• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Notebook

Active Member
1,511
3,006
143

Update # 2


Karan bebsi se tadap raha tha lekin kisi ke paas use dhadhas bandhane ke alawa koi bhi chara nahi tha . Sarpanch aur gaon wale chal diye Arun kishor ko khojne jabki Rohan wahi ruk gaya . Karan ki maa ka haal kafi bura tha par unko samjhane ke siwa kisi ke paas koi rasta nahi tha . Karan aur Rohan ki ek aur dost thi Saloni jiski dadi filhal Karan ki maa ko samjha rahi thi jabki Kavya apni maa se chipki ro rahi thi .

Gaon wale 3 din me poore pahaad aur jungle chhan mare par Arun kishor kahi na mile . Abb to sare gaon wale ek sur me chilla rahe the ki ho na ho Arun Kishor ko jungli utha le gaye the . Gaon wale gussa to bahut the par jungliyon se ladne ki himmat kisi me nahi thi yahan tak ki jungliyon ke area me kadam rakhna to door wahan jane ka soch kar hi sab ke paseene chhot rahe the .

Gaon walon me Do - teen aise log bhi the jinse kabhi kabhar jungli log milte the ( jinme ek vaidya ji bhi the ) un logon ne jald pata lagane ka aashwashan diya aur chale gaye . Thodi hi der baad bheed chhant gayi . Karan , Rohan , Kavya aur Saloni ghar ki chhat par baithe khamoshi se door jungle ko ghoor rahe the . Kaafi der baad Karan ne chuppi todi .

Karan -- mai aise haath par haath rakh kar nahi baitha rah sakta hoon .

Karan ke sur baagi ho chale the .

Kavya -- Tu to naa hi uchhal abb , chup baith please . Papa to waise hi pata nahi kis haal me honge abb tu koi aafat mat karna . Maa sah nahi payengi .

Kavya ki aawaj me hatasha thi .

Rohan -- haan Karan Ye sahi kah rahi hai tu aawesh me koi nayi musibat mat khadi kar dena .

Karan -- mai haath par haath rakh kar nahi baith sakta hoon .

Saloni -- to kya karega tu ? Unn jungliyon ki daawat banne jayega wahan ?

Saloni ne sir peet kar kaha .

Kavya -- mujhe jungliyon ki salaad nahi banna hai . Please koi aur rasta khojo .

Karan -- tum logon ki bewkoofi khatm ho gayi ho to mai bhi kuchh bolu ?

Rohan -- waise shabashi dene wali baat to tu bhi nahi bol raha hai .

Karan -- to tu hi bata kya karna chahiye ?

Rohan -- Najar rakhni chahiye .

Karan -- kis par ?

Rohan - sabhi par kyu hi mujhe lagta hai ki gaon ka hi koi banda unn jungliyon se mila hua hai .

Karan - kaise rakhni hai najar bata mai taiyaar hoon .

Kavya & Saloni - ham bhi taiyaar hain .

Rohan - Kavya tujhe mom ke paas ruk kar unka khayaal rakhna hoga aur raat me aas paas hone wali gatividhiyon par najar rakhni hogi kyu ki hamara ghar ekaant me padta hai .

Kavya - theek hai .

Rohan - Saloni tu apne ghar ke peechhe wale ped par apni dadi se bol de ek tree house banwane ko wo bhi aaj ke aaj , jisase ham log aaj se hi kaam start kar sake .

Soloni - wo to theek hai par mere ghar se najar kaise rakhenge ?

Karan - mai samjh gaya , kyu ki tere ghar se sara jungle dikhta hai .

Saloni - par wo bada wala bargad ka ped , uska kya ? Us par to bhoot rahte hain naa ?

Karan - to kya hua yaar shuruaat bhooton se hi sahi .

Rohan - bilkul .

Saloni - to theek hai mai jakar bol deti hoon dadi se tree house ke liye chal Kavya neeche .

Saloni aur Kavya neeche chali gayi kyu ki Saloni ki dadi neeche hi baithi thi . Karan aur Rohan aage ka plan karne lage . Ek din me tree house bhi ready ho gaya . Saloni ne uspar jarurat ka sabhi samaan aur garm kapde bhi rakh diye . Raat hote hi Karan aur Rohan pahunch gaye . Teeno bade gsur se charo taraf najar rakhne lage . Kabhi der baad Rohan bola ,

Rohan - yaar kuchh to locha hai uss bargad ke ped ke paas . Dekh kuchh halchal mahsoos ho rahi hai aur halki roshni bhi dikh rahi hai .

Karan - haan yaar , galti ho gayi hame doorbeen bhi lana tha .

Saloni - mujhe darr lag raha hai . Jaroor wahan bhoot aaya hai .

Karan - tune kabhi dekha hai bhoot ko ?

Saloni - nahi par dadi ne dekha hai . Pari bhi aur bhoot bhi .

Rohan - bakwas mat kar .

Saloni - dadi ne meri kasam khayi thi .

Karan - Rohan kyu na kal subah dadi se kahani suni jaye kya pata usme hi koi clue chhipa ho .

Rohan - kar sakte hain .

Saloni - kal tum mere ghar aaoge Karan ? ( pyaar se sharmate huye )

Karan - itna ovar acting kyu kar rahi hai , abhi bhi tere hi ghar aaye hain ham . ( very rudely )

Saloni - huh ( tunak kar )

Teeno ne kal Saloni ki dadi se milna pakka kar liya aur wapas apne kaam me vyast ho gaye
 

Notebook

Active Member
1,511
3,006
143
Hello bro......
I'm here for the first time.....
First of all congratulations for the new story......:congrats:

Now for the first update......
Brilliant start......
Thrilling update.....
Keep it up....
Thanks.....
Thanks bhai :yo:
 

Pondy

Member
458
766
108
Bhoot shayad wo Fairy hogi, aur baki ye samajh me aaraha hai ki ek banda kidnap hua hai aur uska beta usko khojne me lage hai apne dosto ke saath ab suspense ye hai ki kyun gayab hua hai aur kisne gayab kiya hai...
Mast update badhiya build kar rahe ho
 

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Update # 2


Karan bebsi se tadap raha tha lekin kisi ke paas use dhadhas bandhane ke alawa koi bhi chara nahi tha . Sarpanch aur gaon wale chal diye Arun kishor ko khojne jabki Rohan wahi ruk gaya . Karan ki maa ka haal kafi bura tha par unko samjhane ke siwa kisi ke paas koi rasta nahi tha . Karan aur Rohan ki ek aur dost thi Saloni jiski dadi filhal Karan ki maa ko samjha rahi thi jabki Kavya apni maa se chipki ro rahi thi .

Gaon wale 3 din me poore pahaad aur jungle chhan mare par Arun kishor kahi na mile . Abb to sare gaon wale ek sur me chilla rahe the ki ho na ho Arun Kishor ko jungli utha le gaye the . Gaon wale gussa to bahut the par jungliyon se ladne ki himmat kisi me nahi thi yahan tak ki jungliyon ke area me kadam rakhna to door wahan jane ka soch kar hi sab ke paseene chhot rahe the .

Gaon walon me Do - teen aise log bhi the jinse kabhi kabhar jungli log milte the ( jinme ek vaidya ji bhi the ) un logon ne jald pata lagane ka aashwashan diya aur chale gaye . Thodi hi der baad bheed chhant gayi . Karan , Rohan , Kavya aur Saloni ghar ki chhat par baithe khamoshi se door jungle ko ghoor rahe the . Kaafi der baad Karan ne chuppi todi .

Karan -- mai aise haath par haath rakh kar nahi baitha rah sakta hoon .

Karan ke sur baagi ho chale the .

Kavya -- Tu to naa hi uchhal abb , chup baith please . Papa to waise hi pata nahi kis haal me honge abb tu koi aafat mat karna . Maa sah nahi payengi .

Kavya ki aawaj me hatasha thi .

Rohan -- haan Karan Ye sahi kah rahi hai tu aawesh me koi nayi musibat mat khadi kar dena .

Karan -- mai haath par haath rakh kar nahi baith sakta hoon .

Saloni -- to kya karega tu ? Unn jungliyon ki daawat banne jayega wahan ?

Saloni ne sir peet kar kaha .

Kavya -- mujhe jungliyon ki salaad nahi banna hai . Please koi aur rasta khojo .

Karan -- tum logon ki bewkoofi khatm ho gayi ho to mai bhi kuchh bolu ?

Rohan -- waise shabashi dene wali baat to tu bhi nahi bol raha hai .

Karan -- to tu hi bata kya karna chahiye ?

Rohan -- Najar rakhni chahiye .

Karan -- kis par ?

Rohan - sabhi par kyu hi mujhe lagta hai ki gaon ka hi koi banda unn jungliyon se mila hua hai .

Karan - kaise rakhni hai najar bata mai taiyaar hoon .

Kavya & Saloni - ham bhi taiyaar hain .

Rohan - Kavya tujhe mom ke paas ruk kar unka khayaal rakhna hoga aur raat me aas paas hone wali gatividhiyon par najar rakhni hogi kyu ki hamara ghar ekaant me padta hai .

Kavya - theek hai .

Rohan - Saloni tu apne ghar ke peechhe wale ped par apni dadi se bol de ek tree house banwane ko wo bhi aaj ke aaj , jisase ham log aaj se hi kaam start kar sake .

Soloni - wo to theek hai par mere ghar se najar kaise rakhenge ?

Karan - mai samjh gaya , kyu ki tere ghar se sara jungle dikhta hai .

Saloni - par wo bada wala bargad ka ped , uska kya ? Us par to bhoot rahte hain naa ?

Karan - to kya hua yaar shuruaat bhooton se hi sahi .

Rohan - bilkul .

Saloni - to theek hai mai jakar bol deti hoon dadi se tree house ke liye chal Kavya neeche .

Saloni aur Kavya neeche chali gayi kyu ki Saloni ki dadi neeche hi baithi thi . Karan aur Rohan aage ka plan karne lage . Ek din me tree house bhi ready ho gaya . Saloni ne uspar jarurat ka sabhi samaan aur garm kapde bhi rakh diye . Raat hote hi Karan aur Rohan pahunch gaye . Teeno bade gsur se charo taraf najar rakhne lage . Kabhi der baad Rohan bola ,

Rohan - yaar kuchh to locha hai uss bargad ke ped ke paas . Dekh kuchh halchal mahsoos ho rahi hai aur halki roshni bhi dikh rahi hai .

Karan - haan yaar , galti ho gayi hame doorbeen bhi lana tha .

Saloni - mujhe darr lag raha hai . Jaroor wahan bhoot aaya hai .

Karan - tune kabhi dekha hai bhoot ko ?

Saloni - nahi par dadi ne dekha hai . Pari bhi aur bhoot bhi .

Rohan - bakwas mat kar .

Saloni - dadi ne meri kasam khayi thi .

Karan - Rohan kyu na kal subah dadi se kahani suni jaye kya pata usme hi koi clue chhipa ho .

Rohan - kar sakte hain .

Saloni - kal tum mere ghar aaoge Karan ? ( pyaar se sharmate huye )

Karan - itna ovar acting kyu kar rahi hai , abhi bhi tere hi ghar aaye hain ham . ( very rudely )

Saloni - huh ( tunak kar )

Teeno ne kal Saloni ki dadi se milna pakka kar liya aur wapas apne kaam me vyast ho gaye
Fantastic update sir
 
Top