• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,615
80,410
189
Update:-78

Ji ab itni bhid me jahan kaand hi kaand ho rahe, wahan kaun bacha... Vyas aur Sia... Aur unka book kiya hua kamra number 211….

Aage-Aage Sia ja rahi thi aur uske pichhe Vyas. Pahle Sia lift me pahunchi aur pahunchne ke baad lift ko tab'tak khole rakhi jab'tak ki Vyas wahan nahi pahunch gaya. Lift me intzar kar rahe kuch logon ki bhrikuti tani, to kuch log security walon se sikayat kar rahe the. Prantu Sia thi jo apne aankh kaan band kiye bus lift ko khole rakhi.

Jaise hi Vyas pahuncha lift band ho gayi aur dono second floor par. Jaisa ki har hotel me hota hai... Hotel ki paasage aur dono ore se kamre. Vyas aur Sia bhi un passage se ho'kar gujar rahe the..

Vyas:- Sia aise taiyar ho'kar naa aaya karo. Dil par khanjar ja chal jata hai..

Sia, 2 kadam aage badh'kar, Vyas ke ore mud gayi aur chehre se shararat jhalkati... "Achha to Pandit Vyas Prasad Shastri mere roop ke moh me hai."..

Vyas:- Nahi, nahi, mere kahne ka wo matlab nahi tha...

Sia:- Achha... Fir roop aise dil par khanjar chalata hai... iska kya matlab samjhun... Aur jarra ye bhi bata do ki main agar kurup hoti to tum mujhe dekhte kya???

Vyas:- Main manta hun ki main pahle roop jaal me fansa. Main kya college ke sabhi ladke tumhare roop jaal me phans jaye... Tumhari baten satya hai chalo maan liya... To kya tum mere roop jaal me nahi phasi... Tumhe kaun sa dubla-patla kala-kalutha ladka pasand aa gaya...

Sia:- Achha ji mera sawal mujh se kiya ja raha...

Vyas achanak se serious hote... "Sia ruko, mud'kar samne dekho... Sia... Aree nahi..."

Vyas ki najar Sia par thi aur Sia to Vyas ko dekhne ke liye pichhe mud'kar chal rahi thi. Kamra number 211 ke bahar khade logon ki tasveer jab'tak saaf hoti.. tab'tak Sia unme se ek se takra chuki thi.

Wahin party hall ke ander jab Sia ke najron ke ishare chal rahe the, thik ussi waqt Som ke mobile par kisi ka call aaya. Usne back to back 2 call receive kiye aur had'badi me wo bhi kamra number 211 ke ore bhaga.… Som kuch message type karte kamra number 211 ke ore bhag raha tha...

Jab Som wahan pahuncha tab'tak wahan ki kahani lagbhag likhi ja chuki thi. 4 log hathkadi me the... Riaz, Som ke sath kaam karne wala Sanju, Sia aur Vyas. Darasal kamra number 211 ka mamla thoda penchida tha. Yahan kuch der pahle 2 logon ki hatya hui thi.

Police ke anusar 10 kilo heroin aur 10 kilo cocaine ki dealing, room number 211 me ho rahi thi. Delhi ke 2 drug dealer Kabir aur Ushman drug ki dealing karne pahuncha tha. Dono paksh me anban hui aur mauke par maujood Riaz Abdullah Khan aur uska sathi Sanjay Vaghela ne drug dealer ko goli maar diya. Police iss drug dealing me aur kaun-kaun log shamil the uski poochtachh me juti thi. Isi bich Sia ek officer se takra gayi. Chunki Riaz ko ye dono bhi jante the, isliye shaq ke bina par dono ko arrest kar liya.

Som ko pahla call uske kaam ke liye aaya tha. Usse urgent kahin nikalna tha. Wahin dusra call Sanju ke sath Riaz par nigrani kar rahe Charanjeet Batra ka tha, jisne room number 211 me chal rahe chaos ki sari jankari di.

Som bhagta hua passage tak pahuncha... Samne khade officer ka rasta roke... "Inhe arrest kyun kiya hai officer"..

Arrest karne aaye police ki team ka head... "Tum kaun ho"..

Som:- Riaz aur Sanju ka boss...

Jaise hi Som ne itna kaha Police ki poori team sakte me aa gayi. Lekin iss se pahle ki wo action leti... aage aur pichhe se karib 20 hathiyarband log unpar apni gun taan chuke the…

Officer:- Dekho tum sab abhi apne hathiyar daal do aur khud ko surrender kar do...

Som:- Boys in sab ko chup karwa'kar mehman nawaji ke liye le kar chalo... Aur haan kuch log yahan ka poora kachra saaf kar'ke sab kuch pahle jaisa kar dena... Dekhte hi dekhte 8 police wale bandhak the, jinhe laundry collection karne wale bade-bade basket me le jaya ja raha tha...

Unke sath Riaz ko bhi le jaya gaya. Som ek najar Vyas aur Sia ko dekhte... "Tum dono ko yahan kisne bulaya tha?"…

Vyas aur Sia ko kuch sujha hi nahi... Kya jawab de... dono ko kisne bulaya. Upar se yahan jo bhi hua wo Sia aur Vyas ke samajh se pare tha... Unka poora dimag hi puzzle bana hua tha..

Kyunki Riaz thehra dusre kheme ka, jiska brainwash kiya gaya tha. Ab pata chal raha hai Som uska boss hai.. Upar se jo room un logon ne book kiya exactly ussi room me sare kand huye, jabki room booking ke bare me to kisi ne bataya bhi nahi tha...

Aise bahut se sawal the.. Jaise ki 2 lash kiski thi... Vyas aur Sia ke aane se pahle yahan hua kya, aur kyun Som apradhik gatividhiyon me samil hai? Uske pass itne log kahan se aaye jo poori police team ko bandook ke nok par kidnapped kar liya? Jahan ek hi pal me, dimag me itne sare sawal ghum rahe ho, wahan iss sawal ka jawab dena ki unhe yahan kisne bulaya kaise sambhav tha... .

Sia bilkul chidhti hui.… "Som hum jo apni najron ke samne dekh rahe hain, uss par tumhe kuch kahna chahiye? Ulta humare yahan aane par sawal kar rahe... Sommm kya karne wale ho police walon ke sath? Yahan hua kya tha?

Som, apni badi-badi aankhen dikhate... "Chup-chap ghar jao... Yahan jo bhi tum dono ne dekha sab bhul jao... Mujhe kuch din ka waqt do, ye mamla suljha'kar main poori baat batata hun"…

Sia:- Sommmm tum baat ko yun gol-gol ghuma'kar nahi ja sakte... Chhup'kar Meera se shadi kar lee. Sniper trainig ki aad me itna bada gange chala rahe... Aur kitne kaam tum chhip'kar karte ho Som..

Som, Sia ko apne sine se lagaate... "Beta main koi apradhi nahi hun. Apne bhai ka vishwas karo.… Yahan jo kuch bhi hua jitna tumhe jaan'kar hairani hai utna mujhe bhi... Lekin jisne ye kiya hai wo hairan nahi honge. Mujhe un police walon ko majboori me kidnapped karna pada kyunki yahan ki news jaise hi bahar jati fir jisne bhi ye kaand kiya hai hume phasane ke liye poora jor laga deta... Isliye to dono murder room number 211 me huye hain… Koi tum sab ke upar bahut hi jyada homework kiya hai.. Ab tumhe kuch santusti mili..

Sia, Som ko jor se bhinchti... "Sommm"..

Som, Sia ki pith thap'thapate... "Itni strong ho'kar ro rahi"…

Sia, hichkiyan leti... "Som mujhe bahut dar lag raha... Please bhai tum safe rahna..."

Som:- Wada karta hun main safe rahunga... Ab tu rona band'kar aur mere liye 2 kaam karegi...

Sia:- Haan bilkul...

Som:- Pahla ye ki Meera ke gharwalon ko humari shadi ki bhanak bhi nahi padni chahiye... Baat apne parivar me hi rahe..

Sia:- Haan wo main sabko samjha dungi aur dusri...

Som:- Kuch din ke liye koi bhi routine follow mat karna. Logon ki bheed me kewal casual baaten hi karna aur thoda aleart rahna... Aur ye humare poore parivar ke liye hai..

Sia:- Hmmm !!! Thik hai main sab par najar rakhungi... Aur kuch…

Som, Sia se alag hokar uska chehra saaf karte... "Chalne se pahle aakhri baat... Tum dono yahan aaye kyun the, wo main laut'kar jaan lunga... Kyunki cctv footage bhale hi clean ho gayi ho, lekin wo footage mere pass hai…"

Som apni baat kah'kar wahan se nikal gaya. Sia, Vyas ke kandhe se sir tikati... "Som chala gaya Vyas... Wo kisi musibat me to nahi hai na"…

Vyas:- Mujhe to 1% bhi wo musibat me nahi lage... Tum Som bhaiya ki chinta chhodo aur baki baaton ki chinta karo.. Waise mujhe kab batane wali thi ki Meera ke bawri hone ka raaj Som bhaiya hain.

Sia, Vyas ko ghurti... "Call her bhabhi…"

Vyas:- Ab jo bhi kahna hai wo hum baad me kahenge, filhaal party over karen. Hum yahan jitni der rahenge hume fasane walon ke liye hum utna hi aasan target honge...

Sia:- Hey bhagwan aaj ke uthal-puthal se mera dimag fat jayega... Abhi to mujhe apni bhabhi ke drame ko bhi sametna hai..

Vyas:- Waise dimag to mera bhi fata ja raha hai..... Main ghar se kuch aur pahan kar nikla tha aur yahan kuch aur pahne huye hun... Baba ne ye baat notice kar lee..

Sia:- Accha sirf itni si baat... .

Vyas:- Nahi sirf itni si baat nahi thi. Main Avantika ke hath me hath daal'kar chal raha tha aur Asif, Margrate ke... Uske hone wale sasur ne to rishta cancel karne tak ki dhamki de dali...

Sia:- Ohhh hooo... Avantika... Aur dusri wo Margerita... Lagta hai mujhe bhi apna second set-up bana lena chahiye..

Vyas:- Hat pagal... Kirti gange ke raaj jaan raha tha bus...

Sia:- Achha raaj jaane ke liye ladki ko pata liya, wo bhi itni jaldi...

Vyas:- Kam akl... Itni jaldi ladki patane ke liye main Tom Cruise nahi hun samjhi... Unhe hum par chhoda gaya tha taki wo log bhi mera raaj jaan sake.. duffer itni si baat samjh me nahi aati...

"Aati hai bacchu lekin tumhe chhedne ka mauka kaise gawa sakti hun"…. Sia apne mann me sochti muskurane lagi. Vyas, Sia ki kutil muskaan par usse ghurte... "Ander kya khichdi paka rahi"…

Sia:- Yahi ki jab chori pakdi jati hai to ye ladke kitni safai se khud ko bacha lete hain... Sabash...

Vyas:- Ohh hoo hoo hoooo... Aur tum khud jo wo Jignesh ke sath kamar me hath dale dance kar rahi thi uska kya?

Sia:- Pahli baat wo Jignesh, Diksha ka dever hai… Dusri baat wo meri bhabhi ka bhai hai... Aur ye baat mujhe uske sath dance karne se pahle pata chal gayi... So uska aur mera rishta hi chhed-chhad wala hai...

Vyas:- Haan khud ki kartut rishtedari ke aad me chhipa lo... Aaj se pahle to uske sath chhed-chhad ka rishta nahi yaad aaya tha..

Sia:- Ji nahi Mr Vyas... Aap galat ho.. Kyunki aaj pahli baar hum kisi party me takraye... Kya khub baaten ghuma lete ho na.… Uss din Huma thi, aaj Avantika... Raas rachayi ja rahi hai..

Vyas:- Had hai Sia... Tum har baat par aise react kyun karti ho...

Sia:- Har baat par nahi Vyas… Tum jab mere sath committed ho to mere ho'kar rahne ke badle jagah-jagah muh maarte phirte ho...

Vyas:- Kya??? Muh maarta hun... Chhi kintni ghatiya soch hai tumhari...

Sia, apne balon ko jhatak kar gusse ka pradarshan karti.... "Shashtri kal jab tumhe chaddi me, takhti ke sath latkaya jayega, tab mujhe nahi apne pujya pitaji ko samjhana ki unki soch bhi ghatiya hai... Main chali aur khabardar jo mere pichhe aaye… Jaeye khule vichar aur achhi soch wale Mr. Vyas apni raas leela continue kijiye...

"Siaaa, Sia suno to, kya bachpana hai.. Suno to.… Pagal ladki baat-baat par nakhre hain iske. Ek to iska kam bhi karo upar se badnaam bhi ho jao... Madarchod ye sajis karne wale ek baar mere hath aa jaye.. Sale ke pichhwade me tel laga danda ghused'kar jhanda na fahra diya to mera naam Vyas nahi… Sale chutiye ke chakkar me charo ore se mujhe dande ho rahe.… Som boss jaldi pata karo un haramiyon ka"…

Sia to pahle gusse me gayi. Pichhe se Vyas bhi nirash ho'kar gaya. Niche party hall me rang jama hua tha, upar se 2 peg ke baad jab Shashtri nagar washiyon ko jabardasti dance floor par khincha gaya, fir to classical hindi gane par har kisi ki klaa bahar aa rahi thi... Koi sir par glass rakh'kar naach raha tha. To koi apne sathi mitr ke kamar me hath daal'kar thumke lagva raha tha.

Baki darshak hansi se lotpot huye ja rahe the. Mishra ji to jaise aaj bacche bane huye the. Bete ka rishta tay karne ja rahe hain, iss khushi me 4 peg laga chuke the.. Paanchva hath me tha aur khud Shashtri nagar washiyon ko drink serve karwa rahe the...

Sia jaise hi party hall me pahunchi wahan ka Khushnuma mahol dekh'kar to baki sari baaten bhul gayi.… "Diksha ye kya hai"…

Diksha:- Papa kuch jyada hi khush najar aa rahe...

Sia:- To tu yahan kya kar rahi hai?

Diksha:- Tera intezaar ullu... Chal jarra thumke lagaye jaye...

Sia, Diksha ke hath thamti... "Aaj hum tum aur pitaji... To jo jaye masti..."

Dono bhag'kar Mishra ji ke pass pahunchi... Hath ka glass khali karwa'kar Mishra ji ko khinch'kar layi aur apne papa ko bich me le'kar dono nachne lagi... Pichhe se Vyas bhi pahuncha, wo bhi wahan ka najara dekh'kar khush ho gaya... Haan lekin wahin kinare Asif muh latkaye khada tha...

Vyas:- Kya hua tujhe...

Asif:- Wo mera sasur mujhe aise ghur raha, jaise main koi aatankwadi hun…

Vyas:- Hahahaha... Koi nahi chal thoda masti ho jaye, baki jo hoga wo dekha jayega...

Asif:- Matlab..

Vyas:- Matlab Sia aur Diksha di ko dekh'kar mujhe bhi apne baba ke sath nachne ki ikchha ho rahi hai... Kabhi humne sath me aise masti nahi ki...

Asif:- Kash mere bhi abbu yahan hote...

Vyas:- Abe tere abbu yahin to hain. Mujib chacha me tu apne abbu ko dhundh le.. Aur chal thoda nautanki kiya jaye.... Waise bhi nautanki par to humara trademark hai...

Asif:- Hai nahi tha… Riaz ka vartaav dekh'kar ab kuch Dil hi nahi karta…

Vyas:- Abhi ke waqt me abhi ke emotions dekh... Riaz ka matter Riaz ke hone par…

Asif khush hote... "Sahi kaha dost... Chal thoda nautanki ke bich hum bhi masti karen… roj-roj aise mauke thode na aate hain... "

Fir to ye dono bhi pahunche Shashtri nagar washiyon ke pass... Dono hi, Vyas aur Asif, wahan pahunch'kar sidha niche floor par lot'kar dandwat pranaam karne lage... Unhe aisa karte dekh Diksha aur Sia ko masti sujhi aur wahan se sbhi logon ko hata'kar unke samne khadi ho gayi. Dono devi swaroop ek paun mod'kar dusre paun ke ghutne par tikati, Vyas aur Asif ko aashirwad de rahi thi...

Vyas aur Asif ne jab apni najren upar ki, apna sir pit'kar khade huye aur dono apne apne daddy... Bole to Vyas, Pandit ji ke pass aur Asif, Mujib Khan ke pass pahunch'kar, apne dono kaan pakde aur uske baad haath jod liye...

Kuch der tak Pandit ji aur Mujib khan attitude me khade rahe. Fir naarajgi chhod unhe gale se laga liya... Ab pita aur bacche sath jhum rahe the... Sia aur Diksha bhala apni bhabhi ko kinare kaise chhod dete... Meera ka bhi hath pakad ke khinch lee.....

Dekhte hi dekhte badi si mehfil dance floor par thi, jahan sab jhum rahe the... Tabhi unchi awaz me Mishra ji kahne lage.… "Aaj main bahut khush hun... Mere bete ki shadi tay hone wali hai aur iss khushi me sabhi bacche samil hain"…

Wahin Pandit ji bhi achanak Vyas ke gale lagte.… "Aaj baap hone ka pahla farz adaa karne ki kosis karne ja raha hun... Teri bahan ka rishta tere boss se karne ja raha... Tu abhi sath hai to aisa laga jaise meri himmat sath hai"…

Oopssss !!!!! Moment to kafi bhawuk the... Pandit ji aur Mishra ji ke armaan dekh'kar to aisa lag raha tha dono aaj khushiyon ke sagar me dubki laga rahe hain. Lekin iss emotion ko dekh'kar sabhi bacche apne pita ko bhinch'kar gale laga le, ya unki khushiyon par pani ferte ye bata de ki Som ki shadi ho gayi... Upar se Sia aur Diksha ko to apne pitaji ke emotion feel karne ka mauka tak nahi mila kyunki Mishra ji ne jaise hi bomb phoda... 200 IQ ne kaam kiya aur iss se pahle ki wahan khadi Meera koi lafda kar de, Diskha aur Sia uska muh band kar'ke sidha wahan se utha'kar le aayi...

Meera hath paun maarti kewal aankhon se ghure ja rahi thi... Sia, Meera ke muh par se bina hath hataye... "Suno meri pyari bhabhi abhi meri baat maan'kar shant raho... Main hath hata rahi tum please chillana mat"..

Meera, haan me apna sir hila dee lekin jaise hi Sia ne hath chhoda…. Meera tej chinkhti... "Nahiiii mereee"… kahne wali thi "nahi mere pati ki shadi kaise kisi se tay kar sakte ho"... Lekin bich me hi fir se Sia ne Meera ka muh daboch liya...

Diksha:- Kuku thoda shant raho... Tum mere sath ghar chalo wahan sab clear kar dungi... Samjh gayi...

Meera ek baar fir haan me sir hilane lagi. Lekin Sia ko ratti bhar bhi yakin nahi... "Nahi Diksha, iske muh par tape laga... Warna ye yahan poora kabada karegi"…

Meera naa me sir hilati, isharon me muh se hath hatane kahne lagi... Thoda risk le'kar Sia aur Diksha ne muh par se hath hataya... Meera dono ko ghurti... "Main sath ghar chalungi.. lekin aap dono ko sab thik karna hoga..."

Diksha:- Oh no... Pranshu ke samne Meera aur Som ki baat nahi ho sakti...

Sia:- Tum dono ghar chalne ki taiyari karo... Mere pass hai ek bakra jo sab set kar dega...

Diksha:- Thik hai jaldi se mamla set karo fir hum party over kar'ke yahan se chale...

Waise party ye log kya over karenge... Uss se pahle hi Nirbhay ke mobile par uski patni Shanti ka call aa gaya.… "Mishra ji se kahiye unke kuch guest aaye hain... Kahna Vyas aur Asif ki maa hai, sath me Jannat aur Nirali bhi..."

Call aa chuka tha dj band ho gaya, lekin yahan Vyas ko kuch sujhe na... Issi bich Sia, Vyas ko ishare se apne pass bulayi... Vyas bhi jaise iss pal ka intzar kar raha ho.. Bhagta hua gaya...

Sia, bar counter se tik kar khadi thi aur samne dekh rahi thi. Jaise hi Vyas uske pass pahuncha, Sia usse bhi apni tarah tik kar khade ho'kar samne dekhne kahne lagi…

Dono aaju-baaju khade, Samne dekh rahe the... Vyas chidhte huye kahne laga... "Bencho life ki lagi padi hai aur tum attitude dikha rahi"…

Bahan ka mamla tha shayad isliye Vyas apne aape me nahi tha aur Sia ke samne uske muh se gaali nikal gayi. Sia, Vyas ki haalat samjh sakti thi, ek bhai ko kaisa lagega jab anjane me uske pita pahle se shadi-shuda insan ke sath shadi karwana chahte ho...

Sia, ander se to hansi lekin upar se utni hi narajgi dikhate…. "Matter ka pata hai mujhe Shashtri, lekin tumhari tarah main sabko gaali dete nahi fir rahi... Bahan ki gandi gaali dete tumhe jarra bhi sharm nahi aayi"..

Vyas:- Itna rayta faila hoga to muh se kya bhajan niklega… Ye sab uss Meera ke karan hua hai...

Sia:- Khabardar jo meri bhabhi ke bare kuch kaha to... Aree buddhe log aapas me rishta tay kar liye isme meri bhabhi ka kya role...

Vyas:- Haan sare fasad ki jad wahi hai... Upar se yahan 2 murder bhi ho gaye hain.. Sala 2 muder jaisa bada kaand hone ke bavjood wo koi kaand hi nahi lagta, kyunki ghar me hi bhuchal macha hai aur in sab ki janak wo Meera hai...

Sia:- Tumhe yahan jhagda karna hai...

Vyas, khud ko normal karte... "Sorry, batao kyun bulayi"…

Sia:- Tum aur Asif mil'kar Jignesh tak kisi tarah ye baat pahunchao ki Pranshu agar chahe to Sia ka rishta, Jignesh se tay karwa sakta hai. Lekin uske liye pahle Pranshu ko convience karna hoga..

Vyas:- Ohhh hooo... Main raas-leela kar raha aur devi ji to bilkul Gaay bani hui hai... Uss ghonchu Jignesh ka rishta tumse kaise tay hoga... Tum chahti ho iss baat ka upay main hi usse bataun.. Waahhh wahhh... Ati uttam... Itni to Lucknow me apni bhi pakad hai ki kisi ko gayab karwa dun...

Sia:- Haan to jao fir gayab karva do Jignesh ko aur kar do apni bahan ka rishta mere bhai ke sath...

Vyas, khud ko hi 2 thappad maarte... "Madarchod, main hi chutiya hun… Jao tumhara kaam ho jayega"…

Vyas bhanna kar wahan se chala gaya aur Sia uski haalat par hansti hui nikli. Haan lekin Diksha ke ore badhte waqt Sia bhi gahri shwans leti, ander se yahi kamna kar rahi thi kisi tarah Som aur Meera ka matter sambhal le...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
nain11ster

Prime
23,615
80,410
189
acha lagta hai sir jb aap yu personally he review evan normal comment pr bhi reply krte hai
kyoki sir sirf story hi nhi writer ka behaviour bhi writer ko bada banata hai
thanks
Areeee aisa bada chhota kuch nahi... Bus yun reply karna achha lagta hai aur main khud ko aap sabke kafi karib manta hun... Aur yahi mere sabhi readers bhi maante hain... Baki main kahani kisi salary ke liye to likhta nahi bus aap sab se milta rahun isliye likhta hun.... Smile plz :)
 
Pass1234

.:| BFF |:. @s.r.a.j.p.u.t_s.r__
861
1,113
139

Suparb raita to or phail gya two murder ho gye
 
nitya.ji

New Member
78
305
53

awsome update sirji
ye rayta lagta hai aasani se na sameta ja sakega
.
room no. 211 me jo kuch bhi hua usse ye to confirm hai ki ye sia and family ko fasane ki gahri sajis thi aur mujhe to isme kirti and gang ka hi hath lagta hai
par agar aisa hota to wo log riaz ko kyo fasate ye ek bada sawal hai.
.
ab lagta hai mishra ka failaya rayta kuch jyada hi fail rha hai unhone to jannat aur nirali ko bhi ghar bhula liya hai.
agar nirali ke dil me bhi som ke liye thoda bhi soft corner hua na to uska dil to pakka tutne wala hai
pta nhi ye rayta kaise sameta jayega.
but overall awsome update again aur aage kya hone wala hai uska intzar fir se bhari padne wala hai
 
Kem1

New Member
15
32
13
Excellent update bro.
Aap ki story bahut time se follow kar raha hun. Aap ki updates padh ke lagta hai ki bas padhte raho. Thank you for writing such beautiful stories.

Bhai mujhe ek baat samajh nahi aayi, purane update me mujhe aisa laga ki vyas aur meera ek dusre ka rajdar hai, lekin is update me padh ke aisa laga jaise vyas ko meera ke lover ke baare me koi jankari nahi hai. Kripya isme prakash dale.
 
Kala Nag

Mr. X
3,801
14,983
144

पहले स्यापा
फिर रायता
अब कांड
रोमांस में रोमांच और रोमांच के बीच सिया का व्यास से छेड़ छाड़
शायद आगे चल कर सोम को भनक लगे
पर मिश्राजी और शास्त्रीजी के खिचड़ी जब जल जाएगी तब क्या होगा
मीरा का मुहँ फ़िलहाल तो बंद है पर जब खुलेगा वह भी व्यास के घर में
हे भगवान
बढ़िया बहुत बढ़िया
 
nain11ster

Prime
23,615
80,410
189
Bhai mujhe ek baat samajh nahi aayi, purane update me mujhe aisa laga ki vyas aur meera ek dusre ka rajdar hai, lekin is update me padh ke aisa laga jaise vyas ko meera ke lover ke baare me koi jankari nahi hai. Kripya isme prakash dale.

Haan aapka prashn sahi hai... Lekin kuch update baad Meera ne jhuth bol diya tha ki Som nahi balki usse kisi aur ladke se pyar hai... Aur iss baat ko sabit karne ke liye usne Captain Gautam ko college bhi bulaya tha...

Ye to ek baat thi ki Vyas bhannaya tha... Pyar to Som se tha.. Lekin uss din Meera college se bahar kisi aur boyfriend ke sath gayi.... Uske kuch din baad achanak se Vyas ko pata chale ki Meera ne Som se shadi kar lee... To sochiye ye kisi bhi raajdar ke liye shocking hoga hi.... Bus yahan Vyas ki wahi feeling dikhi hai...
 
Rawat@7

Bad Is Never Good Until Worse Happens.
571
962
94
Thank you so much Vj ... Waise DJ naam hota to Allu Arjun ke comment padh raha aisa feel hota... :D
" What is there in the name " Name me kya rakha hai... Kisi mahan poet ne kaha tha.:D
 
Top