• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller POWER

LionHeart007

AHSAN
1,291
4,681
159
🇪🇮🇩🇲🇺🇧🇦🇷🇦🇰

*Asʟᴀᴍ ᴏ ᴀʟaɪᴋᴜᴍ.*

Oɴ ᴛʜɪs ʙʟᴇssᴇᴅ ᴏᴄᴄᴀsɪᴏɴ ᴏғ Eɪᴅ, ᴡɪsʜɪɴɢ ʏᴏᴜ ᴀɴᴅ ʏᴏᴜʀ ғᴀᴍɪʟʏ ᴊᴏʏ, ʜᴀᴘᴘɪɴᴇss, ᴘᴇᴀᴄᴇ ᴀɴᴅ ᴘʀᴏsᴘᴇʀɪᴛʏ! Eɪᴅ Mᴜʙᴀʀᴀᴋ! Tʜᴇ ᴍᴀɢɪᴄ ᴏғ ᴛʜɪs ᴅᴀʏ ʙʀɪɴɢ ᴀ ʟᴏᴛ ᴏғ ʜᴀᴘᴘɪɴᴇss ᴀɴᴅ ʙʟᴇssɪɴɢs ɪɴ ʏᴏᴜʀ ʟɪғᴇ ᴛʜᴀᴛ ᴡɪʟʟ ғɪʟʟ ʏᴏᴜʀ ʜᴇᴀʀᴛ ᴡɪᴛʜ ᴊᴏʏ. Wɪsʜɪɴɢ ʏᴏᴜ ᴀɴᴅ ʏᴏᴜʀ ғᴀᴍɪʟʏ ᴀ Hᴀᴘᴘʏ Eɪᴅ.❤🌙🤲🏻

*𝒲𝒶𝓇𝓂 𝓡𝓮𝓰𝓪𝓻𝓭,*

AHSAN
 
Last edited:

SHADOW KING

Supreme
15,885
32,821
259
lovely update ..pariwar ke saath pyar bhari baate ho rahi hai jisko padhkar maja aa gaya 🥰🥰🥰..
mehwish pyar karti hai viki se par ab usko paa nahi sakti kyunki viki ki shadi ho gayi hai .

par ye wednesday kyu bolta hai mehwish ko ye clear nahi hua ( shayad pehle wale updates me jaankari ho par yaad nahi ) .

sonia to top pe hai kyunki uski hi permission milne se viki sabko le jayega ghumane 🤣 aur sonia ke bhav badh gaye hai jo sabko le jaane ke liye apna homework karwana chahti hai aur gift bhi 😁.

kya wo banda ali hai jo t1 banke s&n ki madad ki thi 🤔🤔🤔.
viki bhi pareshan hai ki uski behan nahi mil rahi aur is matter me koi bada shaks shamil hai jiska pata nahi chal paa raha viki ko .
 

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
13,567
84,869
259
UPDATE 28


Jaisa k pichle update m dekhne ko mila k kaise Sidra or Nida ne Munna k café pr attack kiya lekin unka waar unpr hi ulatne se baal baal bacha...
lekin apne ghr huwe hamle m woh pakdii gyiii, or Jab T1 unko le kr jaa rha tha to us pr bhi hamlaa ho gaya lekin usne sab ko maar diya....lekin ek ghr m woh kisi ko naa paa kr gusse m aa gay....
saath hi Viki bbi chupke se café m gaya ot apne doubts clear krne laga or apne dost ko sabhi forensic report's bhejne ko bola...




ab aaage.....


to chaliye jaante hain k huwaa kya tha or kisko dhoondh rha tha T1....

T1 Café se donon ladkiyoon ko Apne saath car 🚗 m le kr jaate huwe jab thodi door pohoncha to uske dekha k ek bike café se le kr ab tak uska peecha kr rhi hai...
usse kuch shakkk huwa, pehle to usne ruk kr check krne ka socha lekin agle hi pal usne ye idea tark kr diya kyun k is waqt uske saath Sidra or Nida bhi thin...

woh samajh chuka tha k agr bike waala uska peecha kr rha hai to zaroor in 2non k liye hi woh uske peeche hai...

or zaroor woh biker akela nhi hoga,uske saathi bhi yehin kahin honge ya aa rhe hon ge peeche hi,, ya phir ho sakta hai k woh aage kahin ghaat lagaye baithe hon....

to T1 ne foran hi car 🚗 ki speed badhayii or kuch minutes k liye woh us biker ki nazron se ojhal ho gaya...

or inhi kuch minutes m usne cat ko left side ek link road pr dodaa diya or ek bnd pade ghr k saamne car ko roka


wallpaperflare-com-wallpaper-6
or gate khola or donon ladkiyoon ko ek ek kr k andar k room m le jaa kr bed pr letaa diya or unka saamaan bhi car se nikaal kr andar hi rakh diyaa...

phir gate ko bnd kr k waapas car 🚗 m baitha or nikal gaya .....

usne gps on kiya or map 🗺️ dekhne laga k kis kis jagah se woh wapas main road 🛣️ pr pohonch sakta hai,,, usse kuch dikha or uski aankhen chamak gyiii.

ek short cut lete huwe woh seedhe main road pr kuch aage ki taraf jaa kr ruk gaya ...

ye wohi waqt tha jab biker ne Road pr car 🚗 ko khade dekha tha...
lekin usse andaaza naa ho saka k jin 2 ladkiyoon k liye woh uska peeche kr rha tha unhe yo pehle hi T1 ne kisi or jagah pr chup diyaa tha....

( baaki T1 k saath kya huwa woh to sabne pichle update m jaan hi liya hoga to ab dekhte hain k us ghr se dono ladkiyaan kahan or kaise ghaayab ho gyiiin )


T1 k jaane k kuch der baad hi Sidra ko hosh aane laga,,, ab chun k us pr Behoshi wali dawayii ka complete asarrr nhi huwa tha bcz usne poori trhan se usse nhi smell kiya tha... jiske wajah se usko jaldi hi hosh aa gaya....

uthte hi usne khud ko bed pr leta paaya to woh thoda heraan huii,
usne socha k *Me to corridor m ladayii krte huwe behosh ho gyii thi kab us aakhri aadmi ne mujhe rod se maarna chaaha, phir m yahan kaise"

usne gardan ghumaa kr sab taraf dekha to khud ko Kisi alag hi ghr m paaya...
usne apni side m dekha to Nida bhi ussii bed pr behosh leti huii thi... (dard,thakaan or phir painkillers ka heavy dose ka effect)...

Sidra ne usse jhanjhodte huwe uthaane ki koshish kii to kuch 15 se 20 seconds ki mehnat k baad woh angdaayiii lete huwe uth gyiii or Sidra ko dekhte huwe usne muskuraate huwe bola...
"Good Morning 🌅 dear"

Sidra ne chidte huwe uske kandhe pr halka sa thappad maarte huwe bola: chup kr Good Morning ki bacchiii, zara dheyaan se dekh hum apne ghr m nhi hain.( jahan woh chupi huii thin)

uski ki baat pr Nida ne bhi jab sab taraf dekha to woh bhi chonk gyiii or heraani k sath poochne lagi...

Nida:😧 hum yahan kaise, hum to apne ghr m gi the raat ko phir yahan kaise aa gye ???

Sidar: wohi to mujhe bhi samajh nhi aa rha k him yahan kaise or ye kiska ghar hai....

Nida: tuu mujhe aise kyun dekh rhi hai jaise mujhe pata ho, me to medicine le kr soo gyii thi tuu hi yo jaa g rhi thi ...

Sidra: haan me jaag rhi thi... jab tujhe medicine de kr room se baher jaane lagi yo mujhe ghr k back side se kuch awaaz aayiii to me check krne gyii to corridor m hi 2 bnde nazar aye mene unse ladayyi ki or unko maar diya k itne m side se ek or hatta katta bnda mujh pr jhapat pada us se ladte huwe me gir gyii, or woh bnda mujhe rod se maarne wala tha k tabhi ek ladka......

itna bolte hi woh ruk gyiii jaise uske mind m kuch trigger huwaa... or usse woh scene yaad aane laga jab us gunde ne rod se us pr takreeban hamlaa kr hi diya tha....

usse yun atakte dekh Nida curious nazron se iski taraf dkete hue boli...
" ek ladka kya ! haan kon tha woh ladka or usne kya kiya "


uski awaaz se Sidra apni soch se baaher ayii or usse dekhte huwe boli k...

"jab woh gunda mujhe woh rod maarne hi waala tha k achaanak ek ladka uske peeche se aaya or usne kisi bhaari cheez se gunde k sarr p waar kiya or woh gunda side m gir gaya, shayad Behosh ho gaya tha ya shayad marr gaya.....

Nida: phir kya huwa uske baad ??

Sidra:phir aage mya huwa mujhe yaad nhi kyun k mujh pr us gunde ki sunghaayii dawa ka asar hone laga or us gunde k girte hi me behosh ho gyiii. bss mene itna hi dekha k black pant, black shoes or ooper hoodie pehene ek ladka ya shayad aadmi khada tha... uska chehra mujhe nhi dikha ek to meri aankhen bnd ho rhi thin or phir uski hoodie or shayad usne mask bhi pehen rakha tha or uske haathon m bhi shayad gloves the....

Nida:(kuch sochte huwe) kahin aisa to nhi k woh ladka ya jo bhi tha woh humen kidnapp kr k yahan laaya hai.... or ho sakta hai k woh bhi Munna k liye hi kaam krta ho....!!!

Sidra: lekin mujhe aisa nhi laga, agr woh Munna k liye kaam krta to woh Munna k us gunde ko kyun maarta or mujhe kyun bachaata !!!

Nida: kya saboot hai k usne tmhe bachaane k liye gunde ko maara, aisa bhi ho sakta hai k isne bss apne raaste k kaante jo hataya ho (jo k sach hi tha), wrna woh humen wahan se laata hi kyun woh bhi hamari marzi k baghair Behoshi hi haalat m....

Sidra: ho sakta hai k wahan usse khatra mehsoos huwa ho is liye usne aisa kiya, ( ye baat bhi sach thi, wahan pr khatraa to thaa hi). Or phir mujhe us se koi negativity feel nhi hiiii ...

Nida: ooo Miss positive, tera to pata nhi lekin mujhe to yahan pr sirf negativity hi feel ho rhi hai to jaldi kr yahan se nikalte hain....

Sidra: sabat kr pehle baaher chal kr dekhte hain k woh kahan hai uss se baat kr k hi kuch faisla Karen ge.... or tension mat le hamari gun bhi paas hi hai, agr uske kuch galat intensions hote to woh yun gun hamare paas naa chorta woh bhi bhari huiii....

Sidra ki baat sun kr Nida ne kuch bola nhi bss node krte huwe bed se utar gyiii or phir donon saheliyon ne mil kr ghr ka chappa chappa chaan maara lekin unhr koi nazar nhi aaya. or to or ghr ki haalat se bhi lag rha tha k yahan kaafi time se koi nhi aaya tha....
or main gate bhi baher se band tha ...

Nida ne ek baar phir se bola.....
" dekh mene bola tha na k woh bnda gadbad hai wrna humen is sunsaan ghr m lock kr k nhi jaata"

uski baat sun kr sidra ko bhi laga k shayad usse hi galat fehmi huii hai....

Nida: ab soch kya rhi hai chal pehle ache se sab cheezon ko chek krte hain shayad kuch kaam kr mil jaye, phir nikalte hain yahan se ksii trhaan...

uski baat maante huwe Sidra thodi mayoosi se Checking m lag gyiii...

woh ek baar us Shakhs se milna chaahti thi jo unhe yahan laaya tha, shayad woh unki kuch madad kr sakta tha lekin yun kisi anjaan pr bharosa bhi nhi kiya jaa sakta naa....

kuch hi minutes m unki checking poori ho gyiii lekin unke haath kuch naa aaya,
phir woh wahan se nikalne ka raasta dhoondne lagin or jaldi hi unko back side ek door dikha jis pr lock laga huwa tha....
apni gun k magazine wale part se ek karaara waar krte huwe sidra ne usse tod diya or gate khol kr baaher aa gyiiin ....

saamne ek chota saa lawn tha jisme ghans ugi huii thi jo k kaafi time se kataayiii na hone ki wajah se kaafi badi ho chuki thi woh donon us ghans ko side krte huwe lawn ki external boundary wall tak pohonch gyiin jo k bss 4 feet ki hi thi uss pr chadh kr dusri side utarte hi donon ne ek taraf Jungle ki jaanib daud lagaa diii....

or takreeban 50 minutes chalne k baad woh apne ussi ghr k paas pohonchin jahan woh chupi huii thin....

lekin wahan pohonch kr woh thoda door hi Trees k peeche hi chup kr sab dekhne lagin...
kyun k saamne unko kuch police waale or Forensic wale ghoom rhe the or alag alag jagah se cheezen uthaa kr plastic bags m daal rhe the....

ye dekh Nida aahista se boli...
Nida: lagta hai k police 🚓 waalon ko kisi tarhaan se yahan huiii waardaat ka pata chal gaya hai.... phir usne Sidra ko delhte huwe bola... ab tum kya soch rhi ho ??

Sidra: pehle yahan se chalo phir baat krte hain, agr kisi ne dekh liya to masla ho jai gaa ....

phir dono wahan se nikal gyiin or ek anjaan raah pr chal diin... takreeban 1.5 ghanta chalne k baad woh ek Saibon k baagh



wallpaperflare-com-wallpaper-9
(Apple 🍎 Garden)
m pohonch kr rukin or ek bade se Darakht k saath tek laga kr baith guiiin...

Nida se or ruka nhi gaya to usne phir se apna sawaal dohraaya to uske jawaab m Sidra ne kaha...

" mujhe lagta hai k unhe yeh bhi andaaza ho gaya hoga k wahan pr koi orr bhi mojood tha, or agar unhon ne highly professional way m investigation kii yo kahin unko hamaare baare m naa pata chal jaye, agar aisa huwa yo hamari mushkilaat m izaafa hi hoga kyun k Munna k links police department 🏬 m bhi hain, or ye bbi ho sakta hai k ussii ne police ko yahan bheja ho jab uske bheje gunde waapa nhi aye to.... ya ho sakta hai k Café m jo huwa woh to chupne se raha to police uski investigation kr rhi ho or shayad un gundon ne hamaara peecha krte huwe kuch nishaan chodd diye hon ge jis ki madad se police wahan pohonch saki, lekin jo bhi ho ab hamen yahan se nikalna hogaa...
or ab hamen poori koshish krni hai k Munna k haath aye uska khaatma kr den.

Nida: ( heraani se usse dkehte huwe) tum itna sab kaise soch leti ho, or itna easily sab bol deti ho jaise koi badi baat hi nhi hai...

Sidra: (Muskuraate huwe 😇) bss yrr haalaat insaan ko aisa bana dete hain k woh har baat ko bohot gehrayii se sochta hai, or koshish rehti hai k har qadam sambhal kr rakha jaye. or mere saath bhi aisa hi hai, waqt or haalaat ne muje aisa bana diya hai, bss isiiiye me itna soch keti hun.

Nida: acha to ab batao k ab hum kahan jain ? ab to chupne ki koi jagah bhi nhi hai or phir humen apna mission (Munna k against) bhi to poora krna hai.

Sidra: hamaara mission to zaroor poora ho gaa, lekin abhi sabse pehle humen kahin theherne ki jagah dhoondni hogiii, woh saamne dekho ek Ladki yahin aa rhi hai chalo us se baat krte hain....

Nida usse rokna chaahti thi (woh kisi anjaan pr bharosa krne ka risk nhi lena chahti thi) lekin Sidra to pehle hi uth kr aage badh chuki thi...
aage jaate huwe usne us ladki ko rok kr us se baat krne lagi ..

Sidra: Asalamoalikum, mera name Sidra hai or woh meri fire hai (nida ki taraf ishaara krte huwe)...

Ladki: WaAlaikumAsalm, mera name komal hai bataiye k me kaise aapki madad kr Sakti hun, waise aapko dekh kr lagta hai k aap kaafi thaki huii hain, agr aap chaahen to mere saath mere ghr chal sakti hain wahan pr aap log kuch araam bhi kr dakti hain or me Maa ko bol kr apke liye kuch khaane ka intezaam bhi krwaa dun gi.

Sidra: bohot shukriya Komal, sach m abhi humen bss yehi sab to chahiye or dekho tum mil gyiii, Thank you so much, waise tum hosheyaar ho jo humen dekh kr hi sab samajh gyiii...

Komal: isme thanks ki kya baat hai, aap hamari mehmaan ho or Mehmaan ki khidmat krna unka khayaaal rakhna to sawaab ka kaam hai, or rhi baat mere sab samjhne ki to ye jagah baaki sheher(city) se hat kr hai to yahaan pr koi aata jaata nhi hai bss agr koi aata bhi hai to yaa to woh picnic manaane kisi tour k liye aate hain, woh bhi kabhi kabhi hi hota hai ya phir aap jaise kuch bhatke huwe musaafir aa jaate hain..

Nida: waise sahi kaha tumne ye jahah city se kaafi alag thalag hai, waise tumhaare ghr m or kon kon hai or tumhaara guzaara kaise hota hai ??

ab unhon ne aahista aahista chalna start kr diya tha or Komal unko guide krte huwe apne ghr le kr jaa rhi thi jo k paas m hi tha...
Nida k sawaal pr woh muskuraayii or jawaab diya.

Komal: mere ghar m me hun, meri Maa hain or ek chota bhai hai kaif, bss hum 3 hi hain, or hamara guzaara to is baagh se hi ho jaata hai jo mere abu ko kisi ne gift m diya tha, or phir Paas hi Daryaa (River) hai to wahan se machiyaan pakad lete hain or zaroorat se zeyaada jo machiyaan or Apples hote hain unko bech kr raashan ka samaan aa jata hai....

Sidra thode mohtaat lafzon m boli...
"to kya tumhaare abu nhi hain, mtlb k woh kahin gye huwe hain yaa "
itna bol woh ruk gyii or Komal ko dekhne lagi...

Komal ne ek aaahhh bhari or muskuraate huwe jawaab dene lagii (lekin is baar uski muskuraahat m ek dard tha jo Sidra se naa chup saka usne Komal k kandhe pr haath rakh kr usse honsla diya)

phir Komal ne bolna shuroo kiya...
" asal m mere Abu Sheher m nokri krte the, zeyaada to nhi pata pr shayad driver the, unka seth koi acha insaan tha (dil m: kam se kam Abu k zinda rehte tak to) to Tankwaa achi mil jaati thi jis se hamaara guzaara bhi ache se ho jaata tha or bachat bhi ho jaati thi or phir ye baaghr or machiyaan to hain hi, lekin ek din achaanak pata chala k ek accident m Abu ki maut ho gyii hai, pr unki halaat achi nhi thi to unka Janaaza wahin padh kr unhe dafnaa diya gaya or humen bss unke kapde or kuch samaan nishaani k tor pr milaa, jis m unki id or shayad job ka card bhi tha or kuch cheezen bhi thi pr kuch khaas nhi tha.... snif.. sniff 😢😢

uski aankhon m aansoo aa gye the or woh halke halke sisak bhi rhi thi,
Sidra ne saath chalte huwe usse side se apne saath laga liya or usse dilaasa dene lagi...
" sorry mujhe maaf kr do mene anjaane m hi tumhara dard taaza kr diya.. I'm sorry"

Komal: aapko muafi maangne ki zaroorat nhi hai ye dard yo hamesha se andar ghr bana kr baitha hai bss aaj baher nikaalne ka moqa mila yo khud ko rok naa saki... or acha hi hai k jitna baher nikle ga utna kam ho gaa...

Sidra usko gale lagaate huwe " you are such a brave Girl, bohot strong ho tum"

woh aise hi baaten krte huwe komal k ghr tak pohonch chuke the...
lekin pata nhi kyun Nida un ko ajeeb nazron se dekh rhi thi...
un nazron m nafrat thi ya fikr ya koi bechaini ya koi darrr...
lekin kuch to chal rha tha uske dimaagh m...

khair ghr aa gaya tha, jo k ek puraana sa makaan tha
sirf deewaaren hi pakke cement Blocks ki bani hiii thi, chat k liye center m Cement k beams or sides pr lakdi k beams diye gye the or unke opper Cement slabs rakh kr plaster kiya huwa tha...
lekin koi khaas bada ya khoob soorat nhi tha 2 bade kamre the or ek chota sa kamra alag tha jo pehle store room tha lekin ab shayad khali pada tha...
baher ki side ek chota sa kitchen or ek side pr bathroom tha jo k bss normal hi tha naa zeyaada bada na chota...

Komal ne ladki k gate pr lagi chain se thokte huwe awaaz lagayiii..
" Maa darwaaza kholo dekho do mehmaan ayii hain..."

andar se Mid 40 ki ek aurat gate khol baaher ayii or apni beti k saath khadi 2 ladkiyoon ko dekhte huwe salaam kiya, jiska jawaab milne pr usne poocha....

kMaa: beta ye kon hain, lagta hai sheher ki hain, kya ye bhi yahan picnic k liye ayii hain...?

Komal apni Maa ko baat sun hans dii or apne sar pr hi halke se haath marte huwe boli...

" Ufff... mene ye to poocha hi nhi k ye dono kis liye ayii hain, mujhe laga k bhatak gyii hain or thaki huii bhi hain to me inhe yahan le ayii " 😁...

Maa: koi baat nhi beta, tumne acha kiya jo inhe yahan le ayiii, (phir S&N ko dekhte huwe kaha) beta tum dono pehle haath munh dhoo lo phir saath khaana khaate hain....baaki baaten baad m karen ge.

Sidra ne unka shukriya adaa kiya or phir Komal k saath jaa kr haath munh dhoo kr donon sabke saath baith kr khaana khaane lagin, ab tak Kaif bbi aa gaya tha or woh bhi khaana khaane laga tha....

khaane k baad sabhi ek jagah baithe the to kMaa ne hi baat shuroo kiii...

kMaa: haan yo beta ab batao k kaise aana huwa yahan, or tumhari haalat bhi zeyaada achi nhi lag rhi...


Sidra ne thoda hichkichaate huwe jawaab diya. " aunty asal m hamaare paas rehne k liye jagah nhi hai, hum to bss kisi mehfooz thikaane ki talaash m thin k thak kr Aapke baagh m araam krne baith gye the or tabhi hamari mulaqaat Komal se hui or ab hum yahan aapke samne hain..

kMaa: rehne ki jagah nhi hai ! kya matlab beta, kya tumhaari family wale nhi hain ya unhon ne tumhe ghr se nikaal diya hai,... (phir thoda ruk kr) kahin tum log khud to apne ghr se bhaag nhi aa gyii na, koi pyaar vyaar ka chakkr to nhi hai....

Sidra ne ek dard bhari muskaan k saath bola" nhi aunty humaara to koi ghr hai hi nhi jahan se bhaag kr aate or pyaar kya hota hai yo humne kabhi dekha hi nhi hai, jabse hosh sambhaala hai bss dukh or takleefen hi mili hain... or sabse zeyaada dukh tab hota hai jab pata chale k aapki family to hai lekin aap un se mil nhi sakte, milna to door apko to yeh bhi nhi pataa k woh hain kahan dikhte kaise hain, zindaa bhi hain ya nhi...😢😢😓...

kMaa ne usse sambhaala or boli " tumhara matlab kya hai k tumhaari family hai bhi lekin tum unko nhi jaanti to tum ab tak kahan rehti thi or yahan kaise ayiii..??

Sidra: lambhi kahaani hai aunty, phir kabhi moqa mila to zaroor bataoun giiii, abhi yo bss yahan se nikal kr koi mehfooz thikaane ki talaash krni hai...

kMaa: thk hai beta jab tumhara Dil kare tab bata dena, agr tum chaaho to yahan ruk sakti ho...

Sidra: are nhi aunty aapko takleef krne ki zaroorat nhi hai, aapne hamare liye itna kiya or rehne ka poocha woh hi bohot hai uske liye aapka shukriya...

Komal: pr ab aap kahan jao gii ? apke paas to rehne k liye jagah bhi nhi hai !

Sidra: ye to nhi pata lekin agr apni family ko dhoondna hai or apna maqsad poora krna hai to yahan se to jaana hi hogaa, or kab insaan koshish krta hai to raaste bhi ban hi jaate hain...

kMaa: pr tum jaise dhoondho gi unko or phir iske ilaawa kya maqsad hai tumhaara?

Sidra: kisi na kisi trhaan dhoondh hi lun gi, kuch lead haath lagi hai bss ussi ko follow krna pade gaa, baaki baaten abbi nhi bata sakti uske liye sorry...

kMaa: koi baat. hi beta jaisa tumhe behtar lage bss itna hi kahun gi k apna khayaal rakhna or kisi galat sangat se khud ko door rakhna...

phir usne kuch khaana or fruits ek bag m daal kr unhe de diye k aage k safar m kaam ayen ge...
Sidra ne unka shukriya adaa kiya or apne maqsad m kaamyaab hone k baad unse milna ka keh kr woh aage badh gyiiin.

heraani ki baat ye thi k iss poore conversation m Nida bilkul khamosh thi...

woh pata nhi kya soch rhi, lekin itna to pakka tha k usko Komal ki family pr trust nhi tha or shayad woh usse pasand bhi nhi aye the....

khair kisi ne us pr gaur nhi kiya....


ab zara dekhte hain k T1 ne inke ghayab hone k baad kya kiya....

T1 pehle to to apna sarr pakde sofe pr baitha raha phir thodi der baad uth kr dkehne laga k donon bhaagi kahan se hain...


jab woh peeche ki taraf gaya to lawn ka gate khula tha or usne dekha k badi badi ghans bhi dabi huii hai jaise koi yahan se guzara hai....

woh foran andar gaya apni gun uthayiii, magazine change ki Drawer se nikaal kr or nishaanon ka peecha krte huwe nikal gaya jungle ki taraf....

jungle kaafi gehra tha


wallpaperflare-com-wallpaper-7

or yehi wajah thi k jo kuch wahan ho tha tha or jo us raat huwa tha kisi ko pata nhi chal saka....

T1 chalte huwe kaafi aage aa gaya tha or kuch hi minutes or chalne k baad woh ussi ghr k saamne tha jahan se usne 2non ladkiyoon ko uthaaya tha...
woh thoda heraan huwa k aakhir itna sab hone k baad bhi woh 2non yahan waapas kyun ayiiin....

Police ki wajah se woh zeyaada paas nhi gaya ek Darakht k peeche se hi sab dekhta raha ...

pr phir kuch sochte huwe woh ulte qadam waapas chal diya.....
ghr m pohonch kr usne socha k kuch araam kr liya jaye...
usne apne gloves 🧤 utaar kr ek side table pr rakh diye phir apne shoes bhi utaare or phir apni hoodie bhi utaar dii... lekin mask ab bhi uske chehre pr mojood tha....
phir woh apna mask utaarne laga.....







or bsss yahin aaj ka update khatam huwaa ..
ab kya chehra bhi dekho ge...
koi nhi jald hi woh bhi pata chal jaye gaa...

baaki aap sabko pata hi hai k kya krna hai 😁😁😁...




Pahle jo suspence bana huva tha vicky aur reader ke liye wo yanha kam ho gaya h but still abhi car wale ko lekar atleast muje toh confusion h ki ye T 1 bla kya h aur kya chata h.....aur sidra aur adaa kuch nuksaan nahi pahuchaya h toh wo dost ho sakta h .....vicky ne bhi sujh bhuj laga kar kaffi kuch solve kar liya h almost wo bhi sahi direction mai he but jab police ayi wanha tab adaa aur sidra ko kuch aur kyo nahi dikha .....but unka bhi sochna sahi h ki police mili ho sakti h gundo se aur unhone ne he police ko piche lagaya ho.....par story mai suspence aur thrill bakhubhi bana huva h jo update ko behad shandar bana raha h.....sidra aur adaa filhal toh sev ke baag mai fal khakar apni bukh mita lengi par wo ab aur gahre jaal mai fansti jayengi jo unke mission mai bahut bahut jayda dikat paida karne wali..h dekhna hoga vicky sab situation ko kaise solve karega
 

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
13,567
84,869
259
UPDATE 29


pichle update m aapne jaana k kaise S&N T1 k ghr (just consider kr lo ) se nikal Komal se mili or uski help lii.... or phir yeh bhi jaana k T1 ne unke peeche unke ghr tak gaya lekin kuch faydaa nhi huwaa or woh wapas aa gaya or uska face reveal hone se bhi reh gaya...

us din k aage se story continue ho gi....




PRESENT TIME....

VIKI'S HOME 🏠


agle din sab apne time se uthe or dining table pr naashte k liye saath baithe the...
Ami or bChachi sab ko serv kr rhi thin,
sabko serv krne k baad woh bhi sabke saath shaamil ho gyiiin...

Natasha krte huwe bhi Viki kahin khoya khoya saa tha...
uske dimaagh m bohot kuch chal rha tha...
jaise woh USB jo usse S&N k thikaane se mili thi, usse Viki ne ab tak check nhi kiya tha... time hi nhi mila bechaare ko,
phir woh bullet jo usse Café se mili thi, jisne usse ek anjaane shak m daal diya tha jiske chalte hi usne Haris ko forensic & Ballistic Reports sabse pehle usse bhejne ko kaha tha or baad m usne dobara message kr k sabhi report's ko hidden rakhne ka bola tha....


or phir uske chachu ki Death ki khabar jaan kr bbi usse kuch doubts ho rhe the, k jaise uske chachu ki Death Dadaji ki death k Kuch hi months baad huii thii or reason wohi accident like jaise Nanaji, Api or phir Dadaji k saath bhi huwa tha, woh baat alag thi k Api ab bhi zinda thiin....
lekin usse shak ho rha tha k uske chachu ki maut bhi is sab se jufi huii hai....
or agr aisa hi tha to iska saaf matlab tha k uske dushman bohot power full hain or unke connection Dusre countries m bhi hai....


lekin ek badi baat ye bhi thi k itna sab hone k baad, jab usne Ali ko bhi bula liya tha lekin ab un janaab ka bo hi bnd jaa rha tha...
or isii liye Viki ne subah hi apni company k ek senior employee ko message kr k Ali ka poocha tha jiska jawaab abhi kuch minutes pehle hi aaya tha jisme likha tha...

" Ali sir to 2 din se apne new project k liye funding or site clearance k liye busy hain, unhon ne yehi batayaa tha uske baad se mera bhi koi contact nhi huwa hai lekin site clearance bhi mil gaya hai or funding ka issue bhi almost solve ho gaya hai, go shayad woh jald hi wapas aa jain"

ye jaan kr Viki kuch had tak satisfied ho gaya tha...


"Are ooo Professor kin sochon m gum hoo, kahin Koi Bank 🏦 heist ki planning to nhi kr rha naa"

ye sun Viki achaanak hi apni soch se baaher aaya or sab ko aise dekhne laga jaise Kisi mo dhoond rha ho phir jab usse Mehwish dikhi to uski nazron ka ye Cyclone ruk gaya...
huwa yeh tha k Viki ko gehri soch m dooba dekh Mehwish ne hi usse reality m laane k liye aisa kaha tha ..


Viki: nnnhi me koi heist plan nhi kr rha or naa hi mujhe koi aisa shoq hai ...

Nosheen (Phupho): ek to pta nhi is ladki ko kab akal aye gii, itni badi ho gyii bai bacchon ko padhaati hai lekin khud bacchon jaisi harkaten krti hai khaas kr k Viki k saamne, kuch socha kr bolne se pehle bss kuch bhi bol deti hai...


sabke saamne Apni maa ki pyaar bhari daant sun kr Mehwish munh utar sa gaya, jo k apne Robin Hood Professor,mtlb k Viki se dekh nbi gaya (😁😁), or usne baat ko sambhaalte huwe kaha...


" are phupho usse mat daanten, ye to uska or mera mazak hai jo k ye Wednesday kabhi kabhi hi krti hai or uss pr bhi aap usse daant rhi hain" 😁


Viki ko apni side lete dekh Mehwish ka bhi mood thk ho gaya or foran se boli...

" dekha Ami usse bhi koi problem nhi hai, to aap bhi tension naa liya karo apna to chalta hai, (phir achaanak se jaise usse kuch yaad aaya to Viki ki ko ghoorte huwe boli) youuuu aaargghhhh, tumne phir se mujhe Wednesday kaha, kitni baar mana kiya hai k mujhe is name se naa bulaya karo...


Viki: hahahaha, yrr ab me kya Karun tumhara character hi uske jaisa hai kabhi bilkul apne m rehti ho to kabhi achaanak se hi mazaak krne lagi ho phir ek dam se ghussa ho jaati ho, just like now, or phir us pr tumhare looks ,😅😅


Viki or Mehwish ki jugalbandi ko sabhi enjoy kr rhe the lekin tabhi Abu ko yaad aaya k Viki kuch tension m lag. rha tha or ye baat dab hi gyii hai to unhon ne mahol ki lightness ko dekhte huwe poocha...


" Waise Viki beta kyaa baat hai mene bhi Notice kiya k tum kuch gum sum se the jaise kisi gehri soch m ho, kya baat hai beta koi problem hai to bila jhjhak k batao "

Ami: haan beta yahan sabhi mojood hain to batao, shayad koi solution nikal aye...


Viki ne ek baar sabko dekha or phir muskuraate huwe bola...

" koi khaas tension waali baat nhi hai bss woh new project k baare m hi soch rha tha, asal m site clearance ka kuch issue aa rha tha or phir funding bhi kam thi, but don't worry ab sab thk hai or clearance bhi mil gyii hai or Funding ka kaam bhi bss poora ho gi chuka hai,. Ali laga huwa hai is kaam pr, bas usi k baare m soch rha tha k me yahan hun or wahan woh bechaara phansaa huwa hai, pr khair ab sab kuch takreeban Seattle ho chuka hai ab zayaada kaam engineering department ka hi hai"


Chachu: well yeh to phir achi baat hai, lagta hai k Ali m kuch khaas baat hai jo tum us pr itna bharosa krte ho k company k saara kaam uske hawaale kr k aye ho or baaki bhi Tum aksar uska zikr krte rehte ho.


chachu ki baat sun Viki ne muskuraate huwe jawaab diya...

" baat ye hai chachu k me apne baad agr kisi pr sabse zeyaada trust krta hun yo woh Ali hai, aisa nhi hai k mujhe Sami pr ya baki kisi pr trust nhi hai, balke baat ye hai k me nhi caahta k ye log is sab m involve hon, like business problems or baaki k issue jo hain me us sab se dorr hi rakhna chahta hun filhaal, or phir Ali mere liye Bhai hi hai chaahe khoon ka rishta na ho lekin dil ka, wafadaari ka or dosti ka rishta hi bohot mazboot hai k woh kabhi bhi mujhe begaana mehsoos hi nhi huwaa"


Viki ki baaten sun kr sabhi kaafi impress huwe k kya dosti hai inki...
lekin abhi to inko pata hi nhi tha k Viki or Ali ki dosti ki asal gehrayii kitni hai...


Ami: waise ek baat pr to me us se (Ali se ) khafaa hun k jisse apna bhai bolta hai ussi k Niakah m nhi aaya, (phir Viki ko ghoorte huwe ) yaa tumne bulaaya hi nhi,, usse bataya to hai na ???


Viki: Ami usse sab pata hai,even k mene hi usse bataya tha or invite bhi kiya tha or woh bhi aana chaahta tha lekin kaam sab usse hi dekhna tha to majboori k chalte nhi aa sakaa.. lekin bnde pehle hi mujhe bol diya tha k bhai mujhe ek shandaar treat Chahiye hai... ab jab us se milun ga to baaki kaam baad m pehel us bhukkad ko treat deni padni hai 🤣🤣🤣....


Sadiya Baji: waise tum Ali ko to treat do ge gi lekin shayad humen bhool gye...


Viki: matlab ??? 🙄


Sadiya: oohh come on yrrr me treat ka bol rhi hun, humen bhi to treat milni Chahiye aakhir hamariwajah se hi to tumhe itni achi Bivi mili hai 😁😁😁...


Viki: hainnnn apki wajah se .....😒


Nimra: are bhai ab aisa hai na k Bhabhi meri Phupho ki beti hain to hamari wajah se hi woh apko mili naa...


Viki: haan pr woh yo yumhaari phupho ki beti hai lekin ye Sadiya Baji kahan se beech m aa gyii....?


Nimra: ab hum konsa alag hain heheheh 😁...


Viki: ab samjha me, tum sabne pehle se hi plan bana rakha hai bss mujhe lapetna baaki tha jo ab kiya jaa rha hai....


uski baat pr Sadiya, Fiza, Farah, Ayan,Umar, Faizi, Laiba samet sabhi youngsters ne haami bhai ho hansne lage 🤣🤣...


"Bhaiya please maan jao naa, mera bhi dil kr rha hai aapke sath ghoomne ka, please mana mat krna"


ye awaaz thi Viki ki gudiya yaani k Sonia ki, oski baat sun Viki ne usse apne paas aane ka ishaara kiya or paas aate hi usse apni goddd m bitha liya or bola...


" Acha to meri Gudiya ko bhaiya k saath ghoomne jaana hai ! "


Sonia: g bhaiya, jabse aap aye ho mere saath kahin ghoome hi nhi, bss kisi na kisi kaam m hi lage rehte ho mere saath khlte bhi nhi, ab agr aapne mana kiya to hamaari kattiiii kattiiii kattiiii 😤....


usne ye sab itne funny or ghusse waale andaaz se bola k sabko hansi aane lagi lekin uske naraaz hone k dar se sab ne kisi trhaan khud ko roke rakha....


Viki: (Smiles) are nhi yrrr bhaiya k saath kattiiii naa kro, bhaiya le kr chalen ge naa apni gudiya ko, batao kahan jaana hai lekin sirf aapko baaki sab ko yahin chord kr chale jain ge...


Farah: kyun bhai humen kyun chor kr jao ge, hum bhi saath chalen ge ...


Viki: chal lena or agr koi saath le kr jaye toooo, ne to nhi le kr jaa rha 🥱🥱...


uski baat sunte hi sabka munh aise utar gaya jaise koi inki kidneys le kr bhaag gaya hai or ab inko fiqr ho rhi hai k iPhone kaise len 😅😅😅....


Sabhi youngsters Sonia ko umeed bhari nazron se dekhne lage k ab woh unki sifaarish kr de bcz wk wohi to thi jiski sifaarish Viki sunta bhi...
wrna sabhi badon ne to kudko bacchon ki baaton se laag hi rakha or khamosh baithe inki baaten enjoy kr rhe the...
or Saba usne to khudko Neutral hi rakha tha, woh kuch bhi nhi boli bss muskuraate huwe sab dekhti rhi....
to ab Sonia hi ek waahid option tha ....


Sonia ne bhi hanste huwe kaha... " thk hai me bhaiyaa ko mana lun gi lekin badle m mujhe bhi juch Chahiye...."


SAB: kya chahiye ? jo bolo gi mile gaa !!!


Sonia: aap sab ko homework krne m meri help krni hogi, mujhe dherrr saari chocolate's bhi chahiye orrrrr haan mujhe na ek bada wala teddy Bear 🐻 bhi chahiye hai ..... abhi k liye bss itna hi....


Sab: done ho gaya sab mile ga...


Viki unki haalat k maze le rha tha...phir woh bola " Are meri Gudiya aapko Kisi se kuch maangne ki zaroorat nhi hai aapke bhaiya aapko sab dilayen ge, or haan aap homework m help le sakti ho lekin krna aapko khud hi pade gaa...


unki baaten sun sabko lagne laga k ab jabke Viki khud hi Sonia ko sab de rha hai to woh inki sifaarish nhi kare giii...


Sonia ne bhi unki taraf muskuraate huwe dekha or phir Viki k kaan m kuch boli....to Viki ne bhi sabhi ko dekha to sabka munh utraa huwa tha khaas kr k Mehwish kaa...
us se sabko aise dekha naa gaya or woh bola....

" are ooo Miss Wednesday tension naa lo tumhe bhi le kr jaoun gaa or baaki sab ko bhi le jIn ge... ab dekho me kitna bade dill ❤️ waala hun na 😁😁"


Mehwish: ohh thanks (phir man m: aaya bada, bade dil waala hunnn...) ..


phir jaise usse kuch yaad aaya or woh chilaate huwe bhaagi Viki ki taraf ...

" tumne phir se mujhe Wednesday bola, ab nhi bacho ge tum.... aaj to me sach me tumhara khoon pee jaoun gii"


lekin jo itni aasaani se haath aa jaye woh Viki nhi, Mehwish k us tak aane ze pehle hi woh Sonia ko apni godi m uthaye hi bhaaga or Mehwish uske peeche peeche ghussa krte huwe bhaagne lagi...
obviously woh naatak kr thi thi ghussa hone ka bss Viki k saath masti mazaak krne k liye hi woh aise behave kr rhi thi...


thodi der inki pakdam pakdaayii chalti rhi lekin Mehwish k haath khaali hi rhe or usne haar maan liii or apni sofe pr lambi ho gyiii...
or Viki uske paas hi araam se baith gaya or usse muskuraate huwe huwe dekhne laga, Saba bhi wahin uske baraabar aa kr baith gyii or Sonia Viki ki godi se utar kr aoni Bhabhi k saath chipak gyiii....


sabhi unki is chorr police waali race ko dekh kr hans rhe the...
phir cKhalu bole...

" yrrr ye kya baat huiii tum sabko le kr jaa rhe ho or humen hi bhool gye"


Viki: are nhi khalu aap sab bhi jain ge saath woh to bss aise hi me inke saath masti kr rha tha.


uski baat sunte hi achaanak se Mehwish uthi or uske bazoo pr soft punches ki baarish kr dii...
uski harkat se pehle to sab heraan hue phir hansne lage or Fiza boli...

" iski harkaten dekh kr aisa lagta hai k jaise ye Viki ki doosri bivi ho.. hahahaha 🤣🤣"


uski baat pr sab hansne lage pr Mehwish thoda sa sharmaa gyii jaise sachme woh aisa soch rhi ho...
uska sharmaana kisi or ne dekha ho ya na dekha ho lekin Viki ne dekh liya or woh halka sa shock to huwa lekin phir kuch soch normal bhi ho gaya or bola.


Viki: Mere itne bure din bhi nhi aye hain k is Wednesday se shaadi karun or woh bhi tab jab k Saba jaisi itni achi Bivi hai meri...


Mehwish bhi foran boli: hhh-han to m-mere konsa bure din chal rhe the jo tumse shaadi krti...


Hina jo Mehwish k paas hi baithi thi halka sa jhuk kr uske kaan m boli...

" agr bure din nhi aye to sharmaa kon rha tha, hehehe 😁😁😁 "


uski baat pr Mehwish ne usse ghoor kr dekha to woh peeche hat gayii lekin uska hansna ab bhi jaari tha...


Viki: waise ye to batao k jaana kahan hai, jane ka plan kr rakha hai to location bbi final ki hi hogii...!


Sonia: Plan kiya hai na bhaiya, Zoo chalen ge ....


Viki: lo ab ab zoo bhi jaana hai hai 😋...


Hina: kya matlab, haan kehna kya chahte ho....


Viki: (hanste huwe) kon me, mene to kuch nhi kaha, me to bss munh hilaa rha tha... heheheh 😁😁😁...


Irum:(Saba's sister) bsss karen bhai ab daant andar bhi kar len, sabko pata chal gaya k aapke toothpaste m Namak (salt) hai 😅..


Irum ki baat pr mahol qehqahoon se goonj utha....


Viki: boli bhai boli, ye Titliyoon ki Malika (Butterfly 🦋 Princess ) bolti bhi hai wrna mujhe laga tha iske munh or tape laga huwa hai.... harr time to iska "Panchi banun, Udti phirun Mast Gagan m" chlta rehta tha 🤣🤣🤣...


hahahaha 😅😅😅😅🤣
ek baar phir se sab hans diye lekin apni Titli, i mean Irum ne munh phula liya or chidhte huwe bss itan hi boli....

" 🙎🏼‍♀️.. bhaiiiiiii, jao me nhi Karti aapse baat, hunnnh"


uski is adaa pr ek baar phir sab hansne hi wale the k
.....

Viki: (muskuraate huwe) koi nhi hanse gaa meri Titli pr....😁.


Irum:( Phir se chidhte huwe) bhai please naa 🥺🥺🥺...


Viki: acha baaba nhi kehta kuch, dekho ab me ek dam chup hun, lips are sealed 🤐🤐..


Irum: 😅😅 ab aisa bhi nhi bola bhai k aap kuch bolo hi mat, bss mujhe tang naa karo, aap na bss Mehwish baaji se ladoo...


Mehwish: yaar ab hum ladte thodi naa hain, woh to bss aise hi 😁😁


Saba: ye kya baat hui Irum, woh dono ladte thodi naa hain mazaak krte hain aapas m or tumhare saath bhi mazaak gi kr rhe hain....waise nickname acha hai

" Titli " 😁😁...


Irum:(🙎🏼‍♀️) aap bhi apne shohar ki hi side lo bss...


uski baat pr Mehwish thodi hil si gyiii...uske dimaagh m yehi baat chal rhi thi "Aap bhi apne shohar ki hi side lo bss" (aap bhi) ye lafz usko halka sa bechain kr gye
" bss kr jaag jaa apne khwaab se 😁"


Mehwish to ab bhi apne khayalon m hi thi k usse kisi ki awaz ne hosh m laaya or Mehwish usse ajeeb si kashmakash bhari nazron se dekhne lagi...


wo shakhs: aise mat dekh yrr, ab me kya karun 🥲.


woh log aahista hi bol rhe the k koi sun na sake,
khair ye sab yun hi chalta rha phir Viki ne poocha ..

"ye to batao k jaana kab hai, Abu aap log hi batain! "


Abu: are nhi beta hum log nhi jaa rhe, bss tum bache log hi jao, hum kya karen ge tumhaare saath jaa kr, or phir tum log bhi khul kr enjoy nhi kr sako ge..


Chachu: haan beta Salman shi bol rha hai, tum log hi jao or ache se enjoy karo..


Ami: bsss sab saath hi rehna or ek dusre ka khayaaal rakhna khaas kr in bacchon ka.. ye to sakooon se bethte nhi hain ....


Kashif Mamu: ab tum Bache log hi decide karo k kab jaana hai, hum yo chale apne kaam niptaane...


Samina khala: bss zeyada udham mat machaana baaki khair hai, pata chale tum logon ne yahin chidiya ghar bana liya 😄😄😄..


sabhi bade hanste huwe wahan se khisak liye k kahin bacche kisi trhaan unhe apne saath chalne k liye phansaa hi na len .....
badon k jaan ek baad sab Viki ko dekhne lag...


sabko apni taraf dekhta paa kr Viki sofe pr chonkdi maar kr beth gaya or bola...

" sab mujhe aise jyun dekh rhe ho, le kr to jaa rha hun ab kya date bhi me hi decide karun, dekho jo bhi date final karo kuch din baad ki karna please"


Mehwish: le kr jaa rhe ho to koi enhsaan thkdi na kr rhe ho jo aise jataa rhe ho 😏...


Viki:(haath jodte huwe 🙏) Mehwish please ab tum behes mt krna yrr, mera bilkul bhi mood nhi hai....


uski baat pr Mehwish kuch bolna to chahti thi or woh bolne hi waali thi k achaanak jab uski nazar Viki ki aankhon pr gyii yo usse wahan kuch ajeeb sa mehsoos huwa...
jaise k woh kisi pareshani m hai kisi dard m hai jo qoh sab se chupaye baitha hai....
ye mehsoos kr woh chup hi rahi....


Sonia: bhaiyaa humne decide kiya hai k kal hi jain ge Zoo...


Viki: pr Gudiya abhi to mene bola k kuch din baad ka final karo or aapne phir bhi kal ka decide kr liya..😐


Sonia: pr bhaiyaa humne to kal ka pakka kiya hai, please maan jao na kal jaate hain please 🥺🥺...


usko aise apni taraf umeed bhari nazron dekhta paa kr Viki ek aaah bhari or haar maante huwe bola..

" acha thk hai jaisa Gudiya ne bola hai waisa hi ho gaa hum kal hi jain ge, ab Khush 🙂"


Sonia uski goddd m chadh gyii or uske gaal choom liye...

* Viki k dimaagh m is waqt bohot kuch chal rha tha jaise...
Api ki koi khabar nhi mil rhi thi..
Munna kon hai
woh kya chahta hai, kyun kiya usne itna sab...
Phir café waala incident....
Api k ghr ka haal or woh khoon....
Woh goli jo usse Café se mili thi...338 lapua bullet...
or usse jo mark dikha tha jungle m...
abhi tak Forensic reports bhi nhi ayii thin
ooper se Ali jo k company m busy tha us ka phone bhi nhi lag rha tha...


yehi sab kuch uske dimaagh m chal rha tha or isii liye Viki ki aankhon m halki sii udaasi thi or Mehwish ne dekh li thi...
or yehi wajah thi k woh kuch din baad tak plan ko postpone krna Chahta tha k atleast kuch to lead mil jaiye or tab tak Ali bhi aa hi jaata to woh kuch haf tak be fiqr ho sakta tha lekin woh apni Gudiya ko bhi udaas nhi krna chaahta tha is liye usne haan kr diii... *


Viki k haan krte hi sabhi Khushi se halla machaane lage or jis kaam se Khala ne mana kiya tha wohi krne lage..(ghr ko hi chidiya ghar banaane lage 🤣🤣)...


sabke saath Viki bhi muskuraate huwe baaten kr rha tha lekin do log the jo uski aankhon m chupi udaasi or uske dil m uth rhe dard ko mehsoos kr sakte the....
Saba or Mehwish...


Saba jisse aab maloom tha or woh bhi chahti thi k jald hi sab thk ho jaye...

to dusri taraf thi Mehwish jisse bss itna samajh aa rha tha k Viki pareshan hai or woh bhi chahti thi k uski jo bhi problem hai woh jald hi thk ho jaye....

usne thodi der baad Viki se mil kr discuss krne ka socha or phir uth kr apne room m chali gyiii..


Baaki sab bhi baithe planning krte rahe or baad m apne apne kamaon m lag gye or Saba or Viki bhi apne room m chale gye....









aaj k liye itna hi guys
aap sab aapna kaam kr k jaana..
or apne reviews dena naa bhulen 🙂..



Guys ek zaroori baat krni hai: waise to me ye kehna nhi chaahta tha pr kehna padd rha hai---

Dosto baat ye hai k Me apni taraf se poori koshish kr rha hun k best update dunn or aap sabko entertainment provide kr sakun...
abhi jo Mega update diya tha usse likhne m mujhe almost 6 hours se zeyaada lage the... Lekin response utna acha nhi aaya...

story padhne k baad bhi kuch dost na like kr rhe hain or naa hi Koi review de rhe hain...
bss itni hi request hai k atleast ek like kr diya karo or 2 se 3 lines ka ek review post kr diya karo, koi zeyaada time nhi lagta hai is sab m...
Apki is choti si koshish se writer ko motivation milti hai or story likhne m mazaa aata hai..
or ye bhi pata chalta hai k reader's story se kitna connected hain...

or ye sab sabhi stories k liye hai chaahe jis bhi writer ki ho....
Family ke sath uske ye halke pal vick ke dard ko sabki nazro se toh kam kar sakte h par uske man mai chal rahe tufaan ko shant nahi kar sakte h kyoki ye tufaan agai fatega ....aur sabko le jayega....ali agar ajata toh yakinun vickey ko kaafi help milti sab mai ...par wo bhi vyast h ....aur ye Wednesday mahwish kyo sharma rahi h kanhi vicky ki prem diwani na ho jaye....
vicky jo har kadi dar kadi ko ek sath jodne ki kosisi kar raha h ...usmai sayad wo pen drive jo s&n ke yanha se mili h wo help kar de kuch clue mil jaye...but forensic reports se bahut kuch clear ho jaye ga ...ab dekhna ye h ki in sabse alag sidra aur adaa kya karti h...kyoki unhe bhi T1 dhundh raha hoga....aagai aur thrill hone wala h ....
behtrin update lion 🦁 heart bro .....
apne sahi kaha ek update likhne mai bahut time lagta h mai just maths reasoning mai 7.30 se dimag khapkhapakar araha hu phir as per promise apke update padhkar review diye h ab dus minut gane soonkar english ki preparation karunga ...update se lekar har chij mai mehnat lagti h......jo ap aur main bhalo bhatti jante h.......
 
360
589
94
Update 1.

" are yrr kya kr rha hai vikki itni jaldi kis baat ki hai tujhe! Tu to aise kr rha hai jaise Teri baaraat aane wali ho or tu late na ho jaye"

"Beta meri baaraat nhi aarahi pr teri rkhsati ka time zaroor hone wala hai, ek bhai hone ka frz to mujhe poora krna hi pade ga naa, or jaldbaazi is liye kr rha hun k aakhir teri doli jo mujhe uthaani hai ab bhai nhi kare ga to kon kare gaa 🤣".

"Yrr tu bhadak q rha hai or me ladka hun ladki nhi jo tu meri doli uthaye gaa or me bhai hun tera koi behen nhi samjha 😤".

Vikki: Pta hai dost kam bhai hai tu mera or shukr kr behen bol diya tujhe wrna kaam to tere lugaiyoon wale hain, jab dekho ye kya kr rha hai q kr rha hai. Or me bhadakk nhi rha tha yrr mazak kr rha tha dil pr naa lena baaki Gurde, phephde pr bhale hi le le 😁.

Ali: dekh tu phir mujhe tang kr rha hai kabhi bhai bolta hai to agle hi second behan aakhir tu chahta kya hai, or ye dil pr naa lun kidney etc pr bhale hi le lun kya mtlb hai tera ?

Vikki: are yrr dil to ek hi hai tere passs or uspe bhi kisi or ka kabzaa hai to uska risk nhi le sakte naa or kidney to 2 hoti hain na isii liye bola .

Ali: mere dil pr kisi ka kabzaa nhi hai or tu baat mat ghumaa seedha seedha bata k itni jaldi m kaaam q niptaa rha hai pehle to tu hi bolta tha k araam se kaam karo to ab kya huwaa, kahin jaa rha hai kya tu ?

Vikki: haan yrr wo baat ye hai k me kal apni family k saath apne gaon jaa rha hun.

Ali: acha to ye baat hai! pr isme itna excited hone wali kya baat hui? Gaon hi to jaa rha hai koi Switzerland thodi na jaar rha hai 😆.

Vikki: tu nhi samjhe gaa yrr .

Ali: to samjha naa bhai, kahin tera kisi k saath gaon m chakkar to nhi chl rha naa ?

Vikki: abe nhi koi chakkar nhi chal rha mera kisi k saath or agr aisa hota bhi to tujhe sabse pehle pata chaltaa na aakhir lugayiiii jo hai tu meri 🤣🤣.

Ali: haan yeh to hai,(thoda ruk kr jaise kuch yaad aaya ho) ek minute tune phir se mujhe lugayiiii bola naa.

Vikki: nhi mene to ye nhi bola, tune aisa suna kya ?

Ali: haan tun bola tha to sunuon ga hi naa .

Vikki: nhi bhau mene nhi bola tere kaan baj rhe hon ge 🙂.

Ali: tu baat naa ghumaa saaf saaf bata baat jya hai ?

Vikki: yr koi khaas baat nhi hai or agr hai bhi to atleast mujhe nhi maloom bcz ye plan Ami Abu ka hai mujhe to khud 2 din pehle bataya gaya hai isii liye me jaldi kaam niptaa rha hun .

Ali: acha to aisa hai kya to phir tere chehre pr ye excitement q dikh rhi hai ?

Vikki: bhai baat ye hai k tujhe to pata hi hai k me bohot lambe time se out of city nhi gaya specially gaon agye huwe to bohot time ho gaya hai to itne time baad jaa rha hun to thodi excitement to usual hi hai naa yrr. Gaon ka wo khamosh or sukoon wala mahol, khushnumaa mosam, lehlahaate khet, wo subah or shaaam ki thandii Hawaiian or bhi bohit sii chizwn hain yrr. Or ab to suna hai k pehle se kaafi developed ho gaya hai pakki sadken, school 🏫, College or bhi bohot kuch to bss isii liye thoda excited hun.

Ali: acha chl thk hai pr wahan jaa kr bhool mt jaana apne is bhai ko.

Vikki: me koi permanently wahin basne nhi jaa rha bss kuch time k liye jaa rha hun, or tu koi bhoolne wali chiz thodi hai.

Ali: waise ye achaanak plan kaise ban gaya.

Vikki: pta nhi yrr bataya to hai tujhe k mujhe khud 2 din pehle bataya hai Ami n jaane ka, or ab plans achaanak hi ban jaate hain pr ye plan q bana ye to ab gaon jaa kr hi pata chale gaa.

Ali: chl koi baat nhi dheyaan rakhna bss Sabka or khaas tor pr apna khayal rakhna. Have a Safe Journey.

Vikki: thanks yrr, chl bye take care.

Ali: ok bro bye and you too take care.





Aj k liye itna hi
Padhiye or apni Raye se aagah krna naa bhulen.
Fantastic mazedaar fabulous update sir😍😍😍😍.
 
360
589
94
FAMILY INTRO

Thoda family into kr lete hain.

Father: Salman Rajput, age 48, ek achi khaasi job hai upper middle class hain ye log, loving and caring hain.

Mother: Ghazaala Rajput, age 45, house wife hain, also loving and caring .
Inke 2 bacche hain 2non hi ladke hain.

Waqas(Viki), age 20. achi physics ka maalik hai, kaafi handsome hai or dil ka bhi saaf hai, abhi Kuch time pehle hi apna DAE complete kiya hai (CIT) ka or abhi ek achi jagah as an Cheif IT job kr rha hai, fresher hai pr apni field m kaafi acha hai to ye job asaani se mil gyiii.

Sami Rajput age 18, abhi College m hai, yeh bhi achi physics ka maalik hai bss bade bhai jitna nhi hai pr handsome to hai thoda hi sahi lekin hai 😁.


(Inki family ke kuch gehre or dardnaak raaz hain jo bohot kam log jaante hain, sirf khaandaan k kuch badon ko hi maloom hai bache nhi jaante. Iske baare m aage pta chale gaa).
}



Baaki relatives ho Village m rehte hain.

Inka gaon wala ghr koi pushtaini type nhi tha pr sab as a joint family hi rehte the Viki ki khala, uske mamu, chachu, phupho sabhi .
Inke ghr ek hi gali m ek hi line m the, or sabhi ghr ek 2sre k baraabar m the to inhon ne mil kr sabhi gharon k baher ek boundary wall banwaa rakhi thi like a society or a Haveli type jaise haveli m sabhi log saath rehte hain pr buildings alag alag bani hoti hain lekin outer boundary ek hi hoti hai waisa hi yahaan bhi tha.


Ab thoda intro bhi kr lete hain sabhi members ka.

{
< Sabse pehle baat krte hain viki k Mamu ki

Kashif: age 47, gaon k hain to sehat yo achi hi hogi naa, or inka Transport ka kaam hai gaon se jo Faslen katti hain chahe phal hon ya sabziyaan ho ya phir anaaj usse city tk pohonchana or phir city se jo Khaad or Flour aata tha usse yahan laana .
Married hain ye inke 2 bache hain ek ladka ek ladki.

Mami: Shabana: age 46, haouse wife hain simple sii.

Beti:Sadiya: age 23, MBA kiya hai, abhi free hi hai.

Beta:Ayan, age 19 abhi college complete kiya hai .>



Viki ki 2 khala hain.

< 1st khala
Samina: age 43, married hain house wife hain nature ki achi hain. Inke husband ki death ho chuki hai. Inke bhi 2 bache hain ek beti ek beta.

Beta: Umar; age 18, college k final paper diye hain abhi.

Beti: Nimra; age 16, abhi college m admission liya hai isne .>



< Choti Khala
Shumaila: age 35, married hain.

Khalu: Ubaid; age 37, inka garments ka kaam hai.
Inki sirf 1 hi beti hai

Sonia: age 7, Vikii ki to jaan hai pehle kabhi milii nhi hai us se pr video call pr ya phone 📱 baat krti hai yo bss phir koi rok nhi mobile nhi le sakta is se.>



Viki k 2 chachu hain.

< Bade Chacha

Hamid: Age 51, inke fruits k baagh hain. Nature k thode sakht hain aakhir sabse bade jo hain waise kam hi gussa krte hain.

Badi chachi: Huma; age 49, Bade chacha se thoda ulat ye thodi naram dil hain gussa bohot hi kam kabhi aye to .
Inke 3 bache hain.

Badi beti: Fiza; age 24, BBA kiya hai .

Beta: Faiz; age 25, Engineering ki hai or City m rehta hai Viki wale nhi, married hai abhi kiye koi khaas role nhi hai future ka kuch keh nhi sakte.

Choti Beti: Farah; age 23, MBA kiya hai, abhi free hi hai. >



< Chote Chacha
Khalid: age 44, ye out of country rehte hai apne bivi bachon k saath.
>



< Phupho:
Nosheen; age 43, husband ki death ho chuki hai, baaki family support krti hai, apne bachon ko khud paala hai

Badi beti:Mehwish; age 22, Teaching krti hai

2nd beti: Hina; age 21, Media Management kr rhi hai.

3rd Beti: Laiba; age 18, abhi college end huwa hai.

Beta: Faizan(Faizi) age 15, abhi school m hai. >

}

Ye tha family intro .


Or bhi characters ayen ge or unka intro waqt pr ho jaigaa sirf un logon ka jinka intro zaroori hoga.


Aaj k liye itna hi milte hain jald hi agle update k saath tab tk saath bane rahiye or apne likes or reviews dena naa bhulen 🙂.
Sundar update lovely family 😍😍😍.
 
360
589
94
Update 3


Next day


"Viki beta utha jaa kab se sooo rha hai, subah utha tha Namaz padh k phir soo gaya, chl jaldi uth"

Viki: ami sone doo na yrr thakaa huwa hun me .

Ami: q aisa kya kaam kr liya tune k thakaa huwa hai, konsa kheton m hallll chala kr aaya tha kal ? Gaon jaana hai aaj or tu abhi tk soo hi rha hai.

Viki: Ami aaj gaon jaana hai, ek to aap logon ne mujhe 3 din pehle bataya is baat ka to ohir mujhe apna pending kaam saara 3 din m krna padaa Or wo jo baaki k employees the mere under unko alag se saara kaam samjhaaya hai k kya krna hai kaise krna hai waghaira waghaira. Tab jaa kr jaan chuuti hai to thakna to hai hi naa. Or gaon train 🚆 shaam ki hai naa to abhi q jagaa rhi ho konsa train 🚆 mene chalani hai .

Ami: beta train 🚆 nhi chalani tumne lekin tayyari yo krni hai na samaan kon pack kare ga tumhaara ?

Viki: Ami meri packing ho gyii hai. mera Laptop, laptop charger, mobile charger, power bank, handsfree etc sab to rakh liya hai mene .

Ami: to beta ek kaam krna pehenna bhi laptop hi haan, kapde nhi rakhne tujhe kya ek hi jode m ghooomta rahe poora time ?

Viki: wo to mujhe pta hai aapne packing kr di hogi mere kapdon ki bhi isii liye soo rha tha, afterall app meri pyaari ami jo ho 😁.

Ami: beta ami to me hun tumhaari or ab ye maske lagaane ki zaroorat nhi hai mene packing kr di hai to ab utho nahao tayyar ho jaa kr shaam m nikalna bhi hai or tumhe ptaa hai k shaam ko traffic kiyna jamm hota hai to jaldi nikalna hai.

Viki: acha thk hai jaa rha hun.

" Ye hain hamari story k main character Waqas aka Viki, aisaa hi hai ye apne kaamon m thoda careless atleast baaki logon ko to aisa hi lagta hai ".


Shaam theek 5:30 pr sabhi log Railway 🚂 Station pr pohonch jaate hain or train 🚆 bhi time pr hi thi jo apne m ek miracle se kam nhi hota pr ho gaya tha. Ali bhi aaya huwa tha apne Dost ko see of krne.

Ali: chl yrr ab teri train ka time ho gaya hai to me bhi nikalta hun apna or baaki sabka khayaal rakhna, waise tujhe bolne ka koi faida to hai nhi pr ab formality bhi to poori krni hai na 🤣.

Viki: chl ab zeyaada daant na nikaal rakhun ga sabka khayaal or tu bhi dheyaan rakhna jaldi hi milen ge or haan araam se jaiyoo ghar mujhe pata hai tere Rideron wale keede ka to .


Ali: acha thk hai araam se hi jaoun gaa, Chl ok bye Have a Safe Journey ❤️.


Viki: Thanks bhai, bye and take care. 🙂

Or Ali wapas chl deta hai apne ghr aaj wo.jaldi aagaya tha office se apne dost ko station chorne k liye. (Iske ghr m isko Ami Abu ek bada bhai hai or ek Badi behen hai jinki shaadi ho chuki hai bhai ki bhi jaldi hi ho jaye gii Rishta pakka ho chuka hai unka bhi, Ali bhi Viki k saath ek hi College me padhta tha wahin 2non hi dosti huii or dekhte hi dekhte ye 2non Best Friends ban gye, ye bhi viki ki age ka hi hai bss viki se kuch months badaa hai ).

Wahin Train 🚆 chal padi thi apni manzil ki taraf. Apna Viki bhi masti m safar ko enjoy kr rha tha or Gaon m ghoomne phirne or naa jaane kis kis cheez ka khwaab dekh rha tha pr isko kya pata ka ye safar ka ikhtetaam usse kis naye safar pr le kr jaane wala hai, or uski qismat m kya likha hai ab ye to aaane wala waqt hi bataye gaa.

Aakhir kaar 16 ghante k safar k baad ye log pohonch jaate hain apne gaon .


AT VILLAGE RAILWAY 🚂 STATION

Jaise hi train gaon k station pr rukti hai sabhi musaafir jinki manzil yehi thi woh sab utarnaa start kr dete hain yo Viki and family bhi sabhi ki trhaan apna samaan uthaa kr train se utarte hain or station k gate ki taraf .
Gaon ka mahol hi kuch alag tha abhi yeog station pr hi the jahan jaafi bheed bhaad thi aane or jaane wale logon ki pr phii bhi ek alag hi feel aa rahi thi. Gaon ki hawaon m hi ek alag positivity thi jo sbko ek sakoon de rhi thi wahin apne Viki baabu yo jaise kho hi gye hon.

Train 🚆 se utarte hi Viki chaaron taraf aise dekhne laga tha jaise kisi ko dhoond rha ho usko aise dekh kr Abu bole.

Abu: beta ye aise ulluuu ki trahan chaaron taraf gardan q ghumaa rha hai .

Viki: Nhi wo me dekh rha tha koi lene nhi aaya abhi tk .

Abu: wah beta tu koi chota baccha hai ya pahli baar aaya hai yahan jo koi lene ayega or waise bhi kisi ko ye nhi pata hai k hum kitne baje aane wale hain.

Viki: nhi mene bola ab itna bada superstar aaaya hai to koi to ayega hi naa lene lekin koi nhi aaya pr ab aap bol rhe ho to thk hai kisi ko nhi pta to jaane dete hain. (viki ne bade style se chaude hote huwe ye baat boli).

Abu: hainnnn kon superstar beta ?

Ye sun kr Viki ka to munh hi dekhne wala ho gaya tha jis style se janaaab ne khud ko superstar bola tha uspar Abu k jawaab se suthri wali ho gyiii bechare kii .

Haste haste sabhi station se baher aate hain or taxi le kr chl dete hain apni manzil ki taraf.

Inka gaon wala ghr koi pushtaini type nhi tha pr sab as a joint family hi rehte the Viki ki khala, uske mamu, chachu, phupho sabhi .

Inke ghr ek hi gali m ek hi line m the, or sabhi ghr ek 2sre k baraabar m the to inhon ne mil kr sabhi gharon k baher ek boundary wall banwaa rakhi thi like a society or a Haveli type jaise haveli m sabhi log saath rehte hain pr buildings alag alag bani hoti hain lekin outer boundary ek hi hoti hai waisa hi yahaan bhi tha.



Aaj k liye itna hi
padh kr apne Likes or reviews zaroor dijiye gaa . 🙂
Fantastic fabulous mazedaar update😍😍😍😍.
 

SHADOW KING

Supreme
15,885
32,821
259
Family ke sath uske ye halke pal vick ke dard ko sabki nazro se toh kam kar sakte h par uske man mai chal rahe tufaan ko shant nahi kar sakte h kyoki ye tufaan agai fatega ....aur sabko le jayega....ali agar ajata toh yakinun vickey ko kaafi help milti sab mai ...par wo bhi vyast h ....aur ye Wednesday mahwish kyo sharma rahi h kanhi vicky ki prem diwani na ho jaye....
vicky jo har kadi dar kadi ko ek sath jodne ki kosisi kar raha h ...usmai sayad wo pen drive jo s&n ke yanha se mili h wo help kar de kuch clue mil jaye...but forensic reports se bahut kuch clear ho jaye ga ...ab dekhna ye h ki in sabse alag sidra aur adaa kya karti h...kyoki unhe bhi T1 dhundh raha hoga....aagai aur thrill hone wala h ....
behtrin update lion 🦁 heart bro .....
apne sahi kaha ek update likhne mai bahut time lagta h mai just maths reasoning mai 7.30 se dimag khapkhapakar araha hu phir as per promise apke update padhkar review diye h ab dus minut gane soonkar english ki preparation karunga ...update se lekar har chij mai mehnat lagti h......jo ap aur main bhalo bhatti jante h.......
sidra and nida ..not adaa.
s& n
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
16,265
40,895
258
UPDATE 29


pichle update m aapne jaana k kaise S&N T1 k ghr (just consider kr lo ) se nikal Komal se mili or uski help lii.... or phir yeh bhi jaana k T1 ne unke peeche unke ghr tak gaya lekin kuch faydaa nhi huwaa or woh wapas aa gaya or uska face reveal hone se bhi reh gaya...

us din k aage se story continue ho gi....




PRESENT TIME....

VIKI'S HOME 🏠


agle din sab apne time se uthe or dining table pr naashte k liye saath baithe the...
Ami or bChachi sab ko serv kr rhi thin,
sabko serv krne k baad woh bhi sabke saath shaamil ho gyiiin...

Natasha krte huwe bhi Viki kahin khoya khoya saa tha...
uske dimaagh m bohot kuch chal rha tha...
jaise woh USB jo usse S&N k thikaane se mili thi, usse Viki ne ab tak check nhi kiya tha... time hi nhi mila bechaare ko,
phir woh bullet jo usse Café se mili thi, jisne usse ek anjaane shak m daal diya tha jiske chalte hi usne Haris ko forensic & Ballistic Reports sabse pehle usse bhejne ko kaha tha or baad m usne dobara message kr k sabhi report's ko hidden rakhne ka bola tha....


or phir uske chachu ki Death ki khabar jaan kr bbi usse kuch doubts ho rhe the, k jaise uske chachu ki Death Dadaji ki death k Kuch hi months baad huii thii or reason wohi accident like jaise Nanaji, Api or phir Dadaji k saath bhi huwa tha, woh baat alag thi k Api ab bhi zinda thiin....
lekin usse shak ho rha tha k uske chachu ki maut bhi is sab se jufi huii hai....
or agr aisa hi tha to iska saaf matlab tha k uske dushman bohot power full hain or unke connection Dusre countries m bhi hai....


lekin ek badi baat ye bhi thi k itna sab hone k baad, jab usne Ali ko bhi bula liya tha lekin ab un janaab ka bo hi bnd jaa rha tha...
or isii liye Viki ne subah hi apni company k ek senior employee ko message kr k Ali ka poocha tha jiska jawaab abhi kuch minutes pehle hi aaya tha jisme likha tha...

" Ali sir to 2 din se apne new project k liye funding or site clearance k liye busy hain, unhon ne yehi batayaa tha uske baad se mera bhi koi contact nhi huwa hai lekin site clearance bhi mil gaya hai or funding ka issue bhi almost solve ho gaya hai, go shayad woh jald hi wapas aa jain"

ye jaan kr Viki kuch had tak satisfied ho gaya tha...


"Are ooo Professor kin sochon m gum hoo, kahin Koi Bank 🏦 heist ki planning to nhi kr rha naa"

ye sun Viki achaanak hi apni soch se baaher aaya or sab ko aise dekhne laga jaise Kisi mo dhoond rha ho phir jab usse Mehwish dikhi to uski nazron ka ye Cyclone ruk gaya...
huwa yeh tha k Viki ko gehri soch m dooba dekh Mehwish ne hi usse reality m laane k liye aisa kaha tha ..


Viki: nnnhi me koi heist plan nhi kr rha or naa hi mujhe koi aisa shoq hai ...

Nosheen (Phupho): ek to pta nhi is ladki ko kab akal aye gii, itni badi ho gyii bai bacchon ko padhaati hai lekin khud bacchon jaisi harkaten krti hai khaas kr k Viki k saamne, kuch socha kr bolne se pehle bss kuch bhi bol deti hai...


sabke saamne Apni maa ki pyaar bhari daant sun kr Mehwish munh utar sa gaya, jo k apne Robin Hood Professor,mtlb k Viki se dekh nbi gaya (😁😁), or usne baat ko sambhaalte huwe kaha...


" are phupho usse mat daanten, ye to uska or mera mazak hai jo k ye Wednesday kabhi kabhi hi krti hai or uss pr bhi aap usse daant rhi hain" 😁


Viki ko apni side lete dekh Mehwish ka bhi mood thk ho gaya or foran se boli...

" dekha Ami usse bhi koi problem nhi hai, to aap bhi tension naa liya karo apna to chalta hai, (phir achaanak se jaise usse kuch yaad aaya to Viki ki ko ghoorte huwe boli) youuuu aaargghhhh, tumne phir se mujhe Wednesday kaha, kitni baar mana kiya hai k mujhe is name se naa bulaya karo...


Viki: hahahaha, yrr ab me kya Karun tumhara character hi uske jaisa hai kabhi bilkul apne m rehti ho to kabhi achaanak se hi mazaak krne lagi ho phir ek dam se ghussa ho jaati ho, just like now, or phir us pr tumhare looks ,😅😅


Viki or Mehwish ki jugalbandi ko sabhi enjoy kr rhe the lekin tabhi Abu ko yaad aaya k Viki kuch tension m lag. rha tha or ye baat dab hi gyii hai to unhon ne mahol ki lightness ko dekhte huwe poocha...


" Waise Viki beta kyaa baat hai mene bhi Notice kiya k tum kuch gum sum se the jaise kisi gehri soch m ho, kya baat hai beta koi problem hai to bila jhjhak k batao "

Ami: haan beta yahan sabhi mojood hain to batao, shayad koi solution nikal aye...


Viki ne ek baar sabko dekha or phir muskuraate huwe bola...

" koi khaas tension waali baat nhi hai bss woh new project k baare m hi soch rha tha, asal m site clearance ka kuch issue aa rha tha or phir funding bhi kam thi, but don't worry ab sab thk hai or clearance bhi mil gyii hai or Funding ka kaam bhi bss poora ho gi chuka hai,. Ali laga huwa hai is kaam pr, bas usi k baare m soch rha tha k me yahan hun or wahan woh bechaara phansaa huwa hai, pr khair ab sab kuch takreeban Seattle ho chuka hai ab zayaada kaam engineering department ka hi hai"


Chachu: well yeh to phir achi baat hai, lagta hai k Ali m kuch khaas baat hai jo tum us pr itna bharosa krte ho k company k saara kaam uske hawaale kr k aye ho or baaki bhi Tum aksar uska zikr krte rehte ho.


chachu ki baat sun Viki ne muskuraate huwe jawaab diya...

" baat ye hai chachu k me apne baad agr kisi pr sabse zeyaada trust krta hun yo woh Ali hai, aisa nhi hai k mujhe Sami pr ya baki kisi pr trust nhi hai, balke baat ye hai k me nhi caahta k ye log is sab m involve hon, like business problems or baaki k issue jo hain me us sab se dorr hi rakhna chahta hun filhaal, or phir Ali mere liye Bhai hi hai chaahe khoon ka rishta na ho lekin dil ka, wafadaari ka or dosti ka rishta hi bohot mazboot hai k woh kabhi bhi mujhe begaana mehsoos hi nhi huwaa"


Viki ki baaten sun kr sabhi kaafi impress huwe k kya dosti hai inki...
lekin abhi to inko pata hi nhi tha k Viki or Ali ki dosti ki asal gehrayii kitni hai...


Ami: waise ek baat pr to me us se (Ali se ) khafaa hun k jisse apna bhai bolta hai ussi k Niakah m nhi aaya, (phir Viki ko ghoorte huwe ) yaa tumne bulaaya hi nhi,, usse bataya to hai na ???


Viki: Ami usse sab pata hai,even k mene hi usse bataya tha or invite bhi kiya tha or woh bhi aana chaahta tha lekin kaam sab usse hi dekhna tha to majboori k chalte nhi aa sakaa.. lekin bnde pehle hi mujhe bol diya tha k bhai mujhe ek shandaar treat Chahiye hai... ab jab us se milun ga to baaki kaam baad m pehel us bhukkad ko treat deni padni hai 🤣🤣🤣....


Sadiya Baji: waise tum Ali ko to treat do ge gi lekin shayad humen bhool gye...


Viki: matlab ??? 🙄


Sadiya: oohh come on yrrr me treat ka bol rhi hun, humen bhi to treat milni Chahiye aakhir hamariwajah se hi to tumhe itni achi Bivi mili hai 😁😁😁...


Viki: hainnnn apki wajah se .....😒


Nimra: are bhai ab aisa hai na k Bhabhi meri Phupho ki beti hain to hamari wajah se hi woh apko mili naa...


Viki: haan pr woh yo yumhaari phupho ki beti hai lekin ye Sadiya Baji kahan se beech m aa gyii....?


Nimra: ab hum konsa alag hain heheheh 😁...


Viki: ab samjha me, tum sabne pehle se hi plan bana rakha hai bss mujhe lapetna baaki tha jo ab kiya jaa rha hai....


uski baat pr Sadiya, Fiza, Farah, Ayan,Umar, Faizi, Laiba samet sabhi youngsters ne haami bhai ho hansne lage 🤣🤣...


"Bhaiya please maan jao naa, mera bhi dil kr rha hai aapke sath ghoomne ka, please mana mat krna"


ye awaaz thi Viki ki gudiya yaani k Sonia ki, oski baat sun Viki ne usse apne paas aane ka ishaara kiya or paas aate hi usse apni goddd m bitha liya or bola...


" Acha to meri Gudiya ko bhaiya k saath ghoomne jaana hai ! "


Sonia: g bhaiya, jabse aap aye ho mere saath kahin ghoome hi nhi, bss kisi na kisi kaam m hi lage rehte ho mere saath khlte bhi nhi, ab agr aapne mana kiya to hamaari kattiiii kattiiii kattiiii 😤....


usne ye sab itne funny or ghusse waale andaaz se bola k sabko hansi aane lagi lekin uske naraaz hone k dar se sab ne kisi trhaan khud ko roke rakha....


Viki: (Smiles) are nhi yrrr bhaiya k saath kattiiii naa kro, bhaiya le kr chalen ge naa apni gudiya ko, batao kahan jaana hai lekin sirf aapko baaki sab ko yahin chord kr chale jain ge...


Farah: kyun bhai humen kyun chor kr jao ge, hum bhi saath chalen ge ...


Viki: chal lena or agr koi saath le kr jaye toooo, ne to nhi le kr jaa rha 🥱🥱...


uski baat sunte hi sabka munh aise utar gaya jaise koi inki kidneys le kr bhaag gaya hai or ab inko fiqr ho rhi hai k iPhone kaise len 😅😅😅....


Sabhi youngsters Sonia ko umeed bhari nazron se dekhne lage k ab woh unki sifaarish kr de bcz wk wohi to thi jiski sifaarish Viki sunta bhi...
wrna sabhi badon ne to kudko bacchon ki baaton se laag hi rakha or khamosh baithe inki baaten enjoy kr rhe the...
or Saba usne to khudko Neutral hi rakha tha, woh kuch bhi nhi boli bss muskuraate huwe sab dekhti rhi....
to ab Sonia hi ek waahid option tha ....


Sonia ne bhi hanste huwe kaha... " thk hai me bhaiyaa ko mana lun gi lekin badle m mujhe bhi juch Chahiye...."


SAB: kya chahiye ? jo bolo gi mile gaa !!!


Sonia: aap sab ko homework krne m meri help krni hogi, mujhe dherrr saari chocolate's bhi chahiye orrrrr haan mujhe na ek bada wala teddy Bear 🐻 bhi chahiye hai ..... abhi k liye bss itna hi....


Sab: done ho gaya sab mile ga...


Viki unki haalat k maze le rha tha...phir woh bola " Are meri Gudiya aapko Kisi se kuch maangne ki zaroorat nhi hai aapke bhaiya aapko sab dilayen ge, or haan aap homework m help le sakti ho lekin krna aapko khud hi pade gaa...


unki baaten sun sabko lagne laga k ab jabke Viki khud hi Sonia ko sab de rha hai to woh inki sifaarish nhi kare giii...


Sonia ne bhi unki taraf muskuraate huwe dekha or phir Viki k kaan m kuch boli....to Viki ne bhi sabhi ko dekha to sabka munh utraa huwa tha khaas kr k Mehwish kaa...
us se sabko aise dekha naa gaya or woh bola....

" are ooo Miss Wednesday tension naa lo tumhe bhi le kr jaoun gaa or baaki sab ko bhi le jIn ge... ab dekho me kitna bade dill ❤️ waala hun na 😁😁"


Mehwish: ohh thanks (phir man m: aaya bada, bade dil waala hunnn...) ..


phir jaise usse kuch yaad aaya or woh chilaate huwe bhaagi Viki ki taraf ...

" tumne phir se mujhe Wednesday bola, ab nhi bacho ge tum.... aaj to me sach me tumhara khoon pee jaoun gii"


lekin jo itni aasaani se haath aa jaye woh Viki nhi, Mehwish k us tak aane ze pehle hi woh Sonia ko apni godi m uthaye hi bhaaga or Mehwish uske peeche peeche ghussa krte huwe bhaagne lagi...
obviously woh naatak kr thi thi ghussa hone ka bss Viki k saath masti mazaak krne k liye hi woh aise behave kr rhi thi...


thodi der inki pakdam pakdaayii chalti rhi lekin Mehwish k haath khaali hi rhe or usne haar maan liii or apni sofe pr lambi ho gyiii...
or Viki uske paas hi araam se baith gaya or usse muskuraate huwe huwe dekhne laga, Saba bhi wahin uske baraabar aa kr baith gyii or Sonia Viki ki godi se utar kr aoni Bhabhi k saath chipak gyiii....


sabhi unki is chorr police waali race ko dekh kr hans rhe the...
phir cKhalu bole...

" yrrr ye kya baat huiii tum sabko le kr jaa rhe ho or humen hi bhool gye"


Viki: are nhi khalu aap sab bhi jain ge saath woh to bss aise hi me inke saath masti kr rha tha.


uski baat sunte hi achaanak se Mehwish uthi or uske bazoo pr soft punches ki baarish kr dii...
uski harkat se pehle to sab heraan hue phir hansne lage or Fiza boli...

" iski harkaten dekh kr aisa lagta hai k jaise ye Viki ki doosri bivi ho.. hahahaha 🤣🤣"


uski baat pr sab hansne lage pr Mehwish thoda sa sharmaa gyii jaise sachme woh aisa soch rhi ho...
uska sharmaana kisi or ne dekha ho ya na dekha ho lekin Viki ne dekh liya or woh halka sa shock to huwa lekin phir kuch soch normal bhi ho gaya or bola.


Viki: Mere itne bure din bhi nhi aye hain k is Wednesday se shaadi karun or woh bhi tab jab k Saba jaisi itni achi Bivi hai meri...


Mehwish bhi foran boli: hhh-han to m-mere konsa bure din chal rhe the jo tumse shaadi krti...


Hina jo Mehwish k paas hi baithi thi halka sa jhuk kr uske kaan m boli...

" agr bure din nhi aye to sharmaa kon rha tha, hehehe 😁😁😁 "


uski baat pr Mehwish ne usse ghoor kr dekha to woh peeche hat gayii lekin uska hansna ab bhi jaari tha...


Viki: waise ye to batao k jaana kahan hai, jane ka plan kr rakha hai to location bbi final ki hi hogii...!


Sonia: Plan kiya hai na bhaiya, Zoo chalen ge ....


Viki: lo ab ab zoo bhi jaana hai hai 😋...


Hina: kya matlab, haan kehna kya chahte ho....


Viki: (hanste huwe) kon me, mene to kuch nhi kaha, me to bss munh hilaa rha tha... heheheh 😁😁😁...


Irum:(Saba's sister) bsss karen bhai ab daant andar bhi kar len, sabko pata chal gaya k aapke toothpaste m Namak (salt) hai 😅..


Irum ki baat pr mahol qehqahoon se goonj utha....


Viki: boli bhai boli, ye Titliyoon ki Malika (Butterfly 🦋 Princess ) bolti bhi hai wrna mujhe laga tha iske munh or tape laga huwa hai.... harr time to iska "Panchi banun, Udti phirun Mast Gagan m" chlta rehta tha 🤣🤣🤣...


hahahaha 😅😅😅😅🤣
ek baar phir se sab hans diye lekin apni Titli, i mean Irum ne munh phula liya or chidhte huwe bss itan hi boli....

" 🙎🏼‍♀️.. bhaiiiiiii, jao me nhi Karti aapse baat, hunnnh"


uski is adaa pr ek baar phir sab hansne hi wale the k
.....

Viki: (muskuraate huwe) koi nhi hanse gaa meri Titli pr....😁.


Irum:( Phir se chidhte huwe) bhai please naa 🥺🥺🥺...


Viki: acha baaba nhi kehta kuch, dekho ab me ek dam chup hun, lips are sealed 🤐🤐..


Irum: 😅😅 ab aisa bhi nhi bola bhai k aap kuch bolo hi mat, bss mujhe tang naa karo, aap na bss Mehwish baaji se ladoo...


Mehwish: yaar ab hum ladte thodi naa hain, woh to bss aise hi 😁😁


Saba: ye kya baat hui Irum, woh dono ladte thodi naa hain mazaak krte hain aapas m or tumhare saath bhi mazaak gi kr rhe hain....waise nickname acha hai

" Titli " 😁😁...


Irum:(🙎🏼‍♀️) aap bhi apne shohar ki hi side lo bss...


uski baat pr Mehwish thodi hil si gyiii...uske dimaagh m yehi baat chal rhi thi "Aap bhi apne shohar ki hi side lo bss" (aap bhi) ye lafz usko halka sa bechain kr gye
" bss kr jaag jaa apne khwaab se 😁"


Mehwish to ab bhi apne khayalon m hi thi k usse kisi ki awaz ne hosh m laaya or Mehwish usse ajeeb si kashmakash bhari nazron se dekhne lagi...


wo shakhs: aise mat dekh yrr, ab me kya karun 🥲.


woh log aahista hi bol rhe the k koi sun na sake,
khair ye sab yun hi chalta rha phir Viki ne poocha ..

"ye to batao k jaana kab hai, Abu aap log hi batain! "


Abu: are nhi beta hum log nhi jaa rhe, bss tum bache log hi jao, hum kya karen ge tumhaare saath jaa kr, or phir tum log bhi khul kr enjoy nhi kr sako ge..


Chachu: haan beta Salman shi bol rha hai, tum log hi jao or ache se enjoy karo..


Ami: bsss sab saath hi rehna or ek dusre ka khayaaal rakhna khaas kr in bacchon ka.. ye to sakooon se bethte nhi hain ....


Kashif Mamu: ab tum Bache log hi decide karo k kab jaana hai, hum yo chale apne kaam niptaane...


Samina khala: bss zeyada udham mat machaana baaki khair hai, pata chale tum logon ne yahin chidiya ghar bana liya 😄😄😄..


sabhi bade hanste huwe wahan se khisak liye k kahin bacche kisi trhaan unhe apne saath chalne k liye phansaa hi na len .....
badon k jaan ek baad sab Viki ko dekhne lag...


sabko apni taraf dekhta paa kr Viki sofe pr chonkdi maar kr beth gaya or bola...

" sab mujhe aise jyun dekh rhe ho, le kr to jaa rha hun ab kya date bhi me hi decide karun, dekho jo bhi date final karo kuch din baad ki karna please"


Mehwish: le kr jaa rhe ho to koi enhsaan thkdi na kr rhe ho jo aise jataa rhe ho 😏...


Viki:(haath jodte huwe 🙏) Mehwish please ab tum behes mt krna yrr, mera bilkul bhi mood nhi hai....


uski baat pr Mehwish kuch bolna to chahti thi or woh bolne hi waali thi k achaanak jab uski nazar Viki ki aankhon pr gyii yo usse wahan kuch ajeeb sa mehsoos huwa...
jaise k woh kisi pareshani m hai kisi dard m hai jo qoh sab se chupaye baitha hai....
ye mehsoos kr woh chup hi rahi....


Sonia: bhaiyaa humne decide kiya hai k kal hi jain ge Zoo...


Viki: pr Gudiya abhi to mene bola k kuch din baad ka final karo or aapne phir bhi kal ka decide kr liya..😐


Sonia: pr bhaiyaa humne to kal ka pakka kiya hai, please maan jao na kal jaate hain please 🥺🥺...


usko aise apni taraf umeed bhari nazron dekhta paa kr Viki ek aaah bhari or haar maante huwe bola..

" acha thk hai jaisa Gudiya ne bola hai waisa hi ho gaa hum kal hi jain ge, ab Khush 🙂"


Sonia uski goddd m chadh gyii or uske gaal choom liye...

* Viki k dimaagh m is waqt bohot kuch chal rha tha jaise...
Api ki koi khabar nhi mil rhi thi..
Munna kon hai
woh kya chahta hai, kyun kiya usne itna sab...
Phir café waala incident....
Api k ghr ka haal or woh khoon....
Woh goli jo usse Café se mili thi...338 lapua bullet...
or usse jo mark dikha tha jungle m...
abhi tak Forensic reports bhi nhi ayii thin
ooper se Ali jo k company m busy tha us ka phone bhi nhi lag rha tha...


yehi sab kuch uske dimaagh m chal rha tha or isii liye Viki ki aankhon m halki sii udaasi thi or Mehwish ne dekh li thi...
or yehi wajah thi k woh kuch din baad tak plan ko postpone krna Chahta tha k atleast kuch to lead mil jaiye or tab tak Ali bhi aa hi jaata to woh kuch haf tak be fiqr ho sakta tha lekin woh apni Gudiya ko bhi udaas nhi krna chaahta tha is liye usne haan kr diii... *


Viki k haan krte hi sabhi Khushi se halla machaane lage or jis kaam se Khala ne mana kiya tha wohi krne lage..(ghr ko hi chidiya ghar banaane lage 🤣🤣)...


sabke saath Viki bhi muskuraate huwe baaten kr rha tha lekin do log the jo uski aankhon m chupi udaasi or uske dil m uth rhe dard ko mehsoos kr sakte the....
Saba or Mehwish...


Saba jisse aab maloom tha or woh bhi chahti thi k jald hi sab thk ho jaye...

to dusri taraf thi Mehwish jisse bss itna samajh aa rha tha k Viki pareshan hai or woh bhi chahti thi k uski jo bhi problem hai woh jald hi thk ho jaye....

usne thodi der baad Viki se mil kr discuss krne ka socha or phir uth kr apne room m chali gyiii..


Baaki sab bhi baithe planning krte rahe or baad m apne apne kamaon m lag gye or Saba or Viki bhi apne room m chale gye....









aaj k liye itna hi guys
aap sab aapna kaam kr k jaana..
or apne reviews dena naa bhulen 🙂..



Guys ek zaroori baat krni hai: waise to me ye kehna nhi chaahta tha pr kehna padd rha hai---

Dosto baat ye hai k Me apni taraf se poori koshish kr rha hun k best update dunn or aap sabko entertainment provide kr sakun...
abhi jo Mega update diya tha usse likhne m mujhe almost 6 hours se zeyaada lage the... Lekin response utna acha nhi aaya...

story padhne k baad bhi kuch dost na like kr rhe hain or naa hi Koi review de rhe hain...
bss itni hi request hai k atleast ek like kr diya karo or 2 se 3 lines ka ek review post kr diya karo, koi zeyaada time nhi lagta hai is sab m...
Apki is choti si koshish se writer ko motivation milti hai or story likhne m mazaa aata hai..
or ye bhi pata chalta hai k reader's story se kitna connected hain...

or ye sab sabhi stories k liye hai chaahe jis bhi writer ki ho....
Zabardast update 👍👍
 
Top