• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance The unwanted shadi

sam207

Member
118
957
94
Tommorow update aa jayega i know ki kafi late ho gya but mujhe time nhi Mila likhne ka .abhi story kafi cover karne ke liye pado hai dusri complaint kuch logo ki yeh hai ki dada wali family ki entery kyon nhi ko rahi mein pehle hi bta du story slow burn aur romance ke build karne mein thoda time lagega
 

Silent lover

Active Member
1,633
3,689
158
Tommorow update aa jayega i know ki kafi late ho gya but mujhe time nhi Mila likhne ka .abhi story kafi cover karne ke liye pado hai dusri complaint kuch logo ki yeh hai ki dada wali family ki entery kyon nhi ko rahi mein pehle hi bta du story slow burn aur romance ke build karne mein thoda time lagega
Take your time and take your own path dude all are waiting for next updates
 

ayush01111

Well-Known Member
5,540
8,055
174
Tommorow update aa jayega i know ki kafi late ho gya but mujhe time nhi Mila likhne ka .abhi story kafi cover karne ke liye pado hai dusri complaint kuch logo ki yeh hai ki dada wali family ki entery kyon nhi ko rahi mein pehle hi bta du story slow burn aur romance ke build karne mein thoda time lagega
We are ready just one request in any manner swatti or aryan both never to any adultry outside of house
 
  • Like
Reactions: Kung lee

reeya batliwala

Active Member
570
1,132
138
आपके प्यारे अपडेट्स का इंतजार रहेगा। हीरो हीरोइन पहाड पर जा रहे हैं।
वहाँ कुछ गलत तो नहीं होगा
और प्यार जगाई
 

Spider23

Member
155
330
64
Waiting bro...aapke sabhi update bohot ache hai ....
 

sam207

Member
118
957
94
Update 23 part 2

Swati aur Aryan ab dono qile ke taraf jaane lgte hain tabhi Swati mischievously Aryan ke kandhe se kandha maar deti
Aryan- hey kya kar rahi ho
Swati- geez jldi chalo slowpoke mein bhi kis lazy bum ke sath fas gyi
Aryan- jyada nhi bol rahi tu chipkali
Swati - shut up waiter boy ..mein kya kehti hun hum na race karte hain wahan tak okay ...jo harega woh ek hafte Tak Ghar ka sara kaam karega
Aryan ko Swati ka bachapan pasand nhi aata

Aryan- dekho mein ab koi 10 saal ka bacha nhi hun aur tum kya chiz ho yaar ...mujhe toh Aaj lag raha hai ki mein kisi bache ko mela ghuma raha hun aur jaha tak rahi ghar ke kaam ki baar toh tum karti waise bhi kuch nhi drama karne ke alawa

Swati - kya how....ugh hmph fine , u are no fun

Swati man mein- how can this idiot even compare me to 10 saal ka bacha .i m grown women who can handle herself fine , stupid infuriating boring husband

Swati - waise tumhe pta hai mera bhi sapna tha chotte hote ki Mera pass bhi kash ek fort yan castle hota

Aryan - ohh really wow but ab nhi hai kya abhi bhi tum ek chotti bachi hi ho

Swati - shut up idiot ...mein bhi kiske sath aa gyi ..tum na mujhe blame mat karo agar mein bachi hun toh tu ek 23 saal ki body 55 saal ka budhha hai


Aryan - tu kitni bakwas karti hai Swati pta nhi tujhe tere gharwale kaise jhelte honge .

Swati- jyada bol mat mere family members mujhe bahut pyar karte hain aur jahan tak jehlne ki baat hai toh is waqt ek idiot ko jhel rahi ji agar ab apni bolti bnd nhi karega toh mere se thapad khayega
Aryan- are aap jaisi khubsurat ladki ka agar hath bhi humko glti se bhi lag jaye toh hamara din ban jaye agar aap thapad maar dengi toh Hume khud nhi pta hum kya kar baithenge

Aryan yeh baat toh mazak mein hi bolta hai but Swati tabhi blush karne lgti par Aryan notice na kare toh khansne ki acting karne lgti hai

Swati- eww Stop saying such cheesy lines ... pervert huh i can't believe ki tu mere sath flirt kar raha hai

Aryan- are nhi ji mein toh sach bol Raha hun

Swati - chup kar jaa Please ohh God tu kitna annoying hai yaar..stop flirting with me jerk ....tch idiot

Aryan- tu mujhe baar baar idiot ko bolti hai

Swati- kyunki tu idiot hai

Aryan- ohh really mujhe .....

Swati- Ohh shut up yaar tu kitna bolta hai tch mera sar dard hone lga hai ab tere sath batein kar ke

Aryan - thanks for the compliment

Swati - ughh u are impossible..mein teri koi tareef nhi kar rahi hun tch idiot

Aryan aur Swati ab qile ke darwaje kr paas pahunch gye the aur jab Aryan Swati ki baat ka jawab dene lgta hai toh tabhi Swati ko kuch puppies dikhte hai . Swati unko dekh kar khush ho jaati hai

Swati - aww so cute


Swati ab unke pass bhagti hui chali jaati aur unko puchkarne lgte hain .Aryan ab Swati ko dekhta hai

Aryan - yaar chalo na tum idhar kya kar rahi ho andar chalo

Swati- tch shut up aur dekho yeh kitne pyare Hain na hum isme se ek apne ghar le chale kya

Aryan- nhi

Swati- but kyun

Aryan- Swati kutta palna itna asan nhi hota dekho mein yeh zimmedari nhi le sakta

Swati- par it will be fun and don't worry i will take responsibility of this little creature


Aryan- nhi yaar dekho bacho wali baat mat karo .maine kaha nhi toh nhi

Swati- tch fine i guess u are right owing a puppy is big responsibility but yeh kitna pyara hai na

Swati ab ek kutte ke pille ko apne hath mein utha leti hai aur pyar karne lgti hai

Swati- see he likes me

Aryan ab dusri taraf dekhne lgta hai
Aryan- han like toh tujhe karenge hi tere rishtedar jo lgte hain ( halke se bolta hai )

Swati- tumne kuch kaha huh achha yeh sab chorro meri ek photo khicho na

Aryan- kya Swati jab se aaye hain tum photo hi khinch rahi ho aur yaar mein tumhara personal photographer nhi hun

Swati- nhi tum ho mere personal cameraman woh bhi aaj ke liye ... please bas ek photo

Aryan- fine
Aryan ab Swati ki photo khinchne lgta hai aur ek ek kar ke Swati 10 se jyada photo khichwa leti hai aur Aryan ke sath bhi kafi photo khinchti hai


Chat-GPT-Image-Mar-30-2026-11-27-26-PM
phir woh dono qile mein chale jaate hain .qila ka darwaja kafi bada tha toh Swati usko hi dekhti rehti hai . Woh darwaja lakdi ka bana tha aur jab Swati samne dekhti hai toh usko ek Bahut khubsurat stambh dikhayi deta hai woh kam se kam 50 feet ka tha .usko dekh Swati ki ankh mein chamak si aa jaati hai
Swati- w..wow it's beautiful
Swati man mein- may be ..may be uske sath idhar aana itna bhi bura faisla nhi tha
Aryan- hai na kamal ka
Swati- i think it's beautiful but don't think ki mein tujhe koi thanks kehne wali hun . I m still mad at u because of that stupid wheel ride

Aryan ab kuch bolta nhi bas Swati se irritate hokar muh dusri taraf karta hai

Aryan man mein- pagal kahin ki
Aryan- yeh kafi khubsurat hai na
Swati- bahut zyada aur royal bhi bilkul meri tarah par yeh kya hai
Aryan - yeh stambha hai jo raja viresh ne apni jeet par bnaya tha
Swati- hmm ok great




Aryan ab Swati ko qile ke baare mein Btane lgta hai
Woh qila zyada bada nhi tha halanki Swati ko woh qila bahut khubsurat lgta hai . Woh qile mein idhar udhar ghumne lgti hai . Aryan ki historical knowledge ko appreciate karti hai .Aryan usko btata hai ki yeh qila 500 saal purana hai aur yahan kon kon aur kis kis dynasty yan empire ne raj kiya hai but jldi Swati bore ho jaati hai

Swati- oye bas kar na yaar mein tere se history lesson lene nhi aayi idhar tu toh bore ho kar deta hai yaar

Swati aisa bolkar aage chali jaati hai yeh sochkar ki Aryan usko follow karega but aryan usko follow nhi karta hai. Aryan qile par bani carvings Ko dekh impress hota hai . qile ki deewar par kafi kala kritya bani huyi thi Woh unko hi dekh raha tha dusri taraf Swati qila ghumna chalu kar deti hai woh apni photos le rahi thi dusri taraf Aryan qile ki photos le raha tha .qile mein thode bahut tourist bhi the par jyada nhi . Swati ab aise hi ghum Rahi thi but woh ek baar mud ke Aryan ko dekhti hai aur usko qile ki photos leta hua dekh irritate si look deti hai

Swati- idiot kahin ka meri photos na khinch kar deewaro ki photos khinch raha hai ... hmph why he always keep pushing my buttons ughh i want to smack his head upside down...

Swati yeh baatein dil se nhi bol rahi thi bas woh disappointed thi ki Aryan ne usko follow nhi Kiya isliye woh phir se idhar udhar qila dekhne ke baad Aryan ke paas Jane lgti hai

Swati- - idiot mein ab bore ho rahi hun idhar
Aryan - bore ? Sach mein dekh toh sahi kitni khubsurat hai yeh nakkashiya .agar khud ki photos khinchti rahogi toh aas paas ki khubsurti ko kaise dekhogi

Swati man mein - ughh this dummy always so dense but i think that is part of his charm ? Ughh charm really i think mein kuch zyada hi soch rahi hun

Swati- achha Aryan suna na hmm in boring si deewaro ko chorrkar meri taraf hi dekh lo yaar

Aryan abhi bhi dusri taraf hi dekh raha tha tabhi Swati halke se Aryan ke shoulders par punch marti hai

Swati- idiot
Aryan- kya hai ( unch awaz mein chidte hue )

Swati- kya hua chilla kyun raha he dekho ab sab log hamari taraf dekh rahe tch it's so embarassing ( scolding tone)


Chat-GPT-Image-Mar-30-2026-11-28-47-PM

Aryan- dekho mujhe mat bolo tumne pehle punch Kiya mujhe

Swati- aww so sorry kahi chotte baby ko chote toh nhi lag ( mocking) hmph idiot agar tu mujhe ignore karoge toh punch hi padega aur is baar toh sidha muh par marungi
Aryan- mere face ko touch toh kar ke dikha
Swati- achha ( swati ab apna chin upar karke dekhti hai aur Aryan ke face par halke se hath rakh deti halanki uske cheeks aisa karne par bhi halke se flush karte hai but zyada koi hesitation nhi hoti )
Swati- yeh le laga diya hath ab bta kya karega

Aryan- mein na ...( Warning pointing his finger but still flustered by Swati touch )

Aryan - chorr jane de maaf kiya tujhe

Aryan ab aisa bolkar dusri taraf chalne lgta hai aur blush karta hai jab Swati uske piche khadi huyi thi phir smile karta hai

Aryan - Swati chal aa ham stambh ke paas sath mein chalte hain

Swati- ohh ok ok let's go waise bhi mein yahan ab bore ho hun rahi hun toh tumhare sath aa jati hun but u should be grateful that I m coming with immature jerk like u

Aryan - Han han Chalo ab jyada nakhre mat dikhao

Swati- ohhh shut up don't teach what to speak, when to speak ...i will do whatever i want to do ..

Aryan ab Swati ko stambh ke paas le jata hai aur woh bahut hi khubsurat tha isliye woh dono thode der wahan par hi rukte hain tabhi Swati aram se Aryan ka hath pakad leti hai par jab Aryan uski taraf dekhta hai toh woh stambh ki aur dekhe lgti hai phir anjan bankar uski taraf dekhti hai jaise yeh bahut normal baat hai par andar se woh kafi nervous feel kar rahi thi

Swati- kya dekh rahe ho idiot mere muh par kuch laga hua hai kya

Aryan- nhi woh ..kuch nhi bas tum kafi achhi lag rahi ho

Aryan ka compliment sunkar Swati ke gaal lal ho jaate hain

Swati- ohh really, i know I m beautiful idiot and stop embarrassing me saying such things out of nowhere

Swati man mein- stupid waiter boy saying such sweet things out of nowhere , ohh no my heart is beating so fast . If he will keep doing that ..i ll...no no bad Swati, but may be he is not that stupid even if he bact like dumb fake husband sometimes

Aryan ab gently Swati ke hath ko sehlata hai tabhi Swati ko Aryan ke Aisa karne se kuch ehsas hota jisko shayad woh shayad naam hi Dena nhi chahti thi na chahte hue bhi uska dil dhire dhire dhadak raha tha


Swati- wh..what do u think u are doing... Let go of me , u big idiot
Swati man mein- hmm he is holding my hand so gently it's feel almost perfect ughh no stupid thoughts Swati but i caht my self around him

Swati ke aise protest karti but apne hath piche nhi karti but aryan apna hath piche kar leta hai

Aryan- woh....woh galti se ho gya tha , aao tumhe rani ki qabar dikhata hun

Aryan ka hath hatne ke baad tabhi apni baat par regret karti hai

Swati man mein -Ohh why this dummy has such a affect on me , i hate him but ..but i think if I keep pushing him like this ..toh hum shayad dost bhi na rahe

Swati ab Aryan ke piche piche aa jaati hai aryan tabhi usko ek grave ke paas le jaata hai tabhi Swati dekhti hai ki bahut couples wahan par uski grave par flowers ( phul)
Chada rahe the

Aryan bhi wahan paas hi ek admi se jo wahan par phul bech raha tha usse ek gulab ka phul leta hai . Swati bhi Aryan ko dekh kar curious ho jaati hai aur Aryan ki shirt ko khinchti hai

Swati- oye Aryan yeh ..yeh koi religious place hai kya sab yahan par flowers kyon chada rahe hain ..aur tumne toh kaha tha ki hum Rani ki qabar dekhenge toh mujhe yahan kyun laye

Aryan- yeh hi Rani ki qabar

Swati- kya , toh..toh phir sabhi yahan sar jhuka kar phul kyun chada rahe hain

Aryan- sab nhi sirf couples hi yahan par phul chadate hai aisa yahan tradition hai

Swati- but..but kyun and wait a minute tumne yeh rose kyun liya dekho idiot don't be upset but we..we are not real couples toh mujhse expect karna ki mein bhi koi phul chadane wali hun tumhare sath kisi Rani ki stupid grave par sirf isliye kyonki yeh yahan ka koi tradition hai

Swati ke Aisa bolte ho aas pas ke log Swati ko ghur ke dekhte hain tabhi aryan Swati ko halke se bolta hai

Aryan - hey pagal yeh tum kya bol rahi ho yeh yahan ki rani thi log inki aaj bhi bahut ijjat karte hai yahan agar aise hi aur itni zor se boli toh log mujhe yahan par mar put denge aur tumko koi kuch nhi bolega kyunki tum ladko ho ( scolding tone)

Swati- achha thik hai dant kyun rahe ho sorry tch galti ho gyi

Aryan - glti ho gyi ? Tumhari wajah sach mein kisi din mein mara jayunga

Swati- ohh please don't try to play victim card here ..i m sorry ok ab pakka mein koi bakwas nhi karungi

Swati man mein -ohh yeh mein kya bakwas kar rahi hun , why i m even appoglising this dummy but i think it's fine i should appolgise after all galti meri hi hai but mein iske samne admit kyon kar rahi hun

Aryan- chalo tumne yeh toh mana ki tum bakwas karti ho

Swati ab apni galti manani ke baad idhar udhar dekh rahi thi but jab woh Aryan ki baat sunti hai toh irritate ho jaati hai

Swati man mein -ohh dekh Swati Maine pehle hi kaha tha ki apni galti mat Maan dekha ab yeh waiter boy tujhe taunt maar raha hai


Swati- ohh shut up idiot maine yeh kab kaha don't put ur own words in my mouth

Aryan ab Swati ko gusse wali look deti hai

Swati- ohhh don't give me that look tch hmph fine whatever but don't think ki mein bhi tumhare sath aayungi phul chadane ,yaad hai na we are not real couples

Aryan- han pta hai mein toh bas yeh rose toh unki respect karne ke liye chada raha hun

Swati- achha waise aise bhi kya kiya tha is rani jo itni respect karte ho tum uski

Aryan - sacha pyar

Swati aryan ki line sunkar annoyance mein apni aankhein roll kar leti hai

Swati- real love?ha don't make me laugh , the stupid real doesn't live in this shitty world

Aryan- yeh tum manti ho mein nhi

Swati- ohh please spare me the dramatics , face it idiot.love is just a fairy tale people tell themselves so they don't have to be alone (annoyed)

Aryan- but yeh bechari toh akeli hi Rahi sari umar

Swati- bas karo yaar tum kitne filmy ho

Aryan- nhi sach mein aur jo hua tha na tum jaisi ladki woh soch bhi nhi sakti (offended)


Swati- ohh acha Aisa bhi kya hua tha

Aryan- yeh kahani kareeb 500 saal purani ....( Dramatic voice )

Swati jab pareshan hokar Aryan ke kandhe par hath marti hai irritate hokar

Swati- hmph shut up yaar itna detail mein nhi sidha sidha btao

Aryan- achha thik hai toh yeh jo Rani thi inka naam tha sarah . Yeh dusri community se belong karti thi. Raja ne inhe apne ghar mein Sharan d thia, raja ne inki sadhgi ko dekha aura raja ne inka vivah apne bete kumar verma se karwaya tha jis din sarah ne kumar verma ko dekh woh usi din se uski ho gyi par shadi ke agle din hi hi Kumar verma ko yudh mein jaana pada aur khabar aayi ki Rajkumar ko yudh mein veergati ko prapt ho gye aur unki veerta se hi jung ko jeeta bhi gya par sarah tabh akeli pad gyi aur usi qile mein rehne lgi jahan Kumar verma ka intejar karte hue ..yahan ke historion kehte hai ki woh roj kumar verma ka intejar karte hue ghanto tak samne wale gate par khadi rehti thi aur Aisa karte karte woh bhi bhudi hokar mar gyi par aesa ek din bhi nhi tha jis din woh us darwaje par kumar verma ka intejar karne na gyi ho

Swati 1 min ke liye kahan sunkar chup ho jaati hai uski ankhon mein ek vlunerabilty aati hai is kahani ne usko touch toh Kiya tha but woh yeh kabhi nhi admit karti

Swati- ohh really tch kitni boring life hogi bechari ki aur waise bhi woh karti kya after all woh time hi Aisa tha par mein uski jagah hoti toh dusri shadi kar leti ...waise bhi ek admi ke intejar mein koi kaise zindagi guzar sakta

Aryan- ohh mein guzar sakta hun
Swati ab Aryan ki taraf gusse se dekhti but usko thodi uncertainty feel hoti hai

Swati- pathetic...but I guess tumhara samajh mein bhi aata hai after all tumko saari umar rehna bhi Virgin hai ... stupid Virgin boy ..par tu chinta mat kar jab mein kisi ki asli wife ban jaungi toh mere bache tujhe hi mama mama keh kar bulayenge ..idiot

Aryan- hey dekh Swati apni juban sambhal le nhi toh mein...

Swati- mein kya bolo ...huh i know u are all bark no bites

Aryan- mujhe na tujhe apne sath lana hi nhi chahiye tha

Swati- aww ab mera waiter boy naraj ho gya ..so sad (mocking)

Aryan ab gusse mein wahan se sidha Rani ki grave par jhakar phul chada deta hai but Swati apni arms cross kar ke wahan par hi khadi rehti hai but aryan phul chadane ke baad sidha qile ke bahar jaane lgta hai aur Swati ki taraf dekhta bhi nhi hai

Swati yeh dekh kar hairan ho jaati hai aur Aryan ko follow karti hai par Aryan uski taraf dekhta bhi nhi

Swati- hey kya hua kaha jaa rahe ho ( pareshan)

Aryan - meri baat suno mere se Aaj ke baad koi faltu baat mat karna

Swati- kyaaaa are u mad ...nhi yaar tum itna gussa kyun kar rahe

Swati aryan ki baat sunkar pareshan ho jaati hai aur Aryan ko follow karte hue hath hilate aur chillate huye argument karne lgti hai

Aryan- maine kaha mujhse baat mat karo

Swati- par yaar mein toh aise mazak kar rahi thi tum gussa kyun kar rahe ho

Aryan- maine kaha mujhse sirf kaam ki baat Karo and we are not even friends

Swati- fine ..see if care waise bhi Tum jaise dummy ke sath aise dosti kyon karega ( hurt but still trying to argue)

Aryan- Good...mein bhi tumhare baare mein yeh bhi sochta hun

Swati man mein- ughhh why he is such a crybaby . I can't believe how can be someone so infuriating and so impossible to deal with

Swati ab gusse mein apne pair patakne lgti hai aur Aryan wahan se jaane lgta hai

Swati-- ughhnhhhh ruko ...achha yeh toh bta do kahan toh Jaa rahe ho

Aryan- ghar


Swati- kyaaaa toh mujhe nhi lekar jayoge apne sath

Aryan- tum toh independent aur strong girl ho na toh khud chali jaayo


Swati ab bhag kar Aryan ke paas pahunch jaati hai aur uski baju pakad leti hai

Aryan- chorro mujhe kya kar rahi ho pagal

Aryan ab Swati ki pakad se chutne ki koshish karta hai par Swati bhi usko kas ke pakad leti hai jaise woh uski lifeline ho

Swati- hmph where are u going dummy ...don't forget ki mein tumhari wife hun

Aryan - chorr mujhe kamini

Swati- nhi chorrungi kute jo karna hai karle

Aryan- ahhh tu kitni ziddi hai ..dekh zyada zor mat laga nhi toh tere lag jayegi


Swati aryan ki baju khinchte hue usko gusee se dekhti hai

Swati- toh Maan ja na meri baat idiot ...kaise domestic partner hai tu

Aryan- dekh swati yeh kya natak laga rakha ...ughh ab mujhe yeh indirectly ab pati kyun bta Rahi hai pehle toh mujhe tere bacho ka mama bna Rahi thi na

Swati ek baar Aryan ko uncertainty ke sath dekhti hai aur usko thoda gussa thanda ho jaata hai par woh ruk aryan ke kandhe par halke se thapad marti hai


25779152fc78dfe74911d38467e636d7
Swati- stupid... stupid ladka
Ahh why are u so dense ....
Mein sirf majak kar rahi thi tum har baat ko itna serious kyon lete ho

Swati man mein -ohh yeh ladka kitna bada ghada hai ughh seriously kya yeh sirf is baat par hi offend ho gya ..
Tch fine jo bhi hai atleast isne Mera itna khyal rakha hai aaj aur itni shopping karayi hai toh agar sidha bhai bol dungi toh gussa toh karega hi waise bhi mein is idiot handsome ko apna bhai nhi manti ...

Aryan- jaa yaar.....bc Mera dimag mat kha

Swati ab gusse mein adorable sa pout bna deti hai tabhi aryan uski taraf dekhta hai aur Aryan ke dekhte hi uska resolve khatam hone lgta hai ki woh kabhi Swati se baat nhi karega

Aryan- mere aage cute na hi bno tum chipkali

Swati- hmmph sorry yaar ab Maan bhi Jaa na

Swati ab Aryan ke paas jakar ke uski shirt pakad leti hai

Swati- sorry na ... sorry..hey idiot yaar mein majak karti hun tu itna offend kyon ho jaata hai

Aryan - dekh swati.....

Swati- please.... sorry na idiot dekh idiot aise sorry toh maine apni bestie se bhi kabhi nhi mangi tu kyun itni akad dikha raha

Aryan- ughh thik hai par ab tu koi bakwas mat karna


Swati itni si baat par hi khud ko defend karne lgti

Swati- bakwas mein bakwas karti hun ...tch idiot .....

Par jab Aryan uski taraf gusse se Dekhta hai toh Swati dusri taraf dekhne lgti hai par abhi bhi usne Aryan ki tshirt ko pakda hua tha ab woh phir dhire se Aryan ki taraf dekhti hai aur uska tough exterior crumble kar jaata hai
Swati man mein- why he look so handsome suddenly to me ... shayad mein sach mein pagal ho gyi hun

Swati- tch fine mein nhi karti bakwas,happy now but remember one thing ki yeh mat sochna ki u can control me..
I m still the boss in this stupid contract marriage ok



Swati ko ab khud ki hi baat mein hi jhuth hi dikhta hai

Aryan- tu nhi kabhi sudharne wali par mujhe tujhse bhi koi zyada umeed hai nhi

Aryan ab Swati apni shirt se hath utatha hai aur uski pakad thodi rough thi jisaee Swati ko taqlif hoti hai .Swati isi baat tilmila uthati hai


441648b3df4bf8a48f3aea222af31f63

Swati- oye Stop manhandling me u..u idiot ..chorr mera hath Aryan ,this is not some joke chorr de Mera hath, i m being serious here

Aryan tabhi smile karta hai Swati ko dekh

Swati- stop smiling u jerk ..ahhh mere sach mein dard ho raha

Aryan- kyun sari haikdi nikal gyi teri

Swati ab apna hath Aryan ke hath se churrane ki kosish karti hai but kuch khas kar nhi paati


Swati- let go me u jerk, tune ...tune toh deodrant bhi nhi lagaya hai yan phir u are too to function without someone holding ur hand

Swati man mein - stupid... stupid idiot whe he is holding my hand so tightly ugh ab sach mein mere dard ho rahi hai , i m really annoyed here but his hands are so warm and big .stop thinking about it Swati..u ..u are not some lovestruck school

Aryan ab apni jeb se woh bracelet nikalta hai jo usne Swati ke liye kharida tha aur usko woh bracelet pehna deta hai jisse Swati Puri tarah overwhelm ho jaati hai but show nhi karti hai

Swati- ohh my god (excited)...umm i mean it's beautiful but.. but u think u will manhandle me first then present me some cheap jewellery ughh typical men thinking material gifts can solve anything ( lying to just maintain her tough exterior)

Aryan - kyun tumko pasand nhi aaya

Swati- offcourse not but I think it's beautiful even coming from idiot like...so thanks .. thanks for this beautiful bracelet but it doesn't mean that i have forgiven u for manhandling me I m ..i m just little distracted by this shiny bracelet it's ..it's beautiful

Swati man mein- ohhh my god this is so thoughtful . how did this idiot know i wanted something like this? No .. wait it must be coincidence . Yes that's it I m not really touched or anything .i m totally fine yeah everything is normal and i don't like him at all

Aryan - mujhe khushi huyi ki tumko yeh pasand aaya maine yeh tumhare liye hi kharida tha

Swati- Sach mein .. thanks dummy now mein soch rahi hun tum as a person itne bhi hopeless nhi ho ..

Swati- so ...

Swati ab Aryan se milane ke liye apna hath badati hai aur Aryan bhi Swati se hath mila leta hai

Swati- tch achha ab bas bhi karo kitna handshake karoge idiot ... uggh tum soch mein idiot ho

Aryan ab hath Milana bnd kar ke

Aryan- tumhare sath maza aaya hai aaj

Swati- really well but mujhe itna maza nhi aaya chalo ab mujhe kuch khila do bahut bukh lagi hai

Aryan swati ki baat sunkar disappointed ho jaata hai aur uski smile gayab ho jaati hai

Aryan- kya khaogi

Swati- Kuch bhi chalega

Aryan ab Swati ko phir se mele mein le jaata hai aur wahan thoda khaa pikar woh dono decide karte hai ki Ghar chalte hai kyunki sham kafi ho gyi thi

Swati aur Aryan bus ka wait kar rahe the halanki Aryan ko laga tha ki Swati kuch bolegi but Swati kuch nhi bolti

Aryan- mein dekh raha hun tum dhire dhire meri tarah middle ban rahi ho

Swati-tch don't get the wrong idea, i m not trying to some middle class wifey here ,i told u I only married u for getting my own inheritance Nothing else

Swati -stupid waiter boy ... saying such things ( bahut dhire se bolti hai taki Aryan ko sunayi na de )


Swati man mein- ugh he really don't know when to quit does he ? Trying to act so familiar and like family ...like there are not layers upon layers in whatever relationship we have , well I will show him what bossy wife looks alike....not that I want to it's just ..it's just purely for show...yeah that's it ....idiot

Tabhi bus bhi aa jati hai aur Swati apne baalo ke bade stylishly hilate hue Aryan ko ek aaage haughty sniff karti hai aur bus mein Chad jaati hai .Aryan bhi Swati ke piche jaata hai aur uske sath baith jaata hai isliye Swati muh fulate hue khidki ki taraf dekhti hai

Aryan- yaar ab kya ho gya itna gussa kyon karti ho tum ..paga

Swati- i m not angry u idiot why do u even think that ..i just ..i don't being like called middle class ok

Aryan- thik hai nhi kehta tumko middle class

Swati- Good

Aryan ab earphones laga kar gaane sunane lgta hai tabhi Swati uski taraf gusse se dekhti hai

Swati man mein- look at him ..idiot mein idhar naraz hun aur yeh gaane sun raha hai ughh why he is so infuriating sometimes.....

Aryan ab Swati ko dekhta hai jo gusee se usko dekh rahi thi

Aryan - kya baat hai
Swati- Kuch nhi

Aryan ab Swati ko bahut calmly earphone lagane ko offer karta hai .Swati bhi Aryan ki taraf bina dekhe headphones le leti hai aur uske sath gaane sunane lgti hai

Swati- fine ..but..don't read much into it I m still not Happy

Swati ab aisa bolkar khidki ki taraf dekhti hai aur halki si smile karti hai

Swati man mein -ha look at him ...he looks like lost puppy all riled up ..so funny but I must say he got the good music taste though

Swati ab puri journey se thak gyi thi isliye dhire dhire apna sar Aryan ke kandhe par rakh deti hai jis se Aryan bhi hairan hota hai but usko piche nhi hatata hai bas smile karke dekhta hai tabhi Swati apne aap ko irritate dikhane ke liye phir akad ke bolti hai


04c3f7595d9a6371521ba7c82ce27130
Swati- hey don't read into much ok i don't like leaning on ur stupid shoulder ,i m just feeling sleepy now ok and that is also ur fault because u bore me to death because of ur stupid music taste

Aryan- agar tumko mera music taste nhi pasand hai toh earphone mat lagao mere

Aryan ab Swati se earphone lene lgta hai
Swati- oye hath mat lagana
Aryan- phir mere music taste ko ghatiya mat boli
Swati- fine ...

Swati ab ubbasiya lete so jaati hai aur uska sar abhi bhi Aryan ke kandhe par hota hai


bce89a194cb1283f8f2a243ebff6f234

Aryan tabhi blush karne lgta hai aur Swati ki taraf dekhta uska dil kar raha tha ki Swati ko pyar se uske face par touch kare kyunki Swati bahut pyari aur masum lag rahi thi apne usual bratty behaviour ki jagah

Jab woh apne sheher pahunch jaate hain toh Aryan Swati ko jagah deta hai
Aryan- hey Swati utho station aa gya hai
Swati tabhi nhi uthti phir Aryan Swati ko thoda hilata hai
Aryan- hey Swati utho

Swati tabhi angrayi leti hai aur woh thoda alsi tarike se puchti hai

Swati- umm ahh ha mujhe jagaya kyun nhi idiot

Aryan- tum so Rahi toh....

Swati- anyways let's get going I m tired after dealing with ur stupidity
Swati- hmm why he has to be so thoughtful..yeh bahut achha hai yaar ek baar bhi isne mujhe uthaya nhi but .but yeh bhi toh ho sakta isko maza aa raha after all he is big ..big pervert
Swati ab Aryan ki taraf smile karti hai aur bahar jaane lgti hai
Aryan- swati thoda toh saman utha lo

Swati- i m not ur servant apna kaam khud karo

Swati aisa bol toh deti hai but phir wapas aakar thoda saman uthati aur bade arrogantly apne hairs flip karte hue wahan se jaane lgti hai
Swati - hmphhh idiot
Swati man mein - hmph the nerve of him ordering me around like some kind of servant

Aryan aisa dekh sad sa face bna leta hai kyunki wahan par baithe passengers thoda has dete hai tabhi ek admi Aryan se puchta hai "kya baat hai ladke nyi nyi shadi huyi hai kya "

Aryan- ji
Admi - tera toh abhi yeh haal hai toh baad mein kya hoga
( Haste hue )

Aryan ab us admi ko ek confused look deta hai tabhi usko Swati ki awaz aati hai

Swati- oye ab aa bhi jayo saman itna bhi heavy nhi hai
( Irritated)

Aryan- aa raha hun

Aryan aur Swati ab bus se niche utarte hain

Swati- idiot kis se baate kar rahe the

Aryan- koi uncle the

Swati- tch seriously anyways chalo ab aur aaj scooty mein chalungi...ok

Aryan- nhi

Swati- hey ...that's not fair please mujhe chalane de na yaar

Aryan - maine kaha na nhi

Swati ab wahi ruk jaati hai apni arms ko cross karte aur shopping ka bag bhi niche rakh deti hai


8edf6fcc4b68cad11f064c12136ce08a
Swati ab bacho ki tarah muh fula leti hai

Aryan- chalo ab

Swati- mujhe nhi aana Tum akele chale jao mein yahan se auto lekar apne ghar jaa rahi hun

Aryan- dekho Swati natak bnd karo aur chalo

Swati- hmph ..i m not coming

Aryan- achh thik hai tum chala Lena Scooty

Swati - ab aaya na line par ...tch idiot ( halke se taki Aryan ko sunayi na de )

Swati ab Aryan ko follow karne lgti hai phir jis dukan mein usne scooty park ki thi wahan se woh scooty lekar Ghar ki taraf nikalte hain

Swati is time scooty chala rahi thi aur woh bahut khush bhi lag rahi thi tabhi aryan Swati ke kandhe par hath rakhta deta hai


Swati- tch u are such a pervert..ughh i can't believe I m stuck with u

Aryan ko laga ki Swati ab hath bhi hata legi but Swati hath hatane ke liye kuch nhi karti


Aryan aur Swati ab Ghar pahunch jaate hain .Swati Ghar mein aate hi sofe par lazily baith jaati hai thakwat bari sans lete hue . Aryan tabhi darwaze par khada hua Aaj ke kharche ka hisab laga raha hota hai . Swati tabhi aryan ki taraf dekhti hai aur smile karti hai

Swati ab Aryan ke paas jati

hai

Swati- jyada kharcha ho gya kya
Aryan- nhi kuch zyada nhi

Swati - achha chorro ab hisab karna subah dekh lena aur baitho mein tumhare liye chai bnati hun

Aryan Swati ko dekh kar thoda hairan hota hai ki isko achanak kya ho gya

Swati ab Aryan ko sofe par baithati hai phir uske liye chai bnane kitchen mein chali jaati hai thode time baad woh living room mein aakar chai ka cup Aryan ko offer karti hai

Aryan- tumne is mein koi zehar toh nhi daala hai

Swati- nhi idiot but I wish I could add some poison in it..now drink this amazing chai i made for u


Chat-GPT-Image-Mar-30-2026-11-30-14-PM
Swati man mein -ohh he is such a jerk accusing me of such things but ..why do i even bother to make chai gir him ..he is not that important or may be

Swati- umm kaisi bni hai

Aryan- achhi hai

Swati- really ohh thanks

Swati ab khush ho jaati hai aur woh ek dum blush kar rahi thi aur kafi excited lag rahi thi . Swati aryan ko dekh rahi thi tabhi aryan wahan se uthta hai apne room mein Jane ke liye

Swati phir uska hath pakad leti hai
Swati- achha suno
Aryan-kya hai yaar ab

Swati- mujhe tumse ek baat kehni thi
Aryan- han bolo
Swati aryan ki taraf dekhti hai usko Aryan bahut hi handsome lag raha tha

Swati ab apne lips ko bite karti hai kyu woh Aryan ko thanks bolne mein hesitate kar rahi thi

Aryan - are jldi bol mujhe subah kaam par bhi jaana hai

Swati- mujhe...mujhe tumhare sath aaj kafi achha laga ..i mean it was nice ki tumne Mera khyal rakha .mein bas yeh kehna chahti hun ki tumhari company itni bhi buri nhi ...but iska yeh matlab nhi hai ki i like spending time with u . I still think u are big dumbass pervert

Swati ka tough exterior khatam ho gya tha isliye woh Aryan ki taraf dekh kar muskrati hai phir halke se uske gaal par kiss kar deti


eszan esra
par tabhi Swati ko realise hota hai ki usne kya Kiya hai isliye
woh awkward aur flustered ho jaati hai

Swati- umm dont read much into it..it was just friendly peck ..umm bye

gotto go

Swati Puri tarah flustered ho chuki thi isliye bye bolkar ek sec mein apne room ki taraf jaane lgti hai

Swati ab apni jldi se apne room mein enter karti aur door bahut zor se bnd karti hai ki pure room mein awaz aa aati hai


e249aaab3d654f6c2d0082101511f794
Swati ka reaction bahut hi comical hota hai aur woh sidha floor par ghutne tika kar baith jaati hai .Swati ka face puri tarah bit Red ho chuka tha isliye uske gaal bhi heat produce kar rahe the
 
Top