• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Status
Not open for further replies.

Silent_Reader

Active Member
795
2,277
123
Hi This is silent reader, not so silent anymore.

Disclaimer: YEH EK INTER-FAITH STORY HAI JISKO YE PASAND NAHI VO YE NA PADHE, AAPKO FORCE NAHI KIYA JA RAHA. ISME AANE VALE CHARACTER KE NAAM YA VYAKTITVA KA JINDA YA MURDA LOGO SE KOI RELATION NAHI HAI. YE BAS EK COINCIDENCE HO SAKTA HAI AUR KUCH NAHI. STORY EK PARALLEL UNIVERSE ME CHAL RAHI HE TO ENTERTAINMENT KI TARAH LIJIYE GA. MOST IMPORTANTLY STORY MERE HISAB SE CHALEGI.


PLEASE TAKE NOTE OF THIS DISCLAIMER. The_Punisher, The Immortal and other moderators
 
Last edited:

Silent_Reader

Active Member
795
2,277
123
RE – LIFE

UPDATE 1

Saal 2043,

Hi, mera naam Krunal hai. Age 40. Mujhe mere karibi Kunal bhi kehte hai. Nikah nahi hua hai abhi bhi. Meri life ke bahot sare regrets hai. Kuchh ammijaan ko lekar, kuch charo humshera ko lekar aur baki apni abhi tak ki jindgi ko lekar. Ek building ke top floor pe boundary ke upar betha hu, ek haath me family photo liye aur dusre haath se aasu saaf karte hue.

Apko lagega jab mera naam Krunal hai to chize urdu me kyu likha hai? kya karu aadat ho gai hai.

Baat darasal ye hai ki 39 saal pehle saal 2004 me, mai ammi ko mila tha adoption center se. Ammi adoption center me abbu ke saath baccha adopt karne aayi thi, kyo ki 3 betiya hone ke baad bhi vajah se abba ko beta chahiye tha. Unhone to dusre nikaah ka bhi soch liya tha. Par jab doctor ki jaanib se pata chala ki problem unme hai jiski vajah se baat nahi ban rahi thi (pata nahi kaunsa chutiya doctor tha) to abba ne adoption ka socha aakhri raste ke taur par jo ki doctor ne hi unhe suggest kiya.

Us doctor ke recommandation Par wo yaha is adoption-center/dormitory me aye jaha par jyadatar "X" sect ke bacche hi hote the. Yaha unhone register karvaya. Fir bahot intzaar ke baad unka number laga.


Us time pe adoption ke kanoon alag the to parents baccha select nahi kar sakte the, agar aapka number laga to fir vo log jo baccha kahenge vo aapko adopt karna hota tha. Abba ne paise khila ke ye to karva liya ki unhe ladka hi mile par vo director isse saaf mana kar diya ki unhe unki pasand ka bachha adopt karne ko mile. Abba ne socha ki koi nahi beta to milega. Kyo ki 1 saal pehle chhoti behn peda hone ke baad abbu ammijaan se dur hi rahte the, pyaar to vo vaise bhi nahi karte the lakin uske baad vo sote bhi alag the.

Ammi aur abbu aaye, director ne unse kuch guftgu ki uske baad mujhe vaha laya gaya.

Director: ye hai vo bachha jo aap adopt karenge.

Abba dekh ke khush ho gye. Fir director bola


Director: hota to niyam se yahi hai par ye thode din pahle hi laya gaya hai iske parents ki death ho gai hai aur koi relative nahi hai. Isko sabse jyada jaroorat hai abhi family ki, isliye ise pahle rakha gaya hai list me.

Ammi: Jindgi kya se kya kar deti hai, chote bachhe ko bhi nahi chhodti. Vaise ye dekho to kitna khubsurat bachha hai.

Abba: Kab paida hua tha ye?

Director: **/**/2003, 11:45.

Ammi: (ye sunte hi khush ho gayi) ye to gajab ho gaya hamari chhoti beti ka bhi yahi aur time bhi 11:45.

Abba: sab ola ka karam hai usne mujhe vahi time pe paida hua ladka de k us manhoos time ko achha bana diya.

Iske baad director ne unhe mujhe ghar leja ne ko kaha aur kaha ki 2 din baad saara peperwork hojayega.

Abba mujhe vaha se lekar ghar aaye aur mere saath time bitane lage, ammi bhi meri har chiz ka dyan rakhti khud ki beti se bhi jyada.

Pata nahi kyo lekin ammi ko mujhse bahot jyada lagav ho gaya in do dino me. Abba bhi ammi ke thida nazdik aane lage. Aise hi 3 din gujar gye.


Fir aaya vo din, vo dukh se bhara din, jisne hamari jindgi badal di.
Usdin abbu ammi aur mujhe lekar pahunche adoption center.

Director: aaiye aaiye, baithe yaha.

Abba: ji sir. Hum vo kagaj kaam niptane aaye hai.

Director: haan haan kyo nahi, abhi sab ho jayega. (Unhone peon ko bulvaya aur vo sab kagaj le ke aaya)

Director: sab padh lijiye aur phir yaha par sign karna hai aapko, itna yaad rakhna ki sign ke baad pichhe nahi hat sakte. Kuch taklif ho to abhi hi bol dena.

Abba: (dimag me) mujhe to padhna bhi nahi aata lekin agar me inko bataya to ye sab bolne me bahot time lagega, vaise bhi hame to ye bachha chahiye hi, sidha sign hi kardeta hu, ye kaun sa dastavej hai….

Abba ke sign karne ke baad director ne unhe sukriya kaha bachha adopt karne k liye kyoki ye chize popular nahi thi us vakht.

Abba: (ammi se) ek achha sa naam socha he maine iske liye.

Abhi ammi kuch bolti usse pahle,
Director: ye kya keh rahe hai aap?

Abba: kya matlab? Naam to rakhna hi padega na


Director: mera matlab hai iska already naam hai. Aap ne papers nahi padhe kya? Aap iska naam nahi badal sakte iske 18 saal ka hone tak.

Abba: (kuch soch kar, gusse ko kabu karte hue) think hai, koi baat nahi. Ise sab sikhaunga duniya ke bare me aur sect ke bare me, sari talim mai khud dunga ise. Achhe se padhaunga bhi ise. Vaise kya naam hai iska Ali jaisa shandar ya kuchh or?

Director: lagta he aapne bina kuch padhe hi sign kiya hai. Ise aap apni sect ki talim de lekin aapko ise iske sect ki talim bhi deni hogi. 18 ka hone par ye khud chunega ki ise apna naam ya sect badalna hai ya nahi.


Abba: (jor se) kya matlab hai aapka? Ye "X" sect ka nahi hai?


Director: Nahi, iska sect ka naam Z hai aur iska naam KRUNAL hai.


Abbu ke to tote ud gaye.


Ammi bhi thodi der shocked ho gayi par fir unhone mera chehra dekha aur kuchh socha,

Thodi der baad dhire se himmat karke boli,

Ammi: to kya hua, hai to ab hamara bachha hi na, kya fark padta hai.

Director: ha. Aap ise sab talim dijiye agar use aapki talim achhi lagi to vo bada hokar apna naam aur sect badal hi lega.

Abbu jo kab se chup the vo ammi ki aur dekhe aur ek jordar tamacha jad diya jiski vajah se mai ammi ke hath se girne hi vala tha. Ammi ne jaise taise mujhe bachaya for apne aap ko sambhala. Unka gaal laal ho gaya aur suj gaya. Aur bole tuje bolne ko kisne kaha hai? tujhe to me ghar par batata hu,

Fir abba tezi se ghume aur director ko bhi tamacha jad diye,

Abba: hame dusra bachha chahiye abhi ke abhi, ek dusre sect vale ke bachhe ko me apna bachha nahi man sakta kabhi, ye mumkin hi nahi.

Director is achanak hamle se jaise hi sambhala usne waha kaam karne valo ki madad se abbu ko mara aur police ko bulvaya. Thodi der baad police aayi aur unhe le gai. Unpar assault case aur domestic abuse case lag gaya kyo ki vaha par moujud sab log ne unke khilaf bayan diye.


Ammi to police ke abbu ko lejane se hi shock me thi upar se do tin chize aur jod di gayi to Unko to samaj me hi nahi aa raha tha ki ye sab kya ho gaya. Lekin jab unke dimaag me sab process ho gaya tab unhone apne shohar ko in Sab se bahar nikaal ne ki sochi.


Jaise hi vo police station jane vali thi,

Director: agar aap ise chhudane ki soch rahi hai to mat kijiye. Kyoki jaise usne haath uthaya tha aap par usse lagta hai ye pehli baar nahi hai. Aise logon ko to jail me hi rahne dena chahiye par mujhe pata hai aap ye nahi chahenge to thoda time use jail ki hawa khane de fir Chahe to 2-3 mahine ke baad chhudva lena.


Ammi is baat se soch me pad gai kyo ki director ki baat sahi thi, ye pahli baar nahi tha. Kai baar hua hai aur har baar ghar me belt, danda, kichen ki chize, jo haath me aata tha usse pitayi hoti thi. Chhoti chhoti bato me pitayi hoti thi. Isliye unhe director ki baat sahi lagi ki agar abbu ko thode din havalat me rakhha jaye to kuch sudhar hoga shayad. Aur kuch sochne ka vakht milega.


Ammi aur mujh ko director ke vaha ki kaam karne vali ladkiya ghar tak chhod gai.

Phir ammi ne apna Dhyan ghar ke kaam me aur dono bhjai bahen ki dekhbhal me lagaya. Aise hi tin mahine gujar gaye.


Ammi ki jindgi itni shanti vali kabhi nahi thi


3 mahine baad

Jab ammi ko laga ki ab 3 mahine ho gaye hai to abbu ko chhudane jana chahiye to vo chali police station ki taraf.

Jaise hi vo station ke bahar pahuchi vaha ka mahol bahut hi darane vala tha kyo ki vaha abhi abhi firing hui thi, 3-4 police vale ghayal the aur ek insaan adhmara pada tha aur 2 lashe padi hai thi.


Wo dono lash....
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top