• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The League of Unknown

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who is your favorite character in the story?


  • Total voters
    33
  • Poll closed .

Scorpionking

Active Member
991
3,431
123
Update 20


Isha aur Lathika ne thode der waha shopping ki, par Isha apne hi soch me thi

Isha(Man me)-“Bhaiya yaha is samay? Wo bhi ek ladki ke saath?”

Lathika(Isha ko hilate huye)-“Isha?? Kaha khoyi huyi hai..”

Isha-“Kahi nahi bas aise hi.. Chal tu!”

Dono ne thodi der waha shopping ki aur wapas ghar ki aur chal diye

Dusri aur Rashmi Gaurav ke saath date par jane ko taiyaar ho rahi thi. Tabhi Sayesha waha room me aayi

Sayesha-“Chhoti kaha ja rahi hai?”

Rashmi-“Wo.. Wo...”

Sayesha-“Gaurav ke saath date par ja rahi hai?”

Rashmi-“Hmm..”

Sayesha chalte huye Rashmi ke paas aayi aur uske mathe ko choomte huye kaha

Sayesha-“To isme chhupane ki kya baat thi?”

Rashmi-“Nahi didi! Aapko bura to nahi lag raha na! Agar aisa hai to mai nahi jaungi!”

Sayesha-“Chhoti! I know tu Gaurav ko kitna pyar karti hai! Mujhe kis baat ka bura lagega!”

Rashmi-“Saayu!!”

Sayesha ne apni eyebrows upar ki aur Rashmi ko dekha

Rashmi-“Hum bhi Date par jaenge!! Please!!”

Sayesha-“Arre mujhe sach me bura nahi lag raha Chhoti!”

Rashmi ne Sayesha ka kamar pakad kar use apne paas khicha aur aankho me aankhe daal kar kaha

Rashmi-“Sshhh!! Ye mai apne liye kar rahi hu Saayu. Mujhe apni jaan ka khayal rakhna hai!!”

Sayesha ne smile karke haa me sar hilaya aur Rashmi ko dur karte huye kaha

“Ab tum Gaurav ke saath date par jao warna late ho jaogi!”

Rashmi ready ho kar nikal gayi! Wahi dusri Gaurav bhi office me hi ready ho kar nikal gaya! Isha bhi Ajay se milne ke liye nikal rahi thi use Seema ne dekh liya

Seema-“Ishu itne raat ko kaha ja rahi ho?”

Isha-“Mumma.. Wo..”

“Wo mere dost ke yaha kuch kaam tha maa! To is chudail ko bhi le ja raha hu.”

Piche se Rahul ne aate huye kaha.

Seema-“Dhyan se jana beta!”

Dono ne har me sar hilaya aur ghar se nikal gaye.

Isha-“Thankyou yaar! Mujhe to kuch samajh hi ni raha tha ki mai kya bolu!”

Rahul-“Ae chal chal! Bada aayi Thankyou wali. Ek baat bta tu aise hi jayegi?”

Isha(Khud ki dress dekhte huye)-“Haa!!”

Rahul-“Thank God Jija tujhse itna pyar karta hai!”

Itna keh kar wo dhire dhire hasne laga, Isha ko jab baat samajh aayi usne kaha

“Kutta!! Tujhe to mai aa kar dekh lungi.”

Rahul-“Ab chal!”

Rahul ne Isha ke saath drive karte huye Isha ko ek restaurant ke saamne chhod diya. Isha andar gayi

Isha(Manager ko)-“Excuse me! I am here for Mr. Ajay!”

Manager-“Ji madam! Abhi tak Mr. Ajay nahi aaye hai par unki table humne taiyaar rakhi hai! Yaha is taraf!”

Isha-“Thankyou!”

Manager ne Isha ko ek table ke paas le gaya. Isha wahi baith gayi aur intezaar karne lagi, Use intezaar karte karte adhe ghante ho gaye. Ab Isha ko gussa aane laga tha. Usne thodi der aur wait kiya jab Ajay tab bhi nahi aaya wo gusse me uth kar jane lagi. Jaise wo uth kar khadi hui aur piche mudi usne dekha saamne se Ajay Darwaza khol kar andar aa raha tha. Ajay ko dekh kar wo wahi ruk gayi. Ajay ne is tym ek solid white shirt pehna hua tha aur us se matching ek trouser, is simple se dress me bhi wo bahut handsome lag raha tha! Isha usko dekh kar usko dekhti hi reh gayi, Ajay uske saamne aa kar haath hilaya.

Ajay-“Kaha kho gayi ho madam?”

Isha apne hosh me aayi aur use yaad aaya ki Ajay itne late tha, wo gusse me bahar jane lagi

Ajay-“Kaha ja rahi ho jaan? Ruko to!”

Isha ne nahi suni aur jane lagi, Ajay ne Isha ka haath pakda

Ajay-“Sorry jaan tum to janti ho kitna kaam rehta hai! Aaj ke liye maaf kar do please!”

Tabhi ek ladki waha aayi aur Ajay se kaha

Ladki-“Heyy handsome! Use jaane do! You can have some fun time with me!”

Ye sun kar Isha ka mood aur kharab ho gaya, Wo piche palat kar us ladki ki taraf badhi

Isha(Ladki ko gusse me)-“Fun time? Ruk tu chudail! Mere jaan par dore daalegi?”

Ajay ne ye dekh kar Isha ko pakda, Isha us ladki ko maarne ke liye aage kud rahi thi, par Ajay ne use pakad kar rok rakha tha.

Ajay-“Ruko Isha!! Chhodo use!”

Ajay use utha kar apne table ke paas le aaya!

Isha baar baar piche mud kar us ladki ko gusse se dekh rahi thi

Ajay-“Ishu Chhodo na usko!”

Isha(gusse se)-“Kaha the tum itni der? Aisi kisi ladki ke piche gaye honge na kahi?”

Ajay-“Shaant ho jao jaan! Mai meeting me busy tha. Tum to janti ho mera kaam?”

Isha gusse me fula kar baithi thi! Tabhi unka khana unke saamne aa gaya.

Ajay-“Lo khana bhi aa gaya! Ab khane par gussa mat nikalo jaan! Kha lo na please”

Isha maan to gayi thi par use Ajay ka yu manana acha lag raha tha isiliye wo gussa hone ka natak kar rahi thi. Ajay use apne haath se khana khila raha tha

Isha ne ek spoon me thoda khana uthaya aur Ajay ki taraf karte huye kaha

“Agli baar se late huye na to soch lena?”

Ajay ne muskurate huye apna muh khola aur khana khane laga. Aise hi dono ne hasi mazak karte huye khana khaya! Aur jaise hi wo dono jaane ke liye khade huye Isha ne Ajay ko pakda aur uske gaal par kiss kiya aur uske shirt par bhi kiss kiya! Jis se Isha ke lips impression unme padd gaye

Isha-“Ab chalo! Koi ladki ab tumhe nahi dekhegi!”

Ajay-“Tum bhi na!”
Superb update bhai.
 
160
394
79
 

GR_IE111

Check my story - The League of Unknown
279
1,463
124
Update 21


Wahi Dusri aur Gaurav office se nikal kar Ashram ki aur gaya. Jaise wo waha pahucha Rashmi uska ashram ke garden par wait kar rahi thi. Rashmi chalte huye uske paas aane lagi, Rashmi ko dekh kar Gaurav alag hi duniya me chale gaya aur apne me hi kahi kho gaya. Rashmi ne ek Red colour ki one piece frock pehni thi, chehre par halka sa make up tha. Jisme uski saadgi dikh rahi thi. Rashmi chalte huye Gaurav ke paas aayi aur kaha

“Hi Gaurav! Kaise hai aap?”

Gaurav(Hosh me aate huye)-“He.. He.. Hello.. Rashmi ji!”

Rashmi-“Kya hua? Thik to hai aap?”

Gaurav-“Ha.. Haa.. Mai thik hu. Chaliye chalte hai”

Rashmi-“Chaliye”

Gaurav aur Rashmi dono gaadi me baith kar chale gaye, Gaurav Rashmi se baat karna chahta tha!

Gaurav-“Rashmi!!”

Rashmi-“Haa!??”

Gaurav-“Wo.. Aap.. Aap aaj.. Aap aaj kaha jana pasand karengi?”

Gaurav sharam ke maare kuch keh nahi pa raha tha, Rashmi ye samajh chuki thi usne kaha

Rashmi-“Aapne jagah decide nahi ki? Chaliye mai aapko apne fav jagah le jati hu!”

Gaurav ne haa me sar hilaya

Gaurav-“Ji wo!!”

Rashmi-“Gaurav aap kuch kehna chahte hai?”

Gaurav-“Aap aaj bahut khubsurat lag rahi hai!”

Rashmi ye sun kar Sharma gayi aur dheere se Gaurav ko Thanks kaha. Thodi der me wo ek restaurant ke saamne the! Wo ek chota sa restaurant tha jaha log daily chai aur nashta khane aate the. Rashmi ne Gaurav ko dekha aur kaha

“I know ye date ke liye ek perfect jagah to nahi hai par ye jagah aur yaha ki chai mujhe bahut pasand hai!”

Gaurav us restaurant ko dekh raha tha usne kuch kaha nahi par usne Rashmi ko dekh smile kiya aur haath aage karte huye kaha

“Chaliye!”

Rashmi-“Aap kuch bhul to nahi rahe?”

Gaurav-“Kya?”

Rashmi-“Aap date par aaye hai aur mere liye kuch gift nahi laaye?”

Gaurav ko achanak se gaadi me rakhe phoolo ki yaad aayi. Darasal Rashmi ne un phoolo ko pehle hi dekh liya tha isiliye wo Gaurav ko chhed rarhi thi

Gaurav turant piche mud kar jaldi jaldi un phoolo ko nikala aur ghabrate huye Rashmi ko diya

Rashmi ye dekh hasne lagi aur usne wo bouquet lete huye Gaurav ko thanks kaha, Tabhi Gaurav ko ek call aaya

Gaurav-“Rashmi ek min”

Rashmi restaurant ke andar chali gayi

Rashmi(Counter me baithe Restaurant Owner ko)-“Namaste chacha! Kaise hai aap?”

Restaurant Owner -“Arre Rashmi bitiya aao aao! Aaj kal tumhara yaha aana kam ho gaya!”

Rashmi-“Kya karu chacha! Kaam hi itna hota hai!”

Restaurant Owner -“Mujhe laga tum apne chacha ko bhul gayi!”

Rashmi-“Aise kaise ho sakta hai chacha!”

Restaurant Owner ne dekha Rashmi ek dum sajh dhaj kar aayi thi

Restaurant Owner -“Beta!! Aaj kuch special hai?”

Rashmi-“Haa chacha kuch aisa hi samajh lijiye! Acha chacha koi shaant corner me table aur do chair lagwa dijiye!”

Restaurant Owner -“Matlab humari bitiya kisi se milne aayi hai!”

Rashmi ye sun kar Sharma gayi

Restaurant Owner -“Chalo mai karta hu intezaam! (Apne kaamwale ko)Ae chotu apni special jagah me ek table aur do kursi laga re!”

Wahi Gaurav call me baat kar raha tha

Gaurav(Phone par)-“Hmm.. Thik hai! Apne taraf se bhi ek quotation bana ke rakho! And Rahul aur Isha ke Project par kaun kaun bid kar raha hai uski list nikalo”

Other Side-“Ok sir”

Gaurav-“And abhi 1-2 ghante mujhe koi calls nahi chahiye! Saari chize khud handle karo. Mai thoda busy hu”

Other side-“Ok sir”

Itna keh kar Gaurav ne phone cut kiya aur andar aaya.

Gaurav ko dekhte hi Counter me baitha Restaurant Owner uth khada hua

Restaurant Owner (Gaurav ko)-“Beta aap?”

Gaurav ne muskura kar sar hilaya aur use greet kiya!

Rashmi-“Chacha aap inhe jaante hai?”

Restaurant Owner -“Ha beta! Ye humare regular customers me ek hai! Tum puchti thi na mai kinke naam par garib bacho ko khana khilata hu ye wahi hai!”

Darasal ye wahi restaurant tha jaha Gaurav hamesha Shankar Kaka ko dhundhne aata tha!

Rashmi Gaurav ke bare me sun kar use dekhne lagi

Restaurant Owner(Rashmi ko)-“Tum inhi ke saath yaha aayi ho?”

Rashmi bas Gaurav ko dekhe ja rahi thi, Restaurant owner use dekh kar muskuraya. Tabhi waiter aa kar bola

“Bhaiya wo jagah ready hai!”

Restaurant Owner-“Thik hai! Didi aur Bhaiya ko le ja!”

Wo waiter Un dono ko restaurant ki chhat par le gaya! Shorgul se dur chhat par khule aasman ke niche ek table rakha tha aur do chair lights ke naam par bas aas pados ke building ki light thi aur table par ek candle laga tha, thodi thandi hawa chal rahi thi jo is pal ko aur bhi romantic bana rahi thi!

Gaurav aur Rashmi waha ja kar baith gaye!

Rashmi(Waiter ko)-“Bhiaya do chai and do garma garam samose!”

Waiter ye sun kar waha se chale gaya

Rashmi-“So my secret Robinhood! Mujhe nahi pata tha ki aap bhi yaha ke regular customer hai!”

Gaurav(Muskurate huye)-“Nahi aisi bhi koi baat nahi, wo bas is jagah se kuch khaas rishta hai!”

Rashmi-“Kaisa Rishta?”

Gaurav apne past ke bare me sochne laga

Gaurav-“Bas kuch yaadein jo hamesha rehti hai, chhodiye kabhi araam se bataunga! Waise aapka aaj ka din kaisa tha and Sayesha ji kaisi hai“

Rashmi-“Didi thik hai! And mera din to normal hi tha! Utna kuch khaas nahi! Aap btaiye?”

Gaurav-“Bas meeting meeting meeting!!”

Rashmi-“Gaurav itna stress sehat ke liye sahi nahi hai”

Tabhi un dono ka chai aur nashta aa gaya aur dono yuhi khate khate baatein karne lage!

Gaurav-“So Rashmi aapne aage ke liye kuch socha hai! I mean apne clinic ka ya aisa kuch!”

Rashmi-“Maine kabhi apne future par itna dhyan nahi diya Gaurav!”

Gaurav-“Kyu?”

Rashmi(Serious hote huye)-“Apne darr ke karan”

Gaurav-“Kiska darr?”

Rashmi-“Ye baat hum dono jaante hai Gaurav ek din hume ARC se ladna hai! Darr lagta hai unki shaktiyo ke bare me soch kar! Aur upar se bhaiya bhi...”

Itna kehne par Rashmi ke aankho me aansu aane lage, Gaurav ne Rashmi ka haath pakda aur dhire dhire sehlane laga! Rashmi ko achanak se apne andar bahut powerful shaktiya mehsus hone lagi, Uska darr dhire dhire khatm hone laga!

Rashmi-“Gaurav ye aap??”

Gaurav-“Aap chinta mat kijiye Rashmi! ARC ko aap se ya humare pure pariwar se ladne se pehle mera muqabla karna hoga! Mere hote huye mai aapko, Guruji ko aur Sayesha ji ko kuch nahi hone dunga!”

Rashmi bas yuhi kuch der Gaurav ko dekhti rahi aur Gaurav ke haath ke upar apna haath rakh diya. Dono yuhi kuch der ek dusre ka haath pakde huye baithe the aur ek dusre ki aankho me dekh rahe the. Tabhi ek awaaz ne unka dhyan toda aur un dono ne ek dusre ke haatho ko chhoda

Waiter-"Didi aur kuch lau??"

Rashmi-"Gaurav ji! Ek cup aur ho jaye"

Gaurav ne haa me sar hilaya. Phir wo dono idhar udhar ki baatein kar rahe the aur kuch der baad wo log nashta kha kar niche aa gaye.
 
Top