Dhaneshwar Singh
Member
- 153
- 165
- 43
Very nice bro ek recap ho gaya puri story ka aur yah bhi clear howa ki har ek janam ke baad raj me shaktiyo ka izafa hua hain theek usi tarah jaisay agni pe kut ke hi kundan banta hain. Ab aage ka intezaar rahega aur beech beech me ek saransh aa jaye to yah ek boost ka kaam karega story me i mean har ek ya do chapter ke baad coz itni badi story ke liye zaroori hain ki beech 2 me ek refresment hota rahaey take characters and story sath taal mail bana rahay aur hum sab bhi aapke sath is anoothay safar ka maza le sakey.PUNRAVLOKAN
Next Chapter Start Karne se Pahle Aaiye ab tak ki kahani par Ek Nazar daal lete hain jisse isse samajhne me aur kuch bhuli bisri baato ki yaad dast tarotaza hone me koi dikkat na rahe
Aisa karne ka mera pramukhtah ek hi uddeshya aur karan hai kyon ki ye kahani ka ek behad aham padav hai jaha se hokar ab ye gujarne wali hai
Yahi vajah hai ki jehan me iska koi aisa pahlu achhuta na rah jaye jisse aage jakar mann me uske vishay me kisi bhi tarah ki anbhigyata ki sthiti nirmit ho
Aham Padav maine kyo kaha iska khulasa meri agli kuch bato se saf jahir ho jayega….Kuch samay se maine mahsus kiya ki kahani ke vastavik flow jaisa ki chal raha tha, usme pahle ki apeksha kafi girawat aayi hai
Maine iski vajah janne ke liye kahani ka ek baar khud hi punrikshan (Observation) karne ki soch poori kahani ko last two days me padh kar dekha ki kaha par mujhse galti huyi hai ya kaha par kuch kami rah gayi hai
Is observation ke phalswaroop maine kuch aagami ghatnao ko unke purva nirdharit karya kram me badlav karne ka socha hai jinme se Rajgarh ka Raaz aur Pari ki kahani bhi mukhya hai jiska purva nirdharit karya kram ke anusar ye ghatna Divya aur Saajan ke Pahle Janam ki story se sambandhit hai
Maine ab is ghatna ko Chapter 4 me liya hai…ab vaha par sirf saajan aur divya ki love story rahegi…aisa karna mujhe isliye avashyak mahsus hua kyon ki kahani me bahut se character’s aa gaye hain…kayi logo ki khwahish hai ki unke sath prem sambandho ki shuruwat abhi se kramshah ho jani chahiye
Dusra, ab kahani me kuch bahri duniya se jude adventures bhi ayenge....jaha supernatural powers ka use bhi hoga aur kayi jagah asmanjas ki sthiti aa sakti hai yaha par story ko samajhne me
Chaliye ek sarsari nazar kahani ke mukhya binduo par daal lete hain………
‘’SAAJAN’’
‘Saajan’ Ye Kahani Mukhya Roop se Teen Kirdaro je ird gird ghumti hai ya ye kah lijiye ki is kahani ke ye sabse main kirdar hain jinke aas paas poori kahani ghumegi
Aur ye kirdar hain…Saajan, Divya aur Pari......kintu in teen ke alawa aur bhi kayi character’s hain jinme sabse mahatvapurna hain Rajgarh aur Guru Maa….Shesh character’s apne apne samay kaal tak hi simit hain arthat unka jikra unke jivant hone ke samay me hi hoga
Teen main kirdaro ke alawa maine Rajgarh aur Gurumaa ka jikra bahut aham isliye kaha kyon ki Ye kahani hi Rajgarh se judi hai to jahir si baat hai ki jab Rajgarh ki sachchayi aur usse sambandhit aetihasik tathya nikal kar samne ayenge to kayi hairat angej Raaz ujagar honge
Isliye maine ye avlokan ka special update dene ka faisla kiya…..Guru maa ka naam maine isliye joda kyon ki poori kahani par unka apratyaksh roop me asar hai aur lagbhag har jagah ki ghatnao me unka jikra aata rahega…unka bahut bada yogdan hai kahani me
Ab aate hain story ke main character Saajan, Divya aur Pari par…..Ye kahani hai divya aur saajan ke anoothe sachche prem ki, unke is prem ke atoot vishwas ki, unke prem ke beech aayi har badhao ki…lekin in sab ke bavjud bhi kaal chakra ke in beraham thapedo se har baar alag ho jane ke baad bhi unka prem kayi sadiyo ke baad bhi aaj vaisa hi shashwat hai jaisa pahle tha
Kitni hi ghatnaye huyi unke sath, kitne hi zulm huye unke sath kintu unke prem me koi kami nahi aayi….kaha se shuru hua ye prem….?. kaise hua unka pratham milan….? Aisa kya ghatna ghatit huyi thi ki jisne in dono ke dilo me prem ki aisi vilakshan chingari sulga di….? Jo kaal chakra ke bhi bujhaye na bujh saki…vo janam par janam lete rahe… marte rahe parantu apne prem ko har janam me yathavat amar aur yaadgar banaye rakha
Saajan……koun hai ye saajan….? Kya hai saajan ka vastavik roop….? Kya hai saajan ka sach….? Kya ye kisi ka naam hai…? Ya phir koi code word…? Philhal ye to abhi tak raaz hai jiske bare me to khud divya bhi nahi janti ki saajan ka matlab hai kya…uske liye to vo uska saajan hai
Divya…..Jise saajan ke siwa dusra koi kaam hi nahi hai..saajan ke prem me purna samarpit..365 din me shayad hi koi aisa pal ho jab vo apne saajan ki yaado se bahar aati ho yaha tak ki sote samay me bhi vo apne saajan ke sapno me hi khoyi rahti hai…jise saajan par aisa atoot vishwas hai ki agar khud bhagwan bhi aakar usse kahe ki saajan me ye burayi hai to vo kabhi na vishwas kare unka bhi
Pari…..ye character bhi divya ke samkaksh hi hai saajan ke chahne walo me……ye bhi 365 din 24 ghante saajan ki yaado me hi rahti hai…koi pal aisa nahi jab iske dil me saajan ki chhavi na rahe….kintu divya ke opposite…jaha divya prem me andhi hai vahi pari nafrat me….uski isi nafrat ne is prem kahani ko sadiyo tak pahucha diya
Ab kahani me do aise character’s hain jinka jikra bahut jaruri hai…..unke bina is prem kahani ka koi astitva hi nahi rah jayega….Priyadarshini aur Raj
Priyadarshini…..priyadarshini ka prem bhi bahut vilakshan hai….sadiyo purana…jisne bina dekhe, bina kisi jankari ke hi prem kar baithi….divya aur priyadarshini dono ke saajan ke prati prem ki tulna kar pana bahut mushkil hai ki kiska prem adhik mahan hai….? Priyadarshini ko maine story ke sabse main character’s me shamil nahi kiya kyon ki kewal yahi ek aisi kirdar hai jiska sambandh Rajgarh se door door tak nahi hai lekin phir bhi sadiyo se saajan se judi huyi hai….isliye agar ise bhi ek main character mana liya jaye to isme koi atisanyokti nahi hogi…is chapter me priyadarshini ki prem kahani kaise aur kaha se shuru huyi..jaldi hi samne ayegi
Raj….jaisa ki naam hai Raj….ye apne naam ki tarah hi ek Raaz hai…..Jiske vishay me uski Guru Maa ke alawa koi bhi uski vastavikta se parichit nahi hai….isliye is kirdar ke sandarbh me kuch bhi bata pana sambhav nahi hai abhi jab tak ki koi Raaz ka khulasa na ho jaye….
Ye sab batane ka mera abhipray sirf itna hi hai ki ab agle chapter se Rajgarh ki kahani ayegi to kayi Raaz khulenge…..pahle ke pending suspense clear honge aur kayi naye suspense banenge….to jin readers ke mann me koi duvidha ho piche ke kisi suspense ko lekar ya koi update ki kisi varnit baat ko lekar to unki vo shanka door ho sake
Last me main ek baat aur bhi clear kar dena chahunga ki meri is kahani me supernatural power (dharti par janmit) kewal Main hero aur main villain ke alawa kisi ke bhi paas na to hai aur na hi hogi ….story ki starting se lekar Ending tak
Supernatural power ko maine bachcho ka jhunjhuna nahi banaya hai ki jise chaho shaktiya mil gayi….shaktiya koi khairat me ya bazar me milne wali vastu nahi jise har koi pa jaye….dost, bhai, bahan, maa, baap, biwi hone ka ye matlab nahi ki vo inse shaktiyo ko pane ke adhikari ho gaye
Kisi bhi cheez ki keemat tabhi tak hoti hai jab tak ki vo aur kahi aprapya ho….suraj ek hai..isliye uski value hai..agar vahi ek se adhik ho jaye to uski value ghat jayegi
Koi cheez agar ek hi jagah par milegi to uski keemat bahut hogi lekin agar vo aur bhi kahi par milne lage to keemat kam ho jayegi
Mai ye nahi kahta ki koi inhe hasil kar nahi sakta lekin koi rishto ke dum par inhe pane ka adhikari nahi ho sakta aur inhe pana namumkin to nahi par atyant dushkar karya jarur hota hai jo karoro arabo salo me koi ek hi kar pane ki kshamta rakhta hai
Kahani me Raj ke paas supernatural powers hain lekin vo use kisi daan ya koi khairat me nahi mili hain…..uske liye usne bahut badi kurbani di hai….kuch pane ke liye kabhi kabhi bahut kuch khona padta hai….. shaktiya tapobal se milti hain….sirf achcha nek insan hona hi kafi nahi hota uske liye….raj ne kitni moute mar kar inhe hasil kiya hai iski kahani baad me ayegi
Kahani me jo kisi bhi hathiyar ka asar raj ke sharir par nahi hota hai usme koi shaktiyo ka use nahi hai balki ye uski guru maa dwara karayi gayi adbhut behad kathor training ka parinam hai
Anyway maine sabhi ko bahut bore kar liya…..ab chalta hu Chapter * 4 ka Pahla Update Likhne
Main aap sabhi reader’s ka jinhone pratyaksh ya apratyaksh roop me is kahani ko itna maan samman diya uske liye main hriday se sabhi ka abhari hu…..Aap sab ke pyar aur sahyog ke parinam swaroop hi aaj ye kahani is mukam tak pahuchi hai
‘’Dhanyawad’’
Sahi kaha bhai ayr do dhari talwar sab se khatarnaak hoti hain aapke dushman ke sath sath aapke liye aur us ko saksham ki use jar sakta hain har ek ke bas ki baat nahi hainThanks for Reading & Supporting
Shukriya for Liking the Update
Stay tuned with the story
Pari ka character do dhari talwar ki tarah hai bhai
Today's Update is on Page.......615
Congrats bhai sabse pehlay chapter 4 ki starting aur woh bhi inti intresting ki maza aa gaya. Accha writer wo hota hai jo pathako ke demagh me beth jaye. Jaha update ki shurwaat payal ki ratna ke syncronization se kiya wahi mirnal ki masti phir aapne paridhi ke maut se emotional kar diya lekin sath me kuch yukti bhi dekhayi aur uske baad veer ka gudgudane wala portion haste haste lotpot kar diya aur aakhir me mystery pe khatam kia wow maza aa gaya.SAAJAN
CHAPTER # 4 (Update-1)
STORY UPDATE-155
Ratna ka Payal me vilay ho jane ke pashchat hum mahal chale gaye….jaha pahuch kar payal didi ko sab kuch purva janam se sambandhit baate yaad aa gayi
Payal (nam ankho se)—minakshi aur vaishali dono bechari us bhayanak aag me jal kar mar gayi….kitna tadpi thi vo dono aag me jalte huye
Raj—unka bhi punar janam ho chuka hai
Payal (shock)—kyaaaa….? Kaha hain vo dono….mujhe unse milna hai….mujhe le chalo na dono ke paas
Divya—aap unse mil chuki ho didi…vo anginat baar
Payal (hairani se)—mai dono se mil chuki huuuuuu…….? Par kab....kaha..... ?
Raj—apne dimag par jor dalo darling...sab dhyan aa jayega
Payal (ankhe band kar sochte huye)—main mil chuki hu.......vaishali aur minakshi....se kaha.....kaha.....kaha......kaha.... OMG....matlab Paridhi.....apni Paridhi hi Minakshi hai
Divya—haan....minakshi ne paridhi didi ke roop me janam liya hai
Payal—aur vaishali...... ?
Divya—chanchal ke roop me
Payal (full shocked)—kyaaaaaaaa....... ?..use to main jinda nahi chhodungi….usne hamare saajan ko maarne ki koshish ki hai…mai usko kabhi maf nahi karungi…dhokhebaz hai vo
Divya—vo hamari sagi badi bahan hai
Payal ko jhatke par jhatke lag rahe the…..divya ke is jawab ne payal ko bahut adhik hairani me daal diya…usne raj ki taraf confirm karne ke liye apna rukh kiya lekin raj to kahi aur hi khoya hua tha
Payal—raj tum kuch bolte kyo nahi…bhala chanchal hamari bahan kaise ho sakti hai….? Hum to kewal teen hi hain…mere aur divya ke alawa ruchi didi hi hamari bahan hain sagi
Divya—darasal baat aisi hai ki chanchal ko bachpan me hi janam ke samay hospital se agwa kar loya gaya tha…jo maa ya kisi ko malum hi nahi hai vo to aaj bhi yahi samajhti hain ki unhe mari huyi aulad paida huyi thi…vo apharan ki huyi ladki hi chanchal hai
Payal (shocked)—kyaaaaa…..? kisne kiya itna neech kaam ….? Kamini ne….? ha wohi ho sakti hai….kya chanchal ye janti hai…..?
Divya ne is baar koi jawab nahi diya to payal ne phir se apna dhyan raj ki oor diya to raj ko abhi bhi gahri soch me paya…ye dekh uske mathe par chinta ki lakire ubhar aayi
Payal (chintit hote huye)—kya baat hai…..? tum inta chintit kyo ho….? Batao mujhe….tumne itna sab kuch mujhse chhupaya….kyo……? bolo na…kya baat hai…..?
Raj (udas hokar)—ab hame jaldi se ghar chalna chahiye…..yaha ka kaam ho gaya hai….baki baate baad me karenge
Payal (pareshan)—tu jarur mujhse kuch chhupa raha hai…..? dekh mai sab kuch dekh sakti hu lekin tujhe yu udas nahi dekh sakti main….tujhe meri kasam …bata na kya baat hai……?
Raj—abhi mera ghar jana jaruri hai….nahi to bahut der ho jayegi
Payal—dekh mera dil bahut ghabra raha hai….
Raj—mai hu na….phir ghabrane ki kya baat hai
Payal—to phir tune aisa kyo kaha…..?
Vidhi—ha…saajan batao na kya baat hai….?
Raj—mai apko sab bata dunga….aur vaise bhi yaha to abhi aana hi hai…do din baad hum phir se yaha aayenge aur yaha ke rajya ka kaam kaaj nirdharit karenge…par tab tak aap kisi ko kuch nahi bataogi
Payal—theek hai
Raj—unicorn…chalo
Unicorn—ji malik
Phir hum charo ko unicorn ne vahi lakar chhoda jaha se hum us jagah gaye the….maine unicorn ko gayab kar diya aur apni gadi lekar hum ghar ke liye nikal gaye
Ghar pahuchte hi dekha ki Priyadarshini aur Mrinal ghar ke bahar road par khadi hain….unhe bahar dekh kar maine gadi rok di…..unki nazar bhi jaise hi mujh par padi to dono bhag kar hamari taraf aa gayi
Raj—tum dono yaha bahar kya kar rahi ho…….?
Mrinal—vo gharwalo ne hame ghar se nikal diya……kaha ki hum yaha se kahi aur chale jaye
Raj—ghar se nikal diya matlab...kyo..... ?
Mrinal—pata nahi..kyo...... ? maine to bhalayi karne ki sochi lekin yaha to bhalayi karne ka zamana hi nahi hai
Raj—chalo andar main dekhta hu kya baat hai
Mrinal (khush hokar)—tanku…..nahi…thank you……ab theek bola na maine
Raj—ha…bilkul theek….aa jao andar
Mrinal—chal sakhi andar chale
Main gadi lekar compound wall ke andar chala gaya dono ko andar aane ka bol….lekin jaise hi dono andar ghusne ko huyi to security guard ne unhe rok diya
Guard—ye tum dono andar kaha chali aa rahi ho…abhi dono ko bahar nikala tha na…samajh nahi aaya
Mrinal—jyada chapad chapad ki na to tera huliya aisa bigadungi ki ghar jate hi teri lugayi tujhe gali ka awara kutta samajh ke chappal se pitegi..samajh gaya…chal kinare ho….
Raj (dono ko gate me khade dekh)—kya hua…..?
Guard—sahab in dono ko badi malkin ne bahar nikalne ko kaha hai…..ye badi hi badtamiz ladki hai
Raj—theek hai aane do unko andar…mai dekhta hu
Guard—ji sahab…jao andar dono
Mrinal—kisi din tere baal gayab karke tujhe ganja kar dungi….phir lakdi se tera takla bajaungi
Guard—badi hi badtamiz hai
Priyadarshini—mrinal chal andar
Hum sab andar aa gaye…neha chachi mujhe dekh kar vaha aa gayi….lekin jab unhone mrinal aur priyadarshini ko vaha andar dekha to unke tewar badal gaye to vidhi ko dekh chounk gayi
Neha—tum dono phir se andar kaise aayi niklo bahar turant
Raj—unhe maine andar bulaya hai chachi
Neha—par beta...tujhe malum nahi ki isne kya kiya hai.... ? tabhi to didi ne bahar kiya in dono ko
Raj—maa ne …par kyo….?
Neha—vo isliye kyon ki.....(phir chachi ne mujhe poori baat batayi) isliye didi ne bahar jane ko kaha dono ko
Neha chachi ki baat sun kar mujhe behad hasi aayi lekin maine badi mushkil se khud ko roka par payal didi aur divya to has has ke lotpot ho gayi
Raj—achcha to ye baat hai…..mrinal kyo kiya tumne aisa….? Bhala itna bada injection bhi koi insano ke lagata hai vo to mar hi jayega na aise me…bolo
Mrinal—vo maine socha ki aise me vo mami jaldi theek ho jayengi….mujhe maf kar do ek baar…aage se aisi galti nahi karungi…..priyadarshini ne koi galti nahi ki hai vo to bechari bahut sidhi hai….use kuch mat kahna vo nirdosh hai… hame yaha se mat nikalo
Raj—theek hai…jao apne kamre me jao…..agar kahi koi baat samajh me na aaye to mujh se puch lena pahle baad me kuch karna
Mrinal—samajh gayi
Neha—ye ladki koun hai raj…..?
Payal—chachi ye meri friend vidhi hai.....kuch din ye mere hi sath yaha rahegi
Neha—theek hai…aao beti..ise apna hi ghar samjho
Vidhi (pair chhukar)—ji apka bahut bahut shukriya
Neha—badi hi sushil ladki hai….isse kuch sikh mrinal tu
Mrinal—ha…ha…mai bahut kuch sikh chuki hu…aur bhi sikh jaungi jaldi hi…..mera dimag bahut tez hai…..jaldi sikh jati hu main
Mai vaha se uth kar maa ke room me chala gaya…mujhe dekhte hi khush ho gayi…maine unke gale lag kar unhe dono ko yaha rokne ka bata diya
Mamta—priyadarshini vo to bahut nek aur sidhi hai par vo mrinal badi ajib aur chalu hai…khair chal koi baat nahi tune kuch soch kar hi unhe rakha hoga
Raj—veer kaha gaya….?
Mamta—aur kaha..maine use hospital bheja jaldi se…uske piche itna bada injection thoons diya us ladki ne
Raj—kuch nahi main samjha dunga usko bhi…aap tension mat lo
Ruchi—betu aa gaya...... ? kaha rah gaya tha...jo itna time laga diya
Raj—bas didi thoda time lag gaya...achchha maa mai veer ko dekh kar aata hu
Neha—abhi aaya aur phir chal diya
Mamta—theek hai...jaldi aana
Raj—ok...my sweet maa
Mai turant vaha se nikal kar saloni ke paas chala gaya……mujhe dekhte hi uski ankho me anshoo aa gaye…vo mere pairo me gir padi
Saloni (rote huye)—mujhe maf kar do……mai tumhari amanat nahi sambhal payi
Raj—paridhi didi kaha hain..... ?
Saloni (rote huye)—maine bahut koshish ki tumhe contact karne ki lekin tumse koi sampark hi nahi ho paya
Raj—paridhi didi kaha hain..... ?
Saloni (rote huye)—tumhare jane ke baad uski tabiyat achanak se bahut jyada bigad gayi....meri to kuch samajh me hi nahi aaya ki achanak se aise kaise ho gaya...maine bahut koshish ki....
Raj (jor se)—maine tumse pucha ki paridhi didi kaha hain..... ? apni ramayan baad me sunana mujhe samjhi
Saloni (rote huye)—mai paridhi ko nahi bacha payi......she is no more.....hum sab ko chhod kar vo is duniya se chali gayi...she has dead now
Raj (jor se)—shut up…..bakwas band karo apni……aisa nahi ho sakta….mujhe unke paas le chalo
Saloni rote huye mujhe paridhi didi ki dead body ke paas le gayi jo safed kapde se dhaki huyi thi….maine ek jhatke me kampte hatho se unke chehre par se kapda khich ke dur phek diya aur dhadam se niche baith gaya…meri ankho me pani aa gaya unka masum chehra dekhte hi
Raj (nam ankho se)—nahi aisa nahi ho sakta…..aap mujhe chhod kar nahi ja sakti….main aap ko marne nahi dunga
Saloni (rote huye)—apne akhiri samay me bhi vo tumhara hi naam le rahi thi……aisa lag raha tha jaise ki vo kuch tumse kahna chahti thi magar gale se awaz hi bahar nahi nikal rahi thi uski sirf Raj tumhara naam bhar nikal raha tha
Main unki body se lipat kar rone laga…..mujhe kuch samajh hi nahi aa raha tha ki main kya karu…..mujhe aaj apni duniya veeran si lagne lagi thi paridhi didi ke chale jane se
Main unse lipat ke ro hi raha tha…meri ankho ke aage ghor andhakar chha gaya aur main us andhakar me dubne laga ki tabhi kisi ne mera hath thaam liya aur meri ankho ke samne chhaya andhera gayab ho gaya
Main turant rona band kar ke uth khada hua….jaise ki mujhe kuch achanak se yaad aa gaya ho kuch bahut hi avashyak…….aur body ko phir se usi safed kapde se dhak diya…..saloni mere rote rote achanak chup ho jane se hairan hokar mujhe dekhne lagi
Raj—is body ka vishesh khyal rakhna…kuch hona nahi chahiye is body ko
Saloni (sisakte huye)—lekin dead body ko jyada din tak rakhna theek nahi hai…..ashubh hota hai
Raj—aap kya ye body sambhal kar rakh sakti hain ya nahi…..haan ya na…..?
Saloni—kitne din……?
Raj—jab tak main kuch na kahu tab tak….
Saloni—ho jayega
Raj—ye baat is band kamre se bahar nahi jani chahiye
Saloni—nahi jayegi
Raj—theek hai mai chalta hu abhi.....jaldi hi loutunga mera intazar karna aur alert rahna har samay
Saloni—don’t worry….body tumhe sahi salamat milegi jab bhi vapis aaoge
Raj—ok…thanks
Mai vaha se nikal sidhe hospital veer se milne chala gaya…..jaha mujhe dekh kar pahle to bahut khush hua phir bhadak gaya
Veer—pahle ye bata mujhe ki tu is mrinal ko koun se chidiya ghar se pakad kar laya hai….Sali adivasi kahi ki
Raj (haste huye)—arey yaar bechari bahut dukhi thi dono….isliye le aaya
Veer—dukhi vo nahi thi….dukhi to main ho gaya hu uske karan…ab to ghar jane me bhi darr lagne laga hai
Raj—mai samjha dunga usko
Veer—vo tujhe hi ulta pahada padha degi…..pata hai subah kahti hai ki mujhe boor zara ki picture dikhao aur upar se mujhe kahti hai…..ki balatkari mutra fuck chal raha hai….usse bach ke ghar se bhag gya main….abhi dubara gaya to pichhwade me ballam size ka injection ghused diya usne…aur tujhe hasi aa rahi hai meri halat par taras aane ki jagah
Raj (haste huye)—hasi na aaye to kya karu….baat hi aisi hai…..balatkari mutra…..hahaha…kya naam diya hai mrinal ne… main to soch raha hu ki teri shadi karwa du mrinal se
Veer—tera muh tod dunga main dubara aisa sochna bhi mat……vo suhagrat me hi mujhe patak patak ke nipta degi ki kuch karne layak hi nahi rah jaunga kabhi
Raj—khair chinta mat kar….main use handle kar lunga…ab chal ghar ki yahi pada rahega
Veer—ab na jata ghar jab tak vo bhutni vaha hai uska koi bharosa nahi…mere to piche hi pad gayi hai ..pata nahi abki baar kya kar de mere sath
Raj—kuch nahi hoga…chal uth jaldi se
Veer—teri jimmedari par ghar chal raha hu...dekh lena....warna kabhi na jata ab ghar uske vaha rahte
Phir mai aur veer ghar aa gaye....main sab se mila...payal didi ne vidhi ko sabse apni friend batakar milwa diya tha jisse meri ek tension kam ho gayi thi
Raat me sabne sath me dinner kiya.....uske baad sone chale gaye.....mai aaj maa ke sath sone chala gaya....vidhi ko payal didi ne apne kamre me rok liya
Sabke so jane ke baad main chupke se uth kar paridhi didi ke room me chala gaya....secret locker khol kar ek baar phir se uski talashi li
Vaha rakhi diary ko maine ek baar phir se dhyan se padha aur us locket ko dhyan se dekhne laga…..kuch der tak dekhne ke baad maine dono cheeze yathavat rakh di aur locker band kar diya
Phir maine paridhi didi ke bed ki chhanbeen shuru ki……unke pillow kww niche wale bhag ko achchi tarah se dekhne laga….maine use cheer kar vaha rakhi vo cheez bahar nikal li
Jaise hi maine use dekha to meri hairani ki koi seema na rahi…..ab mujhe sara khel aur khiladi ke bare me samajh me aane laga tha
Raj (shocked)—ohhhhh……to ye baat hai…..ab dekho main kaise tumhara khel bigadta hu……itna bada dhokha diya tumne mujhe…akhir kyo….? Kya bigada hai maine tumhara…..?