• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI Treasure ~~ "The Invisible Hunt" {Completed}

Does Anyone read Sci-fi Treasure Story ? (Is Yes, discuss on this thread)


  • Total voters
    71

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
3.5 Saal se kahani ki tayari kar raha tha, Pichla platform chhuta to kabhi likhne ke barre mein socha nahi par jab kahani ka plot bana aur corona ka asar dunia mein badha to zindagi ki bhag daudh se kuch rahat mili aur mene is kahani ko sabke bich lane ka faisla kiya. Ek aisa chetra tha jisme mene abhi tak koi kahani nahi likhi thi aur ye meri lekhan ki ek akhri script aur genre hai jise mein kosish karunga ki ache se likh sakun. Umeed karunga kuch purane sathi yahan milenge aur kuch naye judhenge.

Story PDF LINK Below :

 
Last edited:

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
Usne gaddi roki aur phone par address dubara padne ke baad ghar ki taraf dekha. Phone par likhe address ke mutabik yahi wala ghar tha, vo gaddi se utari, phone hand bag mein dala aur ghar ki taraf badhi. Darwaje ke samne khade hokar vo door bell khojne lagi lekin vo maujud nahi thi. Usne jab darwaje par knock krne ki kosish ki to use vo khula paya. Usne darwaje par halke hath se dhakka dia aur hil wali saindal ko ek paidi par rakh uppar aa gayi.

Darwaje khulte hi kamra tha jahan table uske uppar laptop rakha tha, zameen par har jagah tissue paper pade the, dustbin ki halat battar thi, use itna ganda laga ki vo niche utar gayi, vo vahan se jane hi vali thi ki uski nazar samne padi. Vo brush karta hua apna lund khujate hue jese vapis bahar wale kamre mein aya to usne dekha, ghar ka darwaja khula hai aur vahan ek ladki khadi hai.

Do inch ki heels, red color ka selevless one piece, chehre par shades, golden color kiye hue khule baal, ameeri aur khubsurti ka jita jata mixture khada tha. Vo janta tha ki usne apna lund khujate hue pakad rakha hai aur vo use hi dekh rahi hai par usne naak sikodi aur brush karte hue washbasin par aya aur wahan thukne laga, chota sa washbasin chitte kuch zameen par to kuch uske andar, kulla bhi uske kuch isi tarah kiya. Kulla karke usne apni tshirt se hi muh pocha aur apni seat par ja baitha, na usne uski taraf dubara dekha na use andar ane ko kaha, jese uske liye vo maujud hi nahi thi.

Do pal vo bahar khade khade is halat ko dekhne ke baad sochna uske liye badi baat ban gayi, shayad koi majburi rahi hogi isliye usne phir paidi par apne kadam rakhe aur vo andar aa gayi. Andar atte hi uski naak mein ek ajeeb si gandh daudh gayi. Vo ek aisi mehak thi jo na khusbhu thi aur na hi badbu, use nahi pata tha lekin vo tissue paper ke andar lipte sperm ki thi jo kafi dino se wahin pade the. Usne kisi tarah apna dhayan use hataya aur table ke is taraf rakhi kursi par ja baithi, jahan baithe hi uske kano mein awaz padi jise sunte hi usne apne shades hataye aur ghurte hue samne dekhne lagi. Laptop mei chal rahi video mein chudai ka scene chal raha tha jise vo bade aram se dekhne baith chuka tha is bedhayani mein ki samne uske wahi ladki baithi hai aur usi ki awaz room mein gunj rahi thi. Akhir usne chupi todi kyun ki ab use ye bardasht nahi ho raha tha " excuse me "

Awaz sun use dhayan aya ki samne koi baitha hai usne laptop screen gira di aur uski taraf dekhne laga par kuch bola nahi. Chehra padna uske kaam ka ek hissa hi tha jo vo kar raha tha.

" hi, i am Pratiksha "

Naam sun vo kursi par piche ki taraf baith gaya " ok "

Vo man hi man ye soch rahi thi ki jise milne vo ayi hai ye admi vo na nikle " are you detective vikrant ? "

" kisne bheja hai tumhe ? "

" walia, Akshad Walia "

" kyun? "

" he want's to hire you " pratiksha ko samajh nahi aya ki vikrant kyun hans pada. Pratiksha ne gusse ko dabate hue kaha, " sorry ? "

" i reject, tum jaa sakti ho "

Vikrant ki baat sun pratiskha khud ko chup nahi rakh payi, " hey you damn it, what you are ? who you are ? i don't care, par tum jese cheap insan ko mein yun kharid kar ek dustbin mein fenk sakti hun, i should have never came to you, you are a bloody cheap person "

Pratiksha ki batein sun vikrant bahut impress hua usne bade simple lehaze mein pucha " tum kitne ki ho ? "

" what ? what did you say ? "

" mei cheap hun, tum kitne ki ho ? kitne mein bikti ho ? " Vikrant ki baat ne pratiksha ko apni jagah se khada kar dia.

" andar ane se pehle samajh gayi thi tumhe dekh kar tum kya ho, kaun ho, fuck you, bloody idiot human being, fuck you " pratiksha gusse mein uske uppar chila rahi thi lekin vikrant ko uska koi asar nahi tha.

vo phir usi andaz mein bola, mano uske bolne ka yahi tarika tha " jab marzi " . Jawab ne pratiksha ka gussa aur badha dia.

" oh god, why akshad wanted me to meet you ? look at you ? self-arogant person look at you, ghatiya log isi tarah rehte hai isliye unki soch bhi wesi hi hoti hai "

Pratiksha abhi bhi shant nahi hui thi, " tumhe hire karna to dur, mein tum par thukna bhi nahi chahti, kyun ki tum meri thuk ke kabil bhi nahi ho, you are disgusting not only you everything in this house is bizzare, shit, mein ayi hi kyun andar, what a fool i am ? i don't know who you are and whatever you name is, i don't care honestly par jitna hi ganda tumhara ghar hai use kahin jada tum, i can't take you more, not a single shit from a person like you, fuck you " akhri baat mein usne ungli dikhai aur jane lagi. Gusse mein uska chehra lal ho chuka tha, bahar nikalte hi usne apna shade lagaya aur apni car ki taraf badh gayi.

" 9 lakh ki sandal hai " awaz sun vo ruki aur piche mudi, " aur uspar mere ghar ki tati lagi hai aur tum ek cheap tati kese itni mehngi sandal par le ja sakti ho ? " vikrant muskura raha tha, pratiksha ne ek pal guse mein uski taraf dekha phir apni sandal ki taraf jispar potty lag gayi thi jo shayad usne gusse mein bahar atte waqt dekhi nahi thi, phir bina kuch bole gaddi khol usme ja baithi lekin per andar rakhne se pehle usne apni saindal vahin utar fenki aur gaddi start karke vahan se nikal gayi. Vikrant uski is harkat se bahut impress hua vo ek pal saindal ko hi ghurte hue kuch sochta raha aur darwaje ko band kar apni seat par ja baitha.

Baithe sath vo kuch soch raha tha aur sochte hue usne laptop ki screen kholi aur browser open karke usne google par search kiya, " cheap milf " video play kar pajame ke uppar se apne lund ko sehlane laga.
Ye kya baat he vikrant ke saath :laugh:
 

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
Hum shayad ek bade bhawan mein pahunch chuke the, andhera tha par us time light ke do ho sotr hote the ek suraj aur dusri agni. Kuch to bana hi hoga mei diwaron par hath ferta hua dekh raha tha par " you won't find what you are looking for son, remember ye jagah pani ke andar rahi hai vo bhi kafi waqt tak, hume artificial light ka hi istemal karna hoga " dad ki baat sahi thi to mein torch se hi samjhne ki kosish karne lage. Deewaron par alag alag tarah ki akriti bani hui thi jese ki unki sanskriti in deewaron mein sazi hui ho.

" dad apne kuch notice kiya ? "

" vo symbol is hall mein kahin nahi hai "

" han aur mujhe aisa kyun lag raha hai ye jagah " mei apni baat khatam karta use pehle dad ki baat sun kar mei ruk gaya.

" yahan par logon ko zinda garam padart mein dal dia jata tha aur log use jashan maan kar usme shamil hua karte the " dad ne diwar par bane symbol aur book mein likhe shabdon ke matlab se samjhaya. " aur yahan par mukhiya yani is jagah ka sardar baith kar uske mans ko kha kar ye batata tha ki uska sharir kis had tak jala hai, ye parampara thi aur har sal ki jati thi "

" kyun ? "

" kyun ? right question " vo phir padte hue bole, " kyun ki vo dekhne chahte the ki vo vapis aa sakte hain ki nahi "

" mei kuch samjha nahi " dad ne mera sawal suna tha ya nahi keh nahi sakta kyun ki vo kisi soch mein dube hue the. " dad " mei unhe unki soch se bahar nikalne unke pas pahuncha " kya soch rahe ho ? "

" nahi..kuch nahi, hume aage badna hai " dad ke kahe ansuar hum wahan se nikle aur ek andhere coridor mein ja pahunche, dono taraf deewar thi par yahan ki deewar bakiyun se kuch alag tarah bani hui thi, " careful son, na jane kaun kaun se trap ho sakte hai " dad ke bolte hi unhone ek kadadm aage rakha aur vahan ki jameen niche kisak gayi jiske khisakte hi hamare sath vali deewar aage ki taraf badhne lagi. " ohh shit " mere hath se torch gir gayi aur mei deewar par apna zor lagane laga taki vo ruk jaye par aisa hua nahi.

" run " mei aur dad dono tezzi se bhagne lage aur agar hum kud kar niche na gire hote to us deewar ke bich mein aajate. Humne takriban 5 feet ki unchai se chalang lagai thi jiski landing sahi nahi hone ke karan hum dono ko hi chhot lagi thi.

" are you ok dad " mein ghasitte hue unke pas pahuncha.

" no, i guess mera per mud gaya hai " mene bag se spray nikal kar unke per par spray kar dia. " tum theek ho beta ? "

" han thode scretches hain but i am ok " mene dad ko khada kiya.

" there must be more traps here, it means we are going in right directions "

" but ab kahan ? " mene dad ki torch le rakhi thi aur jahan hum khade the uske samne kuch nahi tha, na jane kitna deep thi vo gehrai, torch ki roshni niche sateh tak nahi pahunch paa rahi thi.

" no, no no no.. " dad badhbadaye, " ye dead end nahi ho sakta " vo apni taraf ki deewaron par hath marne lage taki koi gupt rasta mil jaye, par gupt rasta hone ka koi reason nahi tha kyun ki jisne bhi ye trap banaya tha vo to chahta tha ki koi bhi is jagah tak na pahunche jahan hum khade hain, yani rasta aage janne ka hai. Mene bag se glow stick nikal kar niche fenk di aur niche jhanka, bingo niche pathar tha utna hi bada jitne bade par hum khade the.

" good work son " Rope ki madad se mein aur dad niche utare aur hume ek gate dikha jo band pada tha. Mene use dhakka dene ki kosish ki jise mitthi utar kar jhadne lagi par vo khula nahi. " koi tarika hoga iske kholne ka bhi "

" no i think i got this " mene puri takat se use dhakka dia to vo piche ki taraf gir gaya. Meri force itni thi ki mein bhi uske sath niche ja gira us gehrai mein jahan se zinda vapis ana namumkin tha.

" vikrant " dad ke chillane ki awaz mere kano mein gunji aur phir gum ho gayi.

Pratiksha uske darwaje par khadi use dekh rahi thi, dadhi itni jada thi ki chehra pehchana namumkin baal ghungrale aur ankhon par kala chasma chadaye vo so raha tha. Vikrant ke liye uske man mein nafrat panap chuki thi par vo phir bhi uske darwaje par khadi thi. Andar ghuste hi uski naak mein wahi gandh phir ghul gayi jise vo kabhi bhul nahi sakti thi, pura kamra utna hi ganda tha jitna ki us din, usne heel se zameen par tissue paper ko side kiya aur table ke samne ja khadi hui, na boli na koi shor kiya bas use dekhti rahi.

Vikrant ki taraf se jab koi halchal nahi hui to pratiksha bol hi padi " tum jaag rahe ho ya so rahe ho nahi janti par mere jism ko ghurne mein tumhe maza mil gaya ho to hum baat kar sakte hain " Pratiksha ki baat sun vikrant ne apna chasma hataya aur ubasi angdaiyan lete hue apni jagah se khada hua aur piche vale kamre mein chala gaya.
Hmmm to protagonist ka pata chal chuka he :writing:
 

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
Pratiksha vahan khadi vikrant ke mutne ka shor sun rahi thi phir flush chalne ki awaz ayi aur vikrant brush karte hue bahar aya aur washbasin mein thukne laga. Pratiksha ye sab bade dhayan se dekh rahi thi. Thukte hue vikrant ek dum se piche muda aur use ghurte hue bola " mein band ankhon se aur band kapdon mein logon ko dekhna pasand nahi karta, vikrant ne pratiksha ko uppar se lekar niche tak dekha, usne ek tight shirt pehni hui thi jisme uski chatiyun ka ubhar jhalak raha tha " uske muh se tooth-paste behta hua gale tak pahunch raha tha jise usne hath se saaf kar phir thukte hue muh dhone laga. Pratiksha ko uspar ghin aur gussa dono aya par kuch bol na saki. Vikrant shirt se muh pochta hua aya aur kursi par ja baitha, na jane kyun pratiksha ki nazar us washbasin par gayi jo dur se hi behad ganda dikh raha tha phir usne apni ankh band ki aur gehri sans lete hue vikrant ki taraf dekha.

" hume tumhari madad chahie " uske kehte hi vikrant ne baithne ka ishara kiya, is baat ki use umid nahi thi, vo kursi par baith gayi. Vo bas jald se jald baat karke yahan se jana chahti thi.

" aur kitne log ho tum " uske baithte hi vikrant bola.

" dekho, mr "

" detective vikrant " vikrant ne uski baat kaat di.

" detective vikrant, mei tumse Akshad walia ke case ke silsale mein baat karne ayi hun "

" ok " bol kar vo chup ho gaya aur usne laptop ki screen utha di. Ab pratiksha aur vikrant ke bich vo screen bhi thi jise dekh pratiksha ko us din ki yaad aa gayi jab usme chudai ki awazein aa rahi thi. Uska dhayan us taraf chala gaya jiske baad use phir sari baat yaad aa gayi, vikrant ka use kharidne ki baat karna, inspector ka use chuna pata nahi kyun par bar-bar ye baat use tang kar rahi thi.

" Akshad walia ka case, ye wala " dhayan uska tab tuta jab samne usne newspaper dekha jiski taraf usne ishare se vikrant ko bataya.

" President ki beti ke sath rape aur murder, aropi Manish Mehra sakht kaid mein "

" who is manish mehra ? "

" tum batao tumne ishara kia "

" par isme koi manish mehra nahi " pratiksha ke kehne par vikrant ne dhang se dekha, " behenchod, muth mar-mar ke meri ankhein khap gayi hai "

" sorry ? " pratiksha ko kano par vishwas nahi hua jo usne abhi suna. Vo kuch kehti use pehle vikrant news paper utha kar padne laga.

" manish mehra ne to apne biwi ke ashiq ke tatte kaat dalle " usne akbhar wahan vapis rakh dia. " sorry meri ankhon ki galti " pratiksha kuch bolne se pehle akhbar dekhna chahti thi, kya vakai mein usne apni biwi ke ashiq ke tatte katte hain ? " galla katta hai " vikrant usko pakdte hue bola to pratiksha ke chehre ka rang fika padh gaya.

" akshad ko tumhari help ki need hai " pratiksha ne baat badal di.

" mei koi ashram nahi chalata jo madad karunga, detective hun mera kaam sabut dhundna hai bhale ki vo kisi ki jawani ka kyun na ho " vo janti thi ki vikrant uske sharir ko ghur raha hai, uski nazar uski chatiyun par tiki hai, na jane kis had tak soch kar man hi man mere sharir ke sath ? itna sochte hi pratiksha ko khud par ek bar phir ghin aa gayi.

Pratiksha mudde ki baat par kayam rahi " president ki beti ka rape aur murder charge hai akshad par "

" ok " vikrant ke itne sukhe hue jawab se vo irritate hone lagi.

" aur uske pas jada time nahi hai, kuch hi dino mein usko chair par baitha dia jayega "

" seriously ? " vikrant kursi se aage ki taraf aya.

" yes "

" wao " pratiksha ye reaction dekh bol padi, " what so wao in that ? "

" i thought, fansi se uppar saza nahi hai, apke husband ko koi aur ladki nahi mili ? "

" Akshad is not my husband & he didn't do it "

" didn't do what, rape or murder ? "

" nothing, he did nothing "

" tum itni sure kese ho ? "

" kyun ki mujhe pata hai "

" kaise ? "

" kyun ki mei akshad ko janti hun "

" kabse ? "

" kafi salon se "

" kitne ache se ? "

" bahut ache se "

" kis hadh tak ? "

" excuse me ? "

" kis hadh tak ? "

" us hadh tak nahi jaisa tum soch rahe ho "

" phir tum ek mard ko nahi janti " sawal jawab ke bich vikrant phir kursi par piche hokar baith gaya. Pratiksha uski taraf dekhti rahi aur ek pal dono chup rahe.

" what do you want to know ? "

" akhbar mein likha sach hai ya juth, soch kar mujhe iska jawab dena "

" sach hota to mei akshad ke liye nahi us ladki ke liye ati " vikrant uske jawab se impress hua. " ok "

" to ? " pratiksha ko jawab mein na han nazar aaya na-hi na

" tumhare pas jo bhi evidence hai vo mujhe kal de jana "

" it means i hired you " pratiksha ke chehre par muskan thi use laga usne vikrant ko akhir kharid hi lia. Vikrant uski baat par muskura dia, usne apna lund khujaya, pratiksha ko hath chalte dikhe to vo andaza laga kar samajh gayi.

Vo jada der baith is admi ki gandagi bardasht nahi kar sakti thi, vo apni jagah se khadi hui, ankhon par shade lagaye, " your fees ? " Vikrant ki nazar laptop ki screen par thi, pratiksha yun hi khadi rahi jese uske liye vo maujud hi nahi hai.

" you " bade hi normal andaz mein vikrant ne jawab dia aur screen par wapis dekhne laga.

" excuse me what ? " pratiksha ko ek pal laga samjhne mein ki vikrant ne kis baat ka jawab dia hai.

" my fees is you " vikrant ne bina uski taraf dekhe jawab dia.

" are you fucking kidding me right now ? "

" you hire me so my fees is you " vo abhi bhi uski taraf nhi dekh raha tha aur baat karne ke tarike se lag raha tha jese ab use baat karne mein koi interest nahi hai. Pratiksha ne apne shades uppar kiye, bolne ke liye muh khola phir hans di aur mud kar jane lagi par bahar gaye bina vo phir mudi " fuck you, bloody asshole, fuck you " usne ye baat bina chillaye kahi.

" hmm same thing " vikrant ka lehza dekh pratiksha gusse ka control nahi kar payi.

" listen to me you bastard " pratiksha ne table par zor se hath mara aur uski taraf jhuk gayi, ispar vikrant ne uski taraf dekha, chehra behad sundar tha par filal gusse mein tha, phir uski nazar niche sarki aur uski chatiyun par tham gayi. Jhukne se shirt loose ho gayi jise pratiksha ke cleavage ke sath uski grey color ki pehni hui bra ko vo dekhne laga, agle hi pal jab pratiksha ne ye bhanp liya to gusse se uska matha phir gaya.

" oh my god, he is such a pervert, why akshad why ? " vo itni tez chillai ki pura kamra uski awaz mein dub gaya " i don't kow why the fuck he wants you "

" taki tum asli mard ko jaan sako "

" shut-up just shutup, you'll go in fucking hell, understand fucking hell, mei hi bevkuf thi jo akshad ke khatir yahan aa gayi. Tum kya akshad ko save karoge you can't save yourself, dekho khud ko, just look at you, tum soch bhi kese sakte ho ki tum mere sath ? " usne ek second ka pause liya " fuck you, fuck you " usne kursi par zor se laat mari aur bag utha kar vahan se chali gayi. Gusse mein uski sansein bahut jada tez chal rahi thi, vo gaddi mein baithi usne apna bag fainka aur ek pal zor-zor se sansein lene lagi. Sochte hue use sab batein yaad ane lagi jiske yaad atte hi use khud par ghin aur gussa dono ane laga.

Vo zor zor se gaddi par marne lagi " shit, shit, shit, shit, fuck " phir khud ko sambhalte hue baal piche kiye aur sansein kabu karte hue bag se mobile phone nikal kar number dial kiya.

" mr dixit " samne se phone uthte hi boli.

" yes naina tell me "

" do you know who is vikrant, detective vikrant "

" no why ? "

" because akshad wants to hire him "

" what ? tumhe kese pata ? & why he wants to hire a detective " uski awaz mein chinta aur ghabrahat thi.

" because he asked me to do so & he thinks ki vahi use bacha sakta hai "

" mene kabhi nahi suna iske bare mein and akshad didn't told me about him "

" usne sirf mujhe bataya hai mr. dixit aur apko batane se bhi mana kiya hai "

" but why ? naina do you think akshad know about us ?"

" i don't think so, apne bhi nahi jante ise, kisi ne iske bare mein nahi suna to question is how did Akshad know about him ? " usne phone cut karke ek bar vikrant ke ghar ki taraf dekha aur vahan se nikal gayi.

" interesting " vikrant laptop par chal rahi dono ki conversation ko sun kar muskura dia.
Bada khiladi he apna bhai :roflbow:
 

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
" vikrant " dad chillaye aur unki awaz gum ho gayi.

" i am alright, i am alright " mei ulta latka hua niche andhere se bhari gehrai ko dekh raha tha. Mene ek glow stick niche fainki aur vo us andhere mein kahin kho gayi. Mene apni kamar par bandhi rope abhi kholi nahi thi jo niche utarte waqt pehni thi varna is gehrai mein girne ke baad shayad kabhi vapis na aa pata.

" are you alright son " dad phir chillaye.

" yes dad, just pull me " uske baad dad ne mujhe khinch kar uppar kiya aur mujhe apne sine se laga liya.

" are you hurt ? " meko apne sine se alag karte hi unhone pucha.

" no dad, i.. i am fine "

" i thought ki mene tumhe kho dia " mene unki is baat ka koi jawab nahi dia. Kamar se rope hata kar bag se bottle nikal kar pani piya itne mein dad mere pas aye.

" should we go now or if you want some rest ? "

" no i am ok, hume aage badhna chahie par aage jane ke liye ek hi rasta hai " dad ne meri baat par sehmati dikhai aur hum apna bag lekar bahar aye. Niche maut thi aur yahan se aage jane ka sirf ek hi rasta tha. Deewar ke sahare ek kacha pul bana hua tha. Mene torch jala kar samne dekhne ki bhi kosish ki par andhera itna gehra tha ki jahan tak roshni gayi wahan tak sirf pul hi dikha.

Dad sabse pehle us kache pul par khade hue. Lakdi ka fatta aur kamjor rassi. Mene rassi ko pakda aur dhire se apne per pehli pehadi par rakhe. Ek ajeeb si awaz mere kano mein padhi. Mene niche ki taraf dekha aur dil itna ghabaya ki dubara niche dekhne ki himmat nai hui. Uske baad hum dhire-dhire aage badhne lage. Jaise jaise aage badh rahe the to vo pul teda meda hone laga. Deewar par kuch pakadne ke liye tha nai aur sara balance us rassi par jaa raha tha jispar halka zor lagne matr se hi vo pul hill raha tha. Dad mere se thoda aage the unhone per agli paidi par rakha aur vo tut gaya jise unka balance bigad gaya, vo rassi ki taraf gire aur vahan se niche girte use pehle mene unhe pakad liya par unke bag se kuch saman niche gir gaya.

" dad aap theek ho " hum dono ki sansein ful gayi thi.

" i am, i am.. " vo hanfte hue bole " be careful with the steps son " mene unka bag unhe diya aur ab hum dono behad aram aram se aage badhne lage aur kuch der baad hume zameen dikh gayi. Hum dono zameen par aye aur humne roshni samne dali.

Vo ek guffa jesi dikh rahi thi par uski gehrai behad kam thi. Hum jaise hi uske andar ghuse hume ek vishal darwaja dikha. Meri nazar us vishal darwaje par jami gayi. Darwaja shayad sone se banaya gaya tha, roshni dalne par vo chamakne laga, uspar alag alag tarah ki akrtiyun ke sath shayad ek bhasha ka proyog hua tha jiske sath uske bichon-bich lal rang ka bada sa stone laga hua tha. Dekhne mein itna sundar tha ki ek pal mei use dekhta hi raha phir dad ki awaz se mei hosh mein aya.

Unhone mujhe apne pas bulaya aur apni book khol kar panne palatne shuru kiye. Meri nazar book aur unke hath par thi jo kanp rahe the. " kya tum ye dekh sakte ho " vo ek jagah ruke aur unhone apni ungliyun se book par bane chitr ko dikhaya.

" aisa kuch to is darwaje par bana hai dad "

" han bilkul yani hum ek dum sahi jagah par hai son. Yahi vo darwaja hai jiske piche vo treasure hai " vo khush the.

" par hum andar jayenge kaise "

" usi mein hai " dad ne book band ki aur hum dono gate ke pas jaa khade hue. Unhe bich mein lage us stone ko dabaya par kuch nahi hua.

" careful dad, pata nahi ab kaun si nayi trick ho " mei ghabra raha tha kyun ki ab tak ke hissab se iske piche bhi koi trick ho sakti thi. Par shayad vo jante the ki vo kya kar rahe hain. Unhone jis stone ko dabaya tha use kuch hua tha shayad. Kyun ki uske baad unhone un akshron ko padna shuru kiya jo us darwaje par likhe the aur stone ko uppar ki taraf kar dia aur phir achanak hi us darwaje mein bahut zor se awaz hui. Jaise koi chiz bahut samay baad kholi gayi ho. Us guffa ki mitti jhad kar hum par giri jise andaza ho gaya ki akhri baar band hone ke baad shayad ye pehli dafa hai jab ise khola jaa raha hai. Unhone darwaje par dhakka dena shuru kiya par shayad vo fans gaya tha isliye mei bhi madad karne laga. Aur bahut zor lagane ke baad vo thoda khul gaya.

" itna kaffi hai " vo itna bol kar andar ghus gaye. Mei bhi unke piche ghusa to mano dum ghut gaya ho, hawa jaise vahan maujud hi nahi thi. Hum dono hi khasne lage par bit-te waqt ke sath hawa kamre mein felh gayi. Mene dekha darwaje ke piche rait kafi thi isliye vo piche nahi ho raha tha.

" son pass me ignitor " unhone mujhse manga to mene unhe nikal kar de dia. Vo thoda aage badhe aur aag ki roshni kamre mein maujud ho gayi. Aise karke kamre ke charon kone mein mashal jala di aur kamra roshni mein jagama utha. Kamra jada bada nahi tha aur mujhe koi treasure nahi dikh raha tha, tha to sirf ret aur charon aaur deewar.

" dad kya hum sahi jagah aye hain " vo deewaron ko dekh rahe the aur thodi der tak jab vo vahin khade rahe to mene unse pucha kyun ki mujhe lag raha tha hum sahi jagah nahi aye hain.

" come here " unhone mujhe bulaya " quickly "

" kya hua ? " mein unke pas pahunchte hi bola.

" inhe sab pata tha, sab kuch "

" kise aur kya ? " mei nahi janta lekin vo deewar par padte waqt apni book mein dekh rahe the.

" symbols, unki bhasha, vo hamari sabhyata, hamara culture sab jante the, sab kuch " vo tut-tut kar bol rahe the, deewar par symbols ko piroya gaya tha kuch aise hi symbols darwaje par bhi bane hue the.

" unhe ane valle waqt ke bare mein pata tha. Vo hamara time jante the vikrant, hamari sadi aur ane wali sadiyun ke bare mein unhe pehle se pata tha " unhone mujhe apni book ka ek tukda dete hue bataya. Mujhe thoda bahut hi read karne ata tha. Mene book se dekhte hue samjhne ki kosish ki aur jab samajh aya to hairani se meri ankhein khuli reh gayi. Dunia ki first aur second world war ki date, pehli mahamari ki tarikh. Tsunami, cyclone earthquake sab kuch vo deewaron par tarikh ke sath likh kar gaye the. Itna hi nahi balki vigyan aur uski hui uplabhdiyun ke bare mei, pehli satellite launch se lekar universe ke bare itna likha hua tha jo manav bhavshye ko badal kar rakh sakta tha.

" dad ye to human race ki paribhasha ko hi badal dega " mere chehre par ek muskan thi. Mujhe nahi pata tha ki hum kuch aise treasure ki khoj mein hain. Ye itihas ki pehli aisi khoj hogi jo hamari puri prajati ki soch ko badal kar rakh dene wala tha. Mei padh raha tha ki meri nazar ek akriti par akar ruk gayi. Vo baki symbol se kafi badi thi jise deewar par gadda gaya tha par dad ke diye gaye page mein uske bare mein kuch bhi aisa nahi mila.

" dad " mujhe jab dhayan aya ki dad mere sath nahi hai to mein ghum gaya. Dad vahan par bhi maujud nahi the " dad " mein dubara chillaya par unki taraf se koi jawab nahi aya. Dad wahan nahi the lekin wahan kuch aur maujud tha. Ek box jo pathar ke chabutre par rakha hua tha. Na hi ye chabutra pehle tha aur na hi vo box.

" dad " mei chillate hue gate ke bahar nikla lekin vo vahan bhi nahi the. " dad " meri awaz us khamoshi mein ek pal gunjne ke baad khoti chali gayi. Meri kuch bhi samajh nahi aa raha tha vo ek pal pehle yahin to the. Mei andar aya aur meri nazar us Box par gayi jo khali vahan rakha hua tha phir nazar dad ke bag par gayi jo zameen par pada tha, mene use uthaya " dad " mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki vo do pal pehle mere sath the aur ab nahi. Bag uthate hi meri nazar zameen par padi jahan kuch pada hua chamak raha tha. Mene use uthaya vo ek bada coin jaisa tha aur uspar ek akriti bani hui thi jise dekh mein samajh gaya ki uspar kya bana hai.

Meri nazar box par padhi, vo khula hua tha aur khali bhi tha. Kuch samajh nahi aa raha tha to bina soche mene box ko utha liya ek awaz to ayi par mene dhayan nahi diya lekin agle hi pal zameen hilne lagi. Jahan se box hataya tha vo kisi chiz par atka tha aur mere box hatate hi vo chiz niche zameen par dhans gayi jise dekhte hi samajh gaya ki mene galti kar di hai.

Uppar se mitti aur pathar ke tukde girne lage. Har chiz jaise girne ko thi, ek pal mei yun hi khada raha. Par dad hamesha kehte the focus hamesha pehle khud par rakho aur phir apne sathi par. Mene ek bar ankhein band karke ek gehri sans li aur bahar ki taraf bhaga par vahan patharon ka dher lag chuka tha aur jagah band ho chuki thi. Mei vapis andar aya kyun ki bahar jane ka ab koi rasta tha hi nahi, zameen bahut tezi se hil rahi thi. Koi to dusra rasta bhi hoga ye sochkar mei aage bada aur phir ek pathar mere sar par aa gira aur mei behosh ho gaya.

" tumhare dad vo kahan hai ? " akshad ne vikrant ke chup hote hi kaha ' Centeral Jail - Day 5 '

" aur tum, tum kaise bache ? " usne turant dusra sawal kiya. Kamre mein vikrant akshad ke sath pratiksha bhi baithi thi jise vikrant ne hi bulaya tha. Vikrant ne pani ki bottle utha kar pani piya aur chehre ko apne kapde se pochte hue bottle table par rakh di.

" 3 din baad hosh aya to meri ankh ek hospital mein khuli. Sea patrol mujhe vahan chhod kar gayi thi. Vahan kaise pahuncha ye raaz bhi usi tarah tha jaise mere dad ka gayab hona " pehli dafa uski awaz mein takleef thi. Vo chup ho gaya, par akshad ye samajh nahi paa raha tha ki uska is kahani se kya matlab hai. Vikrant ne use kyun fansaya is baat ka jawab use abhi tak nahi mila tha.

" vikrant, mei samajh sakta hun ki tumne us din kya khoya lekin mujhe abhi bhi ye samajh nahi aya ki isme tumne mujhe kyun fansaya " akshad ne apna sawal puch hi liya jo pratiksha ke man mein bhi chal raha tha.

" kyun ki mei chahta tha ki tum is jagah aao mr. walia "

" par kyun ? " Akshad ne jigasya purvak pucha. Vikrant kuch pal shant baith raha aur phir usne us vajah ko bataya jiske liye usne apni zindagi ki sabse badi planing ki thi.

" coordinates "
Chamgadad khane wale ka naam he bata dete tau to kya bigad jata :bat:
 

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
Akshad jis din se aya tha us din se use lag raha tha ki is farsh ki satah itni sakht nahi jitni honi chahie aur ab dekhne ke baad use samajh aa gaya kyun ki us zamane par log aksar farsh par baith kar pura din bita diya karte the. Unke banane ka tarika aur istemal hui chizen aaj ke zamane ke hissab se bilkul alag hoti thi. Vo abhi soch raha tha ki bahar se kisi ne awaz di.

Bahar wahi kaidi khada tha jo use pehle din mila tha. " kuch kaam hai ? " kuch der dono ek dusre ko dekhte rahe to akshad ne puch liya.

" kal der raat tere cell se awaz aa rahi thi, kya kar raha tha " vo bola. Ek pal akshad ghabra gaya lekin usne chehre par ane nahi diya. Vo salakhon ke karib aya.

" yahan aur koi kaam hai ? " usne jawab ki jagah sawal kiya " nind nahi aa rahi thi to bartan se gand khuja raha tha vaise bhi itni boriyat to mujhe kahin nahi hui pata nahi tum log kaise khali baithe gand marate ho idhar " vo janta tha ki uski ye chaal uspar bhari padh sakti hai lekin yahi to uska pesha raha hai jabse usne apni zindagi mein khazana khojna shuru kiya tha. Vo ek baat shuru se janta tha jab tak risk nahi tab tak kuch pane mein chaska nahi. Bahar khada kaidi use ek pal dekhta raha aur phir vahan se chala gaya. Uske jane ke baad akshad ne zameen se kurede hue tukde uthaye aur pot ke andar dal diya. Use dhophar ke kahne ka intezar tha, vo cell mein baithe baithe hi band darwaje ke bare mein soch raha tha. Vo sure nahi tha ki uske piche wahi hai jo vikrant ne bataya lekin pata karne ke liye uska khulna jaruri tha aur use khulwane ka bas ek hi tarika tha.

Vo khane ki line mein laga hua tha aur uski nazar kisi ko dhund rahi thi, usne khana liya aur vapis kal wali jagah par ja baitha. Abhi vo khane ka nivala andar daal hi raha tha ki pandey uske bagal mein aa khada hua. Akshad ko malum tha lekin usne uski taraf nahi dekha aur vo khane laga.

" lagta hai tu shanti se rehna nahi chahta. Kahin aisa na ho jaye ki kisi raat tere cell ka tala khula reh jaye aur koi tujhe tere hi takiye se teri sansein rok de " pandey ki baat ka akshad ne koi jawab nahi diya to usne galle par zor mara aur akshad ki thali mein thuk diya. Akshad ne apni nazre utha kar uski taraf dekha to vo hasnta hua vahan se nikal gaya. Akshad thali lekar khada hua aur khane ko dustbin mein dal kar pani pite hue pandey ke pas pahuncha jo ek kaidi se baat kar raha tha. Akshad ko apni taraf ata dekh usne ishare se use jane ke liye keh diya.

" kya hai chal ja apne cell mein " pandey pocket mein hath dalte hue bola.

" kab tak nakli saman bechte rahoge " itna keh kar vo vahan se apne cell mein aa baitha. Uske dimag mein kafi sawal the. Vikrant ki baat par vishwas rakhe to kuch hi din bache the uske pas aur kaam asan nahi tha.

" chalo nahane ka samay ho gaya hai tumhara " Akshad awaz sun soch se bahar aya.

" aaj mera din nahi hai aur " vo bol kar chup ho gaya kyun ki jo officer bulane aya tha vo andar aa khada hua tha. Uske hav bhav dekh akshad samajh gaya ki kuch gadbad hai vo bina kuch bole khada ho gaya aur uske sath bahar aa gaya. Nahane wali jagah pahunch kar jab vo andar ghusa to dekha do jane pehle se hi vahan maujud the, uske atte hi ek badan pochta hua bahar chala gaya. Akshad ko kuch gadbad lag rahi thi lekin vo kuch nahi bola aur kapde utar shower ke niche jaa khada hua. Ek pal baad uske bagal mein naha raha kaidi bhi shower band karke pochte hue kapde pehnna laga aur bahar nikal gaya, ab vo sirf akela naha raha tha. Dimag itni tezi se kaam kar raha tha ki vo abhi sab samjha hi tha itne mein piche se kisi ne uski gand par blade se kaat diya. Akshad chillata hua ladkhda gaya aur muda to sirf wahan se us shaks ko bhagta hua dekh paya, kaun tha ye use pata nahi chala. Akshad dard mein karhata hua gir gaya, pani ke sath khoon bhi nali mein behta hua jaa raha tha. Vo kuch dard mein wahin pada raha aur phir kuch der baad officer use utha kar vahan se le gaye aur thodi der baad akshad apne jail mein laita hua tha. Sidha laitne mein takleef ho rahi thi isliye vo karwat ke bal laita hua tha.

Raat ke khane ke liye vo bahar nahi gaya aur apne uppar hue hamle ke barre mein sochne laga tabhi pandey uske cell ke bahar aa khada hua.

" kaha tha gand mat uchal. Is baar to gand par pada hai agli baar galla bhi ho sakta hai " vo use dhamki dete hue jane laga par akshad ki baat ne use rok dia.

" nakli maal mein paisa nahi hai " akshad ki baat sun kar vo uski taraf muda.

" tujhe apni zindagi pyari nahi hai tu nahi janta kise " pandey ghutne mod kar baithte hue akshad ke chehre ko dekhte hue bola lekin bich mein rok diya gaya.

" mei deta hun maal " akshad bola to ek pal vo use dekhta raha.

" tu janta hai ek polcie wale ke sath drugs ki baat karne par tere sath kya hoga ? "

" ek pudia ke 10 hazar milenge " akshad ne ansuna kar apni baat kahi. Pandey sun kar hairani bhari ankhon se use dekhne laga " pehle sample mein 10 pudia ban sakti hai aur uske tumhe paise bhi nahi dene padenge " akshad chup hua aur pandey use dekhta raha jiske baad uth kar vahan se chala gaya. Akshad vapas lait gaya, vo janta tha dana dal chuka hai aur vo galat bilkul nahi soch raha tha kyun ki tabhi ek kaidi khane ke sath uske cell ke andar aa ghusa.

" pandey sahab ne kaha tere par kisi ne hamla kar diya " vo khane ka pura saman laya tha. Akshad apni plate lene ke liye khada hua par us kaidi ne use uthne nahi diya aur plate uske pas hi le aya. Ek pal laga use ki vo zameen dekh lega lekin uska dhayan to sirf baat karne mein tha. " kisne kiya pata chala ? " uske puchne par akshad ne nar mein sar hila dia.

" acha chal khana kha le " vo khana dene ke baad bhi wahi baitha raha. Akshad ko kuch samajh nahi aya to usne dubara khane ke liye bola. Akshad ne chawal mein hath dala to use kuch mehsus hua, usne aaju baju dekha koi nahi tha jo uski taraf dekh raha tha. Usne chawal se ek pen bahar nikala jispar kagaz lipta hua tha. kagaz ka khali tukda aur pen vo ek pal soch kar uski taraf dekhne laga.

" khana aaj achi jagah se ban kar aya hai kha kar dekh acha hai ? " uski baat ke piche koi matlab tha, akshad sochne laga aur eka-ek use samajah aya. Usne kagaz par ek number likha aur ek message jisme likha tha ki ' Arabian sea ka pani khara hai to use matke mein bhar de ' aur pen par roll karke use de diya. Kaidi ne use apne bache hue khane ke andar dabaya aur vahan se chala gaya.

Akshad ne cell se nazar bahar nikali to us kaidi ne chupke se vo pen pandey ko pakda diya tha. Usne kagaz par likhi baat padhi aur akshad ki taraf nazar ki jo use hi dekh raha tha. Akshad janta tha ki pandey yahi sochega ki use jail mein tarike se rehne ko diya jaye jaise vo un kaidiyun ko rehne deta hai jise maal dekar paise leta hai, jaisa usne pehle din dekha tha. Ab bas use intezar karna tha, kitna ye vo nahi janta lekin pandey uske pass jarur ane wala tha ye tay tha.

Agle 3 din yun hi bit gaye, aaj uske nahane ka din tha, vo langdatte hue bathroom pahuncha aur nahane laga. Uski gand ke dono hisson par bade-bade katne ke nishan the. Samay kam tha aur abhi tak kuch bhi nahi mila tha vo ye baat ache se janta tha. Uske sath vala kaidi eka-ek nikal gaya ye dekhte hi vo ghuma to dekha pandey wahin khada tha.

" manna padega tujhe bada sahi khela tu to " akshad ne shower band kiya, use pandey ki baat abhi tak samajh nahi ayi thi. " tere bare mei pata kiya, tu to bahut bada anti kya kehte hain use "

" antiquarian " akshad bola

" han wahi, mere ghar mein bhi ek jagah khali hai biwi bol rahi thi kafi din se ki vahan par kuch acha sa la do to lakar de kuch " akshad ko laga ki iska lalch band nahi hoga par agle hi pal pandey hans pada. " jane de tere sample se jo ek paiti ikhati ki hai use mein kuch acha le lunga tu bata tujhe kya chahie " pandey ke achanak is sawal par ane ki akshad ko umid nahi thi. Vo chup khada raha " kuch chahie hoga tabhi to tune apni rakhail ko mere pas bheja tha saman ke sath " pandey pratiksha ki baat kar raha tha kyun ki vo number uska tha aur likha hua phrase sirf wahi samajh sakti thi.

" padhne ke liye chahie taki time beet sake " akshad ki baat sun pandey use hairani mein khada dekhta raha aur phir hasne laga. " bhosdiwale tum bade log aur tumhare shauk chalo isi bahane hamari jeb garam rehti hai, kal se angrezi akhbhar ka intezar karata hun " pandey bol kar jane laga.

" books " akshad bola to use kadam ruk gaye.

" kitab chahie tujhe, hmm " vo sochne laga par use samajh nahi aya " kaisi laun ? nangi chitar vali chalegi, desi ya videshi ? " vo phir hansa, use laga akshad usi ki baat kar raha hai jo akhbar mein daba kar vo patli kitabein asani se layi jaa sakti hai.

" itihas ki .. mujhe unhi se lagav hai "

" behenchod kaidi hai koi mera bacha nahi jo baap samajh kar apni icha batayega, dekhta hun kuch " pandey ukhadte hue bola.

" ise bhi acha sample hai mere pas " akshad ki baat sun vo bathroom se jatte-jatte ruk gaya. Pandey ne use ghura, vo is admi ko samajh nahi paa raha tha.

" dekh itihas ki kitabein thoda mushkil hai andar lana aur vaise bhi mera hath itihas mein tang raha hai " vo itna bol kar chup hua jaise kuch soch raha ho. Akshad wahi chahta tha ki vo soche aur soche aur soche aur phir " mughalon ki chalegi ? " vo itna hi bola aur akshad ne ek sans chhodi aur han mein sar hila diya.

Aaj sab apna khana chhod ek hi taraf dekh rahe the. Pandey tala khol raha tha lekin itna tight ho chuka tala khulne ka naam nahi le raha tha, usne usme tel dalwaya aur phir tala khol dhakka dekar gate khol diya. Miti ki wajah se usko khansi uthi par vo muda aur sabhi kaidiyun ki taraf nazar kar li " jisko padhne ka shauk ho unke liye khula hai ye, yaad rahe koi bhi kitab apne cell ke andar nahi layega. Jo bhi pakda gaya usko 1 hafte ke liye pani nahi diya jayega " Sabhi ki taraf dekhte hue usne akshad ki taraf dekha jo kaidiyun ki bhid mein khada library ke khul chuke gate ki taraf dekh raha tha.
Finally library mil he gayi :yippi:
 

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
We
Mene apna bag niche rakha aur diary ko baju mein dabate hue box ko chuha. Box par behad kubsurat deisgn bana hua tha, mei use hath se chute hue ye samajhne ki kosish karne laga ki akhir aisa kya hai isme jo ise itne rehasamye tarike se rakha hua hai. Box kholne se pehle mei ache se use samjhna chahta tha isliye jab meri nazar box par likhi hui bhasha par gayi to mei apni book mein khojne laga lekin kuch samajh nahi aya. Mene diary band karke apni bajun mein fansayi aur box ko phir hath se chune laga. Aur gaur se dekhne par aisa laga jaise iske bich mein kuch aisa hai jo mene dekha to hai par dhayan nahi aa raha kidhar. Mene us hisse par chuha to mujhe laga ki vo box par jaise fansaya gaya hai isliye mene use bahar nikalne ki kosish ki par vo nahi nikla. Mene ek dafa piche dekha to vikrant abhi bhi deewar par likhe akshron ko decipher karte hue unhe samajh raha tha.

Nazar dubara box par dali aur is baar nikalne ki jagah mene us hisse ko ghuma diya kyun ki mujhe aisa laga jaise mene pehle bhi ise ghuma rakha hai. Jaise hi mene use ghumaya usi pal box ka deisgn badal gaya aur jab vo badla to bich mein us akriti ko dekh mei hairan ho gaya kyun ki ye wahi symbol tha jise mei aaj tak decipher nahi kar paya tha aur book mein uska kai baar jikar tha. Shayad ab vo nikal sakta tha isliye mene use fauran box se utha liya aur use dekhta raha. Tha coin jaisa par ise nikalte hi box ka deisgn badal chuka tha aisa laga jaise koi chabi ho iski? kya rishta hai iska treasure se? mene apni nazar box ki taraf badhai shayad jawab andar maujud tha. Uski taraf dekhte hue mene hath se us coin ko chhod diya aur vo ret mein jaa gira.

Kya mujhe ab andar koi raaz pata chalega ya phir ek paheli hi hogi? Soch kar mene box ko khol diya aur jaise hi vo khula ankhon mein ek chamakti hui roshni ne pultiyun ko gher liya. Vo lal rang ki chamakti hui kanch jaisi cheez thi jiska koi aakar samajh nahi aa raha tha kyunki vo ek tute hue stone ka tukda lag raha tha. Mei use uthane se khud ko rok nahi paya aur akhir use apni hatheli par rakh liya kya ye wahi khazana hai jiski mei itni khoj kar raha tha par isme aisa kya hai? khud ke sawal pane ke liye mene stone palta. Vo piche se khurdura sa tha mene use apne anguthe se ragda lekin samajh nahi aya ki ye chiz kya hai, mei use vapis ghuma kar dekhta use pehle mujhe laga jaise uspar kuch hai jo hil raha hai aur phir mei use gaur se dekhne laga. Dekhte hue mujhe dubara usme se kuch hilte hue dikha jiske baad sab badal gaya, meri ankhon ek samne tezz tivrta mein roshni aayi aur ek pal laga ki mei behosh ho chuka hun lekin agle hi pal mujhe hosh aya aur jaise hi hosh aya.

Mei jaise kuch der baad hosh mein aya aur jab aya to apne ird-gird ke mahol ko dekh chaunk pada. Mei kisi vishal khali maidan mein khada tha dur-dur tak sirf lal parat wali zameen dikhai de rahi thi, vatavaran mei itna andhera aur dhuan tha ki suraj uske piche chup chuka tha. Mujhe laga ek pal mein sapna dekh raha hun par tabhi mujhe kuch sunai diya jaise koi mujhse baat karna cha raha ho, awaz meri dayein aur se aa rahi thi. Mene apni nazre udhar modii to dekha, vo lal zameen ke niche se nikalta lava bahar aa raha tha yani mein jawalmukhi ke uppar khada tha. Mene piche hatne ki kosish ki lekin apni jagah se nahi hil paya. Dimag mein awaz ne fir dastak di aur dhayan us taraf gaya. Kahan se aa rahi hai awaz, nikalte lava ki aur dekhte hue meri nazar ek jagah jakar ruk gayi.

Ye to wahi stone hai jo mujhe mila tha ye yahan kaise? aur mei yahan kaise? kya hai ye? dimag ke itne sawalon ke bich ek dafa phir awaz ayi.

" jo tum khoj rahe ho vo mei hi hun "

" kaun ? " mei ghabra gaya kyun ki dimag ne awaz to suni par koi dikhai nahi diya.

" wahi jise tumne apni hateli mein thama tha " baat sun ek pal mei chup raha phir agle hi pal baad yaad aya ki is stone ko mene box se utha kar apni hateli par rakha tha jo abhi theek samne lava ke uppar pada tha. Ek pal uthate hue dar laga par agle pal jab dhayan diya to mei bhi usi ke uppar khada tha aur mujhe kuch nahi ho raha tha. Mei jhuka aur mene us stone ko utha liya jisme meri parchai dikh rahi thi.

" kahan hun mei ? " sawal mene use hi dekhte hue kiya kyun ki dimag mei atti awazein usi taraf se ayi thi jahan se stone uthaya tha.

" tum wahi ho jahan gaye the bas farak itna hai ki tum waqt ke sath dharti ke us chakr mein ho jab dharti apne nirman mein thi " awaz phir dimag mein gunji par bolte hue koi nahi dikh raha tha. Uska jawab sun mene phir apne charon taraf dekha kya ye dharti thi? Par mei yahan kaise aa sakta hun aur ye hai kaun aur kaise kar sakta hai ye sab.

" kaun ho tum? aur kya chahte ho ? " mene stone ki taraf dekhte hue pucha kyun ki mujhe lag raha tha jaise koi hai jo us stone ke madhyam se mujhe dekh raha hai.

" mei vo hun jo dharti ke atit, vartaman aur bhavishye ko dekh sakta hai " usne mere sirf ek hi sawal ka jawab diya jise sun mei hi hairan ho gaya.

" kya ? " mere sawal ka koi jawab nahi aya lekin tabhi mere samne ka drishye badal gaya. Agle hi pal jawalamukhi ki jagah khali banjar zameen mein dharti tabdeel ho gayi. Aur phir vo hua jis kaam ko karne mein dharti ko sainkdon saal lage the yani vo dharti ki parat jo tut-tut kar mitti mein tabdeel hui thi jise mene kuch hi pal mein hota hua dekh liya jiske baad mausam mein badlav aya, kabhi dhoop to kabhi baarish aur phir ek paude ka janam hua jo dhire-dhire badha hota dikhne laga aur phir dekhte hi dekhte khub sarre bade-bade pedon ke sath puri jagah ek jungle mein tabdeel ho gayi. Jisme che-ekhte hue chidiyun ki awaz ke sath dharti ke nirman ke baad sabse pehla janwar dikha dinasaur aur unki puri zindagi jo ek hi pal mein gayab ho gayi jab vo astroid dharti par girne shuru hue jiske baad phir dharti ek lavve mein tabdeel ho gayi aur dheron dinasaur dharti par pade pade gal gaye. Ek pal dharti phir usi tarah nasht hui aur uske baad uska janam hua jisme insano ne dharti ko apni chapet mein liya.

Achanak hi kahani ulti ghum gayi, insanon se dinasaur, dinasur se pehle dharti ka nirman aur is baar waqt sirf yahan tak hi nahi thama, jis jawalamukhi par mei khada tha waqt use bhi jada piche le gaya jahan ab ek banjar zameen thi aur kuch nahi sirf ek banjar zameen jiska rang cement ke rang jaisa tha mano abhi neev rakhi gayi ho aur tabhi asman se bade-bade asteroid dharti se takrane lage jisne vishal visfot karke dharti ke bhitar jal rahi aag ko dharti par failana shuru kar diya. Samajh nahi aya ki kab tak vo astroid dharti par girte rahe lekin usi mein jaise mera dimag kahin khinch kar meri nazar ko ek taraf modna chahta tha.

Meri nazar asman ki taraf gayi, jahan par aag mein jalta hua gola theek mere samne aa gira, vo behad chota meteroid tha jo dharti par girte hi jawalamukhi ki chapet mein atte hi gal gaya jiske andar se jo nikla use dekh meri hairaniyat ka koi tikhana nahi raha. Ye wahi stone tha aur is baar vo is tarah dikh raha tha jise mei uske dono hisson ko dekh paa raha tha aage ke hisse par chamkila stone aur piche ke hisse par jo chipka hua tha aur shayad lakhon ki sankhya mein tha isliye jab vo ek sath hila tab mujhe samajh aya ki ye kya hai. Uske stone ke piche ek living organism tha yani dharti par jo abhi girte hue mene dekha vo bharmand ki dunia se ayi hui ek prajati thi.

Jaise hypnotize ke baad chutki bajate hi insan hosh mein ata hai usi tarah mei hosh mein aya aur ek baar phir mei hath mein stone ko liye usi jawalamukhi wale waqt mein khada tha jahan se in sab ki shuruwat hui thi.

" is greh par jab mei aya tha to yahan ke haalat aise hi the isliye mei ise apni janam bhumi manta hun"

Yani is stone par jiti jagti ek zindagi hai. Mene stone ghumaya jise ghumate hi vo lakhon ki tadat mei chipke organism hil rahe the jise dekh mene ghabrate hue use hath se chhod diya. Dil ghabrahat mein duba hua tha, ek pal use hi dekhta raha, man mein itne sawal the ki samajh nahi aya kahan se shuruwat karun aur kahan se nahi.

" Tumne dharti ko kyun chuna? " man mein pehla sawal yahi utha. Ek pal tak khamoshi rahi aur phir vo organism zor-zor se hilne laga aur unki awaz mere dimag mein jawab ban kar ane lagi.

" jab bharmand mein visfot hua jise insan big bang kehta hai to sirf greh ka hi nirman nahi hua balki tarah tarah ki zindagi banni usi mein mera nirman bhi hua aur phir us samay jab mein bhraman mein ghum raha tha uski khubsurti ko dekh raha tha, use samajh raha tha tab mei ek greh ki aaur khincha chala aya aur uspar aa gira "

" dharti "

" han mei dharti ke waqt hun jo sab janta hai, uski shuruwat bhi aur uska ant bhi " dimag mein ek baar phir awaz ayi aur mei samay mein aage chala gaya shayad bahut aage yani kalyug ka ant, insano ka ant jisme mene vo ladai dekhi jisne kalyug ka ant kiya aur ek bade visfot ke baad itni teevr matra mein roshni hui ki puri dharti jal mein sama gayi ek pal to mano laga ki mei bhi dub raha hun par agle hi pal vapis usi jagah par aa pahuncha. Mera sina zoron se dhadak raha tha, sharir kanp raha tha. Par itna samajh aa gaya ki us sadi ke logon ko waqt ke aage aur piche ka sab kuch kaise pata chala.

" tabhi us sadi ke insano ko pata tha ki ane walle waqt mein kya hone wala hai " mei aur bhi chizen soch raha tha par usne mujhe bich mein rok dia.

" tumhe pata tha " ek pal mujhe samajh nahi aya ki usne kya kaha. " mujhe matlab? mujhe to abhi pata chala hai " mene uski taraf dekha.

" nahi vo pehle insan tum the jisne mujhe khoja tha, Jisne mujhe jana tha " uske kehte hi ek jhalki mere samne aa khadi hui jisme mein usi umar mein tha jis umar ka abhi tha, saddi vo thi jo mei aaj ke zamane mein khoj raha tha aur mere hath mein ye stone tha jiske aage hazaron log mastak tek rahe the. Mene hi us jagah ka nirman karaya aur phir wahan rehne laga. Vo mei hi tha jisne vo kamra banwaya jahan mene vo stone box mein rakh kar use chupaya. Vo mei hi tha jisne waqt mein hone wali baton ko us bhasha mein likha tha jis basha ko mei aaj ke waqt mein decipher kar raha tha. Sab kuch karne wala koi aur nahi bali vo insan mei tha na ki us sadi ke insan. Vo to sirf meri pooja karte the.

" nahi.. nahi nahi " mei chilane laha " kaise ho sakta ha ye? nahi.. mei... " mere samajh nahi aya ki kya ho raha tha, jhalkiyan hat chuki thi lekin mujhe yakeen nahi ho raha tha.

" vikrant " usne naam liya aur mujhe vikrant ki yaad ayi. Mei yahan kab se tha shayad " vikrant mujhe khoj raha hoga "


" fikar mat karo tum abhi wahin ho aur vikrant bhi wahin hai tumhari hi baton ko padh raha hai jo tumne un deewaron mei likhwai thi. Waqt ki maya hai mene tumhe waqt mein dhima kar diya hai isliye tum ab dharti ke waqt ke sath nahi chal rahe ho "

" par ye kaise ho sakta hai "

" bilkul ho sakta hai vikrant "

" mera naam alok hai "

" alok aur vikrant dono ek hai " ek aur jhatka mera intezar kar raha tha par baat wahin nahi ruki usne mere dimag mei sari jhalkiyan dikha di aur sab kuch samne aa gaya. Mei vikrant tha jisne treasure ki khoj ki aur phir 1985 mei aa pahuncha, jahan mujhe neelam mili aur mera hi dwara pakdaya gaya vo kagaz ka tukda bhi jise khojte hue mein yahan pahuncha tha. Vikrant alok ka beta tha aur alok hi vikrant tha.

" Ye nahi ho sakta " hairani mei meri ankhein khuli reh gayi.

" ye pehla mauka nai hai jab mei tumhe ye sab bata raha hun tum abhi tak meri khoj satrah bar kar chuke ho aur meri tumse ye sataravi mulakat hai "

" kya bola tumne satarvi baar ? " meri ankhein bas khuli hui thi, sans lena jaise mei ab bhul chuka tha.

" tumhara maksad tha mujhe yahan se le jane ka aur mera istemal insano ki bhalai karne ka lekin aaj tak tum isme safal nahi hue ho aur waqt ke chakr mein fans kar reh gaye "

" lekin kyun ? " jawab ki jarurat nahi thi ab mujhe sab vaise bhi yaad aa chuka tha akhir baar Akshad ne us box se key nikali thi aur tabhi mein 1985 mein jaa pahuncha tha yani us key aur is waqt ka ek judav tha jiske alag hote hi waqt ka chakr ghum gaya " to tumne hi us key ko waqt ke sath jod rakha hai "

" mei sirf waqt par kabu kar sakta hun ye kaam to tumne kiya tha taki koi bhi mera duropyog na kar sake. Tumne hi mujhe us bakse mei dal kar mujhe use bandha tha aur is rehsaye ko tumne kabhi nahi likha " uske jawab dete hi mene dhayan diya ki abhi-abhi mene bhi wahi kaam kiya tha.

" mene abhi us key ko box se alag kiya tha, mujhe fauran udhar le chalo use vapis lagana jaruri hai varna mei phir use khoj mein niklunga aur phir wahi sab karunga jo mei abhi soch bhi nahi sakta " meri baat ko usne bich mein rok diya.

" waqt ka paiyan ghum jata hai to kya hota hai? "

" kya ? " mene uski taraf dekhte hue sawal kiya par koi jawab nahi aya aur jab mene kuch aur puchna cha to achanak se jaise phir kisi ne mujhe hypnotize se bahar nikala ho aur mei usi jagah aa pahncha jahan par mujhe hona chahie tha, usi kamre mein, stone mere hath mein tha. Ise pehle der hoti mene apni nazar piche vikrant ki taraf modii vo ek hi taraf dekh raha tha use vo akriti samajh nahi aa rahi thi aur ati bhi nahi kyun ki vo akriti book mein kahin nahi bani thi kyun ki vo akriti kisi khazane ki nahi thi balki meri thi aur africa ka statue bhi meri akriti ka bana hua tha jiske hath mein book thi.

" vikrant " mere muh se halki awaz mein uska naam nikla aur usi pal " dad " vikrant piche ghuma lekin wahan koi nahi tha " dad, dad " vikrant chillata hua khojne laga lekin use sivai bag ke kuch nahi mila. Pathar ke uppar khula hua box rakha tha aur phir uski nazar farsh par pade coin par gayi jise usne utha liya aur jaise hi usne box uthaya zameen zor-zor se hilne lagi aur dekhte hi dekhte vahan pathar girne lage jisme se ek uske sar par aa gira aur vo behosh ho gaya.

Achanak se uski ankh khuli aur vo uth baitha. Ubasi lete hue usne apne pajame ke uppar se lund khujaya aur laptop ki screen utha di. Password dal kar usne pichli raat wali video resume ki aur pajame ke uppar lund ko masalte hue screen par chal rahi chudai dekhta raha aur phir ek kampan ke sath gehri sans lete hue apni jagah se khada ho gaya.

Kamre ke usi kone mein ek chota se washbasin se pani ko muh mein dala aur thuk dia. Phir zameen par pade akhbar ko uthaya apni kursi par vapis aa baitha.

" President ki beti ke sath rape aur murder, aropi Manish Mehra sakht kaid mein " ubasi lete hue usne akbhar ko wahin chhod dia aur uth kar piche kamre mein chala gaya.

Akhbar par tareekh thi 21 May, 2020



"The End"
Kahani gol gol ho ke khatam bhi ho gayi :confuse:
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,419
143
Baarish bahut tezz gir rahi thi, paton par pani ke shor ke sath vo dono andhere mein bahut tez bhag rahe the. Baarish aur andhere mein kisi tarah vo jungle ke bich mein tehniyun ko hatate hue bhag rahe the.

" dad, dad" jungle mein awaz gunjti par baairsh mein kahin dab jati.

" keep running son, keep running " piche se chillane ki awaz ayi to mei phir tezzi se bhagne laga. Sansein chadd rahi thi pani palkon par gir raha tha. Hum Dono kuch der se is kharab mausam mein bhagte hue kahin pahunchna cha rahe the. Bhagte bhagte mei achanak ek jagah aa ruka jahan baarish se pani jama ho chuka tha aur zor-zor se sansein lene laga.

" dad idhar, meri awaz ko follow karo " mei jungle ki jhadiyun ki taraf dekh raha tha, baarish ke shor mein jese awaz gum ho rahi ho yahi mehsus karke mei phir chillaya " dad mein idhar hun, meri awaz ko follow karo " par jab jhadiyun mein kisi ke ane ka ehsas nahi hua to mei khud us taraf tezi se bada aur jhadiyun ke pas pahunchte hi mei takra gaya aur hum dono zameen par aa gire.

" dad " mene apna sar jhatka aur khada hua, " dad, aap theek ho " aur apne dad ko uthaya.

" yes son.. i am " mei janta tha ki vo theek nahi hai, baarish mein itni der se bhigne ki vajah se unka sharir thanda padne laga hai aur agar jald hi kuch garmi unke sharir ko nahi mili to unka dil jada der shair ke girte tapman mein dhadak nahi payega. Mei dad ke kanpte hathon ko dekh kar is baat ko samajh raha tha.

Asman mein badal bahut tezi se garaz rahe the, tufaan apne charam par tha. " locator kharab ho gaya hai girne ki vajah se "

" sorry dad " ise jada kuch nahi bol paya.

" give me your map " mene dad ko map dia aur torch jala kar map ko dekhne mein madad karne laga aur phir usi map ke uppar magnet rakh kar vo hamari position dekhne lage.

" son, hum sahi jagah par hai bas use pehchanna hai "

" par is badhte tufan mein hume pehle kahin sar chupana hoga varna "

" i know, i know par you know about this mission, iska risk, hum itna pass akar use kho nahi sakte, samajh rahe ho ? "

" ji dad "

" good, mujhe bhaorsa hai ki vo yahin kahin hai hume bas use pehchanna hai " dad asman mein dekhne laga, baarish ki bundon ke alawa bich bich mein bizli ki chamak se unkaa chehra chamak raha tha.

" dad, dad " mere awaz sunte hi vo mere pas aye to mene unhe ishare se samne kuch dikhane ki kosish ki. Unhone torch jala kar dekhne ki kosish bhi ki par andhere mein girti baarish ke alawa kuch nahi dikha.

" kuch samajh nahi aa raha "

" wait dad, bizli kadakne ka wait karo " mera yakeen tha ki jo mene abhi dekha vo sahi tha aur tabhi bizli kadki aur roshni ke hote hi pehle mere chehre par muskan ayi aur phir dad ke chehre par.

" ye wahi hai, ye wahi hai.. " light padhte hi jungle ke bich chamak dekh dono ke chehre khil uthe. " humne kar dikhaya, ye aaj tak ke insani ithias mein sabse badi discovery hogi, well done son " khushi zahir karte hue dad meri pith thap-thapane lage " jaldi chalo ab mujhse intezar nahi ho raha " ankhon mein ek chamak thi aur phir hum dono us taraf badh chale.
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,419
143
" kya ye insano ka banaya hua hai ? " dur se jada samjhna mushkil tha par itna dikh raha tha ki kafi saal purana hai aur us samay is tarah ka nirman kaise hua hoga.

" yes son, indeed, jese bade bade pyramids banaye gaye vese ise bhi banaya gaya hoga " unki sansein ukhdi hui thi.

" par kaun si sadi mein? " mei dekh paa raha tha ki pathar se banai gayi boundaries aur uske bich mein ek lamba sidha dancha jiski unchai is andhere mein naap pana mushkil tha, ek aisi cheez vo bhi is jagah par hona ek aisi sabhyata ko ujagar karta hai jiska shayad ab koi astitiv bacha na ho.

" ye pathar hazron saal purana hai " kurdete hue unhone pathar ki mithi ko hath par rakha jo baarish ke pani se beh gaya.

" dad, idhar " mene unki baat ansuni kar sar dhakne ki chatt khoj li. Mujhe ek pathar se bana shade dikh gaya tha, jiske niche khade hone se hum baarish se kuch der bach sakte the. " baarish ka pani ghutne tak hai par sar sukhana hoga apki body ka tampan girta jaa raha hai " mene dad se kaha.

" han han theek hai " humne apna rain coat utar diya, phir bag se sukha kapda nikal kar unhe de dia aur dawai ka daba nikal kar injection refil karne laga.

" baarish ek vajah hai iske pathar ki mithi kamjor hone ki "

" shoulder " mene unke kandhe par injection lagaya aur khud ko laga kar bag mein saman dal kar pack kar dia.

" hume ye mithi le jani hai, i need to study this " dad torch ki roshni se diwar par badhbadate hue kuch padne ki kosish karne laga.

" dad, dad "

" han.. " vo mano kisi chiz mein kho gaye the.

" kya padh rahe ho ? "

" nothing, nothing "

" aap kuch bata rahe the us time? "

" mujhe lagta hai ki yahan par koi sheher raha hoga aur yahan ke mausam ki wajah se hi unki prajati ka ant hua hoga "

" par apne to kaha tha ki "

" i know, i know, bahut kuch hai abhi jise hum anjan hai aur jo andar jane ke baad hi pata chalega " unka ishara samne tha. Dad kuch baichan hai, koi baat jo vo abhi chupa rahe hain, par aisa kya ? mein samajh raha tha ki lekin kuch baton ka jawab abhi pana mushkil tha.

" chalein " hum baairsh mein phir nikal gaye aur kuch der chalne ke baad jab vo imrat ke najdeek pahuchne lage tab paya ki imrat ke charon aur pani bhar chukaa hai

" pani ki behne ke tarike ko dekh rahe ho, niche ki taraf ikhata ho raha hai yani niche jane ke liye sidiyan bani hui hogi " bolte hi unhone apna per aage badhaya aur vo sahi sabit hue. Sidhiyan pani ke andar chup gayi thi jo us imarat ki aaur ka rasta bana rahi thi.

" yani imarat ki unchai jo dikh rahi uska kuch hissa pani ke niche hai "

Baarish ke alawa jo uljhan mere man mein thi vo ye ki andar jane ka rasta kahin dikh nahi raha tha aur pani jo charon taraf bhara tha vo badhta jaa raha tha.

" c'mmon son, kya soch rahe ho " meri nazar dad par gayi vo sidiyan utar chuke the.

" dad kitna gehra hai we don't know "

" you know how to swim " unke jawab ke aage koi sawal nahi tha. Mein bhi utarne laga, dil mein ghabrahat thi isliye mene apni nazar dad par lagaye rakhi thi taki dar kam lage aur pani ki height ka andaza lagta rahe. Pani kandhe tak aa chuka tha aur ab shayad koi sidiyan thi bhi nahi. Hum dhire-dhire aage badh rahi the, pani ka dabav aur baarish ne dhema kar dia tha, sans fulne lagi thi, mujhe dad ki chinta hone lagi. " dad are you ok ? " vo meri awaz sun nahi paa rahe the shayad sun kar ansuna kar rahe the.

Asman mein zordar bizli kadki aur ek pal ke liye mein sihar utha, par manzil karib thi shayad utni karib jitni hum dekhna cha rahe the.
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

Zoro x

🌹🌹
1,689
5,419
143
Asman mein zordar bizli kadki aur ek pal ke liye mein sihar utha, par manzil karib thi shayad utni karib jitni hum dekhna cha rahe the. Ki tabhi ankhon ke samne se dad ojhal ho gaye, " dad... dad " mei chillaya, jitni tez chal sakta tha utni jaldi aage badha aur phir mein bhi pani ke andar dub gaya. Achanak jese jameen hi hata di ho, pani ke andar jatte hi mene torch on ki aur idhar-udhar dekhne laga par andhere mein dad kahin kho se gaye the, mei pani ke andar hi chillaya par usi pal mujhe bahar khinch liya gaya.

" unnghhh.. dad.. " mein sans durust karte hue bola.

" i am here son "

" dad "

" relax, darne ki jarurat nahi hai, its me "

" ok.. uhhhh ok.. " mei ek pal ke liye bahut dar gaya tha.

" lets go, hum bas phuchne wale hain " dad mujhe khinchte hue le jane lage aur jab mene us imarat ki deewar chui tab jakar mujhe thodi rahat mili.

" we need to find the entrance "

" par hum surface se uppar hai to entrace kholte hi andar pani bhar jayega " hum dono sath khade the par baat chilla kar karni padh rahi thi.

" you are wrong son, there must be something to drain out this water, jo yahan ke mausam ko dekhte hue banaya gaya hoga, we just need to find out that liver and pull it "

" but how ? "

" hume surface tak jana hoga "

" ok, i'll go " mei dad ko bhej nahi sakta tha aur ye kaam jaldi bhi karna tha.

" are you sure ? "

" offcourse dad " . Mene bag se oxygen kit, rope aur belt nikali. Ek belt dad ne pehni aur rasi ka ek hissa unke hook mein dal kar dusra apne mein laga liya. Oxygen mask laga kar mein ready tha, ek torch sar par thi, ek chest par aur ek mein apne sath le jaa raha tha.

" listen to me son, liver khinchte hi pani force ke sath drainange system ki taraf jayega, tumhe kisi majbut chiz ko pakdna hoga, understood ? " mene ishare se unhe bataya ki mein samajh gaya hun " good luck " mene ek gehri sans bhari aur pani ke andar ghus gaya. Baarish ki bundein mere sharir par padni bandh hui aur mein pani ki gehrai mein utrata gaya. Nahi janta tha kitna gehra hai par itna pata tha ki mujhe ye kaam jaldi karna hai, dad itni der pani mein rahe to hypothermia ka shikhar ho jayenge. Mein puri takat se aage badh raha tha aur bich bich mein rassi check kar raha tha. Takreeban 15 minute mujhe lage satha tak pahunchne mein. Mei pahunch chuka tha lekin kuch bhi samajh nahi aa raha tha, bade bade pathar ke tukde aur sirf andhera. Mene charon taraf nazar ghumai lekin kahin kuch nahi. Kya karun ? zindagi aur himmat dono tut gayi to ? Man mein sawal aya par agle hi pal dad ka sikhaya sab kuch yaad aa gaya. Mein imarat ke kareeb idhar udhar khojne laga, deewar par hath maar kar dekhne laga ki kahin kuch mil jaye, tab meri nazar ek aakar par gayi jispar kuch bana hua tha par kya ? samjhna mushkil.

Shayad isme kuch mil jaye, mene bari bari se us chakr jese akar mein hath marna shuru kiya aur tabhi mere hath mein kuch aya, jo khinch sakta tha par kya ye sahi liver tha ? agar ise kuch aur ho gaya to ? par iske alawa mere pas aur kaun sa rasta tha ? dheron sawal ke bich mene liver khinch dia jisme meri puri takat lag gayi aur phir
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,798
42,710
354
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words tak ho sakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. . Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writers ko Awards k alawa Cash prizes bhi milenge jinki jaankaari rules thread mein dedi gayi hai, Total 7000 Rupees k prizes iss baar USC k liye diye jaa rahe hain, sahi Suna aapne total 7000 Rupees k cash prizes aap jeet shaktey hain issliye derr matt kijiye or apni kahani likhna suru kijiye.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 28th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar shakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.


Rules Check karne ke liye is thread ka use karein — Rules & Queries Thread

Contest ke regarding Chit Chat karne ke liye is thread ka use karein — Chit Chat Thread



Prizes
Position Benifits
Winner 3000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3000 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top