• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parivaar aur Pyaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 3
Delhi mein Vikram apne office mein baitha hua tha aur kisi soch mein ghum bhi tha. Usse yeh tak hosh nhi tha ke uska secretary uske cabin mein aagaya hai. Secretary Vikram ko 2 โ€“ 3 baar bulata hai tab usse hosh aata hai.

Secretary โ€“ Kya baat hai sir. Aap kisi tarah ki tension mein hai.

Vikram โ€“ Nhi aisi koi baat nhi hai. Meri mumbai jaane ki taiyaari hogyi hai.

Secretary โ€“ Haa sir hogyi hai. Par sir aise achanak mumbai.

Vikram โ€“ Haa thoda kaam hai. Flight kitne baje ki hai.

Secretary โ€“ Time hogya hai. Aapko nikalna chahiye.

Vikram โ€“ Hmm. Thik hai.

Phir Secretary waha se nikal jaata hai aur ek kone mein jaake kisi ko call karta hai.

Secretary โ€“ Aaj woh Mumbai jaa rahe hai akele kisi kaam se.

Saamne se โ€“ Kitne din ke liye.

Secretary โ€“ 1 din ke liye.

Saamne se โ€“ Thik hai.

Phir phone cut hojaata hai.

Thodi der baad Vikram Mumbai ke liye nikal jaata hai aur uske pichhe pichhe 2 aadmi aur nikalte hai.

Kuch 2 ghante baad Vikram Mumbai pahunch jaata hai. Woh Airport se ek cab leke sidha ek hotel mein jaata hai aur waha check in karke apne room mein chala jaata hai.

Idher subah subah Mumbai ke news channel pe ek news chal rahi thi jisme dikha raha tha ke sehar mein mein phir se police ke haath laga black money. Har baar ki tarah issbaar bhi kuch logo ko buri tarah se maara gaya aur phir unhe behosh karke police ko inform kiya gaya.

Jabse yeh news viral hui thi kuch logo ki neendein udd gayi thi. AC room mein baithe hone ke baad bhi unke paseene chutt rahe the.

Idher Vikram thodi der baad apne room se ek bag leke nikalta hai aur sidha ek cab book karke nikal jaata hai. Uske pichhe pichhe woh 2 log bhi nikal jaate hai.

Vikram apne cab mein baith ke driver ko location bata deta hai aur driver uss location ki taraf jaane ke liye nikal padhta hai.

Vikram โ€“ Gaadi thoda tez chalana.

Driver โ€“ Ji sir.

Vikram โ€“ Tum mujhe apna UPI scanner do main pay kardeta hu.

Driver โ€“ Yeh lijiye sir.

Vikram uss scanner ko scan karke usse paise bhej deta hai. Jaise hi paise Driver ke account mein jaate hai Driver ka mobile blink kardeta hai. Driver woh msg check karta hai aur pichhe ghumke bolta hai.

Driver โ€“ Thank you Sir.

Vikram โ€“ Ab gaadi ko airport ki taraf le chalo. Yaha jis kaam ke liye aaya tha woh hogaya hai.

Driver โ€“ Ji sir.

Vikram โ€“ Waise gaadi kaafi achhi chala lete ho.

Driver โ€“ Thank You Sir.

Kuch der mein gaadi Airport ke bahar khadi rehti hai. Vikram waha utarta hai aur Driver ko kuch bolke andar ki taraf chala jaata hai. Driver bhi gaadi bahar ki taraf nikal leta hai.

Idher jo log Vikram ka pichha kar rahe the woh log Vikram ko Hotel se sidha Airport aate dekh confuse hojaate hai. Woh kisi ko phone karte hai aur bolte hai.

Aadmi 1 โ€“ Sir yeh toh pehle sidha Hotel gaya. Phir hotel mein 15 โ€“ 20 mins ruka aur wapas se Airport aagaya.

Saamne se โ€“ Tumhe pura yakeen hai woh Vikram hi tha.

Aadmi 2 โ€“ Yeh sir.

Saamne se โ€“ Ab iska kya matlab hua. Delhi se mumbai gaya waha sirf 15 โ€“ 20 mins sirf hotel gaya aur wapas Delhi. Iske Mumbai jaane ka exact reason kyaa thaa. Yeh Mumbai gaya kyo.

Aadmi 1 โ€“ Ab hum kyaa kare sir.

Saamne se โ€“ Tumlog wapas aajao. Ab waha rehke koi faiyda nhi.

Aadmi 1 โ€“ Thik hai Sir.

Phir woh log bhi wapas se Delhi chale jaate hai.

Idher Shalini Vikram ko call karti hai aur puchti hai.

Shalini โ€“ Kaha ho aap.

Vikram โ€“ Wapas aaraha hu.

Shalini โ€“ Hogyaa.

Vikram โ€“ Haa.

Shalini โ€“ Thik hai naa. Koi problem toh nhi hai naa. Sab achha hai naa.

Vikram โ€“ Tum chinta mat karo. Sab achha hai aur koi problem nhi hai.

Shalini โ€“ Achha.

Phir call cut hojata hai toh Shalini ek aur call lagati hai.

Saamne se โ€“ Hello.

Shalini โ€“ Hello. Abhi Shalini aur kuch bolti tabhi pichhe se Vidya awaaz aati hai.

Vidya - Bhabhi chaliye meeting ke liye let horaha hai. Aur yeh aap kisse baat kar rahi hai.

Shalini โ€“ Thoda ghabra kar. Kisi se nhi. Tum chalo main aati hu.

Vidya โ€“ Jaldi aaiye.

Phir Vidya waha se chali jaati hai.

Shalini โ€“ I am Sorry.

Saamne se โ€“ Aap kyo sorry bol rahi hai. Shayad abhi humara time nhi aaya hai.

Shalini โ€“ Aise mat bolo. Galti meri hi hai. Mujhe abhi call nhi karna chahiye thaa.

Saamne se โ€“ Koi baat nhi. Aap jaaiye. Phir kabhi baat hogi.

Shalini โ€“ Thik ho naa.

Saamne se โ€“ Haaa.

Shalini โ€“ Bas aur kuch din.

Saamne se โ€“ Haste hue. Thik hai. Jald hi.

Shalini โ€“ Haaa.

Phir call cut hojaata hai.

Udher kuch log ek kamre mein baithe hue the aur kuch soch rahe the.

Aadmi 1 โ€“ Pata nhi yeh harbaar mumbai sirf 15 โ€“ 20 mins ke liye kyo jaata hai. Aakhir kyo.

Aadmi 2 โ€“ Itna toh pata hai iska woh raaz mumbai mein hi hai. Isiliye woh sirf 15 โ€“ 20 mins ke liye mumbai jaata hai.

Aadmi 3 โ€“ Abhi tak pata nhi chala aisa kaunsa raaz hai jo yeh baap bete chupaye baithe hai. Jiski khabar kaano kaan kisiko nhi.

Aadmi 4 โ€“ Aur woh papers bhi pata nhi kaha chupa rakha hai inn baap beto ne.

Aadmi 1 โ€“ Mujhe yeh company chahiye. Puri ki puri chahiye kisi bhi keemat pe.

Aadmi 2 โ€“ Par yeh kaise possible hai.

Aadmi 1 โ€“ Possible nhi hai toh possible karo. Tumhe paise kis baat ke de raha hu. Maine iss property ke liye hi uske bete ko 10 saal pehle maut ke hawaale kiya tha. Jald se jald yeh puri jaydaat mere naam karo. Aur uss aadmi ka pata chala jo humara nuksaan kiye jaa raha hai.

Aadmi 3 โ€“ Abhi tak kuch pata nhi chala hai. Pata nhi kaun hai kaha se aata hai. Bas humare aadmiyon maarta hai behosh karta hai aur police ko call karke paise aur samaan pakadwa deta hai.

Aadmi 1 โ€“ Jaldi pata lagao uska. Uski wajah se pichle 4 mahine se bahot nuksaan hochuka hai mera. Aur ab toh company ke files mein bhi pata lagne laga hai. Isse pehle kisi aur ko pata chale jaldi se khatam karo usse.

Yeh bol woh aadmi waha se nikal jaata hai aur baaki ke log usse waha se jaate hue dekhte rehte hai.
 
drx prince

Active Member
1,533
1,519
143

Very nice update
Yani secretory bhi mila hua hai yeh sara chakkar property ka hai. Aur agar mera anuman sahi hai to iska mastermind hero ke pariwar ka hi koi hai.Aur uske aadmiyon ki band kahi hamara hero hi to nhi bja rha hai
such a nice story bro
keep updating
 
Naik

Well-Known Member
20,242
75,373
258
Introduction
Pratap Singh Rajput- Yeh hai apne hero ka dadaji. Apne zamane mein kushti champion the. Achhe achho ko akhade mein pachaad chuke hai. Par family business sambhalne ke liye inhe kushti chorni padhi. Par shauk abhi bhi hai. Ghar mein sabse bade hai. Inhone apni puri jaydaat ko apne bachho mein baat diya hai. Inka ek bahot hi gehra raaj hai jiske baare mein sirf aur sirf inke bade bete aur bahu ko hi pata hai.

Vikram Singh Rajput- Yeh hai apne hero ka papa. Apne parivaar se bahot pyaar hai par saath mein business se bhi bahot pyaar hai. Inki 2 shaadiyan hui thi. Pehli patni ek accident mein marr jaati hai. Jiske baad inhone ek aur shaadi ki hai. Pehli patni ka naam Rashmi tha.

Shalini Singh Rajput- Yeh hai Vikram ki dusri patni. Inka nature bahot hi caring hai. Ghar ke saath saath business bhi sambhalti hai. Yeh bahot hi khushmizaaz aurat hai aur har pareshani ka datt ke saamna karti hai. Inhe sirf aur sirf ek hi chiz pareshan karti hai aur yeh chah ke bhi uss pareshani ko thik nhi kar sakti. Yeh apne bachho se bahot pyaar karti hai.

Ishita Singh Rajput- Yeh Vikram aur Shalini ki ek lauti beti. Thodi bewkoof hai. Maa baap ke laad pyaar mein thodi bigad gayi hai. College ke 1st year mein hai.

Mahira Singh Rajput- Yeh Vikram aur Rashmi ki beti hai. Dil ki achhi hai. Yeh college ke 2nd year mein hai. Parivaar mein sabki izzat karti hai.

Shekhar Singh Rajput- Yeh hai Pratap Singh ka dusra beta. Apne bhai ke saath business chalata hai. Isse apne pita aur bhai ke raaz ke baare mein kuch bhi nhi pata hai. Thoda lalchi kisam ka insaan hai.

Vidya Singh Rajput- Yeh Shekhar ki patni hai. Dil ki bahot achhi hai. Isse apne sasur aur jeth ke raaz ke baare mein pura toh nhi par kuch kuch pata hai.

Vicky Singh Rajput- Yeh Shekhar aur Vidya ka beta hai. Chup chaap rehne wala ladka hai. Apne hi mast rehta hai. College ke 2nd year mein hai.

Rajput Group of Companies Pratap Singh ki kadi mehnat ka natija hai. Inhone iss company ki neev apne pita ke sang rakhi thi. Uss time pe yeh ek choti si company hua karti thi jisme mushkil se 40 log kam karte the. Par aaj iss company mein 4000 se bhi jyaada log kam karte hai. Iss company ki puri jimmedaari pehle Pratap Singh ke haatho mein thi par phir inhone saari jimmedaari apne beto ko de di jise ab woh sambhalte hai. Delhi mein inka ghar hai jaha sablog ek saath rehte hai.
Sabka ka introduction kerwaya per Hero k baare m kuch nahi bataya kia suspense h bhai
Baherhal badhiya parachey
 
Naik

Well-Known Member
20,242
75,373
258
Update 1
Mumbai ke bahari illake mein kuch log khade cigarette pi rahe the. Halki halki thand thi phir bhi sabke maathe mein paseena tha aur chehre pe ek darr bhi tha. Wohlog baar baar idher udher dekh rahe the jaise kisi ke aane ka intezaar kar rahe ho. Abhi unko waha khade kuch hi time hua tha ke tabhi waha unhe 2 gaadiyaan aate hue dikhti hai. Woh dono gaadiyan ekdum unke saamne aake khadi hojaati hai.

Dono gaadiyon mein se 2 aadmi utarte hai aur waha khade logo ke paas aate hai aur unhe ek bag pakda dete hai.

Aadmi 1 โ€“ Unhe kehna aaj tak ka sara hisaab clear hochuka hai. Aur ab humhe contact naa kare.

Aadmi 2 โ€“ Agar humhe kisi chiz ki jarurat hui toh hum khud contact karenge. Jab tak woh pakda nhi jaata ya maara nhi jaata humhe kisi bhi tarah se contact naa kare.

Iske baad woh dono aadmi waha se fatafat nikal jaate hai. Unke nikalte hi baaki ke log bhi waha se jaldi jaldi nikal jaate hai.

Agli subah Mumbai ke City College mein ek ladki apne group ke saath canteen mein baithi thi par uska dhyaan apne group ke bahar hi tha.

Ladki(Mann mein) โ€“ Aaj college ka last day hai. Aaj use bolna hi hoga. Pure 2 saal intezaar kiya hai maine. Aaj usse mera intezaar khatam karna hi hoga. Aaj use mujhe apnana hi hoga.

Woh ladki apni soch mein hi ghum thi ke tabhi uske paas mein baithe uske dost usse uski soch se bahar laate hai.

Dost 1 โ€“ Kya soch rahi hai itne derr se.

Dost 2 โ€“ Haa. Kuch socha hai tune ab aage kyaa karna hai. College toh aaj khatam.

Ladki โ€“ Abhi maine kuch nhi socha hai. Par jald hi kuch soch lungi. Tumlog apna batao.

Dost 3 โ€“ Main toh higher studies ke liye bahar jaa raha hu.

Dost 4 โ€“ Main bhi bahar hi jaa rahi hu.

Dost 1 - Mera bhi kuch aisa hi plan hai. Agar result achha aaya toh bahar jaaungi warna yehi ke kisi college mein admission le lungi.

Abhi yehlog aur kuch bolte tabhi woh ladki jhatt se apni jagah se uth jaati hai aur canteen ke bahar ki taraf jaane lagti hai. Uske uthte hi uske dost usse puchne lagte hai par woh koi jawaab diye bina hi bahar ki taraf nikal jaati hai.

Woh ladki canteen se bahar nikal ke sidha parking ki taraf jaati hai aur ek bike ke saamne khadi hojaati hai.

Ladki โ€“ Mujhe jawaab chahiye aur abhi chahiye.

Ladka โ€“ Mere paas tumhare kisi sawaal ka jawaab nhi hai. Aur waise bhi maine tumhe pehle bol diya hai.

Ladki โ€“ Tum mere saath aisa kyo kar rahe hai. Tum achhe se jaante ho main tumse kitna pyaar karti hu. Aur main yeh bhi janti hu tum bhi mujhse utna hi pyaar karte ho.

Ladka โ€“ Main tumse pyaar nhi karta yeh baat maine tumhe pehle bhi bahot baar bola hai phir kyo baar baar yeh baat bolti ho.

Ladki โ€“ Jhoot. Tum jhoot bol rahe ho. Tumhari aankho mein mujhe mere liye saaf pyaar nazar aata hai.

Ladka โ€“ Galatfehmi hai. Main aaj yeh aakhri baar keh raha hu. Mujhe bhool jao aur apni life mein aage badho. Yeh bol woh ladka waha se jaane lagta hai.

Ladki โ€“ Jaate jaate meri bhi ek baat sunlo. Maine tumse sachhe mann se pyaar kiya hai. Main tumhara intezaar karti rahungi. Aur agar mera pyaar sachha hai toh mujhe mere intezaar ka fal milega aur woh fal mujhe tum doge. Main marr jaungi par tumhare alawa kabhi kisi aur ki nhi houngi.

Woh ladka yeh sab sunn ke waha se nikal jaata hai. Ladki ladke ko jaate dekhti rehti hai. Uske aankho se aansu nikal rahe hote hai.

Ladki โ€“ Agar mera pyaar sachha hai aur maine sirf tumse pyaar kiya hai toh ekdin tum khud apne pyaar ka izhaar mere saamne karoge.

Iske baad woh ladki bhi waha se chali jaati hai.

Delhi ke ek bahot bade ghar ke mandir mein ek aurat subah subah bhagwan ke saamne haath jode khadi thi. Aankhon mein thode aansu the. Tabhi pichhe se ek awaaz aati hai. Subah subah bhagwan se kyaa maanga jaa raha hai.

Aurat โ€“ Bina pichhe mude. Aap jaante hai. Main hardin bhagwan se kyaa maangti hu. Inhone mujhe har khushi di. Har sukh diya. Bas usse durr kardiya.

Aadmi โ€“ Tum achhe se jaanti ho shalini beta agar woh yaha rehta toh shayad hum usse kabhi nhi dekh paate.

Shalini โ€“ Kab tak. Aakhir kab tak pitaji. Kab tak.

Pratap โ€“ Pata nhi.

Iske aage shalini aur kuch nhi bolti. Usse hardin yehi jawaab sunne ko milta tha. Woh bhagwaan ke saamne ekbaar phirse haath jodh ke mandir se bahar aati hai aur Pratap ke wheel chair ko hall mein dining table ke paas le jaati hai.

Pratap โ€“ Apne chehre se yeh dukh aur dard hata do Shalini.

Shalini โ€“ Aap chinta mat kijiye. 10 saalon se woh raaz seene mein dafan hai aage bhi dafan hi rahega. Aur shayad woh raaz mere saath hi dafan bhi hojayega.

Yeh bol woh apni aankhon se aansu pochti hai aur chehre pe ek sajawati muskurahat laake kitchen mein chali jaati hai.
Shuruwat badhiya huwi h
Yeh ladka kyon itna bhaw kha raha tha jabki ladki samne se aaker bol Rahi dekhte h aisi kia baat h jo use pyar kerne se rok raha h
Or dekhte h kia raaz chupaya jaa raha h sabse
Behtareen update bhai
 
Top