Update 8
Main kitchen se nikalkar sidha hall me aaya jaha Savita aunty Pari ko apne god me leke pyaar kar rahi thi.
Me: Kya baat hai. Lagta hai nani aur nawasi ki jodi jam gayi hai, kyu didi?
Payal didi: Sach keh rahe ho, bhai. Jab se god me aayi hai, chhod hi nahi rahi hai maa.
Sarita aunty: Chhodu bhi kyu? Meri nawasi hai. Aaj itne mahino ke baad mere god me aayi hai, aise kaise chhod du.
Me: Haan, hum to kuch hai hi nahi. Pehle to bahut pyaar karti thi humse Sarita aunty, par ab to hum bus ek mehmaan banke reh gaye hain.
Sarita aunty: Aise kyu bolte ho, beta? Ye khushi tumhari wajah se to aayi hai. Warna main to nawasi ko god me leke pyaar karne ka khayal chhod hi chuki thi.
Me: Are, majaak kar raha tha main. Aap to serious ho gayi. Aapka pura haq hai apni nawasi par. Par zara mujhe bhi dijiye Pari ko, humara bhi to haq hai thoda. Hai na, Payal didi?
Payal didi: Bilkul hai. Warna main to soch baithi thi ki meri beti sirf apni maa ke sahare kaise reh payegi? Idhar pura pariwar hai, sasural me pura pariwar hai, meri beti kaise rahegi? Par tumne to mujhe is tension se mukt karwa diya.
Me: (Pari ko god me lekar) Sun rahi ho na, Pari, tumhari maa to tum ek tension lagti thi. Tum yaha nahi rahogi ab. Main tumhe apne saath hi le chalta hoon ab.
Meri baat sunkar maano Pari ko bhi apni maa par gussa aaya ho. Aisa laga jaise usne ek baar apni maa ko gusse bhari look se dekha aur mere seene par chipak gayi. Ye dekhke to aunty aur didi pura shock ho gayi.
Payal didi: Bhai, please, sach me aisa lagne laga hai ki teri baat Pari ko puri samajh me aati hai. Aise maa-beti ke bich me jhagda to na laga.
Me: Thik hai, lekin iske liye kuch inaam chahiye mujhe.
Payal didi: Inaam? Kaisa inaam?
Me: Aapke mulayam hotho se apne gaal par ek kiss.
Payal didi: Usme kya hai? Wo to main tujhe pehle bhi deti thi.
Payal didi mere bagal me baithi aur mere gaal par ek kiss kar gayi.
Me: Ufff, aapke hoth to Pari ke hone ke baad aur mulayam aur khubsoorat ho gaye hain. Sach hi kaha hai kisi ne, aurat maa banne ke baad aur khubsoorat ho jaati hai.
Payal didi: Thank you, bhai, itni taarif ke liye. Lekin ab meri beti ko mana le, main uski narazgi thodi seh paungi.
Me: Kaisi narazgi? Hum to aapke saath ek majaak kar rahe the, kyu Pari?
Pari mere seene se uthi aur apni maa ko dekhkar hasne lagi.
Payal didi: Bhai, tu sachme gazab ka hai. Tere dimaag ke karnaame to pehle bhi dekhe hain, lekin ye to chamatkar hi hai. Ek 1 saal ki bachchi ke bachche ke dimaag ko tum apni control me rakhe hue ho, aisa lagta hai. Tumhari har baat maanti hai.
Me: Are didi, aisa kuch nahi hai. Bus bachcho ke saath kuch khaas hi naata raha hai mera.
Tabhi doorbell baji to maine Pari ko Sarita aunty ko de diya aur jaakar darwaza khola. Laxman uncle aur Raman jiju aaye hue the. Dono mujhe dekhkar khush huye. Maine uncle ke pair chhuye.
Laxman uncle: Khush raho, beta. Kaise ho?
Me: Thik hoon, uncle.
Phir main jiju se gale lagke mila.
Me: Kaise ho, jiju? Sab thik hai na office me?
Raman jiju: Main thik hoon aur office me bhi sab thik hai. Tum batao, bahut time ke baad mile ho.
Me: Kya kare. Pichhli baar jab main aaya tha, tab aap apne office ke kaam se bahar gaye hue the. Aur jab didi ko aap humare ghar chhodne aaye hue the, tab main ghar par nahi tha. Ab kya hi kar sakte hain? Khair, jo hota hai, achhe ke liye hota hai. Ab mil liye na hum, yahi thik.
Laxman uncle: Are, ye main kya dekh raha hoon aaj? Pari apni nani ke god me? Ye chamatkar kaise hua?
Sarita aunty: Prakash ne kiya hai ye karnama. Pari to uski har baat maanti hai.
Laxman uncle: Aisa thodi na ho sakta hai? Ek 1 saal ki bachchi kisi ki baat kaise maan sakti hai?
Me: Pari, nanaji ki godi me jaana.
Pari ne sidha apne haath faila diye Laxman uncle ki taraf, jise dekhke uncle aur jiju shock ho gaye. Uncle ne Pari ko god me le liya.
Laxman uncle: Ye to kamal ho gaya.
Me: Ab zara Pari ko mujhe dijiye. Main kal subah chala hi jaunga to ab time nahi milega.
Payal didi: Kya? Kal hi chale jaoge?
Me: Haan, didi. Ab 3 din me college hai, to tayariyaan karni padengi na.
Sarita aunty: Ab college ke liye hum mana to nahi kar sakte, warna tumhe rok hi lete.
Me: Waise jiju aur uncle, aaj aap log zyaada late nahi aaye? Pehle to shaam ko hi aa jaate the, aaj to khane ka time hone wala hai.
Raman jiju: Kya batau, Prakash, office ka kaam itna badh gaya hai ki ab isi time to aana padta hai.
Me: Hmmm. Sahi hai. Agar aap dono hi ye kaam nahi karenge to Shastri Textiles ke liye logo ka bharosa gir jaayega aur naam hi dub jaayega.
Laxman uncle: Sahi kaha, isiliye to hum itni mehnat kar rahe hain apne kaam ke liye.
Tabhi Aarti didi kitchen se bahar aayi.
Aarti didi: Khana tayar hai.
Uske baad uncle aur jiju fresh hone chale gaye, phir sabne khana khaya.
Khana khane ke baad sab apne rooms me chale gaye. Main sidha Payal didi ke room me chala gaya. Mujhe room me aaya dekhkar didi boli.
Payal didi: Kuch chahiye tha kya, Prakash?
Me: Haan, ek baat karni thi.
Ye kehke maine door lock kar diya.
Payal didi: Darwaza kyu band kiya tumne?
Me: Don't worry didi, bus ek baat karni hai mujhe. Main nahi chahta ki ye baat yaha se bahar jaaye.
Payal didi: Bolo, kya baat karni hai?
Me: Kya Pari sach me Vikram jiju ki beti hai?
Payal didi: Bolna kya chahte ho tum? Tumhari himmat kaise hui ye kehne ki?
Me: Sorry didi, lekin mujhe pata hai ki Pari jiju ki beti to nahi hai. Kyuki main jab pichhli baar yaha aaya tha, tab aap pregnant thi. Mujhe tab aapke room me ek kaam tha to main wahi kar raha tha, tabhi mujhe ek file dikhi jisme Vikram jiju ki infertile hone ki report thi. Main tab aapse ye baat nahi karna chahta tha kyuki aap ko tab apni pregnancy ki khushi thi.
Payal didi: (rote hue) Haan, ye sach hai ki Pari Vikram ki beti nahi hai. Lekin ye bhi sach nahi hai ki maine Pari ko paida karne ke liye kisi se muh kala karwaya tha.
Me: To phir?
Payal didi: Baat ye hai ki Vikram ne ye baat mujhe shaadi ke raat ko hi bata di thi ki wo kabhi baap nahi ban sakta. Maine uska ek aur test karwaya tha confirm karne ke liye ki kya ye baat sach hai, wahi report tumhe mili thi. Main shaadi ke time se hi maa banna chahti thi isiliye mujhe is baat ka bahut bura laga. Ek din Vikram ne mujhse aake bola ki ek hospital hai jisme ek sperm bank hai jiske paas ek aisa sperm hai jo bachcha karwane ki full guarantee leta hai. Maine kuch din to is baat ko ignore kiya kyuki main kisi aur ka bachcha nahi chahti thi. Lekin mere andar ki maa banne ki ichha ne mujhe majboor kar diya. Hum dono hospital gaye aur pura process kiya jiske 2 hafte me hi pregnancy positive ho gayi. Usi ke baad Pari paida hui.
Me: Ye baat kitne log jaante hain?
Payal didi: Sirf main aur Vikram, aur ab tum jaante ho.
Me: Aaj raat aapko ek sapna aayega jisme aapko ek sachchai pata chalegi. Kal baat karunga aapse. Good night.
Ye bolke main unke kamre se nikal gaya.