• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-49





Riaz ke pass baithi ladki Mahira ne Vyas par tippni karti hui kahi. Tabhi Riaz bench par khada ho gaya aur Mithun Da style, aage se kamar par hath, pichhe se sar par hath aur.. "ya dishhh.. ya dhishhh.. ya dhishhh.. dhishhh dhishh" chillate huye wo bhi nacha...


Poora class abhi Vyas ka, drama dekh kar thik se sidha bhi nahi hua tha ki ye Riaz ke chillate disshh-dishhh par sab thahake laga diye. Thahakon ki awaj ruki bhi nahi thi ki Meera bench ke bahar nikal kar... Sakira se jyada lak ni hila kar bole to kamar lachka kar 4-5 thumke lagane lagi…


Ab bhala Meera nikli to Neerav kaise pichhe rahta lekin Meera ko bhi pata tha, isliye sidha najar Neerav par aur aankhon ke ishare se strictly mana kar dee... Guruji poora tamtamaye... "Ye kya behuda mazak hai"…


Vyas:- Feeling thi express kar rahe the...


Proff.:- To bahar ja kar feeling expreee karo... Poori class distrub hoti hai...


Riaz:- Thoda manoranjan ki aap ko, aur iss class ko shakt jaroorat hai sir. Aage ja kar to maal chhapne ke chakkar me jyadatar drs to hasne ke liye bhi lafter club aur video ka sahara lene wale hain...


Proff.:- Haan to tum teeno kya lafter club ke class me the...


Meera:- Lo sir, aap bhi drs ke bich rah kar na..…. Ye feeling aap ke liye hi to humne express kiya..


Proff.:- Mere liye, jaan sakta hun kyun…


Meera:- Ek hi vishay padhate-padhate aap itne manjh gaye sir ki kal jo aapne padhaya tha...


Riaz:- Aaaa haaa haaa... Kya padhaya tha sir... Main to kahta hun har proff. aap jaisa hona chahiye...


Vyas:- Aur aaj jab aapne padhana shuru kiya... Aisa ghusa hai bheje me baat, ki topic related kuchh puchh lo... Ab to aisa lag raha hai poore class ko padha dunga...


Meera:- Ab sir feeling iss class ki thi isliye yahan express kar diye...


Riaz:- Haan lekin kuchh log humare khul ke jine ko jokergiri kah sakte hain, kyonki unke liye zindgi ek target hai, jiska achievement kolhu ke bail ban kar karna chahte hain.. Gadhe aur gadhi hain jo humare khul ke jine par tippni karte hain...


Proff.:- Areee bus bhi karo tum teeno. Achha laga tum teeno ko sun kar. Study related kabhi bhi kuchh bhi puchhna ho behichak mere pass aa jana. Ab baith jao tumhare wajah se class distrub ho rahi hai...


Vyas:- Nahi sir, galti to humne ki hai aur punishment me hum bahar ja rahe, taki har galti ki saza milti hai ye ehsas hona chahiye. Fir aisa koi na kahe sir ki dekho apne favourite student ko sir punishment nahi dete.… Chalo Meera, chal Riaz…


Riaz bilkul dhime... "Abe mujhe kyun liye ja raha hai… Ek ko muh tod jawab diya hai... Ab post analysis to le lun… pahle wo sorry kahegi... Fir sir ke class ka confirmation legi, kya wakai me maine itna sikha... Baad me main Neerav ka gyan pel kar shining marunga… mujhe na jana...


Meera:- Sir kewal humare bich ke sab se jyada intelligent Riaz ko yahan rahne dijiye, taki aaj ki class me jo ye sikhe hume sikha de.


Meera apni baat kah kar Riaz ko aankh maarti dhime se best of luck boli aur Vyas ke sath nikal gayi. Dono canteen area me pahunche… Vyas gahri shwans lete... "Meera... Meera.."..


Meera:- Haan jija ji bolo na..


Vyas:- Sar tod dunga... Kyun fasne par lagi ho.. suno to..


Meera:- Haan sun rahi hun lekin dhyan shayad kahin aur tha...


Vyas:- Haan to mera bhi dhyan udhar hi bhatak raha na... Kuchh baat ho jati Sia se to maza aa jata... Mann vyakul hai… ji karta hai bus ussi ke pass aur ussi ke sath rahun...


Meera:- Haan main samjh sakti hun... Pata na dono kya kar rahe honge ..


Dono kya kar sakte the. Mishra parivar subah-subah chale the isliye fresh ho kar alp aahar liye aur so gaye. Som thoda hangover me tha isliye wo bhi let gaya. Kal raat Sia bhi der se soyi thi... So wo bhi so gayi. Kul milakar poora parivar hi kharrate bhar raha tha...


Nirali aur Jannat ka college lagbhag 11 baje khatm ho jata tha. College jaise hi over hua, Jannat ne bhi paison ko le kar chinta jahir ki. Dono ko ek baat samjh me nahi aa rahi thi ki aakhir ye bade bhaiya kaun hai aur Vyas ne itna viswas se uska number kyun diya...


Ek viprit khyal jo dono ke mann me aaya... "Kahin kuchh gadbad to nahi kar rahe jo chhipane ke liye saboot de raha tha bhai"… khyal thode vichlit karne wale the aur dono ne tay kiya ki ye bade bhaiya naam ke prani se mil kar dekhe to sahi ki wo aadmi kaisa hai...


3 poore call jane ke baad udhar se Som ka call back hua...


Nirali:- Hello, Som bol rahe hain..


Som:- Haan..


Nirali:- Sir main Vyas ki chhoti bahan Nirali bol rahi hun...


Som:- Haan Nirali..


Nirali:- Bade bhaiya aap se milna tha..


Som:- Hmmm !!! Kuchh jyada jaroori ho to ghar chali aao…


Nirali, mike par hath rakhti, Jannat se... "Ye sala to sidha ghar bula raha hai. Kahin kuchh gadbad to nahi"…


Jannat:- Tu adress le le.. phone rakh fir baat karte hain...


Nirali:- Haan bhaiya adress de dijiye na... Jaroori laga to aa jaungi...


Som:- Thik hai main message karta hun…


Nirali ne phone rakha aur udhar se message aa gaya.… Nirali message check karti… "lagta hai roj sab ko adress deta hai Jannat dekh"…


Jannat:- Ab bina mile to paise ke bare me kuchh pata chalne se raha. Uske ghar jana safe rahega kya?


Nirali:- Bhaiya ne viswas ke sath kaha tha cross varification karne, to mujhe ghar jane me koi samsya nahi lagti. Vishvahniya aadmi hoga..


Jannat:- Haan to iss hisab se dekha jaye to bhai ne viswas se paison ke bare me bhi kaha tha na ki sahi dhang se kama rahe, fir iss baat par yakin kyun nahi...


Nirali:- Insan achha aur karm bure bhi to ho sakte hain na...


Jannat:- Haan to niyat nahi fisalegi ye bhi confirm kar de... Ab Vyas aur Asif bhaijaan ke sath achha bana hua hai, iska ye matlab to nahi ki hum par buri najar na dale...


Nirali:- Bheja fry ho gaya... Lekin bina mile chain nahi aayega... Bhai galat dhang se paise kama raha hoga to shurwat me hi davab banaya ja sakta hai, warna ek chhoti si chuk se hum apne bhai ko galat raston par payenge...


Jannat:- Chacha (Pandit ji) to bardast hi nahi kar payenge...


Nirali:- Haan mujhe bhi issi baat ki chinta hai.
.. Maa ko bula leti hun... Aise kisi ke bulane par sidha ghar chale jana mujhe sahi nahi lag raha...


Jannat:- Haan tu sahi kah rahi hai... Chachi ko bula le...


12 baje ke karib teeno maa beti Nirbhay Singh ke mukhya dwar par the. Guard ne unhe ek baar dekhte.… "Ji kya kaam hai?"..


"Som se milna hai, unhone bulaya tha"… Nirali boli...


Guard:- Aapka naam..


"Ji Nirali.…"


Nirali naam sun kar hi guard darvaja kholte…. "Ji wo pahla wale cottage me chale jaeye. Sir ne bataya tha aap aane wali hain"… Guard ne hath ke ishare se jane ke liye kaha. Guard ki baat sun kar Jannat aur Nirali dono hi ajib dar me the...


"Maine apna mann badal liya hai... Chalo chalte hain"…. Nirali boli..


Alka Shashtri:- Ae pagal jab milna hi nahi tha to bich serial se utha kar bulayi kyun? Yahan tak aa gaye hain to mil kar hi jayenge...


Ab bechari Nirali aur Jannat kya kahti ki unhe guard ki baat sun kar sanka ho rahi hai ki ye aadmi sahi nahi hai... Maa sath me thi to Nirali aur Jannat ne bhi thodi himmat bandhi aur chal diye.


Cottage ke darvaje par dastak hui aur Som ne darvaja khola. Samne jo pahla look Som ka tha usse dekh kar to Alka Shashtri ki bhi aankhen badi ho gayi. Ghane lambe baal ka puff... Poori jatayen lahrati…. "Aap log ander aaeye."..


Som ne ander aane kaha lekin teeno ek dusre ka muh hi dekh rahe the.… "Nahi hum yahin thik hain"… Alka Shashtri ne jawab diya..


Som:- Nirali kaun hai yahan...


Nirali:- Ji main hun...


Som:- Tum kisi kaam ke bare me kah rahi thi..


Nirali:- Haan wo main Vyas bhaiya ke bare me puchhne aayi thi…


Som:- Hmmm !!! Kya puchhna tha...


Nirali:- Kuchh nahi… bus yun hi … main hi thodi confuse thi. Ab sab thik hai...


Som:- Hmmm !!! Koi nahi..


Pichhe se Lata Mishra hall me pahunchi. Bahar khade logon ko dekhti... "Sanskaar bech khaya hai kya? Darwaje par hi khada kiye hai... Aap log ander aaeye na"…


Sab kuchh jaise puzzle sa tha. Som haalanki in logon ke ander naa aane ki vajah bhaanp gaya tha. Som iss baar poori baat batate… "Meri maa hain. Subah hi pahunchi thi aur inhe chhod kar aaj kahin jane ka dil nahi kiya isliye Nirali se kaha tha yahin aa jane"…


Alka Shashtri:- Main Vyas ki maa hun. Ye meri beti Nirali aur Jannat...


Som:- Ander aa jaeye warna mera poora parivar poore din sunata ragega...


Lata Mishra:- Haan beta de de ulhana mujhe hi... Waise bataya nahi ye kaun hai..


Som:- Maa wo Sia ne bataya tha uske 3 dost, Vyas, Asif aur Riaz.. To ye Vyas ki bahan aur maa hain. Nirali ko shayad mujhse kuchh kaam tha aur issi silsile me mujhe call ki thi...


Jitni samanya tarike se Som, Lata Mishra se apni baat kah gaya, utna samanya nahi tha Nirali, Jannat aur Alka Mishra ke liye yah sun'na. Alag-alag hi duvidha thi. Som ki baat sun kar Nirali aur Jannat ek dusre ka muh isliye dekh rahi thi kyunki pahle pata hota ki ye Sia ke bade bhai hai to maa ko na bulana padta. Sath hi sath dusra aaschrya ye bhi tha ki Sia ne poore parivar ko hi apne 3 ladkon se dosti ki baat bata rakhi thi.


Wahin Alka ke liye to poore hairani bhada mahol tha. In tikri ki ek ladki dost jo ki kahin dur dur se link nahi thi, fir ye dosti kaisi hui. Ladki ne apne poore parivar ko pahle bata rakha hai... Padhne likhne walon me dosti ho sakti hai... Ek amir ladki ki hum middle class walon se dosti aur parivar ko koi aitraj nahi...


Lata:- Aap itne aaschrya me kyun hai...


Alka, puzzle sa chehra banayi... "Kuchh nahi"


Jannat, natkiya andaz me Som se.… "Ohhh aap ki sister ke through mere bhaiyon se jaan pahchan hai"..


Lata Mishra:- Ye kaisa sawal hai. Kya tumhare bhai ke dost honge to ussi ke through na tum bhi unhe janoge... Mishra ji sunte ho, Sia ke doston ka parivar aaya hua hai... Deeksha.. Pranshu... Siaaaa..


Sia ke dosto ka parivar... Sun kar hi sabhi teji se bahar aaye. Bahar to sabhi teji se hi aaye lekin Sia ka matha thanka, kyunki kal feeling batayi aur aaj Vyas apni maa aur bahan ko ghar bhej chuka tha. Sia hairan aur pareshan, upar se samne poora khandan. Kisi ko bhanak bhi lagi to fere karwa kar hi chhodenge… Sia dar se bahar hi nahi aayi... Gusse me apna phone uthayi aur lag gayi type karne.… "Shashtri main fansi na tab tumhe batati hun"… meesge type & send aur phone off.


Ander ke sath Bahar bhi alag hi drama... Nikal kar aayi Diksha aur in logon ne samjh liya Sia. Ek ati khubsurat, umr me badi aur shadi suda aurat. Iss prakar ki dosti ka matlab teeno khub janti thi jahan sidha aurat se dosti ho jaye. Teeno bhauchakki aur ander se utne hi kudh gaye. Nirali aur Jannat ki hichki hi na ruke jab khyal aaya ki Vyas ne ek shadi suda aurat propose kiya tha… Wahin Alka ke muh se nikal gaya... "Ye shadi shuda hai"…


Lata:- Haan abhi haal me hi shadi hui hai... Sia, kahan rah gayi, tujhe sunai nahi de raha"… Lata Mishra dobara chillayi... Usse sun kar teeno ke jaan me jaan aa gayi, wahin Diksha inka vichitr rawaiyya dekh kar kuchh bhi samjh nahi pa rahi thi...


Sia kuchh jyada hi ghabrai. Ghabrayi si bechari bahar nikal kar aayi... Jaise hi pahli jhalak Sia ki mili, teeno usse dekhte hi... "Woooo, iss ladki se kaise dosti ho gayi." Ek tak lagatar dekhte hi rah gaye. Sia ki ghabrahat bechaini me badal gayi, usse samjh me hi nahi aa raha tha ki wo kya kare.… Sia kisi tarah apne dono hath jodti... "Namaste aunty"


Lata:- Tum inse pahli baar mil rahi ho kya?


Sia:- Haan maa...


Ek aupcharik jaan pahchan hui. Sia ko jab pata chala ki Nirali kisi aur wajah se pahunchi hai, tab uske jaan me jaan aayi. Aur idhar Shashtri family...


Sia ki pahli jhalak milne ke baad teeno aapas me ek dusre se najre milate maano najron ke ishare se puchhne ki kosis kar rahe ho.… "Iss model (Sia) se inki kaise dosti"… Khair ye sawal to Vyas se puchha jana tha isliye sabhi samne chal rahe mahol par dhyan lagaye...


Vyas ke kayi doston ke yahan Alka Mishra ja chuki thi, lekin dost kahne par jo swagat yahan ho raha tha wo kahin aur nahi hua. Poora Mishra khandan jaise Shashtri khandan ko palkon par bithaye the... Ye ek aur hairani kyunki ek ladki ke ghar kisi dost ladke ka pariwar pahuncha aur itna jabardast swagat... Alka Mishra se raha nahi gaya...


Alka Mishra dabe kuchle shabdon me Mishra family ki bhavna tatolti.... "Aap logon se kahin koi galtfehmi to nahi ho rahi"…


Diksha:- Aunty swagat dekh kar kahin ye khyal to nahi aa raha ki hum rishte ki baat karne wale…


Nirali, bilkul dhime... "Haan lag to aisa hi raha hai".


Lata Mishra:- Nirali beta kuchh kahi kya?


Nirali:- Kya aunty kaisi baten karti hain..


Lata:- Kaisi baten kya... Shadi to kisi na kisi se hogi hi... Ladki yahin hai pasand ho to apne ladke ke liye puchh lo, haan kah dee to hume koi aitraj nahi...


Som:- Haan bus hum dahej nahi denge...


Sia:- Very funny… Aunty aap in sab ki nahi suniye...


Alka Mishra:- Nahi achha lag raha hai sun'ne me... Mujhe to tum pasand aayi..


Nirali aur Jannat ek sath.… "Hume bhi aap behad pasand ho. Bus sidhe-sidhe ab aap bhi Vyas bhaiya ke bare me openion de dijiye"..


Sia:- Bus bhi karo sab. Kyun mil kar mujhe khinch rahe...


Lata:- Jannat aur Nirali ke baat ka ye jawab to nahi hua...





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-50





Sia:- Pasand hai tabhi to dost hain. Ab iss baat ko aap sab jitna khinchna hai khinch dijiye, mujhe kya? Aap log baten kijiye, lunch ka samay ho gaya hai main sab ke liye lunch arrange karti hun...


Alka:- Nahi bus hum niklenge...


Lata:- Aise kaise... Oh haan pahle confusion dur kar dun. Mere teeno bacche boarding me padhe hain. Waise teeno ke shant chehre par bilkul nahi jaeyega, dikhte bhar shant hai lekin aaj din dhalte-dhalte inki sitaniyan shuru ho jayegi. Ab teeno itne waqt tak sath rahe ki uske baad kisi ko jodte hi nahi hai apne zindgi me. Humne jab suna ki Sia ke boarding ke alawa bhi dost hai to bus ye swagat ussi khushi me thi… Nirali tum yahan aane ka karan batao…


Nirali:- Hum middle class log hai. Achnak se yadi ummid se badh kar paisa, padhne wala ladka le aaye to hume sochna padta hai. Bhaiya ne bataya ki ye paise wo aap ke bete ke sath kisi freelancing ki job ko poora karne ke baad kamaya hai. Hum bus bhaiya ke ussi source ko dekh kar parakhne aaye the ki sahi dhang se paise kamaye gaye hai ya nahi… Hume nahi pata tha ki Vyas bhaiya aur Sia ek dusre ko jante hain aur unhi ke through bade bhaiya se sabki mulakat hui. Vyas bhaiya ne hume poori baat nahi batayi...


Diksha:- Really appreciate. Har ladki ko tum dono ki tarah hi sochna chahiye. Na sirf paise ko le kar balki jo tum apni maa ko sath layi na hats off. Khair, Som ke liye sunischit rahe, ye khud se kamane me vishwas rakhta hai. Pitaji kah-kah kar thak gaye ki apni company dekh. Itna lamba chauda karobar hai... Lekin naa.. Sir ko apne freelance service se fursat nahi. Haan lekin aunty ye apne kaam me itna paripakv hai ki iske pass kaam ki koi kami nahi rahti... Som aunty, Nirali aur Jannat ko poora portal dikhao ki tum kya kaam karte ho aur kis tarah ke kaam haath me lete ho ..



Diksha ki baat sun kar Som ne laptop on kar ke dikha diya. Nirali aur Jannat jab wahan ke kaam ko dekhi tab ja kar tasalli hui. Tabhi achanak... "Bade bhaiya yahan to police department aur department of defense ke bhi official request hai"…


Som hadbari me apna laptop band karte... "Nahi wo najron ka dhoka hoga"…


Diksha:- Dikha jarra najron ka dhoka...


Som, Diksha ko ghurte... "Meri inquiry karna band kar, department wale kabhi-kabhi kisi kaam ke liye samprak kar lete hain?"


Diksha:- Ye ghuskhor police wale ab case tumse solve karwate hain…


Som:- Kuchh sensitive mamlon me outsourcing karte hain lekin maine haan nahi kaha kisi bhi case ko... Wo 2-3 case Bansal bhaiya ke department ka kiya tha, isliye mere paas police walon ka kaam aa jata hai…


Khair Som apni baton se Shahstri family ko poorn sunischit kar chuka tha ki paise galat tarike se nahi aa rahe. Santust hone ke baad Alka Shashtri sbahi logon se izazat lene lagi, lekin ghar aaye mehman ko koi itni jaldi chhod sakta tha kya...


Sia sabhi ko khane par rok lee. Diksha aur Sia kitchen me chale aaye aur thik ussi waqt Nirbhay singh Som ko le kar Zerul Imam ke ghar chal diya, jahan aaj jamin ka mamla settle hota. Yun to Som nahi jana chahta tha lekin kaam hi aisa aan pada ki usse jaana pada.


Diksha, kitchen me apna kaam shuru karti… "Kaisi hai Sia.."


Sia:- Bilkul achhi nahi hun. Som ke liye jo ladki final kar aayi thi, uske baad kisi ne intrest hi nahi liya. Tu samjh gayi thi na kal raat kya hua tha?


Diksha:- Haan samjh gayi thi aur itni upset kyun hoti hai. Pahle ladki ko parakhne to de. Kya hai kaisi hai?


Sia:- Areeee kam se kam mujhe to dikha de. Aur kab tak parkhogi... Nirlaj khud ki shadi ho gayi to bus pati ke sath mast rah aur duniya ko bhul ja...


Diksha:- Aye pagal kuchh bhi bolti hai... Yahan main aayi kis liye hun..


Sia:- Mujhe kya pata kyun aayi hai... Factory lagane aayi hai ya mujhse milne...


Diksha:- Tera jhagda karne ka mann hai..


Sia:- Haan mann hai... Tera pyar bant gaya, mujhe achha nahi lagta. Tujhse ab main jab chahun tab nahi mil sakti… mujhe bura lagta hai...


Diksha, pichhe se Sia ka gala daboch kar uske gaal ko pyar se chumti... "Pagal ladki, kuchh bhi sochti hai. 6 maine ka waqt de de bus. Abhi kya bataun ek bade se ghar me 40 logon ke bich pagal ho jati hun. Bus 6 mahine de fir hum sab settle hoga. Main mukhya office Delhi shift kar rahi hun. Ek branch Lucknow me hoga aur main yahin se poora kaam dekhne wali hun.. Samjh gayi"..


Sia:- Jhooti.. bus kar .. tum dono (Diksha aur Som) ko jhoot bolna nahi aata. Samjh gayi abhi sasural me vyast hai. Dur ya pass nahi akadta samjhi... Chal pyaj kaat alsi.. aur mujhe ladki ke bare me bata...


Diksha:- Ladki Lucknow me hi hai. Pahle main Pranshu ke sath jaungi, fir jugad laga kar tum sab ki ek mukakat karwa du taki baad me milte raho...


Sia:- Wo kyon milne lagi...


Diskha:- Duffer ladki bhi ussi school ki hai jahan ke hum hai. Uski badi bahan Jugnu bhi wahin se padhi hai... Inke ek cousin brother bhi wahin se padha hai... Kuchh samjhi ki nahi...


Sia badi si aankhen faade... "Jugnu didi ki bahan"..


Diksha:- Tujhe kya hua... Aise shoking expression kyun de rahi…


Sia:- Tujhe pata bhi hak tu kiski baat kar rahi hai...


Diskha:- Kiski...


Sia:- Kuku ki baat kar rahi hai..


Diksha, chaunkti hui... "Neero, Aksha, Paali aur Kuku… tunhare sweetos group"..


Sia:- Ji haan...


Diksha, jor se hansti... "Le tu itni sadme me thi aur main yahan pareshan... Ye to Kuku nikli. Kash pahle pata hota to ab tak baat kitni aage badh gayi hoti...


Sia:- Baat badh na gayi hoti balki hum kisi aur ladki ko dekh rahe hote...


Diksha:- Kyun...


Sia:- Kyunki Meera kisi ko itna chahti hai ki uski chahat me kayi saal se chal rahi apni management ki taiyari ko drop kar ke medical me admission lee hai...


Diksha:- What????? Meera yahan apne lover ke karan hai..


Sia:- Haan bilkul..


Sia ki baat sun kar Dikaha gahre khyalon me chali gayi. Sia, Diksha ko hilati… "O madam kahan kho gayi."


Diksha:- Kuchh nahi.… Soch rahi thi kaam badh gaya... Som ke liye dusri ladki dhundhni hogi...


Sia:- Iss kaam ko maar goli... Ye bata tere sasural wale sab achhe to hai na... Maa bata rahi thi tera sasur kafi egoistic hai...


Diksha:- Egoistic kam aur moti buddhi wala jyada bol de.... Haan lekin kuchh din baad main aur Pranshu Delhi shift honge..


Sia:- Kyun itne sare logon ke bich tere maze me pareshani hoti hai kya???


Diksha, Sia ko ghurti... "Kaisa maza"…


Sia:- Wahi jiske liye dhol pite gaye aur nagade baje the… Maza aaya tha ki nahi...


Diksha:- Kya matlab maza aaya tha... kis bare me baat kar rahi ..


Sia:- S... E... X..


Diksha, Sia ke kandhe ko thokti... "Hat pagal.. tu kya sab puchh rahi hai"…


Sia:- Tere chehre se teri mansik sukh ko anubhav kar rahi… isliye sharirik sukh ki jaankari le rahi hun...


Diksha:- Aann haann .. tujhe mere sharirik sukh ki jankari leni hai... Har ek baat ki detailed dun tujhe, poore lipta chipti sahit...


Sia:- Haan haan kyun nahi...


Diksha, Sia ke pichhe khadi thi. Baton ke dauran hi hath me aa gaya liquid colour. Bade pyar se Diksha apne hath par wo rang mali, dhime se hath Sia ke chehre tak laati apne dono hath Sia ke poore chehre par malti.....


"Mere dono hath jaise tere chehre ko mal rahe the, waise hi mere poore badan se lagta hai aur jaise mere hath ka rang tere chehre par laga hai thik waise hi Pranshu ka rang mere poore tan par chhap chhodta hai. Tujhe aur detail jaan'ni hai to mere pass aur rang hai"…


"Haan to ye le"… vegitable oil ko lee aur Diksha ke mathe par uddel dali. Jaise hi Diskha thodi pichhe hui. Sia teji dikhati gale ke pass se uske top ko khinch kar poora oil ander daal di.… "Aaya maza. Mere pass bhi urredlne ke liye bahut si chijen hain"…


Kitchen ke bahar Nirbhay ki patni Shanti khadi thi. Shanti dono ko dekh kar hansti hui.… "Bus bhi karo tum dono aise me to tumhare yahan aaye log bhukhe rah jayenge. Hato baki ka khana main dekh leti hun... Champa.. Champa"…


Sia aur Diksha bhi ek sath... "Ari o Champa sunti nahi hai"…


Shanti:- Sia apni bahan ko dekh kar tum itni sharaarti niklogi pata nahi tha…


Diksha:- Aunty aap bhi kya yaad karogi ki kin shararti bacchon se pala para tha...


Diksha apni baat kahti bacha hua rang Shanti aunty ke sar par daal dee... "Areee poore kapde kharab ho gaye mere. Tum dono chalo bahar"…


Dono aise kaise chale jaye bahar. Udham chaukdi ke sath khana pakane ka kraykarm basatur jari tha. Ghar ke ander Lata Mishra kaman sambhale, Alka, Nirali aur Jannat se baten kar rahi thi. Tariban 1 baje dophar cottage ke darvaje par dastak hui. Lata Mishra uth kar darvaja kholne ja rahi thi. Nirali baithne ka ishara karti khud chal di darvaja kholne... Aur jaise hi darvaja kholi, Nirali ka muh khula rah gaya.… Aur Vyas.……, Nirali ko yahan dekh kar uski hairani ki to koi seema hi nahi thi.…


"Uss raat isse kuchh bataya nahi, Asif ko bhi kuchh pata nahi fir inke pas info aayi kahan se. Upar se poori paltan ke sath kahin Sia ko dekhne to nahi chali aayi?"


"Ye bhai Meera ke sath bike par kyun aa raha... 4 din na huye iss ladki se mile, aur bike par ghum raha. Upar se ek ladki ko dopahar ke waqt apne dost ke yahan laa raha. Sala ye jagah itni confusing kyun hai. Har conclusion itne utt-patang kyon nikal kar aa rahe"…


Darvaje par Meera aur Vyas dono khade the. College me Meera aur Vyas se bardast hi nahi hua aur dono hi Sia ke bike par aa gaye mehboob ke ghar. Haan lekin darwaje par jiski ummid nahi thi wo najara dekhne ko mil raha tha...


Lata Mishra:- Bahar kaun hai beta...


Nirali:- Aunty wo mere bhaiya aur humare yahan ki paying guest Meera aayi hai..


Lata Mishra:- Areee to bahar darvaje par hi khada rakhegi... Aa jao beta...


Vyas badi si aankehn kiye, dhime se fusfusate... "Ye sab kya hai"…


Nirali:- Cross varification… Lekin tum Meera ke sath bike par kyun ghum rahe.. Yahan chal kya raha hai...


Cross varification sun kar Vyas ke jaan me jaan aayi lekin jis lahje me Vyas se Meera ke bare me Nirali puchhi, Vyas ko lag gaya… ho gayi galatfehmi…


Vyas ko yahan dekh kar Alka, Nirali aur Jannat aise ghur rahi thi mano kah rahi ho... "Ghar chalo fir batati hun"… Bechara Vyas ghabraya sa apna muh chhipane ki kosis kar raha tha...


Meera charo ore ka mahol dekhti... "Lata aunty aap ne pahchana mujhe"…


Alka:- Tunhari bhi yahan jaan pahchan hai...


Meera:- Bahut purani… Sia didi aur Som sir mere senior the...


Alka:- Haan isliye tum dono (Vyas aur Meera) ek hi bike par aaye ho... Jis se kabhi jaan pahchan hi nahi thi…


Vyas:- Maaaa...


Alka:- Baad me baat karte hain… tum dono yahan kyun aaye ho…


Vyas, kaise kah de ki bike lautane aaya hun... "Wo main bade bhaiya se milne aaya tha"…


Lata:- Alka ji kitne sawal puchhti ho... Sab sath padhne wale hain..


Neerali:- Sath padhne walon ke bich ka itna anokha sangam humne aaj tak nahi dekha... Ye usko jata hai... Wo usko janti hai.. wo dono ko janti hai aur ye dono bhi ek dusre ko jante hain… kya baat hai...


Vyas:- Hosh me rah kar baat kar le... kya bole ja rahi hai...


Nirali fusfusali.… "Jyada aankh mat dikhao warna sab pol patti khul jayegi ki kaise inhe hi gaali dene ki dhamki diye the..." (Canteen ke break up ki ghatna jahan Vyas, Sia ke dad ko gaali dene ki baat kah gaya tha)


Meera:- Aise dono khusur fusur mat karo, sabhi yahin dekh rahe...


Lata:- Kisi se akele me milne ki ummid se aaye the jo itne hairan ho aur apni bahan ko aankhen dikha rahe Vyas… Kuchh dil me ho to bol do..


Vyas ki to hichki nikal gayi. Mej par pada pani ki bottol utha kar peete huye.… "Aunty aap yahan mazak me bol rahi... Aur ye teeno ghar par mera jeena haram kar dengi. Upar se Sia madam ke kya kahne.. unhe ek hi chij achhe se karne aata hai..."


Vyas aage kuchh aur kahta ussi bich Lata Mishra.... "Chal re ladke bore na kar... Itne clarification nahi suna jata... Kuchh hai to haan bol warna naa bol... Ye usne aisa kiya wo usne waisa kiya..."


Meera:- Aunty aap class baad me lena pahle batao Som Sir aur Sia didi kahan hai...


Lata:- Beta itna close hokar baat kar rahi... Kuchh aisa to bata jis se pata chale ki hum ek dusre ko jante hain...


Meera:- Umr ho gayi hai aap ki... Dhyan se dekho to sahi...


Lata Mishra bade dhyan se Meera ko dekhti... "Na nahi yaad aa raha"…


Meera:- Natak karne ki aadat nahi gayi aapki... Pahchan kar bhi nahi pahchaana...


Lata Mishra:- Teri madam dekh leti na Kuku to abhi chamri udher deti... Batao salo baad mili hai... Mere paun kya tumhare pitaji chhuyenge...


"Kukuuu" ….. "Pranshu bhaiya"…. Pranshu uth bahar aaya hi tha ki najren uski bhi phail gayi...


Nirali:- Lo ab ye usko bhi janti hai...


Vyas, Nirali ke kaam khinchte... "Pagal ye sabhi ek jagah se padhe hain"…


Jannat:- Isliye ek dusre ke bare me sab seperately jante hain aur ek sath jab ek dusre ko dekh rahe to utne hi chaunk rahe hain... Batao Lata aunty ki beti ki jis ladke se shadi hui hai uski bahan nikli Meera aur Diksha didi, Sia ki bahan... Meera Diksha didi ko bhi janti hai aur apne bhai ko bhi. Lekin Meera ko ye baat pata nahi ki uske bhai ki shadi kis se hui... Ab iska kya matlab hai...


Lata:- Kuku.. Sugandha ki beti hai kya?


Lata Mishra ka chaunkna sun kar sabhi hanste huye... "Lo ek aur shocking expression"


Pranshu:- Haan Meera, Sugandha kaki ki beti hai. Baki kya hi kah dun ab Meera to Meera thehri... Unke samne to hum pani kam chay hain... Facebook tak na dekhi jo samjh me aata ki kiske sath shadi hui meri… Apna bhai thode na hun jo shadi attend karti…


Lata:- Beta emotional blackmail try kar rahe...


Meera jhat se Pranshu ke kandhe se ladti... "Pranshu bhaiya main kya kah rahi thi chalo kahin ghum ke aaya jaye... Kafi ukhde lagte ho"…


Vyas:- Haan chale jaeye. Meera apni galti par pachta rahi hogi ki ek baar pata hota iss ghar se rishta ho raha hai to wo shadi jaroor attend karti... Kyun Meera..


Sabhi ki najren ek tak tapak Vyas par.… Tabhi Pranshu… "Haan bhai, kyun nahi. Ab to Meera ji badi ho gayi hain. Boyfriend ke sath ghumti hai aur unke boyfriend ko ye tak pata hai ki Diksha se shadi hone par Meera shadi attend karti aur koi dusri ladki se shadi hoti to nahi aati. Jaisa ki Meera naa aa kar ye sabit bhi kar chuki hai"…


Pranshu ke hathon me thi technology. Chand din pahle mulakat huye ek ladka Vyas aur ek ladki Meera ki viral tasveer. Call record par Soni kaki ka confession... "Natak jamai pasand karne ke liye tha".… Aur samne tha bhada poora mahol... Bhagwan bachaye … bechara Vyas..





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Mast update tha ,ye huma ka kirdar bada dilchasp malum padta hai, aur tikdi ka reaction as expected hi tha.. humy ghanta fark nahi padta.. ab yaha ek kahani shuru ho chuki h, baki bachi hui kahani Meera puri kerne me lagi hai apne associates ke sath sath.jisme shastri ji bhi shamil hai.. ab college ka scene dikha diya magar som aur mishra pariwar including jijaji behind the scene ka gul khila rhy hai, iska nazara shayed is updated me dekhne ko mile... Aur bhai pathko ki special demand per Action bhi dalo , kyu ki aage kumar pariwar se bhidna hai ... Abhi huma ka bap bhai aur sasur samne aane wale h ... Jinme se ek to cabinet minister hai bahi...aur ek don bhi hai bole to
Ji bilkul sahi pakdey hain... Huma ke case me dono yahi jata rahe the hume ghanta fark na padta...

Meera kafi mehnat kar rahi hai haan lekin kya hai uski kismat kise pata... Ye to hum bhi nahi jante hain...

Baki behind the scene ka jo jikr kiya hai wo aaj aaye frontline story ban kar... Darshakon ki demand likhi ja chuki hai.. aur don't worry jaise jaise kahani aage badhegi action packed bhi rimanc ke sath apne charam par hoga .. hum sare pichhle page cover kar lenge.. aur khun me fir se wahi ubal hoga kahank me fir se wahi bawal hoga bus bahut jyada fanstasy ki ummid nahi kare kyunki yahan ke fight bhi kuchh reality based hi hone wale hain ...

Thanks for your lovely comment
 

Agasthya

I'm flying solo...
Staff member
Moderator
40,929
20,318
274
Oh really... pesh hai too young Som too old Sugandha ji :popcorn:
MI-13072021-2238
Hot hotter hottest
Som and Sugandha ji :hot:
jald se jald dono ki hot scene create ki jaye :D :beer2:
Ju such batao ju ladki hi hoo naa..
Kabhi-2 aisi harkate karti ho lagtaa h koi ladka I'd chala rela h..
Sanskar kaha gye ju kee.. :akshay:
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
सुना है मोहब्बत कर ली तुमने भी,

अब किधर मिलोगी , पागलखाने या मैखाने… :D

Inme se koi nahi ... Meri tarah XF par 😂😂😂😂

Kon si vali sarab vo jo aapne apne Ghar me Bnai hai spacial bhatthi me ya fir vo jo frutebear falo se banti hai :D

Ghar ki bani chijen sehatmand hoti hai... Puchhne wali baat hi na thi :dazed:

Ye Sugandha jiiiiiiiiiiiiiii special hai, wo kya hai na unki dwara banayi gayi grapes flavor vodka ki baat hi kuch aur hai :cheersbeer:

Vodka ke grapes flavour... Mujhe padh kar nind aa rayli hai... Sar chakra raha

nain11ster saheb main ju ki favorite reader hu na..
So plz Som aur Sugandha ji ke bich kuch Bhery Bhery hot hotter hottest scenes create kijiye :hot: :cheersbeer:
:booze:
Kyun The king & Xabhi saheb.. thik hai na.. :D

Favourate hone se kya matlab hai.... Har najayaj demand poori kar dun... Chapet laga dene hai maine jo najayaj demand aayi to.... Jo huamre favourite howe unki najayaj demand par pyar se samjhe to thik warna ... Thappad kha kar to samjh hi Jane hai... Galat baat dobara nahi 😜😜😜😜

Samile pls...

Intezaar agle update ke liye... Aaj do update chaahiye :rangery:
Jaane Sugandha jiii kab entry legi story pe phir se :peep:

Sharten batayi thi ju ne thik se poori na ki fir bhi humne aap ki mehnat ko saraha hai.... De diye 2 update

Shaam ko post ho jaani hai poster :D vodka ki kasam :cheersbeer:

Itne bade glass me voldka kabhi lee bhi ho :?:

Kasam khai bhi to pine ki chij ki :D

Kisi insan ki leti aur bechara mar jata to... Idhar vodka hi chhodna padta na uske badle ... Zin,scotch, aur bhi options the :D
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Ju such batao ju ladki hi hoo naa..
Kabhi-2 aisi harkate karti ho lagtaa h koi ladka I'd chala rela h..
Sanskar kaha gye ju kee.. :akshay:
Mujhe kya fark pade ju kuch bhi soch lo.. main bas had se zyada masoom reader hu, & masoomiyat se bhari mah revos :angel:
mujhe bas kuch issue chahiye kirdaar aisi ki taisi karne ke liye :akshay:
wo kya hai na romantic stories pe bas sidhe sidhe update mann laga ke padho aur revo post karte jao..
lekin jab aati controversy ki to kirdaaro ki aisi ki taisi karne maja hi kuch aur hai..
Abhi haalhi chaar panch us type ki stories invite ki hai writers ne pm jariye.. :D
chalo ushi pe kuch hungama create ki jaye kal se devil2
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Earn-money-online-with-the-world-s-largest-affiliate-network-SFI
For completed 300 pages...
giphy-1
:booze:
:congrats:.for 300 pages ..
:congrats:for 300 page nain11ster bhai
:congrats: for complete 300 page for this beautiful story
Ish khubsurat rachna ke 300 pages pure hone ki sabhi ko badhai ho dosto

Kar do dabdeel adalto ko maykhano me
Suna hai nashe me koi juth nahi bolta
Hahaha aeisa kuch nahi he bhai bas ab pahle jesa free time kam mil raha he kuch na kuch ghar ka kam ya fir koi dusra kam aa jata he jab pahle ki tarah free ho jaunga to josh bhi pahle jeisa ho jayega
King bhai vyast raho aur mast raho... ..

Kripya poora dhyan se padhne ka upar upar nahi padhne ka...

To sab se pahle thankoooo aap sab ko hume 300 page ka milestone acieve kiya .. abhi bhar bhar ke comment karne ka kyunki target to 10000 page hai... Merathon thread karna hai..

Lekin lekin lekin ... Spam na karna hai... Kahani ke thread par update ke upar comment aur kewal kahani ki hi baat ho to jyada achha lagta hai...

Yadi free time hai to dusron ki kahaniya padhe... aur unhe apne comment se majboor kar dalne kaikhne ke liye... Khaskar romance section ke kahaniyon ko to jaroor... Kyunki aap ki andekhi se likhne wale mayus hote hai... Aur kahani likhne ka unka utsah kamti ho jata hai...

Thankoooo aappp sab ka ... Padhte rahiye aur comment karte rahiye
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Top