• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 312 94.0%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 20 6.0%

  • Total voters
    332

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,294
204
vote here hay guys vote here for my friend mr. magnificent nd make him the biggest don of Foram.
 
  • Like
Reactions: Shanu

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,294
204
Nice update 👍 👌 👏 broo ........
Nice update 👍 👌 👏 brrooo
Sukriya Mr.x 2.0 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Bahut hi shaandar update diya hai Itachi_Uchiha bhai....
Nice and lovely update....
Sukriya parkas bhai.
Keep supporting ☺️👍
Bahut Khoob bhai
Sukriya Pk singh bhai.
Keep supporting ☺️👍
Awesome👍👏, fantastic fabulous, mind blowing
Sukriya Smith_15 bhai.
Keep supporting ☺️👍
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,294
204
Wah ye to ek nya intertainment game ijat kar diya sabke liye pr ye tabtk hi mazedar hai jbtk dono side ke log ise manoranjan ke liye khele, na ki dushmani or irshya ke liye...
Bilkul sahi kaha aapne. Ab aage dekhte hai kya hota hai.:akshay:
To Japan ke huntero me ek aisa bhi hunter hai Jo Ayaat ki tarah skill rakhta hai or vo khud ko Ayaat se jyada takatvar samajh rha hai dekhte hai field me kya hota hai...
Ha uski ek skill aayat ke jaisi hai. Aur uski wo skill usase such me kafi upar hai.
Ye राइजो कोटो (yaar mere se naam na liye Jane ke to bina naam ke samajh lena) isne rider ko dekh uska aakalan kr liya hai pr kya jo niskarsh nikala hai vo Apne rider ko justify kr sakta hai 🤔 mere se puchhe to Bilkul bhi nhi sala jab dragon pe swar ho kr chalega to is rijo koto ki hawa nikal jani hai, Isko Kabhi dragon kya ghoda bhi nhi milna hai... :D
Ab kuch to smjh hi gaya hai wo quki wo bhi Japan ka best S Rank huntur hai.:think:
Ye translater or 5th guild ke guild master ke Bich me kya hi awesome friendly mukabla hua hai or Usme use pta bhi Chal gya ki kaha kami hai,
Uski aukat dikha di manish ne. :laugh:
Maine bhi samajh liya ki is raijo koto ka maksad kya hai is khel ko khilane me...
Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing update
Sahi kaha aap bhi kam thodi ho jo ye sub choti bate na smjha pao. :applause:
Aapka bahut bahut sukriya Xabhi bhai is behtarin review ke liye.
Keep supporting ☺️👍
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाई
राइडर भाई रियूजी कोटों को देख रहा हैं जो जापान का सबसे बड़ा पावर फुल हंटर हैं
दुसरे जापानी हंटर्स राइडर को देख रहे हैं
जों अभी अभी न्यू s रेंक हंटर बना हैं
Ha quki sabhi S Rank hunturs hai to kuch na kuch to sence kar hi liya hoga unhone rider me.:smartm:
ओर जापानी हंटर्स में भी एक आयात की तरह सेंसटिव नाक वाला हंटर हैं
जिसे इतने सारे हंटर्स के बीच बिल्कुल भी अच्छा नहीं लग रहा हैं
Quki S Rank hunturs ka aura kitna strong hota hai usase use utha hi jyada feel hoga na.:smartm:
ये ट्रांसलेटर लेडी तो इंडियन हंटर की बेइज्जती कर रहीं हैं जापानी में
इसे अच्छा सबक सिखाया मनीष ने की जापानी गुड़िया हम इंडियन्स की शक्ल पर मत जा

हमारा टेलेंट देख तेरे जैसे कहीं नहीं लगते हमारे
Wahhh such me kya baat kahi hai hai jabardast aur bilkul sahi.:applause:
ओर इन लोगों की फाइट देखकर ही रियूजी कोटों को रिवाइज हों गया कि हम संख्या में भले ज्यादा हों

लेकिन हूनर के मामले में इंडियन हंटर से पीछे हैं
इसलिए वो सभी इंडियन हंटर से फ्रेंडली फाइट के लिए कहता हैं
ताकि इंडियन हंटर की स्कील देख सकें
ओर उनके लड़ने का हूनर आब्जर्व कर सकें

जों आगे चलकर जापानी हंटर्स के बहूत काम आने वाला हैं
Ha aim to kuch aisa hi hai dekhte hai ab kitna safal ho pata hai wo isme.
लेकिन मान गए xb सब सर को वों भी रियूजी कोटों की बात को अच्छे से समझ गयें
की रियूजी कोटों क्या चाहता हैं
इसलिए xb सर ग्रुप में एक दूसरे फाइट के लिए कहतें हैं
Ab Xabhi sir itne experience wale wo bhi Ek powerful S Rank huntur hai to ye sub smjhna unke liye choti baat hai .:bigboss1:
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट वेलेंटाइन राइडर भाई
मजा आ गया
Sukriya Zoro x bhai aapke itne beautiful review ke liye.
Keep supporting ☺️👍
 

Naik

Well-Known Member
22,697
80,085
258
UPDATE - 90



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Xabhi ko Anurag Japan se mili JEJU island ki sari information de raha tha. Tabhi Xabhi ko kisi strong magical energy ka sense hota hai aur wo bahar dekhne lagte hai. Wahi ek dabe par baithe hue Sachin aur Ajay ke sath bhi yahi hota hai tab Ajay use Anubhav aur Aayat honge kah kar saanti karwa deta hai. Fir indono ke bich aaps me aisi hi bate hoti hai.
Wahi mai tab tak hospital me pahuch jata hu aur apni Maa ko HOLY WATER OF LIFE pila deta hu. Lakin ye pilane ke kafi der baad meri Maa utati hai. Aur mai unke gale lag kar rone lagta hu.



AB AAGE.....


IN HOSPITAL
11 : 30 PM


Knock... Knock....

Ek young age ka doctor apne department head ke cabin me ata hai. Jo ki 60+ age ka ek old age aadmi tha. Uske sir se almost sare hair gir chuke the. Unhone Dr. Wala white cote pahna hua tha. Aur wo apne chair par baithe hue the.

Wo young Dr. Aa kar apne senior Dr. Se Rider ke Maa ke bare me batata hai.

Senior Dr. Shocked hote hue jor se chilla kar " kya ? "
" ENTERNAL SLUMBER ki ek patient jaag gayi hai ? "
" Iski to bikul bhi ummid nahi thi mujhe. "

Young Dr. " Patient ke Guardian unhen turant hi hospital se discharge karne ki request kar rahe hai. "
" To hme ab kya karna cahiye ? "

Senior Dr. " Nahi, iska koi chance hi nahi hai. "
" Na sirf wo abhi unstable hogi. Balki wo 4 year tak soti rahi hai. Jisase abhi uska body bhi bahut weak hoga. "
" Wo abhi chalne ke kabil bhi nahi hogi. "

Young Dr. " Well... Patient ka state bikul Normal hai. Aur uske sare test bhi Normal hai. "
" Unhe dekh kar Aisa bikul bhi nahi lagta hai ki jaise wo 4 years se so rahi ho. Yaha tak ki wo apne pairo par kud se chal pa rahi hai. "

Senior Dr. ( Ek baar fir se shocked se ) " To tum ye kahna cahte ho ki 4 years tak lagatar sone ke baad bhi uski health bikul normal hai ? "

Young Dr. " Mere khyal aisa life support machine ke karan hua hoga. "

Senior Dr. Sochte hue " Hummmm..... "
" Fir bhi itni jldi discharge karna ka matter ek alag baat hai. "
" Hme Pure World ko is baat ke bare me batana hoga. "

Young Dr. " Maine bhi unke Guardian ko same chij explained kiya lakin wo kuch sunane ko taiyar hi nahi hai. "
" Aur wo koi ordinary man bhi nahi hai. "

Senior Dr. " Kon hai uska Guardian ? "

Young Dr. , Senior Dr. Ke paas aa kar " Kya Aapne huntur Rider ke bare me suna hai. Jo haal hi me India ka 10th S Rank huntur bana hai ? "

Senior Dr. Ko Ye sunte hi akdam se sadma lagta hai aur uske pasine nikalne lagte hai.

Senior Dr. Apni chair ghuma kar apna muh young Dr. Se chipate hue kahta hai " Ah... "
" Hum kisi helthy patient ko uske marji ke bina yaha hospital me nahi rakh skte hai. "
" Hme unhe discharge karna hi hoga. "
" Jao ja kar discharge ke process ko pura karo. "



MORNING TIME

Mai sari raat hi apne Maa ke paas ruka tha. Ye dekhne ke liye ki kahi Maa ko fir se koi problem na ho, Ya koi side effect na ho.
Raat me hi maine Dr. Se kah kar Maa ke sare test aur checkup karwa liye the. Aur sare Reports bilkul normal the. Abhi kuch test ke results aane baki the jo sayad Afternoon tak aane wala tha.

Aur morning hote hi maine Kavya ko call karke hospital aane ko kah diya tha. Maine use Maa ke thik hone ke bare me bata diya tha. Use to yakin hi nahi ho raha tha is baat ka. Mai use jldi se hospital aane ka bol deta hu.
Aur 1 hour baad Kavya hospital me aa jati hai. Aur mai use Maa ke room me le kr chla jata hu. Maa bhi tab tak so ke uth chuki thi. Aur wo is time apne bed par baithi hui thi.
Kavya jb Maa ke room me aati hai aur Maa ko aise baithe hue kaha dekhti hai wo ekdam stachue ban jati hai. Uske muh se aawaj hi nahi nikal rahi thi.

Fir jaise hi Maa, Kavya ki taraf dekhti hai wo apni bahe faila kar pyar se kahti hai " Meri beti to itni badi ho gayi hai ab. "

Kavya, Maa ke muh se kud ke bare me sun kar bahut jor jor se rone lagti hai. Uska pura face aasuo se bhig gaya tha.

Kavya " Mammy........ "

Bas itna kah kar wo bhag kar Maa ke gale lag jati hai. Aur Maa bhi ek smile ke sath use pyar se gale galaye hue uske sir ko sahlane lagti hai.
Kavya Maa ko bahut jor se gale lagaye hue thi. Jaise wo wapas kahi na bhag jaye hme chor kar. Wo bas roye ja rahi thi. Maine bhi use 1st time aise pahli baar rote dekha tha.

Kavya ( rote hue ) " Mammy, ab aapko kuch nahi hone dungi. "
" Aap ab Hmesa hum dono ke sath rahogi. "
" Aur aapke hi god me ab mai soungi. "

Maa ( haste hue ) " Ha meri princess mai ab bilkul thik hu. "
" Aur ha ab tum dono mere sath hi sona. "

Kavya ( halke gusse se ) " Nahi ! Bhiya ke sath nahi. Sirf mere sath. "
" Aap phle kuch din sirf mujhe apne godi me sulayengi bas maine kah diya to kah diya. "
" Ye sbse phle meri jagah hai. "

Ye sub sun kar mere aur Maa hum dono ke face pr smile aa jati hai.

Ye sub dekh kar mai apne man me kud se kahta hu ' Mere efforts bekar nahi gaye hai. '
' Aisa feel ho raha hai ki mere aaj tak ke sabhi problems mujhe isi moment ki taraf le jane me lagi hui thi. '
' Lakin, as a Huntur kaam karte hue.....
' Mujhe aacharya hai ki kya maine kud ko in logo se itna dur kar liya hai ? '
' Quki mujhe inke paas jane me ek dar sa lag raha hai.... Pata nahi kyu... '



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

30 MINUTES LATER

Mai hospital ke hi Gardan me ek table ke upar baitha hua tha. Aur mai apne phone ko check kr raha tha. Jo maine apne inventory me rakha hua tha.

Mai phone check krte hue apne man me ' Demon Castle me rahte hue maine kafi time se apne phone ko check nahi kiya hai. '
' Isme to bahut se logo ke missed calls aaye hue hai. '
' Well, agar inmen se kisi ko koi important baat karni hogi to mujhe yakin hai wo dubara se jarur mere paas call karega. '

Tabhi meri najar ek news par chli jati hai.



IMG-20220824-173012

Jiske headline thi.....
" Sky me fly krte hue Monster ko dekha gaya hai. "
1. Kisi DENGEON ke break hone ka koi sabut nahi mila hai.
2. Ye flying Monster aakhir kaha gaya ?
3. Huntur Association ne abhi tak iske bare me kuch nahi kaha hai.

Aise hi aur na jane kya kya likha hua tha.

Mai apne man me ' Kya ye news KAISEL se related hai ? '
' Batao is stupid ghtna ko bhi in news channel walo ne breaking news bana diya hai. '


TRIN..... TRIN.....

Tabhi achanak se mera phone bajne lagta hai. Kisi ka call aa raha hota hai. Mai call ko pick up karta hu " Hello ! "

Samne se " Hello Huntur Rider ! mai Huntur Association se Xabhi bol raha hu. "

Mai thode surprise se apne man me ' Chairman Xabhi mujhe call kar rahe hai ? '
( Call par ) " Ji Chairman Xabhi boliye. Kya koi problem hai kya ? "

Xabhi " Mujhe yakin hai ki Tumne bhi news suna hoga. "

Mai " Aap kon si news ke bare me baat kar rahe hai ? "

Xabhi " Kya Tumne abhi tak news nahi dekha hai ? "

Mai apne man me ' Ahh... Ye jarur KAISEL ke bare me baat kar rahe honge. Word hum humans se bhi kafi teji se travel karte hai. '

Mai, Xabhi se phone par " Mai us baat ke liye maafi mangta hu. Mai next time aur bhi jyada careful rahunga. "

Xabhi ( confusion ke sath ) " Huh ? Tum kis bare me baat kar rahe ho ? "

Mai apne man me ' Kya ye KAISEL ke bare me nahi hai ? '

Mai phone par " Ahh... Kya baat hai chairman ? Mai just kuch time pahle hi ek aisi jagah se wapas aaya hu jaha koi service nahi thi. "

Xabhi " Aisa lagta hai tmne such me news ke bare me nahi suna hai. "
" Kya tumhare paas time hai taki mai kud tumhare paas aa kar tmhe explain kar saku ki kya baat hai ? "

Mai " Nahi ! Mai kud aapki jagah par aata hu. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kuch time baad mai Huntur Association building me Xabhi ke sath tha. Mai aur Sabhi usnke cabin me ja kar bate karne lagte hai.

Jaha Xabhi mujhe aane wale JEJU island ke raid ke bare me detailed se sub batate hai.

Xabhi " Raid 4 din baad suru hone wali hai. "
" Hum subi JEJU island par ja kar un sabhi Ant's ko Hmesa ke liye khtam karne wale hai. "
" Aur hmare aisa karne ke liye hme tumhari help ki jarurat hai Huntur Rider . "
" Sare citizens JEJU island ko wapas se human's ke rahne layak banana cahte hai. "
" Kya tum hmare sath is operation me join hoge ? "

Ye sub sun kar mai apne man me ' Normally, bina kisi hesitation ke mai turant hi haa kar deta. '
' Aakhir ye Highly Ranked Monsters ke sath fight karne ki baat hai. '

Apni Maa aur Kavya ke bare me sochte hue mai kahta hu " Mai..... "

Abhi mai aage kuch aur kahta ki usase phle hi mujhe bahut hi jyada magical energy sense hoti hai. Aur mai akdam chup ho kar us Direction me dekhne lagta hu.

Mai apne man me ' Magical energy ? '

Mujhe aisa achanak se bich me chup hota dekh kr Xabhi apne chair se khade ho kar mere paas aate hue kahte hai " Kya koi problem hai ? "

Mai " Ohh.... ! Nai aisi koi baat nahi hai. "
" Aisa lag raha hai ki yaha kahi paas me hi hunturs log aaps me fight kar rahe hai. "


Hahahaha.........

Xabhi haste hue " Jaisa ki mujhe tumse ummid thi. Tumhare senses bahut ache hai. "
" Tabhi to tmne itne jyada distance se bhi detect kar liya. "
" S Rank hunturs currently Gym me warm-up kar rahe hai. "
" Tum sayad usi ke bare me baat kar rahe hoge. "

Mai " S Rank hunturs ? "

Xabhi " Haa, Quki ab JEJU island ke raid me ab sirf 4 din hi bache hai. "
" To Ryuji Koto aur uske S Rank Japanise hunturs bhi uske sath hi abhi wahi par Warm-up kar rahe hai. "

Mai " Ryuji Koto se aapka matlab...... "
" Ye Japan ke Strongest person ka name hai, jiske bare me yaha tak ki kam se kam ek baar her ek ordinary citizens ne bhi suna hoga. "

Xabhi " Ryuji Koto ! Ha ye wahi hai. "
" Kya tum use dekhna chahoge ? "


Tap... Tap... Tap...

Ye sunte hi mai bhi apne sir ko haa me hila deta hu. Aur Xabhi ke sath Huntur Association me hi bane hue Gym ki taraf nikal jata hu.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

HUNTUR ASSOCIATION GYM

Huntur Association ke Building se hi thodi hi duri par ek egg ke shape me bahut hi bada structure bana hua tha. Yahi Huntur Association ka Gym tha. Ye koi Normal humans ke Gym jaisa nahi tha. Yaha wo sari facilities to thi hi uske alawa yaha ek bahut bada haal type bana hua tha. Jisme kafi bade bade dher sare fighting ke liye mat bane hue the.
Jinke upar hunturs log ek dusre se fight karke Warm-up karte the.

Unhi mat me se ek par Sachin ek Huntur ke sath Warm-up karne me laga hua tha. Sachin ne is time apne body me upar kuch nahi pahna hua tha. Aur apne power ko use krne ke karan uske hair aur aakhe white color ki hui padi thi. Usne niche bs ek loose trouser pahna hua tha.
Uske samne jo huntur tha wo Dobok ( Martial arts ke time jo uniform pahni jati hai ) pahne hua tha. Wo 40+ age ka tha. Uski height Sachin se bhi 1 feet jyada thi. Aur uski body sachin se bhi almost 1.5 time jyada thi. Uske face par halki halki dadhi thi. Ye huntur koi aur nahi S Rank huntur Jay tha. Jo ki Fame Guild ka Guild Master tha.
Ab jara aapko Fame Guild ke bare me thodi bate bata deta hu.
1. Fame Guild India ke Top 5 Guilds me se ek hai.
2. Is Guild ka bhi kafi acha impression hai. Tabhi ye Hunturs, White Tiger aur Reaper Guilds ke baad 4th position par hai.


Run... Run....

Haaaahh.....

Dono ek dusre ko ghur rahe hote hai fir Sachin apne jagah se bhagte hue Jay ki taraf jane lagta hai.

DUMMMM.....

Aur Jay ke paas pahunchte hi wo apne hatho se us par Attack kar deta hai. Lakin Jay bhi jldi se Sachin ke dono hatho ko apne dono hatho se pakd leta hai. Aur mauka dekhte hi Jay ne bahut hi furti se apne left hath se Sachin ke Solder ko pakda aur apne right pair se uske left pair ko pasa kar Agle hi pal Jay ne Sachin ko niche Mat par jor se gira diya.

Jay ek smile ke sath Sachin ko dekhte hue " Master Sachin aapke jaise ek young person to isase jyada strength use karne ke kabhil hota hai. "

Sachin ek smile ke sath " Mai aapke samne koi Master nahi hu. Master Jay. "

Aur ek baar fir se khade ho kar Sachin wapas se Jay ke sath bhid jata hai. Dono wapas se apne hath ek dusre se bhdaye hue phle ek dusre ko smile krte hue dekhte hai uske baad dono hi apne aura ko relese kar dete hai. Jisase waha acha khasa pressure creat ho jata hai.

In dono se hi kuch duri par 2st floor par khade ho kar mai, Xabhi ke sath ye sub hota hua dekh raha tha.

Xabhi ( samne dekhte hue ) " Aisa bahut hi kam hota hai ki itne sare S Rank hunturs ek hi jagah par ikatha hote hai. "
" Abhi kuch der phle jo magical energy tmne sense ki thi. Wo sayad inhi dono logo ki hogi. "

Mai samne dekhte hue " Huntur Sachin, apne opponent Huntur ke samne thode weak lag rahe hai. "

Tabhi hmare left side se ek jani pahchani aawaj aati hai " Lakin agar Huntur Sachin ne apna 100 percent diya to huntur Jay ke uske samne tikne ke koi chance hi nahi hai. "

Ye aawaj kisi aur ki nahi Huntur Anubhav ki thi. Jo ki just abhi hi yaha aaya tha. Itna kah kar wo hum dono ke samne Hello kahte hue sir jukha deta hai. Aur hum dono log bhi aisa hi karte hai. Anubhav Hmesa ki tarah aaj bhi well dressed tha.

Mai apne man me ' Anubhav ? '

Anubhav ( ek smile ke sath ) " Tmse mile kafi time ho gaya Huntur Rider. "
( Samne dekhte hue ) " Jis aadami ne Dobok pahna hua hai. Wo Fame Guild ke master Jay hai. "

Mai ( samne dekhte hue ) " Tum kah rahe ho ki Huntur Sachin apna 100 percent nahi de raha hai. "
" Lakin wo apni real strength kyu chupa raha hai, jabki Huntur Jay aise opponent nahi hai jinko wo apni puri strength ko use kiya bina kabhi hara ske ? "

Anubhav " Aise kisi ke liye bhaut muskil hota hai. Apni puri strength ka use karna jabki bahut sari aakhe aapko hi dekh rahi ho. "
" Quki Master Sachin ek Monster me change ho jate hai. Jab wo apni full strength ko use krne lagte hai. "

Mai apne man me ' To Sachin ke Transformation ability ke jo rumours hai wo such hai. '

Fir Anubhav mujhe wahi se samne ek ek karke niche sbke taraf isara karke unke name batate hue kahta hai " Aur jo hunturs yaha ikatha hue hai. Wo sub hai..... "

"
1. Huddi lagaye hue ek young ladka :- IPPEI IZAWA
2.
Orange color ke hair wali ladki :- MARI ISHIDA
3.
Bodybuilder type boy, face par right side aakho ke paas bada sa plus ke sine ka scar mark :- KENZO TANAKA
4.
Orange hair boy :- MINORU HOSHINO
5.
Long hair boy left eye nd muh par mask pahne hue :- ATSUSHI KUMAMOTO
6
. Cap phne hue Girl :- KANAE TAWATA
7.
Chasma lagaye formal kapdo me boy :- TATSUMI FUJISHIMA
8.
Apne pure naak aur muh ko ek black color ke mask se cover kiye hue ladka :- KEI
9.
Long Brown hair lolipop chusti hui girl :- AKARI SHIMIZU
10. RYUJI KOTO.
"

" Ye sare Japanese S Rank hunturs aur Ryuji Koto hai. "
















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Junior doctor ki baat sunker senior doctor shock ho gaya ki ek 4 saal se soyi aurat ek dm se kaisi theek ho sakti h or discharged kerne k liye mana ker deta h per Rider ka naam sunte hi uske paseene chhot gaye or bola le jaane do apni maa ko
Kavya bhi apni maa ko ek dam theek dekh ker shock ho gayi or maare khusi k rone lagi rona tow banta hi tha or apne bhayya ko order de dia h ki woh ab apni maa ki goad m soyegi
Xabhi sir n jo Rider se poocha h kia woh iss JIJU island per jo Raid hone jaa rahi h isme unka saath doge Rider n abhi koyi jawab nahi dia dekhte h kia kerta h woh
S renk hunter ki poori fouj hi ikattha ker rahi h
Baherhal dekhte h aage kia hota h
Shaandaar lajawab update bhai
 

Naik

Well-Known Member
22,697
80,085
258
UPDATE - 91



Ab tak aapne dosto ki kaise meri Maa ka Dr. Ja kar apne senior Dr. Se meri Maa kr bare me batata hai. Aur mai unhe discharge karwana cahta hu ye bhi. Lakin senior Dr phle to mana kar deta hai. Lakin jaise hi wo mera name sunta hai wo turant hi maan jata hai. Morning me mai Kavya ko hospital bula kar Maa se milwata hu. Uske baad mai apna phone check krne lagta hu to mujhe bahut se miss call aur KAISEL ke bare me breaking news dikhayi deta hai. Fir Xabhi ka mujhe call aata hai aur mai unse milne chla jata hu. Waha wo mujhe aane wale JEJU island ke raid ke bare me batate hai. Sath me mujhse participate karke help karne ko bhi Bolte hai. Tabhi mujhe magical energy feel hoti hai aur mai Xabhi ke sath Huntur Association ke Gym me chla jata hu. Waha Anubhav mujhe baki sare S rank huntur kr bare me batata hai.


AB AAGE......


Mai upar se Ryuji koto ki taraf dekhte hue apne man me ' To ye aadmi Japan ka sbse Strongest S Rank huntur Ryuji Koto hai. '

Wahi niche Ryuji Koto ke piche Hanekawa aur baki ke S Rank hunturs khade the.
Tabhi unme se Akari Shimizu ki najar Xabhi aur Anubhav ke sath khade mere upar pad jati hai. Aur wo Hanekawa se mere tarf isara karte hue puchti hai " Hmmm...... ? "
" Wo ladka kon hai ? "

Ye sunte hi sare Japanese Hunturs ka dhyan mere taraf chla jata hai. Aur sub upar mere taraf hi dekhne lagte hai.

Hanekawa, mere taraf dekhte hue " Ohh ye ! "
" Ye Huntur Rider hai jo haal hi me S Rank huntur bana hai. "

Ryuji Koto, mere taraf dekhte hue apne man me ' Kya ye ek ASSASSIN Class huntur hai ? '
' Quki iske Enormous presence ko ye caah ke bhi puri tarah se nahi rok skta hai. '
" Ye jarur ek excellent ASSASSIN type huntur hoga ? "

Hanekawa ( Ryuji Koto ki taraf dekhte hue ) " Excuse me sir kya kaha aapne ? "
" Yeh ek Mage class Hunter hai. "

Ryuji Koto kafi surprise ke sath Hanekawa ki taraf dekhte hue " Mage class Hunter ? "
" Aisa kabhi nahi ho skta hai. "

Hanekawa " Ye officially confirmed information hai. "

Wahi ek taraf Reaper Guild ka master Hari baitha hua thoda rest kar raha tha. Aur uske samne hi Aayat khadi thi. Uske gale me ek chota towel rakha hua tha. Jisase wo bhi apne pasine ko saaf karti hui rest kr rahi thi.

Tabhi achanak Hari ki najar mere upar padti hai. Aur wo meri taraf dekhte hue Aayat se kahta hai " Wo dekho kon aaya hai yaha. "
" Ye Rider hi hai na jisne hmare Sangam ke debut ko barbad kar diya tha ? "

Ye sunte hi Aayat bhi turant hi piche mud kar mere taraf dekhne lagti hai. Mai is time Xabhi aur Anubhav se baat kar raha tha.

Aayat mere taraf dekhte hue apne man me ' Rider ? '
' Tabhi mai sochu ki yaha aas paas ki Air aise achanak se Change kyu lag rahi hai. '
' Ho na ho ye isi ke Karan hoga. '

Wahi Ryuji Koto ke piche khadi Mari Ishida apne bagal me khade Kei se mere taraf isara karte hue kahti hai " Kei, ye huntur haal hi me India ka 10th S Rank huntur bana hai. "

Kei, Bina Uski taraf dekte hue " Ishida mujhse baat mat karo. "
" Mai yaha khade sare S Rank hunturs ko yaha se bahar fek dena chahta hu. "

Sare Japanese Hunturs ke yaha aa jane ke karan Aayat ne apne sensitive nose ke karan, apne nose par ek rumal rakh leti hai.

Kei, Aayat ko aisa karte hue dekh leta hai. Aur chori chori usko dekhte hue apne man me sochta hai ' Lagta hai yaha India me mere jaise sensitive nose wala bhi koi hai. '
' Lakin agar sirf ek rumal se ye smell ko block kar pa rahi hai to, isase ye baat prove hoti hai ki iske sense mere se kuch level kam hai. '
' Agar mai aise suddenly ja kar usase baat karunga to, kya isase aisa lagega ki mai iske upar try maar raha hu ? '
' Agar maine Hindi sikhi hoti to sayad mai..... '

Wahi in sub se thodi duri par hi Sachin aur Jay abhi bhi aapas me frndly fight krne lage hue the.
Aur mere baad baki sub logo ka dhyan unke upar hi chla jata hai. Aur sub unke taraf hi dekhne lagte hai.

Hanekawa sare Indian Hunturs ki taraf dekhte hue Japanese me hi kahti hai " To ye sub hai India ke best hunturs. "
" Yaha hmare liye dekhne ko jyada kuch nahi hai. "

Ryuji Koto bhi samne dekhte hue kahta hai " Kya such me aisi baat hai ? "

Hanekawa " Ab jabki maine Aapko na jane kitne Raids ko clear karte hue dekha hai. "
" Baki dusre S Rank Hunters ko dekhne me mujhe ab jyada maja nahi aata hai. "
" Wo sub mujhe aapke samne kuch nahi lagte hai. "

Ryuji Koto, Aayat ki taraf dekhte hue " Ye baat puri taraf se such nahi hai. "
" Yaha kam se kam ek useful Huntur to hai. "
"
Apne man me ' kya in logo ne iska name Aayat bataya tha ? '
' Aayat aur Xabhi in dono ki tulna mere Guild ke best hunturs ke sath kar skte hai. '

Tabhi piche se ek aawaj aati hai " Hey, Translator Lady. Abhi tumne kya kaha ? "
" Indian hunturs bekar hai ? "
" Tumhe kya lagta hai tum japanese bol rahi thi bas isi liye maine tmhari baat nahi suni ? "
" Maine apne High school ke time Japanese ko apne 2nd language ke roop me learn kiya tha. "

Ye aawaj kisi aur ki nahi Knights Guild ke Guild Master Manish ki thi. Jo ki ek A Rank huntur hai. Uski body bhi kisi athlet ki tarah thi.
Uske piche uske Guild ka hi ek Member Vivek khada tha. Ye bhi ek A Rank huntur tha. Dono ne black and white suit pahna hue formal kapdo me the. Manish ne apne dono hath apne paint ke pocket me dala hua tha.


Ab jara Knights Guild ke bare me bhi aapko kuch bate bata dete hai.

1. Ye Guild India ke top 5 Guilds me se ek hai.
2. Bhale hi is Guild ka Guild Master ek S Rank huntur nahi hai. Fir bhi is Guild me India ke sbse jyada A Rank huntur hai.

Vivek jo ki Manish ke piche khada tha wo khush hote hue kahta hai " Jaisa ki Bade bhai se ummid thi. "

Hanekawa, Manish ki taraf dekhte hue " Tum kon ho ? "

Manish to kuch nahi bolta hai. Lakin Vivek ko gussa aa jata hai. Aur wo Manish ke aage aa kar jor se gusse me Hanekawa ko dekhte hue kahta hai " Ye aadmi Knights Guild ke Guild Master hai. "
" Master Manish. "

Hanekawa yaad karne ki kosis karte hue " Manish ? Ye name to maine aaj pahli baar suna hai. "

Ye sun kar to Vivek ko aur bhi jyada gussa aane lagta hai aur wo almost kisi bache ki tarah chillate hue kahta hai " Bade bhai ek A Rank huntur hai. To isiliye ho sakta hai ki tmne unka name abhi tak nahi suna hoga. "
" Lakin fir bhi hamara Guild India ke Top 5 Guilds me se ek hai. "
" Aur batane ki jarurat to nahi hai fir bhi bata deta hu humare Guild me India ke sbse jyada A Rank hunturs hai. "
" Baki kisi Guild me hmare jitne A Rank hunturs nahi hai. "

Manish , Vivek ke solder par apna hath rakhte hue " Vivek chup ho jao. Chillana band kro ab. "

Hanekawa " India ke A Rank huntur..... "
" Kya tum bhi JEJU island ke Raid me participate karne wale ho ? "
" Lakin maine to suna tha ki sirf S Rank hunturs hi JEJU island ke raid me participate kar skte hai. "

Ye sun kar Manish se kuch bola nahi jata hai. Lakin tabhi bagal me khade Ryuji Koto ko kuch gadbad lagti hai bhle hi usko ye smjh me nahi aa raha tha ki Hanekawa aur Manish kya baat kar rahe the. Lakin fir bhi inke baat karne ke tone aur body language se use kuch kuch andesha to ho hi gaya tha.
Isi liye Ryuji koto, Hanekawa ki taraf dekhte hue kahta hai " Hanekawa tum log kya baat kar rahe ho ? "

Wahi Vivek, Hanekawa ki baat sun kr fir se chote bacche ki tarah gussa karte hue kahta hai " Bade bhai DEFENCE SQUAD ka hissa hai. Ye ek important kaam hai. Jisme hme pure JEJU island ko puri tarah se block Krna hai. "

Hanekawa " Chlo kam se kam ye to Rahat ki baat hai. "
" Hum itne important Raid ke liye A Ranks ke hunturs par nirbhar nahi rah sakte hai. "

Ryuji Koto " Hanekawa, agar tum koi problem khadi karne wali ho to tumhe abhi ruk jana cahiye. "

Manish, Vivek ko waha se le jate hue " Ruk jao. Aakhir yaha Translator ka kaam karne aayi Hui ek ladki ko kya pata hoga ? "

Ye sunte hi Hanekawa ko gussa aa jata hai aur wo kahti hai " Kya tum apni aakho se kud meri skills dekna cahte ho ? "
( Proud ke sath laude voice me ) " Mai Hanekawa Japan ki ek A Rank huntur hu. "
" Ab tum apne bare me ye to sunana pasand nahi karoge na ki tum yaha translating ke liye aayi Hui ek huntur tak ko nahi hara paye, hai ki nahi ? "

Itna kah kar wo apne cote ko utar deti hai. Sath me apne aura ko bhi relese kar deti hai.
Ye sun kar waha se ja raha Manish ruk jata hai aur bina piche mude Hanekawa ko dekhte hue kahta hai " Ahhh... Such me yaha. "
( Thode cold tone me ) " Hey translater lady, Tmhe hum logo ko kam smjhna band kar dena cahiye. "


Tap... Tap...

Itna kah kar Manish wapas se aage jane lagta hai tabhi Hanekawa fir se kahti hai " Kahi tum ek non combatant huntur to nahi ho ? "
" Jo bas dinge hakta hai, aur fight krne ke time piche hat jata hai. "

Mai apni jagah khada upar se ye sub dekh raha tha ' India aur Japan. '
' 2 A Rank hunturs ke bich ek mukabala. '

Mere bagal me khada Anubhav samne dekhte hue excitement ke sath " Ye to kafi interesting hone wala hai. "

Ab tak Manish bhi mukabala karne ka man bana chuka tha. Hanekawa apna cote wahi niche jamin par gira deti hai. Aur Manish aage kahta hai " Thik hai. Lakin faisla Rules ke hisab se hoga. "
" Ek dusre ko pitne se acha Yahi hoga. "
" Rule bahut hi simple hai. "
" Jo bhi phle apne samne wale ki kalayi pakdega wahi ye mukabla jitega. "
" Agar tumhari kalayi maine phle pakd li to tum haar jaogi. "

Hanekawa apne man me ' Agar maine apne fist ko Attack karne ke liya swing kiya aur mai pakdi gayi to iska Matlb hoga ki sub tabhi khatam ho jayega. '
' Iska Matlb hai ki koi bhi carelessly Attack nahi kar skta hai. '
( Manish ko dekhte hue ) " Ye to aise rule hai jisme thoda mind game bhi involved hai. "
" By the way. "
" Ab mujhe ye mat kahna ki tum isi posture ke sath fight krne wale ho ? "

Manish apne dono hatho ko pocket me dale hue apne aura ko relese karte hue " Meri chinta mat karo tum. Mujhe tumhari kalayi pakdne ke alawa apne hatho ko apne pocket se nikalne ki koi jarurat nahi padne wali hai. "

Hanekawa apne man me ' Aisa lagta hai ye apne speed ko le kar kafi confident hai. '
" Thik hai Chlo suru karte hai. "


Run... Run....

Hanekawa speed se bhagte hue Manish ke paas jati hai aur uske kalayi ko pakdne ki kosis karti hai. Lakin Manish bhi speed me ek side ko ho jata hai. Aur aise hi Hanekawa lagatar aur bhi jyada speed me move krte hue Manish ki kalayi pakdne ki kosis karti hai. Lakin Manish har baar aur bhi jyada furti se dusre side ho jata.

Hanekawa ye sub dekh kr apne man me ' Mai is dikhawa karne wale akdu insaan ka asli rang abhi sbke samne expose karti hu. '

Itna kah kar Hanekawa ab tak ke kiye sare attamps me se sbse fast Attack karne jati hai. Lakin utni hi teji se Manish apne right pair se usko halka sa hi dakka de deta hai.
Aur kahta hai " Ahh... Tumhari jankari ke liye bata du ki ye koi Attack nahi tha. "
" Ye to ek halka sa dhakka tha. "
" Mujhe pura yakin hai tumhe itna to pata hoga hi. "

Us dhakke se Hanekawa halka piche ko ho jati hai lakin jldi hi wo kud ko smbhalte hue kahti hai " Sorry, lakin mai tmhare bato ko thik se smjha nahi payi hu. "
" Aur ha usase jyada jaruri baat. Tumhe aisa koi pose nahi banana chahiye jb Tmhara trouser bich se fat gaya ho. jisase ki Tmhara underwear dikh rha ho. Ye bilkul bhi cool nahi hai."

Ye sunte hi Manish apne trouser ko dekhta hai aur jaise hi wo dekhta hai wo fat gaya hai wo bahut jyada sharminda ho jata hai.
Wahi Hanekawa jaise hi dekhti hai manish ka dhyan uski taraf nahi hai wo turant hi apne man me ' yahi sahi wakt hai ' kahte hue furti se Manish ke hath ko pakdne ke liye apna hath aage bada deti hai.

Lakin Manish bhi koi kam nahi tha wo turant hi aisa feel hote hi Hanekawa ki kalayi pakad leta hai aur uski aakho me dekhte hue kahta hai " Tum bahut slow ho Translater Lady. "

Hanekawa ye sun dekh kar bahut jyada shocked hoti hai usi abhi bhi in sub par yakin nahi ho raha tha. Wo apne man me sochti hai ' Abhi kya hua ? '
" Kya tum apne Tanks type huntur ke piche Hmesa chupe rahte ho ? "

Manish " Mujhe ye batane ki jarurat nahi hai ki Tmhara humans ke khilaf combat experience bikul na ke barabar hai. "
" Yaha India me sare sports me koi na koi troubles hota hi hai. "
" Bhale hi tum fight karna bilkul bhi na caho lakin fir bhi aisa time kai baar jarurt aata hai jab aapko humans ke khilaf fight karni hi padti hai. "
" Aur sbse jyada worst case me aapko use jaan se marna bhi padta hai. "
( Hanekawa ka hath chorte hue ) " Agar Tumne is baat par dhyan nahi diya to tum aage bahut suffer karna pad sakta hai. "
" Monsters ki taraf humans kisi simple pattern me move nahi hota hai. "
" Agar abhi mere hath me ek Knife hota to simply mai tumhare kalayi ko pakdne ki jagah tumhara gala kaat chuka hota. "

Ye sun sun kar Hanekawa ko bhi sharmindgi mahsus hoti hai. Aur wo apni gardan jhuka leti hai.


Clap... Clap....

Hum sub log ye dekh rahe hote hai tabhi Ryuji Koto taliya bajate hue kahta hai " Ye kafi acha tamasha tha sath me kafi interesting duel tha. "
( Hanekawa ke paas aate hue ) " Hanekawa kya tum mere ek massage ko sbko deliver kar skti ho. Jo mai abki bolna chahata hu ? "

Hanekawa, Ryuji koto ko dekhte hue " Ha jarur. "
" Ye bhi koi puchne ki baat hai. "

Fir Ryuji Koto bolta hai aur Hanekawa baki sbko wo baat hindi me smjhati hai " Ek dusre ke bich trust banane ke liye, mere paas ek proposal hai jo mai aap Indians ke samne rakhna cahta hu. "
" Kaisa rahega agar hum abhi same rules ke sath S Rank hunturs ke bich aapas me spar kare to ? "


Tap... Tap... Tap....

Tabhi ek taraf se mai, Xabhi ke sath chalte hue niche sbke samne aane lagta hu. Aur sare hunturs hum dono ke taraf hi dekhne lagte hai. Hum dono ne bhi ye baat sun liya tha.

Xabhi, Ryuji Koto ke paas jate hue apne man me ' Isase ye definitely hum sub ki skills check karna cahta hoga. '
" Thik hai. "
" Lakin isme se Mage class aur non combatant type ke hunturs ko samil nahi karenge. Quki unme kon jita ye pata karna bahut hard hoga. "

Sachin " Chlo isme kuch aur bhi rules add krte hai. "
" Jo koi bhi huntur kisi dusre ke back ko touch kar dega aur use knock out kar dega use bhi winner mana jayega. "
" Aur 1 vs 1 ki jagah chlo group competition karte hai. "
" Dusre sabdo me kahe to isase koi fark nahi padta hai ki tum kise face karte ho. Ye kaisa rahega ? "

Hanekawa, Ryuji koto ko Sachin ki ye sari baat translate karke batati hai. Aur unko sunane ke baad Ryuji Koto apne man me sochta hai ' Iska Matlb ki agar jo team phle dusre team ke kisi ek Member ko knock out kar degi use ek kafi bada Advantage milega.aur battle uske side me jane ke chances jyada ho jayega. '
' Well waise baat bhi sahi hai agar sirf Kalayi pakdne ki baat hoti to agar kisi bhi side koi ASSASSIN type huntur hua to use bahut bada Advantage mil jayega. '
( Sare Indian Hunturs ko dekhte hue ) " Thik hai. Jaisa aap sub ne kaha waise hi karte hai. "

Xabhi " Huntur Sachin, Jay, Aayat aur Hari India ki taraf se participate karenge. "
" Japan ke team ki taraf se kon participate karega ? "

Ryuji Koto " Kenzo Tanaka, MINORU Hoshino, Atsushi Kumamoto aur Kanae Takawa. "
" Japan ki taraf se ye chro participate karenge. "













Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
Bahot khoob shaandaar
Manish n tow bahot asani se Hanekawa ki kalai pakad li bas thodi se sarmindagi uthani padi jab use pata chala uska trouser pata gaya h
Baherhal dekhte h Japanese hunter Indian Hunter per bhari padte h ya Indian Hunter Japanese per kagi intresting mukamla hone wala h
Badhiya zaberdast update bhai
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,294
204
Nice update bro keep updating the post
Sukriya అరుణ్ కుమార్ bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice bro
But suspence mai kyu chod diya
Ab agla update mega hi dena aur pura dena suspence mai hi mat chor dena
Yamraj@ bhai JEJU island ka part kafi bada hai. Aur yaha bahut se karname aur dhmake hone wale hai isi liye kuch Updates me ise nahi milta skta.
Her Update ke baad aisa hi suspens milega aapko.
Aapka Sukriya Yamraj@ bhai.
Keep supporting ☺️👍
Junior doctor ki baat sunker senior doctor shock ho gaya ki ek 4 saal se soyi aurat ek dm se kaisi theek ho sakti h or discharged kerne k liye mana ker deta h per Rider ka naam sunte hi uske paseene chhot gaye or bola le jaane do apni maa ko
Ab shocked to lagega hi na aur aaj tak is bimari se koi thik bhi nahi hua na to Dr. To yahi kahega. :sip:
Lakin apne hero se panga bhala wo kyu lena chahega sub jate hue bhi.:hinthint:
Kavya bhi apni maa ko ek dam theek dekh ker shock ho gayi or maare khusi k rone lagi rona tow banta hi tha or apne bhayya ko order de dia h ki woh ab apni maa ki goad m soyegi
Ab sbse choti wahi hai aur abki ladali bhi to hukum to degi hi
Xabhi sir n jo Rider se poocha h kia woh iss JIJU island per jo Raid hone jaa rahi h isme unka saath doge Rider n abhi koyi jawab nahi dia dekhte h kia kerta h woh
Is baat ka to mujhe bhi wait hai.:khallas:
S renk hunter ki poori fouj hi ikattha ker rahi h
Baherhal dekhte h aage kia hota h
Shaandaar lajawab update bhai
Sukriya Naik bhai.
Bahot khoob shaandaar
Manish n tow bahot asani se Hanekawa ki kalai pakad li bas thodi se sarmindagi uthani padi jab use pata chala uska trouser pata gaya h
Ab itna to chlta hai. :boobyattack:
Baherhal dekhte h Japanese hunter Indian Hunter per bhari padte h ya Indian Hunter Japanese per kagi intresting mukamla hone wala h
Sahi kaha sbko yahi dekhna hai kon jitata hai. Ye aapko next update me pata chlega.
Badhiya zaberdast update bhai
Aapke itne beautiful reviews ke liye dil se sukriya Naik bhai.
Aise hi support karte rahiye.
 
Top