• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running (restart)

Kya mujhe story restart kerni chahiye

  • Ha bilkul

    Votes: 63 88.7%
  • Ni , rahane do

    Votes: 8 11.3%

  • Total voters
    71

Harry rocks

Well-Known Member
7,286
19,040
189
Update no :- 103
Flashback.

Jyoti ne jab apni bhai ko khone k dukh me khai m chalang lagayi to usne ankhe band ker li thi .

Wo us pal ka intezaar ker rahi thi jab ye nashvar sharir tyag wo apni aatma roop me apne bhai k pass pahunchegi .

Tabhi jyoti ne ahasas kiya ki wo kisi chij se takrayi to h , lekin wo jo kuch bhi h wo bahut hi soft h or usko dard ka rati bhar bhi aahasas na hua, jiska matlab saaf tha ki wo jamin se ni takrayi , per kese

Jyoti ne jab ankh kholi to wo us mulayam chij p pet k bal giri hui thi or usne jese hi ankh kholi to uski ankho me khushi or dard dono k ansu aagaye.

Kyunki uski ankho k samne karan ka sharir tha khun se lathpath, lekin tabhi jo hua usko dekh jyoti ko bahut herani hui .

Karan k ghav apne aap achanak se bhar gaye or jyoti ko karan se apne us connection ka ahasas bhi apne aap hone laga.

Jyoti abhi tak wese hi pet k bal ulti leti hui thi , usne abhi tak apne aas pas ni dekha tha ki wo or uska bhai gira kaha h.

Tabhi jyoti ne dekha ki wo kisi k vishal hath ki hatheli me h apne bhai k sath.

Jise dekh jyoti jhat se uthi or ye dekhne k liye jese hi mudi ki wo hath kiska h to jo usne dekha usko apne ankho pe yakin na hua .

Uski khushi ki koi sima ni thi , or jo uski ankho me sukun or dil me aanad tha , usko shabdo me varnan kerna hi asambhav h.

Kyuki jyoti ne paya ki samne vishal roop dharan kiye swayam sakshat devadhidev mahadev khade h or wo or karan abhi unhike hatho me surakshit h

Ha dosto bhakt sankat me ho or bhagwan na aaye esa ho sakta h , karan or jyoti apni pariksha me tab hi uttirn ho chuke the , jab jyoti waha pahunch gayi thi

Isliye jab mahadev ne dekha ki unke bhakt sankat me h to wo turant khai me apne vishal roop k sath prakat hue

Wese to isme koi bhi herani ki baat ni h kyunki ek bhakt k liye bhagwan ka doda aana koi aam baat ni h , jese shri hari prahalad k liye aaye the , gajendra ko chudane to shri hari pedal dode aaye the, or mahadev ne to apne bhakt markandey k liye yamraaj ko bhi bhaga diya tha.

Usi prakar aaj apne bhakt ki raksha kerne ko swayam mahadev ek baar dharti pe utar aaye the.

Mahadev ka tej us samay itna jyada tha ki karodo surya bhi unke aage kuch bhi ni the , ek hath me trishul , to dusre hatho me unhone apne bhakto ko thama hua tha.

Mastak pe vibhuti , ankho me appar prem , kanth har or keshsaja jinki sabse bhin thi , wo mahadev swayam waha upasthit the.

Jyoti k muh se khushi k mare bas itna hi nikal saka.

Jyoti :- mahadev....

Fir mahadev ki shakti se jyoti gahari nind me chali gayi , fir mahakal ne apni maya dikhayi or pure sansar se uski bhi jivan urja ko chupa diya , jyoti pe ek kavach bana ker jesa ki unhone karan pe bana diya tha , usko girne se bachane k samay. Isliye to jyoti ka karan se connection tutne ka aahas hua .

Esa mahadev ne isliye kiya tha ki vp ko or baki sab ko esa hi lage ki karan or jyoti ni rahe or wesa hua bhi.

Per wo dusht bhul gaye , jiske sir or swayam mahakal ka hath h , uska kaal bhala kya bigad sakta h , uper se ek or reason or bhi tha , jo aage pata chalega.

Itne me shani dev bhi vaha pahunch gaye .

Mahadev :- putra shani ! Is samay jo mane kiya h , wo karan or jyoti ki suraksha or unke agle padav k liye agrasar hone k liye aavashyak h , isliye is samay m inhe kailash me leker ja raha hu , taki jo inke hriday or mastisk me apno dwara kiye gaye vishwas ghat ki pida pahunchi h , uska pida ka upchar keval kailash ka pavitra vatavaran hi h.

Shani dev :- jesa aapko uchit lage gurudev .

Mahadev :- tum jante hi ho putra , ab tumhe kya kerna h.

Shani dev :- ji prabhu.

Fir mahadev vaha se antardyan ho gaye or fir shani dev ne apni maya dikha , waha karan or jyoti ki lashe bana di .

Jo agle din ranvir ko mili , shani dev jante the ki ek na ek din karan or jyoti yaha wapas jarur lotenge, to unpe bahut se sawalo khade ho jayenge .

Isliye hi unhone hi us ambulance ka accident kerwa diya , jisme karan or jyoti ki duplicate lashe thi.

Wahi dusri or

Mahadev jese hi kailash pe pahunche , to devi chaya jo wahi pratiksha ker rahi thi mahadev k lotne ka , karan or jyoti ko yu behosh dekh ker devi chaya ka hriday kamp utha.

Mahadev ne karan or jyoti ko ek kaksh me leta diya, tabhi devi chaya karan or jyoti k pass dodi or unko sambhalne lagi , unki ankho se nirantar ashru dhara bah rahi thi.

Devi chaya :- hey mahadev , hey prabhu ,in masumo ne aaj tak kisi ka ahit kerna ka socha tak ni , sadev dharm ke path pe chalte hue jan kalyan kiya, fir inke sath esa kyu prabhu , jinhone apna sampurn jivan dusro ke bhale k liye jiya , unhike sath esa anyay kyu bhagwan

Mahadev :- putri chaya , ye samay ashru bahane ka ni , balki khush hone ka h , aapke ye dono ansh aaj apni jivan ki ab tak ki sabse badi or kathin pariksha me uttirn hue h.

Devi chaya :- parantu prabhu , jo thes or pida inke hriday ko pahunchi h is ghatnakram k doran , uska kya mahadev.

Mahadev :- devi , ye to inki niyati h , sansaar me jise aahe chal k sabka nyay kerna h , unhe anyay to sahane hi padte h or ye baat bhala apse behtar or kon samjh sakta h.

Devi chaya :- ab mere liye kya aagya h prabhu.

Mahadev :- karan or jyoti ko purntah mansik roop se swasth hone k liye vishram ki avashyakta h devi , isliye aj se ek saptah tak ye hamari maya k kaaran yognindra me hi rahenge.

Uske paschat aap inhe shani lok le jaa sakti h, kyunki prathvi per inka abhi lotna uchit na hoga.

Devi chaya :- jo aagaya bhagwan.

Fir yuhi ek hafta bit gaya , or 8ve din karan or jyoti ek sath chinkte hue uthe.

Karan :- jyotiiiii

Jyoti :-. Bhai.

Jese hi karan ki najar jyoti pe or jyoti ki najar karan pe padi to unka reaction wo tha jese sadiyo k pyase ko amrit mil gaya ho .

Dono ek shan ki bhi deri lagaye bina ek dusre ki baho me sama gaye or karan ne jyoti k chahare ko chum chum k gila ker diya.

Karan :- m bata ni sakta gudiya , tujhe apne pass dekh k m kitna khus hu , m janta tha ki ek bAar surya roshni dena chod sakta h , per meri gudiya mera sath ni chod sakti.

Gudiya m bhi tumhe apni dil ki baat aaj kahana chahata hu , I love u gudiya , m tujhe kis had tak chahata hu , uski sima ka varnan shabdo me batana asambhav h.

Jyoti:- I love u toooo bhai ,m to kabse aapko is baat ka ahasas kerwa rahi thi , lekin aap the ki samjhte hi ni.

Karan :- meri jaan , tu kuch kahana chahe m na samjhu esa kabhi ho sakta h , lekin is samaaj ka kya , jinki najar me hamara ye pavitra rishta paap h , wo hume kadapi ni swikarega.

Jyoti thode gusse :- kis samaj ki baat ker rahe ho bhai , us matlabi smaaj ki , jinhone hume dukh or kast k alawa kuch na diya , ya us saamaj ki jinme wo rahate h , jinke liye humne itna kuch kiya, fir bhi aaj unhe hum jiye ya mare uski parwah ni, ya un rishto ki jinko itna prem dene k bavjood bhi aap per itna bada kalank lagaya.

Mujhe koi parwah ni h us swarthi samaaj ki bhai , jo keval apne matlab k liye kisi ko bhi apna or matlab khatam hone k baad paraya ker deta h.

Bhai aap ek baar ha to kahiye , aapki ye gudiya , aapke prem or sath k liye aapki jyoti pure sansaar k liye ladne ko teyar h.

Yahi hamari niyati h bhai , hum dono ek dusre k liye hi bane h.

Tabhi unko piche se devi chaya ki aawaz aati h

Devi chaya :- jyoti ne bilkul uchit kaha putra

Devi chaya ko dekh karan or jyoti ko herani or khushi dono hoti h, kyunki un dono ko devi chaya se milne pe wesa hi ahasas hota , jesa unhe jab hota tha,jab vo apni maa k sath hote the.

Karan or jyoti :- pranam mata.

Devi chaya dono ko gale se lagake ,

Devi chaya :- jite raho mere bacho.

Karan :- mata aap yu achanak , yaha kese.

Devi chaya pyar se karan k gal khichte hue.

Devi chaya :- kyu kya m apne bacho se bina ki kaaran milne ni aasakti or vese bhi kya abhi tumne dhyan ni diya tum kaha ho.

Chaya ki baat sunte hi karan or jyoti ko is baat ka dhyan aaya , wo dono ek dusre me itna khoye hue the ki unhe dhyan hi ni raha wo kaha h or yaha kese pahunche.

Unhone dekha wo bahut sunder kaksh , ek bade se palang pe bethe hue the , or pura kaksh barf se bana tha , lekin karan or jyoti ko jara si bhi thand ni lag rahi thi.

Karan :- mata ye hum kaha h or hum to waha ladayi k doran ghayal ho gaye the , fir yaha kese .

Jyoti ko bhi tabhi vo seen yaad aajata h , jab mahadev ko usne dekha tha.

Jyoti :- mata jo mane us samay dekha tha vo satya tha , ya keval matra mera brham

Chaya :- ni putri , wo tumhara brahm ni , apitu wo satya jise kadapi nakara ni ja sakta , ha putri tumhari yani ki apne priya bhakto ki raksha k liye swayam mahadev dharti pe prakat hue the or is samay tum or kahi ni , swayam mahadev ki pawan nagri kailash me ho.

Karan or jyoti ne jese hi ye suna unki khushi ki koi sima hi ni rahi or unhone jhat se palang se uter apne mastak ko jamin se laga us pavitra bhumi ko pranam kiya.

Tabhi ek tej prakash k sath waha mahadev prakat hue.

Jinhe dekh karan or jyoti k aanad ki sima na , rahi aaj unke samne sakshat parmeshwar jo khade the , jinki jhalak k liye bade bade rishi muni karodo saal tapasya kerte h , aaj wo sadashiv unke saamne sakshat khade the , unki ankho se to harsh k mare ansu bahane lage.

Karan or jyoti ne mahadev ki fir is prakar se stuti ki.

नमामीशमीशान निर्वाणरूपं
विभुं व्यापकं ब्रह्मवेदस्वरूपम् ।
निजं निर्गुणं निर्विकल्पं निरीहं
चिदाकाशमाकाशवासं भजेऽहम् ॥ १॥

निराकारमोंकारमूलं तुरीयं
गिरा ज्ञान गोतीतमीशं गिरीशम् ।
करालं महाकाल कालं कृपालं
गुणागार संसारपारं नतोऽहम् ॥ २॥

तुषाराद्रि संकाश गौरं गंभीरं
मनोभूत कोटिप्रभा श्री शरीरम् ।
स्फुरन्मौलि कल्लोलिनी चारुगङ्गा
लसद्भालबालेन्दु कण्ठे भुजङ्गा ॥ ३॥

चलत्कुण्डलं भ्रू सुनेत्रं विशालं
प्रसन्नाननं नीलकण्ठं दयालम् ।
मृगाधीशचर्माम्बरं मुण्डमालं
प्रियं शंकरं सर्वनाथं भजामि ॥ ४॥

प्रचण्डं प्रकृष्टं प्रगल्भं परेशं
अखण्डं अजं भानुकोटिप्रकाशम् ।
त्रयः शूल निर्मूलनं शूलपाणिं
भजेऽहं भवानीपतिं भावगम्यम् ॥ ५॥

कलातीत कल्याण कल्पान्तकारी
सदा सज्जनानन्ददाता पुरारी ।
चिदानन्द संदोह मोहापहारी
प्रसीद प्रसीद प्रभो मन्मथारी ॥ ६॥

न यावत् उमानाथ पादारविन्दं
भजन्तीह लोके परे वा नराणाम् ।
न तावत् सुखं शान्ति सन्तापनाशं
प्रसीद प्रभो सर्वभूताधिवासम् ॥ ७॥

न जानामि योगं जपं नैव पूजां
नतोऽहं सदा सर्वदा शम्भु तुभ्यम् ।
जरा जन्म दुःखौद्य तातप्यमानं
प्रभो पाहि आपन्नमामीश शम्भो ॥ ८॥

रुद्राष्टकमिदं प्रोक्तं विप्रेण हरतोषये ।
ये पठन्ति नरा भक्त्या तेषां शम्भुः प्रसीदति ॥

Hinglish font for some reader

*(namāmīśa mīśāna nirvāṇarūpaṃ vibhuṃ vyāpakaṃ brahmaveda svarūpam |
nijaṃ nirguṇaṃ nirvikalpaṃ nirīhaṃ cadākāśa mākāśavāsaṃ bhajeham ||

nirākāra moṅkāra mūlaṃ turīyaṃ giriṅñāna gotīta mīśaṃ girīśam |
karāḷaṃ mahākālakālaṃ kṛpālaṃ guṇāgāra saṃsārasāraṃ nato ham ||

tuṣārādri saṅkāśa gauraṃ gambhīraṃ manobhūtakoṭi prabhā śrīśarīram |
sphuranmauḷikallolinī cārugāṅgaṃ lastphālabālendu bhūṣaṃ maheśam ||

calatkuṇḍalaṃ bhrū sunetraṃ viśālaṃ prasannānanaṃ nīlakaṇṭhaṃ dayāḷum |
mṛgādhīśa carmāmbaraṃ muṇḍamālaṃ priyaṃ śaṅkaraṃ sarvanāthaṃ bhajāmi ||

pracaṇḍaṃ prakṛṣṭaṃ pragalbhaṃ pareśam akhaṇḍam ajaṃ bhānukoṭi prakāśam |
trayī śūla nirmūlanaṃ śūlapāṇiṃ bhajehaṃ bhavānīpatiṃ bhāvagamyam ||

kaḷātīta kaḷyāṇa kalpāntarī sadā sajjanānandadātā purārī |
cidānanda sandoha mohāpakārī prasīda prasīda prabho manmadhārī ||

na yāvad umānātha pādāravindaṃ bhajantīha loke pare vā nārāṇām |
na tāvatsukhaṃ śānti santāpanāśaṃ prasīda prabho sarvabhūtādhivāsa ||

najānāmi yogaṃ japaṃ naiva pūjāṃ nato haṃ sadā sarvadā deva tubhyam |
jarājanma duḥkhaughatātapyamānaṃ prabhopāhi apannamīśa prasīda! || )

Karan or jyoti ki madhur swar me apne priya stotra ko sun mahadev bahut prasn hue.

Or apne trishul ko wahi khada ker , apne hatho se karan or jyoti ko uthate h or bole.

Mahadev :- putra karan , putri jyoti , hum tumhari bhakti or paropkar ki bhavna or kartavyanishta se ati prasan h. Tum dono ne purn nishta or sache hridya se hamari bhakti ki , lekin itne dukh jhelte hue bhi koi kaamna na ki.

Parantu aaj hum tum dono ko kuch pradan kerna chahte h putra , jo icha ho mango putra , hum tumhare har abhisht kamna ko purn kerne hetu tatpar h putra.

Karan :- hey prabhu , aap satya me hi bholenath h , sab kuch pradan ker bhi bolte h ki hum kuch mange , ek bhakt ki to bas ek hi kamna hoti h bhagwan , keval apne aaradhya k darshanon ki, jo aapne aaj punah purn ker hi di prabhu.

Jyoti :- ha prabhu bhai bilkul satya kah rahe h , aaj is sansar me hamare liye kuch bhi ess na bacha prabhu jiski hume kamna ho, wese bhi jisne sakshat parmeshwar ko paa liya ho use bhala or kis sansarik mh maya ki kamna hogi bhagwan.

Mahadev :- dhanya ho mere bacho tum, or dhanya h tumhari mata asha , jinhone tum jesi mahan vibhutiyo ko janm diya.

Putra mera darshan dena vyarth ni ja sakta , isliye m shiv tumhe vardaan deta hu , tum dono sadev ajar rahoge , vriddhavastha tumhe chu tak na payegi , or naa hi tumse judi or kanyaao ko bhi .

Jyoti ka ye sun kaan khade ho gaye or wo boli

Jyoti :- or kanyaye.

Mahadev gambhir swar me :- ha putri , devi chaya ne uchit kaha tha ki tum keval or keval karan k liye hi bani ho or niyati k kaaran hi prakrati k sambhand se jude is niyam ko tutna hi hoga , tum karan ki shakti bhavishya me karan ki ardhangini bhi banogi, parantu.

Jyoti jese ye sun to khushi k mare ek bar pagal si hone wali thi , per jab usne mahadev k mukh se parantu suna to khushi wahi tham gayi.

Jyoti :- parantu kya prabhu.

Mahadev :- parantu putri, tumhare sath hi karan k jivan me or bhi kanyaon ka aagman hoga , jo uski bhavishya me jivan sathi banegi , tumhari tarah.

Mahadev ki ye baat sun to jyoti ki ankho k samne to andhera sa chane laga, uske uper ye baat kisi bomb futne se kam ni thi , uska to wo haal ho gaya tha , jese usse kisi ne uske pran mang liye ho.

Jyoti to chakker kha k girne wali thi ki karan ne use sambhal liya.

Karan :- gudiya tum thik to ho na.

(Mahadev se) ye aap kya kah rahe h bhagwan , ye kadapi sambhav ni ho sakta , karan ka hriday or shwas keval jyoti h or uske alawa karan kisi ko apnana to dur , esa soch bhi ni sakta , fir humare sath esa anyaya kyu bhagwan.

Mahadev :- putri jyoti m janta hu mere is kathan se tumhe bahut kasht hua h , parantu putri mera ye kathan shashwat satya h , karan or tumhari niyati me yahi nirdharit hua h.

Karan or tumhare jivan k uddeshy ko purn kerne k liye esa hona aavashyak h , or esa kyu h vo m bata to sakta hu , parantu na hi ye uchit samay h or tumhare jivan k is satya ko batane ka adhikar bhi kisi or ka h.

Parantu putra jyoti ki bhanti hi tumhare jivan me aane wali janyaye tumhari koi apni hi hogi , yani tumhara usse koi na koi sambhandh jarur hoga , isliye putri tumhe kamsekam is baat ki santushti to honi hi chahiye ki tumhe apne prem ko kisi prayi k sath ni , balki apno k sath hi batna hoga , janta hu putri ye saral ni h , parantu yadi tum chahati ho ki tumhara bhai tumhara prem apne udeshya ko purn kere , to tumhe ye balidan dena hi hoga putri.

Ye bol devi chaya k sath mahadev waha se antardhyan ho gaye.

Unke jaate hi jyoti karan se lipat k fut fut k rone lagi or karan bhi.

Karan :- mat ro meri gudiya , m samjh sakta hu tere dard ko or yakin man gudiya is satya ko jaan jitna kasht or pida tumhe ho rahi h , utni hi mujhe ho rahi h meri jaan , jese tu mere sath kisi or ki kalpana ni ker sakti , vese hi m bhi tere alawa kisi or k baare m soch bhi ni sakta meri gudiya.

Isliye tu ro kyu rahi h meri gudiya , tere bhai ki jindagi me tere alawa koi na aayi thi na kabhi aayegi.

Jyoti :- per bhai , mahadev ki baat kabhi asatya bhi to ni ho sakti na.

Karan :- ager mahadev ka ye kathan satya hua bhi to gudiya , to tere bhai ka ye wada h tujhse ki jab tak meri sans rahegi , jab tak tumhara jo sthan mere hariday meri aatma me h , use na aaj tak koi chin saka tha, na koi chin sakega.

Ye karan sirf apni jyoti ka hi rahega , jese itni patni hone k bavjood bhi shri krishna k sath radha ka nam hi liya jata h , vese hi karan k sath jyoti ka hi naam hamesha judega , ye mera wada h meri bahan tujhse mera.

Ye bol karan ne apni ek anguthi jo uski sabse favorite thi , wo usne jyoti ko pahana di or apni sagai declare ker di.

Tabhi jyoti ko mahol halka kerne k liye ek shararat sujhi or usne jhuta gussa dikhate hue.

Jyoti :- ye kya ji , abhi to baat hi hui h or aap to or patniyon k sapne bhi dekhne lage , e mister or kitni patniyon k khwab saja rakhe h aapne.

Karan majak me :- ab yaar krishna ji ki tarah ek se jyda patniyon ka sobhagya mil hi raha h to soch raha hu , ki unki 16000 thi , to m kamse kam 16 to kar hi lu.

Jyoti :- h, ruko bachu m karwati hu aapki shadi ,
ye bol usne apna ek hath uper kiya or uske hath me chadi aagayi.

Or fir dono bhai ki pyar bhari pakdam pakdai ki khilkhilahat se kailash ka pura vatavaran gunj utha.

Jise apne sthan p bethe mahadev bhi sun rahe the or unke mukh per ek prasanta thi.

Phir agle din devi chaya mahadev ki aagaya se dono bhai bahan ko shani lok le gayi , jaha unhone karan or jyoti ko kuch jadi butiyo or vedo ki siksha karan or jyoti ko pradan ki.

Karib 2 mahine baad shani dev apne tap me lin the or mahadev apni samadhi me .

Tabhi isi baat ka fayda utha asuro ki ek tukdi ke senapati krodhasur jo bahut hi mayavi or shaktishali tha usne dev lok pe aakraman ker diya.

Us samay karan or jyoti dev vishwakarma k bhavan me gaye hue the , devi chaya jo vishwakarma ki putri thi , unhike kisi karya se .

Tabhi ek devdoot waha suchna leker aaya.

Devdoot :- dev vishwakarma ko pranam , dev anarth ho gaya asuro ne swarg pe aakraman ker diya h or devi chaya samet sabhi deviyan wahi mojud h , wo sankat me h dev , shani dev samet tridev samadhi me h bhagwan ab aap hi kuch kiji.

Vishwakarma :- thik h tum waha pahucho hum abhi vaha pahuchte h , ye bol wo bhi yudh k liye saj hone lage .

Tabhi jyoti boli ,

Jyoti :- m bhi aapke sath chalungi dev , mata ko meri jarurat h.

Karan :- m bhi.

Jyoti :- ni bhai aapko yahi rukna hoga , abhi bhi aapki shaktiya jagrit ni hui h , or m aapke pran sankat me ni dal sakti .

Karan ne bahut bola per jyoti ni mani , or na chahate hue bhi karan ko rukna pada.

Jyoti bhi devo la sath dene waha yudh bhumi me pahunch gayi or puri veerta k sath yudh kerne lagi, lekin krodhasur ki maya or asuro ki bhari sankhya k kaaran yudh me asuro ka palda bhari pad raha tha.

Karan vishwakarma bhavan me lage chal chitra se sab dekh raha tha

Karan :- mujhe jald hi kuch kerna hoga ni to anarth ho jayega , parantu kya.

Tabhi karan k kaano me ek aawaz padti h , jo uska hi naM pukar rahi thi

Aawaj :- karan.

Ye awaaz karan ko baar bar sunayi dene lagi or jab karan us or gaya to wo vishwakarma k shastra grah me pahunch gaya .

Jaha usne dekha ki wo aawaz ek dand se aarahi h or jab karan ne wo dand dekha to uske chahre pe muskan aagayi.

Ye wahi dand tha jise vishwakarma ne rakshak yani karan k liye banaya tha or jiski madad se karan ne kunal ka nash kiya tha.



Karan ne devo ki sahayta k maksad se jese hi us dand ko uthaya , tabhi use bahut dard hone laga , use esa lag raha tha ki jese uska sharir fat jayega.

Esa isliye ho raha tha ki karan k liye wo dand 21 varsh k baad hi upyog me liya jana tha , isliye abhi vo uske tez ko sahan na ker oa raha tha.

Lekin tabhi karan k bhitar mojud nilamani ki shakti jagrit ho gayi or dhire dhire uska dard apne aap kam hone laga.

Tabhi uska wo dand ka roop parivartit ho ek bahut hi sunder or shaktishali talvar me parivartit ho gaya.

Karan k sharir pe ek kavach aachuka tha or ankho ka rang nila ho chuka tha.



Mahadev tabhi vaha prakat hue or bole

Mahadev :- putrakaran , samay aachuka h , dushto ko dand dene ka , samay aagaya h sajano k udhar ka z samay aachuka h tumhare rakshak se dandnayak banne ka , kya tum saj ho.

Karan jisne abhi tak apni ankhe band ker rakhi thi , usne ankh koli or wo bola :- sajjj hu mahadev.

Mahadev :- to pratiksha kis baat ki putra , jao or apna karm kero.

Karan :- jo aagya prabhu.

Karan jor se :- har har mahadev

Isike sath karan ne ek jordar chalang lagai or wo sidha yudh bhumi me land hua.

Or jab wo yudh bhumi me uske pahuchte hi , dharti kaamp uthi or aasman hilne laga.

Krodhsur k bilkul samne hi karan pahuncha tha .

Krodhasur :- e balak kon h tu or yaha kya ker raha h.

Karan jiske chahare pe ab uska mask bhi aachuka tha , wo bola.

Karan :- ab tak diya karmo ka fal or sanrakshan , parantu ab keval ab dand hi h hal.

Tum jese dushto ka kaal or sajano ka rakshak dandnayak hu m dusht krodhasur, antim chetawani deta hu , lot jao , anyatha apni halat k jimedar swayam hoge.

Parantu wo ghamandi asur kaha karan ki sunne wale the or krodhasur ne apni sena ko karan pe aakraman kerne ko kaha.

Tabhi karan ne ankh band ki or usike sath uski talvaar ek dhanush me badal gayi.

Ye nayi talvaar us dand ka hi ek ansh thi , filhal k liye wo dand ab karan me sama chuka tha , jiska upyog wo apne 21ve janam din k baad hi ker sakta tha , parantu halato k chalte us dand ne apne ek ansh k roop me karan ko wo divya talvar pradan ki jo kisi bhi shastra ka roop le sakti thi., Kyunki karan ko ek naye ashtra ki aavshyakta thi.

Karan ne bas us dhanush se ek hi baan chalaya or wo baan dhanush se chutte hi lakho me parivartit ho gaya or dekhte hi dekhte karan k ek hi vaar me puri sena nasht ho gayi asuro ki.

Ye wo rakshak ni tha jo samne wale ko moka deta tha , isliye krodhasur kuch kare , isse pahale hi dand nayak ne use apne pash me bandh diya.

Krodhasur samjh gaya ki uska kuch bhi kerna bekar h to usne dandnayak se maafi ki guhar lagayi.

Lekin dand nayak ne apni talvar se uski gardan udate hue bas itna bola.

Dand nayak :- dand nayak na kabhi kuch bhulta h or na hi dobara shama kerta h.

Usike sath dand nayak har har mahadev k naare lagane laga or sabhi dev bhi.

Ese hi dand nayak ne kayi asuro ka nash kiya in 15 dino me.

Fir ek din maa parvati ne mahadev ki mahapuja ka aayojan kiya kailash pe , jiske liye nilkamal k pushpon ki aavshyakta thi , tab mata parvati ne yahi avasar uchit samjha parilok ko mukt karwane ka or devi lakshmi ne bhi unka sath diya.

Karan or jyoti ko pushp lane ko mata parvati ne jis jungle me bheja us jungle me maa lakshmi ne rani pari ka roop dharan ker ek sanyasi ban gayi or jis talab me nilkamal milte the , usike pass ek mayavi ashram banaya .

Jab karan or jyoti waha pahunche to devi lakshmi boli ki yadi unhe nilkamal chahiye to unhe unki sahayta kerni hogi .Or unhonne rani pari ko apni bahan batate hue parilok k halato k baare me bataya.

Jise sun dand nayak ka krodh jaag utha or vo turant teyar ho pahunch gaye parilok, jaha usne jyoti ko rani pari ko aajad karwane ka bol yudh kerne chala gaya .

Or aage kya hua , aap sabko malum hi h.

Flashback end.

Wahi dusri or

Prathvi per

Sonam ka ab sabra ka bandh tutne laga tha , vo ab pagal si hone lagi or ek din gusse se ladoo gopal k paas gayi or boli.

Sonam :- apni is bhakt k sath esa anyay kyu kanha , akhir kyu , aaj tak mane tumhari puri shradha bhav se seva ki tumhari , khud bhuki rahi per tumhara bhog lagaya , itni taklif jheli fir bhi teri marji man hasi khushi sab saha , kyunki janti thi tum jo karoge acha hi karoge .

Or mera ye vishwas jab yakin me badla jab karan bhai or jyoti di meri jindagi me aaye , mujhe koi sahi maine me apna mila , jise mujhse keval prem ki hi asha thi or jitna prem mane unhe diya , usse kai adhik sneh or prem unse mujhe mila.

Parantu ab lagta h pathar ki murti me rahate rahate tumhara hriday bhi pathar ka hogaya h , shayad isiliye tumse apni is bhakt ki ekloti khushi tak na dekhi gayi kanha.

Ha kanha yahi satya h tum patthar dil ho chuke ho isliye hi tumne mujhse mera sabkuch yani mere bhai ,mera pyaar chin liya.

(Rote hue) ha ye satya h kanha tumhari ye bhakt apna dil apne hi karan bhai ko de chuki h , manti hu m ye galat h , sansar k niyamo k virudh h , parantu isme meri bhi kya galti kanha , bhala prem ki bhi koi sima hoti h.

Fir bhi mane socha tha , ki ager bhai mujhe na bhi apnate to koi ni m saari umra mira ki tarah rah leti , per unke alawa kisi ki na hoti.

Parantu tumne to mere se utna sukh bhi chin liya kanha , kyu kanha kyu kya bura kiya tha mere bhai ne esa jo mujhse tumne unko dur kiya.

Sab kahate h bhai ni rahe , parantu mera hriday janta h ki bhai or di ko kuch ni hua h , wo bilkul surakshit h , lekin tumhara ye mon meri pida ko or badha raha h kanha .

Utter do kanha kaha h mere bhai , kyu kiya unko mujhse dur utter do.

Sonam ye line itni jor se chilayi , ki ghar k bahar mojud rohan jo kisi kam se aaraha tha , usko bhi suni or wo jaldi se ghar me bhaga.

Tabhi sonam ko achanak se chakkar aagaye or behosh ho niche girne lagi , wo to ganimat h ki rohan sahi samay pe waha pahunch gaya or usne use tham liya.

Rohan rote hue :- sonu , sonu , utho kya hua , gudiya.

Lekin sonam to behosh ho gayi thi , rohan ne jaldi se use room me leta doctor ko call kerta h .

Doctor thodi der baad aati h or checkup kerke kamjori kaaran batake injection de deti h sonam ko or rohan ko kuch instructions deke chali jati h.

Tabhi sonam ko behoshi ki halat me ek adhbhut drishya dikhta h.

Wo dekhti h ki karan or jyoti ek khai me gir rahe h , ye dekh uski chikh nikalne hi wali thi ki usne dekha ki ek bahut bada morpankh udta hua aaya or karan or jyoti ko apne uper le girne se bacha liya.

Or wo pankh dono ko leker sonam k paas aagaya , karan or jyoti muskurate hue pyaar se sonam ki or dekhte hue bhahe felate h .

Sonam khushi se jese hi bhai or di kahate hue unke gale lagne unki or dodi to uski nind khul gayi.

Or usne paya ki uske takiye k paas ek morpankh pada tha ,


jise dekh sonam shri krishna k sanket ko samjh gayi , samjh gayi k uska vishwas jit chuka h or uske bhai or di jald hi lotenge, usne pahale to krishna se maafi mangi apni galti k liye fir

Sonam jor se :- rohan bhai kaha h aap.

Rohan sonam ko chilata sun jhat se kamre me bhagta hua aaya or bola.

Rohan :- kya hua sonu , sab thik to h na.

Sonam khushi k maare uske gale lag gayi or apna sapna batate hye wo morpankh rohan ko dikhane lagi .

Jise sun rohan bhi khush ho gaya or usse jyada khush wo sonam ko khush dekhker tha ,aaj itne mahino baad ye khushi jo dekhi thi uske chahre pe

Aj k liye bas itna hi

Stay tuned
Sorry for late update friends.

 
Last edited:

Harry rocks

Well-Known Member
7,286
19,040
189
Karan aur jyoti gilas ko aadha khali dekh rahe hai.
Aadha bhara gilas unhe kaun dikhata hai dekhana hai.
Kaise wo sachchai se rubaru honge.
Aur radha aur riya ko maya aur uske bhai ki sachchai ka pata kaise chalega ye bhi dekhana hai. 2.5 mahino se ve kaha hai. Viraj ne riya aur radha ko bahlane ke liye kuchh kyo nahi kiya ye bhi janana hai.
Bhai lagta hai agla 4 se 5 update me sab clear hoga.
Sabse jaruri baat naina ka unse kya sambandh hai?
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 673
 
  • Like
Reactions: Jon123

Harry rocks

Well-Known Member
7,286
19,040
189
Yh kia ho gaya bhai dandnayak aur dandnayika agar prithvi pr wapas ni jayenge toh naina kaise thik hogi aur agar woh thik ni hui toh uski walidah kaise uss dusht ki qaid se Azad hongi aur fr dandnayak aur dandnayika apni dono maun ko yani Asha aur kavya ko unpr hue har zulm ka insaf kaise dilayenge aur radha aur riya ko kb sachchayi ka pata lagega aur ranveer aghora MLA viraaj aur Maya ko unke dushkrityon ka dand kaise milega ?
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 673
 
  • Like
Reactions: Jon123

Harry rocks

Well-Known Member
7,286
19,040
189
Nice update..

Good thing abt ur updates is , u almost over everything going on..

Parilok m pehle Dandnayak ka intro karaya tha aur aaj dandnayika ka b karadia aur dono hi Karan jyoti hi h. Dono m ab pehle s jyada prem h aur ek dusre k prati prem ki wajah s hi shayad aage inko problem b ho sakti h..

Pyar hame strong to banata hi h aur sath m kamjor b. Karan n mahadev ki aagya na maan Kar ye hi sabit Kia h. Baat sirf itni b ni h ki Jo Karan k sath hua but Sach to ye b h ki Karan jyoti ko un mushkilo ka samna karne ni Dena chahta kyuki dono n hi sare dukh jhele h aur jitna taklif Karan ko h utna hi Jyoti ka b hua tha . Karan n prithvi Lok na jane ka bolkar apne karmo s muh modne ki koshish Kari h .
But inme galti unki b ni h.

Mahadev to sav jante h , m sure wo koi yukti soch hi lenge jisse Karan jyoti wapas sahi raste p aajae kyuki aisa hona Karan jyoti k Janam ka उद्देश्य b h aur sath m prithvi Lok p kuch log aise b h jinhe to sirf Kara jyoti k lautne ka intzar h..

Intzar ki baat kare to sabka dukh ek sa to ni but Kam b ni h.

Sonam Shivani kavya Rohan.. ye Charo to sabse jyada dukhi h.
Sonam to isliye ki uske life m Karan jyoti s badh Kar koi ni h kyuki wo anath thi.
kavya ko apni galtio ka dukh h kyuki wo Karan Jyoti ko apna hi manti thi but majburi m ye sav Kia tha..

Rohan ka dukh b kafi h but I think ye baad m aur jyada clear hojaega...


Is update m 2 aur cheeze aayi.
1. Naina ,Jo abtk coma m h but usse koi bimari to h ni , wo bs shocked h .
Ab to uske wapas normal hone ki situation tab hi banegi jab ya to Karan jyoti use mile aake ya at least dharti p hi aajae..
Naina ki halat s pretty aur veer s b dukhi h but dono n hi sab sambhala hua h. Naina lucky h ki usko aise pakke dost mile h Jo itna khayal rakh rahe h..

2. Sahayak ka intro wapas hua..
Sahayak Jo kafi samay s gayab tha uski wapasi hui aur wo b ek kurrr Roop m. Usko is baat ka dukh h ki uska Janam jiska sahayak banne ka hua tha means Karan jyoti ka , ab wo hi ni rahe but jab baba n usko Sach s avgat karaya to uski khushi ka to tikhana hi ni Raha .


Kitna hi kuch h yahan prithvi Lok p jisse Karan Jyoti ko sambhav karna h but wo dono h ki aana hi ni chahte specially Karan . Karan ko hi sabse jyada thes pahuchi h but agar usne ek sath sabko ignore krdia Jante hue b ( sonam Shivani Rohan ) aur najante hue b ( Naina , megha ) to kaise kaam chalega..

Usko to aana hi h aur ye dekhna h ki kaise mahadev ya Shani dev Karan jytoi ko tayyar karte h..

Waise to ye b dekhna h ki Mata Lakshmi k aashirwad k baad Karan jyoti ki life prithvi p aake kaise badalne wali h..


Let's see..
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 673
 
  • Like
Reactions: Jon123

Harry rocks

Well-Known Member
7,286
19,040
189
Jabardast update brother
Karan aur jyoti jinda hai aur karan hi dandnayak hai ab bas dekhna hai ki wo bache kaise kyu ki unki bodies ko dikhaya tha apne ye shayak jo kaal bhi hai shayad ye rohan hi ho
Ab karan aur jyoti me bhi badlaw aye hai physically aur mentally bhi jo ki acha bhi hai aur ek our bura bhi kyu ki ab unhe kisi se koi rishta nahi rakhna
Dekhna hai ki jis karan ne mahadev ko mana ki use kon manayega
Kyuki prutvi me jake dandnayak ko maya aur viraj aur apne pita ko bhi dand dena hai aur naina se bhi to mulakat karni hai jo abhi tak koma me hai
Ab flashback aur naina se mulakat ka intazar hai
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 673
 
  • Like
Reactions: Jon123
Top