet its requirements]


[Current Progress (3.8%)]


[Fear Decreased -40%]


[Endurance Increased +10]


[Intelligence Increased +20]


[Strength Increased +10]


[Stamina Increased +10]


[Agility Increased +10]


[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he guys, thora late ho gya kiu ke update me changes ker raha tha, Update pichle update jaise 3K+ Words ka hai, Abhi storie ka order set ker raha hu shayad next week se 1 hafte me 3 update dene start ker du, Iss liye like aur Reviews de ker mujhe aise he maze ke update dene me madad karte rahiye ga, Next update monday Evening me aye ga ya tuesday Evening me tab tak ke liye, Sayonara (Eid Mubarak)]


D8SEPNrUwAARSMR.jpg

Nice update
 

drx prince

Active Member
1,565
1,576
143
Pucho mat ye Update kaise likha hai pehle to acha response Na milne ki wajha se update likhne ka mann nahi kia, Aur jab mann ker ke half update likha to Subha 5 baje Rishtedaro ke ghar ana para kuch emergency ki wajha se, per galti ye huwi main laptop ghar bhool gaya, per main ne wada kia tha aj update ka iss liye chup ker thora thora update likhta raha, kiu ke parts me likha hai shayad kanhi ap ko koi cheez link na hoti bhi dikhe per main ne apna 100% dia hai umeed hai koi galti nazar nahi aye gi, phir jab finally update complete huwa to pics ka issue ban gaya mere sab cards edit ho ker laptop me rakhe huwe the ab yahan dobara edit kiye hai phir mobile se 2 baar try sab cards upload karne ki try karne ke baad Finally Update ap ke saamne hai, Umeed karta hu ap Update Enjoy karo gye!
Very nice update ab aaya asli maja ab dekhte hai aarav alpha wolf ko kaise harata hai
 

drx prince

Active Member
1,565
1,576
143
UPDATE 5 ~
[ALPHA VS AARAV ARYA]

“Demon Wolf! Hai to wo bhi ek wolf he lekin wo hamari duniya ke wolf se kayi hisse zada khatarnak khonkar hai, Wo ek aise jeev hai jin ko jaane bina un se larne ka sochna bhi hamare liye moat hai, Earth ke Wolves se zada tez zada taqatawar zada khonkar aur nidar, Aur tum mujhe keh rahe ho main aise jeevo ke beech us bache ko marne ke liye chorr du?”


Daisuke ne andrew ke haath se apni kalayi ko churate huwe kaha, Daisuke ki ankho me dard tha jis ka andaza us ke kaanpte badan se lagaya ja sakta tha.


Aarav ne apni jaan khatre me daal ker zada Demon Wolves ko apne peeche le ja ker khayi me apne saath kheench lia tha, Per kuch Demon Wolves phir bhi Bakiyo ke peeche lage rahe 20 Minute bhaagne ke baad unhe ek Cave dikhi jis ko daikhte he daisuke ne sab ko uss ke andar jaane ka keh dia tha.


Cave ke muh per kuch phool lage huwe the, Jis ko daisuke wolfsbane keh raha tha, ek purple rang ke phool jinho ne Cave ke muh ko dhaka huwa tha, Jis ki wajha se Demon Wolves bahir he ruk gye the.


1e1b5f685c878c2f2900c4c6546e5896.jpg


30 Minute baad jab Daisuke sab ki safety ke baare me sure ho gya to us ne Aarav ko dhoondne ke liye akele bahir jaane ka sab ko kaha aur bahir ki taraf nikal gaya, Jis ke reaction me Andrew us ke saamne aa gaya us ko rokne ke liye.


Andrew: Mujhe anubhooti hai ke tum per is waqt kia beet rahi hai! Lekin main tumhe aise bahir nahi jaane de sakta.


Wahan sirf Andrew tha jise Daisuke ki halat ka andaza tha, Wo dono apne desh ke sipahi the jinho ne logo ko bachane ki kasam khayi thi, Apne ankho ke saamne ek bahadur larke ko un ke liye yun apni jaan ko khatre me daalta daikh ker wo khud ko kaise surakshit mehsoos ker sakte the?


Lekin Andrew bhi bahir khatre ko jaante huwe bhi yun Daisuke ko bahir kaise bhej sakta tha, Jahan se Aarav gira tha wahan ki gehrayi to unhe pata nahi thi per Aarav ke survival chances kitne low the ye sab ko pata tha.



Vansh: (Irritated) Oye! Ye kia laga rakha hai yahan? Tumhe lagta hai ke wo zinda bacha bhi ho ga wahan? Wo bhediye cheer phaar ker kha chuke ho gye ab tak use, Abhi Us ke peeche hum sab ko yahan khatre me chorr ker bhagne ki jagha ye batao yahan se nikalna kaise hai?



Vansh jo sab kuch daikh raha tha wo tang ate huwe bola, Us ki baate sun Daisuke ne gusse bhari nazro se use ghoora jis oer Vansh ke rongte khare ho gye.


Vansh ek mazboot shareer ka malik tha per Daisuke ek Intelligence Officer tha, Iss me koi shak nahi tha ke agar Daisuke aur Vansh larte to Vansh he tha jo neeche gir ker dhool chatne wala tha.



Andrew: Calm Down Soldier! Uss ki baate karwi zaroor hai per galat nahi hai, Hume pehle yahan situation ko handle karna chahiye, Yahan bhi sab dare huwe hai kise ko kuch nahi pata ke un ke saath kia ho raha hai agar kisi ko situation ke baare me kuch idea hai to wo sirf tum ho.



Daisuke ne apni nazre jhuka li aur Haatho ki muthi zor se bheench li, Wo Aarav ke peeche jaana chahta tha per wo aise sab ko beech me itne sawalo ke saath nahi chorr sakta tha.



Daisuke: Theek hai! aa jao main batata hu ke kis hell me aa ker phans chuke hai hum.



Daisuke Vansh ki taraf ek gusse se bhari nazar daali aur sab se kaha jis per sab Daisuke ke paas aa gye, Daisuke sab ke saamne ek pathar per baith gaya.



Daisuke: (Sigh) Jaise main ne pehle kaha! Hum pehle nahi hai jin ke saath ye sab ho raha hai, Hum se pehle bhi log the jo iss tarha Yahan teleport huwe the, Jab hume iss cheez ki khabar huwi to hum ne use start me to lightly lia per jab hume un baki bache huwe 4 logo me supernatural powers dikhi to sab ko apna pura focus un per karna he para, Iss sab ko top secret investigation ka roop de dia gaya, Jis se hume bohat Ajeeb cheeze daikhne aur jan'nne ko mili.



Daisuke ne sab ki taraf daikha to sab dhayan se us ki baato ko sun rahe the, Jo kuch unho ne daikha tha uss ke baad Daisuke per Shak ki koi wajha nahi bachi thi.



Daisuke: Un 4 logo ka kehna tha ke unhe kuch nahi pata achanak he wo apni jagha se yahan teleport ho gye the bilkul jaise hum huwe hai, Unhe bhi hamari tarha ek quest mili thi jis me unhe ek E RANK Beast (AZHDAAR) ko maarne ka kaha gaya, Azhdaar dikhne me ek komodo dragon jaisi dikhne wali Creature thi, Jis ki thook Acid jaise thu aur wanhi us ki Tail kisi bari chattan ko torne ki taqat rakhti thi.


892702614125356ff5747347695ab2d0.jpg

Isabella: Wait! Hamari Quest me to koi rank nahi likha?



Daisuke: Right! Unhe bhi Rank nahi pata tha, Rank to kia unhe to ye bhi nahi pata tha ke un ke saath ho kia raha hai, pehle 20 din to unhe sab kuch samajhne me lag gye, In 20 dino me unho ne Information Collect ki phir jab finally unhe cheeze samajh ayi to unho ne Quest complete ki aur jaise he unho ne Quest Complete ki unhe un ke Reward me jaise kaha gaya tha wo wapis aa gye.



Yoo-Jung: Iss ka Matlab agar hum apni quest Complete kare to hum bhi wapis ja sakte hai?


Yoo-Jung ne Daisuke ki baato se andaza lagate huwe kaha jis per sab ko ek umeed dikhi, Wanhi Daisuke Yoo-Jung ka sawal sun ker thori soch me per gaya lekin wo khud ko thora normal ker ke apni baat aage barhata hai


Daisuke: Haan! Hum Quest puri ker ke wapis ja to sakte hai, per zada waqt ke liye nahi, Quest ke end me un 4 ko ek notification mila tha jis me unhe un ki Tutorial Tower me next visit ki timing batayi gayi thi.



Vansh: (Frightened) Wait! Matlab yahan se nikalne ke baad hume yahan wapis ana ho ga?


Daisuke ki baat per sab ke chehre per ayi wo khusi ki chamak ek pal me bujh gayi.


Daisuke: Haan! Lekin iss ke beech me Unhe 1 Maheene ka waqt mila tha total 4 baar wo Tutorial tower me aye the, Lekin har baar un ki Quest ki Difficulty barhti gayi jis ke chalte 4th Quest un me se sirf ek puri ker ke wapis aa saka.



Daisuke ki Baat sun sab ke chehre peele per gye, Kahan wo yahan se nikalne ki so h rahe the wanhi ab unhe apne saamne Moat nazar aa rahi thi.


Yoo-Jung: Lekin ye zaroori to nahi hume bhi un ki tarha wapis ana pare, Hume iss jagha ka kuch pata nahi hai ke yahan konse niyam chalte hai, to ap kaise keh sakte ho ke hume bhi Wohi sab karna ho ga?


Yoo-Jung ne dobara ek sawal pucha jis per sab ko ehsaash huwa wo dar ke maare itni sime baate kaise soch nahi paa rahe the, Wanhi Daisuke Yoo-Jung ko iss situation me itna calm daikh ker halka sa muskura dia.



Daisuke: Smart Girl! Tumhara sawal bilkul sahi hai, Tumhe yaad hai main ne kaha hum pichle 2 saal se in cheezo ko investigate ker rahe hai? In 2 saalo me hume 4 aur Group mile jo waise he yahan aye hai.



Daisuke ki iss baat ne ek aur shock de dia sab ko, Wanhi Yoo-Jung ko uss ke sawal ka jawab bhi mil gaya.



Daisuke: Hum pehle Group ki wajha se thora zada serious ho chuke the iss liye jab hume dusra group mila to hum ne un ke thorough iss duniya ko aur bhi jankari lene ka faisla ker lia aur aise he janakari lete rahe, Baki groups ko bhi 30 din ka waqt milta jis me Unhe ek E RANK Beast ko Maarna hota tha, Jis ke liye unhe different skills aur abilities milti.



Andrew: (Curiously) Skills???? Abilities????


Iss baar Andrew na sawal kia jo khamooshi se sab kuch sun aur samajh raha tha, Jis per Daisuke Sab mo system ke baare me samjhane laga jis ki information unho ne baki groups se li thi



“Sab se pehle to har player ko un ki Status window dikhayi deti jis me wo apna Rank, Level, Skills, Abilities aur Stats daikh sakte hai, saath me unhe un ki Health aur Mana bhi dikhne ko milta hai.


Jitne high tumhare stats number ho gye utna tumhara wo stat high ho ga, For example jaise Yoo-Jung ki intelligence hum sab se zada hai iss liye uss per [Enchanced Language Understanding] skill lete waqt itna zada effect nahi huwa, Kiu ke wo skills High Intelligence Stat ke liye hai.



Skills kia hai? To Skills hamari kisi bhi talent ko aur bhi zada powerful karti hai, Jaise Yoo-Jung ke paas ek Archery talent hai jis ki wajha se us ke paas Archery wali skills ho gi”


Daisuke ne Yoo-Jung ko daikhte huwe kaha jaise wo use uss ki skills batane ka keh raha ho, Yoo-Jung ne sab ki taraf daikha to sab use he daikh rahe the jis per Yoo-Jung ne dobara apni status window khol li jis ko kholne ka tareeka Daisuke use smajha raha tha.



Yoo-Jung: (Sigh) Enhanced Kyūjutsu!


8562b97e177fafd63bb01f7d86c405b8.jpg



Yoo-Jung ne apni ek skill ke baare me sab ko bata dia, Jis se sab ko wo pal yaad aa gye jab Yoo-Jung bhaagte huwe Arrow Shoot ker paa rahi thi, Uss waqt to sab apni jaan bachane me itne masroof the ke wo iss cheez per dhayan he nahi de sake, Per ab jab unho ne iss baare me socha tha wo Normal bilkul nahi tha.



Daisuke: Bilkul aise he skill hamare talent ko bohat strong buff deta hai jis se hum apni skills use ker sakte hai, Wanhi Abilities Skills se alag alag hai jahan skills Talent per based hai jinhe ap physically use ker sakte ho wanhi Abilities aisi cheeze hai jo physically possible nahi hai jaise Magical powers jis ki wajha se ap Ability users ko Mage bhi keh sakte ho, Ability me alag alag tarha ke Abilities hoti hai for Example Healing Ability, Attack Ability aur Shield Creation Ability, Mostly Players ya to sirf Skill ya phir Ability dono me se ek le sakte hai per kabhi kabhi kuch ke paas Skills ke saath abilities bhi hoti hai.



Isabella: Healing Ability! Meri Status Window per mujhe ye Ability Dikh rahi hai. Aur saath me kuch alag alag skills bhi jo Healing ke liye use ho sakti hai


dfea8830528232f2f4166ade8cf05dd5.jpg

Daisuke: Nice! Hamare paas ek healer bhi hai, Skills aur Abilities aisi hai jo Humans se bohat zada powerful hai per un me ek aur bhi hai Unique Ability users Unique Ability Users Na hone ke barabar hote hai iss liye iss ke baare me hum kuch nahi jaante per iss duniya me mili ek book ke hisaab se ek Unique Ability Millions Dual Skill and Ability Users se zada Powerful hota hai, Un ki Unique Ability un ke ilawa koi possess nahi ker sakta.


Daisuke ne System ki puri Details sab ko bata di jo kisi ke liye bhi hazam karni mushkil thi per wo sab chup the.



Yoo-Jung: Mujhe kuch baate samajh nahi ayi! Jab baki sab ko 30 din ka waqt mila hai to Hume sirf 7 din Kiu? Aur Hume yahan la ker Quest kiu di ja rahi hai?



Yoo-Jung ne dobara sab ko heraan ker dia Time limit per ab tak kisi ka dhayan nahi gaya tha, per ab jab Yoo-Jung ne iss ke baare me pucha to sab aur bhi dar gye.



Daisuke: Time limit ke baare me mujhe bhi kuch nahi pata, Per mujhe jahan tak lagta hai hum sab yahan koi test Subject hai kiu ke main iss jagha ke baare me aur system ko pehle se samjh pa raha hu iss liye shayad system ko hume sab samajhne ke liye waqt dena sahi nahi laga, To iss liye shayad meri wajha se Time limit kam ho gayi hai.



Vansh: Matlab tumhari wajha se hum sab ki zindagi aur bhi khatre me per chuki hai?



Vansh ne gusse se bola wo ab tak apna gussa shant kiye baitha tha per jab use Daisuke yahan kasoorwar nazar aya to wo gusse se ubal para, Lekin wo kuch karta uss se pehle use apne kanhde per Andrew ka haath mehsoos huwa



Andrew: kuch pagal panti mat karna! Iss waqt hamare liye tum se zada zaroori daisuke hai.



Andrew ne Vansh ke kandhe per pakar banate huwe kaha apne kandhe per dard mehsoos ker Vansh Shanti se neeche baith gaya,




*Oowwwoooo*



Ek zordar Howl ne sab ka dhayan Cave se bahir ki taraf kheench lia, Us Howl ke foran baad bahir jo Demon Wolf ke kadmo ke awaze tez hone lagi aur dheeme dheeme dur jati mehsoos hone lagi



Vansh: (Smiles) Lagta hai Demon Wolves hume chorr ker chale gye hai, Hum ab bahir ja sakte hai.



Vansh un awazo ko sun ker bola ab wo wahan se nikal sakte the iss se pehle demon wolves wapis ate.


Daisuke: (Frightened) Pagal mat bano! Ye howl in Demon Wolves ke liye nahi thi, Ye howl Alpha ke liye thi.


“Alpha???”



Sab ke chehre per dar tha jis tarha Daisuke Alpha se dar raha tha wo Sadharan dar nahi tha, Wo Dar se zada khoof tha Alpha ka khoof.


Daisuke: Ek Demon wolf E Rank Azhdaar ko takar dene ke liye kafi hota hai per ek Alpha ki presence me wo E Rank ka Demon Wolf kisi D Rank Beast ke jitna powerful hota hai, Agar iss howl ne Alpha ko yahan bulaya hai to behtar hai ke hum bahir jo bhi chal raha hai uss ke beech me na aye!


Daisuke ki baat sun sab ne ishare se hami bhar li, Wo ek E Rank Normal Wolf se aoni jaan bacha rahe the agar wohi Demon D Rank ke jitna powerful hota to bachne ke chances na ke barabar the.


Aur wanhi ab un ke saath Alpha khud bhi tha jis ke power ka kisi ko andaza nahi tha, Yahan tak Daisuke ko bhi Alpha ke baare me kuch nahi pata tha, Use un books se kuch pata chali thi to sirf ek line.


“For the strength of the pack is the Alpha, And the strength of the Alpha is the pack”


****



[The Demon Alpha Wolf marks you as its enemy.]




[Aarav Arya VS Alpha Demon Wolf]


[You can now see your opponent's status.]

a2ae7d22bb9912a64a470cb756b00fc0.jpg
*Grab*

Aarav ne sword per apni pakar mazboot ker li, Use andaza tha ke wo apni moat ke saamne khara hai per kuch palo ke andar he Aarav ke andar kuch badal chuka tha jahan pehle wo dar raha tha wanhi ab wo calm mind se situation ko ache se notice ker raha tha.


Iss waqt us ka opponent Alpha Demon Wolf tha jis ki power ko us ne abhi daikha tha, Alpha na sirf us se bara aur takatwar tha us ke paas ek power thi jis se wo apne muh se ek beam nikalta tha wo bhi itni powerful beam jis ne Bhaaloo ko cheer dia tha.



Aarav: Mujhe use gussa nahi dilana chahiye! Agar main use Power me nahi hara sakta to main dimagh se kaam lu ga.



Aarav ne ek baar pura plan dobara yaad kia, Wo ab yahan se bhaag nahi sakta tha Battle Stone ke curse ki wajha se, iss liye wo position le ker khara ho gya.


Uss ko yun khara daikh Alpha bhi ready ho gya Aarav apni nazre Alpha per garaye huwa tha per agle he pal Alpha Achanak apni jagha se gayab ho gya, Palak jhapakte he Alpha apni jagha se gayab ho chuka tha.


Aarav ko Alpha apne side se uss ki taraf ata mehsoos ho raha tha per wo react nahi ker paa raha tha Alpha ne 1 pal me ek bari distance ko paar ker lia aur seedhe Aarav ke saamne aa ker apne Claw se Aarav ki haath ko ukharna chaha.



Claws ne Aarav ke kandhe ko buri tarha zakhmi ker dia per Aegis ne zada effect khatam ker dia jis se us ka haath ukharne se bach gaya, Lekin attack se Aarav hawa me kuch feet dur ja gira.



Alpha Aarav se kuch dur khara ho gaya jaise wo Aarav ko dobara khara hone ka chance de raha tha, Per uss ek Attack ne Aarav ko andar tak pura hila dia tha wo wanhi baitha dard se karah raha tha.



Aarav ko uss Attack se ehsaas ho raha tha ke dono ke beech kitna power difference hai, Aarav ko ab apni kismat per hansi aa rahi thi Alpha wolf iss fight ko serious bhi nahi le raha tha wo jaise sirf Aarav ke saath khel raha tha, phir bhi Aarav uss ke saamne weak tha.


*Tip* *Tip*



Aarav ki nazre neeche thi jab use khoon ki boonde neeche girti dikhi, Aarav ne jab khoon daikha to use Ehsaas huwa us ka Jabra toot chuka hai aur ye khoon us ke muh se beh raha hai, Aarav apne haatho per lage us khoon ko daikh ateet ki yaado me khone laga.

e1237ce3edab65c13230b3f7f99c410b.jpg


Aarav ke pita ji ke Antim Sanskar ko 2 din he huwe the jab uss ke pita ji ne jis se karze liye the wo apne paise lene aa gye, wo Aadmi apne 2 beto ke saath Aarav ko ek jagha gher ke khare ho gye apne paise ki wasooli karne ke liye.



Per Aarav jis ne apne pita ji ka antim sanskar bhi Manohar se paise Udhar le ker kia tha wo kahan se 2 Lakh de sakta tha, jab Aarav ne unse waqt mangna chaha to wo gusse se Aarav ko peetne lage Aarav ka badan ke alag alag hisse se khoon behne laga un me se ek ne Aarav ke muh per laat maari to Aarav ke muh se bhi khoon behne laga.


3ae55eeee9e7165425b825078e557827.jpg


Kisi ne Manohar ko khabar ker di to wo bhaagte huwe wahan aa gaya aur un logo ko un ke paise de ker jaane ka keh dia, wo log paise gin ker hanste huwe wahan se chal diye.



Aarav peeche se unhe gusse se ghorta raha wo unhe wanhi pakar ker un se badla lena chahta tha per wo aisa ker nahi sakta tha kiu ke uss ke Anjam ka use andaza tha.


Wo log Aarav ko chain ki zindagi jeene nahi dene wale the agar Aarav un se panga leta to, Aarav ne gusse ke karwe ghoont pee liye per ye sab yanhi khatam nahi huwa karza lene wale ate rahe Aarav un se beizati sehta raha bina koi jawab diye.


Per ab cheeze Alag thi use yahan kisi anjaam ki fikar nahi karni parne wali thi, Uss ke paas ek moka tha Us beizati aur takleef se bane jawale ko shaant karne ka moka, Aarav ne Sword per dobara pakar banayi aur khare ho ker apni shirt se apne muh per lage khoon ko saaf ker lia.

f4669ec771ddef6bc6c3444b98c26130.jpg


Aarav ko dobara khara hota daikh Alpha bhi dobara Attack ke liye ready ho gya aur dobara bhaagne laga per iss baar Aarav apni jagha per bina hile khara raha, Alpha ghoomte huwe Aarav ke side oer gaya aur Uchalte huwe Aarav ke sar per waar karne laga.

947849b6368727f4c0e3b3e4ac581543.jpg
[Skill (Slash) Awakened]

*Swisshhh*


Aarav ne Alpha ko jaise he hawa me mehsoos kia to foran apni Sword se us per Attack kia, Aarav ki speed ek pal ke liye tez huwi Aarav ko Sword ka weight bhari mehsoos huwa uss ki sword ke slash ka Pressure pehle se zada tha, Jis se Aarav Alpha per hit lene me kamyaab ho gya.




Alpha ne hawa me he apni position change ker li jis se wo Apna sar katne se bach gaya per us ke side per ek bara cut lag chuka tha jis se khoon beh raha tha.



*Groowwwrrrr*


Alpha dard se karahne laga use bhi ehsaas ho gya ke Aarav Us se weak zaroor hai per itna bhi nahi ke wo Alpha ko khud se yun khelne de, Sirf ek galti aur Alpha wanhi sar katwaye mara ho sakta tha.



Aarav ke chehre per ek muskurahat aa gayi pehli baar tha jab koi Aarav ko iss nazro aise dar ki nazro se daikh raha tha, Aj tak logo ne use sirf kisi keere ke jaise treat kia tha, Per ab ye badal chuka tha wo kisi ki Ankho me khoof laane me kamyaab ho gya tha.



Ye ek aisi feeling thi jo Aarav ne aj se pehle kabhi mehsoos nahi ki thi, Wo kisi ko dard me daikh ker khush nahi ho raha tha balke iss baat se khush tha ke wo pehli baar apne liye yun kuch ker saka hai, Wo aj kisi Hopeless insaan ki tarha sirf zameen per nahi gira raha.


*Arrggghhhh*


Alpha hawa me mushkil situation me zaroor tha per wo phir bhi Aarav ki gardan per apne claws se Attack karne me kamyaab ho gya tha, Aarav ko uss ki gardan per jalan mehsoos ho rahi thi jaise wahan se uss ki skin jal rahi ho.



Aarav: Mujhe Claws se bhi bach ke rehna ho ga, Ye koi Sadharan Claws nahi hai.



Jahan Aarav apne agle move ke baare me soch raha tha wanhi Alpha gusse se Aarav ko ghoor raha tha, Jis Insaan ko wo kamzoor samajh raha tha wohi uss ko moat ke ghat utarne ke kareeb tha.



Alpha ne khud ko thora peeche kia aur apna muh khol lia, Uss ke muh me wohi beam dobara ikathi hone lagi, Alpha ko ye karta daikh Aarav ghabra gaya.


0ab703862069567a807f8c147f896cca.jpg

Aarav physical Attack ko to seh pa raha tha per iss beam ki power ka use koi andaza nahi tha, Alpha ne us Beam ko Aarav ki taraf shoot ker dia Aarav ne khud ko bachane ke liye side per jump kia per Alpha ne Beam ko us taraf ghooma dia.



Aarav ke paas jab dodge karne ke liye jagha nahi bachi to khud ko bachane ke liye Aarav ne apni Sword ko apne aage shield ki tarha rakh lia.



Tabhi Sword per lage uss Mana Stone ne chamakna shuru ker dia jis ke foran baad Sword ke gird ek Blue Aura phelne laga, Beam Sword se ja takrayi per Sword use rok paa rahi thi.


Lekin uss beam ka pressure itna zada tha ke wo Aarav ko peeche ki taraf push ker rahi thi. Aarav ne Sword ko neeche zameen per ghusa di per wo abhi bhi peeche ko push ho raha tha.



*Clang*



Beam ke pressure se Sword side per ja giri Aarav ne saamne se hatna chaha per Beam Aarav se bohat zada tez thi Beam seedhe Aarav ki chest per lagi, Aarav ki chest ki sab hadiye puri toot gayi Aur wo hawa me urte he peeche ja gira



*Agggghhhhh*


b2b063ae8e5c2f6fd84246acf55a932b.jpg
Aarav dard se chilane laga us ki cheekh itni unchi thi ke uss ka gale se Awaz nikalni band ho gayi, Wanhi Alpha bhi itni zada Beam ko ek saath shoot karne ke wajha se pura Exhaust ho gya tha.


Pehle he bhaaloo se larne ki wajha se wo zakhmi tha aur girne ki kagar per tha wanhi Aarav ke diye zakhm ki wajha se us ki halat aur bhi kharab ho gayi thi per wo abhi bhi apne pairo per khara tha, Per uss ki beam me power bohat kam ho chuki thi jis ki wajha se Aarav zinda bach gaya tha warna Aarav wanhi chaati me ched liye mar jata.



*Grrrrr*



Alpha ne guraya wo Aarav ke saamne abhi bhi mazbooti se khara tha wo Aarav ko apni Power dikha chuka tha, Wanhi Aarav bus dard se karahe ja raha tha uss ke paas uthne ki bhi himmat nahi thi.


Per phir bhi Aarav ne apne haath neeche rakhe aur un per zor daalte huwe apne shareer ko upar uthaya.



*Ahhhh*


Dard ki ek tez lehar uss ke pure shareer me pheli per Aarav ruka nahi wo yun khud ko haara huwa nahi Maan sakta tha, Aarav dobara apni jagha per khara ho gaya us ka pura shareer kaanp raha tha.


Lekin wo us dard ki parwah kiye bina Apni Sword ke paas gaya aur apni sword wahan se utha li aur Alpha ki taraf point ker di, Aarav ke saamne dobara uss ki Health ki window aa gayi.


01da8a84501d43ddf98640e736d8b912.jpg

Aarav apni akhri HP per tha matlab ab uss ke paas waqt nahi tha, Wo kisi bhi lamhe wanhi gir sakta tha per Aarav apni Zindagi ki pehli aur akhri Battle yun haarna nahi chahta tha, Abhi uss ka sirf ek maqsad tha wo tha ye battle jeetna.



Lekin wo iss larayi me zada der tik nahi sakta tha iss liye agla Attack uss ka akhri Attack hone wala tha, Aarav ne apne kadam Alpha ki taraf barha diye aur dheeme un kadmo ko tez karte huwe bhaagne ka roop de dia.



Aarav ko yun talwar liye apni taraf ata daikh Alpha bhi uss ki taraf bhaagne laga per Alpha khud ko kamzoor nahi dikha raha tha wo apni raftaar se bhaag raha tha, Aarav ke kareeb ate he Alpha us ki taraf hawa me uchla.



Alpha ko Attack karta daikh Aarav ne bhi apni Sword se Attack karne ke liye Sword liye position li, Lekin Alpha tak uss ki Sword pohanchne se pehle Alpha ka Attack us per pohanchne wala tha, Aarav Alpha ki speed ko match nahi ker sakta tha iss ka use bhi ehsaas ho gya tha.



*Crack*


Achanak Alpha ke neeche se ek spike tez Raftaar se nikla jis ko Alpha Dodge na ker saka aur wo Alpha ke andar ghus gaya, Alpha wanha hawa me latak gaya aur dard se karahne laga per uss ne Aarav ko nazar andaz nahi kia aur dobara apne muh me beam ikathi karne laga.



Wanhi jab Aarav ne Alpha ko aise daikha to ye uss ke liye best Chance tha wo iss waqt Alpha ko hara sakta tha, Lekin agar wo fail hota to Alpha ki beam uss ke chehre ko cheerte huwe guzar jati.



Lekin Aarav ruka nahi uss ne apni sword per power lagayi aur uss ghooma dia us ki sword Lal rang se chamki aur uss ke saamne ek notification aya.


[Deathly Slash]


3ff8ff4e6f15290dc9ab66fe84f74459.gif

Sword seedhe Alpha ke sar ko us ke dhar se alag karte huwe Aarav ke haath se chut ker du ja giri, Wanhi Alpha ka kata huwa sar zameen per gir gaya.



Aarav: Huh! Main jeet gaya.



Aarav ne khud se kaha wo Iss battle ko jeetne me kamyaab ho gya per us ki HP bilkul khatam ho gayi thi, Wo bhi neeche girne laga girte huwe uss ne side oer daikha to bhaaloo apna haath zameen me ghusaye laita huwa tha, Matlab bhaaloo ne bhi Aarav ki tarha apni akhri power Alpha se jeetne me lagayi thi.



Akhir me dono Alpha ko harane me kamyaab ho gye, Aarav wanhi Alpha ki latki huwi Body ke neeche gir gaya, Uss ka sar upar ki taraf tha jahan use Khayi ke upar kuch Demon Wolves dikhe jo apne Alpha ki laas ko daikh rahe the, Aarav ki ankho ke aage dheeme dheeme andhera chaya aur wanhi band ho gayi.

1426e197415ba4e85c3b01ace5363bd8.jpg
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye wala Update 5K+ Words ka Mega update tha, Aur jaisa main ne pehle kaha main ghar nahi tha to update ko jab bhi thora thora time milta to tab likha hai, Iss Update me kuch parts boring lag sakte hai per unhe ignore mat karna un parts se aage story samajhne me Easy ho ga, Time laga hai per Update per bohat mehnat ki hai, Umeed karta hu ap logo ko update acha lage ga aur agar update acha lage to Like aur Review zaroor dena tab tak ke liye Sayonara!!!]
Nice update very beutiful majs aa gya
Waiting for next update
 

_Riya

Member
141
279
64
Congratulations for new story 🥳...
Your writing style is marvellous .....
Story seems thrilling 🤩
 
Last edited:

_Riya

Member
141
279
64
Extraordinary update .. let's see wiil Aarav will live or die ???
 

rockstar987

Rockstar
104
166
43
Bhai 3k + Words ka update average update hai, Ye Normal sex storie nahi hai jahan hum sirf sex ke Scene se update lambe kheench le iss me sirf wo cheeze likhta hu jo necessary hai iss liye update 3k Words ka Average update hai aur mega update 5K+ Words ka ho ga!!!
Bilkul sehmat hu bhai aapki baat se sex story me to kese bhi khich sakte hein me sirf ek suggestion k liye bola tha aap aapka Kam bdia krr rhe ho keep it up👍
 

11ster fan

Member
135
222
43
Thanks for encouragement :love3: Main ye bhool gaya tha ke main story ek sex site per likh raha hu jahan log sex stories parhne ate hai meri storie per visit karne me unhe waqt lage ga, kam se kam mujhe pehle 1 Arc complete karna chahiye kuch expect karne se pehle :thank_you:
Kafi achchhi kahani hai, bas aadhe adhure me mat chhod dena Bhai plzz...
 

Babasarkar

Active Member
656
1,806
138
Thanks for encouragement :love3: Main ye bhool gaya tha ke main story ek sex site per likh raha hu jahan log sex stories parhne ate hai meri storie per visit karne me unhe waqt lage ga, kam se kam mujhe pehle 1 Arc complete karna chahiye kuch expect karne se pehle :thank_you:
Aap ko story acccha lag raha he padne mai .likes ata jayega bro .story likhna mat chodna.waiting for ur next update
 
Top