Update 19
Idher Aryan office mein apni hi kisi soch mein ghum baitha hua tha. Uska dhyaan office ka kaam mein naa hokar kahi aur hi thaa. Woh apni soch mein itna khoya hua tha ke usse hosh hi nhi raha ke kab uske saamne aake koi baith jaata hai.
Saamne se – Kis soch mein ghum ho.
Saamne wale ki awaaz sunke Aryan apni soch se bahar aata hai aur saamne baithe shaks ko dekh hairaan hojaata hai.
Aryan – Tum yaha iss waqt. Aise achanak.
Saamne se – Haa main. Socha main bhi thoda office ghum lu.
Aryan – Yaha aate hue kisi ne dekha nhi.
Saamne se – Dekha toh bahot logo ne. Par kisi ne kuch bola nhi. Par ab yeh batao kis soch mein ghum ho.
Aryan – Ah kuch nhi. Bas aise hi.
Saamne se – Ab bata bhi do.
Aryan – Soch raha hu jo bhi hua kyaa woh sahi tha.
Saamne se – Tum chinta mat karo. Jo bhi hua hai woh bilkul sahi hua hai. Aur iska natija tum dekh sakte ho.
Aryan – Hmmm.
Saamne se – Main chalta hu. Mujhe 2 din ke liye bahar jaana hai. Dhyaan rakhna.
Aryan – Achanak kaha jaana hai.
Saamne se – Hai kuch kaam. 2 din mein aajaunga. Ab main chalta hu. Yeh bol woh shaks waha se chala jaata hai.
Raat ko ghar mein Ajay aur Maya dono hi Aryan se baate kar usse paka rahe the aur Aryan chup chaap unki baate sunn raha tha. Woh chah kar bhi unhe mana nhi kar pa raha tha.
Dono Aryan se beete 10 saalon ke baare mein puch rahe the. Jaide woh kaun se school mein tha. Kaunse college mein tha. Padhai kaisi rahi.
Aryan chah kar bhi unhe mana nhi kar paa raha tha woh bas baitha baitha unke betuke sawaalon ka jawaab diye jaa raha tha.
Idher Mumbai mein woh aurat jo uss ladke ke saath thi woh subah subah apne ghar ke kaam kaaj nipta rahi thi tabhi uske ghar ki door bell baj uthti hai. Woh jaake darwaaza kholti hai tob saamne woh ladka khada tha.
Aurat – Tum yaha iss waqt achanak.
Ladka – Bas kuch kaam tha isiliye aaya hu 2 din ke liye.
Aurat – Achhi baat hai aao andar aao. Aur aisa kyaa kaam aagaya jo tumhe yaha aana padha.
Ladka – Hai kuch personal kaam.
Aurat – Uske liye aaye ho.
Ladka kuch nhi bolta aur apne kamre mein chala jaata hai.
Aurat – Tum bhale hi kuch naa kaho par main jaanti hu tum yaha uske liye hi aaye ho.
Thodi der baad woh ladka taiyaar hoke naashta karke waha se nikal jaata hai aur ek garden mein jaake chup chaap baith jaata hai.
Thodi der baad uss ladke ke paas aake ek ladki baith jaati hai. Dono kuch der ekdum chup chaap baithe rehte hai. Dono mein se koi kuch nhi bol raha tha. Dono aise behave kar rahe the jaise dono ek dusre se anjaan hai.
Kuch der ki chuppi ke baad ladka bolne ki koshish karta hai toh ladki bol padhti hai.
Ladki – Tumhe kuch kehne ki jarurat nhi hai. Mujhe sab pata hai.
Ladka – Matlab.
Ladki – Matlah main jaanti hu tum kyo mujhse durr reh rahe ho. Kyo mujhse pyaar karte hue bhi inkaar kar rahe ho. Mujhe sab kuch pata chal chuka hai.
Ladka kuch nhi bolta bas chup chaap baitha rehta hai.
Ladki – Main tumhe ab force nhi karungi. Tumhe jitna time lena hai lo. Main saari zindagi tumhara intezaar karungi.
Ladka – Megha tum....
Megha – Maine kaha naaa. Tumhe jitna time lena hai lo. Main tumhare liye marte dum tak intezaar karungi.
Phir dono kuch der waha chup chaap baithe rehte hai. Dono mein se koi kuch nhi bol raha tha. Dono bas ek dusre ke presence ko mehsus kar rahe the.
Thodi der baad dono bi waha se nikal jaate hai. Par dono hi iss baat se bekhabar the ke dono ko kisi ne eksaath dekh liya tha. Aur usne inndono ki ek picture click kar li thi.