- 368
- 2,071
- 123
Nice and superb update...Update 15
Ruhi to chali jati hai gussa hoke, chaliye ham Rohan aur Zara ke taraf chalte hai,Idhar Rohan baas car chala raha tha, na hi Zara se baat kar raha tha na ki usse dekh raha tha. Jaab Zara ne yesa kafi time tak notice ki to akhir kar wo Rohan se puch hi liya.Zara : ham kanha ja rahe hai Rohan.Rohan : sabse pehle dargah pe…Zara : gadi roko Rohan…Rohan : hua kya…Zara : hamne kaha gadi rokiye Rohan…Zara ke yese jor se chilane se Rohan gadi rok deta hai aur Zara ke taraf dekhne lagta hai.Rohan : kya hua Zara…Zara : ham in kapdo mai dargah pe thodi hi jayenge, aap pehle kisi mall mai car le chaliye wanha pe kadpe badal lenge uske baad jayenge.Rohan : hmm thik hai, apne to dara hi diya tha hamme, maine issliye pehle nahi kaha tha kyun mujhe laga aap bura na maan jaye.
Zara : it's ok Rohan, har koi jo mujhe nahi janta hai wo ye soch ta hai ki mai kaffi gusse wali hun.
Rohan : ek baat bolu, aap bilkul bhi gusse wali nahi ho, maine ye baat apki kapde ko judge karke nahi kaha hai. Kapdo ke liye issliye nahi kaha kyun ki aap in kapdo mai free rehti hai to...
Zara : to apne ye kyun kaha ki mujhe bura lagega.
Rohan ne car rokh di aur iss sawal ka jawab na diye hi, "ham pahunch gaye hai mall, aap chaliye mai car park karke aata hun".
Zara : ji, ye kehke Zara mall ke ander jane lagti hai aur Rohan car parking karne ke liye.
Udhar Ruhi gusse se lift se niche jane lagti hai apne aap se badbadate huye,
Ruhi : samajh te kya hai apne apko, kuch bhi karenge, hamesha apna hukum chalate rehte hai. Mujhe kya jo marji kare.
Fir Ruhi apne purse mai apna mobile dhund ne lagti hai jo ki nahi milti hai usse, aab ye kanha gaya, saab pareshan kar rahe hai mujhe aur aab ye bhi baki tha ye bhi kar raha hai. Kanha rakha tha mai? Han Rajveer sir ke cabin mai reh gaya hai sayad jaab kaam kar rahi thy.
Per mujhe unko fir se nahi dekhna hai, mere sath hi kyun ho raha hai ye sab. Fir wapas Ruhi Raj ke cabin ke aur chal deti hai, jaab cabin ke ander jati hai to Raj nahi tha cabin mai,
Ruhi : thank god Raj sir nahi hai, chal jaldi se apna phone dhund aur nikal yanha se.
Fir Ruhi apna phone dhund ne lag jati hai, jaab Ruhi phone dhund rahi thy taab Raj bhi aajata hai apne cabin mai. Raj jaab cabin mai ghusta hai to Ruhi ko dekhta hai jo kuch dhund rahi thy.
Raj : aap gayi nahi abhi taak.
Ruhi : han wo mera phone yanhi reh gaya tha to....(Ruhi bina Raj ko dekhe hi bol deti hai, per jese hi usse yehsas hota hai ki Raj uske piche khada hai to wo thodi tension mai aajati hai)
Ruhi (dhire se) : hey bhagwan ye kya hai, maine abhi aapko kaha tha ki mujhe inki sakal nahi dekhni hai per aap to meri baat sunte hi nahi ho...
Raj bhi kaam nahi tha, jaab Ruhi apne aap me thy Raj Chalke Ruhi ke paas aakar khada ho gay aur uske kan ke paas ja kar bol deta hai,
Raj : thoda jor se bologi to bhagwan sunega na, aur ye lijiye mera phone call kar ke dekh lijiye kanha per hai aap ka phone.
Ruhi : per sir, mai apka phone, kese...
Raj : agar tum ye soch rahi ho ki mai ye saab tumhara number lene ke liye kah raha hun to ye raha landline, iss per call kar lo...
Ruhi : nahi nahi sir mera ye matlab nahi tha mujhe aap pe bharosha hai, aap apna phone dijiye...
Raj muskurate huye uska phone Ruhi ko de deta hai. Ruhi call karti hai to sofe ke niche se hi call ki awaj aati hai.
Raj : mai utha ke deta hun.
Jese hi Raj phone uthake uthne ko hua forse uska sar fir se takrane wala tha to Ruhi ne apna hath aage kar ke raj ko bacha leta hai.
Ruhi : dhyaan se sir, lagi to nahi aapko?
Raj : nahi Ruhani tumne bacha liya fir se aur mujhe tum se kuch kehna tha.
Ruhi : ji sir boliye.
Raj : Ruhi paas jate huye, mujhe lagta hai Ruhani.....
Ruhi : kya lagta hai sir apko.....
Raj : mujhe lagta hai..ki...
Ruhi : kya lagta hai sir...boliye bhi....
Raj aab bilkul uske karib tha baas dono mai kuch hi inch ka phasla tha dono baas ek dusre ke ankho mai dekh rahe thy, Raj to normal tha per Ruhi ke pasine chut rahe thy, Raj ke itne karib hone pe,
Ruhi : ss...ssssi.....siiirrrr..boliiiye...kkkyaaa...laaagggta...haaiii...aaapppko...mmmuujjhhheee...jaaannnaaa...bbbbhhhiii hhhaaaaiii.....
Raj : mujhe lagta hai ki Rohan aur Zara dono hi ek dusre ko pasand karte hai.
Raj itna kehke Ruhi se dur haat jata hai aur apne seat pe jake bethke hasne lagta hai.
Ruhi ki halat dekhne wali thy, wo thoda normal hone ke baad apna phone leke bina kuch bole hi nikal jati hai.
Raj apna laptop nikal ke lift ka camera on kar deta hai janha abhi Ruhi thy. Ruhi fir se khud se hi baate kar rahi thy.
Ruhi : ye kya tha? Mujhe kya ho raha hai sir se mile huye baas do hi din huye hai per pata nahi kyun yesa lagta hai ki saalo se janti hun unhe, per aaj jaab wo mere itne paas thy to mujhe kya ho gaya tha kyun maine unhe hataya nahi, Ruhi apne chehre ke hath rakh ke dekh rahi thy ki itne karib thy wo mere, nahi nahi itne, han itne karib hi thy.
Raj baas ye saab dekh ke Haas raha tha kyun jo Ruhi kisi se bina matlab baat nahi kar rahi thy wo aaj khud se hi baate kar rahi hai, aaj usse Ruhani mai uski Ruhi ki jhalak dikhayi di hai.
chaliye inhe yanhi chodiye ham chalte hai Rohan aur Zara ke taraf...
Zara Rohan ko bhi mall mai sath hi le jati, kyun Rohan babu mana kar rahe thy ki wo nahi jayenge tum khud jao aur shoping kar ke aajao. Kyun uska khud ka reason tha per Zara kanha manne wali thy wo bhi usko le hi gayi.
Mall mai jake Zara char, panch dress pehen ke dekh li thy per Rohan ko koi pasand hi nahi aaraha tha. Fir Rohan ne khud hi ek dress pasand ki aur Zara ko de diya try karne ke liye. Aur Zara ne bhi kuch nahi kaha aur wo dress leke trial room mai chali gayi.
Jaab Zara dress pehen ke bahar aayi to baas Rohan usko dekta hi reh gaya, wo aab bahut jyada khubsurat lag rahi thy. Zara ne ishara se hi pucha ki wo kesi lag rahi hai to Rohan kuch bolne se pehle hi wanha paas mai khada ek ladka bol padta hai,
Ladka : kya pataka lag rahi ho yaar, kasam se....
Rohan ko to bahut gussa aaya uss ladke ke per per wo kuch bolne se pehle hi Zara bol padi,
Zara : acha, chal ye bata tu yanha kar raha hai ladies section mai tujhe bhi yesa pataka banna hai lagta hai, aur tujhe dekh kar lag raha hai ki abhi tu to fuljhadi banne ke layak bhi nahi hai. 19-20 saal ka hai aur bate puri taporiyo bali, kyun?
Us ladke ki yesi bejati ke baad wo bhagne ki siwa aur chara tha hi nahi to wo wanha se bhag gaya, aur Rohan to baas Zara ko munh fade dekh raha tha. Fir sambhal ke Zara ke paas aajata hai to Zara ka dil joro se dhadakne lag jati hai.
Rohan : to chale mohtarma ya fir yanhi per kisi ko mujhse aap pitwane ka irada hai.
Zara Rohan ki baate sunke sarma jari hai kanhi na kanhi Zara bhi Rohan ko pasand karne lag gayi thy. Aur han mai apna sar hila ti hai.
Rohan chalte chalte dekhta hai ki saab ladke Zara ko hi dekh rahe hai to Rohan Zara ka hath pakad leta hai, Zara jaab Rohan ki taraf dekhti hai to Rohan samne dekhne lagta hai jese kuch hua hi na ho.
Dono car mai beth ke nikal jate hai dargah ke liye.
car ke ander....
Zara : wese apna mara hath kyun pakda tha Rohan.
Rohan : jese pure mall ke ladke tumhe ghur rahe thy to unhe bhi pata chalna chahiye tha ki tum akeli nahi ho mai tumhare sath aur aab kuch aur maat puchna.
Zara Rohan ki baate sunke muskura kar bahar dekhne lagti hai.
Zara (mann mai) : kisine bhi aaj taak hamari itni parwah nahi ki aur aap to kal hi mile ho phir bhi itni parwah..itne ache kyun ho aap?
Dono khamoshi ke sath dargah pe pahunchte hai aur car se bahar nikal ke dargah ke ander jane ke liye chal dete hai.
Zara se apna dupata nahi sambhala ja raha tha. Rohan ne khud ko roke rakha tha per aab usse aur dekha nahi gaya to wo Zara ko rok ke uska dupata thik karke sar pe rakh diya aur aage chalne laga Zara to baas Rohan ko hi dekh rahi thy. Fir Zara bhi Rohan ke piche piche chalne lag jati hai.
Dono mil ke dargah pe dua mangte hai aur sayad dua mai ek dusre ko hi manga tha.
Bahar aakar dono car ke taraf chal dete hai per jaab Rohan car mai beth ta hai to Zara uske sath nahi tha to usko tension hone lagi aur Rohan aas paas Zara ko dhundne lag gaya bilkul pagalo ki tarah.
next update mai dekhenge ki Zara akhir kar gayi kanha?
Nice update...Update 15