• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
Sarita aur us anjan shakhs ke bich jo bat chit hua ye samaj ka ek abhujh paheli hai. Jise suljhna shayad itna asan nehi hai. Ladkio ko pal pal toka jata hai lekin ladko ko tokne ke jagah aur badaba diya jata hai. Jitna ladkio se jabav talav kiya jata hai ootna hi javab talab lodko se kiya jaye to kuch acha parinam mil sakta hai.

Barhal sarita baccha Singh ke piche naha dho kar pad chuki hai. Usko sirf nukshan hi pahucha rahi hai. Itna nukshan hone ke karan baccha singh tilmilaya hua hai. Lekin vichara majboor hai abhi kuch kar nehi sakta.

Sarita bhi kamar kas chuki hai kuch bhi ho jaye baccha singh tak pahuch kar hi rahegi. Isliye sathi police waloko ek din me hi bachchha singh ka kundali nikalne ko kaha hai.

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल:applause::applause::applause::applause:
धन्यवाद आपका महोदय।
ये हमारे समाज की विडंबना ही है लेकिन उसे कोई समझ नहीं पाता, ऐसा नहीं है कि लड़कियों को आजादी नहीं दी जाती, लेकिन दिक्कत तब हो जाती है जब लड़की उस आजादी का नाजायज फायदा उठाती है। यही सब देखकर समाज लड़कियों के खिलाफ थोड़ा सख्ती बरतता है।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
  • Wow
Reactions: Destiny and parkas

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
धन्यवाद आपका महोदय।।
ये बात आपकी सही है कि कुछ सीनियर पुलिसवाले ही मदद करते हैं गुंडों की तभी तो वो बेखौफ होकर ऐसे कारनामों को अंजाम देते हैं।
यहां भी सरिग के इस काम के बाद भी उपकडे गए मुजरिमों को छुड़ाने के लिए फ़ोन आएगा और सरिता को मजबूरन उन्हें छोड़ना पड़ेगा।

साथ बने रहिए।।
Chornaa kyoo. Sidha Media ki help le woh. Kyoki Media ne dekha hai Sarita ne kisse aur kyo pakda hai.

Sidha Media ko bulake confess karde seniors pressurize kar rahe hai mujhrim ko chorne ke liyee.

Phir aage ka kaam Media hi sambhal legi.
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
Sarita ki ji tod mehnat karna kam aaya. Use ek smbedanseel ghar ka pata chala jaha ki chhan been karne se sarita ko ye pata chala vaha nashili padartho ke saath ladkio ko bhi rakha gaya tha.

Sarita ne bina ala adhikaro ko suchna diye kaam par lag gaya aur ladkio se bhari ghadi ko pakad liya likin driver itna dhit hai vo batana hi nehi chata.

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल:applause::applause::applause::applause:
धन्यवाद आपका महोदय।
सरिता ने यहां पर भी बिना निश्चल के बताए काम किया जो उसकी सबसे बड़ी भूल है, क्योंकि ये निश्चल को भी पता है कि सरिता जो कर रही है वो सही है लेकिन उसके करने का तरीका गलत है।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
Chornaa kyoo. Sidha Media ki help le woh. Kyoki Media ne dekha hai Sarita ne kisse aur kyo pakda hai.

Sidha Media ko bulake confess karde seniors pressurize kar rahe hai mujhrim ko chorne ke liyee.

Phir aage ka kaam Media hi sambhal legi.
ये इतना आसान भी नहीं होता सीधे सीधे सीनियर के ऊपर आक्षेप लगाना, और उसके सीनियर के ऊपर उंगली उठा देने से भी कुछ नहीं होता, क्योंकि बिना पॉलिटिकल मदद से कोई भी गलत काम हो ही नहीं सकता।
हो सकता है उसके सीनियर भी ऊपर से दबाव आने में बाद ही सरिता से उसे छोड़ने के लिए कह रहे हो ।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
romanchak update ..sarita ka birthday aa raha hai jisme usko intetest nahi hai .
sarita ne bachcha singh ke aadmi ko pakad liya par upar se phone aane shuru ho gaye ,aur lagta nahi itni jaldi bachcha singh pakda jayega ..
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता ने अपना काम ईमानदारी से किया है जिसका जवाब उसे बहुत जल्द मिलने वाला है। अच्छे काम का नतीजा हमेशा अच्छा नहीं होता है।।

संघ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Death Kiñg

Active Member
1,366
6,932
144
Sorry for late revo...

To Sarita ki police training complete ho gayi aur aakhir uska sapna poora ho hi gaya... Sapna apne Mata – Pita ka sar garv se ooncha kar dene ka aur ek tamacha bhi jadd diya Sarita ne un sabhi chehron par jo uske charitra par, uski kaabiliyat par ungli utha rahe the... Waise hamaare samaaj ki ajeeb hi vidambana hai ke Naari ko pooja bhi jaata hai aur uski izzat ko uski asmat ko dhoomil karne ka ek bhi mauka nahi chhoda jaata... Aur mukhya kaaran iss cheez ka bhi naari hi hai... Jo khud bhi aurat hote huye doosri aurat par ya ladki par laanchhan lagane ka mauka nahi chhodti... Ab iss kahani ko hi dekh lo... Sarita ki sagaayi tooti to uski padosan ne unke parivaar ko iss mushkil ghadi kein saantvana dena to door, apni giri huyi soch ka udaahran de diya... Yadi sabhi aurtein aur ladkiyaan ek saath aa jaayen, ek doosre ki sahaayta ke liye to majaal hai ke Dahej, balatkaar ya domestic violence jaisi cheezen iss samaaj mein bach jaayen... Par iss maamle mein Sarita ki himmat ki bhi daad deni banti hai... Kathin paristithiyon mein bhi ubhar kar aana, yahi uski kaabiliyat ko darshaata hai...

Khair, naye shehar mein pehle hi din bechaare Nischal babu ka gaal laal kar diya bina kisi galti ke Sarita ne... Aur pata nahi kitne thappad hain Nischal ki kismat mein... Aate hi Sarita ne bade bade gundo aur kaanoon ke dushmano se panga lena shuru bhi kar diya hai... Par mujhe ek baat pasand nahi aayi Sarita ki aur wo ye ki, wo apne Senior logis ko kuchh samajhti hi nahi... Thik hai wo imaandar hai, bahut acchhi baat hai par agar wo koyi action lene se pehle Nischal ko jaankari hi de de, to shayad behtar ho... Ab yahi case le lo, arrest to isne kiya hai par phone baj chuka hai jiske falswaroop un sab mujrimon ko chhodna padega... Aur agar wo phone karne waala Nischal hua to uski Image aur kharaab ho jaayegi Sarita ke saamne...

Waise aaj tak Nischal ne ek bhi aesi harkat nahi ki hai jiske kaaran Sarita ka bartaav aesa hai uske prati... Ek to Suspend hone se usse bachaya aur kahin bhi nahi laga ke wo apne senior hone ka guroor dikha raha ho... in sabke baad bhi agar usse thappad khaane padd rahe to bas fir ooparwaala hi maalik hai...

Par Nischal kahin khud bhi to nahi bhool gaya hai ke wo Sarita ka senior hai... I mean agar issi tarah Sarita bina senior logis ko inform kiye sab kuchh dhadalle se karti jaayegi for to ho gaya kalyaan... Ek baar to shayad Nischal ko uss se sakhti se baat karni chahiye...

Boodhi Daadi ki kahani sunkar bhi bura laga... Issi tarah hota hai samaaj mein gareebon aur dabe kuchle logon ke saath... Unhe kisi ke bhi haath ki kathputli ban jaana padta hai... Par chalo achha hua le Sarita ne sabhi ladkiyon ko gundon se bacha liya...

Wahin Bacha Singh, Bollywood ka villain laga... Naam se bhi aur kaam se bhi... Kaafi bade bade connection hain Uske, especially usje Boss ke... Kayi baar ye Raghu naam ke praani ka zikr hua jiske baare mein abhi tak sirf ek hi baat pata chali hai ke wo swabhaav se bahut gussail hai... Aur chaliye ek andaza kaga hi deta hoon... Raghu hi shayad Abhishek hai... aur jaldi hi wo aane waala hai arthat Sarita se uska aamna saamna higa jiske falswaroop wo shayad Hospital ki sewa ka aanand lega...

Savita ka kirdaar bahut hi badhiya laga... Pehle to uska pesha... Joki jan sewa hai usne dil jeet liya... Ek badi behen ka role kaafi behtar laga uska aur jiss prakaar usne Sarita se vyavhar kiya wo bhi dil ko chhoo gaya... Par ye raat ke samay Savita kiss se baat kar rahi thi... Joki Sarita ne bhi dekh liya... Kya wo uska chhota bhai tha ( Shayad Raghav naam tha uska )... Ya fir uska love interest...

Sarita ek imaandar aur kartavya nishth police officer hai... Aur wo apni duty ke prati samarpit bhi hai... Par uske swabhaav mein aggression kaafi zyada hai jo kabhi kabhaar arrogance ki shakal le leta hai... Agar wo in situations mein thande dimaag se kaam le to nischit hi wo apne sabhi maksad ko poora kar paayegi... Par iss beech ek baat dimaag mein aayi... Sarita aur Abhishek dono ek jaise hi hain... Aggressiveness ho ya Gussa dono baraabar hi lage mujhe to inmein...

Khair, jo bhi ho ab dekhna hai ke Nischal Babu kitne aur thappad khaayenge aur Sarita ka vyavahar behtar hoga ya fir wo Nischal ko maar ke hi dum legi... Raghu kaun hai, Abhishek ya koyi aur??? Bacha Singh ka agla kadam kya hota hai aur Jab Nischal ko Sarita ke iss kaarnaame ki jaankari milegi to wo kya karega???

Sabhi Updates behadh hi shaandar the... Koyi bhi kirdaar apne maarg se nahi bhatka... Bhaasha ho ya lekhan shaili, ya fir kahani par pakad sabhi maayno mein aap ek behatreen lekhika hain... Issi tarah apni lekhni ka jaadoo bikherti rahiye aur sabhi readers ka manoranjan karti rahiye...

Outstanding Updates & Waiting For Next...
 

dhparikh

Well-Known Member
6,545
7,912
173
UPDATE- 25


Tino ke bahar jane ke baad Sarita sochne lagi. ki kya ye tino mera diya huwa kam kar sakte hain. Mohit aur Javed agar sath me rahte mere to mujhe inki jaroorat hi nahi padti, lekin wo dono to us hitlar ke chamche hain. unko is mission me shamil karna matlab us hitlar ko sab kuchh pata chal jana. ulta wo meri madad karne ke bajay mera kam hi ulta kar denge.


bas ek baar ye tino bachha singh ki information lekar mere paas aa jaye. uske baad main use salakho ke pichhe kar doongi. pata nahi Gudiya kis hal me hogi. ho sakta hai Gudiya jaisi aur bhi bachhiya uske paas ho. KYoki jo banda Itna sare illegal kam karta hai wo ladkiyon ki taskari ka bhi kam kar sakta hai. mujhe ab der nahi karni chahiye. mujhe jald se jald Bachha Singh ke paas pahuchna hi hoga.


Abhi Sarita inhi khayalo me gum thi ki tabhi Janhavi ki aawaz use sunai padi. jo usase andar aane ki parmission mang rahi thi. Sarita ne use andar aane ke liye kaha. Janhavi aakr Sarita ke samne khadi ho gayi aur boli.


Janhavi- Aapse kuchh baat karni thi madam.

Sarita- Haan Janhavi. bolo kya baat hai.

Janhavi- Madam. apne PS se do kilomiter door ……………………… ilaka hai wo bahut hi asamvedanshil (Insencitive)ilaka hai. waha aaye din kisi na kisi baat ko lekar ladai. Jhagde hote rahte hain. Mujhe dar hai madam ki kisi din kahi ye ladai Jhagda bhayankar roop na le le.

Sarita- Hhmmmmmm. lekin tumhe is baat ka pata kaise chala.

Janhavi- Madam Pichhle chaar dino se waha ki kuchh ladies PS aa rahi hai complains karne ke liye. ki aaye din waha ladai jhagda hota rahta hai. jisme unko, unke pati aur bachho ko jan ka khatra bana rahta hai. unki complains hai ki ham waha par police bhejkar is mamle ko shant karwaye.

Sarita- Unki mang to jayad hai Janhavi. Ruko main dekhti hoon is matar ko. main rawat sir ki permission lekar waha apne kuchh aadmi tainat karti hoon. jo waha ki setuation ko ache se sambhal sake. mujhe apne PS ke undar me aane wale har jagah par shanti aur sukun chahiye. Acha janhavi ek baat batao. tum bachha singh ke bare me kuchh janti ho.

Janhavi- Nahi madam. mujhe to bas itna hi pata hai ki wo is ilake ka badmas hai aur bahut khatarnak hai. uske naam se na jane kitne case darz hain file mein. jo raik par pade huwe dhool fank rahe hain. koi uske khilaf kuchh karta hi nahi hai. Maine suna hai ki DSP sir jab naye naye aaye the to unhone Bachchaa Singh ko Pakda bhi tha, lekin Kuchh hi ghanton me wo chhut gaya, Sath mein DSP sir ko Bade adhikariyon se dant bhi sun-ni Padi thi.

Sarita- Ohhhh. aisi baat hai. Kya tum mujhe wo file lakar de sakti ho Janhavi.

Janhavi- Jaroor madam, lekin koi fayda nahi hone wala. aap chahe jitni bhi koshish kar le. wo aapke hanth nahi aane wala. wo jitna khatarnak hai utna hi shatir bhi hai. tabhi to aaj tak kisi ne uska chehra nahi dekha. Aur jisne dekha hai DSP Sir aur Rawat Sir ko chhodkar baki Sabhi ka yahan se transfer ho gaya hai.

Sarita- koi baat nahin. maine dekha hai Janhavi use. aur mujrim kitna bhi sharer aur chalak ho. ek din police ki giraft me jaroor aata hai. police ke shikanje me to uska baap bhi aayega. bas tum mujhe uski files de do. main bhi dekhti hoon ki wo kab tak mujhse bachta hai.

Janhavi- Thik hai madam, mein uski file khojkar aapke pas bhijwati hoon.


Itna kahkar Janhavi cabin se bahar chali gayi. uske jate hi sarita ne apne man me kaha.


Sarita- bahut bhaga liya police ko apne biche bacha singh, lekin ab nahi. is baar tumhara pala Sarita joshi se pada hai. ab tum jyada din meri pakad se door nahi ho aur na hi main tumhe door rahne doongi. jitna aatank phailana tha tumne fiala liya. jitna tumko karna tha tumne kar liya ab karne ki bari police ki hai.


Sarita apne khayalo se tab bahar aayi jab uske phone ki ghanti baji. SArita ne phone dekha to phone uski maa ka tha. Sarita ne socha ki maa ka phone is vaskt. lagta hai koi jaroori kam hoga, ye sochkar Sarita ne phone utha liye.


Sarita-Hello maa. kaisi tabiyat hai aapki.

Rani ji- Haan beti meri tabiyat bilkul thik hai. tum batao beti. tum to thik ho na.

Sarita- main bhi thik hoon maa, lekin aapne is samay phone kyon kiya. aapko to pata hai na ki main is samay PS me rahti hoon. maine aapko kitni baar kaha hai ki bina jaroori kam ke mujhe din me phone mat kya karo. din me aapka phone dekhkar main kitna ghabra jati hoon ki koi baat ho gayi hai kya. batayiye maan apne kisliye mujhe phone kiya hai is vakt.

Rani ji- Ab tujhse baat karne ke liye bhi mujhe samay dekhkar phone karna padega kya. jaroori kaam tha tabhi maine phone kiya hai. ye bata ki apne birthday par tum ghar aa rahi ho na.

Sarita- Kya maa. yahi aapka jaroori kaam tha kyaa.

Rani ji- Haan maine yahi poochne ke liye phone kiya hai.

Sarita- main nahi aa paungi maa. kaam ka bahut pressure hai. jiske karan chhuttii milna mushkil hai. abhi main bahut jaroori kaam kar rahi hoon. raat me baat karti hoon maan. ab main phone rakh rahi hoon.


itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. udhar Raani ji hello hello karti rahi. koi aawaz na pakar Rani jj ne phone rakh diya aur kaha.


Rani jii- Abhi to bina baat sune hi phone rakh diyaa. sham ko phone karo fir batati hoon tumhe. apni maa se baat karne ki fursat nahi hai tumhare pass.


Sarita bhi phone rakhkar sochane lagi.


Sarita- Ek to main pahle se hi itna pareshan hoon aur upar se maa ko mere birthday ki padi hui hai. kaise bhi karke mujhe is case ko jaldi se solve karna hoga. mujhe bahut jald hi bachha singh ko pakadna hoga, lekin agar mere hanth koi surag hi nahi laga to main kaise us tak pahuchungi. kaise main Gudiya ko bachaungi. maine dadi se wada bhi kar liya hai.


Abhi Sarita itna hi soch rahi thi ki Tabhi Vikas ka phone uske mobile par aata hai. Sarita phone uthati hai .


Sarita- Haan Vikas ji. batao kuchh pata chala aapko.

Vikas- Madam. hamne ek aadmi ko pakda hai jisne ek makan bataya hai. wo makan thoda suspect lag raha hai. ek do logo se pata chala hai ki raat me is ghar me kuchh halchal dekhi gayi thhi.


Sarita- to usme suspect kya hai. ghar hai to koi na koi to rahega hi us ghar me.

Vikas- Nahi madam. aisi baat nahi hai. Yahan ke aaspas ke logo ka kahna hai ki Ye ghar phichhle kai mahino se band pada hua hai. yaha par koi aata jata hi nahi hai. isliye mujhe ye ajeeb lag raha hai ki jo ghar kai mahino se band pada hai usme raat me hi log kyon aaye.

Sarita- Kyaaa. aap mujhe jhaldi se waha ki location bhejo main pahuch rahi hoon kuchh hi der me waha par.

Vikas- Ji madam. agar ye sach hai to hame waha se kuchh na kuchh surag mil sakta hai. ya fir agar wo log yaha par abhi bhi hain to wo kya kar rahe hain is ghar me.

Sarita- Haan ye baat to hai. main pahuch rahi hoon waha par. ab ye baat andar jakar hi pata chalegi ki waha par wo log kya kar rahe hain. tab tak tum agar aur infrmati0n juta sakte ho to ye aur bhi jyada achha hoga hamare case ke liye.

Vikas- thik hai madam. aap aaiye.


itna kahkar Dono phone rakh dete hain . Sarita kuchh hi der me waha par pahuch jati hai. jaha par Vikash aur Kaushal khade huwe the. Kaushal ne ek ghar ki taraf ishara karte huwe kaha.


Vikas- Madam ye wahi ghar hai jiske bare me maine aapko bataya tha.

Sarita- Amit kahan par hai. Dikhayi nahin de raha hai.

Vikas- Maine use file dhoondhne ke Kaam par laga diya hai madam.


Sarita- ACHHAA. to chalo andar chalkar dekhte hain ki kya kuchh milta hai waha par.


fir Vikas, Kaushal aur Sarita apni gun nikal kar savdhani ke sath ghar ke andar dakhil ho jati hain. waha par unhe koi insane to najar nahi aata, lekin haan waha par 8-10 khali sharab ki botale padi milti hain. us makan me ek ajeeb tarah ki badboo aa rahi thi. Sarita ne poore makan ka bariki se muayana kiya. Achaanak uski najar Kisi cheez par padi jo ki kisi kapde se Dhaka huwa tha. use dekhte huwe Sarita ne Vikas se kaha.


Sarita- Vikas ji. jara ise dekhiye to sahi. iske niche kya hai.


Sarita ki baat sunkar Vikas us kapde ko hata-ta hai to use uske niche ek lakdi ka bada sa baksa milta hai. Vikas jab is baksa ko kholta hai to wo baksa khali tha. Vikas bakes ko band karne hi ja raha tha ki tabi uski najar ek kone par gire huwe safed power par padti hai. jise dekh kar Vikas ne kaha.


Vikas- Madam mujhe lagta hai ki Is bakSE me brown sugger ya koi nashila padarth tha.


Sarita- (chaukte huwe) Tumhe kaise pata.

Vikas- Ye dekhiye madam. yaha par kuchh safed safed power type gira huwa hai. iski mahak waisi hi hai. jaisi do din pahle hamne jis truck ko pakda tha usme rakhe maal se aa rahi thi. mujhe poora yakin hai madam ki ye wahi cheez hai.

Sarita- jis truck ko tumne pakda tha. wah aadmi kaha par hain. Unke paas se hame kuchh aur information mil sakti hai. ho sakta hai ye unhi ke sathi hon. jinhone yahan se maal gayab kiya hai.

Vikas- Ho sakta hai madam aisa hi ho.

Sarita- Fir tum niklo yaha se aur usase pooch tachh karo. ho sakta hai koi information mil jaye. yaha par main aur Kuashal dekh lenge.


Sarita ki baat sunkar Vikas chala jata hai. Sarita aur Kaushal makan ke ek ek kamre ka jayja lete hain. Sarita ko ek kamre me kuchh tuti hui chudiyo ke tukde bhi milte hain. sath hi use ek dupatta bhi milta hai. ye dekhkar Sarita ne apne man me kaha.


Sarita- Ho na ho , un logo ne Gudiya ko yahi par rakha hoaga. ye bhi ho sakta hai ki Gudiya ke sath aur bhi ladkiya hongi. ab main ye kaise pata lagaun ki wo log Gudiya ko lekar kahan gaye hain.

Kaushal- Mam Mujhe nahi lagta ki yaha par hame kuchh milega. ab hame yaha se chalna chahiye.

Sarita- Haan sahi kah rahe ho. Abhi bhi hame usake khilaf thos sabut nahi mile jiske bina par ham use arrest kar sake.


Itna kahkar Sarita aur Kaushal bahar nikalne lage, lekin chalte chalte Sarita achanak se ruk gayi. uske man me ek vichar kaundha .


Sarita- (man me) Agar mera shak sahi hai aur Gudiya ke sath agar aur bhi ladkiya hain. aur agar un logo ne ladkiyo ko yaha se nikala hai to vah unhe jaroor shahar se bahar bhejne ke prayas me honge. mUjhe kisi bhi tarah se un ladkiyo ko shahar se bahar nahi jane dena hai. mujhe Unhe shahar se bahar jane se pahle hi pakadna hai. Jaisa ki Vikas ne kaha hai ki Kuchh log is makan ke andar aaye the raat me. to jaroor ho ya na ho, wo log un ladkiyo ko hi lene aaye honge. agar maine koshish ki to main un logo ko pakad sakti hoon.


Sarita ko kuchh sochte huwe dekhkar Kaushal ne kaha.


Kaushal- Kya huwa madam. aap kya soch rahi hain.

Sarita- Kausal ji Ek kaam kariye aap. Amit ko apne sath lekar jaiye aur Shahar ke bahar jane wali har gadi par achhi tarah se najar rakho. bina talashi k eek bhi gadi bahar nahi jani chahiye. chahe wo kisi bhi VIP ya VVIP ki hi gadi kyon na ho.

Kaushal- Lekin madam, ye sab ham log nahi kar sakte hain. iske liye hame DSP Sir ki permission leni padegi. bina unki permission ke ye sab karna allowed nahi hai.’

Sarita- Aap samajh nahi rahe hain mamale ki najakat ko Kaushal ji. mamla bahut hi critical hai. Hamare paas samay bahut kam hai. permission lene me samay lag sakta hai. abhi main jitna bol rahi hoon aap utna kijiye. baad me jo bhi hoga main use sambhal lungi.


Sarita ki baat sunkar kaushal Chala gaya. Sarita Bhi waha se sidha Vikas ke paas chali gayi. jaha wah kal pakde gaye driver se poochtachh kar raha tha. pahle wo usne kuchh bhi jankari hone se mana kar diya. lekin jab Vikas ne uspar thodi Sakhti barti to Usne apna munh khol diya.


Aadmi- Haan ye sach hai ki main bachha singh ke aadmiyo se ek deel ke silsile me mila tha. aur mera uske sath bahut samay se karobar chal raha hai.


Us aadmi ne iske alava bhi bahut sari information di. yaha tak ki ladakiyo ke bare me bhi us aadmi ne Sarita ko bataya. Jiska Sarita ko fayda bhi huwa. Iski baat sunkar Sarita ne apni Searching tez kar di. Thodi masakkat ke baad Aakhirkar Sarita ke hanth wo gadi lag gayi jo un ladkiyo ko lekar ja rahi thi. Sarita ne apni teem ki madad se us gadi ko sham tak pakad liya.


Jab Gadi ka gate khola gaya to Sarita ne dekha ki Ladkiyo ki halat bahut hi kharab thi. Sarita ne turant Amit aur Vikas ko Ambulance bulane ke liye kaha. Sarita ne Amit, Vikas aur Kausal ki madad se Sabhi ladkiyo ko Hospital me Admit karwaya Aur Gadi ke driver ko pakadkar jail me dal diya.


Is baat ki khabar media ko bhi lag gayi. to Sare News channels me Bas Sarita aur uski team ke hi karname dikhaye ja rahe the. wo Sarita ke interview lene ke liye aaye. Lekin Sarita ne Ne sabhi ko Interview dene se mana kar diya. Kyonki wo in sab chakkaro me na padkar jald se jald Us driver se information nikal kar bachha singh ko pakadna chahti thi.


Sarita ko itna to samajh gayi thi ki uski is harkat ke baad Bachha singh aur bhi jyada chaukanna ho gaya hoga. Use pakadne ke liye Sarita ko ab aur bhi jyada mehnat karni padegi. Agar Usne jald se jald ye matter khatm nahi kiya to upar se pressure aane shuru ho jayenge. aur un logo ko chhodne ka farman jari kar diya jayega jise itni masakkat ke baad usne pakda tha.


Sarita ne Amit aur Vikas ki madad se Driver ko jail me dal diya tha. Sarita Amit Aur Vikas ke sath Us driver ke samne khadi hui thi.


Sarita- Kaha lekar ja rahe the tum un ladkiyo ko. Kiske liye kam karte ho tum.


Sarita ki baat sunkar Driver ne apna munh nahi khola to Sarita ne fir se kaha.


Sarita- Maine poocha kiske liye kam karte ho tum aur un ladkiyo ko lekar kaha ja rahe the tum.

Driver- tumne bahut badi galti kar di madam mujhe pakadakar. galat aadmi se panga le liya hai tumne..


Sarita ko uski baat par bahut jyada gussa aa gaya aur Sarita ne ek jor ki lat Uske pet par mari. Driver dard se bilbila utha aur apna pet pakadkar baith gaya. Sarita ne gusse se kaha.


Sarita- Bakwas band kar apni. tujhe kya lagta hai ki ye dhamki dekar tu chhoot jayega. to ye teri sabse badi galatfahmi hai. main aisa kabhi hone nahi doongi. tujhe to main aise saja dilwaungi ki teri sari jindagi jail me hi gujaregi. Doosre ki jan se khelne wale apni jan ki phikar kar. tu bas mujhe bachha singh ka pata bata de main teri saza kam karwa doongi.

Driver- (Rahashymayi muskan ke sath) Tumhe jo karna ho kar lo madam, lekin main tumhe bachha singh ke bare me koi jankari nahi doonga. Aur tumhe kya lagta hai ki tum mujhe jyada din yaha par rok payegi. tere baap dada khud aayenge mujhe chhudwane ke liye.


Sarita ko bhi samajh me aa gaya ki ye Itni aasani se kuchhh bhi nahi batane wala. Tabhi Sarita ke cabin me rakha phone bajne laga. Sarita ne use ignor karte huwe apni poochhtachh jari rakhi. ekk ke baad doosra. doosre ke baad teesra phone baja to driver ne kaha.


Driver- Jao madam. aapke baap dada ka hi phone aaya hoga. jakar phone uthaiye.

Sarita- (apne man me) Mujhe pata hai ki ye phone tum sab kutto ko chhodne ke liye farman jari karne ke liye aaya hoga. lekin main tum logo ko itni asani se chhodne wali nahi hoon. main tum logo ko saza to dilwakar hi rahungi. (Kaushal se) Kausal main ja rahi hoon phone dekhne. tab tak tum in janab ki ache se khatirdari karna. koi kami nahi rahni chahiye inki kharirdari me.

Aakhir inko bhi to pata chale ki Sabhi thane ki khatirdari kyon nahi karwana chahte. Ab inhe Is khatirdari ka mauka mila hai to inki khatirdari me koi kami nahi aani chahiye. nahi to baad me ye hamse shikayat kar sakte hain ki main aapke thane me raha aur aapne meri khatirdari nahi ki.


Itna kahkar Sarita Apne cabin me jati hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
UPDATE- 26


Tabhi phone fir se bajta hai. Sarita phone uthati hai aur hello bolti hai. Udhar tab tak phone cut ho chuka hota hai.


Udhar Is ghatna ki khabar poore shahar mein ho gai th. Nishchal is baat se anjan apne cabin mein batha kuchh jaruri kaam kar raha tha ki tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne jab apna phone dekha to SSP ka phone tha, Usne receive kiya aur kaha.


Nishchal- Jai Hind Sir.

SSP- Jai Hind Nishchal. Pahle ye batao ki ye sab ho kya raha hai. Tumhare Undar kaam karne wali Sarita ye kya kar rahi hai. Aaj usne fir koi kand kiya hai.

Nishchal- kya baat kar rahe hain aap. Kya kand kiya usne. Mujhe iske bare mein koi jankari nahi hain.

SSP- (thoda gusse se) Ye tum kya bol rahe ho nishchal. Wo tumhare Undar mein hai aur tumhe hi ye nahin pata ki tumhari wo officer kya karti fir rahi hai. Aakhir tum kar kya rahe ho. Tum apne undar kaam karne wale ke upar niyantran nahi rakh pa rahe ho. Agar aisa hai to apni naukri chhod do samjhe. Hamare department ko tumhare jaise lazy officer ki koi jaroorat nahin hai.


SSP ki baat sunkar Nishchal ye samajh gaya tha ki jaroor sarita ne kuchh aisa kiya hai jiske karan SSP sir uske upar bhadak rahe hain. Nishchal ne SSP Sir se puchha.


Nishchal- ye aap kya kah rahe hain Sir. Aakhir sarita ne aisa kya kar diya hai jo aap mujhko naukari chhodne ke liye bol rahe hain.

SSP- (Gusse me) DDP, agar tumhe Apne Officer ki kartut ke bare me pata nahin hai to tum kis baat ke DSP ho. Tum News dekho pahle.


SSP ki baat sunkar Nishchal ne TV on kar di. News mein sarita ne jo kiya tha uski hi khabar dikhayi ja rahi thi. News dekhne ke baad Nishchal ne SSP se kaha.


Nishchal- Sir usne jo bhi kiya wo to bahaduri ka kaam hai na. Usne to department ka naam ucha kiya hai.


Nishchal ki baat sunkar SSP ko aur bhi jyada gussa aa gaya aur wo dahade huwe Nishchal se bola.


SSP- DSP. Ek to tum apni jimmedari thik se nahin nibha pa rahe ho aur upar se mujhe nasihat de rahe ho. Upar se phone aaya hai mujhe. Bina proper permission ki kaise is kaam ko anjam diya gaya. Kisne Permission di thi is kaam ke liye. Tum kisi kaam ke nahi ho.


Uske baad SSP ne Nishchal ko bahut khari khoti sunai. Yahan tak ki Use aur Sarita ko apni manmani karne ke karan Fired karne ki dhamki bhi de di. Jiske karan Nishchal ko Sarita ke upar bahut jyada gussa aa gaya, kyonki Aajtak uske kisi kaam par kisi bade adhikari ne ungli nahi uthayi thi.


lekin Sarita ke karan use mahine bhar ke ander Dusri baar SSP se dant sun-ni padi thi, uske baad to use kai bade adhikariyon ke phone aaye aur sabne Nishchal ko khari khoti sunai. Nishchal ko gussa is baat par jyada aa raha tha ki Sarita ne use is bare me batana jaroori nahi Samjha. Wo kam se kam use SSP ke phone aane se pahle bata deti to wo kisi tarah SSP ko deal kar leta. Yahi sab sochkar Nishchal Gusse se utha aur Sarita se milne ke liye chal pada.


Udhar Sarita ko dusri taraf se koi jawab na milne par wo phone rakhne hi wali hoti hai ki tabhi Nishchal gusse se tamtamaya huwa uske cabin me ghusta hai aur Uske hanth se phone chheenkar kaat deta hai aur receiver phone se alag rakh kar gusse se chillate huwe bolta hai.


Nishchal- maine tumse kaha tha na ki is case se door rahna. main ise apne tarike se handle karunga. to kya jaroorat thi tumhe Jhansi ki rani ban-ne ki. Kya aag lagi thi tumhare andar jo sab kuchh itni jaldbazi me kiya tumne.

Tumhe to bas yahi Ek thana sambhalna padta hai, lekin mujhe is jaise 6-7 thane sambhalne padte hain. main roj roj tumhare pichhe hi laga rahu kya. tumhe roj samjhata rahu ki tumhe kya karna hai aur kya nahi karna hai. tumhe pata bhi hai tumne jo kand kiya hai SSP Sir kitna gussa ho rahe hain mujhpar. tumhe koi baat ek baar me samajh me nahi aati hai kya.


Sarita- (gusse me) Kya samjhu main aapka. haann boliye…. kya samjhu main. kab handle karte aap is case ko. jab ye sari ladkiya shahar ke bahar chali jati tab handle karte aap. ya jab in sari ladkiyo ko kisi kothe par bech diya jata tab handle karte aap is case ko. ya tab handle karte aap is case ko jab ye ladkiya kisi hawasi ke bister ki shobha badha rahi hoti. ya tab handle karte aap is case ko jab inki naak, kaan, aankh, kidni, gurde nikal kar bech diye jate. ya tab handle karte aap is case ko jab inhe bheekh mangne par majboor kar diya jata. ya tab handle karte aap is case ko jab in ladkiyon ko human bumb banakar use kiya jata. bataiye. kab handle karte aap is case ko. apne tarike se handle karne ki baat karte hain.

Nishchal- Stop this Miss Joshi. tum hosh me to ho. tum kya bole ja rahi ho tumhe kuchh pata bhi hai.

Sarita- haan main bilkul hosh me hoon, lekin shayad aap hosh me nahi hain. Agar main aaj 15 minute bhe late ho jati to……. to main sabhi lakiyo ko kho detiii…main dadi se kiya huwa apna wada nahi nibha pati. main bilkul hosh me hoon aur kya bol rahi hoon ye bhi mujhe pata hai.


Sarita ki baat sunkar Nishchal Use ghoor kar dekhne laga to Sarita ne kaha.


Sarita- Aise ghoor ghoor kar kya dekh rahe hain aap. aapko kya lagta hai ki aap dadi ko apne ghar me chhupakar rakhoge aur mujhe pata bhi nahi chalega. to ye aapki bhool thi. main unse mili thi. aur unhone mujhe sara sach bata diya. wo badi ummeed ke sath mujhse bol rahi thi ki main unki Gudiya ko unke paas le aaun. isliye main unka kahna nahi taal saki aur maine unse wada kiya ki main Unki gudiya ko unke pass le aaungi. maine aaj apna wada nibhaya.

Nischal- (gusse se) Maine tumhe unse door rahne ke liye kaha tha. uske baad bhi tumhari itni himmat pad gayi ki tum chori chhupe mere ghar me ghuskar unse mili.

Sarita- main aap se darti nahi hoon samjhe aap aur na hi main koi doodh piti chhoti bachhi hoon. jo aap mujhe bolenge ki Sarita ye karo to main karne lagungi. Sarita wo karo to main karne lagungi. mujhe bhi aapki tarah hi training deker duty ke liye bheja gaya hai. jitna hak aapka hai apne under kam karne wale thane ke bare me dekhne ka. usta hak mujhe bhi hai apne PS ke bare me nirnay lene ka. Isliye aap mujhe bachhi samajhne ki bhool mat kijiye.

Nischal- (chillate huwe) Tumhe meri baat samajh me kyon nahi aati. ye tum jo kand karke aayi ho iski news poori media me phail chuki hai aur sabse badi baat ye hai ki tumhare aur tumhare kuchh staff ke sivay is kand ke bare me koi nahi janta. wo sab to chhodo. tumne ek baar mujhe bhi batana jaroori nahi samjha.

Sarita- Achha. main itni pagal dikhti hoon kya aapko. agar main aapko batati to kya aap mujhe permission dete kya aisa karne ki. jisne mujhe dadi se milne ke liye mana kar diya. wo mujhe is kam ke liye permission kabhi nahi deta. isliye maine aapko kuchh nahi bataya.

Nishchal- (gusse se) Tumhe ye sab ek majak lag raha hai. Tumhe kya lagta hai ki ek bachha singh ko pakad lene se ye poora case solve ho jayega. tumare paas dimag hai bhi ya nahi. tumhe itni chhoti si baat kyon samajh me nahi aati ki bachha singh ek pyada hai. raza to kahi aur baithkar apni bisat bichha raha hai.

lekin tun thahri bail buddhi. tumhare upar to bas Bachha singh ko pakadne ka bhoot sawar hai. lekin tum ise jitna aasan samajh rahi ho ye itna aasan bhi nahi hai. Tumhe ye samajh me nahi aata ki Kaluwa jaise mamuli se gunde ke liye tumhare paas phone aata hai use chhodne ke liye. to bachha singh ko pakadkar tum use lock up me rakh paogi.

lekin tumhe samjhane se koi matlab nahi hai. subah se tumhari wajah se mera dimag ekdam kharab ho gaya hai. Mujhe upar se itne phone aa rahe hain ki main phone utha uthakar pareshan ho gaya hoon. ye sab tumhari wajah se huwa hai. ab tumhi unke sawalo ka jawab dena.

Sarita- Maine koi gunah nahi kar diya hai jiski wajah se aap mujhe itna kuchh suna rahe hain. aapko aur upar ke officers ko to mere is kaam se khush hona chahiye. mujhe appreciate karna chahiye. lekin aap to mujhe hi doshi thahra rahe hain. aap jaise police officers ki wajah se hi ye log inte swachhand aur bina kisi dar ke apne kam ko anjam dete hain. aap jaise police walo ke hi karan janta ka vishwas police par se uth gaya hai. isiliye koi madad ke liye police ke paas nahi aata.

Nishchal- (gusse se chillate huwe) Stop this nonsence. tumhe samajh me aa raha hai ki tum kya bol rahi ho. main ye baat bilkul bhi tolerate nahi karunga.

Sarita- (gusse se) main Kyon chup ho jaun. main chup nahhi houngi. Sach sabko kadwa lagta hai lekin sach yahi hai. aapko sharam nahi aati. aap besahara aur madad ke talabgar logo ki help karne ke bajay in do take ke gundo ke talve chat rahe hain. inhi logo ki sewa ke liye aapne ye vardi pahni hai na. bhale hi aapka aur mera manmutav hai lekin main aapko ek achha aur imandar police officer samajhti thi. lekin main galat thi. aap ne bhi chand paiso ke liye apna iman bech diya. thuuu hai aap jase currept officer par. lekin main bikau nahi hoon. main us bachha singh ko chhodungi nahi.

Nishchal- (apna aapa khote huwe) Bas Miss Joshi. Bahut jyada bol diye tumne aur bahut jyada sun liya maine. ab iske aage ek lafz bhi mat bolna.

Sarita- (dahadte huwe) main kyon bas karu. main bolungi. mujhe koi nahi rok sakta. main sach bol rahi hoon to mirchi lag rahi hai. aaj aap jaise currept officers ki wajah se hi police department badnam hai. aap jaise logo ke kanan hi corruption bahdta hai. aap jaise log ya to paise lekar gundo ko riha hai dete hain, ya upar se apne wale apne aakaon ke phone par gundo ko chhod dete hain.

Aap log ye bhi nahi sochte ki wo gunda bahar nikalkar fir se kitne logo ko nuksan pahuchayega. agar pahle hi bachha singh jaise gundo par lagam lagayi gayi hoti aur use saza dilwayi gayi hoti ho aaj ye naubat hi nahi aati. wo police ke sath chuhe billi ka khel nahi khelta. mujhe to lagta hai ki aapke sath sath SSP Sir, DGP Sir aur usase bhi bade officers sab log unse mile huwe ho.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne apna control kho diya aur ek jhannatedar thappad Sarita ke gal par jama diya. Wo Sarita par hanth nahi uthana chahta tha. Usne aaj tak kisi ladki ke upar hanth nahi uthaya tha, lekin Sarita chup hone ka nam hi nahi le rahi thi aur jo bhi man me aa raha tha wo bole ja rahi thi. Nishchal ko Sarita ko chup karane ka isase achha rasta koi najar nahi aa raha tha. lekin Use nahi pata tha ki Sarita uske thappad se chup hone walo me se nahi hai.


Nishchal- enough is enough. bahut ho gayi tumhari bakwas. iske aage ek shabd aur mat bolna nahi to tumhare liye bilkul bhi achha nahi hoga.


Nishchal ne thappad bahut jor ka mara tha. jiske karan uski ungliya Sarita ke galo par chhap gayi thi, Sarita ki aankho se aanshu nikal rahe the. Sarita ne Nishchal se kaha.


Sarita- Kya achha nahi hoga mere liye. Kya kar sakte hain aap log mera. Jyada se jyada mujhe suspend kar denge aur kya. Aap jaise log kar hi kya sakte hain. kar dijiye mujhe suspend. mujhe koi fark nahi padta. Kam se kam mujhe is baat ka malal to nahin rahega ki maine apni vardi ke sath insaf nahi kiya. Aap jaise bikau logo ke sath kam karne se to achha hai ki aap mujhe suspend hi kar dijiye. agar main job me rahi to main bachha singh ko nahi chhodungi chahe kuchh bhi ho jaye.


Itna Kahkar Sarita Apne cabin se bahar nikal gayi. Sarita ke jane ke baad Nishchal ko ye aabhas ho gaye ki use Sarita ko thappad nahi marna chahiye tha. aakhir usne koi jurm to nahi kiya tha. usne kaam to Shabashi wala hi kiya tha. Sarita ke jane ke baad Nishchal ne socha ki wo Sarita se mafi mang lega. yahi sochkar jaise hi wo bahar nikla. Rawat Sir ne use bula liya.


Rawat Sir- Kya tha ye sab Beta. Sarita beti rote huwe PS se bahar gayi hai. aur tum dono itna chilla chilla kar kyo baat kar rahe the. Tum dono ke chillane ki aawaz bahar tak aa rahi thi.

Nischal- Kuchh nahi sir. Aaj jo bhi kand kiya hai usne usi ke bare me usase puchh raha tha. aapko iske bare me kuchh pata hai

Rawat Sir- Nahi bata. mujhe to iske bare me kuchh bhi pata nahi. balki main to khud Sarita se poochna chah raha tha iske bare me.

Nishchal- Sirf aapko hi nahi. usne mujhe bhi kuchh nahi bataya is bare me. pata nahi kyon wo samajh hi nahi rahi hai ki wo is matter ko jitna aasan samajh rahi hai. ye utna aasan nahi hai. lekin wo koi baat sun-ne ke liye taiyar hi nahi hai. maine use is matter se door rahne ke liye kaha tha, lekin usne meri baat ko ignore kar diya.

Rawat Sir- Jane do Beta. Abhi wo nai nai aai hai. use in sab ke bare me jyada pata nahi hai. use kya pata ki jin logo se wo sidhe bhidne ja rahi hai us logo se bade bade officers bhi samna karne me katrate hain. dhire dhire uske samajh me bhi ye baat aa jayegi.

Nishchal- Wo itni bhi nasamajh nahi hai jitna wo apne aapko dikhati hai. uske dil me kuchh aur aur dimag me kuchh aur chalta hai. mere mana karne ke baad bhi wo nahi mani.

Rawat Sir- Use uske hall par chhod do beta. abhi jaisa chal raha hai waisa hi chalne do. baad me iske bare me kuchh sochte hain.

Nischal- wo to thik hai Sir. Lekin Mujhe baar baar SSP Sir ke phone aa rahe hain. wo to mujhse hi sawal kar rahe hain na. wo pooch rahe hain ki ye opereation kiski parmission se kiya gaya hai. ab aap hi bateiye main unhe kya jawab doon.

Rawat Sir- To unse bol do na ki tumhare paas utna samay nahi tha ki tum unse is bate me discuss karte. isliye tumne Sarita ko permission de di. ya main aapko batane wala hi tha, lekin ye Achhanak se ho gaya isliye aapko nahi bata paya. aisa koi bahana bana do unse. wo tumhari baat jaroor samjhenge.

Nishchal- Ab kuchh bhi nahi ho Sakta. Agar is ladki ne mujhe thoda bahut bhi iske bare me bataya hota to main SSP Sir ko sambhal leta, lekin mujhe to kuchh pata hi nahi tha iske bare me to SSP Sir ke phone karne par maine unhse bol diya ki mujhe kuchh pata nahi hai is bare me.

Rawat Sir- (sochte huwe) Dekho Nishchal beta, AB is tarah chillane se ya ladne jhagadne se kuchhh nahi hoga. Abhi thoda dimag ko apne shant rakho aur jaise chal raha hai waise chalne do. baad me dekhte hain ki kya karna hai.


Nischal Rawat Sir ki baat se sahmati jatakar PS se bahar nikal jata hai. Udhar Sarita Nishchal se lad-jhagad kar Sidhe hospital pahuch gayi jahan par Sabhi ladkiyo ko bharti karwaya gaya tha. Wah sidhe Doctor ke cabin me pahuch gayi aur boli.


Sarita- Ab kaisi tabiyat hai Ladkiyo ki doctor.

Doctor- Ye sab pahle se thoda thik hai. lekin itni bhi nahi ki Inhe yaha se discharge kiya ja sake. abhi inhe kam se kam do din aur rakhna padega.

Sarita- Waise Doctor. Ek baat bataiye inki is halat ke pichhe kya wajah ho sakti hai.

Doctor- Madam, Inhe Behoshi ke injection ke sath koi nashila padarth diya gaya tha. jiske karan inki aisi halat hui hai. lekin ab sab thik hai. do din baad inhe discharge mil jayega.

Sarita- Thank you Doctor. Kya main unse mil sakti hoon.

Doctor- Ji jaroor mil sakti hain

Sarita Doctor ke cabin se nikal kar Ward me jati hai jaha ladkiyo ko admit kiya gaya tha. ladkiya Abhi so rahi thi. Sarita jakar ek kusri par baith jati hai jo wahi par paas me lagi hoti hai. Sarita Sabhi bachhiyo ko dekhkar sochne lagti hain

Sarita- Sab bachhiya kitni masoom dikh rahi hain. inki umar bhi jyada se jyada 15 varsh ke bhitar hi hai. Inhone to abhi thik se duniya bhi nahi dekhi aur wo kamine inki duniya hi ujadne chale the. pata nahi ye sab kaha se pakadkar layi gayi hain. Pata nahi inke gharwale kaise hain. Unke upar kya beet rahi hogi.

agar main thoda sa bhi late ho jati to bahut bada anarth ho jata. Us hitlar ko ye chhoti si baat samajh me nahi aati. Use lagta hai ki maine galat kiya hai. galat to tab ho jata agar maine kuchh kiya na hota. Ab chahe jo ho, meri job rahe ya jaye mujhe koi parwah nahi hai. kam se kam mujhe jeevan bhar is baat ka malal to nahi rahega ki maine apna farz nibhane me aanakani ki.


Yahi sab sochte huwe Sarita Ward me baithi hui thi. dhire dhire Dawai ka asar khatam hone lagta hai aur ladkiyo ki aankh khulne lagti hai.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
छब्बीसवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Top