- 7,286
- 19,040
- 189
Thanks for your support bhaiWow ....
Superb update..
Is update m to pichle part ka continuation b h aur next part ki shuruat b .
Karan jyoti ki maut ki khabar sun Kar to sabka bura haal h sivyae Radha Riya k . Un dono ka dimag m abtk nafrat h jiske chalte ab unke apne b Durr hogaeh.
Rohan n apni sagi behan Riya s rishta tod lia aur Radha ki sabse best frnd Sonam n Radha s rishta tod dia.
Aakhir Kare b kyu na , Riya Radha n naat hi aisi kahi jispe koi b vishwash na Kare . Ye to abtk sirf un Charo k beech ki baat h ki Karan Jyoti k sath Kya Kya hua , ab viraaj Maya to khush hi hinge to wo to dikhenge ni kuvh time ar agar dikhe b to wo dono Riya Radha ka use krenge Karan ko galat prove krne k liye ..
Waise ranvir ko manna padega , sale ka dimag Sach m bht chalta h. Apna ullu sadhne k liye usne kavya k upar hi sauteli MAA ka aroop laga dia jisse garima b fass gai baato m.
Bechari kavya , jis tarah Karan p lanchan laga h itna ganda usi tarah kavya k upar b suatelepan ka lanchan laga dia jabki usne to khud bht Saha h Karan Jyoti k liye .. agar wo Karan jyoti k sath aisa na karti to shayad ranvir abtk najane kitne hi attempt Kar Chuka hota Charo ko Marne ka , wo to Shivani ko b ni chodta
Kher , Sonam ko to Rohan ka support h aur Rohan n acha khayal rakha h . Agar Rohan na hota to najane Sonam ka Kya haal hota abhi. Is time to Rohan hi strong Banda h aur abto 2.5 mahine guzar chuke h. Najane ab Kya manodasha hogi sabki.
Mujhe to bs ek cheez ka darr h ki kahi agar Riya Radha n apni apni MAA ko Karan ki baat Bata di aur agar wo dono n maan Lia to phir Kya hoga kyuki Riya Radha to ek tarah s wahi bol rahi h Jo unhone khud dekha bhale hi wo aadha Sach h but influence karne k liye kafi h.
Is time wahi log Karan Jyoti ka support krenge jinhe personally dono pr atah vishwash hoga warna to shayad wo log h Karan ko galat samjhne lagenge .
Ranvir ka next step kya hoga ye b dekhna h. Karan k Marne k baad use fayda to hua h but sath m jyoti k Marne s usko nuksaan b hua h. Wo shayad jyoti ka use karta aage chalkar . Sath m ab dono k Marne k baad unke naam ki property Jo asha n di thi wo b chali jaegi NGO m to m wondering ki ranvir ab Kya karega ya kuch karne ko h b ya ni.
Rasatal m b Karan jyoti ki mrityu ka samachar pahuch gaya h . Ye to Aman ki vivashta h ki wo aa ni sakta warna abtk to wo halla kardeta , shaktiya t uske pass b kafi h..
Naina ka jikr ni hua but wo coma m chali gai thi . Najane ab Kahan hogi aur kis halat m
Insab s alag purr 2.5 mahine baad Dandnayak samne aaye h jinhone parilok ko aake danav ko mrityudand dia h..
Is baar NO IF, NO BUT direct punishment Milne Wala h paap karne walo ko.
Ye dandnayak ka roop liye agar ye KARAN hi h to is baar Karan pehle ki tarah ni hoga . Na pehle ki tarah uski aankho m sabke liye ek samaan prem hoga aur na maafi milegi . Ab to Judgement hoga ..
Waise ek baat जाननी हैं, agar Karan Dandnayak h to jyoti Kya hogi ??
Iska answer pehle aa Chuka h but mujhe ab Jyoti k role ko v dekhna h ki uska Kya role rahega jab Karan Dandnayak ka दाईत्व निभाएंगे।।
Dekhte h Kya hota h ab ...
Waiting for next nd sorry for delay...
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 661