• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 313 93.7%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 21 6.3%

  • Total voters
    334

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
vote here hay guys vote here for my friend mr. magnificent nd make him the biggest don of Foram.
 
  • Like
Reactions: Shanu

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Awesome fabulous update Bhai
Sukriya Skul bhai.
Keep supporting ☺️👍
Zabardast Update Bhai
Ab Kya Shocking Hone Wala Hai Rider Ke Liye
Sukriya Though_Guy bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nd abhi to bahut kuch shocking hone wala hai apne rider ke liye. Aap bs dekhe jao bhai.
Outstanding update bhai maza aa gaya to ab dekhte hai rider kise join karta hai.
Ye bhi bahut jaldi hi pata chal jayega bhai.
Aapka sukriya Scorpionking
Superb update and take your time..
Kaam jyada impartant hai . Story
Free time me likhiye
Shukriya bhai smjhne ke liye.
Nd review ke liye bhi sukriya arish8299 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice update Bhai
Sukriya Ajay bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice update 👍
Sukhiya @09vk bhai
keep supporting ☺️👍
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Shandar update bro sangam ne toh raita gajab ka faila diya h chutiya khud ko shershah samaj raha h marega....
Ab wo bhi kya kare bechara fame ka bhula hai. To hmaresa yahi sb sochta rahta hai.
aur sachin anubhav dono he lad rahe h rider ke liye par rider shubham ke sath he rahega muje yakin h aur baki ke sath partnership type kuch karega
Ab is baat ka pata to aapko aage hi chla kar pata chlega.
awesome update valentine bro
Aapka bahut bhaut sukriya Sandeep singh nirwan bhai itne beautiful review ke liye.
Good update dear
Sukriya johnsamuri bhai.
Keep supporting ☺️👍
Superb update 😍
Sukriya Surya_021 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice update
Sukriya krish1152 bhai.
Keep supporting ☺️👍
nice update dear
Sukriya JAI bhai.
Keep supporting ☺️👍
Bhai meine ye story teen din pahle read karne Star ki privious ka kuch comments karna matlab galat hoga lekin sachmuch interesting story hai mein teen din se non stop reading kar raha hu great work keep posting.
Aapka tahe dil se sukriya Ladies man bhai. Jo aapko ye story itni pasand aayi.
Bs aap apna pyar aur support banaye rakhiye. I hope ye aapke favt. Story me ek add ho jayegi.
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Nice update bhai waiting for next update
Sukriya The king bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice update bro
Shukriya Jasdil bhai
keep supporting ☺️👍
Nice updates
Sukriya Vk248517 bhai.
Keep supporting ☺️👍
Excellent update bro
Sukriya A.B.KING bhai.
Keep supporting ☺️👍
Awesome mazedar update bro
Sukriya Sweetkaran bhai.
Keep supporting ☺️👍
Bahut he badiya update bhaiya lekin aaj kuch missing laga
Ab her update me dhmaka to nahi ho skta na bhai. Kuch me story ke aane wali situation ka bhi flot banana hota hai.
Sukriya Vickey.a bhai.
Keep supporting ☺️👍
Super update hai Bhai
Sukriya RAJIV SHAW bhai.
Keep supporting ☺️👍
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
Bahut hi badiya update tha bhai....
Bahut bahut sukriya Rudransh120 bhai aapke itne ache review ke liye.
Keep supporting ☺️👍
Ab to Rider ke liye India ki do sabse badi Guild usko apni guild me samil karne ke liye lad rahi he par Rider kya unke sath join karega ?? Yaa fir Rider ne Shubham ki The Heaven Guild ko join karega ??
Abhi to international Guild aani baki hai bhai.:bigboss1:
Baki kise join karega wo aane wale kuch Updates me pata chl jayega.
Aur jab is Sangam ko Rider ki Revaluation ke bare me pata chalega aur media me sirf Rider ke hi charche hoge tab Sangam ka muk dekhne wali baat hogi... 😂 😂...
Wo scene bhi ek bawal hi hoga bhai. Aap kud dekh lena.
Aur ab Aayat Rider ke bare me sab janne ke baad uska ab kya reaction hoga aur wo aage Rider se mulakat karegi kya aur kab ???
Hogi to jarur bs kab hogi iske bare me abhi kuch nahi kah skta hu.
Khair ye ab aage ke updates me hi pata chalega ....

Ekbar fir se aapki story bahot hi badiya he aur aap pura samay leke aese hi badiya aur lambe update likhte rahiye...
Jarur bhai meri bhi yahi kosis hai ki mere mostly readers ke favt. Story ke list me ye bhi rahe.
Very nice update. Kya hunter rider ko in news chennals k dwara Fam nahi milegi? Kya pure desh me yah khabar nahi failegi ki sanse stronger S rank prapt karne wala hunter rider he. Aaj update ki length bahut sahi thi uske liye thanks brother.
In sab ka jawab to aapko aaj ke Update se hi thoda mil jayega baki ka next update me clear ho jayega sub.
Aapka bahut bahut sukriya Battu bhai.
Keep supporting ☺️👍
Nice
Take yr time
😇
Sukriya Anil p bhai.
Keep supporting ☺️👍
Jiohh, kya update diya be Itachi_Uchiha, 74,75,76 gajab the padhte padhte to saala mai imagination pe chala jaa raha tha be,gajab likha be,ab mai bhi bolega be ki bc ek dhasu writer mere pass bhi hai,gajab likha ju and sorry haa wo review n de saka update ko summary me le kr
Koi baat nahi bhai aapne itna hi kaha diya ye hi bahut hai mere liye. Mujhe bahut khushi hui ki aapko ye sare Updates itne jyada pasand aaye hai. Sath me abhi hi bata deta hu abhi in Updates ke bhi baap aur dada aane baki hai. Aage isase bhi bahut jyada maja aane wala hai.
Aapke itne beautiful review ke liye tahe dil se sukriya bhai.
Keep supporting ☺️👍
bhai aaj ka update kitne baje tak aaye ga
Bhai 8 bje tak de dunga. ☺️
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
7,840
27,295
204
UPDATE - 77



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise mai, Shubham se milen jata hu. Aur waha wo uske aur uske papa ke bich hui sari baat batata hai. Uske baad mai apna decision usebatata hu jise sun kar uska muh khula ka khula raha jata hai. Fir re-evaluation wale din association ke samne bahut sare reporters ki bhid ikatha thi. Aur ye sb Sangam ka hi kiya dhara tha publicity ke liye. Tabhi waha Anubhav aur Sachin bhi mere liye aate hai. Lakin reporters smjhte hai wo Sangam ke liye aaye hai. Lakin baad me wo dono sbko bata dete hai ki wo kisi aur kaam se yaha aaye hai. Fir mai waha phuchta hu aur itni bheid dekh kar shock ho jata hu.


AB AAGE....


Mai ( apne man me ) ' kya reporters logo ko pahle hi mere bare me hawa me udti udti khabar mil chuki hai. '
' Mere khyal se aisa nahi hoga. Quki inme se to koi mujhe pahchanta bhi nahi hai. '
( Samne ki bhid dekhte hue ) " Agar ye sub aisa hi chalta raha to mai Association ke Building ke ander filhal to bilkul nahi pahuch paunga. "

Quki reporters aur camera man logo ne entrance gate ke samne ka pura rasta hi block kr diya tha. Are Sangram ki photo lene me busy thi.
Jab mai dekhta hu mere paas aur koi rasta nahi hai to mai Reporters aur camera man logo ke biche se unko halke halke dakka dete hue aage ki taraf jane lagta hu.
Jisase unhe thodi disturbance hone lagti hai aur aas paas ke reporters kahne lagte hai.

" Hey, ye kya hai ? "
" Are, ab ise kya ho gaya hai ? "
" Tum ander kaha ja rahe ho ? "
" Piche hato, kaha ja rahe ho ? "

Mai ( entrance gate ki taraf jate hue ) " Excuse me, jara rasta dijiye. "

Jab mai sare reporters aur camera mans ke biche se nikal kar aage phuch jata hu.
Aur jaise hi mai sidhiyo se upar entrance gate ki taraf jane lagta hu, tabhi mere samne achanak se Sangam ka wo bodybuilder type driver aa kar khada ho jata hai.

Driver ( mujhe ghur kar dekhte hue ) " hey, Tum kon ho ? "
" Kya tum Association ke worker ho ? "
" Kya tumhe yaha khade sare Reporters nahi dikh rahe hai ? "

Mai ( driver ko dekhte hue aaram se ) " Mujhe Association ke sath kuch kaam hai. "

Driver " Tum aise hi in sub ko piche karke ander nahi ja skte ho. "
" Tum abhi ander nahi ja skte Association ke. Jaha se aaye ho wahi laut jao. "

Wahi uske piche khada Sangam bhi mujhe dekh ke apna bura sa muh banate hue apne man me kahta hai ' Aakhir iski kya problem hai ? Kitna senseless hai ye ? '
' Ye agar aisa hi raha to bahut jldi hi ye kisi ke hathe chadh jayega. '

Driver ( mujhe dekh ke gusse se chillate hue ) " Tum aise hi yaha se ander nahi ja skte. To jaldi se jaha se aaye ho waha chle jao. "

Abhi ye sb bawal ho hi raha tha ki entrance gate ke paas se hi ek kadak aawaj aati hai " Aur kiski Authority se tum inhen yaha se wapas bhejne ki kosis kar rahe ho ? "

Sare logo ka dhyan us awwaj ki hi taraf chla jata hai. Aur ye aawaj kisi aur ki nahi Chairman Xabhi ki hi thi. Jo kud entrance gate ke paas apne well dressed uniform me khade hmari hi taraf dekh rahe the.
Unko yaha dekh kar mujhe chor kar sare log shocked ho jate hai.

Sangam ke muh se to bs itna hi niklta hai " Huh ? "
" C.... Chairman Xabhi ? "

Xabhi ( meri taraf ek smile ke sath dekhte hue ) " Ye ladka hmara guest hai. "
( Fir Sangam ki taraf dekh kr ) " Mr. Sangam, mujhe yakin hai ki aapko pahle se hi ye baat pata hai ki aapko yaha press conference karne ke liye kisne permission diya hai ? "

Sangam ( halka darte hue ek banawati smile ke sath haklate hue Xabhi ko dekh kr ) " H.....ha bilkul."
" Mujhe ache se yaad hai. "

Tap... Tap... Tap...

Fir mai aaram se apne ek pocket me hath dale Chairman Xabhi ke sath baat karte hue Association building ke ander chla jata hu.
Aur baki sare mujhe bahar khade shocked aur confusion se bas dekhte hi rahte hai.

1st camera man ( apne bagal wale se ) " Wo ladka kon tha ? Jo Chairman kud personally usko yaha se ander le jane aaye ? "

Ek Reporter ( sare logo se ) " kya koi janta hai, ki wo ladka aakhir kon tha ? "

Ye sb sun kar Sangam ko bahut gussa aata hai. Aur wo piche mud kar mujhe ander jate hue dekh kr gusse se apne daat piste hue kahta hai " Iski himmat kaise hui, jo isne mere debut ko kharab karne ki kosis ki ? "

Fir kud ko control karte hue piche mud kar apne driver ko dekhte hue Sangam kahta hai " Jao aur pata karo, aakhir is ladke me aisi kya khash baat hai. "

Driver " Thik hai. "

Tap... Tap... Tap....

Aur uska driver bhi waha se bahar ki taraf jane lagta hai, sayad apne kuch janane walo se uske bare me kuch pata lagane ko.
Washi Sangam piche mud kar sare reporters ko dekhte hue apne man me sochta hai ' Ab mai apne is mood ko kaise fix karunga.. '
' Chlo apne plan ko aage badhate hai. Aur jaisa maine phle se soche rakha tha usme thoda chnage karte hue apna evaluation abhi turant hi start karwa leta hai. '

Fir Sangam smile krte sare reporters ko dekhte hue apna hath hilate hue kahta hai " Sare log bs ek min ke liye meri baat suniye. "
" Mai ja kar jaldi se Association se apne aaj ke sedule ke bare me baat kar leta hu. "

Tap... Tap... Tap...

Tap... Tap... Tap...

Abhi itna kah kar Sangram ander jane ke liye muda hi tha ki achanak se 5log hunturs association ke uniform me aa kar Entrance gate ko band krte hue apne dono hath piche krke uske samne khade ho jate hai.
Ye Sab itna achanak se hota hi ki Sangam ekdam se surprise ho jata hai aur apni aakhe badi karte hue kahta hai " Huh ? "
" Is baar ab ye kya hai ? "

Un 5 logo ke sbse bich me Anurag hi khada tha. Wo Sangam ko dekhte hue santi se kahta hai " Abhi ek dusre Hunter ka evaluation chl raha hai. "
" Jab tak ki uska evaluation 11:00 Am tak pura nahi ho jata hai. Kisi ko bhi building ke ander jane ke ijajat nahi hai. "

Sangam ( surprise se chillane hue ) " Kya, bak rahe ho ? "
Fir wo apne smartphone ko nikal kar usme time dekhne lagta hai jisme abhi 10:30 am ka time show ho raha tha.

Sangam apne man me ' Yaha to abhi bhi 30min baki hai. '
' Jab isne kaha ek dusre Hunter ka, to usase kahi iska matlab us ladke se to nahi hai jo abhi hi kuch der pahle Chairman ke sath ander gaya hai ? '

Fir ye sb sochne ke baad Sangam thoda jor dete hue Anurag se kahta hai " Mere aaj ka Rank Evaluation ka appointment hai 11:00am ka. Aur reporters bhi yaha kab ka aa chuke hai. Mujhe ab ander jane do. "
" Chairman bhi is bare me sab jante hai aur tum mujhe chup karwana cahte ho ? "
( Anurag ke kaan ke paas aa kar dhir se ) " Hey, kya tum nahi jante mai kon hu ? "
" Mai Sangam hu. "
( Thoda jor se ) " Mai Sangam hu. "

Anurag ( santi se ) " Agar tumhara Rank evaluation ka appointment 11:00am par hain. To tum us time par building ke ander ja skte ho. "

Ye sun kar ab Sangam ko gussa aane lagta hai aur wo apni aakho se Anurag ko ghur kar dekhte hue cold tone me kahta hai " Tummm.... !! "
" Kya tum nahi jante ho ki Association ka sbse bada sponsor The Heven architecture hai. "
" Mere papa The Heven architecture ke vice hai. "
" Aur jitni money wo Association ko donate karte hai us hisab se Tmhe nahi lagta hai ki tumhe mere khyal rakhna chahiye ? "
( Reporter ki taraf isara karte hue ) " Aur sath me kya tumhe itne sare log nahi dikh rahe hai ? "
" Kya tumhare ander itni himmat hai ki tum in sare camera ke samne mujhe ignor kar sako ? "
" Kya tum in sb se hone consequences ke result ko handle kar paoge ? "

Anurag ( santi se ) " Ha, mai kar lunga. "

Sangam ( shocked se Anurag ko dekhte hue ) " kya ? "
( Bahut jyada gusse me ) " Aakhir tum kud ko smjhte kya ho ? "
" Aur tum ye kahna chahte ho ki wo huntur itna jyada amazing hai ? "

Ye sun ke Anurag ko ab thoda gussa aa jata hai. Aur wo apne aura ko relese karte hue apna chasma utar kr apni glow hoti aakho se Sangam ko dekhte hue kahta hai " Agr mai tumse kahu ki... "
" kya Mr. Sangam yaha hone wale consequence ko handle kar payenge ? "

Anurag ki aisi kahtarnak aakhe dekh kr hi Sangam ki fat jati hai. Aur wo bahut jyada dar se use dekhte hue piche hatne lagta hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

INSIDE THE ASSOCIATION BUILDING

Tap... Tap... Tap....

Mai, Chairman Xabhi ke sath ek special Evaluation room ki taraf ja raha tha.
Tabhi mujhe us room se thodi hi duri par Sachin aur Anubhav khade dikhayi diye. Jinhone Chairman ko dekhte hi respect se apna sir jukha liya. Aur mujhe dekh ke smile karne lage.
Jab hum unse kuch aage nikal aaye to Xabhi mujhse kahte hai " Ye dono yaha 1hour pahle hi aa gaye the. "
" Aur tab se hi ye dono tumhara yaha wait kar rahe hai. "

Tap... Tap... Tap...

Mai bhi ek baar mud kar unki taraf dekhta hu fir hum aage us room ki taraf jate rahte hai.

Xabhi " Aakhiri me 2 years me tum phle S Rank huntur hoge. "
" Jb se Anubhav ne tumhare power ke bare me kud apne teammates se muh se suna hoga, wo tab se aur bhi jyada excited ho gaya hoga tumko apne Guild me lene ke liye. "

Fir mai, Chairman Xabhi ke sath ek room me pahuch jata hu. Jaha Association ka hi ek member unke hi uniform me ek power wala gol chasma lagaye apne hath me ek pad liye hamare hi aane ka wait kar raha tha.
Ye room ek bahut bada room tha. Lakin bikul khali tha. Sayad yaha bs high Rank hunturs ki hi ability dekhne ke liye unko laya jata tha.
Xabhi ja kar us worker ke piche santi se khade ho jate hai. Hum mujhe hi dekhne lagte hai.

Association worker ( mujhe dekhte hue ek smile ke sath ) " Huntur Rider nice to meet you. "

Mai bhi use dekh kr smile ke sath kahta hu " Hello ! "

Association Worker " Isase phle ki hum aapka Evaluation start kare, hum aapki abilities ko dekh kar Confirm karna cahte hai. Taki hum ye decided kar sake ki aapka class kya hai ? "
" Aap kis tarah ki abilities ko use kr skte hai ? "

Mai " Mai kuch aisa kar skta hu. "

SSSSSS.....

Itna kah kar mai undono ke samne apne ek normal KNIGHT Shadow Soldier ko bula leta hu.

Ye dekhte hi us worker ka to muh shocked se pura khula ka khula rah jata hai. Sabhi bhi thode shocked hote hai lakin bahut jyada nahi.

Association Worker ( shocked se ) " Kya ? "
" K....kya ye ek summouned creature hai ? "
" Aap creatures ko control kar skte ho ? "

Tabhi achanak se Xabhi bol padte hai " Huntur Rider. "
" Kya tum kahna cahte ho ki yahi tumhari abilities ki full capacity hai ? "

Ye sunte hi mai apne man me sochne lagta hu ' Quki ab tak mujhe bahut se logo ne aisa karte dekh liya hai to ab juth bolne se koi fayda nahi hai. '
( Apni aakhe band krke sochte hue ) ' Aakhiri baar to maine high orcs ko bhi apne shadow Soldiers me convert kar liya tha. '

SSSSSSSS......
SSSSSSSS......


Fir mai apne save kiye hue sare SHADOW SOLDIERS ko us room ke ander bula leta hu. Aur pure room me black color ki energy se mere Shadow Soldiers banane lagte hai. Aur bs kuch hi second me wo pura room mere shadow Soldiers se pura bhar jata hai.
Mere Shadow Soldiers ne hum tino ko charo taraf se khere khade ho jate hai.
Ye dekh kr ab us worker ke sath Chairman Xabhi ko nahi bahut bada sadma lagta hai.
Dono kuch second ke liye dar bhi jate hai. Aur fir aapni aakhe fade wo dono ghum ghum kar bs pure room me khade mere Shadow Soldiers ko hi dekhne lagte hai.

Is time room se bahut high energy nikalne lagti hai. Jise bahar khade Sachin aur Anubhav ne bhi bahut ache se sence kar liya tha.
Un dono ko bhi bahut bada jhatka lagta hai ki aakhir itni jyada high energy is room se kaise aa rahi hai. Aur jahir si baat hai unko bhi pata tha ki waha mera hi evaluation ho raha hai to ye energy bhi meri hi hogi.

Mai ( Xabhi ko dekhte hue aaram se ) " Mai 100 se bhi jyada creatures ko summouned kar sakta hu. "

Association worker ( chro taraf dekhte hue dar ke sath ) " 1.... 100 se bhi jyada ? Aisa kahi nahi ho skta... "

CHUUUU.......

Tap... Tap.... Tap....

Fir mai baki ke process nipta kar. Apna new S Rank wala huntur association ka is card le kar use dekhte hue us room se bahar aane lagta hu.
Mera left hath abhi bhi paint ke pocket me tha. Aur right hath me id. Aur mai use dekhte hue smile kr raha tha.

Sachin mujhe bahar aata dekh kr mere aura ko feel karte hue shocked hote hue bs mujhe hi ghur raha tha. Aur apne man me soch raha tha ' Rider se ander se kitni jayada powerful Magical energy bahar ko flow ho rahi hai ? '
' Isko to bikul bhi comparison nahi kar skte last time wale Rider se jab mai isase mila tha. '
' ye to ab mere upar puri tarah se hawi ho cuka hai. '

Sachin ( meri taraf dekhte hue ) " Huntur Rider ! "
" Me. Rider kya aapke paas kuch khali time hoga ? "

CHUUU....

Lakin mai undono ki taraf dekhte hue ek pyari si smile ke sath Entrance gate ka door open krte hue kahta hu " Mujhe maaf kar dijiyega. "
" Lakin abhi bhi kuch kaam baki hai jo mujhe karne hai. "

Anubhav " Huh ? Ye bahar jane ka rasta.... "

Abhi Anubhav aage kuch bolta ki Sachin bich me hi bol padta hai " Agar tumhari jagah mai hota to mai yaha se bahar nahi jata. "

Mai undono ki baat sun kr gate ko halka sa open kiye hi apne man me sochne lagta hu ' Kahi iske kahne ka matlba ye to nahi hai ki, inhone ek vichar karne layak contract banaya hai mere liye, aur agar mai use sune bina yaha se gaya to mujhe is baat ka baad me bahut pachtawa hoga ? '

CHUUU....
Tap....


Lakin mai unki bato ko ignore karte hue gate ko khol kar jaise hi ek kadam bahar rakhta hu. Mai bahar ka najara dekh kr bahut jyada shocked ho jata hu. Meri aakhe kud badi ho jati hai samne ka najara dekh kar.

FLASH.... FLASH....

FLASH..... FLASH....

Bahar wo sare jo Reporters aur camera man khade the ab unse bhi bahut jyada Reporters aur camera man khade the. Aur sare ke sare meri photo click karne me lage hue the.
Mere bahar nikalte hi mujhe to bas flash light hi dikhne lagti hai.

Mai ( bahut jyada shocked se samne dekhte hue ) " Ye kya hai ? "










Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
 

Though_Guy

Member
488
1,637
138
Bahut bahut sukriya Rudransh120 bhai aapke itne ache review ke liye.
Keep supporting ☺️👍

Abhi to international Guild aani baki hai bhai.:bigboss1:
Baki kise join karega wo aane wale kuch Updates me pata chl jayega.

Wo scene bhi ek bawal hi hoga bhai. Aap kud dekh lena.

Hogi to jarur bs kab hogi iske bare me abhi kuch nahi kah skta hu.

Jarur bhai meri bhi yahi kosis hai ki mere mostly readers ke favt. Story ke list me ye bhi rahe.

In sab ka jawab to aapko aaj ke Update se hi thoda mil jayega baki ka next update me clear ho jayega sub.
Aapka bahut bahut sukriya Battu bhai.
Keep supporting ☺️👍

Sukriya Anil p bhai.
Keep supporting ☺️👍

Koi baat nahi bhai aapne itna hi kaha diya ye hi bahut hai mere liye. Mujhe bahut khushi hui ki aapko ye sare Updates itne jyada pasand aaye hai. Sath me abhi hi bata deta hu abhi in Updates ke bhi baap aur dada aane baki hai. Aage isase bhi bahut jyada maja aane wala hai.
Aapke itne beautiful review ke liye tahe dil se sukriya bhai.
Keep supporting ☺️👍

Bhai 8 bje tak de dunga. ☺️
Waiting Bade Bhai
 
Top