naina khanna - 18
naina ki family
ashwin khanna ---- 47 papa
niharika khanna -- 45 mummy
sanjay khanna 25 bhai
suresh khanna 24 bhai
mahesh khanan 23 bhai
naina ghar pohnchi to uski sooji ankhen dekh niharika cheekhti hui bhaag kar uske pass aai aur ghabrai hui boli
niharika.. naina meri jaan tum roi ho. kyun??...
naina ne apni mummy ko dekha aur has padi.. ankh mein kuch chala gaya tha mummy. aap to aise hi pareshan ho jaya karti hain chhoti chhoti baaton par. kitni bar kaha ha mummy meri itni fikr na kiya karen. ab mai bachhi nahi rahi
niharika.. fikr kyun na karen. jaan ho tum hamari. hamari zindagi ho.
naina apni mummy ke gaal ko chum kar boli.. mujhe garv se hi garv raha hai mummy. mujhe aap jaisi mummy mili. kis janam mein maine aisa punya ka kaam kia tha jo is janam mein mujhe ap jaisi mummy mili.
tabhi peeche se awaz aai.. aur mere liye kyaa kahegi meri gudya
naina mud chahakti hui boli.. sanjay bhaiya
aur naina bhag kar apne bade bhaiya sanjay khanna ke gale se lag gai.
sanjay ki nazar bhi naina ki sooji ankhon par padi. aur chinta mein a gaya
sanjay.. meri gudya ki ankhon ko kyaa hua
naina.. arre bhaiya aap bhi mummy ke jaise preshan ho gaye. kuch nahi hua meri ankhon ko. mai theek hon. bass kuch chala gaya tha ankhon mein. bedhayani mei ankhen masal gai. aur soooj gai
sanjay.. baat koi aur hai to bata. kyaa kisi ne meri gudya ko pareshan kia
ha
eka eki sanjay ki awaz badal gai thi. niharika apne bete ka apni gudya ke liye pyaar dekh rahi thi.
naina laad se boli.. kis ki majal hai jo naina khanna ko nazar utha kar dekh bhi sake
sanjay mascular body ka maalik tha. apne bazu ke muscle masalta hua bola..
sanjay.. gudya ye tere liye banaye han. koi meri gudya ko kabhi pareshan na kar sake. jo pareshan kre, usay jaan se--
naina ne sanjay ke moh par hath rakh dia
niharika karib aa gai thi
niharika.. bhagwan tum sab ko meri umar bhi laga de
bad mein jisne naina ki sooji ankhon ko dekha, suna, sab ke sab chinta mein aa gaye. turant doctor ko bulwane ki baat kari gai thi. par naina ne mana kar dia tha.
----------------
naina agle din bohut jaldi college ke liye nikal gai. karan ka wait karne lagi. do din se karan ko dhang se dekh nahi pai thi. dil ko karar nahi aa raha tha
fir ek ek karke sabhi student aate chale gaye. par karan nahi aaya. naina ki dost disha bhi jaldi aa gai thi. uske sath hi khadi thi. wo naina ke love janti thi. naina ko chhed rahi thi.
disha.. naina to sach mein us gareeb ke liye bawali hui ja rahi hai
gareeb shabd par naina ne usay ghoor kar dekha
disha serious hokar.. kya galat kaha maine. wo gareeb na hota to kyaa tum usse door rahti
aur naina sir jhuka gayi. disha ki baat sahi thi
anil aur arohi aaye. wo naina aur disha ko gate ki orr dekhte paa kar ek dusre se khusar phusar karte aage ja kar khade ho gaye. wo bhi karan ka wait kar rahe the.
arohi.. aaj naina zarur karan ke liye khadi hai
anil naina aur disha ko dekh bola.. baat bohut aage badh rahi ha. naina bhi karan se pyaar karti hai. par karan ha ke manta hi nahi ha
arohi.. khair. karan to manta hai. uska dil manta hai. par karan ki wahi baaten. bina kuch bane wo naina ko pa bhi to nahi sakta. pahle se izhaar karke apne pyaar ko sharminda nahi karna chahta. naina ameer zadi hai aur karan ganv ka gareeb ladka. ek gareeb larka khul kar kaise ameerzadi se pyaar ka izhaar kar sakta hai.
anil .. sahi kaha tumne arohi. kash karan ameer ghar mein janma hota
arohi has padi. aur main bhi. fir dekhti tumhare jaison ko. moh bhi nahi lagati main tujhe
aur anil zor se has pada
ye dono bhi karan ka wait karte rahe. udhar naina ki bechaini badhti hi chali ja rahi thi
arohi.. naina bohut chinta mein ha. aaj se pahle usay kabhi wait karte nahi dekha
anil. karan bhi to pichhle kuch dino se ajib se behave karta chala aa raha ha. pareshan to hum dono bhi bohut han karan ke liye
arohi.. kahin karan ye sab naina ki ittention pane ke liye to nahi kar raha ha
anil.. bhagwan kare aisa hi ho. naina ki bechaini dekh kar to lagta ha. karan aur do din na aaya to naina zarur--
aur anil chup kar gaya. naina utara chahra liye pahli bar dono ke karib aane lagi. arohi aur anil dono hairan se khade naina aur disha ko karib aate dekhne lage
naina karib aa kar jhijhakti hui boli.. aaj kal tumhara dost nahi dikhai de raha hai. kyaa wo bohut busy ha
anil ne arohi ko dekha
arohi boli.. ho bhi sakta ha. waise woh kal mila tha humse
aur naina badi hairat aur khushi se arohi ka ek hath thaam gai.
naina.. kyaaaa?.. sach.. kab.. mila tha tume
arohi ka moh khul gaya
naina jheenp gai.
fir normal hui boli.. mera matlab ha. wo hamesha hi tum dono ke sath dikhai deta raha ha. pichhle kuch dino se routine mein change aa raha ha. tum teeno ki gang unique ha
naina ko smajh nahi aa raha tha. wo kyaa bole. bas jo moh mein aya bolti chali gai. disha uski halat samjhti thi. chup rahi
arohi aur anil bhi ab kuch kuch samjhne lage the. naina waise bhi bade ghar se thi. dono naina ke karib aane par confuse bhi ho rahe the
arohi.. thanks aap ne hamare liye itne payare shabd use kiye. woh kal college se ghanta bhar bad mere ghar aaya tha. anil bhi wahin mere ghar aa gaya tha.
naina hichkichati hui.. wo theek to tha na
arohi.. ekdum svast tha. par
naina ke dhadkan jaise thami.. par??. kyaaa?.
arohi.. kal ka uska vyavhar kuch ajib laga mujhe
arohi ab naina ko ghor se dekh rahi thi. aur naina khud mein smit ti chali gai.
naina.. vyavhar ajib laga
arohi.. haan kabhi woh bohut khush dikhai dene lagta. kabhi ekdum se ghambir svar mein baat karne lag jata tha. mai samjh rahi hon. uske dil mein koi baat atki hui ha. kisi baat ko leke woh zarur upset tha
arohi aur anil samjh rahe the karan naina ke kaaran upset ha. arohi naina ko aisa sunaa kar naina ko aur pareshan karna chahti thi. ta keh woh karan ke liye khud kar bol sake. par naina daman bacha gai
naina.. kal jab woh aaye to usse poochna. paison ko leke koi pareshani ho to--
naina chup kar gai. samjh nahi aa raha tha. wo kaise aur kyaa bole
arohi.. hmm. kal jab woh milega to bol dunga. poochh lungi.
naina.. mai ab chalti hon. ok bye
disha aur naina chali gai.
disha.. tum khul kar bhi to baat kar sakti thi arohi se
naina.. nahi kar sakti. pata nahi kyun. kabhi kisi se baat karte hue jhijhak nahi aai. par aaj bohut aa rahi thi.
disha.. mai samjh sakti hon. mamla hi dusra hai na. love shove mein aisa hi hota ha
disha has padi thi. aur naina pahli bar disha ke saamne sharma gai thi.
udhar arohi arohi se kah raha tha.. aag dono taraf khub bhadki hui hai
arohi.. aaj aisa karo tum khud karan ke ganv chale jaao.
anil... aaj to mushkil ha. aaj mujhe didi ke ghar jana ha
aur anil agle do din tak nahi karan ke ganv ja saka. wo apni didi ki orr busy h gaya tha. arohi aur anil dono karan ke college na aane se pareshan ho gaye the.
aur naina. uski to bhuk pyaas ud gai thi. raaton ko so nahi pa rahi thi. karan kabhi bhi itna samay college se gayab nahi raha tha. even karan ne to kabhi chhutti bhi nahi ki thi. ab musalsal kiye ja raha tha. naina ke liye uske mummy papa aur teeno bhai chinta mein rahne lage
naina se poochne par bhi naina kuch nahi bata saki apne parivar ko
aur 4th day naina ki sahnshakti jawab de gai. wo jaldi college gai aur karan ka wait karne lagi. disha bhi usi samay wahan aa pohnchi. aur dono chinta mein aai karan ka wait karne lagi.
par karan nahi aaya. arohi aur anil bhi unke sath mil karan ka wait karne lage
aur sab karan ke liye adhik chinitit the. naina ko dekh kai chahronn par hairat ke bhav the
naina aisi to nahi thi
fir naina anil ka hath pakad kar boli.. tum jante ho na anil karan kahan rahta hai
arohi.. anil kai bar karan ke ganv ja chuka ha
naina.. chalo uske ganv chalte hain. zarur uske sath koi to serious matter ha. warna wo itne din chhutti nahi karta
ab arohi anil puri tarah se jaan gaye the. naina karan ke liye puri pagal ho chuki ha
aur sab nikal pade ek hi gadi mein. naina ki luxury gadi mein beth sab karan ke gaanv ja pohnche
karan ke ghar ke door ke saamne gadi ruki. anil bahar nikle aur door knock karta hau karan ko awaz dene laga
ek larka bahar nikla. anil usay dekh hairan hua. karan ka koi bhai cousin nahi tha. wo janta tha.
anil.. tum kon ho. karan kahan ha.. usay bulaao. kaho shahar se anil aur arohi aaye han
larka... kon ??. karan?.. oohh haann karan.. aisa ha anil saab. karan to ab yahan nahi rahta
anil ko shock laga sunkar..
anil.. kya matlab..wo yahan nahi rahta. ye ghar usi ka hai na
anil dusre karan ke taya ke ghar ko dekhta hau bola.. kyaa karan apne tau ke ghar ha
larka.. ji woh ye dono ghar bech kar sara samaan leke jaa chuke hain.
anil ke liye ye news badi shocking news thi. niana gadi mein bethi anil ke haav bhav dekhti ja rahi thi. usay kuch gadbad ka abhas hua
wo turant gadi se nikli. aur anil ke pass ja pohnchi. haklai ghabrai hui boli
naina.. anil kyaaa baat ha. ye kon ha. kyaa karan ka bhai ha.
anil... karan ka koi bhai nahi ha. karan iklota apne dono parivaron ka larka ha. kai bahno ka iklota bhai.
naina.. fir ye kon ha
anil ko naina ki mental health ka achhe se andaza ho raha tha. naina ko side liye wo bola. aap ruko mai abhi aaya
anil wapis larke ke pass gaya.. karan kahan gaya ha. aap uska pata bata sakte hai
larka.. nahi wo kisi ko bata kar nahi gaye. pura ganv unke achanak se jaane par hairan ha
aur anil utra moh liye naina ke pass ja pohncha. arohi aur disha bhi naina ke karib aa khadi hui thi
anil ne sari baat bata di. aur naina ka moh khul gaya. ankhen felti chali gai. fir naina ladkhadai. disha aur arohi ne usay thaam lia. warna wo gir padti
naina ko gahra sadma laga tha. wo badbadane lagi. aise kaise ja sakta ha karan. bina bataye.. nahi ye nahi ho sakta. mujhse door kaise ja sakta ha
disha pareshan ho gai.. anil jaldi se naina ko gadi mein bithao. ise yahan se lejana hoga
naina ko gadi mein back seat par bithaya gaya. arohi naina ke sath aur anil arohi ke sath. disha ne driving seat sambhaal li
sab hairan pareshan dukh aur gahre sadme mein wapis shahar laute. pure raste naina ek jaise hi shabd badbadati rahi. naina ka andaz bahka bahka tha.
arohi aur anil ko arohi ke ghar par drop karti disha full speed se gadi drive karti naina ki kothi jaane lagi